Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Non-erotic SHUBHAM
#21
waiting for next
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#22
hero ke paas jaroor स्ट्रोम ब्रेकर jaisa hi koi hathiyaar hai
Like Reply
#23
Sandar kahani hai bhai Congretuletion
Like Reply
#24
Update 10


Pichla update mei Willy na bhut sari information de di thi aur sath hi apna group ka introduction bhi....

Ab AAge....

Hum dono na apna apna Maska aur SriRum pura kara...

Willy: Yaar mera to stomach abhi bhi khali hai, tm kuch aur lena cahaoga.....[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Shubham: Nahi mera ho gaya hai, islye mei to kuch nahi lunga aur aap apna liya mangwa lijiye kuch bhi....

Willy: Bhai idhar aana, ek ladka aata hai....
Bhai ek kaam kar ek plate to YARIUM le aao aur do glass SriRum, iss baar glass full vala lana........

Itna sunkar usna fir sa ek paper de diya aur usko dekh kar Willy na bura sa muh bana kar...

Willy: Yahi kharab baat hai yaha..... har bar order aana mei tym lagta hai.... par insa acha khana ko koi aur nahi banata hai.....

Shubham: Koi baat nahi aa jayega, tab tak kya mei kuch saval aur puchu..... isse aapko pata bhi nahi chalega ki samay kaisa beet gaya aur meri knowledge bhi bad jayegi....

Willy; Ha kyu nahi...... suru karo apna question ki barish.....

Shubham: Ab aap mjhe thoda apna school ka bara mei aur yaha padhna valo ka bara mei bhi bata de.....

Willy : HHHMMMMMM, to dekho aur itna kaha kar usna apna tablet par school ki puri photo khol diiii.....

(Aap sabhi sa maafi ki mei yaha photo nahi dikha sakta hu, kyunki mjhe nahi pata ki iss site mei post mei photo kaisa post hoti hai..... par mei koshish karunga ki aap sabko sahi sa school ka bara mei samjha saku...... Yadi aap sabmei sa koi mjhe photo kaisa add karta hai ya bata de to aapka reading experience aur badiya ho jayega.....)

Ek taraf ki building ki taraf ishara karka dekho ya building hai students ka rahena ka liya..... Yaha lagbhag sabhi students jo ek teacher ka under training karta hai vo ek saath rahata hai...... Har building mei 10 floor hai...... Hum log iss building mei rahega unhona ek building ki taraf ishara karaka kaha, jo ki unn sabhi building mei sabsa kona mei thi..... yaha jaada tar ladka aur ladkiya saath hi raheta hai..... par koi alag rehana cahata hai to unka liya alag sa building hai jo unhona mjhe dikhai thi......Humara group mei sabhi log saath hi raheta hai aur ya madam ka niyam hai, iss group ka sabhi log saath hi rahega, yadi aap sath nahi raha sakta hai to aap ek group mei trust nahi aur aap ek dusra ki jaan jokhim mei daal sakta hai...... Islye hum sab ekk saath hi rehata hai....

Shubham: Yaha practice kaisa hoti hai.....[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Willy ; Yaha sabhi groups ka liya alag alag training rooms hai, jaha sab kuch hota hai kissi bhi chij ki koi jarurat nahi hoti hai..... har group ka teacher ka under kuch 3-4 teacher aur hota hai jo aapko sab alag alag tarah ki education deta hai..... aap ek dusra group ko individually ya phir whole group challenge bhi kar sakta ho..... Par jab aap fourth year mei hota ho to ek series of competition hota hai sabhi group mei jaha sabhi group ek dusra sa fight karta hai aur sabhi fight ek real senario ki tarah hi hota hai bus ismei kisi ko lagti nahi hai, par jo mar gaya vo senario sa bahar nikal jata hai apna aap, har team ko samna vali team ka sara players ko marna hota hai..... Aur fifth year mei aapko apna group ka saath real world mei bheja jata hai..... jaha aapko aapki training ko basis rakh kar diya hua task pura karna hota hai..... ya period 120 days ka hota hai...... yadi aapka task pura jaldi ho gaya to aapko naya task ussi jagah de diya jata hai..... par 120 days tak aap real world mei apna group ka sath hi rehata ho......

Shubham: What....[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png] Matlab yadi aap vaha mar gaye to game finish......

Willy : Ha, vaha jana sa phele aapka parents ko ya baat bata deta hai, aur agar vo agree karta hai to hi aapko bhejta hai, otherwise aapka school vahi khatam ho jata hai....
Chalo ab tmna bhut saval puch liya hai.... ab meri bari hai..... Tmna sabka bara mei jaan liya par apna bara mei kuch nahi bataya ....[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

SHubham: Prince mera bara mei batana jaisa kuch nahi hai, mei jo sab aapka samna hu...... mera pariwaar mei kun hai aur vo kaha raheta hai mjhe nahi pata hai.....vo iss duniya mei hai bhi ya nahi ya bhi nahi pata hai...... mei kunsa grah ka hu ya bhi nahi pata hai...... rahi meri physical appearence ki baat to meri height 6ft hai.... mei dikhna mei whitish hu..... meri body ek dum kamjor hai..... aur meri age mjhe nahi pata hai abhi ka liya....

