Thread Rating:
  • 18 Vote(s) - 3.33 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Jawaan Biwi
#1
Hi everyone. Hope everyone is doing great in their lives. Starting a new story which I hope you all will like. As usual constructive criticism is welcomed. Thanks.
[+] 2 users Like seansean007's post
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#2
Seth Karamchand jiska umar 35-36 saal tha woh shaam ke lagbhag 8 baje apne ghar pahuncha.Uska ghar sheher se thoda door bahot lamba chauda zameena par bana hua tha.Ghar kya woh raiso ka bungla tha, croro ka ghar.Ghar ke darwaze ke paas gaadiyon ke rakhne ka jagah tha aur uske saamne bada sa garden.Uska aese karobaar to gehne jewar ka tha magar iske alawa bhi side se dhandha tha jiske baare mein kewal uski biwi aur kuchh khaas log hi jaante the jo uss dhandhe se uske saath jude hue the.

Woh jab ghar pahuncha to ghar ke saamne ek fortuner dikhai diya.Uske saamne ghar ke darwaze ke paas ek Jaguar aur uske aage ek BMW tha jo uska khud ka tha.Khud ka bole to khareeda to usi ka hua tha magar chalati thi uski biwi.Kabhi BMW to kabhi Jaguar uski biwi aese hi jo dil mein aata usi mein ghumti thi.

Fortuner ka number dekh kar woh samajh gaya ki woh kiska gaadi hai.Khair uske ghar ke saamne jo road bana hua tha woh itna chauda tha ki do gaadi aa jaa sake aur saath hi iss hisaab se bana hua tha ki gaadi ghumana na pade.Matlab oval shape ke tarah road bana hua tha jiska nukila side gate ke taraf tha.

Itna raees hone ke baawjud bhi woh kanjus tha.Itna kanjus ki usne driver bhi nahin rakha tha aur khud hi gaadi chala tha.Agar kanjusi kisi ek cheez mein nahin tha to woh tha uski biwi ke shauq pura karne mein.Aesa nahin tha ki woh khud se uske upar paise lutata ho.Uske paas itni himmat nahin thi ki apni biwi ko kisi cheez ke liye mana kar sake.Halanki uski biwi controlling ya dramebaaz nahin thi magar use kisi cheez ke liye na nukar pasand nahin tha aur woh iss mamle mein sakhti barapti thi aur Karamchand ka bhi uske saamne bolne ya bahes karne ka himmat nahin hota tha.

Woh gaadi se utar kar ghar ke ander living room mein pahuncha to sofe par usi ka umar ka ek lamba chauda aadmi sofe par araam se baaya haath sofe ke head rest par phailaye hue baitha cigarette pee raha tha.Uska umar 40 ke aas paas hi tha magar jahan Karamchand ka pet thoda nikla hua tha aur badan dheela tha wahin woh aadmi lamba chauda hone ke saath saath muscular bhi tha.Woh bahot hi fit nahin tha.Uska bhi pet nikla hua tha magar Karamchand jitna nahin.Upar se woh lagbhag 6 feet ka tha to uska thoda sa nikla pet samajh nahin aata tha.Karamchand 5 feet 8 inches ke aas paas hi tha.

Woh aadmi ka rang kaala tha.Woh blue jeans aur kaala shirt pehna hua tha.Shirt ka upar ka do button khula hua tha jisse uske seene ka baal dikh raha tha.Gale mein pehna chain uske seene tak latak raha tha.Baaye haath ke kalai mein bracelet pehna hua tha.

Woh usko araam se baitha cigarette peete hue dekh bola,"Are Raghu tum is waqt yahan kya kar raha hai?"

Yeh sunnkar Raghu uske taraf dekha magar isse pehle woh kuchh bolta ek aurat ki awaaz aayi,"Raghu ko maine bulaya hai".

Yeh sunnkar Karamchand aur Raghu dono ka nazar awaaz ke disha mein gaya.Woh awaaz seedhi ke taraf se aa raha tha.Jab dono ka nazar udhar pada to ek jawaan aur bahot hi khoobsurat aurat seedhi se utar rahi thi.Uski umar 30 ke aas paas lag rahi thi aur height 5'5" ke kareeb thi jo heel pehenkar 5'8" ho gayi thi.

Woh bhi Raghu ke shirt ke tarah kaala saree pehni huyi thi jo uske gore badan par achha lag raha tha.Usne ek chhota sa blouse pehna hua tha jisme uski cleavage kuchh hadd tak dikh rahi thi.Low waist saree hone aur saree ka anchal baaye taraf karke seedha baaye kandhe ke taraf karke pin karne ke kaaran uski pet aur nabhi saaf saaf dikh rahi thi.Uski pet pura sapaat tha, zara bhi charbi nahin thi aur pet ke beech mein naabhi se ek lamba sa belly button ring latak raha tha jo light mein chamak rahi thi.

Uski kamar patli thi magar uske upar uski chunchi aur neeche uski gaand badi thi jiske kaaran uski figure curvy thi.Motapa zara bhi nahin thi usme, bas chunchi aur gaand badi thi baaki jisam par zara bhi charbi nahin thi.Uski gale mein ek chain uski cleavage ke shuruaat tak latak rahi thi.Maang mein ek chhota sa sindur aur haath mein clutch bag tha.Woh kisi model se kam nahin lag rahi thi aur dono Karamchand aur Raghu apna nazar uss aurat se hata nahin paa rahe the.

