Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Non-erotic SHUBHAM
#61
waiting
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#62
Update 16……


Pichla update tak aap logo na dekha Ek taraf Indian Army ka best officers ko vapas best ka saath train kara jaa raha hai aur dusri taraf mei training room sa apna room taka a gaya……

Ab aage……

Shubham: Jab meri aankh khuli to uss samay raat ka 10 baj raha tha aur mujhe bhook bhi bhut lagi thi…… Mei uth kar bahar aaya to mujhe samna Iszy baithi mili……(Yaha aap sabhi ko ya clear kardu ki har floor par ek common sitting room hai, jo ki humara room sa nikalta hi hai…..)

Iszy: Uth gaye janab aap?[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Shubham: Ha uth gaya, par aap mujhe essa kyu puch rahi ho….[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Iszy: Aur nahi to kya karu, Pata hai dinner time Willy aur meina tumhai kitna uthaya par tum to ghoda bech kar so raha tha……

Shubham: Maaf karna, par mei bhut thak gaya tha training ka baad islye pata nahi chala……. Mei abhi jaakar dinner kar leta hu mess mei…..

Iszy: Ary bhai ab kon kholega tumhara liya mess….. Yaha dinner time 8pm sa 9:15 pm tak kaa hi hai…..

SHubham: Kya….[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png] To ab mei kya khau…… mujhe to bhut bhuk lagi hai……

Iszy: Mujhe hi khaa lo……. Ary meina bola hai, mess band hai par school ka bahar ka stalls puri raat khula rahata hai….. vaha kuch kha lo….

Shubham: Ary ha, mei to ya bhul gaya tha…… Willy na bataya tha…..
Mei aata hu kuch kha kar…..


Iszy: Had hai matlab…… Meina tumhai suggest kara aur tum mujhe hi nahi puch raha ho saath chalna ko, bhalai ka jamana hi nahi hai……

Shubham: Ary maaf karo mujhe laga tumna kha liya hai, aur tumhai saath chalna ko kaha kar kyu pareshan karu islye nahi pucha……

Iszy : Chalo Chalo ab baate mat banao mujhe pata hai sab….. ab chalo bhi mujhe bhi bhuk lag gayi hai firsa……

Aur hum dono nikal liya bahar stalls par khana ka liya…… vaha pahuch kar hum ussi tea stall mei pahucha jaha kal madam na sab kuch thod fod diya tha……

Shubham: Yaar hum yaha kyu aaye hai….. Ya to tea stall hai na……

Iszy: Ary yar, tum na bs baitho shanti sa …… aur iszy vaha ka owner ko khana ka order de di aur mujhc boli ya na koi tea stall nahi hai….. ya yaha ki street ka food king hai, bus bahar tea stall islye likha hai kyunki inhona tea sa apna business suru kara tha aur aaj bhut bada business hai, sab kuch milta hai yaha…..

Itni der mei humara order aa gaya tha….. Hum dono vaha baitha baitha aram sa kha raha tha aur saath hi baate bhi kar raha tha, Iszy ko baate karna bhut pasand tha…… Inhi baato mei hum logo mei achi banana lagi thi…. Aur mei uska baaremei aur bhi bhut kuch jaan saka tha…… Essa hi hum vapas room mei jaakar phir aram karna laga aur mei subha 5 baje uth kar fir sa pahuch gaya training ground jaha meina bhut kuch karna tha…… Issi bich huma exercise karana ka liya jis trainer ko aana tha vo bhi aa gaye aur unhona mujhe aaj running karna sa phele kuch exercise karayi, jiski vajah sa mei phele sa jaada comfortable feel kar raha tha, aur essa hi training chalti rahi aur mei ab apna target ka bhut karib tha……

Shubham: Ab mei 30 kg ka wait ka armor ko easily utha kar running karna laga tha aur meina ek week mei apna tym 1 hour 45 minute tak increase kar liya tha running ka, aur mei ab murgo ko pakadna bhi laga tha, par murgo ko pakadna ka kaam itna easy nahi tha….. vo pata nahi kaisa bhag jaata hai har baar mera haath mei aana sa phele……

Aaj training ka 8th day tha aur aaj baaki sabhi na bhi mujhe join kar liya tha, un sabhi ko bhi Madam na vahi kaha aur vasa hi surur karna ko kaha jaisa mujhe kaha tha……. Jab unki body par 30kg ka armor ka weight aaya tab jaakar unhe samaj mei aa gaya tha ki ab unki kaisi halat honi hai……. Training ka khatam hona ka baad sabhi ki halat bhut buri thi aur aaj unki essi halat dekh kar mei has raha tha, jisma sabsa buri halat Willy ki t hi…… Khair meina sabki madat kari hostel room tak pahuchna mei aur raat ka khana ka liya kissi mei himat nahi thi mess tak jaana ki, islye mei hi sabhi ka liya khana pack kara kar le aaya tha…… Training apni speed sa bad rahi thi aur aaj huma training karta hua 15 din ho gaye tha……….. Par inn 15 dino mei huma samaj aa gaya tha ki aage humara liya mushkil bhut badi aur jada hona vali hai…… Mei ab 30kg weight ka saath bhut comfortable ho gaya tha, jabki baaki sabhi ko abhi bhi kaafi pareshani thi…….


