Posts: 1,022
Threads: 11
Likes Received: 392 in 290 posts
Likes Given: 45
Joined: Dec 2024
Reputation:
13
Jeevan Singh_Jay tum sab se mil chuke ho, mere pariwar me lagbhag..
Me_ Lagbhag matlab, kyaa aur bhi log hai apke pariwar me..
Jeevan Singh_ Suryabhan ki teesri patni, uski 2 avivahit betiyaan, Suryabhan kaa sala aur uski biwi..
Yaha mojud nhi hai, Suryabhan ke sasur kaa swasth theek nhi hai, to wo waha gye huye hai..
Baki tum sab logo se mil liye ho..
Me_ Aakhirkar, introduction khatam hua Thakur Sahab..
Thakur sahab muskurate huye..
Jeevan Singh_ Haa Jay, wese to baki sab tumhe yahi milenge jab bhi tum aaoge..
Lakin Balram aur Ranvijay khas tor per tumse mukabla karne ke liye yaha aaye hai, apne pariwar ke sath..
Udaybhan tumhari Pratibha ko apni aankhon se dekhna chahta hai aur aajmana chahta hai, iss liye usne apne dono akhade ke majboot pahalwan salo ko bulaya hai..
Me_ Bilkul thakur sahab, ab aap aagya den to pahalwani kaa mukabla suru kia jaye..
Thakur sahab_ tum to bade utawale lag rhe ho jay..
Dadaji_ Thakur Sahab, Jay utawla nhi hai, bas wo jaldi se apne prudwandi ko hara ke free hona pasand karta hai..
Yaha wese bhi bahut se logo ko shak hai mere pote ko kabiliyat per, use wo bhi to sabit karna hai..
Jeevan Singh_ Bilkul sahi kaha apne pahalwan sahab..
Agar sab taiyar hai, Jay ko chuniti dene ke liye to mukabla suru kara jaye..
......
Posts: 1,022
Threads: 11
Likes Received: 392 in 290 posts
Likes Given: 45
Joined: Dec 2024
Reputation:
13
............... Jeevan Singh ki Haveli ka Aangan ...............
Jeevan Singh ki haveli ka bada aangan aaj poori tarah akhade mein badal gaya tha.
Aangan ke ak side mein mitti ka bada kushti ka akhada bana hua tha, aur uske ak taraf aadhe Chand ke aakar me Jeevan Singh ke parivaar ke lagbhag sabhi sadasya mojud the..
jinse mera pehle introduction ho chuka tha.
Jeevan Singh apni jagah par gambhir hokar baithe the. Unke paas unki teenon patniyan—Shakuntala Devi, Devyani Devi aur Padmavati Devi—baithi thi.
Nirbhay, Chandrabhan, Udaybhan aur Suryabhan bhi saamne khade the.
Vasundhara, Mrinalini, Charvi, Rajeshwari aur Yashodhara apni-apni jagah se akhade ko dekh rahi thi.
Antara kaa pura pariwar mojud tha..
Ghar ke damad, bahuen, pote-potiyan, nati- Natiya sab ki nazar ab mujh par thi.
Dadaji Baldev Singh ek khatia par baithe the aur mere kapde unke paas rakhe hue the.
Unki nazar mujh per se ek pal ke liye bhi nahi hat rahi thi.
Me akhade ke kinare khada tha aur apne badan par mitti mal raha tha.
Mere chehre par na ghabrahat thi, na jaldbazi. me aaram se uss mitti ki malne kaa aanand le rha tha..
...............
Nirbhay_ Pehle Jay se hamare ghar ke kuchh jawaan ladke akhada aazmaayenge... ek-ek karke.
Udaybhan_ Haan... pehle beton se ladwa ke hi hi dekh lete hain ki Jay ki taiyari kitni gehri hai.
Jeevan Singh ne Meri taraf dekha.
Jeevan Singh_ Jay, taiyar ho?
Me_ Ji Thakur Sahab... main taiyar hoon.
Jeevan Singh_ Yaad rakhna... yahan koi dushmani nahi hai. Ye apne hi ghar ke bachche hain.
Me_ Ji. Main bhi ise sirf kushti hi samajhkar ladunga.
Nirbhay ne apne beton aur damado ki taraf dekha.
Nirbhay_ Kaun pehle aayega?
Thodi der ke liye sab chup rahe.
Phir bheed mein se Aditya Singh Solanki aage badha.
