01-01-2023, 02:01 PM
Lagbhag 10 din beet chuke the jab Garima movie dekhne Raghu ke saath gayi thi. Iske beech dono ke beech phone par baat chit aur chatting chalti rehti thi magar mulaqat nahin hua tha.
Karamchand raat mein ghar aaya aur chai peekar kamre mein gaya to uski biwi Garima ke balcony se hasne ki awaaz aa rahi thi. Karamchand balcony ke darwaze ke paas jaakar dekha to Garima baithi kisi se phone par baat kar rahi thi aur saath hi beer ki chuski le rahi thi. Woh yeh dekh hi raha tha ki Garima ki nazar uske taraf gayi. Karamchand use dekhkar haath uthakar dheere se hello bola to Garima bhi haath uthakar reply dekar baat karne mein lagi rahi. Woh wireless earphone use kar rahi thi aur woh mobile table par rakhi huyi thi.
Karamchand waapas chala aaya aur phir bathroom mein nahane chala gaya. Woh naha kar kapde pehenkar bed par baitha hi tha ki Garima balcony se aayi aur uske saamne khadi hokar puchhi,"tumhare paas Raghu ke paise hai?"
Yeh sunnkar Karamchand uski taraf dekha aur muskurate hue bola,"Garima ab yeh sab kya hai? Tum yeh sab mein kyun.. "
Isse pehle ki woh pura bolta woh sakhti se boli,"Ab batein mat banao. Jo puchha hai uska jawaab do".
Karamchand yeh sunnkar bola,"Haan, mera matlab nahin. Uska paisa mere paas nahin hai".
Garima yeh sunnkar sakhti se boli,"Haan ya naa, sach sach batao".
Karamchand Garima ko dekhkar muskurate hue bola,"Darling tum yeh sab mein kyun pad rahi ho. Yeh mere aur Raghu ke beech ki baat hai. Tum please... "
Isse pehle ki Karamchand pura bolta, Garima beech mein bol padi," Yeh tumhare aur uske beech ki baat hai to tum uska call receive kyun nahin kar rahe ho? Haan? Use paise ki zarurat hai aur ek to tum paise de nahin rahe ho aur uska phone bhi receive nahin kar rahe ho. Itni baar tumhe call karne ke baad last mein mujhe call karke puchha tumhare baare mein. Woh bhi mujhe involve karna nahin chahta tha magar maine hi insist kiya ki agar koi important baat hai to mujhe bata de main tumko bata dungi. Jaante ho kitna gusse mein tha woh".
Karamchand yeh sunnkar Garima ka haath pakad kar bola,"Darling tum bhi uss gunde ki baaton mein kyun aa rahi ho. Uska paisa nahin hai mere paas. Sachi. Tum uske wajah se apna mood kyun kharab kar rahi ho".
Garima yeh sunnkar sakhti se boli,"Uske wajah se ya tumhare wajah se. Agar tum usse baat kar liye hote to mujhe woh call nahin karta aur main involved nahin hoti. Ab phone karke usse baat karo, abhi".
Karamchand yeh sunnkar muskurate hue bola,"Darling main kar lunga baat. Tum ab iski chinta chhoro. Tumko pareshan dekhkar mujhe achha.."
Karamchand itna hu bola tha ki Garima bed ke paas table par rakhe uske mobile ke taraf gayi aur Karamchand yeh dekhte hue haare hue swar mein baat ko pura kiya,"nahin lagta".
Garima uska phone laakar usko deti huyi sakhti se boli,"Now".
Karamchand phone lekar Raghu ko call kiya. Dusre taraf se Raghu phone receive karke bola,"Kyun be seth, itna der se call receive kahe ko nahin kar rela tha? Saala apun ka paisa maarne ka chakkar mein hai? Aesa sapne mein bhi nahin sochne ka kya?"
Garima Karamchand ke paas hi khadi thi to use thodi bahot Raghu ki baatein sunai de raha tha.
Karamchand yeh sunnkar bola,"Are Raghu kyun itna gussa kar rahe ho. Maine tumhara paisa kabhi maara hai jo iss baar marunga".
Raghu yeh sunnkar bola,"Abe apun ka paisa maarne ka to himmat tere mein hai bhi nahin, magar saala jaan bujhkar tu paisa dene mein late kar rela hai taaki apun ka paisa se bhi kuchh kamao kar le. Saala pichhla teen baar se aesa hich kar rela hai. Late se apun ka paisa de rela hai. Apun isse pehle kuchh nahin bola magar iss baar apun ko paise ki zarurat hai. Sharafat se paisa de de kal apun ko".