Par 15 din baad ek saaya humara hi school mei dekha gaya…….. Aaj amavasya ki raat thi aur iss vajah sa puri raat andheri kaali hi thi, vasa to humara school ka bahar ka stalls khula rehata hai aur students bhi raat ko bahar dekha jaa sakta hai, par uss din sab taraf bus sanata pasra hua tha…… kahi sa bhi kissi chij ki awaj nahi aa rahi thi…… Vo saaya humara hi rahana ka hostel ka picha sa nikala aur pura hostel ka aas pass chakar lagakar nikal gaya, school ka hi ghodo ka rehana ki jagah……. Vaha sa usna ek ghoda liya jo ki pura kale colour ka tha…… Uss ghoda aur uska upar beitha savar ko dekh kar essa lag raha tha ki aaj iss andheri raat mei andhera ka raaja iss dharti par utar aaya ho aur sabhi taraf bus ab apna kahar barsana ka liya tayar ho……. Vo ghod savar ghoda ko teji sa lekar school sa bahar nikala….. Jo sehar kabhi khali nahi hota tha, aaj ki raat uss pura sehar mei ek dum shanti thi, vaha kissi pin ka girna ki awaj bhi loudspeaker mei boli gayi baat ki tarah lagti….. Uss shanti ko cherta hua ek ghoda vaha sa nikala, par kissi ki himat nahi thi ki vo bahar nikal kar dekh saka aakhir kun hai jo iss shanti mei bhi bahar ghum raha hai...... Vo ghoda sahar sa bahar nikal kar, vaha ka sabsa ghana jungle ki taraf bad raha tha aur uss jungle ka bahar pahuch kar bhi vo ghoda ruka nahi aur iss andheri raat mei bhi lagatar chalta jaa raha tha, jaisa usse sab kuch saaf dikh raha ho aur saath hi vo jiss tarah sa jungle ka sabsa Ghana ilaka sa nikal raha tha essa pratit ho raha tha jaisa vo yaha aata jaata rehata hai, usse iss pura jungle ki bhut acha sa jaankaari hai……

Kuch 25 minute ka lagataar teej rafter sa chalna ka baad vo ghoda uss jungle ka sabsa Ghana ilaka mei pahuch kar ek bada sa pahad ka saamna jaakar ruk gaya, par vaha phele sa ek aur saaya khada tha……. Vo bhi ussi ka pass jaakar ruka………
(Yaha school vala ko saya 2 aur yaha maujood vala ko saya 1 likhunga……)


Saya 1: Bhut der kar di aana mei…..?

Saya 2: Faltu baat ki jagah kaam ki baat kra…..

Saya 1: Vo upar hai……

Saya 2: Thik hai…..

Yaha kaha kar saya 2 vaha sa thoda siddha haath ki taraf jaakar ek Ghana ped ka nicha apna ghoda sa utar, usse ghoda sa tum aaj ki raat yahi aaram kro….. mujhe kuch samay lagega…..

Vo ghoda haami mei apna sir hilata hai, jaisa vo ya jata raha ho ki vo uski saari baat samajh gaya hai……

Iss samay uss jugle ka mahool ek dum dara dena vala tha….. Ek to Ghana jungle uska upar sa amavasya ki raat jiska chalta vaha roshni ki ek kiran bhi najar nahi aa rahi thi……Aur uss jagah ek dum shanti thi, itna bada jungle mei kissi bhi janwar ki koi awaj nahi aa rahi thi…….Itni ghanghor shanti ek sandesh de rahi thi ki jaldi ek bhayankar tufan aana ko hai…. Essa tufaan jisse sab kuch khatam ho jayega……

