14-10-2023, 01:23 AM
Quote:62
Tough ne Delhi road par seema ke ghar ke bahar gadi rok di... Tough back view mirror mein se seema ko lagataar dekhta aa raha tha... Seema ki najar bhi ek baar sheeshe mein se usko dekh rahe tough par padi thi, par wo yun hi thi... Usne turant apni najrein ghuma di thi....
Maa beti dono zeep se utar gaye. Maa ne seema ka haath pakada aur jaane lagi," "kya chay ke liye nahi poochhogey!" jaane kyun tough kuchh der aur unke sathh rahna chahta thha... Maa thhodi jhenp gayi par beti ne mud kar tak nahi dekha," aao na! Inspector sahab... Maine to socha tha aap kahan hamaare ghar mein aayenge... Aa jao!"
Tough ne ghar ke bahar road par gadi park kar di aur utar kar unke sath hi andar ghus gaya...
Seema lajjit si mahsoos kar rahi thhi. Aaj subah se hi security officer unke ghar ke chakkar laga rahi thhi aur colony mein sabhi ki juban par unhi ki charcha thhi... Aur ab ye security officer jeep wala... Shukra hai usne wardi nahi pahni huyi thhi... Warna akela ghar mein ek security officer wale ko aaya dekh log pata nahi kya kya kahte... Usne samaj ko kareeb se jaan liya tha... Usko Tough se koyi humdardi nahi thi...
Tough ghar ke andar ghuste hi unki kasamkas se bhari jindagi se rubaroo ho gaya...
Halanki saaf safaayi bahut hi umda thhi. Fir bhi ek kamre mein kone par tangi rassi par lade kapde, dusre kone mein rasoi ka saman aur deewar ke sath dali huyi do charpayi aur unke sath ek table par rakhi huyi dher sari kitabein... Uss kamre mein hi unka sansaar thha... Aur shayad wo kitaabein hi unke paas sabse badi punji thi, seema ki kitaabein... Table ke sath deewar par chipaki huyi ek chhoti si shri Ram ki taswir iss baat ki aur ishara kar rahi thhi ki ye din dekhne ke baad bhi wo dono maa beti maanti thhi ki bhagwaan sabke liye hota hai... Sabka hota hai... Shayad isi visvas ne aaj tak unko tootne nahi diya thha... Warna ladkiyan to koun koun se dhandhe nahi apna leti; apne jeevvan ko mouj masti se bhara banane ke liye majboori ka naam dekar...
Saamne wali diwar par ek noujawaan aadmi ki mala dali tasvir lagi huyi thhi, bhagwan ne inka ekmaatra sahara bhi chheen liya... Tough bhawuk ho gaya...
Seema ne jaate hi gas par pani chadha diya.. Wo jaldi se jaldi tough ko rafoo-chakkar kar dena chahti thhi...
Dono charpayi sath sath dali huyi thhi... Jab tough charpayi par baith gaya to maa khadi hi rahi... ," bethhiye na mata ji!"
"Nahi beta! Koi baat nahi... Aapke jaane ke baad to baithna hi hai...
Seema ki maa ke munh se sahab ki jagah beta sunkar mushkil se togh apne ko rok paya... Wah rah rah kar dusri aur munh karke chay bana rahi seema ke munh ko dekhne ki koshish karta raha. Shayad pahli baar aisa uski life mein huaa thha ki pichhwada saamne hone par bhi tough ka dhyan uski golaayiyon par na jakar uske chehre mein kuchh dhoondh raha thha... Pahli baar!
Usko vani ki baat yaad aayi," ajeet bhaiya! Ye didi disha jitni sundar hain na!"
"Haan! Disha jaisi hai... !" wah kah uthha.
"kya beta?" seema ki maa ne uske munh se nikle inn shabdon ka matlab poochha..
"Kuchh nahi mata ji!" fir chaarpayi ko pichhe sarka kar bola,"aap baithhiye na!"
Seema chay bana layi. Aur uske paas table par rakh di...
"main bhi kitni pagal hoon! Main abhi aayi" kahkar uski maa bahar nikal gayi...
Apne aapko inspector ke saath akela pakar seema bechain ho gayi. Usko rah rah kar uss 'dusht' dwara uski jaanghon par danda lagana aur nihayat hi badtameeji se baat karna yaad aa raha thha... Wah tough se munh fer kar kone mein ja khadi huyi...
