Thread Rating:
  • 4 Vote(s) - 1 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH"
#1
RAJ - RAMAT 

PART 1. "AARAMBH "


Hi Friends ,


Apni nayi kahani RAJ RAMAT  ka  pehla bhag AARAMBH shuru Kar Raha hun . ye kahani 4 parts me likhne Ka Maine faisala Kiya hai jis se ki kahani ke Rahashya aur romanch avam romance  ko barkarar rakha Jaye.


 Is se pehle maine xossip pe royal rajveer ya warrior prince ke naam se  raasleela aur rajveer ki royal family jaisi kuch story likhi thi Jo side bane hone ki wajah se adhuri reh gayi thi , jo mere dosto ko kafi Pasand aayi thi . Is bar Bhi Mera yahi prayas rahega ki story aap Sab ko Pasand Aaye.


Kahani Jis ke title se  aap ko samjh aa hi Raha Hoga ki ye middle ages se talluk rakhti aur Raj gharane mein panapti sajisho aur  satta ki bagdor ke lie bichhayi  gayi shatranj ki bisaat pe  khele Jane wale khuni  khel ki dastaan par aadhaarit hai . ASHA karta Hu Mera prayas aap ko Pasand Aaye.

Ye kahani  2 kalpanik MAHADWEEPO "DEVSTHALI" AUR "MARUATHALI" me se ek mahadweep "DEVSTHALI" ke 7Raj pariwar aur unke samnto ke ird gird ghumti rehti hai . In 7 Raj gharano ki satta ki lalsa aur us ke liye Kisi Bhi had tak Jane ki unki niyat , unke sadayantra aur sattaprapti ke liye apnaye Gaye kamuk sangharsh  aap logo ko romanch aur romance ki ek alag hi wadio me le Jayegi.

To chaliye Sab se pehle hum in  7 rajgharano ke mukhya patro Ke bareme Jan le.

INTRODUCTION -
"DEVSTHALI"- 

(1)Rajya "DWARSAMUNDRAM"-  RAJDHANI "SAGARSETU" . 

SAMRAAT  VEERBHADRA -Umra 40 Saal , 
MAHARANI YAMINIi - Umra 32 Saal 
RAJ KUMAR VARUN - umra 15 Saal
RAJKUMARI SUGANDHA - umra 14 Saal
RAJKUMAR  MITRAVARUN - umra 12 Saal


(2)Rajya  "UTTARPATH" - Rajdhani "AARYAVRAT"
SAMANT RAJA - YUDHAJEET - Umra 39 saal
SAMANT RANI - - SUNAINA -Umra 35 saal
RAJKUMAR - YUDDHAVIR - Umra 18 Saal
RAJ KUMAR - AABHIJIT -Umra 14 SAAL
RAJKUMARI - NIHARIKA  - Umra 16 SAAL
RAJKUMARI - ANAMIKA - Umra 12 Saal
SAMANT RANI -  (DIVANGAT  )SONPRIYA
RAJ KUMAR  - SHORYA - Umra 17 saal


(3)Rajya "ASHMAK" - Rajdhani "SRAVASTI"
SAMANT SUBAAHU - Umra 48 saal
SAMANT PATNI - SUBHADRA - (DIVANGAT)
KUMAR KANISHKA - Umra 30 saal
KUMAR CHANDRACHUND - Umra 28 saal
SAMANT PATNI - DARIAANA - Umra 35 saal KUMARI - CHITRA - Umra 16 saal


(4)Rajya "AVANTI"- Rajdhani "MAHISHMATI"

SAMANT VIKUKSHI - Umra 60 saal
SAMANT PATNI - ARUNDHATI ( DIVANGAT)
SAMANT KA BHAI AGNIMITRA - Umra 55 Saal
KUMARI MRIGNAINI - Umra 33 Saal (married)
KUMAR ARIJEET -  Umra 30 Saal (unmarried)


(5)Rajya DAKSHINPATH - Rajdhani "VYOMMANDAL"
SAMANT SUKETU - Umra 50 Saal
SAMANT PATNI - SUBODHAA (DIVANGAT)
SAMANT PATNI - RASDHAARA - Umra 25 Saal
KUMAR - VJRAKETU - Umra 25 Saal
KUMAR - VASHUMAN - Umra 22 Saal
KUMAR - NIKUMBHAK - Umra 20 Saal