Aditya_ Agar aapki anumati ho Papa... toh main pehle Jay se ladna chahta hoon.
Nirbhay ne gardan hila di.
Nirbhay_ Jao Aditya.
Aditya gya, aur khud ko taiyar karke aa gya pahalwani ke liye..
Fir Aditya dheere-dheere akhade mein utar gaya.
.........
(This post was last modified: 21-09-2026, 01:27 PM by
Babab96. Edited 2 times in total.)
Posts: 1,022
Threads: 11
Likes Received: 392 in 290 posts
Likes Given: 45
Joined: Dec 2024
Reputation:
13
...............
Chaaron ek saath Meri taraf daude.
Raghav_ Vikram, right!
Vikram turant mere daayein taraf se ghuma.
Ranveer baayein taraf se aaya.
Arjun seedha saamne se.
Mene ek hi pal mein unki positioning samajh li.
Me_ Achhi planning hai.
Arjun sabse pehle mujh tak pahucha.
Dono ne grip banai..
Isi waqt Ranveer ne peeche se mujh ko pakadne ki koshish ki.
Mene Arjun ki grip chhodi aur turant apna badan ghuma diya.
Ranveer ki pakad Mere kandhe tak hi pahunch paayi.
Mene Ranveer ka haath pakda.
Ek jhatka.
Ranveer aage ki taraf kheench gaya.
Mene uska balance use karte hue usse apne saamne kar liya.
Vikram bhi usi waqt pahunch gaya.
Mene Ranveer ko ek taraf dhakela aur Vikram ko rok diya.
Raghav_ Ab!
Raghav ne meri kamar par grip bana li.
Pehli baar mujh ko chaaron ka combined pressure mehsoos hua.
Mere pair mitti mein thode se ghase.
Udaybhan_ Is baar chaaron ne sahi coordination kiya hai.
Balram_ Jay ko ek jagah rok liya!
Jeevan Singh chupchaap dekhte rahe.
Jay ne ek gehri saans li.
Idhar dadaji bhi bethe huye, iss mast khel kaa aanand le rhe the, wo jante the, mere liye ye sab ak khel hai..
Me chahun to kuchh second me dharasai kar dun sab ko...
...........
Posts: 1,022
Threads: 11
Likes Received: 392 in 290 posts
Likes Given: 45
Joined: Dec 2024
Reputation:
13
Idhar mene apni poori body ka weight neeche kiya.
Raghav ki grip dheeli hui.
Mene apna kandha peeche kiya.
Raghav ka balance bigda.
Me_ Raghav ji...
Mene Raghav ko pakad liya.
Me_ Aap strategy sambhaliye.
Mene Raghav ko uthaya.
Dhaam!
Raghav dobara mitti par tha.
Vikram_ Bhai!
Mene palatkar dekha.
Vikram usi waqt mujhpar toot pada.
Vikram ne mujh ko kamar se pakadne ki koshish ki.
Mene uski gardan aur kandhe ka control liya.
Vikram ne poori taqat lagayi.
Lekin Mene use bhi zameen se utha liya.
Vikram_ Jay, nhi—
Dhaam!
Vikram mitti mein ja gira.
Ranveer ne mauka dekhkar Meri taraf jump kiya.
Ranveer_ Ab meri baari!
Mene ek kadam peeche liya.
Ranveer ka attack khaali gaya.
Mene uski kamar pakdi.
Ranveer ko bhi hawa mein utha liya.
Ranveer_ Ruko, ruko!
Mene hanskar kaha.
Me_ Abhi toh aap keh rahe the "ab meri baari".
Ranveer_ Haan, lekin itni jaldi nahi!
Mene use controlled tareeke se mitti par gira diya.
Dhaam!
Aangan mein hansi ki halki awaaz goonj gayi.
Ranveer mitti par pada hua hansne laga.
Ranveer_ Ye aadmi sach mein nahi rukta!
Arjun ne ye sab dekha.
Usne dheere se apni position badli.
Arjun_ Jay!
Mene palatkar dekha.
Arjun_ Idhar dekho.
Jay_ Ji.
Arjun ne attack kiya.
Is baar Mene seedha counter nahi kiya.
Hum dono kuch pal tak grip mein rahe.
Arjun ne mujh ko side mein kheenchne ki koshish ki.
Mwne resistance diya.
Arjun ne phir direction badli.
Mene bhi direction badli.