WIlly : HMmmm, vasa kya tm mjhe bata sakta ho tmhari body par itna sara nishan hai, ya kaisa hua....[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Shubham: Prince yaha aaj subha aana sa ek din phele tak mei kissi ka gulam tha, vaha vo mjhe torture karta tha aur marta tha...... unko ya sabmei bhut maja aata tha..... mei abhi itna hi kaha tha ki meri aankho sa kuch boond aasu aa gaye tha..... meina aapsa phele hi kaha tha Prince mei aapki dosti ka layak nahi hoga....

Willy : Yaar huma maaf karna jo humna essa puch liya, humko nahi pata tha tmhara sath essa hua hai..... aur rahi dosti ki baat to aaj ya Prince of Elf ka vada hai, jab tak meri aakhri saas hai tm mera sabsa acha dost rahoga...... aur yaha sa nikalna ka baad vasa to tm bhut bada Rakshak ban jaoga, fir phir bhi tm agar cahaoga to tm humara sath Elf mei rahoga, Elf ki Royal family ka member ban kar, jo baat beet gai hai usse bhul jao aur jo aana vala hai uska bara mei socho....

Shubham: ha aap sahi kaha raha hai, vasa aapna jo kaha uska liya bhut bhut sukhriya, aap phele essa rajkumar mila hai mjhe jisna mjhe grahna sa nahi dekha.... aur itna samaan diya.....

Willy : ary chodo ya baata, vasa bhi ab tmhai apna jeevan mei ya sab faltu baate sochna ka liya samay nahi milega.....

Shubham: Aap essa kyu kaha raha hai....??

Willy : kyunki Madam Mariana na vada kara hai vo tmhai weaponary arts mei mahir karegi, vo bhi duniya ka best iska matlab ya hai ki tmhara jeevan mei ab bhut kadi mehnat hogi.....

Shubham ; Ary ha ya aapna acha yaad dilaya..... Kya aap mjhe AS aur MAriana Madam ka bara mei kuch batayega......[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Willy : Phele Mariana Madam ka baara mei batata hu......Madam Mariana dikhna mei Fair hai.... unki height 5ft 11" hai..... roj kadi mehnat karna ki vajah sa unki body perfect zero figure hai...... Ab unka bara mei jo khaas baat hai vo jaan lo..... Phele baat Madam sa jada acha sa Talwar iss pura . d mei shayad ki koi hoga chalana vala..... Iss duniya mei apna aapko sabsa bada Talwar baaj kehana vala bhi Madam ka samna kuch bhi nahi hai..... Madam na aaj tak apni Talwar sa na jana kitna bada sa bada logo ko apna samna jhukna par majbur kar diya hai...... Dusri baat iss school mei sabhi Madam sa darta hai aur vo kissi bhi rajya ka raja sa nahi darti hai, kyunki Madam kabhi kissi sahi insaan ka saath galat na karti hai aur na hona deti hai apna samna..... aur yadi koi galat karta hai ya jhut bolta hai to Madam uski essi halat kar deti hai ki uski rooh tak kaap jaati hai..... Teesri baat Madam iss school mei sabsa jada bacho sa mehnat karvati hai, jisse bhut kam ki log unha chunta hai, pichle 10 saal sa ek bhi student na unka group join nahi kara hai..... Fourth baat Madam ka pas Magical powers bhi hai, jiska chalta vo bhut dangerous ho jati hai.... Unki magical power Healing aur Brain control ki hai...... Last baat jo khaas hai vo ya ki Madam apna vada ki pakki hai, islye mjhe lagta hai ab tmhara mauj masti ka din khatam hua ab tmhai apna hisab sa training karegi, aur uski suruwat kal sa hona vali hai...... Jabki hum sabki training to abhi pura ek week baad sa hogi.... Ek sabsa badi baat vo iss duniya ka teesra Rajya ki Rajkumari hai...... Jinki sena sabsa powerful hai..... Madam ka ek baar kahana sa hi vo kissi bhi rajya par humla karka usse rajya ka namo nishan tak saaf kar sakti hai......

Ab baat karta hai AS ki, to ya baat jaan lo AS jaisa dikhta hai vasa hai nahi..... Jada samay bhut shant rahata hai.... par yadi agar vo gussa mei ho to samna vali ki deen duniya sab saaf kar deta hai...... AS ki knowledge aur experience bhut jada hai, AS apni intelligency ki vajah sa duniya ki har ek musibat sa bina koi weapon aur bina kissi magic ka use kara ek dum sahi salamat bahar aa jaye..... AS vo duniya ki bhut knowledge hai aur vo padoaur animal k ka bara mei bhut kuch janta hai..... AB baat kara  unka magic ki To duniya ka five elements mei sa 3 elements ko vo control karta hai aur uski power sa bhut kuch kar sakta hai, ya elements hai AIR, Earth aur Aakash...... Duniya mei sabhi log unko bhut ijjat aur samaan ki najar sa dekhta hai, kissi bhi rajya ka raja bhi AS ka samna apna sir jhukana mei sharam nahi karta hai, ya AS ka rutba hai sabhi logo par, par AS sabhi ko samaan deta hai...... AS apna aap mei gyan ka bhandar hai..... Iss duniya mei essa shayad ki koi raaj ho jo AS ko na pata ho...... Vasa mei AS ka bara mei jitna kahunga vo kam hi hoga..... Vo bhut acha insan hai, vo sabhi ka acha sochta hai..... MAriana Madam aur AS husband wife hai ( Ya baat to huma hero sa phele hi pata chal gayi thi....)

Itna kaha kar Willy na ek lambi saas lee aur humara order aa gaya aur ek Glass Srirum ka meri taraf bada diya...
 
