Posts: 318
Threads: 4
Likes Received: 240 in 225 posts
Likes Given: 601
Joined: Feb 2019
Reputation:
20
Update 70
bua ....are hai bas thodi ghabrahat ho rahi thi kiuki Sonali ne jo baate bataye uske karan
rahul.....agar aisa hai to app mere sar ki kasam kiu nahi khati bua apko meri kasam agar. Apne mujse thoda se bhi pyaar kiya hai to mujhe batao akhir aap har samay ghabrae kiu rehti ho
fir bua ne jo kaha usko sunkar rahul ke per tale zamin kheesak gae or rahul dhatam se niche gir gaya
Ab aageee
Mala bua gusse me ......rahul tu baar baar kasam lene ki baat mat kiya kar
or bua dusari taraf apna muh fer leti hai
rahul aakho me bhare ashu ke sath apni bua ka chehra apni taraf karte hue.......bua kajal maa ke baad apne mujhe sabse jyada pyaar kiya hai or agar meri bua maa pareshan dikhegi to kya ek bete ko khusi hogi kya bete ka farz nahi banta ki vo apni bua maa ki pareshani door karne ki kosis kare maine apko vaha bhi ghabraye hue dekha tha yaha bhi kya aap apne bete ko nahi btaogi ki kya baat hai
mala bua aakho me ashu bhare hue rahul ke gaal sehlate hue.......rahul beta mujhe itna mazboor mat kar vo aise baat hai jo mein tuze nahi bta sakti.
rahul bua ko dekhte hue......kiu bua maa
fir rahul soch leta hai ki aise to bua baat batayegi nahi bua ko emosinal blackmail karna padega
rahul rote hue.....bua aap bhi papa ki tarha mujhe pyaar nahi karti aap bas dikhava karti ho pyaar to apne mujhe kabhi pyaar nahi kiya agar pyaar kiya hota to jarur mujhe bata deti ki akhir baat kya hai apko mujh par bharosa nahi hai.
Rahul gusse me....orr bharosa hoga bhi kiu akhir apka beta thodi hue akhir
iske age rahul kuch bolta
yeh baat sunkar ek chata Tezz ki rahul ke gaal par padhta hai.
gaal par chata padhte hii rahul bhi San reh jata hai.
bua gusse me.....kya kaha tune tu mera beta nahi hai haa
are mein ne to tuze payal nisha ruchi se bhi jyada pyaar kiya hai or bolta hai ki tu mera beta nahi hai.
kya janna chahata hai ki yahi na ki mein ghabrai hue kiu hue.
rahul apni bua ki taraf dekhta hai or haa mein garden hila deta hai.
bua gusse mein....tuz mein sunne ki himmat hai tere mein itni taqak hai vo baat sunne ki to sun aaj mein vo sach tuze batati hue jisko shayad mein ne apne dil mein bohot salo se daba rakha hai
rahul bas tak tak apni bua ko dekhta rehta hai
Vahi itni tez chata ki aawaaz sunkar rahul ki sabhi bhan vaha aa jati hai.
bua gusse mein....tuze pata hai tere papa tuzse itni nafraat kiu karte the or vo sab jo sonali ne kaha vo kiu kiya kuch pata hai tuze
rahul to yeh baat sunkar ek khambe ki Bhati but ban jata hai.kiuki rahul ko nahi pata tha ki uske papa uske sath nafraat karne ki bhi koi baja hogi usne to bas yahi bata tha ki uska beta mar gaya hai or rahul sochta tha ki uske papa uske liye yeh sab bol rahe hai.
Rahul ki sabhi bhan bahar khadi hue bua ki baate sun rahi thi.
bua gusse mein.........vo tumse nafraat jarur karte the magar itni nahi ki vo tume bhar marne ke liye chor de vo raj bhaiya ne khud nahi kiya yeh sab unse karavaya gaya hai
rahul shocked hokar ....
kya karvaya gaya hai kiu or kisne karvaya hai
bua gusse mein ......yeh sab us thakur ne karvaya hai usne hii raj bhaiya ko mazbur kiya us thakur ne hii raj bhaiya ko tume thand me marne ke liye chorne ko kaha
Iske liye bhaiya kabhi razi nahi the magar mazburi ke chalte unko yeh sab karna pata
ek din bhaiya ko thakur shahab ne apne ghar bulaya
or raj bhaiya vaha chale gaye or jab vapis aae to unki aakhe Suzi hue thi jaise vo bohot roye ho us din raj bhaiya ke sath kya hue unhone mujhe bhi nahi bataya
mein ne bohot pucha to unhone yeh bol kar tal diya ki aise koi baat nahi hai
or tabi se vo nashe mein dutt rehne lage or tume apni nafraat or karwi baate bolne lage
raj bhaiya tumse bohot pyaar karte hai magar us thakur ke karan vo apne pyaar ki jagah tume apni nafraat dhikhate hai
rahul yeh baat sunkar gusse me tha ki yeh sab kiya dhara us thakur ka hai magar us thakur ne aisa kiu kiya bas yeh shamaj nahi aa raha tha rahul ko iske piche kya bajaya ho sakti hai
rahul gusse me......magar us thakur ne aisa kiu kiya jabki mein us thakur se mila tak nahi aaj tak to usne aisa kiu kiya
bua nam aakho se ......yeh baat mujhe bhi nahi pata
rahul ........magar aap itni ghabrai hue kiu ho itne din se iske piche yehi baat hai ki kuch or hii baat hai
bua haklate huye .....beta vo vo
rahul shant mann se....bua baat kya hai.
bua ......tume itna dhuki dekh kar hii raj bhaiya ne sonali vo vivash kar diya tha ki vo tum ko mere sath sehar bhez de or raj bhaiya ne nam aakho se kaha tha ki
raj namm aakho se.......mala meri nafraat ab rahul seh nahi payega tum usko shehar le jao vahi rahul ko padao or ek acha insan banao
usko bado ka ader karna or choto se pyaar karna shikana usko itna pyaar karna ki usko kabhi kajal ki or ek pita ki kami kabhi mehsus na ho ab mein nahi chahata ki rahul yaha rahe mein tume rahul ki padai ka paisa bhejta rahuga
Mala raj se ......bhaiya agar aap rahul se itna hii pyaar karte ho to usko dikhate kiu nahi kiu har baar rahul ko itni karwi or gandi bate bolte rehte ho
Raj nam aakho se.... mein mazbur hue meri bhan ab iske age kuch mat puchna kiuki mein kuch bata nahi pauga
or us din raj bhaiya ko mein ne pehli baar dard mein dekha tha.
or raj bhaiya rote huye apne room me jakar gate band kar liya .
