Thread Rating:
  • 5 Vote(s) - 1.8 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Meri Bahu Aisi Nahi( completed)
#1
Heart 
  Meri Bahu Aisi Nahi

Mujhe to lagata hai naved kisi bahut khoobsurat ladki se shadi karega. rubina ne rai di.

"ismie kya shaq hai. usse  karni bi chahiye , jo khud itna smart welldressed aur handsome ho uske saath koi aam si ladki kya suit kareagi." Nazia ke lafaz mie ek gurur tha. Baat kartey waqt ussne apni patli lambi gardan ko uncha kar ke akkad lia tha.

"Ab aisa bhi wah sahjada nahi ki uske saath Bas aalmaara ya hur bano type ladki hi janche."
Imran ko jaise apni bahno se ise tarah ki baat ki ummid nahi thi. aur waise bi wah apne aap ko hamesa naved se jaida khoobsurat aur smart manta tha. Ab ye alag baat ki baaki ki saari toli uske ise khayal par khoob khoob hoot karti aur sarminda karne ki kosis karti kyun ki sabki rai yahi thi ki khandan ka sabse khoobsurat nawjawan naved hi hai.

waise ise khandan ko ,.'a ne khoobsurti ki daulat dil khol ke ata ki thi. ladkiyon se jaida ladke khoobsurat the.ek baar to unki family mien aane wala banda hairan rah jata tha ki kisko pehla number de.
"Tum kyun jealous ho rahe ho? Naved bhai to jai hi aise ki khoobsurat se khoobsurat ladki unke saath chalne mie fakhr karegi. Har mehfil mie chaa jate hai woh." Lubana ke lahje mie bhai ke lia tarif hi tarif hi thi.
              "han tum tarif nahi karogi to kaun karega." kamran ne bi baatchit mien hissa lete huey apni maujudgi ka ehsas karaya.
      "ji nahi, yeh mien hi nahi meri sari friends ke alawa khandan ki har ladki ki rai hai. aur jis ladki ka naam unke saath jude jayega wah apne aap ko duniya ki khuskismat ladki samjhegi.

Lubana ki baat galat na thi. Naved ki ummidwar khandhan ki har ladki thi. sabke dil naved ke naam par dhadkte the. naved khoobsurat ke saath saath kafi jahin bi tha. Teen bahno ka eklauta bhai tha. Ek bahut badi jaiydad ka akela waris. ladkiyan ke maa baap ki nazro mie woh ke hira tha.
            "waise mera khayal hai naved bhai khandan ki hi kisi ladki se shadi karangay. Khandan mie ek se ek khoobsurat ladki maujood hai" Lubana se choti hiba   ko suru se apni bhabhi ke roop mie nadia pasand thi.
                 smart , nili ankhion wali nadia usse bahut acchi lagti thi. chacha ki beti thi. woh log bi chahte the . sayed yahi baat thi ki nadia jiski aamtour par kisi se kam bana karti, hiba se khoob dosti thi.
              Hiba ki baat par nadia muskura di. naved usmie uski dilchaspi kisi dhapi chupi baat nai thi. naved ko bi pata tha ki nadia ussmie gehri dilchaspi rakhti hai.usse dekh kar uski ankhion mie chamak aati, hontion par muskrahat bikharti to bahut se raazo se parda khud ba khud uthne lagta. Magar naved jantey huey bi anjaan banne ki adadkari karta tha.
   
    Woh sab saath rehte the. Naved ke papa chacha aur taaya bahar se darwaja ek tha magar andar sabke hisse alag alag the. koi kisi se alag na tha magar kisi pe sawar bi na tha.pure gharane mie mohabbat, khulas aur ristion ke pyar ki mehak rachi basi thi.
    USKE taaya iqbal ahmed apni begam nusrat jehan apne do beto kamran aur jishan aur do betiyan sahnaz aur lubana ghar kr magrib hisse mie rehte the.
          Chacha apni begam sazia begum apni do betiyon naadia aur rubina ke saathapne do beto imran aur arsalan ke saath masrik hisse mie rehte the...dono ke bich wala hissa unka tha. janha naved apne papa apni teen ladkiyon aur iklauta ladka naved ke saath rehte the.
   
       Saari nawjawan party sham ko ghar ke lawn mien jama ho jati. Rijwan aur Reshma bhi aajate. Yeh naadia ke Khalajaad the. qarib hi inka ghar tha.
            Ab bi jab sabke bich naved ki shaadi ka masala discuss ho raha tha. naved wanha na tha. lekin rizwan aur reshma ke aane se mehfil ki raunak badh gai thi.


  "ab naved aisa koi sehzada nahi ki hum usse par discuss kartey apna waqt barbad kartey rahe."
 pre khandan mie bas reshma hi thi jisse naved mie koi dilchaspi na thi ya woh aisa jaahir karti thi.
   hallanki lubaana ka khyal tha ki reshma aati hi naved ke lia hai islia uska yun banna kisi ko pasand na aata. hiba to usse bahut chidti thi.
        "ur sehzade kaise hotey hai? waise reshma ! mujhe pura yakin hai naved ko dekh kar tumhari aankhion mie chamak aa jati hai.Rubina ne uske bhai ke parwah kia bina hi bol dala.

ek lamhe ke lia reshama sakpaka gai. Chahe kitni bi advance family thi ,kitni bi dosti thi magar ise tarh ki baaten  bhai ke saamne. gusse se reshma ki gori rangat lal pad gai---bakwas....mie ise tarah ki khrafat mie padne wali ladki nai aur na mujhe jarurat hai kisi ke khatir aankhion mie chamak lane ki . yeh jimmadari mere maa baap ki hai , wahi mere lia faisla karngay.mujhe kya jarurat hai ki mien apne lia parasan hun. ussne gusse mie apne bhai ki maujudgi ki wajah se jaanbujhkar kar aisi baat kahi thi.
    uski baat par nadia khol gai. Maze ki baat yeh thi ki reshma naadia ki khalajaad thi. jaahir hai woh usi ke wajah se yanha aati thi magar unmie ek pal nahi banti thi.nadia kuch kehti to reshma ko lagta yeh baat ye baat khas tour se usse par kahi gai hai . aur reshma baat karti to naadia ke patange lag jaate , jaise usse waqt lage the.
    " tumhara kya khayal hai baaki sabne yeh muamala apne hation mie le rakha hai. hum sab kya apni marziyan se shadi karengay ? naved hamara cousins hai aur hum sabse bada bi.islia uske baare mie baat ho jaati hai kyunki taai amma ab uski shadi karna chahti hai " . nadia ne kaha.


           Reshma jo sayed naadia se samjhota na karti , ise baat par chok padi -"accha shadi ka israda hai. kab kisse? ? tum batao lubana!" woh naved ki bahan thi wahi sahi baat bata sakti thi.
      
    "kiske saath , iski khabaer nai . dekho lottary kiske naam ki nikalti hai. ho sakta hai tumhara naam hi nikal aaye."lubana ne sararat se uske kaan mie kaha .
Lubana ke baat par ne Reshma ne dikhawe ko muh banya . usse ghur ke dekha magar uska dil dhadak gaya tha . dhadkan kahe rahi thi , khuda tumhari juban mubarak kare...