Shubham: Meina to order nahi kara tha, mei nahi pee sakta hu mera pait bhar gaya hai..... vasa bhi ya pichla vala ka double hai.....

Willy: ary peelo kuch nahi hoga..... Ab vasa bhi huma yaha sa school jana hai..... jaha huma kaafi samay lagega...... islye ab pee lo....

Chaliya dosto ab hum ya khatam karka school pahuchta hai, aur fir vaha sa aage milega aap logo ko, tab tak ka liya alwida.....

Kal milta hai naye update ka saath aur aap sabka valuable coments ka intezar rahega....
Like Reply
#25
Nice Update Bro ..

Waiting for next update
Like Reply
#26
bhai update kafi achchhe hai...
Like Reply
#27
waiting for next
Like Reply
#28
waiting
Like Reply
#29
nice one

if u wish you can also read downward link
https://xossipy.com/thread-1839.html
Like Reply
#30
update 11

Pichla update tak aapna dekha kaisa Willy mjhe school aur bakisabhi chijo ki jankari deta hai....

Ab AAge....

Hum dono apna khana khatam karka uss dukan sa nikal liya aur bahar aakar mei chal pada jaha sa hum aaye tha vaha sa bahar nikalna ka liya.....

Willy: Ary kya tmhai aur kuch bhi lena hai.....[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Shubham : Nahi meri list ka hisab sa to sab kuch ho gaya hai.....

Willy : To udhar kaha ja raha ho....[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Shubham : Vapas bahar bhi to jana hoga na huma...... to uska liya ussi taraf ja raha hu....

Willy: Nahi bhai, tm vaha sa bahar nahi ja sakta....

Shubham : Matlab???

Willy: Ary ya Gallery Of Antiques hai yaha jaha sa aata hai vaha sa nikal nahi sakta hai.....
Yaha sa bahar jana ka rasta alag hota hai aur aana ka alag.....

Shubham: Kya....[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png] Hey bhagwan ya kya hai.... Iss magical gali na to mera sir hi ghuma diya hai..... vasa tmhai ya sab kaisa yaad raheta hai..... ki kaha jana hai aur kaha nahi....[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Willy : Simple hai bs yaha iss galli mei ek baar ghum ho jao, tmhai sab yaad rahena lagaga...... Aur vo mera majak banana laga.....

Shubham: Meina bura sa muh bana liya aur man mei ek baar bahar nikal jau tabhi saas aayega.... varna ya galli to pata nahi kya kya hai yaha..... mei to nahi aana vala kabhi yaha akele....

Willy : Ary yaar sochna chodo aur chalo aur vo aage mei picha paahuch gaye ek well (Kua) ka pass jaha jakar vo ruk gaya....

Shubham: Kya hua ab kya pyas lagi hai jo yaha ruk gaye....

Willy: Yar tm na gussa bhut hota ho.... Ya ek magical city hai aur ya well koi pani pina ka liya nahi iss gali sa bahar jana ka rasta hai..... Vo samna dekho vaha jo aadmi hai usse ya bata do ki saman kaha pahuchana hai..... aur saman usko de do..... vo saman apni jagah aapka pahuchta hi pahucha dega.....

Shubham: Par hum yaha iss well mei sa bahar kaisa jayega.... yaha to koi pathar essa nahi dikh raha hai.....

Willy : yaha sa bahar jana ka liya humko iss well mei khudna hai..... aur jaha sa hum andar ghusa tha vahi sa bahar nikal jayega.....

Shubham: Kya..... [Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png] nahi mei nahi khudna vala.... aur mei well ki depth dekhna ka liya uska pass gaya aur usko dekh kar, iska to koi end hi nahi dikh raha hai.... agar kuch ho gaya mjhe to....

Abhi mei yahi bola tha ki Willy na mjhe picha sa dhaka de diya aur khud bhi khud gaya....
meri dar ka mara aankhe hi band ho gayi thi aur mei bs bola ja raha tha hey bhagwan iss baar bacha le mei fir kabhi iss gali mei nahi aaunga...

Willy : Ary apni aankhe kholo aur samna dekho...

Shubham: Meina uski baat sunkar darta darta aankhe kholi, to meina dekha mei hawamei ud raha tha aur meina samna bhut ki rang biranga panchi ud raha tha aur vo apna mei hi khel raha tha aur unko dekhna mei essa laga raha tha vo huma dekh kar maja le raha ho...... par hum unka chu nahi sakta tha aur na hi vo huma.....

Willy : Kyu ab bolo ab nahi khudna hai....?? Kaisa lag raha hai, hawai yatra....

Shubham: Ary bhad mei jaye hawai yatra.... hum kabsa ud raha hai.... kab pahuchega....

Willy : Ya lo pahuch gaye......

Hum dono koi 10 minute ki hawai yatra karka land hua aur ab jo samna tha vo vahi sadi si choti sa galli jaha sa hum ghusa tha....

Willy : Kyu maja aaya na Gallery Of Antiques mei....

Shubham : Hath joda aapko, dubara mei to kabhi nahi aaunga ismei..... Aur ya kaha kar mei aage nikal gaya aur Willy mera picha mjhe awaj deta hua aur meri majak udata hua, koi 25 minute ka chalna par hum pahuch gaye School....

Willy: Chalo bhai finally pahuch gaye school...... aur usna time dekha to abhi 6 baje tha.....
Chalo bhai ab yahi rahoga ya phir room bhi dekhoga...... Thaka hi diya hai tmna.....

