19-07-2026, 09:36 PM
Continue.....
Nimrit kaa ghar bahut bada tha. Bahar ak sundar garden tha aur andar purane style kaa bada drawing room.
Nimrit ke pitaji ne tumhare pita kaa welcome kia.
Dinner se pahle sab log drawing room me baithkar baat karne lage..
Nimrit ke pitaji ne tumhare pita se unke pariwar ke bare me pucha.
Nimrit ke Pitaji_ Kunwar sahab, aapke pitaji kyaa karte hai?
Abhay_ Mere pitaji Baldev Singh Thakur family ki agricultural land aur kuch purane businesses sambhalte hai. wo jyadatar apne pushteni gaanv me rahte hai, meri maa, or dadaji, or anay family members ke sath...
Nimrit ke pitaji chaukte huye....
Nimrit ke pitaji_ Kyaa apke pita ne 2 saadi ko hai...
Abhay_ Ji, meri maa Manjot Kaur se unhone ak tarah se love marriage ki hai...
iske piche ki kahani badi interesting hai..fir kabhi bataunga..
Abhay se Manjot kaur sunte hi...
Nimrit ke Pitaji_ Manjot Kaur?
Abhay_ Haa. Meri maa Sikh family se hai.
Mere pitaji aur maa ki shaadi bhi iss sahar me huyi thi...
Aftab_ Isliye Kunwar sahab ko pyar ke mamle me family support milne ki puri ummid hai.
Abhay ne Aftab ko gusse se dekha.
Nimrit ke pitaji ne Aftab ki baat per dhyan diya, lekin uss samay kuch nhi kaha.
Nimrit ki maa ne baat badalte hue pucha—
Maa_Aapki maa ko aapke politics me jane se koi problem nhi hoti?
Abhay_ Bahut hoti hai.
Wo roj kahti hai ki construction kaa kaam karo aur politics chhod do.
Mosi_ Fir aap unki baat kyun nhi mante?
Abhay_ Kyunki jab log apni problem lekar ghar tak aa jate hai, tab unhe mana karna mushkil hota hai.
Nimrit chupchap tumhare pita ki bate sun rhi thi.
Dinner ke baad Nimrit ke pitaji aur Aftab business ki baat karne lage.
Nimrit ki maa kitchen me chali gyi.
Tumhare pita garden me aakar khade ho gye.
Kuch der baad Nimrit bhi garden me aa gyi.
Nimrit_ Aap akela kyun khade hai?
Abhay_ Aftab aur aapke pitaji business ki baat kar rhe hai. Unke bich jaunga to mujhe achcha nhi lagega..
Nimrit_ Rajput Construction aapki firm hai, fir bhi?
Abhay_ Firm hum dono ki hai, lekin accounts Aftab sambhalta hai. Paiso ke mamle me meri bhi nhi sunta.
Nimrit_ Achcha karta hai. Kisi ko to aapko control karna chahiye.
Abhay_ Aap bhi kar sakti hai.
Nimrit ne Abhay ki taraf dekha.
Nimrit_ Abhay ji, ak baat puchu?
Abhay_ Puchiye.
Nimrit_ Aapne mujhe pahli baar dekhte hi pasand kese kar liya?
Abhay kuch pal chup rha..
Abhay_ Iska sahi jawab mere paas bhi nhi hai.
Nimrit_ Fir bhi koi wajah to hogi.
Abhay_ Pahli baar jab maine aapko dekha tha, aap coaching ke bahar ak chhoti ladki ko uski books uthane me help kar rhi thi.
Fir aapne uske rikshaw wale ko danta tha, kyunki wo usse jyada paise mang rha tha.
Nimrit_ Aap uss wakt se mujhe dekh rhe the?
Abhay_ Haa.
Nimrit_ Ye to picha karne wali baat huyi.
Abhay_ Sirf char din tak.
Nimrit_ Char din kam hote hai?
Abhay_ Mujhe apni feelings batane me char din lage. Uske baad aapne mujhe dant diya aur maine rasta badal liya.
Nimrit ke chehre per halki si muskan aa gyi..