Karamchand yeh sunnkar pyaar se bola,"Are Raghu abhi pura paisa mila kahan hai. Agli baar jo paisa milega usse tum apna hissa le lena".
Raghu yeh sunnkar bhadak gaya,"Abe seth tere ko sunai nahin diyela. Apun ko paisa ka zarurat hai kal aur tu bol rela hai agli baar ka wasuli mein lene ke liye. Saala tere se jitna sharafat se pesh aata hai apun utna hich sar par chadh kar nachta hai tu. Zyada drama karenga to tere saath kaam nahin karenga apun. Apun apne baap jaisa nahin hai".
Yeh sunnkar Karamchand bhi bhadak gaya,"Ja ja bahot dekhe tere jaise. Dhamki kisko deta hai. Tere se aadha paisa mein tere jaise bahot aa jayega kaam karne ke liye".
Raghu yeh sunnkar gusse mein bola,"Abe seth apun ko kisi se compare nahin karne ka. Apun jaanta hai apun kya cheez hai. Chup chap kal paisa de aur uske baad apun ka aur tera raasta alag. Aur saala kal paisa nahin diya to tera gaand tod dega apun."
Yeh akhiri baat sunnkar Karamchand thoda ghabra gaya. Raghu yeh bolkar phone rakh diya. Karamchand bhi phone bistar par rakh diya aur thoda ghabrate hue Garima ke taraf dekha jo use gusse se dekh rahi thi.
Garima sab baat sunn rahi thi. Yahan tak ki Raghu ka aakhiri baat jab woh Karamchand ka gaand todne ka baat bola. Woh Karamchand ko dekhkar gusse mein sakhti se puchhi,"Yeh kya tha? Tum to bol rahe the ki uske paise nahin hain tumhare paas. Mujhse bhi jhooth bol rahe the tum"
Karamchand yeh sunnkar Garima ka haath pakad ke use apne bagal mein baithate hue bola,"Are darling tum kyun gussa ho rahi ho. Sach mein uske paise mere paas nahin hai. Jo paise milne wale the uska 10% hi uska hissa hai aur ab tak sirf 80% hi mila hai."
Garima yeh sunnkar boli,"To iss hisaab se 8%,matlab 80% ka 10% uska hissa hua ya nahin? Wahi to woh maang raha hai magar tum uske paise dene ke bajaye bahane bana rahe ho. Kaam banane ke jagah aur bigad diye. Uske hisse ka paisa tum de dete to kya bigad jaata? Haan?"
Karamchand safai dete hue bola,"Garima maine usse yehi to kaha ki baaki ke paise jab milenge to woh apna hissa rakh lega. Kuchh dino ki hi to baat hai, magar baat samajhna to chhoro, kaise badtameezi se baat kar raha tha mujhse. Uss saandh gunde ke mota dimagh mein kuchh ghusta hi nahin hai upar se badtameezi karta hai. Jaane do, uske jaise bahot gunde milenge kaam karne ke liye. Tumko yeh sab ki chinta karne ki zarurat nahin hai."
Garima yeh sunnkar boli,"Achha? Woh badtameezi kar raha tha to tum kya kar rahe the? Kisi ke bhi paise waqt par nahin doge to woh tumhari aarti nahin utarega. Use paise ki zarurat kal hai to woh kuchh dino ka intezar kaise karega?"
Karamchand ke paas iska jawaab nahin tha to woh chup raha. Usko chup dekh Garima aage boli,"Aur rahi baat uske jaise gunde milne ki to best of luck. Woh jaisa bhi hai humare jaan pehchan ka hai aur usulo wala hai. Zara main bhi to janu aakhir kaun sa aadmi hai jisse tum Raghu ka kaam karwaoge?"
Yeh sunnkar Karamchand thoda soch mein pad gaya magar Garima ke saamne confidence dikhane ke liye kuchh seconds baad hi bola,"Are mil jayenge. Kami thode hi hai uske jaise gunde ki".
Garima phir se boli,"Achha? To batao. Main bhi to jaanu ki tumhari nazar mein kaun aesa gunda hai jo bharosemand ho, humare saath sharafat se pesh aaye,imaandar aur usulo wala ho. Jaante ho aese kisi gunde ko".
