Thread Rating:
  • 6 Vote(s) - 1.67 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Girls' college — by Shakespeare002
#32
Quote:28


Disha bahut dukhi thi... Ek to shamsher ne apne haathon se mujhe hara diya.... Kya kami hai mujhemein! ... Usspar mujhse baat tak nahi ki... Seedhe upar chale gaye! Kya wo kabhi sochte bhi hain mere pyar ke barey mein... Kahin wo disha se mujjse jyada pyar na karte hon! Disha ki aankhon mein pahle din se lekar ab tak ki sari kahani ghoom gayi.... Haan wo to vani se hi pyar karte hain.... Mujhse to bus khelte hain.... Soch soch kar hi uska sir chakra raha tha... Tabhi gate par huyi aahat ne disha ka dhyaan bhang kar diya...... Nisha aayi thi... Disha ke baad gaanv ki sabse sexy ladki...( vani ko log sexy nahi pyari samajhte thhe) uske har anga mein masti jaise koot koot kar bhari ho; wo 12th mein padhti thi... Girl's college mein... Disha: aao nisha didi! Nisha: sir hain kya upar? Disha: nahi, par tumhe kya kaam hai... Nisha: bus, yun hi milne ko dil kar raha tha.... Uski aankhon mein sharaarat thi.... Disha apne aape mein na rahi... Ek to vaani... Upar se ye aur aa gayi sir ki diwani!," yunhi ka kya matlab hai... Sharam nahi aati! Sir hain to kya koii bhi lipat jayega unse... Bus yun hi milne aa gayi..." disha kuchh kuchh bake ja rahi thi... Nisha: a disha! Jaban sambjal kar bolna; jab koii liptaayega; to main to lipatungi. Itnii hi fikar hai to sambhal ke rakh 'apne sir' ko... Lab mein jakar dekha kar kya masti chalti hai wahan!" Disha ka sir chakra gaya... Kya buk rahi hai nisha... Main tera sir fod dungi! Nisha: arey; jo dekha hai, wahi bol rahi hoon... Disha naram pad gayi... Pata nahi wo kya sune kya na sune! Usne nisha ko sorry bolkar andar bulaya. Vaani bhi saath hi chipki huyi thi... Dhyan se sun rahi thi ek ek baat! Tabhi shamsher aaya aur seedha upar chala gaya. Usko nahi pata tha ki kya toofan aane wala hai ghar mein.. Wah jakar late gaya... Disha ke barey mein sochne laga! Disha: didi pls khulkar batao kya baat hai... Nisha: nahi, sir ke saamne hi bataaungi! Wo teeno upar chale gaye; shamsher samajh gaya ki ye college ki ladki hai... Sundar ladkiyon ko to usne ek ek karke apni aankhon mein utar rakhq thha... Chodne ke liye... Samay aane par! Disha jakar seedhe shamsher se boli.... Ye aapke baare mein kuchh bata rahi hain... Sunkar batana sach hai ya jhoothh... Wo dono khadi thi... Vani sir ki god mein jakar baith gayi.... Shamsher ne kuchh socha... Fir bola... Kya baat hai.... Usne nisha ki aur hairat se dekha... Isko to maine kabhi toka bhi nahi! Nisha: maine aapko lab mein dekha tha sir! Uski aawaj sapast thi par shamsher fir bhi anjan banta hua bola," kya?" Nisha: maine.... aapko.... lab.... Mein... Dekha... Tha.... ...! Usne har shabd ko jaise chaba chaba kar kaha.... .... Sarita aur divya ke saath... Wo donon nangi thi... Aur aap unke saath gandi baat kar rahe thhe!... Maine dekha tha.. Apni aankhon se Ye sunte hi shamsher par jaise pahad toot pada; agar disha wahan na hoti to wo Sambhal bhi leta.... Par.... Disha: bataayiye ye sach hai ya jhhoothh! Shamsher ne najrein neechi kar li... Uske aisa karte hi disha chakkar khakar gir padi... Vani bhaag kar uske paas gayi aur ro ro kar usko pukaarne lagi! Wo behosh ho gayi thi... Nisha ne jab baat bigadte dekhi to wahan se chali gayi! Shamsher ne disha ko uthhakar upar lita diya... Aur baith gaya... Uski kuchh bhi samajh nahi aa raha tha... Wo ye tay nahi kar pa raha tha ki disha shama ki jagah le sakti hai ya nahi... Sara sara din wo yahi sochta rahta tha.... Vani ne sir ka haath pakda aur boli," sir, ab main kabhi aapse khelne ko nahi kahoongi.... Main aapse shadi bhi nahi karungi..... Aap meri didi se hi shadi karna... Aur usi ke saah khelna! Aap kisi aur ke saath khelte ho to didi mar si jaati hain... Wo ro rahi thi aur apne behan ke sir ko baar baar hila rahi thi... Shamsher ne vani ko apne seene se laga liya... Shamsher ne disha ke upar paani ke chheete marey... Wo hosh mein to aa gayi... Par leti rahi adhmari si... Shamsher uski aankhon se aankhein nahi mila pa raha tha... Usne munh fer liya.. Tabhi disha ne apna haath uthhakar shamsherxki god mein rakh diya... Shamsher ne usko dekha... Disha ki adhkhuli aankhein usi ko dekh rahi thhi. 
"tumne mere saath aisa kyun kiya, .... Shamsher" Shamsher achanak hi baras pada... Barson pahle shama ke liye banjar ho chuki aankhein ro padi... 
Usko 13 saal pahle Shama ko kahe gaye apne shabd jyon ke tyon yaad aa gaye... Jab shama uske armaano ko kuchal kar dinesh ke saath ja rahi thi.... " Tumne mere saath aisa kyun kiya.... Shama!" 
Shamsher disha se buri tarah lipat gaya... Disha nischet si padi rahi... Uski bahon mein... Shamsher nischay kar chuka tha, usko kya karna hai.... Wah uthha; munh dhoya aur bahar chala gaya Kya ye shama ka dusra janam hai mere liye.... Nahi nahi wo to 13 saal pahle mari thi.... Disha to 18 ki ho chuki hai..... Hey bhagwan teri leela tu hi jaanta hai....! Tabhi shamsher ka fone baj gaya; udhar ajeet bol raha tha..."bhaii, aa ja... Din mein kasar rah gayi hogi... Tera maal mere paas hi hai sari raat ke liye... Shamsher kuchh na bola... Dusari baar bulane par shamsher bola," na!" 
"aaja yaar, mein kabhi inkaar karta hoon!" 
"mujhe meri jindagi mil gayi hai.... Meri disha!" 
Vaani khidki ke paas khadi sun rahi thi......... 