Saya 2 vaha sa nikal kar pahad par bana ek choti si pakdandi sa hota hua upar ek gufa ki taraf bad gaya jaha sa thoda ujala aa raha tha…….Ya ujala lakdiyo ka jalna sa aa raha tha….. Saya 2 na jaakar uss jalti lakdiyo par bhi paani daal kar usse bhuja diya, aura b vaha ek dum fir sa sirf aur sirf ek ghanghor andhera raha gaya tha…….Abhi yaha ki halat ka aur kuch jada pata chalta ki achanak uss gufa mei sa logo ka cheekhna chilana ki awaj aana lagi…… Uss chilana ki awaj mei ek dard aur dar ki mili juli awaj thi….. Ya awaj itni tej thi ki aas pass yadi koi jaanwar bhi hota to vo dar kar apna ko surakshit karna ka liya vaha sa dhur bhaag gaya hota, vo cheekh shant mahool mei pura jungle mei fail gayi…… Ya cheekha karib 10 minute tak aati rahi aur phir vaha fir sa shanti pasar gayi, vasi hi shanti joo tufaan ka nikal jaana ka baad ho jaati hai……..

Achanak vaha phirsa roshni aana lagti hai……… Aur vaha sa kuch awaja bhi aana lagti hai……… Ab vaha fir sa do saya ho gaye, Roshni hona ka baad jo haal vaha kaa tha usse dekh kar to ek baar shetan ki ruhu bhi kaamp jaaye……. Har taraf bus khoon hi khoon tha, par jo dil dehala dena vala tha vo tha har sharir sa unka dhad(sir), haath, paav sabhi alag alag hua tha, unhe dekhna sa hi lag raha tha ki isse kissi na haath sa hi khich kar nikala hai………… Essi dard naak maut to ek baar shetan bhi nahi deta hoga, jaisa maut un logo ko nasib hui thi……….

Saya 1: Ho gai tum khush Mariana……[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

(jee haa dosto jo school sa hota hua ghoda par iss jungle mei aaya tha, vo Mariana hi thi…… aur usse jo nicha saya 1 mila tha vo AS…..)

Mariana: Ha AS, inn jaiso ki maut to isse bhi bhayanak tarika sa honi cahaiya……

AS: Shaant Mariana…… Mei jaanta hu jo inhona kara hai vo sahi nahi hai, par uski essi saja ya bhi sahi nahi hai……… Itna kaha kar AS uss jalti aag mei sa ek lakdi lekar un sabhi ka sharir aur unka dusra pada ango ko bhi agni de deta hai……….

Mariana: AS ya kya kar raha hai ho…… Inka sharir ko to jungle ka jungli janwaro ko daal dena cahaiya….. vo jab inha noch noch kar khaayega, vahi sahi hai inka liya……

AS: Mariana shaant raho……. Inhona jo kara tha uski saja inha mil gayi hai, ab inko iss duniya sa mukti milni hi cahaiya……. Vasa tumhara iss roop na iss pura sehar mei itna kaauf macha diya hai ki amavasya ki raat ko log apna ghar sa bahar nikalna sa bhi darta hai……

Mariana: Buro ko mitana ka liya ya sab karna padta hai……..
Par ek baat batao tum yaha kyu aaye, yaha to Nigro ko hona cahaiya tha aur tumhai kaisa pata ki mei Nigro ka pass kis kaam sa gyi hu…..


AS: Vo islye ki Nigro ko meina kahi bheja hai, dusri baat mujhe ya pata tha jab tumhai ya pata chalega ki Shubham ko kisi a gulam bana rakha tha, to tum uska pata karna ka liya Nigro ka pass jarur jaogi aur mei uss din vahi tha, bus antar ya hai ki na  tum aur na hi Nigro mujhe mera roop mei pehachan sakta tha……

Mariana: Matlab mera upar jasoosi kar raha tha…..[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]? Vasa tumhai yaha ka pata kaisa mila, Ya baat bhi Nigro na tumhai batayi kya……….[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

AS: Nahi, nigro ko meina hi kaha tha ki tumhai ya sandesh de de ki tumhai ya kaha milega……. Aur dusri baat mei inka upar pichla 5 saal sa najar rakh raha hu, isslye mujhe ya pata hota hai ki ya kab aur kaha milega…….

Mariana: What……[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png] Jab tumhai pata tha ki Shubham unka pass gulam hai to tumna usse vaha sa chudaya kyu nahi…..[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]?

AS: Mariana, bhut si baate hai……

Mariana : AS essa kya hai jo tum itna chupa raha ho, aur saath hi ab mujhe doubt ho raha hai iss ladka par, aakhir ya hai kun mujhe sab kuch jaana hai abhi…….

AS: Thik hai Mariana mei tumhai Shubham ka baara mei batata hu, par abhi mujhe bhi sab kuch nahi pata hai…. Essi bhut si baate hai jinka javab mera pass nahi hai…….

Mariana: AS tum mujhe apni baato mei mat ghumao aur tum mujhe aaj uska bare mei sab kuch bataoga, jitna tum jaanta ho, suru sa aakhir tak aur ismei tumhari koi chalaki hui to aaj tumhara sir bhi alag kar dungi…..