(6)Rajya "RASHTRAKUT" -  Rajdhani "MIHIRSTHALI"
SAMANT AJAATSHATRU- Umra 60 saal
SAMANT PATNI  SUNDARI - Umra 58saal
KUMAR NEELKANTH - Umra 42
KUMAR PATNI SARATPRABHA  - umra 40
KUMAR PUTRA VYOM  - Umra 20 saal
KUMAR NEELVARNA - Umra 40
KUMAR PATNI SAILENDRI -  Umra 36
KUMAR PUTRI SWETAAMBARI - Umra 18




(7)Rajya " KADAMBA" - Rajdhani "TRIVENI"
SAMANT - DIVANGAT SUREN
SAMANTPATNI - KADAMBARI - Umra 38 sa
KUMAR - AROHAN - Umra 19 Saal
KUMARI - AROHI - Umra 17 Saal
KUMARI -:AARYA - Umra 14 Saal

AB BAAT KARTE HAI IS DEV BHUMI NAAM KE MAHADWEEP  KE TINO  TARAF UBHAR AAYE KUCHH CHHOTE CHHOTE TAAPU O  KI JIN ME MUKHYATA  2  TAAPU O KA JIKRA HUM  IS WAQT KARENGE.

(1)"RATNKALASH"
SAMANT RATNAKAR - Umra 45
SAMANT PATNI (DIWANGAT) AHAANA
KUMAR VIVAAN - Umra 20 saal
KUMARI SANYOGITA - Umra 19 saal

(2)"KUNTALADWEEP" - "NAGAR KUNTALA"
SAMRAT- ARYAMAN (CHATURTH) DIWANGAT
SAMRAGNI - VASUDHA (DIWANGAT)
RAJKUMAR - AARYAMITRA (DIWANGAT)
RAJKUMAR PATNI ADITI (DIWANGAT)
RAJKUMAR PATNI - DHARA - Umra 36 Saal
RAJKUMAR PUTRI - SWARA - Umra 16 saal
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#2
IS KE ALAWA BHI KAYI CHHOTE BADE TAPU AUR BHI HAI JIN KE BARE ME HUM NAKSHE SE BEHTAR JAAN PAYENGE AUR UNKE SAMANT PARIWARO KI HUM SAMAY SAMAY PAR CHARCHA KARENGE .


{DEV-STHALI  AUR USKE DWEEPO KA NKSHA NICHE DIYA GAYA HAI .}
[Image: IMG-20190928-211117.jpg]
Like Reply
#3
Dosto , NAKSHA Maine half bazi mein draw Kiya hai to Us me ki likhai saaf Nahi dikh rahi . Kintu main kal AUR saaf tarike se Naya NAKSHA post karunga .
Like Reply
#4
Too much characters.This story will never end before one century.
Like Reply
#5
bhaiji isme koi hero hai kya.....
aur hoga toh thoda sci fi ...ya kuch jod ske toh ...
fir jaisa apko lage.
[+] 1 user Likes The blu's post
Like Reply
#6
NICE ONE
Like Reply
#7
Nice Story Bro..
Aapne ek Mahadweep ka details diya ab dusre ka bhi details de dijiye...
Waiting for next update
"If you're good at something, never do it for free."[Image: cool2.gif]


Read my Story "Pyar Ki Ek Kahani".....
https://xossipy.com/showthread.php?tid=13217
Like Reply
#8
Episode 1
"Kya Dekh rahe ho ?  Itni uchai se kuchh dikhta Bhi hai kya ?" , Rutuparn ne diwar ki prachir pe chahal kadmi karte hue kinaare ke Burj par chadhe somdutt ko dekhte hue Kaha . 

Somdutt ne koi jawab dene ki bajaay apni hatheli ko aankho ke upar Rakh Kar or adhik prayash ke sath dur dur tak dekha . Somdutt ek 6 fit lamba tagada Jawan tha jisne thand se bachne ke liye far aur chamde se bana garam coat pahen rakha tha . Kamar me ek taraf talwar bandhi thi toh dusri taraf tivra aavaz dene wala bingul taang rakha tha .

