Main: Achha, theek hai Singh sahab. Maan liya ki Jaspreet ke maamle mein mere dadaji se galti hui thi. Lekin ek baat main aapse bhi poochhna chahta hoon. Sonam ke maamle mein aapne kya kiya tha?
Meri baat sunkar Gurmail Singh ji aur Baljit Kaur dono ekdum khamosh ho gaye. Kuch pal tak aangan mein sannata chhaya raha.
Gurmail Singh: Kya matlab hai tumhara?
Main: Mera matlab bilkul saaf hai, Singh sahab. Aapki badi beti Sonam Kaur ki shaadi Momin Pathan se hui hai. Momin bhi isi gaon ka rehne wala hai aur uska parivaar bhi yahin rehta hai. Aapki beti itne saalon se apne sasural mein hai.
Jahan tak mujhe pata hai, Momin ke saath uske rishte ki wajah se hi Sonam ki pehli shaadi tooti thi.
Toh main bas yeh jaana chahta hoon ki jab aapko is rishte ke baare mein pata chala tha, tab aapne kya kiya tha? Kya aapne Sonam ko rokne ki koshish ki thi? Kya Momin aur uske parivaar ko apnane se inkaar kar diya tha?
Baljit Kaur: Sonam ka maamla alag tha!
Main: Achha! Lekin alag kaise tha, aunty? Ek beti ke faisle ko aapne waqt ke saath sweekar kar liya, aur doosri beti ke faisle ko lekar aaj bhi aapke mann mein itni narazgi hai. Aakhir dono mein itna farq kyun?
Gurmail Singh: Tum kehna kya chahte ho, ladke? Seedhi baat karo.
Main: Main sirf itna kehna chahta hoon, Singh sahab, ki aaj aapki dono betiyan aapse milti hain. Dono ka aapke ghar aana-jaana hai. Aapne dono ko apnaya hai, unke faislon ko bhi waqt ke saath sweekar kiya hai.
Sonam ke maamle mein jab uski pehli shaadi toot gayi aur uska Momin ke saath rishta saamne aaya, toh aap logon ne aakhirkar dono ki shaadi karwa di.
Aur Jaspreet ne apni marzi se shaadi kar li, toh use apnane mein aapko waqt laga. Lekin aakhirkar use bhi apna liya.
Main aapse yeh nahi keh raha ki dono ke halaat bilkul ek jaise the. Har rishte ki apni paristhitiyan hoti hain. Lekin dono aapki betiyan hain na? Dono ne apni zindagi ka faisla khud liya tha.
Gurmail Singh: Haan, baat toh tumhari theek hai...
Main: Toh phir, Singh sahab, agar aaj aap dono betiyon ko apna chuke hain, toh purani baaton ko lekar itni kadwahat kyun?
Mujhe toh yeh bhi pata chala hai ki isi saal garmiyon mein Jaspreet apni beti ke saath kuch din aapke ghar rehkar gayi thi.
Baljit Kaur: Haan, aayi thi. Rehkar bhi gayi thi. Lekin usne humein dhokha diya tha. Sonam ne toh hamare saath aisa kuch nahi kiya tha.
Main: Aunty, ek baat poochhoon? Kya aap logon ko Sonam aur Momin ke rishte ke baare mein pehle se pata tha?
Baljit Kaur: Nahi, humein kuch pata nahi tha.
Main: Toh phir kab pata chala?
Gurmail Singh: Jab ek din sarpanch ne dono ko khet mein ek saath pakad liya tha. Tab humein unke rishte ke baare mein pata chala.
Main: Aur uske baad aapne kya kiya?
Gurmail Singh: Kya karte? Dono ek-doosre ko chahte the. Unki pehli zindagi bhi kharab ho chuki thi. Aakhirkaar humne dono ki shaadi karwa di.
Main: Bilkul sahi kiya aapne, Singh sahab.
Sonam ke rishte ko aapne apnaya, uski zindagi ko aage badhne ka mauka diya. Aur Jaspreet ke maamle mein bhi aakhirkaar aapne use apna hi liya.
Lekin ek baat samajh nahi aati.
Jab Sonam ne apni marzi se rishta banaya, toh aapne halaat ko samajhkar use sweekar kar liya. Jaspreet ne apni marzi se shaadi ki, toh uske liye aapke mann mein itni narazgi kyun rahi?
Aakhir dono ne apni zindagi ka faisla hi toh kiya tha.