or mein tumko lekar shaher aa gai uske baad jab tum college mein admission karwa kar payal ke sath ghar aae the usse kuch der pehle mujhe kisi ka phone aya ki raj bhaiya ek sharab ki dukan par behosh pade hai usko akar le jao
mein bohot khabra gae thi or yeh baat tumko bhi nahi bata sakhti thi isliye mein bahana banakar raj bhaiya ke pass pohoch gae us time bhi raj bhaiya mujhe ek kone mein behosh dikhe mein ne raaj bhaiya ko utne ki bohot kosis ki magar vo nahi utte or kuch logo ki madad se mein ne raj bhaiya ko ek auto mein bitakar hospital le gae jaha mujhe pata chala ki jyada sharab pine se bhaiya ko cancer ho gaya hai or jald hii operation nahi hua to inko bachaya nahi ja sakega
hospital lejane ke baad bhaiya ko hosh aa gaya or mein ne raj bhaiya se cancer ki baat kahi to bhaiya ne mujhe mana kar diya ki yeh baat kisi ko nahi pata chalni chahiye tume meri kasam hai
fir mein ne bhaiya se pucha
mala .....bhaiya mujhe apka operation karwana hoga
to bhaiya ne yeh bol kar tal diya ki agar mein ne operation karwaya to meri sonali or tumari payal beti jo doctor banna chahati hai vo doctor nahi ban payegi or mein apni betiyo ka doctor banne ka sapna nahi tor sakta mera rahul bete ko mein bohot bada aadmi bante dekhna chahata hue jisse puri duniya mein rahul ka naam roshan ho ruchi or nisha jo scientist banna chahati hai vo scientist nahi ban payegi sonia jo ek bohot badi advocate banna chahati hai vo advocate nahi ban payegi
mala hairan thi ki uske raj bhaiya apne bacho ke liye or mere bacho ke liye itne saare sapne dekh rahe hai.
mala hairan hokar......magar bhaiya uske liye to bohot paise ki jaruraat padegi yeh sab kaise hoga
raj bhaiya nam aakho se....sab hoga meri bhan sab hoga or mein ne itne paise khatte kar bhi liye hai
mala hairan hokar.......par kaise bhaiya apke pass itne paise kaise aae.
bhaiya nam aakho se.....yeh mat pucho mala bas tum sabke addmission sabse ache college mein karwana or paise ki chinta mat karna
mala......par bhaiya apka cancer usko bhi to thik karna jarur hai.
raj....agar mein ne iska ilaaz karwa liya to isme bohot paise kharch hoge jisse mere bacho ki padai par dikkat aa sakti hai jo mein kabhi nahi hone dena chahata
or vaise bhi mein ne to zindagi bohot dekh Lee hai ab agar mar bhi gaya to afsos nahi hoga kiuki mujhe pata hai mere marne ke baad bhi mere bacho ki padai nahi rukegi vo jo banna chahate hai vo jarur banege mein ne bhi bohot sapne dekhe the magar paise ki dikkat ke karan mere pita usko pura nahi kar paye tume pata hai na mala
Mala haa mein garden hila deti hai
jiska afsos hamare pita ko bohot tha or vo isse ke karan chal base magar mujhe khusi hai ki mein apne bacho ke sapne pura kar pa raha hue magar mujhe afsos hai ki vo sapna pura hone tak mein zinda nahi bachuga
mala rote hue ......bhaiya aap marne kee baat mat karo apko kuch nahi hoga aap sabke sapne pure hote hue dekh sakoge bhaiya
mala bua ki baat sunkar to rahul ke sath sath usni bhan ki bhi per tale zamin khisak gae thi or sab dhadam se niche gir gaye the
sonali jaha apne papa ko galat shamajhti thi ki papa rahul se pyaar nahi karte na apni betiyo se vo bilkul galat thi
aaj sonali ko pata chala tha ki jo pita apni betiyo ke sapne pura karne ke liye itna kuch kar sakta hai rahul ke liye kitna kuch kar sakta hai us pita ke sath sonali ne aise gandi baat kiu ki usne apne papa ko hamesha galat kiu shamjha
payal or ruchi nisha ko bhi bohot afsos tha ki unhone apne papa ko itna galat kiu shamjha
jabki rahul to pagal sa ho gaya tha is jhatke se
tabi mala ne kaha ki rahul abhi tumare papa ko thakur ke aadmi uta kar le gaye hai
ek or jhatka sunkar or thakur ka naam sunkar rahul ki aakho red hone lagti hai uska gussa satve asman par pohoch jata hai or gusse mein bina kisi ko dekhe or baat kare ghar se bahar nikal jata hai
rahul ko itne gusse me bahar nikalte huye dekhkar sonali ghabra jati hai kiuki gussa hamesha gyan ko kha jata hai or gusse se utaya hua kadam hamesha nukshan hii pohochta hai.
vahi Sunaina ki taraf chalte hai.
sunaina Navratri ka saman lene lagti hai
or tiger bas Roma ko chori chupke dekhta rehta hai
jisko notice kar karke Roma pareshan ho jati hai or Roma Sunaina ke pass jakar bolti hai
Roma......Sunaina yaar tera bhai mujhe chori chupke bohot dekhta rehta hai
Sunaina is baat par Roma se haste huye bolti hai.....kya pata vo tuzko like karne laga ho pyaar karne laga ho is liye tuzko chori chupke dekh raha ho
Roma thoda serious hokar......Sunaina dekh mujhse mazak mat kar tiger abhi subha hii mujhse mila hai itni jaldi like or pyaar nahi hota kabhi.or vo tera bhai hai jis vajase me usko kuch nahi bol rahi hue nahi to mein usko chorti nahi.
sunaina Navratri ka saman lete huye .....dekh Roma yeh muzse mat puch tu tiger se puch ki vo tuze kiu dekhta rehta hai
roma....Sunaina mein ne pucha tha magar usne kuch nahi bataya
sunaina.....to mein kya karu yeh tum dono ka mamla hai
or Sunaina saman lene age nikal jati hai.
roma gusse me.....yeh hamara mamla hai na ok
tabi tiger roma ke pass ata or tiger jo bolta hai usko sunkar roma sann reh jati hai or ek dum se gussa ho jati hai
..
