Scene -Hospital ke Baad
Doctor ke kehne par Bhanu Tau aur Vikram Chacha ko kuch der aur observation mein rakha gaya. Dadaji ne nokaro se ko un dono ke paas rukne ke liye kaha.
Dadaji_ Tum dono yahin raho. Doctor jab discharge karein to inhe aaram se ghar le aana.
Nokar 1_ Ji Thakur sahab.
Nokar 2_ Ji Malik...
Dadaji ne Meri taraf dekha.
Dadaji_ Jay, gaadi nikaal.
Jay_ Ji Dadaji.
Me aur Dadaji hospital se bahar aa gaye.
Jeep mein baithne ke baad Mene engine start kiya.
Jay_ Dadaji... ab hum kahan ja rahe hain?
Dadaji_ Jaswant Singh ke paas.
Mene turant dadaji ki taraf dekha.
Jay_ Abhi?
Dadaji_ Haan. Lekin pehle ek jagah rukenge.
Jay_ Kahan?
Dadaji_ Humara ak khet aayega raste me, uss khet ke paas.
Mene kuch nahi poocha. Jeep Bhanpur se bahar nikal gayi.
---
Scene - Khet Ke Kinare Dadaji Ka Sach
Kuch der baad Dadaji ne mujhe ak sunsaan khet ke kinare Jeep rokne ko kaha.
Dadaji_ Yahin rok.
Mene Jeep rok di.
Hum dono gaadi se utar kar khet ki med par jaakar khade ho gaye.
Dopehar dhalne lagi thi. Door tak kheton mein halki hawa chal rahi thi.
Dadaji kuch der chup rahe.
Jay_ Dadaji... aap mujhe yahan kyun laaye hain?
Dadaji ne door kheton ki taraf dekhte hue kaha....
Dadaji_ Kyunki aaj tujhe apne parivaar ka me ak or sach batane jaa rha hun, jo tujhe pata hona chahiye jo shayad tujhe kabhi kisi ne nahi bataya.
Me dhyaan se unki taraf dekhne laga.
Jay_ Kaisa sach?
Dadaji_ Tere Chacha Vikram ke pita Arjun Singh... mere sage bhai nahi the.
Jay_ To phir?
Dadaji_ Mere pitaji Shankar Singh ji ki maa, Jab dusri baar garbhavati huyi to, uss samay koi durghatna ghati or wo mrityu lok chhod gyi...
Tab Shankar Singh ji ke pitaji, Thakur Karan Singh ji ne dusri saadi kar li...
Unki dusri patni Radha badi hi krur or nirdhayi mahila thi, uska vyavhar bahut hi kharab tha mere pitaji, Shankar Singh ke prati ..ye baat jab Thakur Karan singh ji ne mehsoos ki to matra aanth varsh ki aayun me, mere pitaji ko sahar bhej dia, or hotel me rakh kar hi padaya likhaya...
Jab wo sahar pad likh kar purn roop se yuva hokar laute, tab tak Thakur karna singh unko humare gaanv me basane ki taiyari kar chuke the...
Yaha ki jamine unke naam kar di, ye makan dia or ak achche pariwar me rishta karke, mere pita jaa jeewan aabad kar dia...
Me_ Dadaji, kitne raaj hai or jo chhupe huye hai mujhse, or iss ghatna kaa Arjun Singh ji se kyaa rishta hai?
Dadaji_ Puri baat suno beta... THAKUR KARAN SINGH KO RADHA SE 2 SANTONO KI PRAPTI HUYI, AK BETA OR AK BETI...Halaki ki dono ke age me bahut diffrence tha, Vidhya Devendra se lagbhag 12 saal chhoti thi...
BETA KUNWAR DEVENDRA SINGH AUR BETI VIDHYA..
Me_ Dadaji, inka Arjun Singh ji se kyaa rishta hai or agar wo apke sage bhai nhi the to humse unka kyaa rishta hai, kyuki me bahut achche se janta hun, ki apke pitaji ne to dusri saadi nhi ki thi...or ye bhi ki wo apni maa ki ikloti santan the...
Dadaji_Arjun Singh ka rishta humare parivaar se bahut gehra tha. Mere pita Shankar Singh ki sauteli Maa Radha se jo ak sauteli behen janmi thi, Vidhya.
Jay_ Vidhya?
Dadaji_ Haan. Vidhya ne Devendra or Radha ke khilaaf jakar love marriage ki thi, aur uski shaadi se janma, Uska beta tha Arjun Singh.
Me dhyaan se sunta raha.