AS: Ary gussa mat ho, mei tumhai sab kuch batata hu jo mujhe pata hai……

Chaliya dosto aaj yahi rukta hai aur baaki hum agla update mei dekhta hai, ki aakhir AS Shubham ka baaremei essa kya batata hai………

Stay Tunned and waiting for comments ……………………
Like Reply
#63
kya dhamakedar update hai
Like Reply
#64
lagta hai ki ab kuchh raaz khulenge
Like Reply
#65
Nice Update....
Ab Subham k bare mein pata chalega...

Waiting for next update
Like Reply
#66
Wating more dear
Like Reply
#67
Update 17


Pichle update mei aapna dekha ki kaisa Madam Mariana na logo ka khatma kara aur fir AS mera bara mei batana laga……

Ab Aage.......

AS: Mariana tumhai yaad hoga aaj sa 18 saal phele mei Earth par gaya tha apni kisi research sa related, aur meina tumhai kaha tha ki mujhe 5 saal lagega aana mei, par mei 3 saal mei hi vapas aa gaya tha……

Mariana: Ha yaad hai, tum uss samay kissi paudha ki khasiyat par research kar raha tha……. Aur meina tumhara jaldi aana par kaha tha ki tum iss baar jaldi kaisa aa gaye……

AS: Ha, jiska javab meina diya tha ki meri research puri nahi ho sakti hai, usmei kuch kami hai……. Par asli baat ya hai ki mei meri research chod kar aaya tha, aur uska karan hai Shubham…….

Asal mei Shubham mujhe dharti par basa ek MUSHBARU naam ka jungle mei mila tha, uss din ki har baat aaj bhi mujhe iss tarah yaad hai jaisa sab kuch mera samna abhi ho raha hai, vo barish ka samay tha dharti par, uss din subha sa hi bhut ghanghor varsha ho rahi thi uss jungle mei, jiska chalta uss jungle mei kisi bhi tarah ka janwar khula mei nahi dikh raha tha aur dhur dhur tak sirf barish ki boondo ka dharti aur pedo ka pata par girna ki awaj aa rahi thi……. Mei bhi uss barish ka anand leta hua apna kaam kar raha tha, ki tabhi achanak ek mahila na jaana kaha sa mera samna aaye, usse dekh kar hi lag raha tha ki vo bhut ghabrai hui hai aur uski saas kaafi phuli hui thi……. Jaisa kissi sa apni jaan bacha kar bhag rahi hai aur kaafi samay sa bhaag rahi hai……. Usna mera pass aakar mujhe ek bacha thama diya aur mera pair mei gir kar bus yahi bola iss bacha ko lekar kahi dhur chala jao, isko maarna ka liya bhut log iska picha padha hai agar galti sa bhi ya unka haath lag gaya to vo isse maar dega…… aur usna ek aakhri baar us bacha ka maatha chuma, aur ek letter aur ring mujhe di aur vaha sa bina kuch suna bhaag gai…… Mei jab tak sab kuch samajhta aur kuch kahata tab tak vo jaa chuki thi, aur raha gaya mera pass vo bacha……. Vo bacha hi hai Shubham……… Uss din ka baad sa karib ek mahina tak meina uss mahila ko dhunda aur saath hi uss jungle mei bhi jaha vo mujhe mili thi vahi apna rahana ki jagah banayi taaki vo agar kabhi dhundti hui bhi mera pass aaye to mei usse vapas mil saku…….. Par essa kuch nahi hua, na vo vapas aayi aur na hi mujhe uska baaremei kuch pata chala……….

Mariana: tum usse yaha laana ki jagah dharti par hi bana anath aaliya mei usse chod deta, jaha iski acha sa dekh bhaal ho jaati…..

AS: Mariana meina uska baad yahi socha tha aur meina vaha bhut saara anath aaliya bhi dekha, par vaha ka sabhi anath aaliya dekhna par to yahi lagta hai ki vo bacho ki dekh bhaal karta hai, par asliyat mei vo inn bacho ka jivan ka saath khilwad karta hai, vaha ki haalat dekh kar mera man nahi maana ki mei isse vaha chod aau, islye mei isse yaha apna saath le aaya…….Aakhir ya amanat thi kissi ki mera pass…….