Posts: 318
Threads: 4
Likes Received: 240 in 225 posts
Likes Given: 601
Joined: Feb 2019
Reputation:
20
Update 71
roma gusse me.....yeh hamara mamla hai na ok
tabi tiger roma ke pass ata or tiger jo bolta hai usko sunkar roma sann reh jati hai or ek dum se gussa ho jati hai
Ab aagee
Tiger roma ki aakho me dekhte hue ........mein apse kuch bolna chahata hue
roma dusari taraf muh karke.....kya bolna chahate ho tum jaldi kaho mere pass time nahi hai.
tiger ke dil ki dhadkan bohot tez hone lagti hai tiger himmat nahi kar pata
jab thodi der tak tiger nahi bolta tab roma bolti hai
roma tiger ko dekhte hue.....tiger ab bologe bhi
tiger muh niche karte hue.....kuch nahi
roma gusse me....ok to mein ja rahi hue
ab Roma ko khon shamjae ki jab pyaar sacha hota hai to ladke ki jyada gand fatti hai kuch bhi bolne me yahi tiger ke sath ho raha tha tiger har baar himmat karta or Roma ko samne dekhte hii uski sari himmat chu mantar ho jati hai
roma ja rahi hoti hai
tabi tiger dheere se bolta hai bohot himmat juta kar......roma jii aap duniya ki sabse khubsurat ladki ho..
tiger ki dheere se kahi hue baat roma sun leti hai
or yeh baat sunkar roma ka dil dharakne ke gati thodi tez ho jati hai
roma ek nazar tiger par dalti hai
jisse tiger ghabra jata hai
Fir tiger ko aise ghabrate hue roma ki hasi nikal jati hai
roma man me .....yeh tiger chahata kya hai mujhse shamaj nahi ata magar aaj pehli baar mere dil ki dharkan iti Tezz hue hai par kiu
or Roma Sunaina ke pass chali jati hai sath me navratri ka saman lene
tiger apne sir par chapat markar mann me....kahi roma ne sun to nahi liya mein bhi Kitna pagal hue kya jaruraat thi mujhe bolne ki kahi roma ko bura lag gaya to
tiger ghabrakar mann me...
nahi nahi mujhe abhi roma jii se baat karni hogi ki mere muh se galti se nikal gaya tha ki aap bohot khubsurat ho.
Tabi tiger Sunaina or Roma ke pass jata hai
tiger ghabrate huye ......vo roma jii jo abhi mein ne bola tha kya apne sun liya tha
roma anjan bankar.....kis bare mein baat kar rahe ho tiger
tiger mann me......matlab roma ji ne nahi suna tha Bhagwan ka sukar hai ki bach gaya.
roma mann me.....tiger tum kya soch rahe ho bach gaya tume to aisa maza chakaugi ki yaad rakhoge
roma bade pyare andaz mein bolti hai ek dam pyaar bhari surili awaaz me
tabi roma bolti hai.....tiger jii vo mujhe gol gappe khane hai kya aap khilaoge mujhe
tiger to vaise bhi flat tha or pehli baar roma ne tiger se kuch khilane ko kaha tha to vo mana kaise kar sakta hai.
tiger behad khuss hote huye ....... Haaa haa jarur aao
tiger Sunaina se.....sister aap bhi chalo gol gappe khane
tabi roma harbarate huye bolti hai.
roma harbarate huye .......nahi tiger jii Sunaina hamare sath nahi ja sakti..
tiger hairan hokar...par aisa kiu
sunaina......roma mein tumare sath kiu nahi ja sakti.
roma ko kuch shamaj mein nahi ata ki kya bole tabi Sunaina dheere se roma ko khohani markar bolti hai
sunaina roma ke kaan me.....kya baat hai mere bhai ke sath akele akele gol gappe ha lagta hai mera bhai tuzko pasand aa gaya hai.
roma mann me mushkurate huye .......pasand kitna aya hai yeh to abhi bata dugi isko bohot pareshan kiya hai ab badla lene ki baari hai.
roma Sunaina ko kuch nahi bolti bas mushkura deti hai.
sunaina bhi mushkurate huye...... tiger mujhe abhi kuch saman or lena hai to mein nahi aa sakti tum hii usko gol gappe khila do.
tiger bhi khuss ho jata hai ki aaj vo roma ke sath gol gappe khaega
or dono tiger or Roma gol gappe wale ke pass pohoch jate hai.
gol gappe gale ke pass pohoch kar roma golgappe wale ko kuch ishara karti hai jo gol gappe wala shamaj kar mushkura deta hai.
kiuki yaha roma hamesha gol gappe khane ati thi
tabi roma bolti hai thoda sharmane ki acting karte huye.....tiger jii mein chahati hue ki mere se pehle aap gol gappe khae
tiger hairan hokar....roma jii apko gol gappe khane the na or aap mujhe gol gappe khilana chahati ho
roma tiger ki aakho me dekhkar achanak se bolti hai .........acha tiger jii kya aap mujhse dosti karege
yeh roma ne kya bol diya tiger to kabse roma ka dost banna chahata tha.
tiger khuss hokar bolta hai.
tiger haa me garden hila deta hai.
roma bohot sara pyaar dikha kar ek alag hii andaaz me ........par uske liye apko meri ek shart manni padegi.
tiger mann me ..........mein ne suna suna hai achanak se ladkiya jyada pyaar dikhane lag jae to shamaj lo ki daal me kuch kala hai magar yeh to sister ki dost hai yeh mere sath aisa nahi karegi kiuki khoobsurat ladkiya aisa nahi karti par yeh khonsi shart ki baat kar rahi hai.
tiger.... khonsi roma ji mujhe apse dosti karne ke liye har shart manjur hai.
tiger ne bina soche hii haa bol diya tha magar tiger ko pta pata tha ki socha ke mann mein kya hai.
roma mushkurate huye.....bas shart itni si hai ki apko mujhe gol gappe ke comptition me harana hoga vo bhi puri imandari ke sath.
tiger yeeh baat sunkar hasne lag jata hai bas itni si shart
roma mushkurate huye .....ha bas itni se shart
tiger ....thik hai.
roma gol gappe wale se ......bhaiya gol gappe khilaye.
tabi gol gappe wala ek ek gol gappa dono ki plate me daal deta hai.
or roma jaldi se gol gappa kha leti hai.
magar tiger jaise hii gol gappa apne muh mein dalta hai.
uska muh ek dam se jhanjhana jata hai
asal mein roma ne gol gappe wale ko ishare mein yeh bola tha ki tiger ke gol gappe mein aalo ki jagah hari mirch ka powder se hii gol gappa bhar dena jis karan tiger ka muh jhan janane lag jata hai.
roma mann me....maza aya bachchu bol mujhe ghoor rahe the mujh ko khoobsuraat bol rahe the or sunaina mujhse bol rahi thi ki hum dono ke beech ka mamla hai ab dekho mein kya karti huye yeh khoobsuraat ladki kya karti hai.
roma pade pyaar se ......tiger jii kya hua aap thik to hai agar aap thik nahi hai to hum gol gappe ka compitition khatam kar sakte hai
tiger ko shamaj aa jata hai ki yeh sab roma ne kiya hai magar tiger kuch nahi bolta kiuki vo roma se sache dil se pyaar karta tha or pyaar tak pohochne ka tarika dosti se hokar guzarta tha to tiger har nahi mann sakta tha or na hi apni shakti ka estemal kar sakta hai kiuki roma ne bola tha ki tume yeh competition imandari se jitna hai
tiger ......nahi roma jii gol gappe to bohot ache hai mein to abhi bohot sare gol gappe khauga
roma gol gappe or khane ki baat sunkar thodi gussa ho jati hai.
roma mann me .....yeh to bada dheet hai itni mirchi wala gol gappa khane ke baad bhi or gol gappe khane ki baat kar raha hai.