Rutuparn ki poshaak bhi usi ki Tarah thi . Talwar ke sthan par Usne ek bhala hath me le rakha tha. Us ko jab koi jawab na Mila to woh bhi thand se thithurta hua prachir ke Burj par chadh aaya aur Som ke samkaksh khade reh Kar usi disha mein  dur tak dekhne Ka prayaas Karne laga .  

"kuch bata Bhi to yar ?" , Rutuparn ne thithurte hue puchha .

"Kya batau , abhi tak kuchh saaf Nahi dikh Raha lekin…., Usne baat aadhuri chhod Di .

"Kya jindagi hai Sali , Nyunatam tapmaan me thand se sikudte hue diwar ki pehredaari Karo aur badle mei burf ki dawat udaao"! , kudhte hue rituparn ne dil ki bhadash nikaali.

"Ha ha ha , kyu jhalla rahe Ho Bhai , yahi ab hamari niyati hai !  Is se to samjhota Karna hi padega !" ,Som ne haste hue Kaha .

"bhad me Jaye aisa samjhota , jaha pal pal Jan Ka jokhim ho , jindagi Ka koi Maza Nahi aur badale me koi sarmaya Bhi nahi ! Thu ..hai Aise jivan par, Aise Jivan se to mout bhali !" Rituparn bhaale ke sahare akadu baithate hue badbadaya .

"kyu bhulte ho Bhai ye jimmedari bhi hamine khud Apne man se chuni hai ! Laakho logo ki suraksha karne Ka Jo gaurav hai uske samne sare sarmaaye baimani hai ! Bhai , mujhe to sahasikta purn ye diwar ke pehredar  Ka pad bahut Pasand hai !" , Bina uski taraf dekhe Som ne kaha .

"Kon kambakht man se aana Chahta tha yaha ? Ye to mere pas koi dusra rasta Nahi tha is liye aana pada ! yaha hai kya hamari jindagi me Charo taraf faili barf ke siva ! Sali na chahte hue Bhi isaan aadha kilo burf kha jata hai pure din mein !" Apne hatho ko ek dusre ke sath ragadte hue bure man se Rituparn bola . Som ne uski taraf dhyan hi na diyab.

"Ek to Itni tez hawa mein kuch saaf saaf dikh Nahi Raha Aur tu bhi kuch bata Nahi Raha ki kya dekha tha tune ! " , diwar se pith tikaye baithte hue rutuparn ne kaha.

"Kya batau ? , abhi tak main hi kuch thik se Dekh Nahi pa Raha hun , itni tez barfili hawa mein dekhna waakay me muskil Kam hai !" , Us ne purvat usi disha me dekhte hue Kaha .

Tabhi jaise Uske chehre ne rang badala , uski aankho me chamak aayi aur gayi . Uska hath teji se kamar se bandhe ek bade bingul ki taraf badha aur pal Bhar me Woh ek tej aawaz ke sath bingul Baja raha tha. Bingul ki aawaz Uttar ki wadiyon mein gunjane lagi .

Rutuparn vismay me tha , ek dam use kya ho Gaya . Woh turant khada hogaya aur us Disha me dekhne laga jis Disha me somdutt ko kuch dikha tha , jab ki somdutt  jhat se muda aur niche utarne ki sidiyo ki taraf lapaka . 

Ab Rutuparn ko dur se aata ek ghoda dikhayi de Raha tha , Uske pichhe …. Shayad us se bandha kihua kuchh khichta Chala aa Raha tha … Shayad koi vyakti ya koi laash ...rutuparna ke dimag ke sare darwaze Jaise khul Gaye aur Woh Bhi niche ki taraf dekhne laga . Ek baar Baja bingul Kisi Apne ke aagaman pe dwaar kholna Ka Sanket tha.

…………...………………………………………………
Bingul ki aawaz ne diwar ke pragan mei Jaise halchal si macha di . Aanan faanan me diwar ka uttar ki taraf Ka praveshdwar khola Gaya . Pravesh dwaar kholna Bhi koi aasan kaam na tha . Kyu ki Woh koi aam praveshdwar na tha .