"koi aur bi ho sakti hai.yeh to qismat ki baat hai." lubana ne baat jaari rakhi- "kab hogi , iske baare mie kuch pata nahi hai. abhi to ammi ne irada jaahir kia hai."
   "mene ammi ko mashwara dia hai." hiba boli
  "kya" nadia boli.
 "mine ammi se kaha tayarri aapne suru kar di magar ladki abhi pasand nai ki. fir yun kartey hai ki dus jodi naadia aapa ke pasand ke dus sahnaz aur reshma aapa ke pasand ke ho to dus dus unki pasand ke banwa lete hai. teeno mie se jiske naam lottary nikli  woh ek dusre ke pasand ke kapde pehne. waise agar koi chauthi ladki hui to jab woh aapki pasand ke kapde pehen kar dikhaya karegi to aap bi dekh dekh kar khus hona."lubana ke lahje mie sararat thi.
       uski baat par teeno muskuradi aur dua karne lagi lottory unke naam hi nikley.
                                ********************************

"hello bhaikya ho raha hai? yaar! yeh jishan kanha hai? nazar nahi aa raha. kal bhi nahi na tha. kanha rahata hai? uske bina maza nahi aata ." naved aaya to aate hi mehfil pe cha gaya tha. sab uski taraf dekh rahe the.
           "humie to aapke bina maza nahi aata bhai!" saba ne sarrei ladkiyon ka lafaz ki zuban di.
l" lo ji hum aagaye" zeeshan bhi ekdam aa gaya.
" bhai pata hao abhi hum sab appki shadi ki baat kar rahe the. " saba choti thi magar baat hazam na hoti thi usse. har ek ko taza khabar sunana uska masgala tha.


        "accha?" naved ne barri barri sokhi se sabki taraf dekha. nadaia ne nazar jhuka li.

"aur hum sabka khayal hai aap kisi bahut khubsurat ladki se shadi karenge.waise suit bi koi hasseen ladki hi karegi aapko " woh boli.


"kyun pure khandan mie ek hi gulfam hai? kisi dusre ke saath haseen ladki suit nahi kar sakti?" zeesan ne narazgi se bahno aur cousins ko dekha.
"kam se kam tumhare saath to bilkul nahi.tumhare saath to kisi khoobsurat ladki ko dekh kar log yahi kahangay hur langoor ki jodi . aur hum tumhari ye tauhin bardasht nahi kar sakte" arsalan ne cheda.
"accha to fir kaunsi tauhin bardasht kar sakte hai?" jishan ko uske baat par gussa to bahut aaya magar jabt kar gaya.
"isse se bi koi badi" arsalan bola.
isse pehle ki un dono ke bich muamla bade ke naved ne hath utha dia --"mujhe ek baat samajh nai aati ki tum sabko meri shadi se itni dilchaspi kyun hai?"
"aji hum sabko hi nai , ghar ke bujorgo ko bi hai. islia ki aap bade hai.taalim puri kar chuke hai , karobar mie lage huey hai. ab shadi hi baaki rahe gai hai." imran ne kaha.
zeesan abi bi arsalan ko ghoor raha tha.
"thik hai to jaise sabki hoti hai meri bi shadi hojayegi . usse par itna discuss karne ki kya jarrurat hai." woh ulajh gaya.
"masala to tumne khud banaya hua hai . tum aaram se bata do kisse shadi karoge ? baat khatam". nadia ne kaha .
:accha ." naved ne usse gaur se dekha. jaidatar lago ko yahi ummid thi naved nadia ko pasand karega . nadia ko 100% yakin tha. halaki ghar mie ummidwar aur bi the. khasakar reshama .
"zahir hai shadi to kisi ladki se hi karunga . aur sayed khandan mie hi ..waise mine abhi isse bare mie gaur nai kia hai. agar aap sab logo ki rai hai to aaj se hi se gaur karna suru kar deta hun . jald hi aapko meri pasand ka pata chal jayega . naved ki baat ne kai ke dil mie khushi ke rang bhar dia....
******************************************************************
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#2
hi
mie yanha naya hun aaj pehli baar try kar raha plz appriciate my new story
Like Reply
#3
Update========2

"suno beta !" zara gaadi saajia ke ghar ki taraf modna." sultan ahmed ne gaadi drive kartey bete ko hidayat di .
"ji abbu" naved ne kaha aur gaadi ko saajia fufo ke ghar ki taraf jane wali sadak pe gaadi daal dia.
woh ek hi seher mie rehte the . saajia naved ki sagi fufo thi magar ek seher mie rehete kafi din tak jana na hota tha. naved khud sayed ek saal baad fufo ke ghar ja raha tha. fufo ka bi unki taraf aana kam hota tha. naved ko apni yeh chup chup rehne wali sawli rang wali fufo bahut acchi laga karti. fir unko ek hi fufo thi.
    fufo bahut garmjoshi se mili. fufa bi ghar par hi the aur baccho ko tution padha rahe the.
        "ghar pe bi aaya karo saajida!" sultan ahmed ne apni behen ko dawat di. waise bi wo khud sarminda tha. woh nahi aati thi to wo kaun sa uske wanha jate the. khud lakhion  mien khelte the magar bahan......

" bas bhai jaan ! waqt nahi milta. kai baar socha magar.....fir aapka ghar bhi bahut dur hai. kai bus badalni padti hai ." fufo ne kabi bhaiyion se sikwa na kia tha . woh bahut sabir aurat thi . khudaar bi thi .
" to fufo aap taxi se aaajya kare " naved ne maswara dia. fufo muskura di  magar na jaane kanha sse lekin sanwali najauk si ladki samne aa khadi hui --" aur taxi ka kiraya aapke account se atta kia jayega ." uske lahje mie kaat thi magar hontion pear muskrahat.   
usne mamu ko salam kia. wo fufo ki beti seema thi jawan hokar woh nikhri to thi magar kisi tarah unki family ki nahi lagti thi . woh uski baat ka kya jawab deta .uski taraf dekh ke rahe gaya. seema chai laai thi . saath mie plate mie biscuit aur dalmoth bi thi. magar woh hairan rah gaya .. har chiz bahut saaf suthri thi . chai to itni acchi thi ki naved ko pehli baar chai acchi lagi thi.
      
       fir woh wapas laute. gaadi chalate huey naved ne baap se poucha---" abbu" fufo hamare yanha itna kam kyun atti hai? woh hamare iklauti fufo hai magar hum unse gairo ki tarah miltey hai , taai  ammi chachi se ke muh se kabhi unke bare mie nahi suna . seema hamari humumar hai, hamari cousion hai . woh kabhi nahi aati. fir hum log unse bahut kam miltey hai . kya baat hai?.