"mujhe maaf kar do seema... Ji!" tough uski aawaj sun-ne ko tadap raha thha ..
2 baar maafi maange jane par bhi seema ne koi uttar nahi diya... Aisa isiliye ho raha tha kyunki seema ko visvaas tha ki inspector ko apni galati ka ahsaas ho gaya hai... Agar pahle wali 'tone' mein poochha to wo dono baar jawaab deti..
Tabhi uski maa aa gayi.. Uske haath mein namkeen aur biscuits ke 2 packet thhe.. Ek plate mein rakhkaf usne tough ke saamne rakh diye aur chaarpayi par baith kar apna cup uthha liya," tumhari chay thhandi ho rahi hai beti!" maa ne seema se kaha..
Seema ne apna cup uthhaya aur gas ke saamne pade peedhe par baith gayi.. Diwar se sir lagakar... Uski aankhon mein jaise din bhar ka gussa bahar na nikal paane ka malaal thha.. Gareeb ho gaye to kya huaa.. Aakhir wo bhi swaabhiman se jeene ka haq rakhte thhe... Usko yaad aaya kaise tough ne thhane jate hi uske munh par jor ka tamacha maara thha... Uske jaane kab se apmaan ki door se bandhe aansoo khul gaye aur tapar tapar uske galon par girne lagey... Par wah ro nahi rahi thhi... Wah uske hriday ko taar taar karne wale ki sahaanubhti nahi paana chahti thhi.. Bus uske aansuon par uska vash nahi thha...
Tough ne uski maa ke saamne hi apni galti ke liye maafi maangi," pls seema ji! Main bata chuka hoon ki waisa karna meri majbeeri thhi.. Aakhir ek jindagi ka sawaal hai"
Seema ne apna cup door faink diya, jaane kab se wo apne andar uthh rahe bhuchal ko rokne ki koshish kar rahi thi..tough ne itni khuddar aur itni sharmsar karne wali baat apni jindagi mein nahi suni thi.. Wah ek ek shabd ko chaba chaba kar uske seene mein utaarti chali gayi..," humaari koi jindagi nahi hai.. Humara ijjat se jine ka koi haq nahi... Agar meri jagah kisi ameer baap ki beti hoti to kya tum aise hi karte?agar wo tumhari koi lagti hoti to bhi kya tum usko wahi danda lagate... Hum... Hum lawaris ho gaye kya? Hum agar mar bhi gaye to koyi ye nahi kahne wala ki tum! ... Ki tum uske liye jimmedar ho.. Tumne to bus apni duty nibhayi hai.. Chale jao mere ghar se... Nikal jao abhi ke abhi..."
Apni bhadas nikal kar wo apni maa ke seene se ja lagi... Uska aur koi bhi na tha... Koi bhi... Ab uska karoon krandan tough ke liye sahna mushkil ho raha thha... Par jane kyun wah ab bhi kisi intzaar mein thha... Jaane kounsa haq jaan kar ab bhi wahi baitha raha..
Maa ko bhi seema ki baatein sunkar tasalli si huyi... Wah uske baalon mein haath ferne lagi... Shayad kahna to wo bhi usko yahi chahti thi.. Par besharm tough khud hi chay peene aa gaya thha..
Tough ki haalat kharaab thi... Kuchh kah bhi to nahi sakta thha.. Wah uthha aur bola," mata ji mujhe aapka no. De dijiye... Mujhe iss bare mein koi baat karni hogi to kar loonga.."
"ab aur kitne no. De sahab!" beti ki chitkaar sunkar uske mann mein bhi dinbhar ki beijjati ki glani bahar aa gayi.. Usne usko beta nahi sahab kaha." dono no. To likhwa hi chuke hain hum kum se kum bees baar...
Tough jaise wahan se apni ijjat lutwa kar chala ho.." achchaa mata ji!" usne mudte huye hi kaha aur bahar nikal gaya...
Seema ko lag raha thha ki usne kahin galti ki hai... Usko nikal jaane ko kah kar..
Maa ki god mein sir rakhe padi huyi seema ne darwaje ki aur dekha... Tough gadi ghuma kar chala gaya!!!
(To be continued...)
గర్ల్స్ హైస్కూ'ల్ > INDEX
నా పుస్తకాల సొరుగు > My (e)BOOK SHELF
చిట్టి పొట్టి కథలు - పెద్దల కోసం > LINK