730 feet uchi diwar ka paravesh dwaar aam ho Bhi kaise Sakta hai . Diwar na sirf 730 feet unchi thi balki 450 kilometers lambi aur niche se 180 feet chaudi thi Jo uchai tak jate jate 30 feet chaudi  rehjaati thi . Diwar us yug ke silpsthapatya ka utkarsh namuna thi. Itni lambi unchi diwar kisne kaise aur kyu banai ye Apne aap me ek lambi kahani hai jiski charcha fir Kabhi .

Diwar ke bahar or upari hisse par Puri Tarah se barf Jami rehti thi. Dusre Jaise ye diwar barfili Chadar ki Tarah hi Lagti thi. 180 feet us diwar ke andaruni hisse ke aarambh pe ek bada mazboot lakadi se nirmit 20 feet chauda darwaza tha , jise ke dono palle 10 - 10 feet chauda the aur jinko apni jagah se hatane ke liye Kam se Kam 10 das aadmi ki jarurat padti thi . Aage andar Jake 90 feet ke baad ek lohe ke pipe se bana upar ki taraf sarak ne wala bhari vajani darwaza tha Jo ek prakar ke mechanism se dono taraf se  upar uthata aur niche girta tha . Niche girta hi in lohe ki salakho ki nokeeli chotiya jamin me andar tak ghas jati  thi  . Jis se dwaar aur majbooti se bandh ho jata tha .u dwaar ko upar niche karne ke liye Bhi Kam se Kam 10 se 15 aadmi darkaar the . Uske baad fir 90 feet ki duri par bhari lohe ki sapaat Chadar se nirmit upar ki taraf uthane wala darwaaza tha Jo mechanism se sirf aur sirf andar ki taraf se hi upar uthaya ya niche giraya ja Sakta tha . lohe ki Chadar bahar ki taraf se chikni sapat thi . Jis ki aakhar me dhar wala hissa niche girte hi jamin me Kam se Kam 5 se saat feet andar ghas jata tha . MATLAB bahar se use koi Bhi ..koi Bhi khol Nahi Sakta tha.

Is 450  k.m lambi Diwar pe kul Mila kar 9 choukiyan thi Jo Apne aap me ek durg kahi ja sakti thi.  Pehle Har durg ki Raksha ke liye Har durg par 500 ki Sankhya me jawaan tainaat kiye jate the Jo ab sankhya me ghat ke bahut Kam ho Gaye the. 9 durgo me Sab se bich wala paanchva  durg In sari choki yo Ka headquarters tha jo SUVARNA DURG naam se Jana jata tha jaha Ka durgpati DHANUSH KOTI naam Ka dakshin path Rajya Ka ek dravid tha .Jo sare 9 durgo ka Pradhan durgpati kehlata tha. 

Bingul bajte hi durgpati ko suchit Kiya Gaya aur aanafaanan me durg ke tino dwaar khulwaye Gaye .  10 jawano ki ek tukadi lekar durgpati dhanush koti turant durg se bahar nikala … tab tak ghoda aur karib aa Gaya tha aur ab saaf dikh Raha tha ki ghode ki Kathi ke rakab ki rassi se ek insaani jism ulajha hua tha. 
Turant ghode ki lagam ko thaama Gaya aur inssani jism ko us me se nikala Gaya .

Dhanush koti : " ye to TAARAN  hai Jo 4 aadmiyon ke sima gasti Dal ke sath gasht lagane Gaya tha ! Pata Karo jinda hai ya nahi !"

Ek jawaan ne niche jukh ke us jism ka muaayina Kiya , "saanse to chal rahi hai ! Lekin jism buri Tarah se ghayal hai !" 

" Hmm .. thik hai  ise andar le chalo , hos mein aate hi is se pata Karo kya hua , is ke sath Jo 3 jawaan aur Gaye the Woh kyu Nahi loute aur unka kya hua !" , Durgpati ne hukm dandanaaya aur mud Kar bhitar Jane laga . Tino dwaar wapas bandh Kar diye Gaye . 

Taran ko chikitsalay le Jaya Gaya Jo durg me Bani lakadi ki imaarat me 3 kamaro Ka Bana ek kaksh tha . Jaha use prathamik chikitsa Di Jane lagi . 
Use jald hi hose aa Gaya . Usne Apne Charo taraf dekha … phir pata Nahi kyu uska jism patte ki tarah kampkapane laga . 