Woh aurat jab utar kar unke paas aayi tab Karamchand usse puchha,"Garima tumne bulaya hai magar kyun? Woh bhi itni raat ko?"

Yeh sunnkar Garima uske taraf thoda gusse se dekhkar boli,"Isliye kyunki tumhe to kuchh yaad rehta hi nahin hai.Aur koi zyada raat nahin hua hai.8 hi baj rahe hain abhi."

Karamchand yeh sunnkar soch mein pad gaye aur yaad karne ka koshish karte hue puchha,"Mujhe yaad nahin rehta? Main kya bhul gaya Garima?"

Yeh sunnkar Garima waise hi gusse se use dekhti huyi boli,"Ab jab yaad nahin hai to chhoro.Ghar mein baith kar paise gino main baahar jaa rahi hoon".

Garima ka mood kharab dekh Karamchand pyaar se dubara puchha,"Are Garima kam se kam bolo to ki aakhir main kya bhul gaya aur uske liye tum abhi baahar kyun jaa rahi ho".

Garima use dekhkar gusse se boli,"Aaj kaun sa din hai?"

Yeh sunnkar Karamchand ek pal sochkar bola,"Aaj mangalwar hai.Kyun?".

Yeh sunnkar Garima waise hi gusse mein boli,"Exactly.Aaj char din ho gaye movie release hue aur kitne spoilers aa gaye hain internet par.Isliye main first day hi movie dekh leti hoon,lekin tumne iss baar sab gadbad kar diya"

Yeh sunnkar Karamchand ko dhyaan aaya ki Garima kya bolna chah rahi hai aur uske gusse ka kaaran kya hai.Woh baat ko sambhalne ke liye bola,"Ohh Garima.I am sorry,main bhul gaya tha.Chalo ab tum tayyar ho gayi to chalte hain."

Garima use gusse se dekhti huyi boli,"Koi zarurat nahin hai. Main Friday ko hi dekhne ke liye boli thi magar tumne bahana bana diya ki Friday ko kaam hai,Saturday ko le chaloge.Magar Saturday ko tum late se aaye aur ticket waste ho gaya.Kal bhi (Monday) tum late se aaye.Maine mann bana liya tha ki aaj jaise bhi movie dekhungi woh bhi tumhare bina.Woh to achha hua ki din mein main Raghu se baat kar rahi thi to pata chala ki woh aaj raat yehi movie dekhne ka plan kar raha tha aur usne mujhe saath chalne ke liye kaha.Ab main Raghu se waada kar chuki hoon to usi ke saath jaungi".

Yeh sunte hi ki Raghu ke saath uski khoobsurat aur jawaan biwi movie dekhne jaa rahi hai, woh bhi raat ke 9 baje wala show Karamchand thoda ghabda gaya.Woh Garima ka gussa dekhkar use mana karne ka soch bhi nahin sakta tha to woh kuchh aur sochkar sang sang bola,"Par Garima itni raat ka plan kyun banayi ho? Shaam mein bhi to jaa sakti thi".

Yeh sunte hi Garima gusse se boli,"Sirf tumhe hi kaam rehta hai kya?Baaki duniya nithalle baithe hain,hun? Raghu ko bhi kaam rehta hai.Shaam mein uske paas time nahin tha to raat ka plan banaya hai.Aur mujhe samajh nahin aa raha ki tumhe kya issue ho raha agar main raat ka show dekhun to?"

Karamchand yeh sunnkar pyaar se bola,"Are Garima raat ko safety ka issue rehta hai isliye bol raha hoon".

Garima ka gussa thoda shant ho chuka tha aur woh yeh sunnkar haste hue boli,"Haha safety issue? What nonsense!Peekar aaye ho kya? Yeh shaher hai,koi jungle nahin. Aur aese bhi apni gaadi se jaana aana hai, koi public transport to use karna nahin hai".

Karamchand yeh sunnkar thoda sharminda ho gaya.Use dhyaan aaya ki Garima ke saamne beqaar ka bahana chalne wala nahin hai phir bhi woh koshish kar raha tha ki Garima ko jaane se roke.Woh yeh sunnkar bola,"Haan phir bhi."

Garima yeh sunnkar irritate hokar puchhi,"phir bhi kya?"

Yeh sunnkar Raghu jo itni der se chup chap Garima ke bagal mein khada sab sunn raha tha woh kadak awaaz mein bola,"Ae seth kahe ko faltu ka baqwaas kar rela hai.Seedha seedha bolna ki tu nahin chahta teri biwi apun ke saath filam dekhne jaye".

Baat to sahi tha magar Karamchand yeh saaf saaf bol nahin sakta tha.Raghu ko to woh bol sakta tha magar Garima ke saamne bolne se use darr tha ki woh gussa na ho jaye.Woh na hi "haan" bol sakta tha aur na hi yeh bol sakta tha ki use Garima ka Raghu ke saath jaane mein koi issue nahin hai.Isliye woh baat ko ghuma kar bola,"Raghu main apni biwi se baat kar raha hoon, tum beech mein mat bolo".