Arjun_ Tumhe rokna aasaan nahi hai.
Me_ Aap chaaron milkar koshish kar rahe hain.
Arjun_ Aur tum abhi bhi khade ho.
Me_ Kyunki aap log regular pehalwan nahi hain.
Arjun ek pal ke liye chup ho gaya.
Mene uski grip break ki.
Me_ Aap sabke andar strength hai.
Mene Arjun ka kandha pakda.
Me_ Lekin kushti ka experience...
Mene Arjun ko uthaya.
Me_ Woh alag cheez hai.
Dhaam!
Arjun bhi mitti par tha.
Shalini_ Arjun!
Arjun ne turant haath uthaya.
Arjun_ Main theek hoon.
Me peeche hata.
Ab chaaron bhai ek baar phir mitti mein alag-alag jagah khade hone ki koshish kar rahe the.
Jeevan Singh ne unhe dekha.
Jeevan Singh_ Bas itna hi?
Raghav ne Dadaji ki taraf dekha.
Raghav_ Nahi.
Raghav dheere se khada hua.
Raghav_ Abhi hum chaaron ne Jay ko ek saath properly challenge hi nahi kiya.
Vikram bhi uth gaya.
Vikram_ Sahi kaha.
Ranveer ne mitti jhaadi..
Ranveer_ Ek aur round.
Arjun ne Meri taraf dekha.
Arjun_ Taiyar ho?
Mene muskurakar jawab diya.
Me_ Hamesha.
Raghav ne teeno ko dekha.
Raghav_ Is baar koi alag nahi hoga.
Vikram_ Sab ek saath.
Ranveer_ Ek hi target.
Arjun_ Jay.
Mene chaaron ki aankhon mein dekha.
Me_ Toh phir aao.
Chaaron ne ek saath stance liya.
Jeevan Singh ne haath uthaya.
Jeevan Singh_ Aakhri daur!
Poora aangan phir se sannate mein aa gaya.
Aur is baar chaaron bhai poori taqat ke saath mujhe par toot pade.
...............
Mene ek pal ke liye aankhen sikodi.
Phir me unki taraf dauda.
Dono taraf se takraav hua.
Aur agle hi pal—
Mene chaaron ko ek saath rok diya.
...............
Posts: 1,022
Threads: 11
Likes Received: 392 in 290 posts
Likes Given: 45
Joined: Dec 2024
Reputation:
13
...............
Mene chaaron ko ek saath rok diya.
Raghav ne meri kamar pakadne ki koshish ki.
Vikram ne mera kandha.
Ranveer ne mera baazu.
Aur Arjun ne saamne se meri grip rok li.
Kuch pal ke liye me bilkul beech mein tha.
Chaaron taraf se chaar log.
Lekin mere pair zameen par mazbooti se jame hue the.
Raghav_ Ab!
Chaaron ne ek saath zor lagaya.
Mere pair mitti mein aur gehre dhans gaye.
Ranvijay_ Is baar pakad liya!
Balram_ Dekho! Jay hil bhi nahi raha!
Udaybhan ne dhyan se mujhe dekha.
Udaybhan_ Hil nahi raha...
Ek pal rukkar Udaybhan ne kaha—
Udaybhan_ ...kyunki ye khud mauka de raha hai.
Jeevan Singh ki aankhon mein halki si chamak aa gayi.
Jeevan Singh_ Bilkul.
Mene dheere se apna sar uthaya.
Me_ Bas?
Chaaron bhaiyon ne ek-doosre ki taraf dekha.
Mene apni kamar seedhi ki.
Me_ Ab meri baari.
Mene sabse pehle Arjun ki grip tod di.
Arjun ek kadam peeche hua.
Mene turant Ranveer ka haath pakda.
Ranveer_ Arre! fir se nhi..
Mene use apni taraf kheench liya.
Ranveer ka balance bigda.
Mene usse kamar se pakda aur ek controlled movement mein hawa mein utha liya.
Dhaam!
Ranveer mitti par.
Vikram ne turant mere kandhe par attack kiya.
Mene bina peeche dekhe uski kalai pakad li.
Vikram_ Ye kaise—
Mene ghoomkar Vikram ka balance bigada.
Aur agle hi pal—
Dhaam!
Vikram bhi mitti mein.
Raghav ne mujh ko rokne ke liye seedha grip banayi.
Is baar Mene Raghav ko seedha nhi uthaya.