      " tum thik kehete ho beta !" sultan ahmed ek thandi saans bhar kar rahe gaye the-  " aur yeh sab kuch meri wajah se hua hai. meri hi jid ki wajah se saajida ki shadi naushad se tay hua tha aur sirf meri hi kya sabki rajamandi se hui . jis waqt naushad ka rishata sajida ke kia aaya tha hum kuch bi na the . iqbal bhai ek mamuli naukri kar rahe the mie to ek mamuli naukri bi na paa saka tha . naushad clark tha bahut sarif aur suljha hua. humie yakin tha woh kafi taraki karega . kaafi aage tak jayega . magar kismat ka likha koi nahi mita sakta hai . hamari bahan kie naseebo ka saath nai dia.

     meri saajida ki shadi saath saath hui thi . iqbal bhai ki shadi humse 2 saal pehle ho chuki thi magar baccha koi nai tha , shadi ke baad mie apne biwi aasia ke kehne par karobar karne ki thaani . iqbal bi mera haath batate . aur jab tum paida huey to jaise mere chote se karobar ko par lag gaye.. karobar khoob chamk utha.
          saajida ke 8 saal tak aulad na hui . 8 saal baad seema hui. hum dekhte  dekhte kanha pauch gaye magar naushad has clark se head clark hi ban saka  fir humne bahut  chaha ki naushad bhi hamare saath karaobar mie sarik ho jaye magar wo na maana . woh kuch khudaar kism ke the. hum saajida ki madad kar dete to woh bi unhe nagawar gujarti.
         fir aurotion ka khel suru hua. nanad garib thi aur bhabhiyan ammir . nanad se baat karti to unhe apni  ammiri ka ahsasa karati aur nanad ko uski garibi ka . eid  festival par kuch deti to jaise khairat samajh kar . insan farq na daale to bhi daulat bahut se farq daal deti hai . saajida bahut sabaar wali aur khudaar aurat thi.usne kabi apne lakhpati bhaiyion ke hattion ki taraf na dekha tha. usne bhaiyo ki biwion ke rawaiyion ko dekhte huey aana jaana bhi kam kar dia tha...

    biwiyon ke kehen par bhai bhi dur ho gaye . fir ek din akamal ke saath naushad ka jhagada ho gaya. sab jante the ki kasoor akamal aur sajia bhabhi ka tha magar koi kuch na bola. kisi ka naushad ka saath na dia . mine bi nai. bas fir aana jana saalion par faail gaya  . naushad to kai saal tak mere ghar na aaya .
        sultan ahemed ne saari kaahani bata kar ek lambi saans li. naved chup chp sab sun raha tha magar yeh sab sun kar uske dil mien fufo ki muhabbat aur badh gai.
**************************************************************
Like Reply
#4
Update-----------3

Sham ka waqt tha . saari nawjawan party launge mie jama thi . kamran, jishan ke saath pesh aane wala waqya namak mirch laga kar suna raha tha . jishan ke alawa sab haste haste lotpot huey ja rahe the.
jishan do khoobsurat ladkiyon ko apni gaaadi mie lift de baitha tha . ladkiyan bahut khul kar saare raste usse baat karti rahi thi aur utarte waqt " bhai jaan" shukriya bhi kah gai thi . bas ussi baat ko bata kar sab maze le rahe the .
             tab hi asalam andar se bhagat hua wanha aaya-- "waoh ji phone aaya hai. aap sabko badi begum bula rahi hai."
" kiska phone aay hai ?" naved ne usse yun ghabaraye dekh kar poucha . baaki sab bhi ghabra gaye the .
" woh ji.......woh naushad fufo ka intakal ho gaya ha .
ise khabar ne sabki hawaiyan uda di thi. daulat kitni bhi rishtion ke bich deewar ban kar khadi ho jaye. ek baat par usse deewar se darare pade hi jate hai . chahe waqti taur pe hi. fir yeh to kareebi rishta tha.   teeno bhabhiyon nanad gale lag kar lhoob rooi . ab ye pata nai ki woh rona waqiye nanad ke dukh ko dekh ke tha ya yeh soch kar ki baithe bithaye musabit aa gai . baat sahi thi. maa beti ab akeli nahi rahe sakti thi. sasural mie koi aisa rishta na tha. bas thikana bhaiyon ka ghar hi tha.

                 seema ka rou roukar bura haal tha . sab usse dilasa de rahe the , chup kara rahe the, chup to usse hona hi tha . kaun kab tak marne wale ke lia rota hai.  fir soyam ke baad sab khiskane lage . fir bas log aate jaate rahe . 40sewe  tak yeh sab to karna hi tha. 

       magar ek din naved baap ke saath fufo ke ghar gay . woh bahut dino ke baad  aay tha . fufo ki halat dekh kar naved ka dil dukhne laga . halaki bhaiyion ne une dino  mie bahan ka pura khayal rakha tha . uske ghar mie un chizo ke dhair laga dia tha jinhe unhone sohar ki jindigi mie dekha tak na tha . lekin chize dil ko khushi na de sakti thi.


"saajida"! mujhe tumhari tabiyaat to kharab lagti hai " sultan ne bahan ke pile pade chehere to dekh ke kaha ----" jao naved!" kisi acche se doctor ko bula lao . unhone bahan ke mana karne ke bawjud bete se kaha.
    naved ke jaate hi saajida bhai ke gale lag kar rou padi ---" doctor yahi kahengay , aaram karo, socha na karo , khush raha karo. lekin bhai ! meri fikar to mujhe pore ghra mie chalti firti dikhai deti hai jinda. fir bhala mie khus ya chain se kaise rah sakti hun , kaise na sochu , kaun hai mera baad seema ka? woh fut futkar rou rahi thi.

    bhai ka dil bhi bhar aaya . na jaane kaunsa nazuk lamha tha jab unhone bahan ko ek wada de dala. sayed bahan kimuhabbat mie. unki baat par sajida ne hairait , be yakini  se bhai ki taraf dekha tha.
   kanha zameen , kanha aasaman . dono ka sangam kaise mumkin tha . kanhi bhai tassali to nai de raha , bahala to nahi raha? magar aisa na kuch dekh ka apni nazar jhuka li---" meri seema to khoobsurat bhi nahi, jaida padhi likhi bhi nahi , fir uska baap uske lia kuch chode kar nahi mara . fir bahbhi... kya wo taiyar ho jayengi?"
          
"tum ye sab mat socho saajida ! bas meri juban par aitabaar karo . jo kah dia usse pura karunga ." unhone bahan ke sir pe haath rahtey huey yakin dilaya --" dekho saajida ! ye nikah bahut kahamsi aur sadgi se hoga . aaj budh hai , jumme ko mie aaunga.
 tab hi naved doctor ko lekar aa gaya tha.
******************************************************************

" naved bete ! jara farig hokar mere kamare mie aa jana . ek jaruri baat karna hai" launge mie saari nawjawa party jama thi jab unki gaadi gate ke andar daakhil hui .
"ji abbu" mie aat hun" gaadi garage mie kar dun.
    " oh ho ..............aisi kya baat hai bhai?" arsalan ne sayed sun lia tha.
" kyun tumhe kya parasani hui? sara din ladkiyon mie ghuse rehte ho. kuch kam ki baat kia karo." naved ne kaha .
" tum bhi aa jao yaar ! jal kyun rahe ho ." kamaraan ko ye baat lag gai thi.
" jalne wale aise nahi , aise hotey hai."naved ne pehle apni taraf fir uski taraf ishara kia .
naved ke muqable mie uski rangat jara sanwali thi . sab khila khila uthe .
kamran ne kuch kehne ke liamuh khola magar usse se pehle naved bol pada --
"tumhari jali kati aakar sununga . mujhe pata hai ise waqt tum meri baat ka jawab dene ke lia baichain hoge . mie jara abbu ke pass hoke aata hun.
*****************************************************************
Like Reply
#5
update------------------4

"baitho beta"! sultan ahmed kafi sanjida aur prishan lag rahe the.
"kya baat hai abbu ! aap kuch parishan se lag rahe hai ? kya koi problem? " usne hamdardi se poucha .
" woh..........parishan to nahi beta ! han ek masila hai.
" kya masla hai mujhe bataye, sayed mie suljha sakun."
"han islia tumhe bulaya hai . tum hi ise sujha sakte ho. baat yeh hai ki ek majbur baap ne apne bete par aitmad kartey huey ek aisa wada kar liya hai jiska uske bete ko pata nahi hai,usse dar hai woh wada bete ko pasand na aaya to kya hoga."