Hum dono nikal liya apna room ka liya ek building ki taraf jaha huma jana tha.... aur hum pahuch gaye uss building ka fourth floor par jaha sabhi ka rooms tha....

Willy mjhe apna right ka ek room ki taraf ishara karka bolta hai.... ya hai room

Shubham; Thik hai, par mera saman.....

Willy : aa jayega vo bhi..... aur Willy na aage bad kar room khol diya..... aur picha sa ek awaj aayi....

Ya awaj Isabella ki thi......

Isabella: Room yaha thoda chota hai, par bhut comfortable hai.... tm rest karlo hum milta hai, kuch tym mei.....

Shubham : Jee Princess....

Usko Princess suna par ajeeb laga par vo kuch nahi boli aur vaha sa nikal gayi....

Willy : Chalo bhai dekhlo apna room.... aur yaha kaha kar vo andar bad gaya aur mei uska sath room ka andar...

Shubham : Room ka andar aakar to jaisa mei shock mei hi chala gaya tha..... mjhe to jaisa kaato to khun nahi vali halat ho gayi thi....

Willy : kya hua yaar, room pasand nahi aaya kya...[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Shubham: Pasand ki baat chodo ya to mera sapna ka room sa bhi bada aur acha hai..... Kitna log rehata hai yaha par.....

Willy : Meri baat sunkar hasta hua..... nahi yaha keval tm hi rehana vala ho.... tmhara alawa aur koi nahi rukna vala hai.....
Ha tm apni aakhe band karka apna saman ko yaad karo vo aa jayega.... aur essa kaha kar usna apni aankhe band kardi....

Shubham: Meina bhi usko dekh kar apni aankhe band kari to mera samna mera sara saman aa gaya tha jo humna kharida tha.....

Willy ; Meri taraf kuch bags bada kar, isma tmhara liya kapda hai aur baki jarurat ka saman.... Aur ha ek almari ki taraf dikha kar usma ek locker hai, jaha tm apna kimati samana rakh sakta ho..... Ab mei chalta hu, tmhara left hand vala room mera hai ...... koi dikat ho to mjhe bata dena..... aur vo chala gaya aur mei bs apna room ko hi niharna mei laga raha......

Dosto aapko bhi room ka bara mei bata de...... Iss room mei ek bed room, ek sitting and dinning space combined thi aur sath mei ek bathroom tha......
Chaliya phele baat karta hai Sitting room ki.... aap room kholta hi sitting room mei enter karta ho, vaha par ek baithna ka liya ek full wall to wall, approx 10 seater ek sofa aur uska side mei teen single sofa ek centre table vo bhi glass ki..... Sofa ka bara mei baat kara to vo fully royal texture ka jaisa tha.... uska kapda ek dum smooth touch tha... Sofa ka samna vala wall par ek full size shelf tha, jaha aap apni books properly rakh sakta ho aur uska sath hi tha ek 10 seater dinning table.....

Ab baat kara bed room ki to uska to kehana hi kya, full wooden floor, jiska bich mei ek king size double bed, bed par ek dum new style linen( chadar, pillow, cushion, etc...) bed ka dono taraf night lamp, bed ka samna ki taraf ek full wall to wall size almira..... aur sath mei laga hai ek two seater sofa aur do single seater sofa......

Aur bathroom mei ek full size bathtub jisma do log aram sa aa sakta hai..... All in all ek dum premium class hotel room tha vo.....

Shubham: Mei ya sab dekh kar kahi khush tha aur kahi dar ki ya sab kuch kitna kimati hai, isko agar aage bhi chaiya to mjhe bhut mehanat karni hogi, aur vo kaisa hoga..... mei yahi sab sochta sochta apna sabhi saman ko jamana laga aur apna aapko room mei adjust karna laga.....
Meina apni sabhi books ko shelf mei jamaya, par usma sa vo do books na jana kyu meina unha apni almira ka locker mei rakh diya, sath hi mei Willy ka diya hua Mouth Organ bhi.....
(Ya vahi do books hai jo mei store sa laya tha, par yaha abhi nahi pata hai ki isma kya hai,,,,,,)
Mei baki sabhi saman jama kar kuch ek ghanta baad apna bed par leta hi tha ki, bahar sa koi mera darvaja ko bhut jor sa baja raha tha..... Ek baar to mjhe ghusa aaya, par socha koi kaam hoga..... Jakar dekha to ya aur koi nahi Willy tha....

Willy : yar mei tmhai to bolna hi bhul gaya aaj school mei party hai, to ya lo tuxedo ( ek three piece suit with bow) aur jaldi tayar ho jao, mei tmhara intezar kar raha hu.... aur vo ya kaha kar mjhe side mei karka khud sitting area mei aram sa sofa par baith gaya.....

Shubham: Ary yar mei vaha kya karunga, vaha to sabhi desho ka Prince aur Princess hoga aur baki sab jo bhi hoga vo bhi bhut bada log hoga, aur vasa bhi essi party mei kya hota hai aur vaha ka taur tarika kuch nahi pata hai mjhe....

Willy : Dekho mei tmsa puch nahi raha hu, bata raha hu ki tm tayar hokar aa jao chup chap aur rahi baat bada logo ki to mei tmhai bata du, tmsa jada abhi iss planet par kissi bhi rajya ka Prince ya Princess ki aukad nahi hai, islye tm andar jao aur thik 5 minute mei aa jao..... aur mjhe andar tayar hona ka liya dhaka de diya....

Karib 5 minute baad mei aaya aur mera haath mei bow thi jisse pehana mjhe nahi aata tha....

