Thread Rating:
  • 6 Vote(s) - 1.67 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Girls' college — by Shakespeare002
#23
Quote:19


Disha vani ko andar le gayi.... "bata na chhutaki kya hua?" Vani ne aur jor se subakna shuru kar diya. Disha ne uske galon par bah rahi motiyon ki dhara ko apni chunni se saaf kiya, par wo barsaat rukne ka naam hi nahi le rahi thi...., "bata na vani; aisa kya hua jo tu mujhe bhi nahi bata sakti. Main to teri didi hoon na!" Disha ke mann mein tarah tarah ke khyal aa rahe thhe.... Jis tarah se vani ro rahi thhi, uske shaq ko aur hawa mil rahi thhi.... Chhutaki sir se kuchh jyada hi chipak ke rahti thhi. Kahin sir ne uski masumiyat ka fayda to nahi uthha liya.... , "chhutaki, mujhe sirf ye bata de ki koi 'galat baaat hai kya, jo tu mujhe batane se hichak rahi hai!" Vaani ne subakte huye hi apna sir haan mein hila diya. Disha ka para garam ho gaya, jiss aadmi ko wo 'apne ke roop mein......., "kya sir ne...." Vani ne disha ki baat ko poora hi nahi hone diya.... Sir ka naam sunte hi usne disha ke munh par apne komal haath rakh diye aur chitkar kar uthhi. Wah apni didi se buri tarah lipat gayi. Ab disha....'sab kuchh samajh chuki thi!'.... Uske chehre par nafrat aur kadwahat tairne lagi.... Ab use 'sir; sir nahi balki ek sundar roop dharan kiye huye koi bahrupiya shaitan lag raha tha...... Wah apne dil mein hazaron.... Lakhon.... Galiyan aur badduayein bhar kar upar chali gayi.... Vani ka bhi uske saath hi jane ka mann thha.... Par ab uske sir 'apne nahi rahe!'

Disha ne upar jakar dhhakke ke saath darwaja khol diya.... Shamsher aaram se takiye par sir tikaaye kuchh soch raha tha.... Hamesha ki tarah ek dum shant... Ek dum nischint! "Kaminey!" disha ne sir ko uski aukat batayi. Shamsher ne uski aur dekha, par koi pratikriya nahi di, wah aise hi shant baitha raha. Uski yahi adaa to sabko uska diwana bana deti thhi... Par aaj disha uski iss 'adaa' par bilakh padi,"haraamjadey, main tujhe......"
disha uske pass gayi aur usse collar se pakad liya..... Uske munh se aur kuchh na nikla... "kya hua?" shamsher ne shant lahje mein hi uttar diya.... Uska control jabardast tha... Uske chehre par disha ko pachhtawe ya sharmindagi ka koi chinh dikhayi nahi diya.... "nikal ja yahan se! Mere mama mami ke aane se pahle... Nahi to tujhe.... Tujhe jaan se maar doongi..." disha ne uski aankhon mein aankhein daal kar jameen par thhooka aur pair patakte huye neeche chali gayi..... Wah chandi jaisi dikh rahi thi. Shamsher ne apna laptop khola aur kaam mein lag gaya....
Neeche jakar disha ne ab tak ro rahi wani ko apne dahak rahe sine se lagaya, "bus kar chhutaki, uss haramjade ko maine.....!" Vaani usko awak dekhti rah gayi. Uske aansoon jaise ekdum sookh gaye.... Wah soch rahi thhi didi kis 'haramjade' ko gali de rahi hai,"kya hua didi?" Disha ki aankhon mein jaise khhoon tha, "maine usko ghar chhodkar bhhag jane ko kah diya hai!" "magar...."vani hairan thi, ye kya kah rahi hain didi 'apne sir ' ke barey mein, "unhone kya kar diya didi?" Ab ki baar nishabd hone ki bari disha ki thi...."wo tujhe.... Sir ne tere saath kuchh nahi kiya.....?" "Nahi didi.... Unhone to mere ko dhamkaya bhi nahi....."
Sara game hi ulat gaya.... Ab disha subak rahi thi aur vani usse poochh rahi thi,"kya hua didi? Tumne sir ko kya kah diya?" Disha ke paas vani ko batane layak kuchh nahi tha. Ye usne kya kar diya! Jiski tasvir wo apne dil ke aayine mein dekh rahi thi... Usi ke dil mein usne hazaron kaante chubha diya; apmaan ke..... Jillat ke.... Aur nafrat ke! 
"Mere sathh hi aisa kyun hota hai?", disha ke man mein vicharon ka toofan sa usko andar tak jhakjhor raha thha...! Pahle ussne college mein sir ki beijjati ki.... Aur jab....ab muskil se usko lagne laga tha ki sir uss baat ko bhool chuke hain to....,"ye maine kya kar diya vani!" 
"didi, batao na kya ho gaya!?" vani ab uske aansoo pochh rahi thi....! 

Disha ki aankhein lal ho chuki thi.... Lal to pahle se hi thi mare gusse ke! Ab to bus unka bhav badal gaya tha... Ab unn moti moti aankhon mein paschatap tha..... Glani thi.... Aur shamsher ke dil se lag kar aansoo lutaane ki pyass thi.... Ek tadap thhi uski chhati se chipak kar dekhne ki aur ek bhhookh bhi thi...... Wo aurat ki tarah soch rahi thhi; ladki ki tarah nahi.... 

Disha ne vani ka haath pakda aur usko upar le gayi.... Khidki se unhone dekha shamsher aankhein band kiye diwar se sata baitha tha.....bilkul shant......bilkul nischint..... Uske chehre par jhalak rahe tez ka samna karne ki donon mein se kisi mein himmat nahi thi..... Donon ne ek doosre ko dekha..... Aur ulte paanv lout gayi..... Neeche.... Ab donon ro rahi thi.... Ek doosre se chipak kar.... Ab koi kisi se wajah nahi poochh raha tha... Haan aansoo jaroor ponchh rahi thi.... Ek doosre ke!......