Usne uski grip ko use karte hue apna angle badla.
Raghav ka balance chala gaya.
Mene uska kandha pakda aur use side mein le jaakar mitti par gira diya.
Dhaam!
Raghav kuch pal chup raha.
Phir hans pada.
Raghav_ Samajh gaya.
Jay_ Kya?
Raghav_ Tumhare saamne hum jitna zor lagate hain... utna hi tum us zor ka istemal hamare khilaaf karte ho.
Mene muskurakar kaha.
Me_ Kushti mein yehi toh seekha hai.
Arjun ab bhi khada tha.
Usne mujhe dekha.
Arjun_ Aur main?
Mene uski taraf dekha.
Me_ Aap abhi bhi khade hain.
Arjun_ Toh phir kushti bhi abhi baaki hai.
Arjun ne mujhe pakda.
Is baar Mene turant counter nahi kiya.
Dono kuch pal tak ek-doosre ko push karte rahe.
Arjun ne mujhe neeche kheenchne ki koshish ki.
Mene pair jama liya.
Arjun ne phir poori taqat lagayi.
Mene uska momentum roka.
Phir dheere se kaha—
Me_ Arjun ji...
Arjun_ Haan?
Me_ Aapne pehle bhi achhi kushti ki thi.
Arjun_ Aur tumne mujhe haraya tha.
Me_ Isliye aapko pata hai main kya karne wala hoon.
Arjun ke chehre par halki si muskaan aayi.
Arjun_ Pata hai.
Mene grip badli.
Arjun_ Lekin phir bhi koshish karunga.
Jay_ Isi liye toh aap sabse alag hain.
Ek pal baad Mene Arjun ko bhi utha liya.
Shalini_ Arjun!
Jay ne Arjun ko kuch pal control mein rakha.
Phir use bhi mitti par controlled tareeke se gira diya.
Dhaam!
Arjun zameen par tha.
Aangan mein poora sannata chha gaya.
Me beech akhade mein khada tha.
Mere saamne chaaron bhai mitti mein the.
Ranveer uthte hue bola—
Ranveer_ Bas...
Vikram_ Kya hua?
Ranveer ne hanskar kaha—
Ranveer_ Main maan gaya.
Vikram_ Kya?
Ranveer_ Jay ko ek saath chaar log bhi nahi hara pa rahe.
Vikram bhi uthkar baith gaya.
Vikram_ Haan.
Raghav ne mitti jhaadi aur khada hua.
Raghav_ Ye regular pehalwanon ki kushti nahi thi.
Usne Meri taraf dekha.
Raghav_ Aur Jay... tum humse alag level par ho.
Arjun bhi khada hua.
Arjun ne Mere saamne aakar haath badhaya.
Arjun_ Aaj tumne sirf mujhe nahi...
Usne peeche Raghav, Vikram aur Ranveer ki taraf dekha.
Arjun_ ...hum chaaron ko samjha diya ki kushti aur taqat mein farq hota hai.
Mene Arjun ka haath pakda.
Me_ Aap logon ne bhi mujhe achcha challenge diya.
Arjun_ Aur?
Jay_ Aur maza aaya.
Ranveer hans pada.
Ranveer_ Agli baar main akela aaunga.
Vikram_ Pehle mujhse nipatna.
Raghav_ Tum dono pehle training karo.
Ranveer_ Raghav bhai, aap bhi toh hare ho.
Raghav_ Main haar maan raha hoon. Tum abhi bhi bahane bana rahe ho.
Poore aangan mein hansi goonj uthi.
Jeevan Singh dheere-dheere akhade ki taraf badhe.
Unhone chaaron poton ko dekha.
Phir Meri taraf.
Jeevan Singh_ Jay.
Jay_ Ji.
Jeevan Singh_ Aaj tumne mere chaaron poton ko hara diya.
Me chup raha.
Jeevan Singh_ Lakin
Me_ Lakin?
......
Posts: 1,022
Threads: 11
Likes Received: 392 in 290 posts
Likes Given: 45
Joined: Dec 2024
Reputation:
13
Jeevan Singh_ Lakin is baar jo akhade mein utrega... usse tumne abhi tak kushti karte hue nahi dekha. wo tumse bhi jyada chalak, Tezz aur shaktishali hai..
...............
Poore aangan ki nazrein haveli ke bade darwaze ki taraf mud gayi.
Darwaze ke paas se ek bhaari kadam ki awaaz sunai di.
