Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Non-erotic SHUBHAM
#41
(01-05-2019, 09:07 AM)srlk Wrote: nice one

if u wish you can also read downward link
https://xossipy.com/thread-1839.html

Thanks Bhai
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#42
bahut hi achchha update hai.....
kya sach me kuchh bhi power nahi hai us armour me.
Like Reply
#43
Are Bhai Kya kar diya Apne....
Armour ke pass koi power nahi hai....
But I think yeh bhi thik hai.... Without power agar ho Sabse bada Yodha Banta hai to , it's great...

Waiting for next update
Like Reply
#44
Update 13


Pichla update mei aapna dekha ki kaisa Iszy na ek bomb fod diya ya kaha kar ki uska armor kissi bhi element ki power nahi rakhta hai....... Vahi dusri taraf Kairo kissi baat ko lekar bhut khush tha...... aur usna kissi ka liya koi plan banaya tha.....

Ab Aage.....

Kairo: Dekho (Awaj 1 sa) dhyan rakhna kissi ko bhi iss baat ka pata nahi chalna cahaiya..... Agar kissi ko bhi ya baat pata chali to mei teri ma**** and Bhen**** dunga aur tera duniya sa pata saaf.....

Awaj 1: Ary yar tm tension mat lo mei koi gad bad nahi karunga...... vasa bhi mjhe bhi barso purana hisab ka badla lena hai.....

Kairo: Aur tm teeno (Awaj2, 3 & 4 sa ) Kal sa apna kaam par lag jana.....

Teeno Awaj: Jee Prince.....

Kairo: Bus ek baar vo Princess aur Prince meri giraft mei aa jaye...... Fir batata hu mei in sabhi ko..... bhut bhari samajhta hai na, ek ek ko apna paaltu nahi bana kar rakha na to dekh lena..... Salo ki essi halat karunga ki na jee sakege aur marna mei dunga nahi.....
Aur ek baar fir sab vaha jor jor sa hasna lagta hai.......

Par ya log kiska khilaf plan bana raha hai aur kya ya vali baat hum sun nahi saka hai....... Koi baat nahi aage to huma pata chal jayega, tab tak ka liya inha yahi chod deta hai.......

Vahi issi sehar mei raat ka andhera mei kahi dhur kuch aadmiyo ek saath baitha tha aur un sabhi ka bich tha ek aadmi, jo dekhna sa unka head lagta tha..... Chaliye dekhta hai, ya kun hai...... OOOHHHHHH ya to humara Nigro bhai hai.....
Aap sabko yaad hoga Mariana isse milna gayi thi...... Chaliya janta hai yaha kya ho raha hai.....

Nigro : MUjhe Ruswani ka pariwar ka har insan ki saari khabar cahaiya...... samaj gaye na tm log......

Admi 1 : Bhai par ya Ruswani hai kun aur aakhir iska kya matter ho gaya hai aapsa.......

NIgro: Mjhe nahi pata ya kun hai aur na hi mei jaana cahata hu...... aur matter mera nahi teri Amma ka ho gaya hai.....
Aaj subha subha aayi thi aur bol kar gayi hai, ek week ka andar inhe dhundo aur saari jaankari mujhe do, varna.......
Ab to tm samaj gaye hoga na, Amma ka kaam nahi hona par kya hota hai.....

Admi 2 : Bhai aap na humsha humari maarna par laga rahata ho..... Aur ya saala chutiya log Amma ka saath hi dushmani kyu leta hai..... Inhe apni nahi padhi hai to thik hai, par inka chakar mei humari aur phati padi rehati hai.......
Chalo re suna nahi kya, sirf ek week hai,,,,,,, agar inki janam kundali nahi mili to humara death certificate ban jayega,,,,,, Niklo aur lag jaao kaam par......

Sabhi vaha sa chale jata hai, aur unka jaana ka baad koi vaha aata hai, Jisse dekh kar Nigro bhai bus itna hi bolta hai..... Aap itna salo baad vapas, sab kheriyat to hai na......

Jo insan abhi vaha aaya tha vo AS hai....... AAp sabhi soch raha hoga ki yaha itna saalo ka kya matlab hai, to bata du AS na Nigro ko kuch saal phele ek kaam diya tha, vo kya tha vo aap logo ko aana vala update mei bata dega.....

AS: Ha nigro, aaj vapas tmhari aur tmhara network ki jarurat hai mjhe........ kya mera liya kaam kroga vapas......

Nigro: Ary aap khada kyu hai bahatiya na....... aur vo AS ko bitha kar khud unka samna jamin par baith jata hai.....
Ary ya aap kaisa saval kar raha hai..... aaj mei jo bhi hu aur jis layak hu vo aapki vajah sa hi hai...... aap kaam bataye, mei har sambhav koshish karunga ki aapka kaam ho jaye.......

AS; Nigro ya kaam bhut mushkil hai...... mei tmhai phele bata du....... tmhai yaha sa bhut dhur jana hoga aur vaha pahuchna ka baad tmhai vaha kitna samay lagega iska koi nirdharit samay nahi hai, aur ho sakta hai tum kabhi vapas nahi aao......