roma thode gusse me....bhaiya ek gol gappa or lagao hum dono ki plate mein
dono ek or gol gappe khate hai
magar tiger usko kha leta hai or bolta hai yeh to bohot ache hai.
aise hii 15 gol gappe dono kha lete hai
or 16 va gol gappa khane ke baad tiger ke baad tiger ke aakho se ashu beh ne lag jate hai tiger ki jheeb itni mirch se jalne lagti hai
roma mann me......yeh to haar hii nahi mann raha aa
tabi roma gol gappe wale ko ishara karti hai or gol gappe wala bina pani ke hii mirch se bara hua gol gappa tiger ko khilane lag jata hai.
or aise hii 25 gol gappe dono kha lete hai
itne gol gappe mein to roma ka pet bhi bhar gaya hota hai.
roma mann me....kaisa ladka hai yeh mujhse dosti karne ke chakkar mein pagal ho gaya hai kya isko pata nahi chal raha ki mein isko itne mirch wale gol gappe khila rahi hue
roma tiger se......tiger jii haar mann lo mujhse dosti karne ka sapna chor do dekho tumare ashu kitne nikal rahe hai
tiger na me garden hila deta hai.
roma to meethe mithe gol gappe kha rahi thi jisse usko koi fark nahi padh raha tha magar tiger ka to pet jalne laga tha aakh puri lala ho gae thi.
jisko dekhkar roma apni haar khud mann leti hai kiuki roma nahi chahati thi ki tiger ko kuch ho jae
tiger aakho se behte aashu lekar bhari awaaz me .......roma jii apne meri dosti apna Lee
tiger ko aise bhari awaaz me bolte dekhkar roma ko acha nahi lagta roma ne socha tha ki tiger ko mirch khilakar pareshan karugi magar tiger ko aise mirch khate dekhkar khud hii pareshan ho gae
roma .......ha tiger mein ne tumari dosti apna Lee hai
roma mann me .....yeh kaisa ladka hai mujhse sirf dosti karne ke liye itni mirch kha gaya
tabi Sunaina aa jati hai
sunaina tiger ko aisa dekhkar tadap jati hai........tiger kya hua tum aise ro kiu rahe ho
tiger iiiiii hahahaha karte huye.......kuch nahi sister vo gol gappe thode chatpate the
sunaina ko rahat ki saas milti hai ki tiger thik hai.
or Sunaina shamaj jati hai ki yeh sab roma ne kiya hai
sunaina tiger ko sara saman gadi mein rakhne ko bol deti hai.
tiger ke jate hai Sunaina roma par gussa ho jati hai
sunaina gusse mein .......roma tu pagal hai tuze pata bhi hai tune kitni badi galti kar di hai
roma ......mein ne kya kiya mein ne bas thodi mirch khilae thi tiger ko usme khonsi badi galti hai.
Vahi gol gappe wala man me .......tiger tu to gaya
or vo gol gappe wala vaha se gayab ho jata hai
or Sunaina jo bolti hai usko sunkar roma ke per tale zamin khisak jati hai
or roma us gol gappe wale ko dekhti hai jo vaha se gayab ho gaya hota hai.
or achanak se raajlok ke senik vaha aa jate hai..
tabi achanak
Posts: 318
Threads: 4
Likes Received: 240 in 225 posts
Likes Given: 601
Joined: Feb 2019
Reputation:
20
Update 72.
maha mega update
Vahi gol gappe wala man me .......tiger tu to gaya
or vo gol gappe wala vaha se gayab ho jata hai
or Sunaina jo bolti hai usko sunkar roma ke per tale zamin khisak jati hai
or roma us gol gappe wale ko dekhti hai jo vaha se gayab ho gaya hota hai.
or achanak se raajlok ke senik vaha aa jate hai..
tabi achanak
Ab aageee
Tiger ke jane ke bad Sunaina gusse se roma ko dekhti hai
sunaina gusse se dekhte huye ...... Roma tune mere tiger bhai ke sath acha nahi kiya mirch wale gol gappe khilakar
roma mushkurate huye pyaar se .......oooh hoo tiger ki bhan ko dukh ho raha hai ki mein ne uske bhai ko mirch wale gol gappe khilae.
Sunaina muh fer kar....roma yeh natak mere sath mat kar nahi to mein tere upar case thik dugi
Roma as pass mein ghum rahe market walo ko chillate huye bolti hai.
Roma chillate huye ......market wale sabhi log suno yeh Sunaina jo meri sabse achi dost hai vo mere upar case thokna chahati hai.
Logo ko kya chahiye vo logh to isse firak mein rehte hai ki kahi free ka koi drama dekhne ko mil jaye or Roma ke chillate hiisab logo ki bhir lag jati hai.
Vo gol gappe wala jisne tiger ko gol gappe khilaye the vo case thokna ka naam sunkar fata fat apni dukan uttakar vaha se gayab ho jata hai.
Roma emosinal drama karte huye......vo bhi pata hai kis baat par case thokna chahati hai
Ekauraat.....bati kis baat par yeh tumari dost case thokna chahati hai kya tumne koi galat kaam kiya hai
Roma us auraat ke pass jakar ashu bahane ki acting karte huye bolti hai
Roma ashu bahane ki acting karte huye .....aanti yeh merisabse achi dost dost gol gappe khila e ke upar case thokna chahati hai.
Roma rone ki acting continue karte huye...mein ne uske bhai ko sirf thode se nahi nahi
Roma ......chunnu se mirch wale gol gappe kya khila diye yeh is baat par case thokna chahati hai
Dusari auraat Sunaina ke pas jakar bolti hai..beti gol gappe khilana koi jurm nahi hai jo tum apni dost par sirf gol gappe khilane ke upar case thokna chahati ho
Sunaina ne bas aise hii bol diya tha magar yeh roma to nakre dikhane lagi thi
Sunaina mann me....yeh roma kitne nakre kar rahi hai isko dikhana padega ki mein kya bala hue faltu ka bakheda khada kar rahi hai
Roma Sunaina ke pass akar acting dikhate hue jaise roma par case thokne ke naam se pahad tut pada ho....Sunaina kya dosti thi hamari kya yahi pyaar tha hamara jo sirf gol gappe khilane ke bajase tum mere upar case thokna chahati ho nahi Sunaina meri itni pyaari dost aise nahi kar sakti
Sunaina roma se dheere se charo taraf dekh kar .....roma dekh nakre mat kar nahi to
Vahi ek shaks dusare shaks se baate karne lagte hai ki kya zamana aa gaya hai itne achi dost gol gappe khilane par case thokna chahati hai
Vahi ek auraat ......hai bhai ghoor kalyug hai yeh kuch bhi ho sakta hai ab to gol gappe khila e par bhi case thukega ki isne mirch wale gol gappe kiu khilae. Ab court mein bhi aise aise case ane lagege
Or vakeel bolega ki juge sahar is ladki ne gol gappe khilane par case thoka hai inko insaaf dilao
Roma piche hatte huye azib se face banakar .....nahi to kya Sunaina tuze lagta hai mein nakre kar rahi huye
Roma market walo ki or hath karke
Roma dukhiyari se face banakar....dekho market walo dekho aaj ek dost ki dosti mirch wale gol gappe khilane se choti ho gae
Ek auraat Sunaina se...beta aise apni dost par case nahi thokte yeh bohot galat baat hai iske liye tume apni dost se maafi magh no chahiye.
