Thread Rating:
  • 6 Vote(s) - 1.67 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Girls' college — by Shakespeare002
#75
Quote:65


Par shivani se raha na gaya. Wah uthhi aur sunil ke sath baith gayi.. Dheere se apni ungali ke naakhoon se usko apne hone ka ahsaas karaya. Par sunil to jaise khar khaya baithha thha.. Wah achanak uthha aur shivani ke munh par thhappad raseed kar diya," harrraaamjadi, kutiya! Kya samajhti hai mujhe... Main koi kutta hoon jo baaki kutton ke utarte hi tujh par chadh jaaunga.. Sali.. Maine tujhe kya samajha thha.. Aur tu kya nikli... Meri shukragujaar hona chahiye tujhe iss ghar mein pair rakhne diyaa... Tere ghar wale.. Salon ne jarurat hi nahi samjhi ki poochh to lein aakar ki unki badchalan beti kahan rangraliyan mana rahi hai aajkal... Haraamjadon ne fone tak nahi kiya.. Karte bhi to kaise.. Pata hai salon ko apni aulaad ka.. Behanchod.. Meri jindagi mein naasoor ban kar fir aa gayi.. Mar kyun nahi gayi tu..."





Shivani ko laga ki ab to usko batana hi padega.. Chahe kuchh ho jaye. Wo jalaalat ki jindagi lekar nahi ji sakti thhi.. Par fir vicky ka kya hoga.. Ye vichar dimaag mein aate hi ussne behaya bankar jeena pasand kiya bajay uske 'vicky' par aanch aane ke..

Wah bed ke dusre kinare par late gayi aur apne bhagwan ko yaad karti huyi.. Jaane kab so gayi..........



Agle din Economics department mein peon ne aakar seema ko khat diya.. Wah uss par bhejne wale ka naam padhkar chounki.. Usspar 'Tumhara Ajeet' likha huaa thha.
Ji bhar kar kosne ke baad usne jigyasa vas bathroom mein jakar letter ko khola aur padhne lagi...........

Tough shamsher ki jaan kha raha thha," yaar tune letter likh to diya.. Uski samajh mein to aa jaayega na!"

Shamsher hansne laga," abe! Thhodi thhand rakh, ab to wo letter padh chuki hogi.. Agar uska fone aa gaya to samajh lena.. Wo samajh gayi.. Nahi to kahin aur try maarna!"

Tough bed se uthh kar uske paas sofe par aakar baithh gaya," nahi yaar! Main kunwara hi mar jaanga; par maine bhagwaan ko kasam di hai.. 5-7 jitne bhi mere bachche honge.. Sab seema ke pate se nikalenge.. Uske alaawa sabko maa behan maanunga.. Kabhi bhi kisi se ulta pulta nahi bolunga... Bata na yaar.. Wo maan to jaayegi na.. Mujhe kunwara to nahi marna padega?"

Shamsher ne uske gaalon ko hilaya," wah re mere nadan aashik.. 900 choohein khakar tu bhagwan ke darbaar pahunch gaya.. Ha ha ha.. Abey tu aisa kab se ho gaya mere laal.."

Tabhi fone baj uthha.. Tough ne ekdum se uchhal kar fone uthhaya.. Par fone uske office se thha..," saaley ! Teri maa ki.. Kaat fone.. Aur aainda fone kiya to teri maa chod dunga..!

Shamsher jor jor se hunsne laga," saale! Abhi to tu jah raha thha.. Kisi se ulta pulta nahi bolega! Kasam khai hai.."

"Par bhai! Abhi to seema ka fone aayega na... Kya pata wo doubara na karey!"



Udhar seema ne letter padhna shuru kiya:



SEEMA!



Jaane kab se dil par ek dhhool si jami huyi thhi... Main bhool hi gaya tha ki ahsaas hota kya hai.. Bus chal raha thha.. Jidhar jindagi liye ja rahi thhi.. Na mujhe kabhi kisi se pyaar mila... Aur na hi maine kisi ko diya.. Diya to sirf dard; liya to sirf dard!



Kal tumne jaane anjaane, mere dil ki wo dhhool hata di.. Mujhe pyar dena sikhaya, pyar lena sikhaya.. Aur.. Pyar karna bhi sikhaya.. Meri samajh mein nahi aata main kis tarah se aapko shukria karoon..



Aisa nahi ai ki mujhe kabhi koi achchha nahi laga, aisa bhi nahi hai ki main kisi ko achchha nahi laga. Par ye achchhapan; apnepan aur parayepan ke beech latakta raha.. Aur main kabhi samajh hi nahi paya thha ki wo apnapan kya hota hai.. Jismein aadmi ki neend udd jati hai, chain kho jata hai... Kal se pahle!



Kal tumne mera sabkuchh ek sath jaga diya.. Mere armaan, mere sapne aur mere aadmi hone ka ahsaas! Tumnemeri jindagi badal di..



Main tumse kuchh bhi kahne se darta hoon.. Tumhare saamne aane se daarta hoon.. Par main tumse kuchh kahna chahta hoon; ki main tumse pyar karta hoon...



Sirf isiliye nahi ki tum shayad meri duniya mein aane wali sabse haseen ladki ho... Sirf isiliye nahi ki tumne hi mere dil mein wo jyot jagaayi hai jo tumhare bina jalti hi nahi... Andhera hi rahta... Mere dil mein..!



Bulki isiliye bhi ki main ab aur kuchh kar hi nahi sakta.. Tumhare bagair, main aur ji hi nahi sakta; tumhare bagair.. Maine bhagwaan se tumhe maanga hai.. Sirf tumhe.. Aur mujhe visvas hai ki bhagwaan meri praarthna sunega.. Kyunki wo ek aashik ko bin mout nahi maar sakta....



Maine tumhare mann ko jaana hai.. Usi se pyaar kiya hai.. Tum agar inaayat baksho gi to ajeet tough nahi rahega, soft ho jayega.. Hamesha ke liye.. Meri pahchaan badal jaayegi.. Aur wo tumse hogi.. Meri pahchaan...



Main tumhara sahara nahi ban sakta.. Main tumhara sahara lena chahta hoon.. Apne aapko badlne ke liye.. Apni sooni duniya badalne ke liye... 

Kya tum meri pahchaan banog?.... Please!



Please.... Meri duniya mein aa jao, Seema..... Please!



Main poora ho jaaunga... Meri seema ban jaao, taki main aur na bhatkoon, apni seema mein hi rahoon...



Mera no. Hai... 9215 9215 **





Pls fone karna......... Pls!!!



Tumhara,



Ajeet.....







Aakhir aate aate seema ki aankhein bhari ho gayi.. Aur uss bharipan ko hulka kiya.. Uski Aankh se nikle 2 aansuon ne.. Ek letter mein likhe 'seema' par ja tapka... Dusra 'ajeet' par!


Seema ne letter ko mod kar apni jeb mein dala aur aansoo ponchhte huye bahar nikal aayi....

(To be continued...)

గర్ల్స్ హైస్కూ'ల్ > INDEX 
నా పుస్తకాల సొరుగు > My (e)BOOK SHELF
చిట్టి పొట్టి కథలు - పెద్దల కోసం > LINK
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Girls' college — by Shakespeare002 - by Vikatakavi02 - 14-10-2023, 11:46 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)