14-10-2023, 01:10 AM
Quote:59
Tough dono ko shamsher ke ghar le gaya... Disha aur vani abhi college se nahi aayi thhi... Usne darwaje ke sath bani slab ke upar rakhi eent ke neeche se chabi nikali aur darwaja khol kar unko andar le gaya... Dono buri tarah dari huyi thhi.. Tough ne unko sofe par baithhne ka ishara kiya.. Dono ek dusri se chipak kar baithh gayi... Seema ki taange kaanp rahi thhi...
Tough ne ladki ko uthhne ko kaha aur bedroom mein chala gaya.. Seema peechhe peechhe chali aayi... Uski maa rah rah kar sofe se uthhkar unko dekhne ki koshish kar rahi thhi... Tough ne ladki ko upar se neeche tak dekha... Padhi likhi aur sabhya si maloom hoti thhi.. Uske har ang mein kasav bata raha thha ki usne abhi pyar karna seekha nahi hai.. Bahut hi sunder ladkiyon mein usko gina ja sakta tha... Dono abhi tak khade hi thhe...
"Haan! Shuru ho jaao!" tough ne uski kaampti huyi taangon par danda rakhte huye kaha...
"Seema ka gala sookh raha thha aur honto ki lali udd si gayi thhi... Usne wo sab kuchh dohra diya jo tough ko pahle computer operator ne aur baad mein S.H.O. ne bataya thha...
"Kabhi dalwaya hai?"
"Kya sir?" wo samajh na payi...
"Agar main daal dunga to koi size fit nahi aayega.. Samjhi..!"
Ab bhi seema ki samajh mein kuchh na aaya... Par bahar baithi uski maa sab samajh rahi thhi... Usko security officer walon ki tameej ka pata thha...
"S.T.D. Kahan hai?"
"Sir rohtak mein hi!" seema ko ye baat to samajh mein aa gayi thhi...
"Teri maa ki... Bandook!... Arey main poochh raha hoon rohtak mein kahan par hai..." tough usko dara kar tod dena chahta tha... Taki agar uske andar kuchh ho to bahar nikal aaye...
"Sir.. Wo tilak nagar mein.. Delhi road par hi hamara ghar hai... Uss mein hi aage dukaan nikal rakhi hai... Wahi hai!"
Tough ne uski jaangh par danda rakh diya.. Wo ghabra kar thhoda sa side mein hone lagi.. To tough ne uski jeans ke upar se thheek uske point ka idea laga kar wahan par dande ki nouk tika di... Seema ne nejrein neechi kar li... Asahay si hokar uska haath dande ki nouk ke paas chala gaya taki agar wo dabav dale to apni chidia ko bacha sake...
"Kya karti ho?"
"Jjjiii .. Padhti hoon!"
"kahan?"
"University mein!"
"Kya?"
"ji economics se M.A. kar rahi hoon.." uski bechaini sawaalon se nahi bulki uss dande se badh rahi thhi..."
"unko pahle kabhi dekha hai!"
"jjjiii... Kinnnko?"
"Apni maa ke yaar ko... Jyade smart na bane! (jyada smart mat ban)"
Seema samajh gayi...," jjiii... Kabhi bhi nahi!"
"Ghar mein koun koun hai?"
"Ji... Bus mein aur meri maa!"
"Kyun papa fouj mein hain kya?"
Seema ki aankhon se aansoo tapak pade......
Tough ko apni galati ka ahsaas huaa.... Uss ko dara kar ugalwane ki koshish mein shayad wah insaaniyat hi bhool gaya...tha!
"Sorry... Shayad..."
"Koyi baat nahi sir... Hum maa- beti seekh chuke hain.. Padosiyon ka jhagadna... Ladkon ki fabtiyan... Kabhi kabhar bina khaye sona... Aur papa ka foto par tangi mala dekhkar rona.... Hum seekh chuke hain sir... Koi baat nahi.." tough ki sahanubhooti milte hi uski aankhon se aviral ashroo dhara bah nikli.. Danda peechhe ho gaya...
"Chalo bahar aa jao!"
Seema ne apne aansoo ponchhe aur bahar aakar apni maa ki god mein sir rakhkar
fir se rone lagi... Jor jor se...
"dekhiye.. Mata ji! Hum security officer wale apni bhasa ko lekar badnaam hain... Par hamein ye sab karna padta hai... Saamne wale se kuchh ugalwane ke liye... Agar wah kuchh chhipa raha hai to... Par main aapse dil se maafi maangta hoon... I am really very very sorry!"
Maa ne sirf itna hi kaha " to hum jaye sahab!"
Tabhi darwaje par vani prakat huyi... Apni vani!
(To be continued...)
గర్ల్స్ హైస్కూ'ల్ > INDEX
నా పుస్తకాల సొరుగు > My (e)BOOK SHELF
చిట్టి పొట్టి కథలు - పెద్దల కోసం > LINK