Sab market wale bolne lagte hai haa haa mafi magni chahiye
Sunaina mann me ....bohot nakre ho gaye iske mein chup hue to yeh bohot nakre dikhaegi isko sudharna padega isko chane kee jhar se niche lana padega isko batana padega ki Sunaina kya bala hai
Roma mann me ......ab maza aaega bohot bola tha na hum dono ka matter hai tiger ko mirchi khilae or Sunaina ko sorry bolna padega
Roma mann hii man muskura rahi thi tabi
Sunaina ki katilana mushkurahat dekh kar roma ki muskurahat gayab ho jati hai
Roma mann me .....yeh roma iase kiu mushkura rahi hai.
Sunaina do minute apne mobile mein kuch karti hai fir
Sunaina emosinal hokar....roma yeh tune acha nahi kiya tune pure market mein meri dosti or apne pyaar ko badnaam kar diya vo bhi sirf is bajase ki mera bhai tuze shopping par nahi lekar gaya
Ab shocked lagne ki baare roma ki thi
Roma shocked hokar.....yeh kya bol rahi hai Sunaina konsa pyaar konsi shopping
Ab is bomb se Sunaina ka pakra bhari ho gaya tha
Sunaina market walo se......agar aap chahate hai ki mein roma se mafi magu to magh sakti hue magar
Magar ward sunkar roma sakte mein aa jati hai.
Sunaina usse auraat se....aanti apko pura sach pehle janna hoga ki mein roma par case kiu thokne ki baat kahi
Roma dubara shocked hokar
Roma shocked.....khon se sach
Roma mann me ..... Yeh Sunaina kya drama kar rahi hai isko to mein IT mein gunius shamajti thi yeh to drame bhi to sabki baap hai. Kaise palra apne taraf bhari kar liye
( Mein to yeh soch raha hue jab ruchi or nisha ki Sunaina se takkar hogi tab kya hogi khon jitega acting mein hahahahah)
Sunaina market walo se .....market walo yeh meri dost roma jo mujhe apni sabse achi dost bolti hai vo or mera bhai tiger ek dusare se pyaar karte hai.
Yeh sabse bada bomb foda tha Sunaina ne roma ke upar.
Roma sadme mein jate hue ...Sunaina tu pagal ho gae hai kya khon sa pyaar
Sunaina roma ko hilate huye .....roma meri dost aisa mat kar
Roma hairan hokar....me..me..mein ne kya kiya hai
Sunaina market walo se masoon se sakal banakar....market walo yeh meri dost mere bhai rozz shopping par chalne ko bolti thi or mera itna acha masoon sa bhola bhai isko rozz shopping karata tha or aakar mujhe yeh saman dikha kar jalati thi or bolti thi ki dekh tere bhai ne mujhe kya dilaya mera bhai isse bohot pyaar karta tha is liye upar bohot paise udata tha or jab mera bhai roma meri dost ko kuch dilata to muze bura na lage is liye yeh vo mujhe bhi shopping karata tha magar
Dubara magar sunkar to roma ka sarir thanda par gaya tha roma ki acting uspar hii bhari par rahi thi
Suniana rone jaise acting karte huye...magar aaj mere bhai par paise kam the is bajase mere bhai ne kaha ki aaj paise kam hai to kal shopping kar lena magar.
Yeh 4 baar magar tha roma ko lag raha tha ki yeh magar sunkar hii mar jaegi roma ke dil ki dharkane Tezz ho gae thi
Sunaina Tezz Tezz rone kii acting karte huye.....magar yeh roma jo meri sabse pakki dost hai usne Aaj shopping na karane ki baat sunkar gussa ho gae or mere bhai ko pyaar se behla phuslakar bola ki koi baat nahi aaj mein tume gol gappe khilaungi or mere bhai is roma ki pyari baato mein aa gaya or is shopping na karane ka badla lene ke liye mirch wale gol gappe khila diye
Roma to Sunaina ki kahani sunkar hil jati hai ki kya planning ki hai Sunaina ne itni jaldi
Roma tali bazare huye....waah Sunaina kya kahani sunai hau tumne mein to tumare fan ho gae
Sunaina mushkurate huye....roma meri dost yeh kahani nahi sach hai
Roma ....to iska saboot bhi hoga tumare pass
Sunaina hai mein garden hila deti hai.
Sunaina ek do auraato ko apne phone me tiger or Roma ki masti karte huye or pyaar se gale milte huye photo dikha deti hai
Ek aauraat .....haa yeh to sach hai yeh ladki iske bhai tiger se gale mil rahi hai
Tabi roma us auraat se phone lete huye khud photo dekhti hai jisse roma ka hairaani ka thikana nahi rehta
Roma sunaina ke pass jakar...Sunaina yeh photo kaise
Roma ki baat ko beech me katte huye roma se dheere se
Sunaina ....roma tu bhool rahi hai jo ladki itne bade college ka server hack kar sakti hai uske liye yeh photo banana koi badi baat nahi hai.
Vahi sab logh roma ke baare mein baate karne lag jate hai ki yeh kaise ladki hai jiske boy friend ne ek baar shopping nahi karate to usko mirch wale golgappe khila diye
Fir sabhi market wale bolne lagte hai ki roma ko Sunaina or uske bhai se mafi magni chahiye or mazburi me roma ko Sunaina se mafi magni parti hai.
Tini tiger bhi navratri saman rakhkar aa jata hai or bhir jama dekhkar ghabra jata hai or Sunaina ke aakho mein ashu dekhkar uske pass akar bolta hai
Tiger Sunaina ke nakli ashu pohochte huye...kya hua sister aise kiu ro rahi ho
Fir bhir wale tiger ko sister kehte sunkar shamaj jate hai ki yahi roma ka boyfriend hai or Roma ko mafi magne ko bolte hai or
Roma ko sorry bolna tiger ko
Roma ki aise bhir me ek repoter bhi tha jo yeh kahani sun raha tha usko yeh kahani masale daar or chat pati lati hai to repoter roma ke samne akar camra roma ki taraf karke ..