Baljit Kaur: Lekin Jaspreet ne humse chhupakar shaadi ki thi. Humein bataya tak nahi. Maa-baap ke liye isse badi takleef kya hogi?
Main: Main samajh sakta hoon, aunty. Apni beti ki shaadi ke baare mein kisi aur se pata chale, toh dukh hota hai. Aapka naraz hona bhi galat nahi tha.
Lekin Singh sahab, ek baar yeh bhi sochiye ki jis tarah Sonam ke faisle ko samajhne mein aapko waqt laga, usi tarah Jaspreet ke faisle ko samajhne mein bhi waqt lag sakta tha.
Galti agar bachchon se hui hai, toh kya maa-baap ka rishta bhi usi galti ke saath khatam ho jaana chahiye?
Aaj dono betiyan aapke paas hain. Aapne dono ko apna liya. Toh phir ek purane dost se rishta todkar baithe rehne ka kya matlab?
Maine ek nazar dadaji ki taraf dekha. Woh ab tak chupchaap sab sun rahe the.
Phir maine dobara Gurmail Singh ji ki taraf dekha.
Main: Singh sahab, aap ek Sardar hain. Aap achhi tarah jaante hain ki ek Sardar ke liye uski pagdi sirf kapde ka tukda nahi hoti. Woh uski izzat, uska maan aur uske vachan ki pehchaan hoti hai.
Gurmail Singh: Haan, bilkul jaanta hoon. Pagdi ki keemat humse behtar kaun samjhega?
Main: Toh ek baat bataiye, Singh sahab... Aapne mere dadaji ko aakhri baar pagdi pehne kab dekha tha?
Gurmail Singh ji kuch pal sochte rahe.
Gurmail Singh: Bahut saal ho gaye... ab toh yaad bhi nahi.
Main: Aapko yaad nahi hoga, lekin mujhe dadaji ne bataya tha.
Us ghatna se pehle, aakhri baar unhone pagdi pehni thi. Jis din unke vachan ko toda gaya, jis din unki baat aur unke bharose ki koi keemat nahi rakhi gayi, us din unhone un logon se toh apna rishta tod liya... lekin uske baad khud bhi pagdi pehenna chhod diya.
Maine ek pal rukkar kaha—
Main: Singh sahab, jis insaan ne apni pagdi tak utaar di, usne apne gusse aur dukh ko kitne saalon se apne andar daba rakha hoga, iska andaaza lagana mushkil nahi hai.
Aapko laga hoga ki dadaji ne aapse rishta tod diya. Lekin kabhi yeh socha ki shayad woh khud bhi us din se us dosti ka dard lekar jee rahe hain?
Aap dono ki dosti itni purani thi. Kya ek ghatna itni badi ho gayi ki aap dono ne ek-doosre se baat karna hi chhod diya?
Meri baat sunkar Gurmail Singh ji ki nazar dheere-dheere dadaji ki taraf uth gayi. Unke chehre ki sakhti ab pehle jaisi nahi thi. Aankhon mein nami utarne lagi.
Woh kuch pal dadaji ko dekhte rahe, phir dheere-dheere unki taraf badhe aur unhe gale laga liya.
Gurmail Singh: Mainu maaf kar de, vire... Bahut saal ho gaye. Gusse mein pata hi nahi chala ki apne purane yaar se kitna door ho gaya.
Dadaji: Oye Singh, tu bhi kya bachchon jaisi baatein karta hai! Main toh kabhi tujhse naraz tha hi nahi. Bas waqt aur halaat aise ho gaye ki hum dono ke beech dooriyan aa gayin.
Gurmail Singh: Par main taan samajh baitha si ki tu mainu kabhi maaf nahi karega.
Dadaji: Dosti mein maafi kaisi, pagle? Tu mera dost tha, hai aur rahega.
Dono kuch der tak ek-doosre ko gale lagaye khade rahe.
Phir Gurmail Singh ji ne mujhe dekha. Unke chehre par halki si muskurahat aa gayi.
Gurmail Singh: Oye, tera pota toh bada kamaal da nikla! Kushti de akhaade vich taan pehlwanan naal ladta hi hai, par gallan naal bande nu vi chitt kar denda hai!
Dadaji zor se hans pade.
Dadaji: Hahaha! Singh, pota mera hai. Kuch toh mujh par gaya hi hoga!
Aangan mein chhayi hui gambhirta ab dheere-dheere muskurahaton mein badalne lagi thi.
.....