Mariana: Par tum usse yaha lekar aana ka baad bhi ya yaha kaisa jinda hai, kyunki dharti aur humari hawa mei antar hai……[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

AS: Mariana iska javab to bus yahi hai ki, humara iss graha ka utar-purv(North –East )mei ek kabila rahatha tha jiska naam Trimaal Kabila tha, uss kabila mei ek vaid hua karta tha Vaid Mishrantyamash, unhona kuch jadi buti ki madat sa saalo phele ek dava banayi thi jiska chalta hum kissi bhi hawa mei saas le sakta hai, bus mei bhi isse vahi le gaya aur unhona isse bhi vahi dawa de di thi, aur mera aagrah par unhona isse apna saath uss kabila mei hi rakh liya apna beta samajh kar……

Mariana: To fir ya gulam kaisa ban gaya aur ya kitna chota tha uss samay…….[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

AS: Mariana Shubham mujhe jab mila tha tab vo keval do din ka tha, uska naam bhi meina hi rakha tha, isse vaha chod diya, par meri najar humesha uspar rehati thi, vo uss kabila mei khushi khusi jeena laga tha, uski umar koi 10 saal hi hui hogi ki ek din uss kabila mei kuch logo na humla kar diya aur uss humla mei sara kabila idhar udhar bhaag nikla, par ussme vaid ki mratyu ho gayi, aur un logo na isse kaid kar liya , aur isse gulam rakhna vala logo ko bech diya…..Issi pariwar na usse kharida tha…….

Mariana: Jab tumhai pata tha to tumna usse bachaya kyu nahi……[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

AS: Mei isse bachana gaya tha, par kissi vajah sa vapas laut aaya aur iss baat ka intezar karna laga ki sahi samay par mei usse vaha sa nikal lunga…….

Mariana: Uss letter mei kya tha AS………[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]?

AS: Uss letter mei bus itna likha tha ki iss bacha ko bacha kar rakhna, iski jaan ko bhut khatra hai, humara pariwaar ka bhut dushman hai aur vo sabsa phele iski jaan lena cahata hai, aur saath mei ek anghuti thi…….

Mariana: AS tum isse humara saath bhi rakh sakta tha, phir tumna essa kyu kara, aur essi vajah kya thi ki tumna isse azad nahi karaya…….?

AS: Mariana jab mei isse lekar aa raha tha tab meina apna aap sa vada kara tha ki mei isse itna takatwar banauga ki ya apna pariwaar ka rakshak ban saka aur uska liya isse sabhi tarah ki sukh suvidha sa dhur rakha taaki ya majbut ban saka…….Mei isse gulami sa aazad isslye nahi karaya kyunki vaha isse pain mil raha tha, par uss pain mei bhi iski awaj nahi nikal rahi thi jisse mei samaj gaya tha ki iski sehan shakti bhut hai, jiska chalta mujhe laga ki yadi iska pain ko sahi disha mile to aage jaa kar ya bhut bada bada kaam kar sakega.....

Mariana : Aur kuch hai iska baaremei jo tum jaanta ho aur mein nahi....... kyunki ismei sa ek bhi baat ya saabit nahi kar rahi hai ki ya khaas kyu hai…….?

AS: Bus yahi sab hai, kyunki ya amanat hai kissi ki……

Mariana: AS sach batao……

AS: Mariana tumna kabhi uska haath mei pehana kada dekha hai……

Mariana: Ha dekha hai……. Par vo to aam kada hai……

AS: Nahi Mariana, vo pura sona ka bana hai, aur vo sona iss duniya mei bhut mushkil sa hi kissi ko milta hai…….

Mariana: AS tum ab bhuda ho gaye ho, tumhari aankhe dhoka kha rahi hai…….

AS: Mariana tum ya iss liye bol rahi ho kyunki tumna phele kabhi isse nahi dekha hai aur vasa ya sach bhi hai iss duniya mei essa sona mushkil sa koi 10-15 logo na dekha hoga……


Mariana: Tumhai kaisa pata ki ya sona ka hai……?

AS: Mariana kyunki mera haath mei bhi thik ussi tarah ka kada hai…….. Islye mujhe pata hai……

Mariana: Wat……? Tumhai ya kab aur kaha sa mil gaya……… aur tumhai mila to bhi Shubham ka pass ya kaisa aaya…….[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

AS: Mariana ya kada mujhe mera phele Guru Rishi Chandrabhiyom na pehanaya tha………. Ya koi aam kada nahi hai, iss kada mei unhona apna tap ki Shakti sa mera dwara istemaal kari jaana vaali shakityo ko roka tha, taaki jab tak mei unpar control nahi kar leta tab tak mei apni urja ka istemaal nahi kar sakta tha……. Mera kada par teen ubhar tha jo darshata tha ki mera pass teen tarah ki Shakti hai…….

Mariana: tum ya kahana cahata ho ki Rishi Chandrabhiyom na Shubham ko ya pehanaya hai, par ya kaisa ho sakta hai, kyunki Rishi Chandrabhiyom ko to gayab hua laakho saal beet gaye hai…….