Nimrit_ Aapko pata hai naa ki me IAS banna chahti hu?
Abhay_ Haa.
Nimrit_ Mera pura focus abhi exam per hai.
Meri maa chahti thi ki me District Collector banu. Wo khud Collector banna chahti thi, lekin unka sapna pura nhi ho saka.
Unki death ke baad maine decide kia tha ki me unka sapna pura karungi.
Me kisi bhi relationship ki wajah se apni preparation compromise nhi kar sakti.
Tumhare pita ne bina ak pal soche jawab diya—
Abhay_ Aapko karni bhi nhi chahiye.
Nimrit_ Matlab?
Abhay_ Agar mera pyar aapko aapke sapne se dur karta hai, to fir mera pyar aapke liye sahi nhi hai.
Nimrit kuch pal use dekhti rhi.
Abhay_ Aap IAS ki preparation kijiye.
Exam clear kijiye.
Collector baniye.
Me naa aapko padhai se disturb karunga aur naa hi aapse roj milne ki jid karunga.
Nimrit_ Aur aapki feelings?
Abhay_ Wo meri responsibility hai. Aapki nhi.
Nimrit_ Aap kab tak intejar karenge?
Abhay_ Jab tak aap mujhe saaf mana nhi kar deti.
Nimrit_ Me to pahle hi mana kar chuki hu.
Abhay_ Wo jawab aapne mujhe jane bina diya tha.
Ab aap mujhe jaan rhi hai.
Isliye ab wale jawab kaa intejar karunga.
Nimrit_ Aur agar maine fir se mana kar diya?
Abhay_ To iss baar bina koi ummid rakhe chala jaunga.
Nimrit_ Itna easy hoga?
Abhay_ Bilkul nhi..
Lekin pyar me samne wale kaa faisla accept karna padta hai.
Nimrit ke man me tumhare pita ke liye respect aur badh gyi..
Nimrit_ Mere Mains exam me ab jyada samay nhi bacha hai.
Abhay_ Tab tak hum nhi milenge.
Nimrit ne hairani se pucha..
Nimrit_ Bilkul nhi?
Abhay_ Aapne kaha ki aapka focus exam per hona chahiye.
Nimrit_ Haa, lekin iska matlab ye nhi ki—
Nimrit apni baat bich me hi rok gyi.
Abhay ke chehre per halki si muskan aa gyi.
Abhay_ Kyaa matlab nhi?
Nimrit_ Kuch nhi.
Abhay_ Aap chahe to kabhi-kabhi office aa sakti hai.
Nimrit_ Me kyun aau?
Abhay_ Mujhe laga aap mujhe janna chahti hai.
Nimrit_ Iska matlab ye nhi ki me khud aapke office aati rahungi.
Abhay_ Fir me aapki coaching ke paas aa jau?
Nimrit_ Bilkul nhi. Waha sab mujhe jante hai.
Abhay_ Fir milenge kese?
Nimrit kuch pal sochti rhi.
Nimrit_ Har Sunday sham ko me Central Library jati hu. Waha politics aur administration ke purane journals padhne.
Abhay_ Achcha..
Nimrit_ Aap bhi kabhi padhne aa sakte hai.
Abhay_ Konsi kitab padni hogi?
Nimrit_ Koi bhi.
Abhay_ Me kitab padhunga aur aapko dekhunga nhi?
Nimrit_ Agar aap mujhe dekhte rhe to me seat badal lungi.
Abhay_ Fir me bhi seat badal lunga.
Nimrit_ Abhay ji….
Abhay_ Theek hai. Me sirf kitab padhunga.
Nimrit_ Aur mujhse baat bhi kar sakte hai.
Abhay_ Kitni der?
Nimrit_ Ye time table bhi banana padega?
Abhay_ IAS ki preparation karne wale log har chij kaa time table banate hai.
Nimrit muskurate hue boli—
Nimrit_ Maximum aadha ghanta.
Abhay_ Manjur hai..
Dono ki baat chal hi rhi thi ki Nimrit ke pitaji garden ke darwaje per aa gye.
Unhone dono ko ak sath khade dekha.