NIgro: Kya aap bhi, vasa to mei janta hu aapka hota hua mujhe kuch nahi hoga......

AS: Nahi Nigro....... ek baar tum vaha pahuch gaye to jab tak tum kaam pura nahi kar deta, na mei tmsa mil sakta hu aur na hi koi contact kar sakta hu...... Na mei tmhari koi madat kar sakunga..... tm jald baaji kar raha ho..... Phele meri baat aur kaam sun lo aur uska baad bolna......

NIgro: Mjhe koi chinta nahi hai...... bus mujhe ya bata dijiye ki agar mei ya kaam karunga to kya iss barahmand mei meina jo paap kara hai, kya mei vo kam kar sakunga...... aur kaam kuch bhi ho mera jivan aapki vajah sa hi hai, islye aap sirf kaam bataye mei pura karna ki koshish karunga har saas tak......

AS: Thik hai Nigro, tmhai kal ek letter mil jayega, jisma tmhara kaam likha hoga aur baaki sabhi instruction bhi......... Mei bhagwan sa dua karunga ki tum safal jarur ho, iss jagah ko tumhari jarurat humesha rahegi......
Aur ek baat tm apna saara aadmiyo ko Redo sa milwa dena, tmhara nahi hona tak saara kaam usse hi karna hoga yaha ka, aur usse kya karna hai ya tum usse samjha hi doga,...... aur tumhari Amma(Mariana) ka kaam ko chod do, mei janta hu vo kaha hai aur kun hai..... mei usse sahi samay par bata dunga, islye vo ab tmhai pareshan hona ki jarurat nahi hai.....

NIgro: Jee thik hai.....

Itna kaha kar AS vaha sa nikal jata hai aur fir sa chod jata hai aap logo ka liya kahi saara saval jinka javab humesha ki tarah aage kahi samay mei chupa hua hai.......

Chaliya inka samvaadh khatam hona mei hi subha ho gai hai, aur humara hero uth gaya hai aur pahuch gaya hai, Training room mei, jaha Mariana already pahuch gayi thi..... to chaliya hum bhi vahi chalta hai.....

Shubham: Good morning Madam.....

Mariana: Good Morning.... Kya baat hai phele din hi time par, chalo ya achi baat hai par aage aana vala samay par bhi tmhai samay par hi aana hoga....

Shubham: Jee Madam mei late nahi hoga.....

Madam: Shubham dekho ek baat mei phele din hi tmhai bata deti hu, tumhari body baaki sabhi ka mukabla kaafi kamjor hai, uska ek karan ya hai ki tumhara saath bhut kuch hua hai, dusra karana ya hai ki baaki sabhi choti umar sa hi apna aapko iska liya apna Rajyo mei saalo sa abhyaas kar raha hai, unka Raajya ka sabsa acha yodhao ka saath, jisse unka vikas tmsa jaad hai,,,,,, Islye phele saal to hum sirf tumhara sharir ko tayar karega...... Ya sharir ka bhut bada role hai ek yodha ka jivan mei, tum yadi kamjor hua to tu har tarah ka weapon nahi utha sakoga, dusri baat har yudh ek din mei nahi khatam hota hai, itihaas mei kaafi sara yudh essa hai jo mahino tak lada gaye hai, jiska chalta ek acha yodha mei itni kaabiliyat honi cahaiya ki vo kitna bhi thaka hua kyu na ho, par fir bhi vo nirantar lad sakta hai, Aur teesri baat furti, har yodha mei furti honi jaruri hai, kyunki ek second ka delay aur tmhari jaan khatam, furti ki jarurat ek acha guptchar ko bhi hoti hai jo apni furti aur sajakta sa har parishthi mei bhi khud ko sambhal saka.....

Dekho mei ek baat saaf bata deti hu mei iss duniya mei armor ka basis par logo ki category mei baata jaana ko sahi nahi manti hu aur na hi mujhe matlab hai tum kiss category mei ho..... Mera maana hai ki har yodha ek acha Rakshak bhi hona cahaiya, to ek acha guptchar bhi aur saath hi ek acha nayak jo khubi raaja mei hoti hai..... Islye mei sabhi ko sabhi chij sikhati hu, cahaiye vo kissi bhi category ka kyu na ho...... Dusri baat aaj sa tum training start kar raha ho, par tumhari training dusro sa alag hogi aur mushkil bhi, samay ka saath ya aur bhi badegi, islye tmhai jaada samay training karni hogi sabhi sa aur saath hi tm raat ka khana kuch bhi khaa sakta ho, par subha aur duphar mei kya khana hai ya tmhai yaha par mil jayega.....
Agar tumhai kuch puchna hai to puch lo......

Shubham: Madam kal aapna mera khata mei itna paisa kyu jama karwaye...... Mei itna ka kya karunga aur meri jarurat mei sirf khaana aur rehana ki jagah hi hai jo aapna mujhe already de di hai, to phir kyu aur dusri baat paisa itna tha ki.......