AS: Ha mei bus yahi soch raha hu ya kaisa ho sakta hai, par mujhe lagta hai kuch hai jo hum nahi dekh sak raha hai………(man mei) agar rishi chandrabhiyom na hi ya kada isse pehanaya hai, to iska matlab laakho saal pehale hui baat phir sa nikalegi……… Pata nahi iss samay na kya kya rakha hai aage……….

Mariana: AS kya tumhai Shubham ka pariwaar ka baaremei pata chala kya……? Kya vo abhi bhi jinda hai ya nahi…….?

AS: Mariana phicle 15 saalo mei mujhe aaj tak kuch bhi pata nahi chala hai, par mei puri koshish kar raha hu abhi bhi uss mahila ko dhundna ki………

Mariana: AS ya baat tum Shubham ko kaisa samjhaoga……… aur kab bataoga…….?

AS: Mariana mei usse sacha hi bolunga jiska badle agar vo meri jaan bhi le lega to bhi mujhe koi dikat nahi hai, aur kab bataunga to uska liya samay jaldi aayega, kyunki kuch din phele meina usse vada kara hai ki yadi vo sabsa hard physical aur mental training puri kar lega to mei usse uska savalo ka javab de dunga…….

Chalo bhut saval kar liya ab tumna, ab huma chalna cahaiya subha hona ko hai……


Itna kaha kar vo dono vaha sa nikal leta hai……. Par fir sa chod gaye picha kuch saval jinka javab aage mil jayega………..
Aaj ka liya itna hi dosto milta hai agle update mei……. Aap sabhi ka commets ka intezar rahega……..


AAP SABHI SA MAAFI KAL KA LIYA PAR MERA PER MEI LAGNA KI VAJAH SA MUJHE BHUT PAIN THA AUR MUJHE USSE AARAM KA LIYA NEEND KI GOLI KHAANI PADI……. PAR MEI KOSHISH KAR RAHA HU KI UPDATE AAP LOGO KO REGULAR MILTA RAHA…….
Like Reply
#68
fabulous update
Like Reply
#69
Plz update
Like Reply
#70
shubham to prithvi se hai.
Like Reply
#71
Update please
Like Reply
#72
waiting
Like Reply
#73
update do
Like Reply
#74
Kahan how bro..
Waiting.......
Like Reply
#75
Aa v ja bhai
Like Reply
#76
Update please
Like Reply
#77
kaha ho upadate do
Like Reply
#78
Update 18


Pichle update tak aapna dekha ki AS na SHubham sa juda kuch saval ka jab de diya hai aur uska baad vo vapas nikal leta hai school ka liya…..

Ab Aage…..

Chaliya hum ek baar fir sa dharti par hokar aate hai……..

Aaj dharti par uss army camp mei sabhi ko training leta hu kuch 13 din ho gaye tha………. Par aaj ki subha kissi ki jindagi mei nayi subha lekar aaye thi to kissi ki jindagi mei bhut dard…….. Aaj uss training camp mei subha subha jaha sabhi trainee training ka liya ground par tha, tab vahi picha S2 ka office mei subha subha S2 aur US 1 baate kar raha tha, par inki baato ko muda kuch bhut gambhir tha, chaliya hum bhi chal kar dekhta hai………

US1 : (S2 sa) sir mujhe lagta hai aap logo ko Captain Aaliya ko army sa nikal dena cahaiya…….

S2: Ya baat sunkar vo ek dum shock hua aur unse pucha …….
Aapko essa kyu lagta hai ki huma Captain Aaliya ko iss desh ki army sa nikal dena cahaiya……..[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]?


US1: mushkurata hua……. Vo islye ki Captain Aaliya ki jarurat iss desh ko ek army officer ki tarah kam aur ek Intelligence Spy ki tarah jaada hai……..

S2: Unki ya baat sunkar unhe kuch sukun hua, par phir bhi vo usse pucha aap ko ya kyu lagta hai……[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]?

US1: Sir Captain Aaliya ka pass vo sab khubhi hai jo ek behatarin spy mei honi cahaiya…….. Vo kaafi active hai, har situation ko handle karna ka liya ready hai aur sabsa important baat vo computer expert hai jiski jarurat ek spy team aur spy ko hoti hai….... aur uski combat skill bhut badiya hai……

S2: Aapki baat to sahi hai, par ek acha spy aur ek khaas spy mei bhut antar hota hai……. Aur khaas spy bina proper training ka tayar nahi kara jaa sakta hai, aur essa kun hoga jo apni marji sa kissi ko spy banaye……..[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]??