Dadaji_ Arjun ke maa-baap ki ek durghatna mein maut ho gayi, yaa yu kahu ki Devendra Singh or uske logo ne unhen maar dia tha... gala ghot kar kapdo se...Arjun us waqt bahut chhota tha. mujhe samajh nhi aaya ki saadi ke kai salo baad in logon ne, Vidhya or uske pati se kis baat ki ranjish nikali, unhe maar kar...
Jay_ Phir?
Dadaji_ Mere pita Shankar Singh ne usse apne paas rakhne ka faisla kiya. Uski padhai-likhai karwayi. Shehar mein apne ek dost ke yahan rakha. Wahi Arjun bada hua.
Jay_ To Chacha Vikram...
Dadaji_ Vikram Arjun ka beta tha.
Me kuch pal chup raha.
Dadaji_ Arjun jab bada hua to apni pushtaini zameen ka kanooni haq usse mila. Lekin uske andar ek aur cheez thi—apne maa-baap ki maut ka badla.
Jay_ Jaswant Singh se?
Dadaji_ Haan, uske pariwar se...kyunki Jaswant Singh, ussi Devendra Singh ki Ikauti Beti AHILYA kaa beta tha...
Aur wo Devendra or uska Jija Samar Singh Solanki hi the jinhone Devendra ki bahan or Jija ko maut ke ghat utar dia tha...uss wakt jaswant chhota tha......Or ye Samar Singh Solanki kaa hi beta hai Jaswant Singh....
Dadaji ki awaaz mein purani yaadein saaf mehsoos ho rahi thi.
Dadaji_ Arjun bachpan se hi jaanta tha ki uske maa-baap ki maut ke peeche Jaswant ke parivaar ka haath tha. Isi wajah se uske andar Jaswant ko haraane ki zid paida hui.
Jay_ Aur phir kushti hui?
Dadaji_ Haan. Arjun ne Jaswant ko chunauti di.
Jay_ Kya Arjun ko pata tha ki Jaswant kitna taakatwar hai?
Dadaji_ Pata tha. Maine use bahut samjhaya tha.
Dadaji ne gehri saans li.
Dadaji_ Lekin badle ki aag mein aadmi kai baar apni samajh kho deta hai.
Me chup raha.
Dadaji_ Arjun ne kushti haari. Uske baad jo shart lagi, usne uski zindagi barbaad kar di. use or unki biwi ko nokar banna pada Aur?
Jay_ Aur woh apne ghar se door chala gaya?
Dadaji_ Kuch samay baad Arjun aur uski patni Rani dono bahut mushkil daur se guzre. Phir Rani ki maut ho gayi.
Mene dheere se poocha—
Jay_ Aur Arjun?
Dadaji_ Rani ke jaane ke kuch hi samay baad Arjun bhi ek haadse mein mar gaya.
Mene nazar jhuka li.
Me_ Kyaa dono ne apni jaan khud se di?
Dadaji_ Haa sarmindagi me...
Me_ Fir aage kyaa hua?
Dadaji_ Tab maine faisla kiya ki mere apne beton mein se kisi ko bhi kushti ki usi dushmani mein nahi padne dunga.
Jay_ Isi liye Bhim Tau ko bhi aapne kushti chhudwa di thi?
Dadaji_ Haan.
Jay_ Lekin Dadaji... agar aap itna sab jaante the, to Jaswant ke saath dushmani khatam kyun nahi hui?
Dadaji ne Meri taraf dekha.
Dadaji_ Maine dushmani khatam kar di thi. Arjun ke liye mera dukh apni jagah tha, lekin main nahi chahta tha ki uski maut ke baad mere parivaar ka koi aur beta usi aag mein jale.
Dadaji kuch pal chup rahe.
Dadaji_ Lekin Jaswant ne purani aag ko kabhi bujhne nahi diya.
Jay_ Aur aaj usne Tau aur Chacha ko...
Dadaji_ Haan.
Dadaji ki mutthi band ho gayi.
Dadaji_ Isi liye aaj main usse ek baar phir kehne ja raha hoon—mere parivaar se door reh.
Jay_ Agar woh nahi maana?
Dadaji ne Meri aankhon mein dekha.
Dadaji_ Phir jo hoga, saamne hoga.
Mene dheere se gardan hila di.
[b][i]uske baad dadaji ne waha bane ak chhote se kamre ko khola, usse ak Dunali nikali, kuchh goliya nikali or tala laga kar mere pass aakar khade ho gye...[/i][/b]
[b][i]or mujhe uska istemal karna sikhaya.. mene bhi 2 nisane laga kar, samaj lia ki dunali chalani kesi hai...[/i][/b]
[b][i]Dadaji_ ise gaadi me hi rahne dena, Jay.. agar paristhiti bigde to, to iska istemal karna hai aur thok dena hai, Jaswant ko..[/i][/b]
[b][i]Me_ theek hai dadaji...[/i][/b]
[b][i]Me dadaji kaa ye roop pahli baar dekh rha tha..[/i][/b]
---
Scene - Roop Ganj....