Shubham: Ya kaisa pehanta hai aur ya kya hai....[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Willy : Lao mei help karta hu, aur isse bow kahata hai.....

Hum dono bhi tayar hokar party hall ki taraf nikal gaye tha, humara sath ka baki sab already pahuch gaye tha.... Rasta mei Willy na mjhe humara training room bhi bataya, jaha par kal subha sa meri lagna vali thi......( galat na samjha bhai log mei class ki baat kar raha hu.....)

Jab hum vaha pahucha to essa lag raha tha sabhi log already aa gaye tha..... Jab meina dhyan sa dekha to sabhi log black mei tha, jisse meina Willy sa pucha ya sab log black mei kyu hai.....[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Willy : Kyunki black yaha ka dressing color hai aaj ki party ka..... essa hi ladko ka liya black suit aur ladkiyo ka liya black gown.....

Hum bhi andar pahucha jaha sabhi taraf alag Rajya ka Prince aur Princess tha aur sabhi lagbhag groups mei, ya apna partner aur friends ka sath khada bata kar raha tha..... Par vaha kuch aankhe essi thi jo mjhe bhut ajeeb najar sa dekh rahi thi,

Jee ha dosto ya aankhe thi Kairo aur uska chamcho ki, aur usse mera yaha par essa aana bardast nahi hua, aur vo mera samna aakar abhi kuch bolna hi cahata tha, ki mera aur uska bich mei Willy aa gaya, jisse dekh kar Kairo ek dum sa bolta bolta ruk gaya.....

Willy : Dekho Kairo, yaha par tamasha mat karo, vasa bhi subha jitni galti Shubham ki thi, utni tmhari bhi, fir bhi usna tmsa sorry kaha par tmna panga kar diya aur na usse maafi mangi.....

Kairo: Prince of Elf, apni aukat mei raho tm kya kaha raha ho, mei Prince of Zamata.... isse maafi mangu.... iski aukat hi kya hai mera samna.... Iss jaisa ko yaha lana ki tmhari himat kaisa hui.....

Willy : Kairo apni jaban par lagam rakho, essa ahi hoki mera haath uth jaye.... aur vasa bhi tm Prince hoga apna rajya mei.... yaha par tm kaval Kairo ho, aur ha aaj tmhari kismat achi thi ki subha Madam Mariana na tmhara hath par ek chop hi mara tha....... varna janta hona unka samna essi harkat karna valo ka sath kya hota hai..... unka samna na tmhara pita ki chalti hai aur na hi kissi aur ki.... aur vasa bhi ya Madam Mariana ka group ka hai, to behatar yahi hoga ki isse dhuri rakho varna madam tmhara jo haal karegi vo tm soch bhi nahi sakta ho.......

Itna kaha kar Willy mjhe lekar vaha sa nikal gaya....

Shubham: Dekha meina kaha tha na mjhe yaha nahi aana cahaiya....faltu mei tmhari Kairo sa meri vajah sa ladai ho gai hai....

Willy: Pheli baat ya party school ka har student ka liya hai, jo yaha padh raha hai, ya yaha sa padh kar ja chuka hai sabhi logo yaha aa sakta hai, dusri baat Kairo sa meri vasa bhi nahi banti hai, islye mei humesha bahana dhundta hu usse ladna ka samjha....
Aur vasa ab apna dhyan essi faltu bato sa hatao.... aur iss party mei aayi itni khubsurat Rajkumari par dalo..... kissi na kissi sa tmhai pyar ho hi jayega......

Shubham: Mei abhi kuch bolta ki utna mei AS ki awaj aayi..... jisse mei chup ho gaya....

AS: Welcome aap sabhi ka iss sala ki party mei.... aap sabhi ko yaha dekh kar mei kitna acha mehsoos karta hu, ya mei aap logo ko bata nahi sakta hu..... Mei aap sabhi logo ko jada bor nahi karunga aur aaj ki party suru karta hu....

Itna kaha kar AS na hawa mei kuch mantar padh kar chod diya aur kuch seconds mei hi pura hall ka view hi badal gaya tha..... vo puri tarah sa ek dum Rang Biranga Fullo sa saja gaya tha aur asman mei bhi rang biranga color ka badal aa gaye tha jisse chan chan karti chand ki roshni bhi rang birangi padh rahi thi, aur iss ka sath vaha keval bhut soft soft music bajna laga..... Vahi dusri taraf Khana pina ki alag alag tarah ki kai sari chija bhi rakhi hui thi..... aur alag alag  tarah ka drinks bhi tha....

Music ki awaj sunkar sabhi Prince apni pasand ki Princess ka hath pakad kar dance karna ka liya unhei bichmei lekar aa raha tha aur dhira dhira karka sabhi log dance mei aur khana mei magan ho gaye tha.... Par mei kyunki dance aur yaha sa culture ka bara mei kuch nahi janta tha islye ek essa kona mei jakar chup chap khada ho gaya jaha sa shayad hi kuch log mjhe dekh sakta tha, par mei lagbhag sabhi ko dekh sakta tha..... aur mei bus vaha khada hokar music ka maja le raha tha, jo ki mjhe bhut sukun pahucha rahi thi......