Repoter bolta hai.......gol se dekhiye is ladki ko isne apne boy friend ko shopping na le jane par usko gol gappe mein mirch dalkar khilae
Repoter roma ki taraf Mike karte hue...medam apko kaise lag raha hai apne boyfriend ko mirchi wale gol gappe khila kar
Roma reporter ko dekhkar ghabra jati hai or sochne lagti hai ki itni se baat kaha se kaha pohoch gae kahi iski mammy tv par na dekh le
Tabi ek aauraat bolti hai kiuki tv par ane ka logo ka bohot shock hota hai ki meri tesveer bhi tv par aa jae
Auraat...ab yeh to aam ho gaya hai ladkiya shopping ke liye boyfriend banati hai or jab boyfriend shopping nahi karwata to usko mirchi wale gol gappe khilati hai
Yeh roma or Sunaina ne nahi socha tha ki yeh gol gappe wala scene itna bad jaega
Repoter.....Gour se dekhiye is ladki ko jo apne dost ke bhai ke sath shopping karti or apni dost ko us shopping ka saman dikha kar jalati thi.
Is baar roma ke sach me ashu nikal jate hai usko pastava hota hai ki usne itni se baat ka bakheda bana diya.
Yeh tiger se nahi dekha jata ki roma ke aakho mein ashu aae or Sunaina bhi saari kahani bata deti hai.
Tabi
Tiger repoter se.....abe OOO ghochu seedhi tarha camera band kar or nikal yaha se
Repoter tiger ki taraf Mike karke......apki tarif
Tiger gusse me .......abe ooooo do chate (thappad) mein tera muh suj jaega bola na ki camera lekar nikar yaha se
Repoter gusse mein .....dekhiye yeh repo te r se kasie baat kar raha hai
Tiger fir apni shakti se camera ki saari photo delete kar dita hai or camera band kar deta hai bina repoter ko abhas huye
Tiger haste huye....abe oooo bina began ke gande loute khon dekhega teri baat tera camera kabse band pada hai ab jaldi nahi nikla to teri film abhi ban jaegi or breaking news yeh hogi ki ek repoter gande nale me pada mila
Tiger gusse me.....tum logo ko bas masala chahiye hota hai kabhi yeh nahi dikhate ki kitne logh guggi jhopri mein kitni muskil se reh rahe hote hai unke pass pine ka saaf pani bhi nahi hota unko ganda pani pina parta hai kai baar unki shiksha ke liye kuch nahi karte bas masala chahiye hota hai tum ko
Or vo reporter chup chap khisak leta hai.
Tiger bhir me khade sab logo se .....bhaiyo or mata oooo apko kya invitation card me likhkar du tamasha khatam ho gaya hai jo bhi yaha apne dekha sab jhut tha humko college se ek project mila tha ki tamasha dikhao or dekho public kitni jaldi bewakoof banti hai usko apne sabit kar diya aap aap logh kabhi sach janne ki kosis nahi karte bas tamasha dekhkar maza lete ho apko logo ko dusaro ki madad karni chahiye jiska accident ho gaya ho usko hospital pohochana chahiye jo koi kisi budhe admi ke sath galat vehavar kar raha ho to us budhe admi ki madad karo kisi ka mazak or tamasha dekhne mat aao gol gappe par koi kisi ko suggestions deta hai kya
hamara project gol gappa ab khatam ho gaya hai to ab aap sab apne apne ghar jao
Sari public vaha se gayab ho jati hai
Or fir Sunaina roma se baate karke or apne gile shikwe door karte hai kiuki jyada galti roma ki thi usne hii yeh sab shuru kiya tha or Roma ko is galti ka ashsas ho jata hai or tiger ne is bhakhere ko khatam kar diya tha
Fir roma bolti hai ki uska ghar yahi pass me hai to vo chali jaegi kiuki usko yahi raste se kuch saman bhi lena tha or Sunaina or tiger car ki taraf jane lagte hai tabi
Tiger .....sister aap car mein chalo mein abhi aya
Sunaina kuch nahi bolti kiuki usko paata tha ki tiger roma se kuch baat karna chahata hai
Tiger ro a ko awaaz lagakar uske pass jate huye
Tiger dukhi mann se....roma jii agar apko meri kisi harkat ka bura laga ho to mein apse mafi chahat hue
Or tiger jane lagta hai tabi roma tiger ka hath pakar leti hai or jane se rok deti hai.
Roma jaise hii tiger ka hath pakarti hai tiger ka dil Tezz Tezz dharakne lagta hai roma ke hath ke sparsh se tiger ko bohot khusi hoti hai usko aise lagta hai ki yeh hath roma kabhi na chore
Tiger is ahsas ko aone ander band kar lena chahata hai
Tiger roma ki taraf dekha hai.
Roma tiger se pyaar se uski aakho mein dekhte huye .......tiger tum bohot kismat wale ho jo tume Sunaina jaise bhan meli hai. Tumse kitna pyaar karti hai tume mirchi wale gol gappe khilane par usne mujhse mafi mang wa li
Roma aakho mein pani bharr huye...mein ne aisa is liye kiya ki mein yeh dekhna chahati thi ki Sunaina tumse kitna pyaar karti hai yeh uski aakho mein saaf dikh raha tha vo tumare liye puri duniya se lad sakti hai yeh tume shayad pata nahi hoga vo mein ne aaj Sunaina me dekha hai ki kaise usne pure public walo se padi bhale hi usne jhoot ka sahara liya ki hum dono ek dusare se pyaar karte hai.
Yeh baat sunakr tiger ko acha nahi lagta ki roma yeh soch rahi hai ki mein usse pyaar nahi karta or yeh sab Sunaina ne mazak mein kaha magar sach kuch or hai
Roma ashu bahate huye....tume pata hai tiger mera bhai aise hii ek bhai hai bilkul Sunaina ki tarha vo bhi muzse bohot pyaar karta hai magar abhi muzse thoda door hai
Roma tiger ki aakho mein ashu bahakar khusi de dekhte huye.....ab hum dost ban gaye hai is bajase mein ne apne dil ki baat tum se kahi aaj tak mein ne kisi ladke se dosti nahi ki tum mere pehle dost ho or us reporter ko bhagane ke liye thanks
Tiger ko to lagta tha ki yeh sab roma ne usko aise ghoorne or pareshan hone se kiya magar roma to yeh dikhana chahati thi ki uski bhan Sunaina usse kitna pyaar Kirti hai.
Aaj tiger ke mann me roma ke liye pyaar or bhi badh gaya tha
Roma apne ashu pohochte huye tiger se bade pyaare andaaz mein ......tiger jii ab aap jao Sunaina apka intzaar kar rahi hogi
Magar tiger to roma mein hii kho gaya tha tiger ko aisa lag raha tha ki vo usko pata nahi kitne janmo se janta hai
Roma tiger ko hilate huye
Roma....tiger jii kaha kho gaye
Fir tiger hosh mein aa jata hai
Tiger khusi bhare ashu se ......roma jii yeh mujhe pehle hii pata tha ki meri sister mujhe kitna pyaar karti hai magar apne uska ahsas or bada diya or yeh bhi jata diya ki bhai bhan ka pyaar Kitna pavitra hota hai bhan jitna bhi apne bhai se ladti rahe magar usko koi kuch bhi bol de to vo sabse lad jati hai
Roma khusi se ....acha ab jao Sunaina tumara intzaar kar rahi hogi
Or tiger vaha se nikal jata hai or roma bhi apne ghar nikal jati hai aaj roma ko apne bhai ki bohot yaad aa rahi thi or
Or pure raste tiger ke us mazak masti ko yaad karke mushkura rahi thi jab tiger uski pehli baar mila tha roma ne tiger ko jiju bol diya tha or bala tha ki meri dost Sunaina apke itni jaldi hath nahi aaegi bohot papad belne hoge
Or tiger ek bora bhar kar papad roma ko de diye tha us yaad ko yaad karke Roma mann hii man muskura rahi thi .