Garima "gunde" shabd ko taunt karti huyi Karamchand se boli.
Karamchand yeh sunnkar soch mein pad gaya. Garima usko dekhkar boli,"Khair kaam to tum bigad hi chuke ho. Ab chup chap Raghu ke paisa kal de dena. Main nahin chahti ki woh yahan aakar hungama kare. Aesa woh karna nahin chahega magar use paise ki zarurat hai aur upar se tumne uska mood bhi kharab kar diya hai. Agar uske hungame se bhi tumko fark nahin padne wala hai to yeh soch lo ki phone rakhne se pehle usne kya kaha tha".
Karamchand ko dhyaan aaya ki Raghu ka uska gaand tod dene wala baat Garima sunn li thi. Use thodi sharmindgi mehus ho rahi thi ki uski padhi likhi, khoobsurat, jawaan aur modern biwi Raghu ka ganda baat sunn li thi.
Garima uske bagal se uthti huyi boli,"Aur kisi cheez ka nahin kam se kam apna hi khyaal karo. Main neeche jaa rahi hoon dinner karne. 5 minute mein tum bhi aa jaana".Yeh bolkar woh chali gayi.
Agle din Karamchand ko kaam se dusre shaher jana tha. Woh subah packing kar raha tha ki tabhi Garima neeche gym se workout karke kamre mein aayi aur usko packing karta dekh puchhi,"Yeh kya kar rahe ho? Kahan bhaag rahe ho? Yeh kya bewkoofi hai thode se paise ke wajah se bhaag rahe ho".
Yeh sunnkar Karamchand bola,"Garima main bhaag nahin raha. Kaam se jaa raha hoon".
Garima yeh sunnkar puchhi,"Abhi?to phir Raghu ke paise kab doge?"
Karamchand yeh sunnkar uske taraf dekhkar bola,"De dunga Garima. Tum bhi na. Biwi meri ho aur side uss Raghu ka le rahi ho".
Yeh sunte hi Garima gusse se Karamchand ke taraf dekhi. Garima ka expression dekhte hi Karamchand ko ehsaas ho gaya ki woh kuchh zyada hi bol gaya. Garima gusse se sakht lehje mein boli,"Kisi ki side nahin le rahi main. Jo sahi hai woh bol rahi hoon. Tum bina paise diye chale jaoge to woh yahan aakar hungama karega aur main yeh sab nahin chahti".
Karamchand yeh sunnkar muskurate hue bola,"Relax Garima. Woh tumhare saamne hungama nahin karega khaskar jab main nahin rahunga tab. Main rehta to woh drama karta".
Garima phir sakhti se boli,"Main kuchh nahin sunna chahti. Chup chap jaate waqt uske paise dekar yeh jhamela khatam karo".
Karamchand yeh sunnkar bola,"Garima main waapas aakar de dunga"
Garima phir usse puchhi,"Bye the way tum jaa kahan rahe ho?"
Karamchand waapas packing karte hue bola,"Delhi".
Garima usse puchhi,"aur aana kab hai?"
Karamchand usse bola,"Aaj hi raat mein aa jaunga Garima. Isliye to bol raha hoon ki aakar de dunga"
Yeh sunte hi Garima ka expression phir change ho gaya. Woh sakhti se boli,"Woh raat tak intezaar karne wala nahin hai. Use din mein hi paise ka zarurat hai. Chup chap jaate waqt uske paise dekar yeh jhamela khatam karo. Main ab aur bahane sunna nahin chahti. Pata nahin tumhe kya ho gaya hai. Thode se paise ke liye itna jhamela khada kar diye ho. Kanjusi ki bhi hadd hoti hai".
Yeh sunnkar Karamchand hara hua sa Garima ko dekhne laga. Garima yeh bolkar bathroom mein chali gayi. Aadhe ghante baad woh naha kar waapas aayi to Karamchand kamre mein nahin tha. Woh dressing table par baithkar make up aur hair dry karne lagi. Phir woh ek saree pehenkar tayyar ho gayi aur aaine ke saamne khud ko achhe se dekhkar confirm karne lagi ki woh achhi lag rahi hai ki tabhi use gadi ki awaaz sunai diya. Woh gaadi ka awaaz sunnkar andaaza laga rahi thi ki woh kaun hoga. Woh waapas se daye baaye ghumkar aaine mein khud ko dekhne lagi.