Mariana: Shubham ya saval ka javab sirf AS ka pass hai, unhona mujhe jo kaha meina kar diya hai..... aur dusri baat ya baat AS sa mat puchna vo tumhai bus yahi kahega, samay ka saath tumhai javab mil jayega..... ab tum ya sab faaltu baat chodo aur aaj ki training ka liya apna man ko tayar karo......

Shubham: Jee (man mei, saala ya ho kya raha hai.... ek dum mera jeevan mei itna saara saval ek saath kaisa aa gaye)

Mariana: Shubham iss ground kaa ek chakar laga kar aao, tmhara pass 5 minute ka samay hai, iska liya......

Shubham: Meina ground ko dekha aur mei samaj gaya bhai, bhaagna suru sa teej hi padega tabhi ya chakar 5 min mei pura hoga...... aur meina khudko tayar kara aur bhagna laga.....


Idhar jab tak mei bhag raha tha, Madam kahi sa kuch lekar aa gayi.....

Shubham: Mei bhaag kar aaya to mei kaafi thak gaya tha aur uska ek reason ya bhi tha ki mei aaj tak kabhi itnanahi bhaga tha.....

Mariana: Kyu abhi sa thak gaye to aage kaisa karoga.....[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]?

Shubham: Madam aage jo hoga usko aage dekh lega.....

Mariana: Ya dekho ya armor khaas taur par humari training ka liya banvaya gaya hai, har yodha apna jivan mei jaadatar ladta vakt ek armor mei hota hai, aur har armor ka apna ek alag wait hota hai, jiska chalta har yodha ko apna jivan mei humesha armor ka weight to uthana hi hota hai, islye aaj sa tum roj iss armor ko pehan kar kamsa kum ek ghanta running karoga aur roj apni running ka time 5 minute increase karna, aur ya tab tak karna hoga jab tak tum 2 ghanta tak roj lagatar iss armor ko pehan kar running nahi kar leta, aur running ka baad 3 minute ka break aur fir inn murgo ko pakadna kaa kaam 1:30 ghanta tak lagataar aur uska baad breakfast aur fir uska baad roj ki exercise jo tumhai kal sa trainner aakar karwayega...... Ya routine tmhai one week tak follow karna hai..... Uska baad mei tumhai aage bataungi.....

Ek baat aur ya routine follow karna nahi karna tmhari apni icha hai, aur tumhari imaandari hai tum kitna follow karta ho, iska acha result tumhai baadmei dikh jayega......

Itna kaha kar unhona mjhe armor pehana diya, par jab meina usse pehana to mei to uska vajan sa hi sahi sa khada nahi ho paa raha tha.....

Mariana: Ary abhi sa giro nahi abhi to iska weight keval 30 kg hai aur ya sirf starting trial hai aage bhut kuch baaki hai.....

Itna kaha kar vo nikal lee, unka jaana ka baad mei sochna laga ary yaar ya to sach mei bhut hi bhari padhna vala hai, par ab koi rasta nahi hai.... karna padega..... essa soch kar mei apna routine ko suru karna hi laga tha, ki achanak vaha koi aata hai......

Chaliya dosto aaj ka liya bus itna hi.... aage ka kal dekhta hai, aap sabhi ka valuable comments ka behad intezar rahega.....

Stay Tunned...
Like Reply
#45
subham ki to lag gai
Like Reply
#46
Nice one..

Subham ki to lag gayi Bhai...
AS ne Kis kaam k liye nigro Ko bheja wo dekhna padega ...
Waiting for next update
Like Reply
#47
waiting
Like Reply
#48
Dhashu update bhai Bas aata bahut Jada late h 
Aur xota
Jisse Kahi Na Kahi thoda bahut intrest Kam ho jata h 
Jaldi do bada do
Baki Aapki marzi
Like Reply
#49
update
Like Reply
#50
Update 14


Pichla update tak aapna dekha ki kaisa AS aur Nigro kissi kaam ka baara mei baat karta hai aur saath hi aapna dekha ki dusri taraf Mariana na meri band bajana ki suruvat kar di thi…..

Ab aage….

Shubhaam: Meina badi himat karka uss armor ko pehan kar bhagna laga, par mei abhi mushkil sa aadha round hi pura kara hoga ki meri haalat bhut buri ho gai thi, mujhc ek kadam bhi aur nahi chala jaa raha tha, jiski vajah sa mei vahi baith gaya aur saath hi lambi lambi saas lena laga….
Ab kahi na kahi mera man mei bhi yahi saval ghum raha tha ki aakhir kya sahimei mei iss jagah ka kaabil hu bhi ya nahi….. kya mujhe yaha hona bhi cahaiya ya nahi…..Tabhi vaha ek awaj aati hai, jo ki AS ki thi……


AS: Tum sahi soch raha ho, tum iska layak nahi ho, bulki tum isse kaahi guna jada badi mushkilo ka layak ho…. Bus jarurat hai to khud par vishwas karna ki, tum iss jagah ka layak ho…..