Subakte huye hi vaani ne disha se kaha, "didi! Ab sir humse kabhi baat nahi karenge na!" 
"Tu chup kar chhutaki; aaja, soja!", disha ne wani ko apne sath khat par lita liya, vani ne apni taang disha ke pate par rakh di aur aankhein band kar li. Na jane kab wo sir ke khyalon mein khoyi khoyi so gayi.... Disha seedhi leti huyi sunya mein ghhore ja rahi thi. Wo disha se poochhna chahti thi ki asal mein hua kya tha! Par wo vani ko abhi aur dukhi nahi karna chahti thi.... 
Thhodi der baad hi uske mama mami aa gaye, "aah! Disha beti aaj to sara badan toot raha hai! Itna kaam tha khet mein....la jaldi se khana laga de. Khakar late jayein, ... Ye vaani abhi se kaise so gayi...." "mama, iski tabiyat thhodi kharab hai... Maine goli dekar sula diya hai...." 
"Aaj upar nahi gayi ye!, utar gaya A.C. Ka bhhoot" 
"nahi....wo sir ne hi bol diya ki bukhar mein A.C. Thheek nahi rahega... Aaj isko neeche hi sula do!" 
"aur tum?" mama ne uski mann ko parakhne ki koshish ki! jaise usko pata ho; inka koi chakkar hai... "mmm...main bhi neeche hi soungi... Aur kya mein akeli jaaungi"..... Mann mein wo soch rahi thi.... Kass mein akeli ja sakti!

"Hummm... Tum samajhdar ho beti"..mama ne kaha.
 "khana kha liya isne!" mami ne disha se poochha. 
Disha: haan mami, aur maine bhi kha liya.... Disha jhoothh bol rahi thi... Usko pata tha uski tarah wo bhi khana nahi kha payegi... 
"Aur sir to 8:00 baje khate hain"... Tu unhe khana de aana... Hum to ab so rahe hain" mama ne uthhate huye kaha... Disha sochne lagi "main upar kaise jaaun?"....... 

Kareeb 8:00 baje; disha soch soch kar pareshan thi ki ab usko 'sir' ke samne jana padega... Usne toote huye pairon se sidhiya chadhi... Shamsher ne usko khana lekar aate khidki se dekh liya tha shayad! Jaise hi wah darwaje ke samne jakar ruki; andar se sir ki aawaj aayi,"aa jao disha!" Disha ki pahli samasya to hal huyi....wo soch rahi thi wo andar kaise jayegi? Wo andar chali gayi... Sir jhukaye! Usne table par khana rakha aur jane lagi...."disha!" wah kathputali ki tarah ruki aur palat gayi....uski najre jhuki huyi thi...sharm ke marey! Shamsher: upar dekho! Meri taraf.... Disha ne jaise hi upar dekha.... Uski aankhein dabdaba gayi... Wo chhalak uthhi thi.... Ek aansoo uske galon se hota hua uske honton par jakar tik gaya; jaise kahna chahta ho,"main pyar ka aansoo hoon, mujhe chakhkar dekho......wo aansoo shamsher ke liye thha.... Shamsher ke chakhne ke liye... Disha ne shamsher ko dekha, wo ab bhi muskura raha tha...," idhar aao, mere paas!" Disha uske kareeb chali gayi... Aaj wo jo bhi kahta wo kar deti....jo bhi mangta....wo de deti! Shamsher ne uski kalai pakad li.....aur tab shamsher ko kuchh kahne ki jarurat nahi padi....kuchh kahne ki jarurat nahi padi....wo ghutne mod kar .... Uski god mein ja giri...."Sorry!" disha ne aagey 'sir' nahi kaha. Uski aankhon mein ab bhi nami thhi... Wo nischay kar chuki thi.... Ab shamsher ke prati apni bhawna nahi chhipayegi....chahe uska yaar usko jaan se maar daley... Usne shamsher ki aankho mein aankhein daalkar dohraya....."SORRY!"... Uske lab thhirak rahe thhe....pyar mein... Shamsher ko bhi pata nahi kyun pahli baar kisi ke usse pyar ke barey mein itni der se pata chala... Shayad pahle'pyar'...'pyar' nahi sirf wasna thhe... " lagta hai tumhe mujhse pyar ho gaya hai?" "yes, i love you! Heart " disha ne elaan kar diya.... Iss baar uske hont nahi kaampey, sachchayi par jo adig thhe! Shamsher ne apne honto se uske honto par thhahre 'uss' aansoo ko chakha.... Wo sach mein hi pyar ka aansoo tha. Disha ne apne aapko shamsher ke andar samahit kar liya.... Usko ab koi darr nahi thha... Kuchh der wo nishabd ek doosre mein samaye rahe....fir shamsher ne kaha,"kal raat ko yahin aa jana.... Sone ke liye....mere sath" Disha ko usse alag hote huye ajeeb sa lag raha tha... Ek din ka intzaar mano saalon ka intzar tha... Par uska dil uchhal raha tha... Seedhiyon se utarte huye... Uski chhatiyon ke sath....

(To be continued....)

గర్ల్స్ హైస్కూ'ల్ > INDEX 
నా పుస్తకాల సొరుగు > My (e)BOOK SHELF
చిట్టి పొట్టి కథలు - పెద్దల కోసం > LINK
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Girls' college — by Shakespeare002 - by Vikatakavi02 - 09-09-2023, 10:27 PM



Users browsing this thread: 3 Guest(s)