US1: Aapki baat sahi hai, par agar mei kahu ki aapki iss problem ka solution hai mera pass……..

S2: Kun hai vo jo isse ek acha spy mei convert kar dega……..[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

US1: Dekhiya phele baat ya hai ki ya MOIS, (MOIS ya ek Israel Intelligence ki unit hai, jo ki puri duniya mei sabsa jaada apni hard training aur better skill of spy ka liya mashoor hai……. Yaha par duniya ka sab bada sa bada spy apni physical fitness ko improve karna aana cahata hai, par vo fitness clear karna bhut mushkil hai………) ka Director ka under mei kaam karegi bina Indian aur Israelian government ka bich kissi bhi tarah ka samjhota ka……….. uski jimedari meri hai, aur jab ya ek do saal mei vaha sa tayar hokar nikalegi to uska baad MI6 ka liya ek saal kaam karka vapas India aa jayegi, tab tak ya puri tarah tayar ho jayegi……..

S2: Hmmmm aapki baat mei dum hai, par koi essa hi kyu isse sikhaega……..[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

US1: Sir vo isse essa hi nahi sikhaega, mei unhe iska liya tayar karunga……..

S2: Par baat to vahi aakar ruk gayi, aapka kya interest hai isma……[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

US1: I knew it, ki aap ya jarur puchega, to mera interest bus itna hai ki iss duniya mei sabhi log khussi sa raha aur logo ki jaan kisi terror attack sa na jaaye…….. Aur vasa bhi mera ancestors Indian tha, islye mei cahata hu ki iss desh mei kabhi kissi ko buri maut na mila…….

S2: I am sorry, mei aapko hurt nahi karna cahata tha, par aaj kal logo mei essi baate nahi hoti hai islye thoda satark rahana padhta hai…….

US1: I know sir, par aap meri baat par sochega………

Itna kaha kar US1 vaha sa nikal kar vapas training ground par aa gaye jaha aaj vo sabhi ko naye physical fitness skills dena vala tha…….. Khair inhe yahi chodta hai……

Ab hum chalta hai India ki raajdhani Delhi ki taraf, jaha sab kuch hai, par fir bhi aman chain nahi hai........ Yahi par humara desh ka sabhi bada Intelligence aur Security Forces ka head office hai…….

Delhi ka outer mei karib 30km ki dhuri par ek ilaka hai, jisse dekh kar hi lagta hai ki ya kabhi basa nahi hai, iss ilaka mei bus agar kuch hai to vo hai sanata aur saath hi har taraf bs banjar zamin, par iss banjar zamin ko bhi logo na nahi choda hai, yaha bhi log rahata hai aur saath hi jeena ka liya kuch kaam kar leta hai, par ya ilaka bhut posh ilaka nahi hai…….. Iss ilaka mei ek dhaba bhi hai, par ya dhaba duniya ko gumraha karna ka liya hai, asal mei ya Hindustan ka ek kufiya base hai…….. iss dhaba mei sa niche ek basement khulta hai jo kaafi secured hai, vaha yadi atom bomb bhi fodo to niche logo ko koi asar nahi hoga……. Ya basement karib dharti mei 7 floor niche hai……. Par yaha abhi desh ka sabhi bada forces ka head baitha hai, cahaiye vo RAW ya IB ka director ho, ya security officer ka DGP, ya army ka Leftinent General ya aur kissi bhi forces ka head……. Inhi sabhi ka saath baitha hai desh ka Defence Secretary aur Special Defence Advisor……… Vasa ya Special Defence Advisor apna aap mei bhut hi khatarnak spy raha hai, jinhona apna retirement period sa phele dusra desho mei spy karka desh ko kaafi baar badi musibat sa bachaya hai…… Par iss waqt sabhi ka cehara par pareshani dekhi jaa sakta hai…….

( Yaha Defence Secretary ko DS aur Special Defence Advisor ko DA likhunga…… )

DS: aaj ki meeting ka karan aap sabhi ko pata hai, aaj hum jarur hona vala humla sa bach gaye hai, par huma kuch action to lena hoga……

Par aaj kissi department ka pass koi javab nahi tha aur uska karan tha sabhi log aaj fail hua hai, par aaj humla aatankiyo ki galati sa nahi hua hai……. Vaha kissi ko bhi kuch nahi bola jaa raha tha…….. Iss shanti ko thodna ka jima liya Army Head Mr. Narayan na……

Narayan: Sir with due respect par mujhe lagta hai ki ab humma iss desh ki surakhsa ka liya ek naye tarika sa sochna cahaiya……..

DS: To bataye vo naya tarika kya hai, mei ussi tarika ko jaana cahata hu…….