Vahi jaise hii tiger Sunaina ke pass pohochta hai to vaha raah lok ke senik or senapati Kalindi ko Sunaina se baat karte huye pata hai or Kalindi thoda gusse mein tha or Sunaina bhi
Jaise hii tiger Sunaina or Kalindi ke pass pohochta hai or jo baate sunta hai usse usko apne kano par yakeen nahi hota
Tabi achanak
Posts: 318
Threads: 4
Likes Received: 240 in 225 posts
Likes Given: 601
Joined: Feb 2019
Reputation:
20
Update 73
Vahi jaise hii tiger Sunaina ke pass pohochta hai to vaha raah lok ke senik or senapati Kalindi ko Sunaina se baat karte huye pata hai or Kalindi thoda gusse mein tha or Sunaina bhi
Jaise hii tiger Sunaina or Kalindi ke pass pohochta hai or jo baate sunta hai usse usko apne kano par yakeen nahi hota
ab aagee
Jaise hii roma tiger ko chorkar vaha se nikalti hai roma ko apne bhai ki aaj bohot yaad aa rahi hoti hai to ro a apne bhai ko phone. Karti hai
teen baar ring hone ke baad vaha se koi phone utta hai
roma chehkate huye bolti hai .....hello bhaiya kaise ho aap
dusari taraf se ....mein to bohot acha hue meri pyari bhan kaise hai.
roma rukhe awaaz mein .....apki pyari bhan bohot naraz hai aapse
dusari taraf se....meri pyari bhan kiu naraz hai bhai hume aisa kya kar diya
roma thodi Tezz awaaz mein .....yeh aap puch rahe ho bhaiya college se jane ke baad apne ek baar bhi mujhe call nahi kiya kya aap apni is bhan ko bhul gaye ho
dusari taraf se ....are pagli jis din tera yeh bhai apni is pyari bhan ko bhul gaya na to shamaj lena vo mera akhiri din hoga
Tuze me kaise bhul sakta hue
roma apne bhai ki baat sunkar rone lagti hai
dusari taraf se....are meri pyari bhan ro rahi hai
roma sisakte huye....to kya karu bhaiya aap marne ki baat karoge to kya apki bhan ko rona nahi aaega
dusari taraf se...are mere muh se galti se nikal gaya meri pyari bhan dubara aisa nahi hoga bas is baar mujhe maaf kar de.
roma dukhi hote huye.....bhaiya mein nahi manne wali aap hamesha aisa bol dete ho apko yeh bhi nahi lagta ki apki bhan ke dil par kya guzarti hogi yeh baat sunkar
dusari taraf se....acha to meri pyari bhan ko bura laga vaise mujhe pata hai ki meri bhan kaise manegi
roma muh banate huye.....bhaiya aap kuch bhi karlo magar mein nahi manne wali
dusari taraf se....acha chalo koi baat nahi vaise mein ne socha tha ki kal mein tumse milne aau vo bhi ek surprised ke sath
uske bhaiya ghar ane wale hai vo bhi surprise se sath yeh baat sunkar roma vahi raste mein uchalne lag jati hai
roma behad khuss hokar....sach bhaiya aap surprise ke sath ghar ane wale ho
dusari taraf se....magar Aab kya fyda meri bhan to gussa hai or vo to manne wali hii nahi hai.
roma ek dum se.....are bhaiya apki bhan to mann gae
roma khusi se haskar...dekho kya apko meri baato se lagta hai ki mein gussa hue
dusari taraf se...meri achi bhan
roma khuss hokar....mere ache or bohot bohot pyare bhaiya
roma jasusi awaaz me....ab yeh to bta do ki apni bhan ke liye kya lane wale ho
dusari taraf se....yeh to surprise hai kal hii pata chalega
roma ....pata hai bhaiya aaj mujhe apki bohot bohot jyada yaad aa rahi thi.
dusari taraf se....aisa kiu
roma .....apko pata hai meri ek bohot achi dost ban gae hai yaha par or uske bhai naam tiger hai vo na mujhe subha se pehli baar mila hai or tab se hii mujhe dekhe ja raha tha
dusari taraf se....kya dekh raha tha tumne mujhe call kiu nahi kiya vahi akar uski haddi pasli tad deta
beech mein hii roma apne bhai ko rokte huye
roma .....shant bhaiya shant are puri baat to suno
dusari taraf se....hmm bolo
roma.....jab mein ne tiger se pucha ki mujhe aise kiu baar baar dekh rahe ho to
roma haste huye.....bichara kuch bol hii nahi paya bas apna Masum sa chehra banakar apna muh niche kar liya jaise ghabra gaya ho mere sawal se
roma....fir mujhe market me baar baar tadne laga jab mein apni dost ke sath aae thi to mujhe thoda sa gussa aa gaya isliye mein ne usko apni dost ka bahana dekar mirchi wale gol gappe khila diye
vo bhi thode nahi bohot sare or bichara sare mirchi wale gol gappe kha gaya or uske aakho mein ashu aa gaye magar us pagal ne mujh se dosti ke liye mirch wale saare gol gappe bardast kar liye
dusari taraf se....hmmm matlab ladka sarif or acha hai.