Shubham: Par AS kya mei sach mei kuch kar sakunga…..[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

AS; Iss duniya mei hum kya karega aur kya humara saath hoga, ya kissi ko nahi pata hai, sivaye bhagwaan ka, usna humara liya kya likha hai ya koi nahi janta hai, bus hum kar sakta hai to koshish, agar tum yadi kuch nahi kar sakta hota to shayad tum abhi yaha nahi hota, ya baat tum acha sa janta ho…..

Tum iss baat ko dimaak mei sa nikal do ki tum kissi rajya ka raja ya vaha ka pramukh ka beta ya beti nahi ho, kyunki yaha sirf agar koi hai to vo hai uski kabiliyat, yaha iss baat sa koi matlab nahi hai ki tum kun ho, bus matlab hai to tumhari kabiliyat aur sikhna ki icha….. Agar tum sikhna cahata ho to yaha tumhai koi nahi rok sakta hai, vasa bhi iss grah par kissi rajya ka rajkumar ya rajkumari tak ka pass itna paisa nahi hai jitna tumhara pass hai….. Islye tum uska istemal karka unka jaisa apna jivan ko jee sakta ho, tumhai ya sochna ki jarurat nahi hai ki tum unsa kamjor ho aur agar takatki baat hai, to vo tum mei bhi hai, bus jarurat hai apna par bharosa hona ki…..

Shubham; AS par vo mera nahi hai, vo sab to aapka ya Madam ka hai….. aur aapna essa kyu kara hai…..[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]?

AS: Tum usse apna hi paisa samajh kar kharch kar lo aur agar vo tumna khatam kar diya to mei aur dala dunga tum uski chinta mat karo…..Aur meina essa kyu kara hai, to bus itna jaan lo tum mera liya bhut kimati ho….. tumsa jada jaruri nahi hai mera liya iss duniya mei koi bhi chij…..

Shubham: AS kya mei kuch puchu aapsa?[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

AS: Ha pucho na,,,

Shubham: AS sab kahata hai iss . d mei essa koi raaj nahi hai jo aap nahi janta hai, ya essi koi ghatna nahi hai jispar aapki najar nahi ho, to aap mujhe ya bata de mei kaha sa aaya hu, kyunki meina aaj tak apna jaisa koi bhi nahi dekha hai…..aur saath hi mei yaha kyu aaya hu aur yadi koi mujhe laya hai to vo kaha hai, aur mei akela hi kyu laya gaya hu….. kya mera bhi koi apna hai iss duniya mei ya fir….. mei itna kaha kar bhavuk ho gaya tha aur meri aankh mei kuch bund aa gaye tha…..

AS: kuch serious hota hua..…. Mujhe maaf karna mei tumhai iss samay sirf iss itna bata sakta hu ki tum yaha sikhna ka liya aaye ho, ha par mei sahi samay aana par tumhai sab kuch bata dunga….. par abhi tumhara liya yaha raha kar sikhna jaruri hai, yadi tumna aaj yaha raha kar kuch nahi sikha to tumhai aage aana vala samay mei bhut kuch khona hoga aur uss samay na sirf tumhai,balki iss pura …….. Itna bolta bolta AS ruk gaye aur bus itna kaha kar vaha sa jaana laga ki tumhai mehanat karni cahaiya…..

Shubham: AS yadi mei apni physical aur mental training ko sabsa acha tarika sa pass kar saka to kya mujhe javab milega, aur apna baat adhuri chod di hai…..

AS: Chalo ya wada karta hu, jiss din tum iss school ki saari physical aur mental training puri kar loga, uss din mei tumhai in savalo ka javab de dunga…… Aur meri baat bhi mei puri karunga par sirf sahi samay aana par….. aur vo vaha sa chala gaye….

Shubham: AS vaha sa chala gaye,par chod gaye kuch saval aur ek aag, jo ab aage aana vala mushkil samay mei mujhe madat karna vali thi, kyunki yaha mera jitna par jo inaam tha vo mera liya bhut jaruri tha…..
Meina khudko sambhal kar fir sa khada kara aur lag gaya training suru karna mei, ab mei phele sa jada josh mei tha…..kyunki mujhe jeetna tha…..


Chaliya bhai yaha to AS ek baar fir aakar ek saval chod gaye ki aakhir kyu Shubham unka liya jaruri tha, aur saath hi saath ek adhuri baat jo kya hai, sirf AS ko hi pata hai….. Par ek baat achi ho gai ki jaldi hi huma pata chal jayega ki aakhir Shubham hai kun……