Essa hi samay beeta aur sabhi logo na dinner karka apna apna rooms ki taraf nikal pada, kaafi ka man mei aaj apna partner ka sath bitaye sukhad palo ki khushi thi, to kaafi ka man mei aage aana vala samay mei apna hona vala partner ka liya sapna, par kcuh essa bhi tha jinko dukh hua apna sapno ka Prince ko na paa kar....... mei bhi Willy ka sath ho liya, jaha willy ki aankho mei aaj ek ajeeb hi chamak thi, aur sath mei thi Isabella...... usse baat karka lag hi nahi raha tha ki hum abhi kuch der phele hi mila hai.... vo bhut hi acha sa mjhc bhi baat kar rahi thi..... Par usse dekh kar mjhe mera armor ka bara mei janana ki icha bhut ho rahi thi par mjhe usse puchna mei dar lag raha tha..... Khair pura rasta Willy usse aaj din mei hui meri roop sundariya ki ghatna bata raha tha, khub nakam mirchi laga kar, jiska chalta pura rasta un dono na mera khub majak udaya, par mjhe bilkul bura nahi laga.... Essa hi baat aur hassi majak karta hua hum room tak pahuch gaye.... aur sabhi apna apna room mei pahuch gaye....

Shubham: Room mei aakar meina fresh hokar palang par pad gaya aur aaj din bhar ki baat ko sochna laga, ki kaisa ek din mei hi sab kuch badal gaya..... aur achanak mera man mei Madam Mariana ka mera liya itna paisa jama karana ka reason samaj nahi aaya.... aur mei uss baat ko bhul kar sona ki koshish karna laga.... Par mjhe nind nahi aa rahi thi, kyunki mjhe abhi bhi apna armor ka bara mei janana ki icha thi.... Jiska chalta mera sa raha nahi gaya aur mei uth kar Willy ka kamra ka darwaja ka pass jakar uska gate bajana laga/......

Willy : aakar gata kholta hua, Kya hua itni raat ko yaha, kya nind nahi aa rahi hai......

Shubham: Nahi mjhe mera armor ka bara mei jaana hai.... Please chalo na hum Isabella sa chal kar puchta hai.....

Willy : Yar itni raat ho gai hai..... vo so gayi hogi....

Shubham: Nahi soyi hai..... dekho uska kamra ki light chalu hai.... (uska room ka door sa light bahar aa rahi thi....)

Willy : Thik hai chalo..... aur hum na jakar Isabella ka door khatkaya.....

(Dosto ab aage sa Isabella ko Iszy likhunga.....)

Iszy: Usna aakar gate khola aur huma samna dekh kar boli, kya hua itni raat mei.....

Willy : Kuch nahi yaar isse apna armor ka bara mei janana cahata hai...... kahi tm so to nahi gayi thi....

Iszy: Ary Nahi yar abhi nahi soyi thi.... aao andar aao....

Hum Iszy ka sath andar aaye aur sofa par baith gaye....

Iszy: Lao dikho apna armor, batati hu tmhai sab kuch.....

Shubham: Vo to mera room mei hai.....

Iszy: Bhai sahab jab tak armor dikhoga nahi bataungi kaisa.....

Shubham: Sorry excitement mei bhul gaya..... abhi lekar aata hu aur mei vaha sa bhag kar apna room sa armor lekar jata hu....
Meri excitement dekh kar vo dono hasta hai....

Willy: BHut jaldi hai isse, ab jaldi sa bata do taki mei jakar so saku......

Iszy : Ha, aur ya kaha kar vo mera haath sa armor le leti hai.....
Armor ko dekh kar hi Iszy ka cehara ka expression badalna lagta hai..... aur vo kuch sochna lag jati hai......

Willy : vasa to Loham na kaha hai, ya Rakshak category ka hai.... par meina aaj tak essa armor kabhi nahi dekha hai, jisse mjhe nahi pata ki isse kis weapon mei maharat hassil hogi....

Iszy ; Willy ki baat nahi sunti hai, kyunki vo apni hi soch mei thi.... Willy usse hosh mei lata hai hila kar....

Willy : Kya hua, tm essa kya soch mei padh gai isse dekh kar.....[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Iszy : Hum dono ko dekh kar kuch kahati hai, jisse sunkar hum dono ek dusra ka cehara dekhna lag jata hai.....

Iszy essa kya kahati hai, ya jaana ka liya bana raha aapki apni story par..... Milta hai kal...... tab tak aap sabhi socho vo essa kya kahati hai.... aur apna comments ka jariya opinion de.....

AAp sabka valuable coments ka intezar
Like Reply
#31
Nice Update.....
Ab pata chalega Armor Kia category se hai..
Waiting for next update
Like Reply
#32
Nice update waiting more
Like Reply
#33
aisa kya kah diya us armour ke bare me
Like Reply
#34
hero to shubham hi lag raha hai lekin heroine ka kuchh pata nahi hai ki kaun hai....
Like Reply
#35
update kamaal ka hai...
hero party me akela hi rah gaya....
Like Reply
#36
waiting for next
Like Reply
#37
Update 12

Pichla update tak aap logo na padha ki kaisa mei aur Willy Galler y sa bahar nikala aur fir shyam ko school ki party enjoy karka hum sab apna bedroom mei, aur der raat Iszy ka room mei jaha vo huma essa kuch batati hai jisse hum dono shock mei aa jata hai….

Ab AAge…..

Willy : Iszy tm kahana cahati ho iss armor mei koi power hi nahi hai…..

Iszy: Ha willy…. Mjhe to ya samaj nahi aa raha hai ki Mr. Loham sa essi galti ho sakti hai…..[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Willy : Iszy mjhe lagta hai tmsa koi galti ho gai hai…..