++++++++++

Holi ka din tha... Charon aur gulaal hi gulaal .... Sirf disha aur vani ke rang ude huye thhe... Disha ke to jaise haath pair hi kaam nahi kar rahe thhe.... Wah ab bhi shamsher ko maaf karne ko taiyaar thhi... Par kum se kum shamsher usse baat to kare... Aainda aisa na karne ka wada to kare... Par shamsher ne to usse baat tak karni chhod di... 
Uss din ke baad! Ye baat disha aur vani ko aur pareshan kar rahi thi. "arey kya ho gaya tujhe beti? Tyohar ke din kaisi shakal bana rakhi hai... Chal uthh naha dho le!" mami ne kaha! 
Disha aise hi padi rahi... Hili tak nahi... 
Mami: vani! Kya hai ye ... Dekh main tere sir ko bata doongi 
Disha sunte hi bilakh padi," bata do jisko batana hai mami... Mujhse nahi. chala jata.. Na mujhe ab padhna hai... Aur na hi kuchh karna hai!" 
Mami: achchha! Vani ja bulakar to la tere sir ko! Vani nahi uthhi... 
Mami: thahar ja! Tum donon shaitan ho gayi ho! Main bulakar lati hoon" 
Mama: ruk ja; main hi lata hoon bulakar; mujhe sarpanch ki ladki ke baare mein usse baat bhi karni hai! 
Disha ke kaan khade ho gaye," kya baat karni hai... Mama?" 
Mama: arey wo sarpanch aaya tha mere paas... Kah raha thaa... Uski ladki sarita ka rishta le lein to tumhare sir... Bahut bade kameedar hain... Kah rahe thhe.. Ghar bhar denge inka... 
Disha vichlit si ho gayi," kaheen shamsher sarita se to pyar nahi karta...
" Ruko! Main bulakar lati hoon!" Disha upar bhhag gayi... Peechhe peechhe vani! 
Disha ne tarare ke sath darwaja khola," tum... Tum jab sarita se pyar karte ho to mere saath aisa kyun kiya... Bolo... Bolo... Tumhe bolna padega!" 
Shamsher kuchh na bola... Disha tadap uthhi," sarita ka rishta aaya hai tumhare liye... Kar lena shadi... Ghar bhar denge tumhara... Jao kar lo shadi..." wo rone lagi... 
Vani: sir, aapko mama bula rahe hain Shamsher ne disha aur vani ka haath pakda aur neeche chala gaya.... 
Disha ne haath chhudane ki koshish kari par na chhuta saki...! 
Neeche jakar usne mama se poochha," kya baat hai mama ji? 
Mama: arey wo sarpanch aaya tha..... ..........dahej bahut jyada denge.. Achchha rishta hai beta ... Aage tum jo kahoge main bata dunga.... 
Shamsher: main..... Disha se shadi karunga mama ji... Aap chahe ya na chahe ... Disha se... 
Mama ne disha ki aur dekha; uske chehre ke rang wapas aa gaye thhe... Wo ektak pyar se shamsher ko dekhe ja rahi thi... 
Mama: hamari Disha ke to bhag khul jaayenge beta... Disha sharmakar andar bhag gayi ... Aur vani bhi; sharmakar nahi... Apni didi ke chehre ki khushi maapne... 

Shamsher ke chehre par jahan bhar ki rounaq aa gayi... Uska vanvaas poora hua..! 
Uss din sabne jamkar holi kheli... 

Kuchh din baad shamser ne apna transfer boy's college mein kara liya... Aur apni jagah ek aur aashiq ko wahan bhej diya... Usse bhi jyada thharki.... 
Disha shamsher ke sath shahar chali gayi.... Padhne bhi aur khelne bhi... Apne shamsher ke saath... Vani ko bhi wo sathh hi le gaye... Khilane nahi... Padhane... 
Vani samajh chuki thi... Ishko khel nahi ishq kahte hain aur ye ishq aasan nahi hota. ... Aur ye bhi ki achchhe khandanon mein ye.... Ek ke sath hi hota hai....... 
Shamsher kabhi samajh hi nahi paya ki itne paap karne ke baad bhi bhagwan ne ye heera usko kIse de diya...... 
Shayad uske ek baar kiye huye sachche pyar ke liye... Shamsher ki life mein fir se pyar aa gaya .. aur usne sex sex aur sex ki theory chhod di... 
Tough ab bhi gaanv mein aata hai... Pata nahi usko koun sudharegi!

(To be continued....)

గర్ల్స్ హైస్కూ'ల్ > INDEX 
నా పుస్తకాల సొరుగు > My (e)BOOK SHELF
చిట్టి పొట్టి కథలు - పెద్దల కోసం > LINK
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Girls' college — by Shakespeare002 - by Vikatakavi02 - 13-09-2023, 03:08 PM



Users browsing this thread: 4 Guest(s)