Yeh sunnkar Raghu gussa ho gaya,"Ae seth tumhari biwi hai to saala tumko lekar jaana chahiye na ise.Saala tum isko filam dikha deta to itna drama nahin hota.Aur aese bhi apun ko shauq nahin tumhari biwi ko ghumane ka.Woh to apun pilan banayela tha aaj aur tumhari biwi bhi pilan banayeli thi to socha ki saath hi dekh lenge filam.Apun ko kya maalum ki tum dono ke beech kya drama chal rela hai."

Yeh sunnkar Garima phir se gussa hone lagi aur woh kabhi Raghu ko dekhti huyi uska baat sunnti to kabhi gusse se Karamchand ke taraf dekh rahi thi. Raghu ka yeh bolna ki use Garima ko ghumane ka koi shauq nahin hai Garima ke ego ko thoda hurt karta hai, magar woh iska zimmedaar apne pati ko maan rahi thi yeh sochkar ki Raghu aesa isliye bola kyunki uska pati bewajah ke drame kar raha tha.

Raghu Garima ko dekhkar bola,"Ae sethani,pehle apna gharelu drama niptao. Apun ko iss lafre mein nahin padne ka".

Ek to Garima apne pati Karamchand par pehle se hi gussa thi ki woh use movie dikhane ka waada karke bhul gaya tha,upar se abhi uska rok tok dekh uska aur mood kharab hone laga.

Woh gusse se apne pati ko dekhkar boli,"Off ho kya drama laga rakhe ho jaane waqt.Ek to tum bolkar bhi mujhe movie dikhane nahin le gaye aur upar se jab Raghu mujhe le ja raha hai to tum drama kar rahe ho."

Phir woh Raghu ke taraf dekhkar boli,"Aur tumse kitni baar kaha hai mujhe sethani mat kaha karo. Aesa lagta hai jaise main koi budhiya hun".

Yeh sunnkar Raghu hasne laga,"hahaha".Raghu ko hasta dekh Garima use banawati gusse se dekhi to Raghu haste hue bola,"Achha theek hai nahin bolega apun.Lekin yeh apne seth ko bolo saala apun ka mood kharab nahin karne ke liye".

Garima yeh sunnkar apne pati ko dekhkar boli,"Dekho bewajah ka hum dono ka mood kharab mat karo.Mujhe pata hai tum dono ke beech nahin banta hai lekin yeh tum dono ki aapas ki baat hai.Iske liye mera mood kharab mat karo. Abhi yeh mujhe movie dikhane le jaa raha hai aur main ja rahi hoon.That's it. Abhi ek word bhi tumhare munh se nikla to mujhse bura koi nahin hoga".

Karamchand yeh sunte hi chup ho gaya. Garima use ek nazar gusse se dekhi aur phir Raghu ke taraf dekhkar boli,"Chalo Raghu, nahin to late ho jayegi aur movie ka initial part miss ho jayegi".

Raghu yeh sunnkar bola,"Chalo sethani".

Yeh sunnkar Garima Raghu ko gusse se dekhi to Raghu has diya,"hahaha".

Garima usko hasta dekh boli,"Phir? Ab tum bhi mera mood kharab mat karo.".

Raghu hasta hua bola,"Achha theek hai ab nahin bolenga. Chalo".

Yeh sunnkar Garima Raghu ka baanh pakadti huyi boli,chalo" aur dono darwaze ke taraf chal diye.

Karamchand yeh sab chup chap dekh raha tha. Use khud par gussa aa raha tha ki woh kyun Garima ko film dikhana bhool gaya. Woh dono ko jaate hue dekhne laga. Uski biwi jo kuchh second pehle uske saamne khadi usi ke height ki lag rahi thi aur uske aankhon mein dekhti huyi baat kar rahi thi woh Raghu ke bagal mein usse lagbhag 4-5 inches chhoti lag rahi thi. Chalte waqt uski badi gaand hil rahi thi aur saree gaand par tight bandhe hone ke kaaran gaand ka pura shape pata chal raha tha. Uske upar uski peeth backless blouse mein lagbhag puri nangi thi jo gori hone ke kaaran roshni mein chamak rahi thi.

Kuchh seconds tak Karamchand apni biwi ko dekhta raha phir jaise hi Raghu darwaze ke baye taraf ghuma apna fortuner ke taraf jaane ke liye to Garima uski baanh pakdi boli,"Jaguar mein chalte hain".

Karamchand yeh sab dekh raha tha. Agle pal woh Garima ko Raghu ke taraf chabi badhate hue dekha. Garima Raghu ko chabi deti huyi boli,"Yeh lo".

Raghu Garima ke haath se chabi liya aur gaadi ke dusre taraf jaakar Garima ke liye darwaza khol diya. Garima Raghu ke taraf muskurati huyi dekhi aur boli,"Thank you".

Raghu phir driver seat ke taraf aakar gaadi mein baith gaya aur gaadi wahan se chali gayi. Karamchand yeh sab dekhne ke baad sofe par baithne ke liye ghuma ki tabhi uska nazar ghar ki naukrani par pada jo khud darwaze ke taraf dekh rahi thi.

Karamchand usko dekhkar bola,"Kya dekh rahi ho? Jao chai banao".