Iszy: Willy tm janta ho mei har armor ko dekh kar bata deti hu, to mei essi galti kaisa karungi….

Willy : Nahi mjhe lag raha hai tum abhi bhi nind mei hi ho…..

Iszy: Ary yaar mei nind mei nahi hu, ruko mei abhi sabit kar deti hu ki mei nind mei nahi hu…… Itna kaha kar vo aromor ko palat deti aur uska ek nichla corner mei dikhati hui bolti hai…… dekho yaha dhyan sa kya tmhai yaha koi nishan dikh raha hai, jabki ya baat tm bhi janta ho ki job hi armor jiss element ki power rakhta hai uska symbol yaha par apna aap ban jata hai…… iska baad vo fir uss armor ka andar ek jagah dikhati hui bolti hai, ab yaha dekho kya yaha tmhai yellowish color mei EARTH POWERED, likha hua dikh raha hai….. nahi na, ya tabhi hota hai jab koi element kissi armor ko power deta hai to vaha ussi element ka color mei uska naam hota hai…… Itna kaha kar vo apni jagah sa uthti hui samna book shelf ki taraf jati hai…..

Willy & Shubham : Hum dono uss armor ko bada dhyan sa dekhta hai, ki kahi huma kuch mil jaye.,…..

Iszy : Humara pass aakar….. Ek kitab humari taraf bada deti hai jisma duniya ka sabhi armor ki photo with full description likha hua hota hai, ki kunsa kiss element ki power carry karta hai….. Ya lo aur dekh lo apna aap ki tmhai ya armor kis element ki power mei dikhta hai….

Willy & Shubham : Hum uss kitab ko lekar har ek armor ko acha sa dekhna lagta hai, ki kahi to huma vo mil jaye, par essa nahi hota hai….. kissi bhi element ki power mei essa koi armor nahi tha….

Willy : Par Iszy ya kaisa ho sakta hai….. essa to kabhi nahi hua hai….

Iszy: Willy mjhe ya samaj nahi aa raha hai, Mr. Loham nay a baat kaisa galat bata di, kyunki unsa essi galti nahi honi cahaiya….

Shubham : Par kya essa nahi ho sakta hai kya ki ya armor bacha hua fifth armor ki power ko carry karta ho…..

Willy & Iszy: Dono ek saath bolta hai, nahi essa nahi ho sakta hai…..

Shubham: Un dono ka ek saath essa bolna par mujhe ajeeb to lagta hai, par mei fir bhi puchta hu essa kyu nahi ho sakta hai…..

Iszy : Kyunki pheli baat ya hai ki vo fifth element ki power jiss jagah hai vo apna aap mei ek alag jagah jai, jiska baara mei tum aage sab samaj jaaoga….. dusri baat yadi maan bhi lo fifth element isse power dega to huma jarur pata chal jata, kyunki duniya ka har armor ko power jab milti hai to uska record apna aap humara rajya mei ban jata hai, jisse ya buk bani hai, par ismei tmna dekha na essa nahi hai….. aur na hi ya naya hai, ki tm yaha kaha sakta ho ki ya naya aaya hai aur meri book mei nahi hoga….. kyunki iska material jisse ya bana hai vo saalo purana hai aur aaj kal iss material ka armor nahi banta hai…..

Shubham: Iszy ki baat sunkar mujhe nirasha hoti hai…..

Willy : Mujhe nirash dekh kar, ary yaar tm pareshan kyu hota ho, hum kl phir chalega Mr. Loham ka pass aur dusra armor try karega….. koi dusra armor tmhai jarur mil jayega…..

Iszy: Maaf karna Shubham, par Willy vaha jana ka koi fayda nahi hai, kyunki agar kissi element ki power ka armor isse milna hota to vo ussi tym isse apna aap select kar leta….. vasa bhi iss duniya mei essi galti nahi hoti hai, kyunki yaha sab chij hi magic sa hoti hai….

Shubham : Mei ya baat sunkar bhut jada nirash hota hu

Iszy: Ary yar essa pareshan hona ki jarurat nahi hai, duniya mei bhut bada bada yodha essa bhi hai jinhona apna jivan mei kabhi kissi armor ko nahi use kara hai, par vo apni kabiliyat aur mehanat ka du par iss duniya ka sabsa bada yodha mei shaamil ho gaye hai, duniya aaj bhi unka bara mei samaan sa baat karti hai, aur unka kaam ko maanti hai, thik ussi tarah tum bhi apni mehanat ka dum par ek din bhut bada yodha banoga, essa nirash hona sa kuch haasil nahi hoga….

Shubham : Iszy ki baat suna mei achi hai, par jiska saath galat hota hai ussi ko uska dard pata hota hai….. Mei vaha sa uth kar apna room mei aa jata hu….

Picha vo dono abhi bhi baata karta hai….

Willy : Iszy essa kaisa ho gaya ki koi armor bina power ka iss world mei aa gaya ho…..[Image: nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png]

Iszy: Willy mjhe bhi ya baat samaj nahi aa rahi hai, kyunki iss duniya mei essa nahi ho sakta hai, mera pitaji humsha kahata hai, ki iss duniya mei har armor jo banta hai usse kissi na kissi element ki power humesha hi milti hai, par pata nahi essa kaisa ho gaya…..

Willy : Yaar bhut bura hua uska saath….

Iszy: Willy meina aaj tak tmhai itna pareshan aur bura mehasoos karta hua kabhi nahi dekha, to fir aakhir essi kya baat hai, aur ya hai kun, kis Rajya ka Prince hai ya fir iska mata pita kun hai…..