Narayan: Sir mujhe lagta hai ki hum desh ko bahari humlo sa bachana mei to bhut had tak kaamiyaab ho raha hai par hum desh ka andar chupa hua aatankiyo ko nahi rok paa raha hai…….. Vo usse aage kuch bolta ki Bich mei DGP bol pada……..

DGP: To Mr. Narayan aap ya kahana cahata hai ki hum security officer aur ATS ya baaki sabhi forces jo desh ka public ka liya kaam karti hai vo apna kaam sahi tarika sa nahi kar rahi hai……..

Narayan: Sorry DGP ji, par mera matlab ya nahi tha aur na hi mei kissi department ko kissi tarah niche dikhana cahata hu, mei jaanta hu security officer ya baaki sabhi log apna kaam imandari sa kar raha hai, par security officer vaalo ko aam logo ki pareshani suljhana ki vajah sa samay nahi mil paata hai……..

Narayan: (DS sa) sir mera maana hai ki iss desh mei ho rahi sabhi tarah ka criminal activity mei iss desh ka bada businessman aur politicians ka haath hai,

DS: Tum jaanta ho Narayan tum kya bol raha ho…… aur fir DA sa aapko inki baat sahi lag rahi hai……

DA: Sir please phele unhe apni baat puri karna de, aur aap sab bhi bich mei unhe rokna ki jagah unhe suna…….. Mr.Narayan please ab aap apni baat continue kara mei aaj aapka views sunna cahata hu……..

Narayan: Thank You sir, mei yahi bol raha hu humare desh ka criminals iss desh ko nuksaan pahuchana mei itna kaamiyaab islye hota hai, kyunki humara hi desh ka log unsa mile hota hai, jo ki aksar politicians, ya fir bda businessman hota hai, vasa to hum kabhi un tak nahi pahuch paata hai, par yadi hum kabhi pahuch gaye aur unki investigation ka liya question kara to vo huma kissi na kissi ministers aur unka karibi ki pahuch sa rok deta hai, jiska chalta security officer apna kaam nahi kar paati hai aur yadi kuch hota hai to hum sabhi ko yaha sir jhuka kar baithna hota hai aur saari galti hum par aa jati hai, jabki iss desh ka politicians aur ministers hi desh ki sabsa jaada band bajata hai………….

DA: To fir aap iska bhi solution bataye…….

Narayan: Sir mera maana hai ki huma ek alag unit banana cahaiya jo CBI, IB, RAW, security officer, Army, Navy, Airforce ya baaki kissi bhi security force sa upar ho, jisko huma sa koi control nahi karta ho, kissi minister ya fir kisi bhi politician sa vo na dara aur na hi unki baato sa unhe koi farak pade……. Vo apna kaam ko kara…….. Hum sabhi departments unhe support kara har mission mei, vo apna rules and regulation khud banaye aur agar iss bich desh ka bana kuch Constitution ko bhi vo thod de to bhi unhe koi na roka…….. Bus vo desh ka liya puri imandari aur dedication ka saath kaam kara…….

Narayan ki baat sunkar Airforce ka head Mr. Aalowaliya jee bola………

Aalowaliya…: Narayan mujhe lag raha hai, now its time for your retirement, kyunki essi kissi unit ko banana sa huma hi nuksaan hai, in case vo kabhi galat karna lagi to huma sa koi bhi usse rok nahi sakta hai……..

Narayan : Kyun nahi rok sakta hai, hum unki funding band kar dega aur saath hi unko assassinate kar dega……..

Narayan ka itna teekha javab ka baad Mr. Aalowaliya ek dum shaant ho gaye…….

DA: Aapka kya kahana hai, RAW and IB Director………[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]??

Mr Malik RAW director and Mr. Singh IB director……..

Malik: Sir I think Mr. Narayans idea is good, aur uss unit ko best ka liya hum sabhi apna departments ka best officers ko usmei recruit karta hai, jiska chalta hum sabi department ek tarah sa unse jud jaayega aur saath hi unki har tarah sa help kar sakega…….

Mr. Singh : I too agree sir……. Isse desh ka internal load security officer sa bhi kuch kam hoga………

DA: Par ya unit sambhalega kun……..[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]??

Iss baat par sabhi shaant baith gaye………

Chaliya dosto inko yahi chodta hai aur agle update mei aage dekhta hai ki kun iska javab deta hai…….. Tab Tak ka liya Alwida…….. Aap sabhi ka comments ka inntezar rahega………
Like Reply
#79
Update Badhiya hai....
Like Reply
#80
Bro update was fantastic
But updates regularly aata to jyada maza aata hai
Like Reply




Users browsing this thread: 1 Guest(s)