Karamchand ka awaaz sunte hi naukrani chaunkkar uske taraf dekhi aur uska baat sunte hi hadbada kar "ji saheb" bolkar kitchen ke taraf chali gayi. Karamchand phir sofe par baith gaya aur newspaper lekar padhne laga.

Lagbhag 5 minute baad uski naukrani chai lekar aayi aur chai table par rakhkar boli,"Saheb chai".

Karamchand akhbar padhte hue bina naukrani ke taraf dekhe "hmm" karke akhbar padhte raha. Kuchh seconds baad woh chai lene ke liye akhbar se nazar hatakar table ke taraf haath badhaya to dekha ki naukrani wahin khadi thi.

Karamchand usse puchha,"Ab kya hua? Yahan khadi kyun ho?"

Naukrani ghabrati huyi usse boli,"Ji saheb puchhna tha ki khane mein kya banau"

Yeh sunnkar Karamchand thoda gusse mein bola,"Are to yeh Garima se puchhna tha na. Woh jaa rahi thi to use ghur ghur kar dekh rahi thi to yeh puchhne ka khyaal nahin aaya?"

Naukrani ghabrati huyi phir boli,"Saheb memsaahab se puchha tha maine. Woh boli ki woh baahar mein hi khana khayegi. Aapke liye aapse puchh kar kuchh bana du".

Yeh sunnkar Karamchand chai ki chuski lekar bola,"Theek hai. Jo bhi mann kare bana do".

Naukrani sir hilati huyi "ji saheb" bolkar wahan se chali gayi. Kuchh minute baad Karamchand chai peekar upar apne kamre mein chala gaya. Naukrani usko upar jaate dekh dheere se boli,"Khadus kahin ka. Biwi ke saamne munh nahin khulta hai aur mere upar robb dikhata hai,hunh".
[+] 13 users Like seansean007's post
Like Reply
#3
(30-12-2022, 04:19 PM)seansean007 Wrote: Seth Karamchand jiska umar 35-36 saal tha woh shaam ke lagbhag 8 baje apne ghar pahuncha.Uska ghar sheher se thoda door bahot lamba chauda zameena par bana hua tha.Ghar kya woh raiso ka bungla tha, croro ka ghar.Ghar ke darwaze ke paas gaadiyon ke rakhne ka jagah tha aur uske saamne bada sa garden.Uska aese karobaar to gehne jewar ka tha magar iske alawa bhi side se dhandha tha jiske baare mein kewal uski biwi aur kuchh khaas log hi jaante the jo uss dhandhe se uske saath jude hue the.

Seansean007 bro is back.....
clps clps clps congrats thanks happy happy
Thanks for writing....
[+] 2 users Like abcturbine's post
Like Reply
#4
bahut bahut shandar shuruaat
[+] 1 user Likes couples.'s post
Like Reply
#5
Barhiya
[+] 1 user Likes Jyotimoy123's post
Like Reply
#6
Welcome back...i hope ye garima bhi bilkul anita jesi ho....
[+] 1 user Likes Ajanmol's post
Like Reply
#7
Yet to start reading... New year gift mil gaya!!!!!!!!!
happy happy happyhappy happyhappy happyhappy happy

Welcome back Sean sir!!!!

Have been a longtime fan Iex
Like Reply
#8
Welcome back !
Like Reply
#9
Karamchand raat ko khaana khane ke baad balcony mein peene baitha tha. Thodi der peene ke baad woh Garima ko phone lagaya magar woh nahin uthai. Karamchand time dekha to 10:40 baj rahe the. Woh samajh gaya ki woh movie dekhne mein busy hogi. Thoda peene ke baad woh kamre mein jaakar news dekhne laga. Lagbhag ek ghanta news dekhne ke baad woh Garima ko phone lagaya to woh nahin uthai. Karamchand phir time dekha to 11:35 baj rahe the. Woh phir channel change karne laga.

Kuchh seconds baad Garima ka message aaya,"Is there anything important?".

Karamchand reply kiya,"No,nothing important".

Iske baad Karamchand type kar raha tha,"Just wanted to know when you will be back" ki tabhi Garima reply ki,"Then stop bothering me and let me enjoy the movie".

Karamchand yeh padhne ke baad apna message ko edit karne laga,"Sorry, just wanted to know when you will be back" aur phir send kar diya.

Karamchand reply ke liye wait kar raha tha magar message grey hi reh gaya.Karamchand kuchh der baad phir message dekha to woh grey hi tha. Woh phir news dekhne laga.Beech beech mein woh message dekhta magar woh grey hi tha. Lagbhag 12 baje use neend aane laga aur woh so gaya.

Karamchand ka neend subah 7:30 baje khula. Woh bistar par apne bagal mein dekha to uski biwi nahin thi. Yeh dekhte hi woh ghabra gaya aur apna mobile dekha. Uske uski biwi ka message the jise dekhkar use thoda raahat mehsus hua.

Woh message par click kiya aur padhne laga,"after watching the movie and having dinner. Now please stop bothering me. Mera mood aate waqt aese hi kharab kar chuke ho ab baar baar phone karke aur kharab mat karo. Go to sleep. GN".