Willy : Iszy ko mera bara mei sab bata deta hai jo meina usse bataya tha……

Iszy: Willy tum ya kya kaha raha ho….. tum janta ho na ki aaj ka time mei kissi desh ka King bhi kissi ko apna gulam nahi bana sakta hai, fir iss jagah ki baat to ek dum hi alag hai, AS aur Madam ka hota hua ya kabhi bhi possible nahi hai….

Willy : Iszy mei tumsa jhoot thodi bol raha hu…… Meina apni aankho sa uski body par burnt marks dekha hai jo ki ek gulam ka sharir par hi hota hai….

Iszy: Willy agar essa hua hai to sach mei yaar uska saath bhut bura hua hai…… Par kya AS aur Madam ko iss bara mei nahi pata ….

Willy: Yaar AS ko to pata hi hai, kyunki unhona hi usse aazad karaya hai……. Aur mjhe lagta hai madam ko bhi pata hoga…..

Iszy: Lagta hai unka kaal aa gaya hai….. Jaldi hi Madam ki talwar ek baar phir khoon ka swaad chakhegi…..
Vasa Willy tmhai lagta hai ya yaha par kuch kar sakega…..


Willy : Iszy mujhe lagta hai, shayad ya vo sab kuch karega jo hum kalpana mei bhi nahi soch sakta hai…….
Vasa bhi tmna ek baat par dhyan nahi diya, aaj ta kiss school mei koi essa nahi aaya hai jiska koi background strong nahi ho, par jaisa huma pata hai uska hisab sa to ya yaha aa hi nahi sakta hai…… aur ek baat isko khud Madam na vada kara hai ki vo isse duniya ka sabsa bada Yodha banaygi, aur uska liya iski training kal sa suru bhi hogi, jabki hum sabki training suru mei abhi bhi pura ek week baaki hai….


Iszy: HHHHmmmm, iska matlab kuch to essa hai, jo huma nahi pata hai iska baaremei, par AS aur Madam iska baaremei bhut kuch janta hai….. Chalo dekhta hai samay kya kya dikhata hai….. Ab to sach mei isko jaana ki icha hai, aur yahi duwa hai ki iski icha puri jarur ho…..

In dono ka bich baate chalti raheti hai, Chaliya hum dekhta hai baaki jagah kya ho raha hai…..

Shubham : Mei vaha sa uth kar siddha apna room mei aakar faltu ulti sidhi baate sochna laga, par end mei ya faisla karka so gaya ki mei apni puri koshsish karunga, baaki jo hoga dekha jayega….

Chaliya baaki hostel ka bhi haal chaal dekhleta hai…. Ary par ya kya baaki sabhi building ki light to band hai, par ek building ka 10thfloor sa abhi bhi roshni aa rahi thi….

(Mei iss building ko hostel2 likhunga…..)

Hostel 2: Ya building to Kairo and Company ki hai, jaha vo log rahata hai, Vasa mei Kairo and group ka head Professor ka bare mei bata du, Inka naam Mr. Rihan hai….. ya bhut hi shant aur simple tarah ka teacher hai… inhe kissi group sa koi matlab nahi hai, ya sabhi bacho ko saman maan kar unki har sambhav madat karta hai….. Inka maana hai ki yadi koi sikhna cahata hai to usse sikhna ka pura mauka milna cahaiya,jiska chalta ya har student ko sikhata hai jo sikhna cahata hai…… Vasa to ya magical weapon use karta hai….. Inka magic Rarest of Rarest magich hai, inko Aaksh ka elemet ki power mili hai jiska chalta ya jab cahaiye kissi ka bhi roop le leta hai aur saath hi uski saari khubi bhi le leta hai, jab tak ya uss roop mei rahata hai….. Par inka gyan aadhunik (technological) filed mei bhi bhut adhik hai, jiska chalta inhona bhut naye aavishkaar kara hai, aur aaj issi vajah sa y a jagah bhut viksit hai……

Chailya hum bhi chal kar dekhta hai ki aakhir upar kun hai aur ho kya raha hai……

OOOhhhh yaha to Kairo and Company hai par saath mei do naye face bhi hai….. Ya abhi kuch discuss kar raha hai aur uska baad sabhi ek baat par sahemat hokar hasna lagta hai, par inka bich koi ek aisa bhi hai jisko ya baate pasand nahi aur vo vaha sa chala jata hai…..

Kairo: Bus ab to kal sa aageya maja……

Ary essi kya baat hui hai inka bich mei aur ya essa kya karna vala hai, ya jaan ka liya bana raha aapki apni story par…..

Dosto ek baat aur vo jo do naye face meina bola dekhna ko mila hai unka intro story mei aage de dunga aur Kairo ki company ka intro ki jarurat nahi hai, bus mei unko aawaj 1, aawaj 2 essa likhunga…..)
Stay Tunned aap sabhi ka comments ka intezar rahega aur deri ka liya maafi…
Like Reply
#38
(04-05-2019, 03:34 PM)Raj355407 Wrote: waiting for next

Thanks Bhai
Like Reply
#39
(02-05-2019, 11:07 AM)Samrattttt Wrote: Nice update waiting more

Thanks Bhai
Like Reply
#40
(02-05-2019, 08:56 AM)abhi_mishra_91 Wrote: Nice Update.....
Ab pata chalega Armor Kia category se hai..
Waiting for next update

Thanks Bhai
Like Reply




Users browsing this thread: 1 Guest(s)