    "aap bataye . aisa to ho hi nahi sakta ki baap apni aulad ke lia koi galat faisla kare . fir agar faisala mere pasand ka na hua to bhi aapko sarminda honey nahi dunga."
   "bete ! mene tumhari shadi seema se taye kar di hai ." unhone jaise dhamaka kia .
"meri shadi ....seema se....." woh gair yakin se badbadaya . woh pata nahi kya soch raha tha ..shadi ke bare mie to usne socha tak na tha.

                           sultan ahmed ne gaur se bete ko dekha--" han beta! tumhari fufo ki tabiyat thik nahi rehti. fir seema ka soch soch kar woh ghulti ja rahi hai. fir seema ko kau apnayega ? na khoobsurati na taalim , na dene ko kuch . bas yahi sab soch kar mine wada kar lia aur................"
" abbu ! aap kuch na kahe . koi safai na de. aapne jo kia bilkul thik kia hai.

      "jeeto raho beta ! aaj tumne mera maan badhaya hai. mie tumhara ehasan kabi nahi bhulunga . mujhe jitni khusi tumhari paidashi par hui thi usse kanhi jaida khushi aaj hui hai . parso nikah hai beta! mie jald se jald saajida ko ise fikar se aazad kar dena chahta hun ..mine ye baat kisi ko nahi bataai na abhi bataunga . mie janta hun kisi ko ye faisala bardasht na hoga kyunko mere bhai hi apni betiyion ke lia tumhari aas lagaye huey hai . fir tumhari maa.................... jab waqt hoga mie seema ko yanha le aaunga.

magar sultan apne pure program ko amli jama na pehna sake ..baap bete ne chupke chupke saari taiyari ki thi .aur   yeh sab itni chori chupe hua tha ki kisi ko bhanak tak na lagi warna ise ghar mie kisi baat ko chuppana na mumkin tha.

              jumme ko khamoshi se nikah hogaya . saajida ne une dono ko khana khilaya .seema dulhan bani magar shadi jais akuch na tha .
*******************************************************************


zeeshan ka birthday tha . sab shamil the . woh bi sarik tha magar  bedili ke saath . pata nahi kya baat thi , kya wajah thi  uska kanhi dil na lag raha tha .nawjawan party ne yeh baat khastaur se mehsus ki , 
"kya baat hai yaar !" aaj tera chehra utra utra kyun hai ?" kaamarn ne usse gaur se dekha .
"mene socha ab tumhe bhi mauka dena chahiye " naved ne muskuraya .
"kyun aapki umar gujar gai isse tarah ke battion ki .ae bhai ! abhi to tum jawan ho, hassen ho, khoobsurat aur kunware ho. aur jab tak kisi ladke mie ye khoobiya rehti hai usse apni chamk halki nahi padne dena chaiye . hamie hi dekh lo zeesan ne itra kar apne naye suit ki taraf ishara kia.

   naved ka dil chaha uski ek baat ki tardid karke sabko hairait mie daal de ki woh ab kunwara nahi , shadishuda hai . magar yeh mauka na tha.
    " waise naved bhai ! chun le . aaj to hasseno ki bhid hai ek se ek hassen ladki maujud hai."  zeeshan ne apni saai cousins ko izzazat di thi ki woh apni ek ek saheli ko bhi invite kar le. sabki sahelia bhi aai thi . islia kaamran ne naved ko maswara dia tha.
naved muskuraya--" farz karo mie jis ladki se shadi karna chahta hun ya jo ladki mere naseeb mie hai woh yanha na ho to?"
" kya ....agar aisa hai to aap batate hum usse bhi invite kar dete " zeeshan bola.
" suna saathiyao ! hamare naved na apni pasand ki ladki chun li hai aur usse apna anseeb bana lia hai .
bas zeesan ke kahte hi saari ladkiyan naved ko gher baithi ..naved ghabara gaya . " kaun hai woh ?" sab janana chahte the .

" ek ladki hai, aur kya hoti hai". naved apne par kaabu paakar maze lene laga.
"yakinan woh sabse khoobsurat hogi ," lubana chahki usse yakin tha uski bhabhi bahut khoobsurat hogi .
" khoobsurat.................han hai to khoobsurat. waise yeh jaruri to nahi ki meri biwi tumhari biwi khoobsuarat hi ho . chahe woh mujhe ya tumhe apni khoobsurati ke ghamand mie kuch na samjhe."
     " to aap  kya kam hai. kitni bhi khoobsurat ho , aapka muqabla nai kar sakti ." lubana ko bhai ki baat pasand na aai.

"accha bhai ! uske bare mie bataye . naam kya hai, kanha rehti hai?"
Reshma nadia chup thi. unke chahere bhi utrey huey the , magar wo kuch ehna nahi chahti thi. kahkar sharminda hoti.

"to kab milwa rahe hai un mohtarma se ?" nadia ke lahaje mie kat thi jise par kosis ke bowjud na paa saki.
"jab kah. agar mujhe pehle pata hota to aaj hi bula leta . mujhe pata na tha meri honey wali biwi ko dekhne ke lia aap log itney betab hai."

"biwi ?" arsalan choka .
ek lamhe ke lia naved ghabara gaya- "woh .... kuch bhi kah lo. jab mann lia hai to ek din to biwi ban hi jayegi". usne apni ghabrahat par kabu paate huey kaha .

"waise jishan ! tumhe apne birthday par seema ko bhi bulana chaiye tha . woh hamari cousion hai . waise bhi woh paresan hai . yanha aakar bahal jati ". naved ne kaha .

      ise ghar mie aye din function hua kartey the magar kabhi bhi unmie seema ko invite nai kia gaya tha , koi bada function hota to bas fufo ko bula lia jata . fufo ke saath seema ne aane ki kabi kosis nai ki thi . magar ab baat dusri thi . jisan ko apni galti ka ehsas hua .

shadi aur seema ka jikir chahe koi samjhta ya na samjhta magar reshma ko kuch shaq hua . woh bahut jahin thi . baat ki tah tak pauch jaati thi , magar usne apna shaq kisi pe jahir nai kia .
  naved kisis kam se uth kar chala gaya tha. reshma saba ke pass chali aai. " yeh tumhari cousion seema kaisi hai? mera matalab by face ,"
"thik hai, acchi hai. magar bahut khoobsurat nai hai.
"padti hai kya.?"
"nahi. usne inter ke baad padhai chorre di. lekin tum ye sab kyun pouch rahi ho?"
"bas aise hi." sayed woh mutmuien ho gai.
****************************************************************
Like Reply
#6
update ---------------5
 naved ne foranapne baap ko khabar di . dono saajida ke ghar pauche magar tab tak saajida 

hamesa ke lia sabse juda ho chuki thi.

    kohram mach gaya . seema ka bahut bura hal tha ...bar bar behosi ke daure pade rahe the 
. fir wohi hua . sab log khana puri karke chale gaye .