.......................
Haveli ke bade darwaze ke paas khade naukar ne dheere se darwaza poora khol diya.
Bhaari kadmon ki awaaz aangan mein aur saaf sunai dene lagi.
Sabki nazrein ek hi taraf tik gayi.
Ek lamba-chauda aadmi dheere-dheere andar aaya.
Uski umar lagbhag 42 saal thi.
Kandhe chaude, sharir mazboot aur chaal bilkul sthir thi.
Usne simple safed kurta aur dhoti pehni hui thi, aur uske chehre par koi ghamand nahi tha.
Ranvijay ne use dekhte hi apni aankhen thodi badi kar di.
Ranvijay_ Arre... ye toh...
Balram bhi seedha khada ho gaya.
Balram_ Tum yahan?
Jeevan Singh ne us aadmi ki taraf dekha aur halki si muskaan di.
Jeevan Singh_ Haan... ab waqt aa gaya hai ki Jay isse mile.
Mene aadmi ko gaur se dekha.
Me_ Dadaji... ye kaun hain?
Baldev Singh ne bhi us aadmi ko pehchanne ki koshish ki.
Baldev Singh_ Jeevan... tumne ise bulaya tha?
Jeevan Singh_ Maine nahi, Baldev. Ye khud aaya hai.
Salo baad, mujhe ummeed nhi thi ki ye aayega..
Aadmi akhade ke paas aakar ruk gaya.
Usne sabse pehle Jeevan Singh ko namaskar kiya.
Aadmi_ Mamaji.
Jeevan Singh_ Aa gaya tu, Harveer.
Mene dhyan se naam suna.
Me_ Harveer?
Jeevan Singh ne Meri taraf dekha.
Jeevan Singh_ Jay, milo... ye hai Harveer Singh Makrana
Aangan mein halki si halchal hui..
Aditya_ Harveer chacha...
Udit_ Itne saalon baad....
Kartik_ Mujhe laga tha ye shehar se wapas nahi aayenge.
Harveer halka sa muskuraya.
Harveer_ Ghar se kitne din tak door raha ja sakta hai, Kartik?
Udaybhan ne aage badhkar Harveer ke kandhe par haath rakha.
Udaybhan_ Chhote bhai, achanak aane ki aadat abhi bhi nahi gayi tumhari.
Harveer_ Bhai saheb... aaj aana zaroori tha.
Mene Jeevan Singh ki taraf dekha..
.............
(This post was last modified: 21-09-2026, 05:15 PM by
Babab96. Edited 1 time in total.)
Posts: 1,022
Threads: 11
Likes Received: 392 in 290 posts
Likes Given: 45
Joined: Dec 2024
Reputation:
13
...............
Harveer ne pehla kadam aage badhaya aur Mene turant apna stance neecha kar liya.
Harveer ki movement baaki pehalwanon se bilkul alag thi. Na koi jaldbazi, na koi extra movement. Har kadam soch-samajhkar.
Me_ Aap bahut shaant hokar khelte ho.
Harveer_ Shaant rehna hi meri aadat hai, Jay. Akhada jitna shaant hota hai, dimaag utna tez kaam karta hai.
Dono dheere-dheere ek doosre ke chaaron taraf ghoomne lage.
Baldev Singh door se gaur se dekh rahe the..
Baldev Singh_ Jay... Harveer ko pehle tumhare haath aur pair padhne do mat.
Apni rhythm badalte rehna.
Me_ Ji Dadaji.
Harveer ne achanak mere kandhe ki taraf haath badhaya.
Mene turant uski kalai ko rok liya.
Harveer ne wahi grip use karke mujhko apni taraf kheenchna chaha.
Mene apna pair peeche jamaya aur balance bana liya.
Harveer_ Achha base hai.
Me_ Aapki grip bhi kam nahi hai.
Harveer ne bina jawab diye apni pakad badli.
Is baar mene bhi turant apni position change ki.
Dono kuch pal tak ek doosre ke kandhon aur baahon par control banane ki koshish karte rahe.
Poora aangan chup tha.
Ranveer_ Ye dono pehle dusron ki tarah seedha attack nahi kar rahe.
Balram_ Kyunki dono samajh rahe hain ki pehli galti kiski hogi.
Udit_ Aur Harveer chacha Jay ko bilkul space nahi de rahe.
Aditya_ Lekin Jay bhi pressure mein nahi aa raha.
...............