Nimrit turant thoda piche hat gyi.
Nimrit ke Pitaji_ Kunwar sahab, Aftab sahab aapko bula rhe hai..
Abhay_ Ji..
Tumhare pita waha se chale gye.
Nimrit ke pitaji kuch pal apni beti ko dekhte rhe.
Nimrit_ Kyaa hua papa?
Nimrit ke Pitaji_ Tum Kunwar Abhay ko pahle se janti ho?
Nimrit ne pahle baat chhupane kaa socha.
Lekin fir usne sach bol diya..
Nimrit_ Haa. Wo mujhse pahle bhi mil chuke hai.
Nimrit ke Pitaji_ Kaha?
Nimrit_ Coaching ke paas.
Nimrit ke Pitaji_ Kis silsile me?
Nimrit kuch pal chup rhi.
Nimrit_ Unhone kaha tha ki wo mujhe pasand karte hai.
Nimrit ke pitaji kaa chehra gambhir ho gya.
Nimrit ke Pitaji_ Aur tumne kyaa kaha?
Nimrit_ Maine unhe mana kar diya tha.
Nimrit ke Pitaji_ Fir aaj tum dono garden me kyaa baat kar rhe the?
Nimrit_ Me unhe samajhne ki koshish kar rhi hu.
Nimrit ke Pitaji_ Nimrit, wo tumse age me chhota hai.
Nimrit_ Mujhse paanch saal chhota hai. Mujhe pata hai.
Nimrit ke Pitaji_ Wo politics me hai. Politics me har din naye dushman bante hai.
Uska construction kaa business bhi hai.
Uski life simple nhi hogi.
Nimrit_ Meri life bhi simple nhi hone wali, papa. Me IAS banna chahti hu.
Nimrit ke Pitaji_ Me tumhe rok nhi rha. Bus tumhe jaldbaji me decision lene se mana kar rha hu.
Nimrit_ Maine koi decision nhi liya hai.
Nimrit ke Pitaji_ Aur agar kal lena pada to?
Nimrit ne garden se bahar jate hue Abhay ko dekha.
Fir apne pita ki taraf dekhkar boli—
Nimrit_ Tab me unki age nhi, unka character dekhkar decision lungi.
Nimrit ke pitaji ne kuch nhi kaha.
Lekin unhe samajh aa gya tha ki unki beti ke dil me Kunwar Abhay Pratap Singh Thakur ke liye jagah banne lagi hai.
Me_ Kyaa Nana ji papa ke khilaf the?
Dadaji_ Shuru me nhi..
Wo tumhare pita ki kabiliyat se bahut impress the.
Lekin pita hone ke nate unhe Nimrit ki chinta thi.
Age difference unke liye ak issue tha.
Tumhare pita kaa politics me hona dusra issue tha.
Aur sabse bada issue ye tha ki Nimrit kaa pura focus IAS per hona chahiye tha.
Me_ Fir papa aur maa Sunday ko library me mile?
Dadaji_ Haa.
Lekin unki pahli Sunday wali mulakat se pahle hi tumhare pita ke khilaf ak naya mamla khada ho gya.
Me_ Kyaa hua?
Dadaji_ Rajput Construction ki ak colony ke khilaf Nagar Palika me complaint file ki gyi.
Complaint me kaha gya ki colony ki kuch jamin government ki hai aur tumhare pita ne illegal tarike se usper kabja kia hai.
Me_ Kyaa ye sach tha?
Dadaji_ Bilkul nhi.
Land ke sare papers legal the.
Lekin complaint ke sath kuch nakli documents bhi lagaye gye the.
Nagar Palika ne Rajput Construction kaa kaam rokne kaa notice bhej diya.
Me_ Complaint kisne ki thi?
Dadaji_ Samne ak chhote se local aadmi kaa naam tha.
Lekin uske piche kon tha, ye tumhare pita aur Aftab dono samajh rhe the.
Me_ Salman Pathan?
Dadaji_ Shak usi per tha.
........

![[+]](https://xossipy.com/images/bootbb/collapse_collapsed.png)