*********************************************************************
seema ab akeli nahi rahe sakti thi . soyam tak to sab log wanhi rahe. soyam ke baad sultan ahmed

ne ghar mie tala lagwaya aur seema ko apne pass le aaye . taaya iqbal ahmed ne kaha - " mie bada hun . 
saajida ki beti ki jimmadari mujhe par hai. seema mere pass hi rahegi . "
  "woh to thik hai lekin marte waqt saajida seema ko mere hawale kar gai hai. islia use mere pass hi rahne de." sultan ahmed ne jawab dia . waise bhi seema ki jimmadari unki hi banti thi . woh unki bahu bi thi . halanki yeh baat unhone kisi ko batai nai thi.
" waise woh hum sab ke beech mie hi rahegi ."sultan ahmed ne kaha .

suru suru mie mie sab seema ka khayal rakhte rahe , use akele na rahne dete . magar kab tak . dheere dheere 
sab fir se apne apne kamo mie mashroof ho gaye.
      " seema beti ! mere khayal hai tum apni padhai fir se suru kar do". ek din sultan ahmed ne mashwara de dala.
" ji mamu jaan ! thik hai ". usne sir hila dia .
ye baat waise sab ne mehsus ki thi ki seema bahut himmat wali ladki thi . maa baap ke maut ke baad usne apne aap ko sambhal lia tha. ab to woh ghar ke kamo mie hath batane lagi thi .
*******************************************************************
nawjan party ki sham ko jamne wali mehfil jo mahiney bhar se band thi . fir se suru hogai thi. seema ki lubana se 

acchi dosti hogai thi . waise milti to sabse acchi tarah thi. ab usse yahi rehna tha aur sabse banaye rakhna tha.
   usse din lubana usse zabardasti bahar le aai . lawn mie sab jama the. naved na tha. woh office se dair se 
aaya karta tha. " yaar ! chai ka bada mood ho raha hai." kamaran ne angadai li.
" kaun banayega haath khade karo ." zeesahn ki bi yahi khawaish thi ."ji nahi koi nahi banayega . aur mie to kabi 
nahi banaungi." lubana ne sbase pehle kaha . 
" mie bi nai.......mie bi nai." ek ek karke har ladki ne kaha. aur isse pehle ki seema chai banane ke lie apni khidmat 
pesh karti , naved aagay . wo sayed chai ki baat sun chuka tha .

" bhai chai peena hai to seema ke hath ka piyo  . mie aap sabko yakin dilata hun itni acchi chai aapne kabi nahi pee hogi.
              seema ko laga jaise naved uska mazak uda raha ho. magar ye mazak na tha .  naved sachmuch tariff kar raha tha.
woh chupchap chai banane ke lia uth gai.
    chai lekar aai to sab intzar mie the. woh chai chai bana bana kar dene lagi . ladko ke muh se wah wah  nikal rahi thi.
ladkiyan bhi chai ki tarif kar rahi thi . magar pata nahi kyun reshma ka muh kadwa hogaya tha kyunki naved seema ki khul 
ke tarif kar raha tha. accha to nadia ko bhi nahi laga tha magar wo jabt kar gai thi.
" accha to naved! ab kab humie  use ladki se milwa rahe hai jo tumhari pasand hai?" kamran ne fir baat ched di .

" mere khayal hai ki aisa aisi koi baat hai hi nahi . mine apne surag rasani ke shauq ko puri tarh kaam mie laate huey 
puri puri jasusi ki hai.mujhe to aisa kuch nahi mila. lagta hai naved sabko bewkof bana raha hai." imran ne kaha.
      " kya...." zeesan aur arsalan ne hairat se kaha .
" ho sakta hai imran sach kahe raha ho." naved ne sararat se bola.
nadia muskrane lagi.
" dekho bhai pasand to bahut si hai magar biwi to kisi ek ko hi banunga .yeh to ejaj (anar)kisi ek ke hi naam hoga."
usne ek nazar seema pe dali..
naved nikah ke baad seema ko dusari nazar se dekhne laga tha. ab woh usse acchi lagne lagi thi. woh uske himmat ka bhi  
kayal hogaya tha ki usne itni jaldi apne appko sambhal lia tha.
"kuch bato na yaar ! tum apne lia kaisi kaisi biwi pasand karoge?" kamaran bola.
woh muskura ke bola - " tum log batao mujhe kaisi ladki se shadi karni chaiye?"
" mie bataun " saba boli - naadia aapa jaisi." usne muskura kar nadia ke taraf dekh ke kaha ."
"reshma jaisi ." lubana ne tukada lagaya.
" aur seema jaisi majedar chai banane wali ." kamran ne sararat se bola.
reshma aur naadia ko kamaran ki baat pasand na aai. bhala uska unse kya muqabla.
naved hasne laga --" mere khayal hai in saari khoobiyon ko mila kar ek nai ladki bana lete hai .
usse shadi kar lunga : naved ne kah kar baat khatm kar di.
*******************************************************************

Like Reply
#7
updaate ==6

usmie bahut si khoobiyan thi , bahut si acchi aadate thi magar uske sanwale rang ne jaise uski saari khoobiyan aur aadato  par parda dal dia tha . woh khud mehsus karti thi yanha aakar bahut badal gai hai. uski aadate thi woh bahut jald talkh ho jaya karti thi . kisi ki zara si baat bardast na hoti thi. magar ab halat wo na the . woh dheere dheere apni aadat badal rahi thi. pehle uske khayalat ise ghar aur ghar walo ke bare mie acche na the . magar ab yanha rehte huey aur naved se itna ahem rishta ho jane ke baad use sab acche lagne lage the.
           lubana, saba uske gun gaati thi. mumani jaan uske haath ke bane khano ki aadi hoti ja rahi thi . aaram alag milne laga tha . aur jab uske bane kisi khane ko lubana  taaya ya chacha ke ghar de aati to sab taarif kartey. unki betiyan to kuch pakana hi nahi janti thi . aur seema itni maahir aur hunarmand.
          usse din aassiya  begum ne seema ke haath ka sila suit pahna to sab taarif karney lage . taai to bahut dair tak kapada utha utha kar silai dekhti rahi . chachi foran kapada le aai apna suit silwane ke lia.
      " hai seema" mujhe bhi  sikha do . tumhe to har chiz aati hai". lubana ne rask se kaha . 
    sikhan  to kise tha . han usse din ke baad kisi ne kisi ka suit silane ke lia jarur aane laga . aur woh bechari sikar de deti thi.

*******************************************************************
usse din mausam bahut khusgawar tha . saari nawjawan party lawan mie jama thi. seema chai ke saath pokade bana rahi thi . nawed ke aane par ek shor se hua . naadia aur reshma ab khastaur  se naved ki nazro ke saamne rahne ki kosis karti.
     "seema kanha hai?" naved ne lubana se poocha .
" kitchan mie. cahi aur pokade bana rahi hai."
         " thik hai, mie change kar ke aata hun".   pata nahi reshama ko andar koi kaam tha ya nahi, naved ke jaate hi woh foran uthi aur naved ke peeche peeche chali gai. naved sidha kitchen mie poucha tha.
    fir jo raaz itney din se raaz bana yha, raaz na raha. kitchen ke bahar khadi reshma ko sab pata chal gayatha. shaq to usse tha magar yakin na tha. woh aai to uske chehre par ek nai khani likhi hui thi..ankhion mie kuch kho dene ka udaasi thi.
   "kya hua reshma?"  naadia ne poucha.
"kuch nahi." seema peeche chai lekar aa rahi thi. naved bhi tha islia woh baat taal gai.
                       chai ke dauran fir  naved ki shaadi ki baat chidh gai . reshma se jabt na ho saka -
" ab aap logion ko parisan honey ki jarurat nai . sayed naved sahab yeh karnama anjam de chuke hai. uar nahi dia to kuch din baad anjam de denge."
naved chauk gaya. chehra  ka rang badal gaya.
" rehne do. yeh kaise ho sakta hai . naved hum sabko bataye bina yeh kaarnama kaise amja, de sakte hai. abhi to uski taalash jaari hai. " jeeshan ne reshma ki baat ka mazak udaya .
" kuch log apne jis idial ka prachar karte hai haqiqat mie wo hota nahi hai. jo hota hai usse batatey huey sarmatey hai. shayed  islia ki woh kisi ko batane ke qabil hi nahi hota."
    reshma ki ise baat par seema ke chere ka rang bhi badal gaya tha. ehsase-toheen ne uska chehara lal kar dia . woh jabt kar gai.
      magar naved jabt na ho saka----   " reshma sahiba !  idol  sirf khayali dunia ki baatien hoti hai . amali zindigi mie mard  ko ek  idol ki nahi , biwi  ki  jarurat padti hai. shadi se pehle ki bajaye jo ladki shadi ke baad idol banti hai wohi haqiqat mie idol hoti hai. aur aise idol ko batate kam se kam mujhe koi sharmindigi nahi hogi ." uska lahja na chahte huey  huey bhi thalq ho gaya tha.