Yeh padhne ke baad woh hadbada kar utha aur neeche gaya. Neeche gaya to use naukrani ka awaaz sunai diya "Good morning saheb".

Karamchand naukrani ka awaaz ignore karke darwaze ke paas gaya to use Jaguar car wahan dikhai diya magar Raghu ka fortuner dikhai nahin diya. Yeh dekhte hi use thoda raahat mila magar phir kuchh sochkar woh waapas upar gaya aur dusre room mein kholkar dekha to woh khali tha. Woh baaki ke do room mein bhi dekha magar woh dono bhi khali tha.

Thak kar woh apne kamre mein jaakar Garima ko call lagaya magar koi response nahin mila. Woh bathroom chala gaya aur brush karke waapas neeche gaya aur table se akhbaar uthaya hi tha ki use kuchh dhyaan aaya aur woh uthkar living room ke peeche wale hisse mein gaya.

Udhar gym tha jo pura sheeshe se ghera hua tha. Woh gym ke nazdeek pahuncha to use Garima tread mill par daudti huyi dikhai di. Yeh dekhkar use thoda raahat mila. Woh gym ka darwaza kholkar ander gaya to gaana baj raha tha. Phir uska nazar ek side par rakhe hue ek table par gaya jahan Garima ka mobile rakha hua tha. Karamchand samajh gaya ki Garima uska call receive kyun nahin ki.

Woh uske mobile ke taraf dekhne ke baad Garima ke taraf waapas dekha to use treadmill ke saamne aaine se uske taraf hi dekhte hue paya. Karamchand use dekhkar muskuraya aur jor se "Good Morning" wish kiya jiske jawaab mein Garima bhi daudti huyi use wish ki.

Karamchand Garima ko ek nazar dekha. Woh gym leggings aur ek sports bra peheni huyi thi. Uss sports bra mein uski chunchiyan pahaad ke jaisi uthi huyi thi aur leggings mein uski gaand ki dono bhago ka shape saaf saaf pata chal rahi thi.Sirf gaand ki shape hi nahin dono gaand ke bhag ke beech ki daraar bhi saaf saaf pata chal rahi thi. Daudne se uss leggings mein uski gaand ki dono bhaag hil rahi thi.

Karamchand Garima ke jism ko dekhne ke baad aaine mein uske chehre par dekh kar muskuraya aur phir waapas jaane wala tha ki Garima use ishara karke apne paas bulayi. Karamchand uske paas gaya to woh daudti huyi boli,"Kya baat hai aaj gym mein?Tabiyat theek hai to? Ya subah subah pee liye ho?"

Karamchand yeh sunnkar muskurate hue bola,"Are nahin darling kaisi baat kar rahi ho. Tumko dekhne aaya tha. Kal to tumko bas thodi der ke liye hi dekha tha".

Garima daudti huyi boli,"Hmm. Ab aa gaye ho to thodi exercise bhi kar lo. Pet kitna nikal gaya hai tumhara. Health par bilkul bhi dhyaan nahin dete ho. Abhi se buddhe lagne lage ho".

Phir Garima apne bagal mein lage ek aur treadmill ke taraf ishara karti huyi boli,"Chalo shuru ho jao".

Karamchand ka mann to nahin tha magar woh Garima ko phir se naraz nahin karna chahta tha isliye chup chap treadmill ke taraf chala gaya. Woh treadmill par chadhkar use on karne laga to Garima phir bolne lagi,"Itne pyaar se maine yeh gym banwaya tha, treadmill bhi do lagaya taaki hum dono saath gym kar sake magar tumhe meri baat ki kadar to chhoro apne health ki khud chinta nahin rehti hai".

Karamchand yeh sunnkar kuchh nahin bola bas treadmill shuru karke daudne laga. Garima bhi daudna jaari rakhi. Lagbhag ek minute hote hote woh hanfne laga. Usko hanfta dekh Garima boli,"speed kam kar lo. Shuru mein thodi mushqil hogi but aadat lag jaane par sab theek hoga phir tez kar sakte ho".

Garima yeh boli hi thi ki Karamchand treadmill ka speed kam karke utar gaya aur woh treadmill ko switch off kar diya. Garima yeh dekhkar Karamchand me taraf narazgi se dekhi.

Karamchand Garima ka expression dekhkar bola,"Mujhe walk par jaana hai. Logo se milna hai. Yahan bandh kamre mein mujhse exercise nahin hoga".

Garima daudti huyi boli,"Bahane banana bandh karo. Shaadi ke 5 saal ho gaye hain magar phir bhi bahane aese bana rahe ho jaise main samjhungi nahin. Park pahunchne mein 5 minute lagta hai yahan se aur aane mein 5 minute. 10 minute walk karne se kuchh nahin hone wala".

Garima aage boli,"10 minute walk karte ho aur ek ghante baithkar retired uncles ke saath gappe ladate ho. Gappe lada lada ke gol gappe jaise hote ja rahe ho. Khair tumhari marzi. Main to bol bol kar thak chuki hoon. Meri sunte kahan ho".

Karamchand yeh sunnkar bola,"Garima main kam se kam thoda walk to karta hi hoon. Jitna mujhse hota hai main karta hoon. Aur raha baat gappe ladane ka to main to kaam ki baat karta hoon. Idhar udhar ki altu faltu ki baatein nahin karta. Politics, business, stock market yeh sab topics par discussion chalta hai."