"Kya baat hai Taran , tum kaamp rahe ho ?",  Kamare me alaav jal Raha tha bavjud use kampta Dekh somdutt ne puchha. " Tumhari tabiyat kaisi hai ab aur tumhare sath Gaye 3 sadashya ab Kaha hai ?" , Jawab me Taran ne Chou taraf aakhe ghumai phir wapsa bandh Kar di. "Tumhari ye dasa kaise hui ? Kya ANAARYO ne phir se hamla Kiya tum logo par ? Bhai tum kuch to batao !" 

Taran ne phir se aankhe kholi , kuch kehne ke liye muh khola lekin bol na paya. Shayad gala sukh Gaya tha , " ise jal pillao !" Som ke kehne par TAARAN ko jal pilaya Gaya . Kuch waqt yun hi khamoshi chhayi rahi . Phir Uske muh se bol fute……jis NE Kamare Ka vatavaran hi badal Diya..

" W..w..Woh..a.a.a.rahe..hai.. a.a.a.ra.h.e he ..dekha, Maine..unko …dekha"...Taran fusfusaaya

Woh phir khamosh ho Gaya .. Som uska bhaygrast chehra dekhta Raha ..TARAN Ki aankhe dur ksheetij ki taraf patharai si Dekh rahi thi ….

Dusri taraf … 
wahi imaarat ke durgpati ke Kamare me …. 
Durgpati :" hame jald se jald ek talashdal bhejna hoga un 3 jawaano ki khoj me !"

Pradhan : " Abhi thoda intazaar Karna uchit rahega ! Ho Sakta hai Taran Ka ghoda bidak Gaya ho aur Woh Kathi me ulzaa hua khincha Chala aaya ! Ho Sakta hai Baki Sab surakshit hi ho aur kal tak lout Aaye !" 

Pradhan durg Ka mukhya salahkar - aur durgpati ke bad Ka mukhya vyakti tha . Har durg aur Rajya me Aise Pradhan niyukt kiye jate the Jo raja , SAMANT aur durg patio ko Salah mashohara de sake .

Durgpati:" hmm .. ye bhi thik  hai lekin sawal ye hai ki ghoda bidaka q ? Hamare ashvo ko khas Tarah ki talim se sajj Kiya jata hai ! Mamuli Karan se wo bidak ne se Raha ! Dusra agar kaaran bada hai to Woh to chinta Ka vishay Bhi ho Sakta hai ! Jald pata lagana sahi rahega !" 

Pradhan :" ye bhi sahi hai , magar wo to TAARAN ke hos me aate hi pata chal hi Jayega ! Woh itna jyada Bhi ghayal Nahi hai ki jald hose me na Aaye !" 

Tabhi ek jawaan daudta hua kamare me dakhil hua " …  JANAAB …. WOH AA RAHE HAI.. US NE UN KO..DEKHA…." , chillatehue Woh bola

Dono Chonk ke khade ho Gaye … aur ek dusre Ka muh dekhne lage …

DURGPATI : " kisne .. kisne kis ko dekha… kya dekha..!" Woh chikhte hue Bola.

" Ji..w.o.h.. WOH… SWET MAANAV … US NE SWET MAANAV KO DEKHA…"

Sunte hi dono hadbadaye ..ek dusre ka chehre dekhne lage....phir.. dono chikitsalay ki taraf bhage ...Aise Jaise koi bhut Dekh liya ho .
………….……………………………………………….

Badi burf ki diwwaar -
[Image: IMG-20190929-175159.jpg]
Like Reply
#9
SUVARN DURG 
[Image: IMG-20190929-175222.jpg]
Like Reply
#10
(28-09-2019, 09:48 PM)Ella Wrote: Too much characters.This story will never end before one century.

MA'AM KA TUGHALAKI FARAMAAN, KAHANI SADIYON TAK PURI NAHI HO SAKTI .... EK HI JHATKE ME KAHANI KA TIYAA PANCH KAR DIYA ! 