Dadaji_ Chal. Ab Roop Ganj.
Jay_ Jaswant ka gaon?
Dadaji_ Haan. Aur yaad rakh... wahi hamara bhi pushtaini gaon hai.
Mene Jeep start ki.
Dopehar dhal raha tha. Jeep dheere-dheere Roop Ganj ki taraf badhne lagi.
Gaon ke bahar pahunchte hi kuch logon ki nazar Jeep par padi.
Ek aadmi ne doosre se kaha—
Gaonwala_ Arre... ye to Baldev Singh ki Jeep lag rahi hai.
Doosra Gaonwala_ Baldev Singh khud aa raha hai kya?
Kuch log sadak ke kinare rukkar Jeep ko dekhne lage.
Jaswant ke kuch aadmi unhe pehchaan gaye.
Ek aadmi_ Thakur sahab ko batao. Baldev Singh gaon mein aa gaya hai.
Mebe ye sab dekha.
Jay_ Dadaji, log hume dekhkar itne pareshan kyun ho rahe hain?
Dadaji_ Kyunki ye sirf ek gaon nahi hai, Jay. Yahan purani dushmaniyan bhi rehti hain.
Jeep seedhi Jaswant Singh ki haveli ki taraf badh gayi.
---
Scene - Haveli Ke Bahar
Haveli ke bade darwaze ke saamne Jeep ruk gayi.
Mene brake lagayi.
Dadaji ne darwaza khola aur gaadi se neeche utar gaye.
Haveli ke bahar khade Jaswant ke kuch aadmi unki taraf badhe.
Ek aadmi_ Thakur sahab ke aadesh ke bina tum andar nahi ja sakte.
Dadaji ne uski aankhon mein aankhen daali.
Dadaji_ Hato.
Aadmi_ Baldev ji, aap...
Dadaji ne uski baat poori hone se pehle hi use ek taraf dhakel diya.
Me bhi Jeep se neeche utar gaya.
Jay_ Dadaji...
Dadaji_ Mere saath chal.
Jay_ Ji.
Hum dono haveli ke darwaze ki taraf badhe.
Jaswant ke aadmiyon ne hume rokne ki koshish ki, lekin Dadaji Baldev Singh ne apni purani pahalwani ki taakat dikhate hue unhe peeche hata diya.
Mene bhi Dadaji ka saath diya.
Dadaji_ Kisi ko jaan se mat maarna, Jay. Bas raasta saaf kar.
Jay_ Samajh gaya.
Hum, Dono haveli ke andar ki taraf badhte gaye.
Andar se ek zor ki awaaz sunai di—
Jaswant_ Kaun hai jo meri haveli mein itna shor macha raha hai?
Dadaji ruk gaye.
Unke chehre par ek halki si muskaan aayi.
Dadaji_ Bahar aa Jaswant.
Kuch hi pal baad Jaswant Singh haveli ke andar se bahar nikla.
Uske chehre par wahi purani ahankari muskaan thi.
Uske peeche uski patniyan bhi aa kar khadi ho gayin. Jaswant Singh ki kul 6 patniya thi...
Jaswant ne Baldev Singh ko dekha aur hans pada.
Jaswant_ Kya hua, Bhai sahab? Itni door se mere darwaze tak chale aaye?
Dadaji_ Aaj baat karne aaya hoon, Jaswant.
Jaswant_ Baat? Ya purani haar ka hisaab?
Dadaji_ Na hisaab chahiye, na badla.
Jaswant ki muskaan aur gehri ho gayi.
Jaswant_ To phir mere darwaze par itna gussa lekar kyun aaye ho?
Dadaji_ Kyunki mere beton ko tune haath lagaya hai.
Jaswant kuch pal chup raha.
Phir dheere se bola—
Jaswant_ Maine unhe zinda chhoda tha.
Dadaji_ Bas isi liye keh raha hoon—dushmani yahin khatam kar de.
Jaswant_ Aur agar main na karun?
Dadaji ne Meri taraf dekha.
Dadaji_ To phir tujhe samajh aa jayega ki Baldev Singh ka parivaar sirf Baldev Singh ke naam se nahi pehchana jaata.
Me ek kadam aage badha.
Jaswant ne pehli baar mujhe gaur se dekha.
Jaswant_ Ye kaun hai?
Dadaji ke chehre par halki muskaan aa gayi.
Dadaji_ Mera pota.
Jaswant_ Pahalwan banaya hai ise?
Dadaji_ Iska jawab tujhe khud baa khud mil jayega...
........