Garima yeh sunnkar daudti huyi boli,"Theek hai theek hai. Jo marzi karo. Ab jao aur mujhe workout karne do".

Karamchand yeh sunnkar muskurate hue bola,"Ok darling. Enjoy your workout".

Garima daudti huyi boli,"Yes I do and I will". Karamchand yeh sunnkar wahan se chala gaya. Woh table se akhbaar uthakar park ke taraf chala gaya. Ek ghante baad jab woh waapas aakar bedroom mein gaya to bathroom se paani ka awaaz aa raha tha. Woh samajh gaya ki Garima naha rahi thi. Lagbhag 20 minute baad woh bathroom se nikli. Uski baal mein towel lapeta hua tha aur woh ek robe pehni huyi thi. Use dekhkar Karamchand muskuraya to woh bhi muskura di aur jaakar apni dressing table ke paas baith gayi. Wahin Karamchand bathroom mein nahane chala gaya.

Woh lagbhag 15 minute baad nahakar aaya to Garima aaine ke paas baithi apni baal dry kar rahi thi. Karamchand tayyar hokar neeche nashta karne chala gaya. Uske jaane ke lagbhag 10 minute baad Garima neeche gayi. Woh ek salwar kameez pehni huyi thi. Gehre gale ki kameez mein uski cleavage dikh rahi thi. Kameez tight hone ke kaaran uski curvy figure aur badi chunchiyon ka shape achhe se pata chal raha tha. Dono pati patni uske baad nashta karne lage aur nashta ke baad Karamchand office chala gaya.
Like Reply
#10
Jabradast aur lajawab kahaani shuro kya aapne yaar
[+] 1 user Likes Renuka Shahane's post
Like Reply
#11
Brilliant....
Amazing....
Keep rocking.....
Like Reply
#12
Awesome
Waiting for next
Like Reply
#13
Mast story hai keep going.
Like Reply
#14
Absolutely wonderful and mind blowing start! Hope a low class criminal type and ugly man will seduce and shag Garima.
Like Reply
#15
chamatkar aur mast update
Like Reply
#16
क्या शानदार अपडेट है! होश उड़ा देने वाली कहानी!
[+] 2 users Like Shabnam Faria's post
Like Reply
#17
Awesome and amazing update
[+] 1 user Likes Threesome's post
Like Reply
#18
Lagbhag 10 din beet chuke the jab Garima movie dekhne Raghu ke saath gayi thi. Iske beech dono ke beech phone par baat chit aur chatting chalti rehti thi magar mulaqat nahin hua tha.

Karamchand raat mein ghar aaya aur chai peekar kamre mein gaya to uski biwi Garima ke balcony se hasne ki awaaz aa rahi thi. Karamchand balcony ke darwaze ke paas jaakar dekha to Garima baithi kisi se phone par baat kar rahi thi aur saath hi beer ki chuski le rahi thi. Woh yeh dekh hi raha tha ki Garima ki nazar uske taraf gayi. Karamchand use dekhkar haath uthakar dheere se hello bola to Garima bhi haath uthakar reply dekar baat karne mein lagi rahi. Woh wireless earphone use kar rahi thi aur woh mobile table par rakhi huyi thi.

Karamchand waapas chala aaya aur phir bathroom mein nahane chala gaya. Woh naha kar kapde pehenkar bed par baitha hi tha ki Garima balcony se aayi aur uske saamne khadi hokar puchhi,"tumhare paas Raghu ke paise hai?"

Yeh sunnkar Karamchand uski taraf dekha aur muskurate hue bola,"Garima ab yeh sab kya hai? Tum yeh sab mein kyun.. "

Isse pehle ki woh pura bolta woh sakhti se boli,"Ab batein mat banao. Jo puchha hai uska jawaab do".

Karamchand yeh sunnkar bola,"Haan, mera matlab nahin. Uska paisa mere paas nahin hai".

Garima yeh sunnkar sakhti se boli,"Haan ya naa, sach sach batao".

Karamchand Garima ko dekhkar muskurate hue bola,"Darling tum yeh sab mein kyun pad rahi ho. Yeh mere aur Raghu ke beech ki baat hai. Tum please... "

Isse pehle ki Karamchand pura bolta, Garima beech mein bol padi," Yeh tumhare aur uske beech ki baat hai to tum uska call receive kyun nahin kar rahe ho? Haan? Use paise ki zarurat hai aur ek to tum paise de nahin rahe ho aur uska phone bhi receive nahin kar rahe ho. Itni baar tumhe call karne ke baad last mein mujhe call karke puchha tumhare baare mein. Woh bhi mujhe involve karna nahin chahta tha magar maine hi insist kiya ki agar koi important baat hai to mujhe bata de main tumko bata dungi. Jaante ho kitna gusse mein tha woh".

Karamchand yeh sunnkar Garima ka haath pakad kar bola,"Darling tum bhi uss gunde ki baaton mein kyun aa rahi ho. Uska paisa nahin hai mere paas. Sachi. Tum uske wajah se apna mood kyun kharab kar rahi ho".