     " to fir batate kyun nahi? bata do sabko seema tumhari kya lagti  hai?"   reshma ne jaise dhamaka kar dala.
  " kya matlab hai tumhara ?" naadia parisan ho uthi.

" reshma !  tum kehna kya chahti ho ?"   lubana ko bhi gussa aa gaya.

" mie jo kehna chahti hun naved acchi tarah jante hai."  reshama ne itminan se kaha tha. jabki , seema ke saath saath sab hairan parishan the. naved ne kya kehte hai  . seema ke chehre ka rang udne laga tha.
" seema jo meri cousine hai , meri honey wali biwi bi hai. bas aur kuch ?"  naved ki baat ne sab par sakta sa kar dia tha . seema to bhag kar andar chali gai thi.
" naved ! kya yah mazak hai ?"  imran ne naved ko ghura.
" koi mazak nahi hai. itney logo ke samne kisi ko apni biwi  batana mazak nahi hota. magar ismie hairani  ki kya baat  hai? kya seema kisi ki biwi nahi ho sakti ?"
     " hamara matlab hai yeh shadi kab hui ?" kamarn ne poucha.
   " fufo ki maut se kuch din pehle . woh apni jindigi se mayush thi "

" to kya tumne taras khakar shadi ki hai?" nadia ko ghara dhaka laga tha .
"kyun? taras khane wali kya baat hai? kya woh luli langadi hai , andhi hai? kya chiz hai jo tum mie hai aur usmie nahi hai? balki sirat mie woh tum sabse  jaida khoobsurat hai ".
  woh gusse se bola to sabke muh ban gaye the. reshma to jane kab wanha se chali gai thi aur jaakar  ammi ko yeh khabar suna di thi jis par woh bhagi bhagi chali aai thi.
     khasa tamaasa lag gaya tha. sab bade chote hairan parisan the. dil hi dil mie taw bhi kha rahe the . lubana to rone lagi thi . woh apni sehliyon ko kya kahegi. iklauti bhabhi, woh bhui itni aam shaqal ki , udhar naved ki ammi ne to seema ko bahu maane se hi inkar kar dia . uski saari khoobiya par ek minute mie paani fir gaya.
        seema ghar sambhalne ke lia , naye naye khane banane aur suit sine ke lia acchi thi. usmie saikdo khoobiya dikhai deti thi . magar bahu banane layek kanha thi woh. 
  woh bhi   jabki ek se ek khoobsurat ladki bahu banne ke lia taiyyar thi. aasiaya begum ko apne shohar aur bete par bi gussa tha. unke to saare khowab jal gaye the.
    sham ko sultan aaye to unhe ek toofan ka saamna karna pada. halanki unhone koi gunah nahi kia tha magar unke bhaiyion ke nazro mie woh gunah hi tha. sabko ghara sadma tha. naved jaisa hira unke haath se nikal gaya tha.
          jo bhi tha asal masala sultan ahmed ke lia apni biwi begum samjhane ka tha. unhone ro ro  kar  bura hal kar lia tha . ise dauran kisi ne seema ki khabar na li thi ki uska kya hal hai
********************************************************************
Like Reply
#8
UPDATE=======7
==============================================
"Mie maa thi tumhari . tumhe paal posh kar itna bada kia aur tumne mujhe itna bi na samjha ki mujhese pooch lete ya bata dete. SHAADI  racha li . fufo ki chahte the. Tum hi rahe gaye the kurbani ka bakra bannane ke lia" woh ro ro kar kahe rahi thi .
             naved maa ko manane ki puri kosis kar raha tha.
"dekho aashiya ! ab rone dhone se koi faida nahi hai . mine sahi ladki se bete ki shaadi ki hai . raha sawal khusiyan manne ka to hum rukhsat aur walima badi dhumdham se karangay ." sultan ahmed ne bhi begum ko thanda karne ki kosis ki.
                sultan ahmed ne rukhsati aur walimey ka ealan kia to kisi ko ise baat ki khushi na hui. ladko  ko kuch khushi jarur thi.
        " mujhe koi dus barah shaadiyan nahi karni hai na kar chuka hun ki tum log khusiyan manatey manatey hi thak gaye ho . kamal hai, kya tum log meri khushi mie shamil nahi hongay?" naved sab se kaha tha.
                                    " yaar ! woh to thik hai lekin kya tumhe ise shadika koi afsos nahi?" Imran ne use kureda .
     "Kis baat ka afsos ?"
" ise baat ka ki tum jaisa khoobsurat ladke  ki biwi itni aam . mamuli shakal surat ki."
   Naved has dia-- " kuch saal baad saari khoobsurati khatm ho jati hai. baaki zindigi mie biwi ki sirat kaam aati hai . aur mere khayal mie seema ki sirat bahut khoobsurat hai".
      " kya tumhe usse ishq hogaya tha?" zeeshan bola.
"ise zamane mie ishq wishk nahi hota . woh meri sagi fufo ki beti hai . mujhe usse se mohobbat to thi hi . bas aur kuch nahi. magar log yanha trah tarah ki baatien bana rahe hai. kya mine seema se shadi kar ke koi gunah kar dala hai?"naved ne unhe khoob sarminda kia . tab ladko ne apni riwayati khushi ka izhar bhi kar dia.
    sultan ahmed ne kaha tha ki seema ke lia walimey ka joda aur  javarat uske nahi, hamari hasiyat ke mutabik haoney chaiye. aasiya begum  jo jali bhuni baithi thi, unhe dekh kar hi rahe gai.
  Aakhir wo din bhi aagaya jab chehere par khushi ke bajaye udasi thi aur honto pe deikhane ko muskurahat . seema ko seher ke sabse mashoor parlour mie taiyar karaya gaya . woh khoob saj rahi thi .aam dino se bilkul hat kar . ek baar to saare ghar wale dekh kar dang rahe gaye. magar wo jante the ye sub makeup ka kamal hai.
                                     Naadia aur reshma baazi harne ke baad bhi khoob mehnet se taiyyar hui thi aur hans hans kar apne haar par parda dal rahi thi. seema ke saath jude jude kar baith rahi thi jaise naved ko dikhana tha.
*******************************************************************