,? ITNA KEHNA CHAHUGA KI BINA KISI KO JAANE JUDGE KARNA AASAN NAHI HOTA . KAHANI AGAR SERIES ME LIKHI JAAYE TOH US MEIN CHARACTERS KI BHARMAAR HOTI HI HAI . BINA KAYI PATRA KE LIKHA HI NAHI JA SAKTA . HAA. YE UN PAR DEPEND KARTA HAI KI WOH LIKH PAYEGA YA NAHI , JO YOGYATA MUJH ME HAI.
MAIN AARAMBH ME HI KEH CHUKA HUN KI KAHANI KE 5 PART HONGE ... MEANS YA TO AAP NE PADHA NAHI AUR APNA SOLO JUDGEMENT DE DIYA . JO SARASAR GALAT HAI.
AAP SE PRATHANA KARUGA KI AAP ISE PADHE .. MERI KAMIO KO UJAAGAR KARE AUR KHUBIO KO SARAAHE..
TARIF WRITER KA HUQ AUR SARMAAYA HAI ..
LIKHNA BAHUT MUSKIL KAAM HAI SO PLS PEHLE SE JUDGE NAA KARE .
Like Reply
#11
(28-09-2019, 10:55 PM)The blu Wrote: bhaiji isme koi hero hai kya.....
aur hoga toh thoda sci fi ...ya kuch jod ske toh ...
fir jaisa apko lage.

Bhaiji , hero dhundnaa AAP Ka kaam . Mera kaam hai likhna.. Har kirdaar ko khubsurati se unke kirdaar me dhalunga ... Jis se ki aap khud apna Hiro chin sake. Kahani me Har kirdaar Ka apna alag andaaz hoga . Bus jo aap ko pasand aaye wo Hiro.
Waise Mera manana hai kahani apna hiro khud banati hai..Har koi Apni Apni jarurato aur samay ke khel  ke anusaar achcha bura ban hi jata hai. Kahani midle ages Ka kissa bayaan Karti ek fantasy hai jis me maine puratan ganrajyo Ka tadaka lagaya hai.
Like Reply
#12
(29-09-2019, 03:24 PM)raj500265 Wrote: NICE ONE

Thanks raj bhai ... Agar kuch kami dikhe to dhyan jarur dilana.
Like Reply
#13
(29-09-2019, 05:04 PM)abhi_mishra_91 Wrote: Nice Story Bro..
Aapne ek Mahadweep ka details diya ab dusre ka bhi details de dijiye...
Waiting for next update

Thanks Mishraji ...
Dusre maha DWEEP ka detail tayyar Kar rahun jaldi hi post karuga . Darasal MANCHITRA banane ke liye thoda samay chahiye tha is liye deri hui.
Aap senior ho koi galati reh jaye to batana jarur.
Like Reply
#14
congrats for new thread
आप राज की रॉयल फैमिली की पूरा कीजिये ।
Like Reply
#15
(29-09-2019, 07:11 PM)Gumnam Wrote: congrats for new thread
आप राज की रॉयल फैमिली की पूरा कीजिये ।

Thanks Bhai , 
Raj ki royal family Ka link Kahi mil Nahi Raha hai yaha . Warna Pura Karne Ka to bahut man hai Bhai .
Like Reply
#16
Good start but try to justify the role of each character
Read my stories
Rishta
Maa aur beti se pyar
Like Reply
#17
Nice Update Bro..
Keep it up
"If you're good at something, never do it for free."[Image: cool2.gif]


Read my Story "Pyar Ki Ek Kahani".....
https://xossipy.com/showthread.php?tid=13217
Like Reply
#18
(29-09-2019, 07:57 PM)amita Wrote: Good start but try to justify the role of each character

Thanks amita , main is baat Ka dhyaan rakhuga !
Like Reply
#19
(29-09-2019, 10:00 PM)abhi_mishra_91 Wrote: Nice Update Bro..
Keep it up

Thanks bro ! Mere sath bane rehne ke liye !
Like Reply
#20
(29-09-2019, 07:55 PM)Rajveer119 Wrote: Thanks Bhai , 
Raj ki royal family Ka link Kahi mil Nahi Raha hai yaha . Warna Pura Karne Ka to bahut man hai Bhai .
लिंक हम दे रहे है आप बस उसे पूरा कीजिये

https://www.mediafire.com/file/7cx08sfha...y.pdf/file
Like Reply




Users browsing this thread: 1 Guest(s)