roma achanak se bol deti hai behad khuss hokar......haa bhaiya ladka acha nahi bohot jyada acha hai mein ne usko bola ki haar man jao magar magar usne bola agar mein haar man jauga to mein tumse dosti nahi kar pauga
Dusari taraf se........ Acha matlab hamari bhan tiger ko pasand karne lagi hai
Roma apni aakhe gol gol ghumate huye....aisa nahi hai bhaiya kuch bhi ha
Dusari taraf se...aare mein to mazak kar raha tha vaise tumne bataya nahi ki tume meri yaad kaise aa gae
Roma sir par hath marte huye....bhaiya jab mein ne mirch wale gol gappe tiger ko khilaye to meri dost gussa ho gae
Fir roma ne puri kahani detail me bata di ki kaise us reporter se tiger ne meri madad ki or uski dost ne kaise mujhse galti ke liye maafi magae uski dost apne bhai ko kitna pyaar karti hai un dono ka pyaar dekhkar kaise mujhe apki yaad aa gae
Dusari taraf se....acha to is bajase meri bhan ko meri itni yaad aa gae
Roma ...hmmm
Dusari taraf se....acha roma mujhe kuch kaam hai kal milte hai
Roma pyaar se....bye bhaiya
Fir call cut ho jata hai
Roma mann me......kal bhaiya aa rahe hai mujhe bhaiya ke liye kuch acha sa banana chahiye
Fir roma apne bhai ke khane ke liye bohot saara saman kharidti hai or ghar jakar roma apni maa ko bhi bata deti hai ki kal bhaiya ane wale hai or khane ki tyari roma raat ko hii kar leti hai jisse roma subha fatafat khana bana sake
Vahi
Raste mein jate huye tiger ko bhi Sunaina ki bohot yaad ati hai tiger ke mann me bhi apni bhan ke liye bohot pyaar umar raha tha
Or tiger akar jaldi se Sunaina ke gale lag jata hai Sunaina car ke bahar Kalindi se baate kar rahi hoti hai or jaise hii tiger Sunaina ke gale milta hai
Sunaina tiger ka sir sehlate huye....kya hua tiger
Tiger khusi se ashu bahate huye....thank you sister mujhe itna pyaar karne ke liye
Sunaina tiger ko alag karte huye or fir tiger ke ashu pohochte huye....chal pagal koi apni bhan ko thank you bolta hai
Bas itna yaad rakhna ki teri bhan tuzse bohot pyaar karti hai or apni bhai ke liye kuch bhi kar sakti hai
Tiger dubara se Sunaina ke gale lag jata hai or thodi der uske gale lage rehta hai or fir thodi der baad tiger Sunaina se alag hota hai
Kalindi dukhi mann se Sunaina ke per chute huye....maharani hume raajlok jane ko mat kaho kya humse koi bhool ho gae hai jo aap humko raajlok vapas jane ko bol rahi ho
Tiger yeh sunkar shocked ho jata hai ki Sunaina Kalindi ko raajlok vapas jane ko bol rahi hai.
Tiger shocked hokar....sister
Tabi bech me
Sunaina kalindi ko utakar muskurate huye......Kalindi tumse koi bhool nahi ho sakti tum to raaj lok ka vo heera ho jo hamesha chamakta rehta hai jis par kabhi koi daag nahi lagta
Kalindi.....to maharani aap mujhe apne se alag kiu karna chahati ho jab ki maharaj rohan ne mujhe apki raksha karne ka adesh diya tha.
Sunaina muskurate huye.....Kalindi rohan mujhse behad pyaar karta hai vo to meri har sas me basa huya hai is bajase jab desh 2 mein mujhe goli lagi thi to usko mera dard bardast nahi huya or usne vaha katle aam macha diya or mujhe thodi se bhi mehnat na karni pade uski liye usne raato raat ek mehal bana ka nirman karva diya meri raksha ke liye usne tiger or raajlok ki sena us mehal ke pass lagwa di
Kalindi hath jod kar....to kya maharaj rohan ne galat kiya
Sunaina....nahi Kalindi rohan to kabi kuch galat kar hii nahi sakta
Kalindi .....to aap mujhe yaha se raaj lok jane ko kiu bol rahi ho.
Sunaina....Kalindi rohan ne tume is bajase yaha bulaya tha kiuki agar mere ghar pohochne tak koi mujhe nukshan ne pohocha sake usko pata tha ki mein ek do din mein tumko raajlok jarur vapas bhej dugi kiuki is time vaha rohan nahi hai Kalindi tume hii raajlok ki raksha karni hai
Sunaina....Kalindi desh prem se bada koi prem nahi hota are vo log behad khuss nasib hote hai jinko desh ki sewa karne ka mouka milta hai har desh ki janta us desh ke raja ke liye bacho ke saman hoti hai jis desh ki janta dukhi ho us desh ka kabhi bhala nahi ho sakta or raajlok ki janta ki raksha ka kartavya rohan ne tume sopa hai raajlok ka senapati banakar
Sunaina.....or tumara yeh kartavye banta hai ki tum raajlok ki janta ki raksha karo
Kalindi....maharani to kya raajlok par hamla hone wala hai isliye aap mujhe wala bhez rahi ho to aap isko thodi bhi chinta mat karo maharaj rohan ne jane se pehle raajlok se jane se pehle
Tabi Sunaina beech mein
Sunaina.....Kalindi desh ki raksha hamesha dusari ke hamle se bachane se nahi hoti desh ki antarik raksha bhi bohot jaruri hoti hai desh ki raksha bohot tarike se ki jati hai
Desh ki janta ki problem solve karke unka dukh door karke unko koi pareshani na ho uska dhyan rakhkar
Sunaina.....or tumara kartavya raajlok ki janta ki raksha karna hai or ek senapati us desh ka rakshak hota hai agar us desh mein senapati hii na ho to us desh ki antrik suraksha kaise hogi agar koi kisi nirdosh ke sath galat karega to usko rokega khon to mein yeh chahati hue ki tum raajlok jakar apna kartavye nibhao
Kalindi.....apki suraksha uska kya maharani agar mein chala gaya to apki suraksha khon karega
Sunaina mushkurate huye.....yaha manav rehe hai Kalindi or unse ladne ke ki raajlok ki itni bhayanak sena ki jaruraat nahi hai.
Kalindi pareshan hokar.....magar maharani is manav lok me kuch asur or rakshas bhi hai jo manav.roop ne reh rahe hai kisi vivesh karye ke liye or unka target aap or kuch logh hai.
Sunaina is baar Kalindiki baat par haste huye bolti hai.....Kalindi kuch asur or rakshas ko to mera tiger bhai hii nipta dega kiu tiger
Tiger khuss hokar......sister mera janam to apki raksha ke liye huya hai (thoda gusse me) agar kisi ne meri sister par aakh bhi utai to usko aisa chir phad duga ki usko uska desh bhi nahi pehchan payega
Sunaina haste huye.....nahi tiger aisa mat karna nahi to vo sab lavarish ho jaege
Or fir Kalindi vaha se chala jata hai raajlok apni sena ke sath
Or sunaina tiger car mein baith jate hai
Vahi
Vo gol gappe wala samne dhayan me baithe us shaks se
Golgappe wala.....pranam rakshas guru
Rakshas guru apne dhyaan se uthkar....... Hmmmm to kaam ho gaya mayavi
Mayavi....jii guru dev mein ne tiger ke gol gappe mein vo mila diya tha or issi ke karan vo ladki jiska naam Sunaina hai vo tiger ke sampark mein ane se bramit ho gae or raajlok ki sena vapas raajlok chali gae
Rakshas guru yeh sunkar khuss ho jata hai....tumne bohot acha kaam kiya hai mayavi
Mayavi khuss hokar....or rakshas guru mein ne tiger ke gol gappe me vishudi bhi mila di thi jiske karan vo jald hii dheere dheere gayab hone lagega or vo us ladki (Sonam) ke pass pohoch jayega jiske pass vo diibba hai or vaha se kabi vapas nahi aa payega to hamara kaam or asan ho jaega
Rakshas guru achanak shocked hokar bolte hai .......kyaaaaaa