Garima yeh sunnkar sakhti se boli,"Uske wajah se ya tumhare wajah se. Agar tum usse baat kar liye hote to mujhe woh call nahin karta aur main involved nahin hoti. Ab phone karke usse baat karo, abhi".

Karamchand yeh sunnkar muskurate hue bola,"Darling main kar lunga baat. Tum ab iski chinta chhoro. Tumko pareshan dekhkar mujhe achha.."

Karamchand itna hu bola tha ki Garima bed ke paas table par rakhe uske mobile ke taraf gayi aur Karamchand yeh dekhte hue haare hue swar mein baat ko pura kiya,"nahin lagta".

Garima uska phone laakar usko deti huyi sakhti se boli,"Now".

Karamchand phone lekar Raghu ko call kiya. Dusre taraf se Raghu phone receive karke bola,"Kyun be seth, itna der se call receive kahe ko nahin kar rela tha? Saala apun ka paisa maarne ka chakkar mein hai? Aesa sapne mein bhi nahin sochne ka kya?"

Garima Karamchand ke paas hi khadi thi to use thodi bahot Raghu ki baatein sunai de raha tha.

Karamchand yeh sunnkar bola,"Are Raghu kyun itna gussa kar rahe ho. Maine tumhara paisa kabhi maara hai jo iss baar marunga".

Raghu yeh sunnkar bola,"Abe apun ka paisa maarne ka to himmat tere mein hai bhi nahin, magar saala jaan bujhkar tu paisa dene mein late kar rela hai taaki apun ka paisa se bhi kuchh kamao kar le. Saala pichhla teen baar se aesa hich kar rela hai. Late se apun ka paisa de rela hai. Apun isse pehle kuchh nahin bola magar iss baar apun ko paise ki zarurat hai. Sharafat se paisa de de kal apun ko".

Karamchand yeh sunnkar pyaar se bola,"Are Raghu abhi pura paisa mila kahan hai. Agli baar jo paisa milega usse tum apna hissa le lena".

Raghu yeh sunnkar bhadak gaya,"Abe seth tere ko sunai nahin diyela. Apun ko paisa ka zarurat hai kal aur tu bol rela hai agli baar ka wasuli mein lene ke liye. Saala tere se jitna sharafat se pesh aata hai apun utna hich sar par chadh kar nachta hai tu. Zyada drama karenga to tere saath kaam nahin karenga apun. Apun apne baap jaisa nahin hai".

Yeh sunnkar Karamchand bhi bhadak gaya,"Ja ja bahot dekhe tere jaise. Dhamki kisko deta hai. Tere se aadha paisa mein tere jaise bahot aa jayega kaam karne ke liye".

Raghu yeh sunnkar gusse mein bola,"Abe seth apun ko kisi se compare nahin karne ka. Apun jaanta hai apun kya cheez hai. Chup chap kal paisa de aur uske baad apun ka aur tera raasta alag. Aur saala kal paisa nahin diya to tera gaand tod dega apun."

Yeh akhiri baat sunnkar Karamchand thoda ghabra gaya. Raghu yeh bolkar phone rakh diya. Karamchand bhi phone bistar par rakh diya aur thoda ghabrate hue Garima ke taraf dekha jo use gusse se dekh rahi thi.

Garima sab baat sunn rahi thi. Yahan tak ki Raghu ka aakhiri baat jab woh Karamchand ka gaand todne ka baat bola. Woh Karamchand ko dekhkar gusse mein sakhti se puchhi,"Yeh kya tha? Tum to bol rahe the ki uske paise nahin hain tumhare paas. Mujhse bhi jhooth bol rahe the tum"

Karamchand yeh sunnkar Garima ka haath pakad ke use apne bagal mein baithate hue bola,"Are darling tum kyun gussa ho rahi ho. Sach mein uske paise mere paas nahin hai. Jo paise milne wale the uska 10% hi uska hissa hai aur ab tak sirf 80% hi mila hai."

Garima yeh sunnkar boli,"To iss hisaab se 8%,matlab 80% ka 10% uska hissa hua ya nahin? Wahi to woh maang raha hai magar tum uske paise dene ke bajaye bahane bana rahe ho. Kaam banane ke jagah aur bigad diye. Uske hisse ka paisa tum de dete to kya bigad jaata? Haan?"

Karamchand safai dete hue bola,"Garima maine usse yehi to kaha ki baaki ke paise jab milenge to woh apna hissa rakh lega. Kuchh dino ki hi to baat hai, magar baat samajhna to chhoro, kaise badtameezi se baat kar raha tha mujhse. Uss saandh gunde ke mota dimagh mein kuchh ghusta hi nahin hai upar se badtameezi karta hai. Jaane do, uske jaise bahot gunde milenge kaam karne ke liye. Tumko yeh sab ki chinta karne ki zarurat nahin hai."

Garima yeh sunnkar boli,"Achha? Woh badtameezi kar raha tha to tum kya kar rahe the? Kisi ke bhi paise waqt par nahin doge to woh tumhari aarti nahin utarega. Use paise ki zarurat kal hai to woh kuchh dino ka intezar kaise karega?"

Karamchand ke paas iska jawaab nahin tha to woh chup raha. Usko chup dekh Garima aage boli,"Aur rahi baat uske jaise gunde milne ki to best of luck. Woh jaisa bhi hai humare jaan pehchan ka hai aur usulo wala hai. Zara main bhi to janu aakhir kaun sa aadmi hai jisse tum Raghu ka kaam karwaoge?"