" seema ! jab tum ise ghar mie aai thi to tumne kuch dino mie sab logo ka apna bana lia tha. sab tumhari tarrif kartey the magar tab mie aur ab mie bahut fark hai. pehle tum ise gahr ki beti thi magar ab bahu ho . sabko sadma hua hai hairani hui , gussa bi aaya. kusurwar hum mie se koi bhi nahi . haalat hi ise tarh ke hogaye the .
      seema !  ammi dil ki buri nahi hai sab tumhe chahte hai. tumse mohabbat kartey hai .tumhe ek baar fir jitna hai . ise baar beti bankar nahi . bahu bankar . mie ummid karta hun tum mera saath dogi aur ise immthan mie kyam bhi rahogi." naved seema ko samjha raha tha.
*******************************************************************
 Ab seema ne fir se ghar  sambhal lia tha magar ab unke lia sab ajnabi aur beganey the . kisi ko kisiki  parwah na thi na maujudagi ka ehsas . aur apni maujudgi ka ehsas dilana .apne aap ko manwana bahut muskil kam haota hai. kabhi kabhi sadia beet jaati hai . aur dusro ko mujudgi ka ehsas tak nahi hota. 
                               naved kadam kadam par uske saath tha. uski khoobiyan ka ehsas naved ko ab hua tha. usne ghar ko jannat bana dia tha. fir uska rowaya . woh kisi ki baat ka bura nahi manti thi. na ammi na lubana, na saba ke lahje ka sikwa karti sabki khidmat ke lia taiyar rehti.
*******************************************************************
Like Reply
#9
UPDATE-----8
======================================================
"Bhabhi hamari aur ash kare dusre lo. kabhi kisi ka suit sia ja raha hai , kabhi kadhai ho rahi hai, kabhi khane pakane sikhaya ja raha hai ." saba ek din chidh hi gai . sabke saamne to nahi kaha magar andar aakar kehna suru kar dia . seema bhi wahi maujud thi.
             " to tumhe kya taklif hai . kya saare darzi mar gaye ya kadhai wale nahi rahe paisa do , kanhi se kaam karwa lo ." lubana ne seema ki taraf tirchi nazar se dekha aur saba ko daata .
 " kyun ? baazaar se kyun karwaye ? hamari bhabhi hai, unse kyun na karwaye. saba par daant ka koi asar na hua.
   uske muh se pehli baar yun hamari bhabhi nikla tha. seema ko use par bahut pyar aaya-- " han han saba ! bilkul. tumhe jo kaam karwana hai mujhe batao . tum to meri bahan ho pyari si. tum logo ke siva kaun hai mera." na chahte huey bhi uski aankhion  mie aasun aagye.
    saba ka chehra  uske dono haation mie tha. saba use gaur se dekh rahi thi - " aur aap bhi to hamari iklauti bhabhi hai . aapse kaam nahi karwayengay to kisse karwangay . " saba seema se lipat gai thi . ise dauran chachi ko achanak naadia ki shadi ka kahayal aaya . naved to haath se nikal hi gaya tha fir kis ummid par bithayea jata usse. 
" bhai ! mie aapse ek baat karna chahta hun." sare log jama the . chacha ne biwi ki taraf dekha aur bola --- " aap hamre bade hai aur aapse maswara lena mie behtar samjhta hun " saath hi unhone tirchi nazaro se sultan ahmed ki tarf bhi dekha jaise fark jatana chate ho.
" naadia ko do teen ristey aa chuke hai  . sochta hun ise farz se  bari ho jaun. woh ristion ke barre mie batane lage.
     iqbal ahmed ne saari baat suni aur muskura dia - " bhai janha naadia ko itney ristey hai to ek rishta aur shamil karlo. mere kamran ka. naadia meri beti jaisi hai . ghar ki chize ghar mie hi rahe to accha hai. soch lena aur apni biwi se mashwara kar lena.
" are bhai ! ismie mashwara kya karna.  woh to dekha bhala. ghar ka baccha hai . humie usse accha rista kaun sa mileyga . meri taraf se aap han samjhe.
      ghar mie ek baar shaadi ke hangame jaag uthe .
                     " khus ho yaar ?" naved ne kaamran se poucha .
" thik hai yaar ! bado ke faisley hai . bas zara naadia se paresan hun . bahut khudgaraz aur kuch batmeez hai  . aur ammi ko to tumhe pata hai woh batmeezi bardasht nahi kar sakti . pehle woh ghar ki sirf beti thi magar ab bahu ban jayegi . position mie to fark padega. "
"come on yaar ! kuch nahi hota . tum parisan na ho . na tum begane ho na naadia gair . balki tum dono khushkismat ho ki dono ki khusiyion mie saare gharane ki khusiyan shamil hai . sab usse khushi se bahu taslim karangay . jabki seema bechari abhi tak apna aap manwane ki kosis mie lagi hai " naved kuch udas hua.
         " woh bahut jald apna aap manwa legi . usse logo se muhobbat wasool karna aati hai." kaamran ne usse tasali di.
   sab shaadi ke har function mie joso kharosh se sarik the. har rasm hui . aasiya begum ko majburan sabse apni bahu  seema ko milwana pad raha tha . seema saalikey se kia gaye makup aur libas mie acchi bi lag rahi thi . fir bhag bhag kar har kaam karna, har ek ki madad ke lia taiyyar rehna. kabhi chachi ke saath , to kabhi taai ke saath , woh har kaam mie pesh pesh thi .
    shaadi ka hungama thanda pada . log fir se apne apne kaamo mie mashroof hogaye . naadia aur kamraan honeymoon se wapas aagaye the . daawate hui fir zindigi routine par aagai. 
  usse din sab lawn mie jama the . naadia khoob chamkeeley kapde pehne baithi thi.
  " chalo yaar naadia ! sabko acchi si chai pilao . bahut dil chah raha hai "
kaamran ne bade pyar se farmaish ki . magar naadia ka muh ban gaya -- "chorro , itey maze ki baat chal rahi hai . fir mera mood bi nahi hai . tum kisi aur se banwa lo na. " usne saaf inkaar kar dia . kaamran usse dekhta rahe gaya .
" are chai seema bana layegi . jao seema! chai banakr lao".
  naaved ne kaha to seema foran uth gai ." dekho ye hoti hai farmabardari" zeeshan ne dad di .
  bas ye baat naadia ko lag gai-- " woh farmabardari na dikhaye to aur kya kare, aur kya hai uske pass dikhane ko . bhag bhag kar dusro ka kaam karegi tab hi usse thodi bahut izzat milegi.  warna to............"
     " please naadia appi "  saba ne usse rokna chahe --  " apne sohar ka kehna mannna koi buri baat to nahi hai. aur yanha sab log uski izzat islia nahi kartey ki woh sabke kam karti hai  balki islia kartey hai k woh hai hi izzat ke kabil. aur izzat shakal surat dekh kar   nahi ki jaati. insan ki izzat uske rowaiye se hoti hai. meri nazar mie woh ladki katai khoobsurat nahi hai jiski sirat acchi nahi hai ." saba ne puri takrir kar daali .
" oh ho  bada bhabhi ka  laad aa raha hai ." naadia ne sharminda honey ke bajaye mazak udaya . 
" aana hi chaiye . woh ise ghar ki badi bahu hai aur hamari pyari bhabhi ." usne atraf kia .
  naadia ki apni nanado se nahi banti thi . maa apni betion ki  hi himmayat leti thi. kaamran ise  chaq chaq se parisan hogaya--" yaar !  mie kya karu , kanha jaun ?
ammi ki sunu to bahu mie hazaro kidey . naadia ki suno to maa aur behno ki sikyate.. mie to ulaj gaya hun . dono ko kaise khush rakhun.
     " mie tumhe kya maswara dun mera to abhi tak ise taerah ki baation se  wasta hi nahi pada ."
  " kya ? kaise ho sakta hai ? tumhari shaadi to mujhse pehle hui hai fir aunty apni bahu se khush bhi nahi hai . mind nahi karna , woh to bhabhi ko bahu bhi taslim nahi karti.
" han , ammi  ko seema pasand nahi hai  magar ammi ko kabhi mujhse uski koi sikayat nahi ki . seema to kahir kuch kehti hi nahi  hai . mine ek dafa seema se poucha bhi tha. woh to kuch nahi boli . lubana ne bataya ki agar seema bhabhi se koi galti hoti hai to woh foran maan jatti hai aur muaffi mang leti hai . waise ek baat bataun , woh mujhese jaida ammi kehne mie chalti hai. unka mood dekhti hai , unka mizaz waisa hi karti hai " naved usse hairan kar raha tha.
  ghar mie roz jhagda honey laga . gahr alag alag the magar beech mie koi deewar na thi. naadia ka apni saas nanado se jhagada hota to woh apni maa ko batati aur maa asiya begum ko . kabhi kabhi yeh kaam taai khud anjam deti aur devrani ke pass jaakar ansoo bahati . aasiya begum unhe tassali deti . seema bhi diljoi karti .
           navjawan party  lawn mie ikatha hoti to kabhi naadia kaamran ulajh padtey kabhi nanado ki baat naadia ko buri lagti accha khasa mahol kharab ho jata . fir naadia ne alag ghar ki baat suru kar di . jine suna hairan rah gaya.
" shukra hai hamne apni iklautey bhai ki shaadi se nahi ki warna hum to apne bhai ko bhi kho dete." saba ne kaha-- " hamari bhi to seema bahbhi hai. woh to humse kabhi nahi ladti . hamari kisi baat ka bura nahi manti . hum suru mie jaidati bi kar jate the magar unhone kabi kuch nahi kaha."
seema usse waqt kitchen mie kaam kar rahi thi. ammi ne ghoor kar usse dekha aur khamosh rehne ka isara kia.
" kuch bhi ho ammi ! waise mine mehsus ki hai  ki jaidati aksar naadia ki hoti hai . naadia to taai ka lihaj nahi karti . foran jawad deti hai . usse din mere saamne  ki baat hai , naadia apni kisi saheli ke gahr se aai thi . taai ne sarsari taur par kah dia, badi dair kar di . bas naadia ne jo bolna suru kia to kisi ka lihaj na kia. accha hi hua woh hamari bahbhi nahi bani . shakal surat ka kya karna hai, asal chiz sirat hi hoti hai." asiya begaum chup rahi .
****************************************************************
Last part
*******************************************************************
kaamaran  alag gahr lene ko taiyar na tha . taiyaar uski maa behne bhi na thi  magar naadia aade gai thi. woh apni maa ke pass chali gai thi . zaahir hai maa ki sah par bol rahi thi . taai saara din devrani ke pass ansoo bahati .
 seema ke purane mohalle mie kisi ki shaadi thi . naaved usse chorre aaya tha wapas usse khud aana tha . jab taai amma naadia ki baatien aasiya begum ko bata rahi thi ussi waqt seema aagai . khush khush muskuratey chehre ke saath .
   " itney dair laga di . pata nahi tumhe ghar bi aana hai. yeh kya tarika hai". aasiya begum baras padi.
   " sorry ammi ! mie to rukhsati hotey hi chal di thi . halanki sab rok rahe the " wakai aisi koi dair nahi hui thi . sham ke 5 baje the .
  " to ruk jaati . jaldi kya thi aane ki ". aasiya begum tanj se boli." sorry ammi ! ab aisa na hoga . seema ki ankhion mie nami utar aai . taai amma ka jaise muh khula tha khula rahe gaya tha.
****************************************************************
" haye haye ! woh kaisi ghadi thi jab mine uski mulakhafat ki thi . woh ladki nahi hira hai hira."
" kaun ammi ?"  lubana ne poucha 
"seema . apni seema aur kaun." unhone abhi kuch dair pehle honey wala wakya beti ko bataya .
" ammi ! aapko ab pata chala . mie to suru se kehti thi . kasam se itni mohabbat aur pyar se pesh aati hai ki apne aap rask aane lagta hai. . kash naved bhai ki jagah unki shaadi kaamraan bhai se ho jaati . woh meri bhabhi ban jaati saba khul kar tarrif kar rahi thi .
jabse naadia ne apne rang dikhaye the  aasiaya begum ka rowaiyya sema se behtar honey laga tha . woh naved ki shaadi naadia se karana chahti thi. woh khoobsuart thi padhi likhi bi jaida thi , amir baap ki beti thi , seema to uske muqable mie kuch nahi. lekin ye pehle ki baat thi . ab unke khayalaat badal chuke the . kya karna aisi khoobsurati mie jo bete ko maa se juda karwa de . seedhe muh baat na kare . ssa nanado ko bardasht na kar paaye . woh seema ke akahalaq ki kayal ho gai thi  magar etaraf na kar saki . kisi ki ki khoobiyion ka etraf  karna muskil kam hota hai.
******************************************************************
haalat se tang aakar kaamraan ko alag hona hi pada . taaya jaan ne bhi izzazat de di . woh ghar ke haalat sudharna chahatey the . naadia khus thi . uski zid poori ho chuki thi jabki kaamaran ki maa bahno ka bura haal tha.
       naadia ka saaman janer laga tha sab afsos se dekh rahe the . aasiaya begum bhi udas thi . abhi to shaadi ko ek saal bhi nahi hua tha . maaye beto ki shaadiyan islia nahi karti ki wo  alag ho jaaye.
" ammi! aap kyun udas hai ? aapka beta to nahi jaa raha " naved ne apni maa se kaha to aasiya begum ne usse gale laga lia--" na beta ! aisa na kah . khuda wo din na laaye . mie to tere baigair rah hi nahi sakti .MERI BAHU MERI SEEMA ASI NAHI HO SAKTI.