Aaj hum vapas chalta hai Earth par….. Duniya ka sabsa khubsurat grah jisko jaha sa dekho uski khubsurati dekhna layak hai, par aaj ka yug mei insaan ka laalach aur kuch jada hi paana ki caha na iski khubsurati isse chin li hai…. Par aaj bhi essi bhut si jagah hai, jaha duniya ki khubsurati bhut hi achi tarah dekhi jaa sakti hai….. Khair chaliya chalta hai hum log Iss Earth par basa ek country jiska naam hai India……Ya desh vasa to bhut bada hai, aur iski baat iss duniya mei sabsa nirali hai…… yaha aapko har tarah ka log mil jayega aur yaha ka logo mei aaj bhi ek dusra ka liya samaan mil jayega….. Iski khubsurati ki baat kaa to shayad yaha par essa bhut kuch hai, jiska chalta ya duniya mei bhut bada tourist place mei aana laga hai…. Iski ek achai ya bhi hai ki ya sabsa acha sambandh banana ki koshish karta hai, jisse iska aas pass ki country isse kamjor samajhna lagi hai…… Par ya apna aapmei Shakti ka khajana hai….. Yaha iss desh ki raksha ka liya humsha iss desh ka sanik border par tayar rahata hai, aur desh ka andar yahi kaam yaha ki security officer karti hai, jiska chalta yaha alag alag majahab ka log shaanti sa rahata hai…… vasa iss desh mei bhut sa raaj bhi chupa hai prachin samay ka jinha aaj bhi duniya khoj rahi hai, par vo kissi ko nahi mila hai….

Iss country ki research organization ISRO na aaj ki taarik mei duniya mei apna liya ek naya mukaam haasil kar liya hai….. hum aaj duniya mei antriksh ka mamla mei bhut aage nikal chukka hai….. humna aaj apni hi research lab mei bhut sa aadhunik hatiyaar bhi tayar kara hai jo ki humara dushman huma kamjor samajhta hai unko unki aukaad yaad dilana ka liya kaafi hai….. Chaliya ab vapas present ki baat karta hai….

Jagah: Chennai…..
Samay: subha ka 10:00 hai….

Aaj ISRO ka head research and testing lab mei bhut bhaag daud machi hui hai, sabhi log bus bhaaga jaa raha hai, lagta hai aaj yaha kuch khaas hai…….


Issi bich ek insaan ki aawaj aati hai….. Kya hum aaj ki testing ki saari tayari kar chukka hai…..

Yaha aawaj yaha ka Chief Scientist Mr. R.V.S. Iyer ki thi….. Inka baara mei jitna kaha jaaye kam hai….. aaj inki mehnat ki badolat humara desh duniya mei sabsa bada research country ki ginati par baaki bada desho ka aage hai…… Inhona apna jeevan mei bhut research kara hai…… Aaj bhi inki ek research ki testing hai…… Aaj jiss chij ki testing ya karna vala hai, vo apna aap mei ek bhut hi khatarnak hathiyaar hai, jiska sirf kuch vaar sa hi hum duniya ka kissi bhi desh ka naamo nishan bhi mita sakta hai…. Ya weapons atom aur chemical weapons sa bhi jada khatarnaak hai,,,, aaj iski testing ho rahi hai….. Mr. Iyer pichla 8 saal sa isko pura karna mei laga hai…. Din raat mehnat karka vo aaj isse testing tak lekar aa gaye hai……

Inka assistant bhut hi unharmand hota hai, ya kissi bhi essa vasa ko research karna nahi deta hai khudka sath…. Inhi sabhi mei sa ek assistant hai Mr. Dhruv Verma, inka dimaag bhut tej hai aur ya professor ka sabsa bharosamand hai…..

Dhruv: Sir humna saari tayari karli hai, bus aapka instruction par hum iss weapon ko test kar sakta hai……

Mr. Iyer: Thik hai Dhruv, to tum jaakar phele uss door ko properly band kardo, jisse testing block ko hum yaha sa dhur bhej kar test kar saka, kyunki agar iski ek choti si bhi energy huma lagi to sab khatam ho jayega……

Dhruv: Yes sir, meina phele hi sab kuch acha sa check kar liya hai, sab sahi hai, bus aapko weapon test karna hai….

Iyer: Thik hai, on count of 10 hum ya test karta hai…… Aur fir counting suru hui, aur 10 tak pahuchna par professor na ek button daba diya…..

Ab sabki najar uss testing block par thi jaha weapon tha, vaha achanak ek bhut tej roshni nikali jisse vaha kya ho raha hai kissi ko nahi dikha, par thodi der mei vo gayab ho gai, jisse ab sab kuch dikh raha tha…… Vaha jab sabna dekha to sabko bhut nirasha hui kyunki uss weapon ka test fail ho gaya tha……

Dhruv: Sir ya weapon nahi ban sakta hai, aapki ya mehanat bekaar gayi…… ager aaj ya test successful ho jata to hum isse duniya ka bada sa bada desh ko bech kar khub paisa kama sakta tha…..

Iyer: Unhe Dhruv ki ya baat achi nahi lagti hai, par vo usse kuch kahana ki jagah bus yahi bolta hai, shayad tum sahi ho Dhruv meri mehanat bekaar gai, ab hum ispar aur kaam nahi karege aur kuch naye projects par kaam karege….. Aur vo itna kaha kar uss project ko close karna ka order de deta hai, aur uss file par bhi closed seal laga kar usse apna bag mei rakh leta hai…..

Idhar sabhi log bhi iss baat sa khush najar nahi aa raha tha, par vo professor ko kuch nahi kaha sakta tha, islye sabhi na iss project ko band kar diya aur kuch naye projects aur baaki pending projects par kaam karna laga…..

Iyer: Vo vaha sa nikal kar apni car mei baithta hai, aur sochta hai aaj Dhruv ki baato sa mujhe lag raha hai, ya ladka sahi nahi hai, mujhe sabdhan hokar kaam karna hoga….. Itna hi bola tha ki

Dhruv…… Sir, aapna galti sa office ki closed file ko bag mei rakh liya hai…..

Iyer: OOOOhhhhh sorry, galti ho gai…. Aur vo usse ya file dekar nikal leta hai apna ghar ki taraf…..

Chaliya Dosto aaj ka liya bus itna hi, aage dekhage kya hota hai, kya professor sahi soch raha tha, ya nahi aur vahi dusri taraf Shubham ka kya haal hai…… In sabhi savalo ka javab jaane ka liya bana raha apni iss story par…..
AAp sabhi ka valuable comments ka intejar rahega……..
Like Reply
#51
fabulous update
Like Reply
#52
Nice update
Like Reply
#53
next update bhi shandaar hona chahiye
Like Reply
#54
Jab story aage hi Nahi badhaani 
To bhai Aap likhte hi q ho 
Readers Ummid lagay rahta h update K liye
Ek baar fir adhuri kahani
Like Reply
#55
Nice story bro
Next update please
Like Reply
#56
Plz update bro
Like Reply
#57
Waiting
Like Reply
#58
Update 15


Pichle update mei aapna dekha ki mei AS sa milna ka baad ek naye josh ka saath training karna lag gaya, vahi dusri taraf India mei Professor na aaj ek test kara jo fail raha jiska baad unhona usse band kar diya…..

Ab AAge…..

Iyer: Ghar pahuch kar vo sidha apna study room mei gaye aur vaha unhona jaata hi sabsa phele ek pen drive apna computer mei attach karka usse sara data ko print karka saara data delete kar diya, aur print pages ko apni desk ki drawer mei rakh diya……

Iska baad vo niche aakar apna living room mei baith gaye aur aaj ki hui ghatna ka baara mei sochna laga, aaj unhe kuch unhoni hona ka aabhas ho raha tha…..

(Yaha ek baat aap sabko bata du, Mr. Iyer unmarried hai, aur unka ghar mei unka alawa ek maid hai, jo karib 30 saal sa unka yaha kaam kar rahi hai, vo yahi rahati hai aur uska bhi iss duniya mei koi nahi hai…..)

Yahi sab sochta hu vo apna hi ghar mei bana apni secret lab mei chale gaye aur vaha unhona unhi papers ko rakh diya, ek safe mei aur apna aap sa bolna laga, mei fail nahi hua hu, iss design mei koi kami hai mei isse remodified karunga aur isse phir banauga par iss bar akele taki meri ya invention kisi ko na pata chala jab tak mei isse nahi dikhau…… Aur vo lag gaye apna kaam mei……. Vasa kuch bhi kaho dosto scientist ka jeevan bhi bhut alag hai, vo apna sab kuch kho kar bhi sabko kuch naya josh ka saath...….

Chaliya dosto ab Professor Iyer apni lab mei busy ho gaye hai aur huma unki lab mei kuch samajh nahi aana vala hai islye hum chalta hai Dehradun, India ka ek sabsa bade tourist place aur saath hi Indian Army ka sabsa bada training camp jaha sa hajaro ki taadat mei Indian Army ko Essa veer sainik milta hai, jinki vajah sa hum aur aap aaj chain ki jindagi apna gharo aur dosto aur pariwar ka saath bita paata hai….

Aaj iss Indian Army ka training camp mei naya batch aaya hai, Ya batch vasa to ladkiyo ka hai, par aaj yaha ek khaas baat hai, ki ya ek test case hai jaha ladkiyo aur ladko ko ek saath train kara jayega, usually ya alag alag train hota hai, par iss batch ko first approval mila hai pura ek year tak saath mei training karna ka, yadi ya test sahi raha to aage aur option Khulna vala hai, Vasa ya training session hum Quantico ki raha par chalkar kar raha hai, mera hisab sa aap sabhi Quantico ko janta hoga, par fir bhi mei bata deta hu, Quantico American Agencies ka liya best officer ko tayar karti hai, Aap unha vaha ka training school kaha sakta ho….. Par Quantico ki ek baat sabsa alag hai vo ya ki vo vaha least sa best ko generate karti hai har field mei…… Thik ussi tarah yaha bhi hona vala hai…. Par yaha jo already officer hai unko aur best kara jaa raha hai, sirf test case hai islye.....

Sabhi logo ko Bus sa training camp mei laya gaya hai, aur un sabhi ko reporting karna ground mei ikhata hona hai, jo sabhi log bus sa utar kar ground mei ek saath ikhata hona lagta hai……. Issi bich bus sa utarti hai ek ladki jisko dekh kar bus ya kaha jaa sakta hai ki little fairy(angel) aa gai hai, iss ladki ka face par dekho to aapko bus yahi lagaga ki ya ladki to ek dum masoom hai, iska yaha kya kaam, par aap iska cehara sa dhoka kha sakta hai, kyunki ya apna aap mei ek bomb hai…… Jee ha dosto mei sahi kaha raha hu, ya ek essa bomb hai jo jab dhusmano par girta hai to chetara tak nahi milta hai…… Inka naam hai Captain Aaliya, bharat ka arm forces ki sabsa jaani maani shooter aur operator….. Jitni tej ya ladna mei hai, utna hi tej inka haath computer par bhi hai…. Ya computer world mei bhi bhut ucha istar par hai, par inko jada maja combat mei hi aata hai…… Inn madam ki age abhi sirf 17 saal hai, aur army mei do saal phele aayi hai, par apna talent par inhona do saalo mei bhut bada bada kaarnama kar diya hai……

Chaliya baaki sabhi log bhi ground mei aa gaye hai, aur ab vaha ka kuch superior bhi aa raha hai…. To hum bhi chalta hai vahi……

(Yaha mei superior ko S1, 2 3 etc aur US superior ko US1, 2,3 etc likhunga……) Inka vaha pahuchna par sabhi cadets saavdhan hokar inha saluate karta hai….

S1: aap sabhi ko pata hai ki aap sabhi alag alag army units sa yaha kyu laaye gaye hai, aaj aap sabhi humara desh ka aage aana vala samay par tayar hona vala aur bhi acha aur jaabaaz officer ka phele batch ho, par yadi ya test successful raha to humara desh ko bhut hi jaada faayda hoga, islye mei cahata hu ki aap sabhi log apna jivan ka best karna ki koshish kare, kyunki yaha aapko train karna duniya ki sabhi desho ka kuch bhut unda darja ka trainners aayega, jinka saath kaam karna sa aapko bhut faayda hoga, par shart yahi hai aap sabhi ko apna aapko uska liya tayar karna hoga……

Cadet : Hum sabhi apni taraf sa puri koshish kara ki hum apna aapko aur acha bana saka taaki hum humara desh ka kaam aa saka…..

US 1 : Mei James, mei aap sabhi ko physical fitness par focus karunga, vasa to ek soldier hona ki vajah sa aap sabhi fit hai, par humari fitness thodi aur hard hogi jisse aapko bhut madat milegi……. Usse phele mei aap logo ki fitness ka ek test lena cahata hu, taaki aap sabhi ka fitness level ko mei check kar saku…..

Cadets: Hum tayar hai….

US 2 : Sir aapko lagta hai ya hum logo ka fitness test clear kar sakega….. Inhe dekh kar to nahi lagta hai ki yaha ka officer mei itna dum hai…..

Yaha aur koi kuch bolta usse phele hi…….

Captain Aaliya: With due respect sir, aapko apna upar bharosa hai to hum yaha ek game challenge kar leta hai, aap saalo sa ya training kar raha hai aur hum nahi kyu na aaj aap mera saath apna hi training test ko kara aur dekhta hai, kun phele ya test pura karta hai, agar mei haari to aap jo kahega mei karungi, aur agar mei jeeti to aap yaha sabhi logo ka samna humara desh ki cadets sa maafi maangega vo bhi apni naak iss desh ki dharti par ragad kar…… Boliye aap tayar hai…..

US 2: Tum choti si ladki mujhe challenge karti ho, ek baar soch lo haar gai to jo mei bolunga vo karogi……

Captain Aaliya: Dar to aap raha hai, kyunki yaha maujood har insaan janta hai, aaliya apna wada sa kabhi nahi picha hathti hai……

US1: S1 sir aap apna cadet ko samjhye….. US2 bhut fit hai, vo insse jeet nahi sakegi…..

S1: Sorry sir ab kuch nahi ho sakta hai, ab Captain Aaliya na soch liya hai to unha koi nahi rok sakta hai, bus mujhe ek hi baat ki chinta hai ki aapka US 2 ki ijjat kaa aaj bhaaji paala hojayega…….

US1: Sir aap bhut over confidence mei hai.…..[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

S1: Sir aap aapka officer na basis rule of command thoda hai, apna dushman ko kamjor aakna kaa……. Captain Aaliya abhi bhut choti jarur hai, par inha kam aakna ki galti aapka officer ko bhugatni hogi…… She is specially trained by Iran Army, they said she is the bestest in physical drill, no one can beat her…..

Ya baat sunkar US1 ko bhi ab to ya dekhna ki caha aur bad gayi ki essa kya hai ki Iran Army na usse bestest kaha hai…..

Vahi dusri taraf Aaliya aur US2 challenge ka liya tayar tha…… Trainning challenge ki details nahi de raha hu, vo normal drill hi tha, but usme mushkil bhut jada thi…… usse bata kar lamba nahi karta hu…..

Dono apni jagah pahuch gaye drill ka liya, aur abhi drill suru hoti usse phele US2……

US2: Get ready baby aaj to tujhe hara kar mei saari raat tera saath enjoy karunga vo bhi ek dum wild…….

Ya baat sunkar Aaliya ko gussa aata hai, par vo usse kuch kahati nahi hai, bus uss gussa ko vo apna drill par nikalna ka sochti hai……. Drill suru hoti hai, aur drill ka suru hota hi apna desh ki ladki, jo kabhi kissi sa nahi dari aur jarurat padhna par desh ka liya apni jaan tak dena sa nahi darti hai……

Drill koi 10 minute kaa tha…… but US2 na usse 8 minute aur 10second mei pura kar diya tha, jabki Aaliya na vo drill keval 6 minute aur 55 second mei hi pura kar liya tha….., jisse dekh kar sabhi cadets khushi sa jhum utha aur vahi US2 ka sir sharam sa jhuk gaya……..

Cadets: Now time for the completion of challenge…… Abhi yaha sabhi isko lekar hooting kar raha tha, ki ek awaaj aati hai…… ya S2 ki thi……

S2: Ya iss training camp ka incharge tha, aur saath hi bhut strict bhi…… Ya ek sacha desh bhakt hai, aur sabsa badi baat kissi bhi training camp ka cadets or officer inki baat ko mana nahi kar sakta hai……

Band karo ya sab……. Yaha tum sab sikhna aaye ho, aur vo tumhai sikhana, islye tum sabhi ko unka aadar karna cahaiye na ki ya sab….. Aaliya aaj tumna jo kara hai vo bhut galat hai, and for that tumhai iss ground ka 30 rounds without break aur agar tum kahi ruki to suru sa suru karogi……

S2 : US1 sa, sorry sir for having such a bad behavior……..

US1: Respectable S2, aap maafi maang kar mujhe sharminda kar raha hai, sab janta hai galti kiski hai, and secondly US2 ko apni galti ki saja milni cahaiya……

Please Captain Aaliya na kuch galat nahi kara hai, kyunki har soldier apna desh ka liya essa hi karta hai, so aap meri request accept kara….

US1 : US2 sa tum dekh kya raho ho do as per challenge and keep it remember for rest of your life, never underestimated your opponent…..

Majburi mei US2 ko sab karna padhta hai, jisse cadets khush ho jaata hai, aur iska baad sabhi log chal deta hai apna rooms ki taraf……. Inha yahi chod kar hum chalta hai Shubham ka pass……

Shubham: Yaha mei apna training session mei badi mushkil sa 30 minute tak hi bhaag saka, aur ab aage kuch karna ki jaan nahi bachi thi, islye mei aaj ki training khatam karka nikal gaya apna room ki taraf…..

Jab mei building mei pahucha to vaha sa mujhe 4th floor tak jaana mei aaj bhut mushkil hui kyunki mei bhut thak gaya tha….. Mei apna man mei saala kis chutiya na inhe yaha upar rahana ko kaha tha, jab puri building khali hai to niche nahi raha sakta tha…… yahi sab sochta hua mei upar pahuch gaya….. jaha mujhe bahar hi baitha hua Willy mil gaya….

Willy : Meri essi halat dekh kar vo hasna laga……

Shubham: Phele to mujhe kuch samaj nahi aaya, islye mei usse puch liya……. Kya pagal ho gaya hai, jo mujhe essa dekh kar has raha hai……..[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Willy: Apni halat dekhi hai, tujhe dekh kar lag raha hai ki tu kahi sa pahad utha kar laa raha hai…… Phele din ki training mei ya haal ho gaya tera to, aage kya hoga…….

Shubham: Willy ki baat sunkar mujhe gussa bhut aaya, par mei usse kuch nahi bola aur socha ruk tu abhi tera ko pata chalega jab tu phele din training ka liya jaayega……. Mei usse bola ab hasna band kar aur meri madat kar…..

Willy : Meri baat sunkar willy na mujhe sahara dekar room tak choda aur jaata jaata bola baath tub mei garam paani mei jaakar baith ja thoda samay tujhe acha lagega……

Shubham: Mujhe bhi uski baat sahi lagi aur meina vasa hi kara aur karib ek ghanta mei paani mei raha aur uska baad kahi jaakar mujhe thoda better feel hua, bahar aakar mei tayar hokar bed par leta hi ki mujhe pata nahi chala kab mei so gaya…….

Chaliya dosto hero so gaya hai, hum bhi usse disturb nahi karta hai aur aaj ka liya bus yahi ruk jaata hai….. Fir milta hai kal naye update ka saath…… Tab tak ka liya aap bana raha aapki apni story par…… AAp sabhi ka valuable comments ka intezar rahega……
Like Reply
#59
Nice One ....
Pehle hi din se Subham ki phat gayi hai...?
Kya Captain Aliya apni story ki Heroine hai..
Age Bahut si baat pata chalega....
Pls regularly update do Bhai.....
Waiting for next update
Like Reply
#60
very nice
Like Reply




Users browsing this thread: 1 Guest(s)