Yeh sunnkar Karamchand thoda soch mein pad gaya magar Garima ke saamne confidence dikhane ke liye kuchh seconds baad hi bola,"Are mil jayenge. Kami thode hi hai uske jaise gunde ki".

Garima phir se boli,"Achha? To batao. Main bhi to jaanu ki tumhari nazar mein kaun aesa gunda hai jo bharosemand ho, humare saath sharafat se pesh aaye,imaandar aur usulo wala ho. Jaante ho aese kisi gunde ko".

Garima "gunde" shabd ko taunt karti huyi Karamchand se boli.

Karamchand yeh sunnkar soch mein pad gaya. Garima usko dekhkar boli,"Khair kaam to tum bigad hi chuke ho. Ab chup chap Raghu ke paisa kal de dena. Main nahin chahti ki woh yahan aakar hungama kare. Aesa woh karna nahin chahega magar use paise ki zarurat hai aur upar se tumne uska mood bhi kharab kar diya hai. Agar uske hungame se bhi tumko fark nahin padne wala hai to yeh soch lo ki phone rakhne se pehle usne kya kaha tha".

Karamchand ko dhyaan aaya ki Raghu ka uska gaand tod dene wala baat Garima sunn li thi. Use thodi sharmindgi mehus ho rahi thi ki uski padhi likhi, khoobsurat, jawaan aur modern biwi Raghu ka ganda baat sunn li thi.

Garima uske bagal se uthti huyi boli,"Aur kisi cheez ka nahin kam se kam apna hi khyaal karo. Main neeche jaa rahi hoon dinner karne. 5 minute mein tum bhi aa jaana".Yeh bolkar woh chali gayi.

Agle din Karamchand ko kaam se dusre shaher jana tha. Woh subah packing kar raha tha ki tabhi Garima neeche gym se workout karke kamre mein aayi aur usko packing karta dekh puchhi,"Yeh kya kar rahe ho? Kahan bhaag rahe ho? Yeh kya bewkoofi hai thode se paise ke wajah se bhaag rahe ho".

Yeh sunnkar Karamchand bola,"Garima main bhaag nahin raha. Kaam se jaa raha hoon".

Garima yeh sunnkar puchhi,"Abhi?to phir Raghu ke paise kab doge?"

Karamchand yeh sunnkar uske taraf dekhkar bola,"De dunga Garima. Tum bhi na. Biwi meri ho aur side uss Raghu ka le rahi ho".

Yeh sunte hi Garima gusse se Karamchand ke taraf dekhi. Garima ka expression dekhte hi Karamchand ko ehsaas ho gaya ki woh kuchh zyada hi bol gaya. Garima gusse se sakht lehje mein boli,"Kisi ki side nahin le rahi main. Jo sahi hai woh bol rahi hoon. Tum bina paise diye chale jaoge to woh yahan aakar hungama karega aur main yeh sab nahin chahti".

Karamchand yeh sunnkar muskurate hue bola,"Relax Garima. Woh tumhare saamne hungama nahin karega khaskar jab main nahin rahunga tab. Main rehta to woh drama karta".

Garima phir sakhti se boli,"Main kuchh nahin sunna chahti. Chup chap jaate waqt uske paise dekar yeh jhamela khatam karo".

Karamchand yeh sunnkar bola,"Garima main waapas aakar de dunga"

Garima phir usse puchhi,"Bye the way tum jaa kahan rahe ho?"

Karamchand waapas packing karte hue bola,"Delhi".

Garima usse puchhi,"aur aana kab hai?"

Karamchand usse bola,"Aaj hi raat mein aa jaunga Garima. Isliye to bol raha hoon ki aakar de dunga"

Yeh sunte hi Garima ka expression phir change ho gaya. Woh sakhti se boli,"Woh raat tak intezaar karne wala nahin hai. Use din mein hi paise ka zarurat hai. Chup chap jaate waqt uske paise dekar yeh jhamela khatam karo. Main ab aur bahane sunna nahin chahti. Pata nahin tumhe kya ho gaya hai. Thode se paise ke liye itna jhamela khada kar diye ho. Kanjusi ki bhi hadd hoti hai".

Yeh sunnkar Karamchand hara hua sa Garima ko dekhne laga. Garima yeh bolkar bathroom mein chali gayi. Aadhe ghante baad woh naha kar waapas aayi to Karamchand kamre mein nahin tha. Woh dressing table par baithkar make up aur hair dry karne lagi. Phir woh ek saree pehenkar tayyar ho gayi aur aaine ke saamne khud ko achhe se dekhkar confirm karne lagi ki woh achhi lag rahi hai ki tabhi use gadi ki awaaz sunai diya. Woh gaadi ka awaaz sunnkar andaaza laga rahi thi ki woh kaun hoga. Woh waapas se daye baaye ghumkar aaine mein khud ko dekhne lagi.
Like Reply
#19
Absolutely wonderful story ❤️ Lovely writing
Like Reply
#20
Really why is she taking the side of a Gunda. What's the background here
Like Reply

Users browsing this thread: 8 Guest(s)