naved ne hairani se maa ko dekha . meri seema meri bahu . aaj aakhir  maa ne seema ko apni bahu taslim kar hi lia tha.
" beta ! mie seema ko pasand na karti thi . tumne bina marzi ke usse shaadi kar li . na khoobsurat thi , na ammir. magar aaj mujhe pata chala khali khoobsurti kuch nahi hoti. ladkiyion ki sirat hi sabse badi khoobsurati hoti hai . khuda ka sukra hai meri bahu naadia jaisi nahi hai.
naved khush tha . seema ne aakhir khud ko manwa lia tha. aur seema ko bhi laga tha ki use uski manzil mil gai hai . zindigi mie chro taraf khoobsurat rang bikhar gaye hai.
*******************************************************************COMPLETED
********************************************************************
Like Reply
#10
Koi redpores nai logo ka story pe isse accha silent reader hi sahi tha  chalo Koi nai jald hi postsp drlrde Kar diyajayega
Like Reply
#11
nice one
[+] 1 user Likes raj500265's post
Like Reply
#12
lajawab......

ek shaandaar kahani....

post more stories
[+] 1 user Likes kamdev99008's post
Like Reply
#13
(18-02-2019, 04:02 AM)kamdev99008 Wrote: lajawab......

ek shaandaar kahani....

post more stories

Dhanywad
Like Reply
#14
nice start
[+] 1 user Likes raj500265's post
Like Reply
#15
nice start
[+] 1 user Likes raj500265's post
Like Reply
#16
Jald hi ek new story la raha plz support me
Like Reply
#17
nice dear
Like Reply




Users browsing this thread: