Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5

Romance Mera pyar meri zindagi..

Showing only the posts of rrdon: 15 of 92 posts. Show all posts
#1

Mera pyar meri zindagi..

Writer:- rrdon

30th November 2016




www.xossip.com/showthread.php?t=1465669


update 1

ye meri kahani hai, jo main aaj xossip pe likh raha hu. mera naam yash. 12th ka paper abhi abhi khatam huwa hai, meri maa ka naam Gauri Singh jo ki house wife hai aur Mere dad ka naam vikram singh hai jo ki city(jaipur) ke jane mane businessman hai.
yash uth ja beta 10 baj gaye hai 
main- maa sone do na chuthiya chal rahi hai.
maa-tere dad ne tujhe office bulaya hai uth ja beta
phir kya tha ja supreme court se order aa gaya tha to kon mana kr sakta tha main fresh ho kar breakfast karne niche hall me chala gaya 
main- Maa dad se milne ke baad main Arjun ke ghar jawunga late ho jayega lunch bahar hi krna hai.
Maa-thik hai pr jaldi aa jana
main- ok maa bye.
office pahuch kr pata chala dad meeting me busy hai. meeting khatam hone ke baad
main-may i come in dad.
dad- yes my son,tumhe permission lene ki jarurat nhi h beta aawo baitho.
main- kuch kaam tha dad aapne mujhe yaha bulaya
dad- main tumse janana chahta hu ki tum ab kya krna chahte ho
main- dad main b Tech krna chahta hu
dad- thats good my son
main- thanks dad ab main chalta hu
dad- are suno ye lo mera credit card ye aaj se tum rakhna aur ha subse important kaam ****mall se apne maa ke liye ek gift le lena aaj uska birthday hai.
main- oo no main kaise bhool gaya ok dad and thanks 
mere mn me yahi chal raha tha ki main kaise maa ki birthday bhul gaya mujhe bahot gulty feel huwa. waha se sidha Arjun ke sath ****mall gaya aur maa ke liye gift dekhne laga.
[+] 1 user Likes rrdon's post
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#2

mere mn me yahi chal raha tha ki main kaise maa ki birthday bhul gaya mujhe bahot gulty feel huwa. waha se sidha Arjun ke sath ****mall gaya aur maa ke liye gift dekhne laga.

Update 2 

hm mall me gift center gaye aur waha se pehle to maine ek bahot hi acha sorry card liya usme "Sorry mom plz forgive me,your stupid son will not do it again" likha tha ar ek bacha kaan pakad kr apne ghutno ke bal baitha tha

wahi pe maine ek cup dekha bahot hi khubsurat tha, maine uss coffee cup pe mera aur dad ka pic print karwane ar uspe "WE LOVE YOU SO MUCH" likhne ko bola aur hum dono shop se bahar aa gaye.

mere teen dost hai jo ki college se hm sath hai Arjun, Aakash aur main
in dono ki college se hi gfs hai, Aakash ki gf ka riya naam hai, wo ek average looking girl hai but uska nature aur baat krne ka tarika kisi ko bhi maat de skta hai.
Arjun ki gf ka sherya naam hai wo behad hi khubsurat lrki hai 
ek larki ki khubsurti uske baat krne ke tarike se aur bhi badh jati hai waise to abhi tak koi larki mujhe nhi mili pr kabhi 2 main bhi sheryako dekhte dekhte uski khubsurti me kho jata, ek din ka wakya hai jo main bata raha hu hum sb log lunch time me college park main baithe the sherya mere se bahot close baithi thi.
Main- sherya aaj isko ullu banate hai.
Sherya- Kaise....
Main- tu rook main krta hu ar mainuske taraf dekhne lga ar kabhi kabhi uska pe hath rakh deta
arjun ne ek do baar ignor kiya uske baad
Arjun- Bhai meri hai itna mt dekh
Main-soch raha hu tujhe side krne ko
Arjun- main mar bhi jawu tb bhi yakin nhi hoga bhai
Sherya-main bhi soch rahi hu tujhe se break up kar lu
arjun k sakal dekh kr mujhe se control nhi huwa aur hm sb husne lage Arjun bs hume dekhe ja raha tha 
Aakash- are ye log majak kr rahe hai bhai tu serious na ho

Arjun ki sakal itne se baat pe aisi ho gayi thi jaise bache ke hath se kisi ne lollipop le lya ho
Like Reply
#3

Update 3

Arjun- chal bhai Mac D chalte h tb tk wo print kr dega
Hmne 2 meal order kiye 
Arjun- bhai college tere bmw se chalenge
Actually papa ne 12th pass ar mere birthday pe mere liye bmw 320d gift ki thi
Main- Na bhai mere nhi tere bike se chalenge
Arjun- tu itna sidha kyu h bhai
Main- mujhe show off krna acha nhi lgta tu le chalega to bol nhi to main Aakash ko bolunga
Arjun- tu apni car se nhi aayega
Main-nhi
Arjun- thik h phir ab se is garib ke bike pe hi chalna
Main-thapar khayega tu ab dosti me amiri garibi kha se aa gaya
Tb tk hmra order aa gaya hmne wo khaya ar idhar udhar ki baate chal rahi thi
Phir hmne gift shop se gift liya ar ek maa ke liye dimond ka patla sa chain lene dimond shop chal diye
Waha se ek bahot hi khubshurat ek locket type ka tha karib 4.5lakh ka wo pasand kiya ar ghar aa gaye
Shaam ko party start ho gayi maine maa ko gift diya wo bahot hi khush ho gayi

Arjun- bhai ye ghar ka party ho gaya bahar kb de raha h party
Bs hm friends nd gfs
Main- ok bhai jb tu bol de 
Do din baad ka time set huwa late night party ka
Party ke din 
Arjun- bhai sherya ke ghar wale usse aane nhi de rahe h tu unke ghar baat kr le na plz
Aakash- ha bhai riya ke ghar pe bhi plz
Main-maje tmlog karo saja mujhe??
Arjun/Aakash- bhai nhi h dostplz
Main- ok ab rona band karo
Maine sherya ar riya ke ghar call kiya unke ghar walo ko manaya
Dono ke ghar wale - beta 11 baje se pehle aa jana aap log
Main- ji uncle hm aa jayenge
Dono ke ghar wale mere papa ko bahot ache se jante the ghar pe bhi ana jana tha is liye jada mind nhi krte the ye log
Phir hmsb log club me gaye for parrrrrtttttyyyyyy
Pehle to hmne dance kiya ar tk kr baith gaye sofe pe
Arjun- bhai drink la de sb ke liye
Main- yes sir aakash chal tu mere sath
Hmne drink order kiya Aakash teen drink le kr chala gaya ar main do drink le kr jaise hi palta waise hi ek lrki se takra gaya ar mere hath ki drink us larki pe gir gayi ar larki bhi jamin pe gir gayi

Maine jaise hi uske pass gaya usko sorry bolne ar jhuk kr apna hath badhaya hi tha hi usne mere gaal pe ek thapar chaaattaaakkk k laga diya
Like Reply
#4

Maine jaise hi uske pass gaya usko sorry bolne ar jhuk kr apna hath badhaya hi tha hi usne mere gaal pe ek thapar chaaattaaakkk k laga diya


Update 4


Lrki- tmhari himat kaise hu mujh pr drink girane ki
Main- Main sorry bol raha hu na
Lrki- koi aihshaan nhi kr raho ho
Main-dekho mere se galti hu h isliye main chup hu sorry ar main apke dress ke paise bhi de dunga 
Lrki- tmhri awkaat nhi h ye dress lene ki ar main sb smjhti hu tm jaise larko ko lrkiyo pe gandi najar se dekhta hoga ar ye bhi tmne jaan much kr giraya h
Main- dekho aap galat smajh rahe ho mere aisa koi intension nhi tha
Lrki- tmhra intension smjh gayi hu main pata nhi tm jaise lrke ko tmhre maa baap paida kyu kr dete h
Main( gusse me) - dekh lrki tera bahot ho gaya ab chup ho ja
Lrki- Dekho gussa aa raha h kahi isliye to nhi ki tm apne maa baap ke najayaz awlaad h
Main- teri to main ar phir maine ek uske gaal pr thappppaaaarrrrr laga diya
Lrki- tu janta nhi h kisko hath lagaya h
Main- janta hu tm apne baap ke paise pe ass krne wali ghamandi lrki ho 
Lrki- is thapar ka badla chukane ke liye taiyar rehna 
Main- chal side ho
Mujhe bahot gussa aa raha tha aisa lg raha tha ki goli maar du us lrki ka
Arjun- chor bhai bhul ja chal ghar chalte h
Sherya- Ha yash chal chalte h
Lrki- Ha ha lejawo isse kisi din isko aisa dard dungu ki ye marna bhi chahega tb bhi nhi mar payega
Arjun ar sherya ek sath- yash choro chalo tm yaha se
Ar mujhe jabarjasti le gaye waha se hm sb bahar nikle ar main paidal hi jane laga 
Aakash- chor na bhai kyu tension le raha hai chal ab chalte h car se
(Aakash ke car se hmlog club aaye the)
Arjun- Ha bhai chal na
Tabhi riya ar sherya mera hath pakar ki gaadi ke taraf le jane lagi
Main- choro yr main chalta hu nhi to ye dono bhi lad lenge mere se
Is baat se hm sb ke chehre pe halki hasi aa gayi

Teen din baad college me admission start ho gaya tha main dad ko bata diya tha ki mujhe cs se btech krna h ar mere sare friends bhi CS hi lene wale hai

Dad- thik h phir main college walo se baat kr leta hu admission jaldi ho jayega
Main- nhi dad iski koi jarurat nhi h waise bhi aapka beta padne wala h ache number aaye h ar agar koi problem hu to main aapko call kr dunga
Dad- thik h beta jaisa tm sahi smjho
Phir hm log Aakash ki car se college gaye ar car parking me laga kr nikle hi the ki ek audii speed me aa rahi thi ar bilkul mere pair ke pass ruki
Main- abe pagal ho gaya h kya be
Us gadi ka gate khula ar us me se ek lrki nikli
Main- tm
Ye wahi larki thi jisse mera club me ladai huwa tha
Lrki- Abe tere jaise bande is college me kya kr rahe h kisi pe line mane aaya h kya
Like Reply
#5

Lrki- Abe tere jaise bande is college me kya kr rahe h kisi pe line mane aaya h kya

Update 5

Main- tere jaise hi kewal padh skte h kya iss college me
Lrki- Sakal se to paise wala lgta nhi h ar tm is college me admission lene aaya hai
Arjun bolne wala tha ki main usko chup kara diya ar main lrki se
Main-main to apne merit pe yaha aaya hu pr tm to apne dad ke paise peaayi hai ar upar se ghamand dekho
Lrki- mind your business Mister
Main- Arjun dekh kahi aag lag gayi sach sun kr
Ar hm hussne lage 
Lrki- tmhari itni himmat 
Ar usne aa kr humari bike gira di mujhe utna gussa aaya 
Main- teri to main
Tb tk Arjun mujhe pakad liya bhai jane de koi lafra mt kr waise bhi bike meri h tu rehne de Tb tk Aakash riya ar sherya bhi college pahuch gaye 
Main lrki se- Chal side ho tere jaise lrki se baat krna hi bekar hai
Ar phir maine us lrki ko side me dhaka diya wo apne car se tarka gayi ar girte girte bachi Main ar Arjun waha se chal diye
Aakash- kya huwa bhai itne gusse me kyu hai
Arjun- apni bhabhi se lad kr aaya hai 
Main- chup ho ja kamine uske badle tu hi kha lega
Sherya- kis ke badle baat kya hai tm itna gusse me kyu ho
Arjun- kuch nhi jaan ye phir se ladayi kr liya us club wali lrki se
Main-chhodo ye sb ar chalo admission ke liye line me lgte hai
Ar phir hm log admission form le kr line me lg gaye Aadhe gante baad maine dekha ki wo lrki Rohan uncle(is college ke chairman hai ar mere dad ke friend) ke sath bahar aayi usne jb mujhe dekha to laga jaise kha jayegi Uske jaane ke baad Rohan uncle apne office ke taraf jane lage unki najar mujhe takrai unhone mujhe bulaya
R Uncle- Are Yash beta tm yaha
Main- Yes sir, main aur mere friends admission lene aaye hai
R Uncle- to tm line me kyu lage ho ar ye sir kon hai uncle bolo
Main- sorry uncle mujhe laga aap naraj ho jawoge
R Uncle- tmse naraj kaise ho sakta hu beta Tm mere office aawo ar apne friends ko bhi bulaa lo
Main- ji uncle
Hmlog unke office me chale gaye phir unhone hmra admission le liya humre percentage dekh kr bahot khus huwe uncle
R Uncle - bahot ache bacho aise hi mehnat se padhayi karna ar kuch bhi problem ho direct mere pass aana, waise yash tmhe pata hai Rajesh sinha (mere dad ki company ke CEO hai) ki beti abhi abhi aayi thi 
Main shock ho gaya ye kaise ho skta hai rajesh uncle itne sidhe ar ache ar unki beti itni kharuss ar ghamandi
Uper wale ko bhi mere hi sath ye khel khelna tha
Admission hone ke baad hm log canteen ke taraf chal diye gate pr phir se wahi lrki se takrane se bacha
Lrki- tit for Tait
Main- kya
Lrki- jaldi pata chal jayega itni jaldi kya h
Main- chal ja yaha se
Phir hm sb se nasta kiya ar Aakash,riya ar sherya ke jane ke baad main ar Arjun parking ke taraf chal diye
Waha se kafi logo ki awaz sunayi de rahi thi ar dhuwa bhi bahot aa rahi thi, Hm dono daur kr waha pahuche to shoch reh gaye
Humari bike me aag lagi huwi thi
Arjun- bhai bhabhi bahot mehngi pad gayi
Like Reply
#6

Humari bike me aag lagi huwi thi
Arjun- bhai bhabhi bahot mehngi pad gayi 

Update 6

Main- bahot ho gaya ab iska kuch na kuch krna parega
Arjun- bhai ab kya kare
Main- iska insurance tha
Arjun chup ho gaya dhire se bola- bhai renew krwana tha pichle hafte khatam huwa tha
Main- 
Main-Ghar pe ye mt batana arjun abhi hm nayi bike lene chalte hai 
Phir hm dono college se bahar aaye aur auto se ek bike ke showroom ki taraf chal diye Hume same colour ki bike mil gayi thi
Main- bhai pehali baat ki ghar pe tm batana nhi ki tere bike ke sath kya huwa dusri baat agar gharwalo ko pata chal gaya iska number dekh kr to bol dena friend ki hai
Arjun- ha thik hai 
Phir arjun ne mujhe ghar chhoda gussa to us lrki pe aa raha tha abhi mil jaye to gala daba du main uska naagin khhadush, Main apne room me araam kr raha tha Maa mere kamre me aayi
Maa- kuch problem hai beta ?? Tension me lg rahe ho
Main- nnnnhhiii mom kuch nhi bs thora sir dard ho raha h
Maa- lawo main maalish kr deti hu
Main maa ki godh me sir rakh kr so gaya ar maa sir ki maalish krne lagi mujhe itna sukun mil rha tha main kya kahu aap sb jaante hi honge mera pura gussa thanda ho gaya
Maa- tm college apne car se jawo ge na??
Main- nhi maa main arjun ke bike se jawunga
Maa- Wo rajesh ji ki beti bhi tere hi college me admission li hai pata hai tumko?
Uska naam aate hi aaj pure din ka ghatna mere aakho ke saamne aa gaya
Main- li hogi admission mujhe kya...
Maa- aise kyu bol raha hai wo bahot achi larki hai
Mujhe shock laga maa uss lrki ko achi bol rahi thi to phir kharab kon hota hai 
Main-apko kaise pata ki wo achi hai uska naam bhi pata h aapko 
Maa-pite ga ab tu, uska naam YASHMIN hai, main milli hu usse ek party me bahot hi pyari bachi hai
Main- maa main thak gaya hu main sone jaa raha hu
Maa- ha thik h tm aaram karo main chalti hu
Mujhe ye samajh nhi aa raha tha ki maa us lrki ko achi kaise bol sakti hai aisa kya dekh liya thaa maa ne uss lrki me 

Do din baad 
Aaj college ka pehla din hai ar arjun mere ghar aaya bola bhai jaldi chal warna late ho jayenge
Main- kamine tu late aaya ar mujhe jaldi karne ko bol raha hai ab chal warna pehle hi din late ho jayenge
Arjun- ha bhaiii jaldi chal
Hum dono jaise hi college parking me pahuche
Main- ooye jaldi bike rokkk
Arjun ne bike rok di ar main side se ek danda liya jo sayad guard hi hogi waisi hi thi ar main ek gadi ke pass chala gaya
Arjun- nhi bhaiiiiiii
Itna bola hi tha ki front sisa gaya phir side window ar last me back ki window, aisa karnama aaj pehli baar kiya tha maine mujhe laga jaise maine koi competition jit gaya 
Ji haa wo car us lrki ki hi thi jiska maine window tora tha
Phir hm class ki or chal diya mujhe andar se bahot khushi ho rahi thi 
Aakash riya ar sherya late hone ki wajah se pehle hi class me chale gaye jb main ar arjun pahuche to maine dekha rohan uncle speech de rahe the hm dono gate pr hi khade ho gaye
R Uncle- come inside aaj pehla din h ar aaj hi late 
Main/Arjun- sorry sir aage se nhi hoga
R uncle - its ok go nd sit
Hum dono bich ke raste se piche ki or jane lage,ek side wo lrki baithi huwi thi main gaya uske pass ar
Main-Tit for Tait
Like Reply
#7

Hum dono bich ke raste se piche ki or jane lage,ek side wo lrki baithi huwi thi main gaya uske pass ar
Main-Tit for Tait

Update 7

Maine tit for tait bol kr piche ja kr arjun ke sath baith gaya
Break jb huwa to hm sare dost canteen me chale gaye jb hmlog waha pahuche to waha koi table khali nhi tha pr ek table pr sirf ek larki baithi huwi thi hm log waha pahuche
Main- can we join you
Lrki- yes baith jawo tm log
Larki dekhne me bahot khubsurat thi uska face simple nd cute thi,maine sbka introduction diya
Hi main yash,ye Arjun nd uski gf sherya ar ye Aakash nd ye uski gf riya ar hmlog first year cs se hai
Lrki- hi to all of you mera naam Apurva hai, nd main bhi nayi hu cs se.
Arjun mere kaan me bola- bhai ye kitni khubsurat hai isse hmari bhabhi bana le
Main- chup ho ja kamine sudhar jaa
Arjun- such bol raha hu bhai
Main- (gusse se) ek ko banaya tha na kimat chukaya hai ab isse bhi bana le
Arjun- na bhai mujhe nhi banana 
Riya- yash aaj bhi mt lad lena us larki se.
Main- maine kabhi laradi start nhi kiya wo hi pehle ladne aati hai
Phir arjun ne kl ar aaj ka mera karnama sb ko bata diya sb log shock ho kr dekhne lage
Apurva- kon larki kiski baat ho rahi hai
Main- kuch nhi yr bs ek pagal hai humre class me chhoro ye sb chalo truth nd dare khelte hai
Sbne haa bola ar phir maine coke ki bottel ko table pe spin kiya first number Arjun ka
Arjun- set bhai phir se pehli baar h
Main- chal chup chaap bol truth or dare
Arjun- kuch soch kr truth
Sherya- main puchungi isse ek baat batawo tm aaj tk mere sath na college aaye ar na kabhi ghumne jate ho ar aaj college ka pehla din tha tmne mujhse ek baar bhi nhi pucha ki main tmhre sath aawu mere se mn bhar gaya hai tmhra?
Wo ekdm udash ho gayi thi ye bol kr ar yahi haal Arjun ka bhi tha uski question sun kr ar hm sb ek dam khamosh ho gaye pehle turn me hi itna bada dhamka,
Arjun apne chair se utha ar sherya ke chair ke pass ja kr niche apne ghutno pe baith gaya ar bola
Arjun- jaan tm aisa soch bhi kaise sakte ho ki mera mn tmse uth gaya h mainkl bhi tmse beintaha mohabbat krta tha ar aaj bhi krta hu agar aisa din kabhi aaya to wo mera aakhri din hoga jindagi ka
Arjun ki baato me dard jalak raha tha uski aakhe bhi nam ho gayi thi yahi haal sherya ka bhi tha ar lagatar uski aakho se aashu nikal raha tha, jb arjun ko pata chala ki wo roo rahi hai tb usne sherya ke aashu pochte huwe bola main shirf ai shirf tmse hi pyar krta hu jaan ar rahi baat college ar aaj college sath aane pr to tm janti ho na yash akela hi rehta hai hm charo ke alawa aaj tk isne kabhi bhi kissi ko apna dost tk nhi banaya ar humare nhi rehne pr ye akela rah jata hai uske sath rehne se uska akela pn door ho jata hai ar tm ye kaise bhul gayi ki humra rista bhi iske wajah se hi bana hai, ar ye humlogo ke liye kitna kuch krta hai.
Main ye sun kr ekdm hairaan rah gaya ar aaj arjun ke liye khushi bhi ho rahi thi ar gussa bhi aa raha tha khussi is baat ki ho rahi thi ki itna acha dost milla hai ar gussa isliye ki meri waha se arjun sherya ko time nhi deta tha
Main- bhai ye galat baat hai jb tm pyar krte ho to time pura bhi diya karo isko ar haa kl se tm sherya ke sath aana main apne car se aawunga
Sherya- nhi yash iski koi jarurat nhi hai, Arjun tmhre sath hi aayega main to bs confrm kr rahi thi ki ye mujhe se pyar kitna krta hai
Main- thik hai pr arjun aaj se shaam ko mere sath mt rehna ar tm sherya ke sath shaam time spend krna ar ye final hai no argument.
Apurva- yr kya pyar hai ar kya doati hai tum logo ki, mujhe bhi apna dost bana lo,mujhe bhi tm jaise logo ki doati mil jayegi
Main bolne hi wala thi ki kisi ne mera baal piche se pakar liya ar boli kamine tera himmat kaise huwa jb maine dekha to ye wahi thi kismat phooti meri
Main- baal chhor kamini tere ko hi bahot shouk tha tit for tait ka maine to bs tera jawab diya hai
Yashmin-tera awakat bhi hai aisi car ki jiska window tmne phoda hai
Main- teri awkat hai to ja banwale phir se chudal kahi ki
Yashmin- teri to main 
Ar ek thapar mere gaal pr laga diya
Main- Aaj nhi choruga tujhe
Like Reply
#8

Mujhe bahot gussa aa raha tha us lrki pe phir sb ne bola table pe baithne ko to main baith gaya table pr 10min. Huwa hi tha ki Rohan uncle ke office ka peon aaya ar bola
Peon- Yash tmko sir bula rahe hai.

Update 8

Main- tmlog class me chale jana main tmlogo ko class me hi milta hu
Arjun- main chalta hu na bhai uncle ko batayenge ki kya huwa tha
Main- abe darta kyu hai kuch nhi hoga main sambhal lunga ( pr sach kahu to dar lag raha tha ki kahi ye baat ghar walo tk na Pahuch jaye)


Main darte darte unke office gaya ki kahi ye baat ghar walo ko pata na chal jaye, office pahucha to yashmin bhi unke office me hi thi.

R Uncle- yash tmne iske car ka sissa kyu thoda, aisi harkat tmse ye umid nhi thi yash.
Main- Uncle aisi baat nhi hai pehle isne hi suru kiya tha ar maine unhe saari baat bata di

Maine jb rohan uncle ko uncle bola to ye sun kr yashmin thori shock ho gayi ki sir ko main kaise janta hu ar unhe uncle bol raha hu

Rohan Uncle- yashmin ye galat baat hai, tmne iske friend ke bike ko jala diya wo bhi thori si behas ke liye
Yashmin chup thi ar bolti bhi kya uska kala chitha sb khol diya tha uncle ke pass
R Uncle- ye tm dono ke liye pehli ar aakhri baar hai jo main tmlogo ko maaf kr raha hu, ab aage se tmdono ki sikayat nhi aani chahiye, ab chalo apni ladayi khatam karo ar dono ek dusre se hath milawo ar bolo ki aaj ke baad hm ladayi nhi karenge

Main- Nnnnoooooo
Yashmin- hath milawu iske sath NEVERR

R Uncle- thik h phir main tm dono ke parents se baat krta hu
Main- no uncle i will
Yashmin- yes uncle we will shack hands
Yashmin ke chehre se sàaf pata chal raha tha ki wo bs dikhawo kr rahi h ar mujhe aise ghoor rahi thi jaise wahi kha jayegi,
Phir hmne majburi me hath milaye ar unke office se bahar aagaye
Yashmin- chamcha giri acha kr leta hai uncle uncle kr raha tha isliye bach bhi gaya
Main- tera ghamand abhi bhi nhi toota koi nhi main yahi hu tere ghamand ko kaise torta hu tu bhi dekh lena
Yashmin- apni awakat me raha kr smjha, ar yaha to bach gaya bahar kaise bachega mujhse
Main- tu mujhe bahar maaregi. Hahahahaahahahahaaaahahaaaa chal ja chipkali ar main waha se chala gaya
Main sidhe class me gaya class start hone wali thi mere jate hi pacho ( Arjun sherya Aakash riya ar ek nayi friend Apurva) ne pucha ki kya huwa ,jb maine unsbko ko bataya to wo log hasne lage ar bole ki sahi huwa uske sath aisa hi hona chahiye
College off hone ke baad sb chale gaye phir main ar arjun parking aaye ar apni bike le kr jane lage tabhi piche se ek car ne takar maar di ar main gir gaya mere sir se halka sa khoon aane laga , arjun ko bhi hath ar pair me thori thori choot aayi jb maine dekha to mera sir ghum gaya ye kaarnama ussi ka tha, maine arjun se bike liya ar hmdono nikal pade picha krne
Arjun- bhai thora dhire chala le pehle hospital chalte h bandage krwane
Main- (gusse me)chup chap baitha reh mara nhi ja raha hai
Arjun chup ho gaya tabhi uski car mujhe dikh gayi ar maine uske car ke aage bike rok diya usne bhi apne car ki break laga diya
Main uske pass gaya ar uske piche se gala ar baal pakar kr bahar nikala
Main- tu ek number ki ghamnadi apne baad ke paise pe ash krna ar iske alawa tujhe aata kya hai,
Yashmin- choro mujhe dard ho raha hai
Maine itna kas kr pakad liya tha ki uske aakho me nami aa gayi thi
Main- bahot Awakat-2 krti hai na tu tera Awkat kya h tujhe pata hai jitna tu mujhse nafart krti hai na usse kahi jada main tujhse krta hu, tu agar duniya ki aakhri larki bhi hogi na to main marna pasand karunga tere pass aane ke bajaye
Ar maine use dhaka de kr nikal gaye....
Like Reply
#9

Main- bahot Awakat-2 krti hai na tu tera Awkat kya h tujhe pata hai jitna tu mujhse nafart krti hai na usse kahi jada main tujhse krta hu, tu agar duniya ki aakhri larki bhi hogi na to main marna pasand karunga tere pass aane ke bajaye
Ar maine use dhaka de kr nikal gaye....

Update 9

Raste me jaate waqt
Arjun- Aaj kuch jada hi kr diya uske sath
Main- (gusse me) Chup chap baith warna main hi dhaka de dunga tujhe

Phir hmne bandage krwaya ar wapas ghar ki or nikal gaye dar bhi lag raha tha ki ghar walo ko kya kahunga, ghar pahuchte hi maa ne jb dekha
Maa- (dare huwe) Yash ye kaise ho gaya, ye chot kaise laga tmko
Main- maa wooo wo arjun ke bike se gir gaya tha jada chot nhi laga hai aap tension nhi lo ar plz dad ko mt batana plz mom
Maa- main ne kitni baar bola ki car se chale jawo pr meri baat sunte hi nhi ho,
maa ki aakhe nam ho gayi thi ye bolte bolte
Main- maa plz aap tension mt lo main thik hu jada chot nhi lagi hai ar aage se ache se bike chalayenge
Maa- tm aaram karo abhi main tmse baad me baat krti hu

Shaam ko Sherya ka call aaya
Sherya- tm coffee centre aa jawo arjun bhi yahi hai
Main- tm dono ke sath main kya karunga you both enjoy
Sherya- nhi tm aawo mujhe tmse baat krni hai
Main- thik hai main 10 min. Me pahuchta hu
10 min baad main waha pahucha dekha Aakash ar riya bhi sath the
Riya- aaj yashmin ke sath kya huwa tha yash
Main- kuchhh nhii
Tb tk Arjun ne saari baat batani start kr di
Riya- ye galat baat hai yash tmko uska gala nhi pakarna chahiye tha jo bhi hai wo larki hai
Sherya- ha yash ye tmne galat kiya
Main- pagal ho gaye ho kya tm dono wo aaj hmdono ko maar deti
Arjun- Bhai bs usne side se takar diya tha
Main- chup ho ja kamine gf hai to isi ka sath dega
Arjun- bhai main to bs ye bol raha hu ki waisa side se car lene ka matlab darana hota hai ar us samaye mere se bike uncontrolled ho gaya ar hm gir gaye
Sherya- tmne usse bata diya ki tm kon ho
Main- nhi main bich me hi chup ho gaya tha
Aakash- bhai isme galti 60% tmhari hai ar tmhe usse mafi magni chahiye
Main- chup ho ja saale thappar khaye ga tm
Sherya- sahi bol raha h Aakash tmko kl college me usse mafi magni chahiye ar hm na nhi sunna chahate
Main- tm log ko jo kuch bhi krna hai kar lo main maafi nhi magunga

Agle din college me, class start hone se pehle hm parking me yashmin ka intezar kr rahe the jb wo aayi to main gaya uake pass
Main- mujhe tmse baat krni hai
Yashmin- ( mere doato ke taraf dekhte huwe) dwkho bandar mujhse baat krne aaya hai, ar wo hasne lagi
Main- dekh jada bane ki jarurat nhi hai mujhe tmse tb tk..
Yashmin- mujhe tere se koi baat nhi krni tu ja main aaj larne ke mood me nhi hu ar tere jaise bandaro se to bulkul bhi nhi, ar wo jane lagi

Sahi bata raha hu dosto itna gussa aaya iss larki pe ki mn kr raha tha maafi ki bajaye iska gala ghot du, pr jaise hi wo mere ko cross krne wali thi maine uska hath pakra
Main- pehle meri baaaaatttt..
Tb tk usne apna hath chhurate huwe
Yashmin- how dare you to touch me tmhari himmat kaise hu
Ar usne mujhe thapar marne ke liye hath utha liya lekin isbaar maine uska hath pakar liya ar gusse me bola
Main- tujhe pata hai tu ek number ki gamandi, pagal larki hai main yaha tmse kl ke liye maafi magne aaya tha but you know what you don't disserves it
Yashmin- tere maafi ki aisi ki taisi aage se mujhe chune ki himat ki to dekh lena
Main- chal jaa yaha se mujhe bhi soukh nhi hai tere jaise lrkiyo ko chune ka
Ar main apne dosto ke pass aa kr gusse me bola
Main- is larki se maafi magne ke liye bol rahe the
Sherya- saant ho ja yash koi baat nhi
Riya- tm usse pyar kr lo yash
Uski baat soon kr hm saare dost uski or dekhne lage iss time pe aisi baat kaise bol sakti hai
Aakash- chup ho ja yaar kuch bhi bol deti hai kahi bhi
Riya- nhi main such bol rahi hu tm logo ne dekha nhi in dono ke bich kitna nafrat hai, jb ye dono itna nafrat ek dusre ke sath kr sakte hai to socho ki jb ye dono ek dusre se pyar karenge to kitni siddat se pyar karenge
Main- chup ho ja yaar aisa kuch hone wala nhi hai
Sherya- sahi bol rahi hai yash waise bhi hmlog yahi hai hm bhi dekhte hai ki kb tk tm dono ka ye khel chalta hai

Aise hi time bitata gaya kb 4 mahine nikal gaye pata hi nhi chala is bich me Apurva ke sath hmlogo ki dosti kaafi achi ho gayi thi ar wo bhi humare sath hi rehti thi, meri ar yashmin ki ladayi lagbhag roj hona tay tha pure college ko malum tha iss baare me

Ek baat batata hu aap logo ko pata nhi kyu yashmin ke sath ladayi bhi ab achi lagne lagi thi, jis din humari ladayi na ho to bs kya batawu main aap lpgo ko sayad ye sb dosto ke bolne ke wajah se huwa ho ki usse pyar kr le sayad mere dil me uske liye soft corner banane laga tha pr mera dimag ye baat manane ko tayiyar nhi tha ki aisa bhi kuch ho sakta hai

Ek din college ke notice board pe manali trip jane ka notice laga ar likha tha ki jo jana chahta hai wo apna naam registered karwa de
Hm sb dosto ka plan bana ghar walo se permission le mr hmne apna naam registered krwa diya pr Apurva ne mana kr diya boli ki usse apne family ke sath apne gaow jana hai.do din baad humre jaane ka time fix ho gaya

Do din baad jb hume college se hi bus pick krne wala tha, sb koi aa gaya jb main dekha to mera hosh hi udh gaya us trip pe yaahmin bhi ja rahi thi, saare larke ar larkiya ek sath aaye tabhi sherya to yashmin
Sherya- hi yashmin, bahot achi lag rahi ho aaj tm
Yashmin- thanks ar tm bhi bahot cute lag rahi ho
Sherya- itne din ho gaye hm ek hi cls me raeh kr bhi baat nhi krte
Yashmin- tmse baat krne me koi dikat nhi hai pr jo tmhare sath rehta h na uska sakal bhi pasand nhi h
Main- tera kya matalab hai, jada mt bol sumjhi
Sherya- chup ho jawo phir se start mt ho
Main apne me barbarate huwe ho gaya beta tera manali trip jb tk tere samne ye larki rahe gi na laregi hi isse se bach ke rehna
Like Reply
#10

Jitna bhi thanks karu bhai aapka kam hai, iss story ka approx 170 pages the xossip pe, Thanks a lot my friend, waise aapne ye story padhi? Agar nhi padhi h to ek baar padhiye ga aur batana bhai ki kaisi hai, i will wait for your reply
Like Reply
#11

Sorry friends manta hu bahot late reply de raha hu, story bich me band hone ke flow nhi ban pata hai, but iss story ko complete karna hai wo bhi ache se, bahot din baad update de raha hu kuch galti ho jaye to maaf kar dena aap log
RRDON
[+] 1 user Likes rrdon's post
Like Reply
#12

Update 67

Thori der ring bajane ke baad yash ki mom ne darwaja khola, aaj pehli baar tha yash ke purpose karne ke baad yashmin officially uske ghar aayi thi thori sarma rahi thi kyuki usko pata tha ki maa ko humare baare me pata hai,
Yash- kya mom itni der laga di aur baaki sab kha hai kaam karne wale?
Yash mom- (thori rookhi awaz me) kyu jada wait kr liya kya tum sab busy hai apne kaam hai, 
Yash ko ajeeb laga uski maa ko aise bolte huye tabhi
Yashmin- nhi aunty abhi abhi hum log aaye hai
Ghar ke andar aate hi jab yashmin ne uske pair chuwe to wo bas formality me khush raho bol ke chali gayi jaate jaate 
Maa- yash ja fresh ho ja chai mangwaati hu
Yashmin ko unka behaviour bahot ajeeb lag raha tha unhone aaj tak aisa behave nhi kiya tha yashmin ke sath
Yash ke jaate hi yashmin ne poocha
Yashmin- aunty koi problem hai kya?
Yash mom- tum batawo koi problem hai mujhe dekho main baat ko ghuma kar nhi bolungi lekin tum dono se mujhe ye umeed nhi thi angle, yash to pagal hai par tum to samjhdaar ho tumse ye umeed nhi thi,
Yashmin ko dar lagne laga apne aap ko control kr ke poocha
Yashmin- maine kya kiya hai aunty, 
Yash mom- kyu natak kar rahi ho yashmin tum dono itne bade ho gaye ho ki apne saare decision khud lene lage tum dono, hum se poocha tak nhi, bas apna decision soona diya ki tum dono pyar krte ho. 
Yashmin se ab bardaas krna muskil tha uski aakhe nam hone lagi
Yashmin- nhi aunty aisi baat nhi hai, mujhe sach me pata nhi tha ki yash aapka beta hai, 
Bich me hi rookte huwe..
Yash mom- rehne do angle mujhe sab pata hai, kya sochi thi main ki yash ki shadi apni friend ki ladki se karungi usse baat bhi kr li thi main bahot pehle hi yash ka rishta fix kr diya tha maine, lekin ab tum dono ka kya karu, tumhe apni beti mana tha par tum logo ne, isse acha hota ki bahot pehle hi tumse rista tod leti main ye sab to nhi hota
Yashmin ab rone lagi aisa laga ki sab kuch hath se jaa raha hai.. wo rote rote boli..
Yashmin- nhi aunty aisa mat boliye, maine aapko maa mana hai, aapko nhi chor sakti aap jo chahogi wahi hoga maa, please bas aap mujhese door jaane ko mat boliye ek maa ko kho chuki hu ab aapko nhi khona chahti, apne dil par pathar rakh kar boli agar agar aap yash ki shadi apni friend ki beti se karwana chahti h to aap karwa dijiye main kuch nhi bolungi main chali jawungi yash ki jindagi se but maa please main aapko nhi kho sakti, aur ho sakte to maaf kar dijiye mujhe, wo rote rote bol rahi thi..
Yash door se sab dekh raha tha usse yashmin ka rona ab bardaas nhi ho raha tha 
Yash- maa ab bas kijiye apna natak kitna rone lagi angle..
Yash mom- aree sach me dekho to kitna rone lagi.. sorry beta majak kr rahi thi main, maine socha nhi tha aisa kuch karne ke liye par jab aayi to aunty boli to thori si teri taang khichne ka mann kiya sorry haste huwe boli..
Yashmin se ab bardaas nhi huwa usse laga tha ek pal me hi uska sab kuch chala gaya wo yash ki maa se lipat kar aur jor jor se rone lagi, jisse dekh uski maa bhi serious ho gayi
Yash mom- angle sach me beta main majak kar rahi thi, maaf kar de mujhe, mujhe nhi pata tha tum itna seriously le logi, I'm sorry angle, waise main  jhooth nhi bol rahi thi tere baare me hi bol rahi thi teri maa bhi to meri friend hai na bachpan me hi tumhara hath maanga tha apne yash ke liye,
Thori der me sab normal huwa,
Yashmin- yash tum jaante the maa aisa kuch karengi?
Yash-(haste huye) ha maa ne pehle hi bata diya tha aane do angle ko uski khabar leti hu
Yashmin- tumhari khabar to main baad me leti hu, maa chaliye hum chai le kar aate hai.
Yash- aree maine kya kiya?
Yash mom- beta iski aadat daal le ab to ye roj hoga aur hasne lagi jisse yashmin ko thori saram aane lagi..
Yash mom- waise angle tu sach bol rahi thi ki mujhe nhi chor sakti aap yash ki shadi kr dijiye agar main sach me ye sab bolti to kya karti tum?
Yashmin serious ho gayi aur boli
Yashmin- apni maa ke baad kiski ko apna mana hai na maa to wo aap hai, apne papa se bhi uppar aapko hamesa priority deti hu, ye sach hai maa ki main aapko kabhi nhi chor sakti but ye bhi sach hai maa ki yash meri jindagi hai, uske sath ke bina main kuch nhi hu, agar ye sab sach hota na maa to aaj mera aakhri din hota iss duniya main...
Yashmin ka itna bola hi tha ki ek Thapar uske gaal pe pada jo ki yash ki maa ne mara tha
[+] 2 users Like rrdon's post
Like Reply
#13

Update 68
Yash mom- Aaj ke baad aisa kuch karne ka socha to mujhse boora koi nhi hoga angle.
Yashmin- sorry maa but ye sach hai, aapko boora laga uske liye sorry aage se nhi bolungi aisa kuch..
Raat hone ko huyi yashmin ke ghar pe bhi koi nhi tha to yash ki maa ne usse apne sath hi rehne ko bola jab tak college start na ho jaye aur uske dad bhi tab tak aa jayenge..
At airport
Yashmin yash ko chorne aayi thi but usko jaate dekh kr yashmin ki aakhe naam ho gayii .
Yash- Angle kuch din ki hi baat hai wapas aa jawunga phir chalenge apan Mount Abu, abhi please ek smile dikha do, nhi to main bhi nhi jaa paunga delhi.
Yashmin- smile krte huye, nhi tum jawo aur mann laga kr kaam karne, Uncle ko biswas hai tum pe tabhi to tumko bhej rahe hai, aawo ge to mere liye gifts lana bahot saari( sararti andaaz me) par yash to yash tha yashmin hasne ki majak karne ki poori kosis kar rahi thi par uski aakhe sab bata rahi thi,
Yash ne usse gale se laga liye, aur bola
Yash- Angle tum mujhe se jhooth nhi bol sakti, please khus rehne i love you my angle
Yashmin- i love you too my love.. jaldi aana

Yash ko aaj 8 din ho gaye the aaj college bhi wapas start hone wala tha, arjun bhi apne gaon gaya tha, yash ke jaane ke baad jab bhi time milta yash angle ko call kar liya karta,

At college..
Ladka- Bhai aaj to pehla din h college me senior sab raging lenge humara.
Rudra- Son of mla of Jaipur, tu kyu tension le raha hai janta h na mera baat kon h aur iss college ke laundo me utna dam nhi h jo mere se panga le sake.

Rudra introduction.
Jaisa ki aap logo ko pata chal hi gaya hai Mla ka beta hai, to uska rehan sehan to aap logo ko pata chal hi gaya hoga, ego, attitude sab peak pe tha ya ye bolo abhi tak koi milla nhi tha uska ego torne wala, rudra ne ek saal drop kiya tha to dekha jaaye to usko abhi 2nd year me hona chahiye tha.. but paise ki garmi aur aiyashi ka bhoot,

Rudra- waise yaar koi dhashu  ladki  abhi tak nhi dikayi di h yaar lagta h sab aunty log ke sath hi padhna padega.
Ladka- bhai ek ladki h bahot hi khubsurat hai , wo 2nd year me hai par uska ek bf hai soona hai toop hai.
Rudra- humse bhi bada toop uske samne uski gf le jaunga dekhna..
Aise hi baate kar rahe the wo log ki yashmin apni car se aa gayi college ladke ne usse isaare se yashmin ko dikhaya..
Rudra- bhai kya ladki hai ye kis chomu se pati hai, isse to meri gf honi chahiye thi
Ladka- rehne de bhai ye possible nhi h soona hai sacha wala pyar hai dono ke bich..
Rudra- tu dekh lena ek hafte ke andar hi isse apne bed pe na laya to mera naam rudra nhi..
[+] 2 users Like rrdon's post
Like Reply
#14

Update 69

At parking after college
Aakash, riya, shreya aur yashmin sab bench pe  baithe huye the, jaahir si baat h done ke bf college se gayab the i mean absent the to unka mood kaisa hoga uper se Aakash ar riya dono ke maje le rahe the..
Rudra yashmin ke pass jata hai..
Rudra- hi 
Yashmin-hi 1 year?
Rudra-ha, kya main yaha baith sakta hu
Yashmin- Sorry ye saari seat reserved hai tum kahi aur jaawo
Rudra- would you like to be my friend?
Aakash- abe wo samajh me nhi aata kya tujhe, jaa yaha se
Rudra- tu janta h kisse baat kr raha h mera baab kon hai?
Aakash uthne wala tha to yashmin ne usse mana kr diya 
Yashmin- badi akad h tumko tumhare baab ki
Rudra- itna attitude achi baat nhi h wo bhi mere samne..
Yashmin- kaas tum pehle wali yashmin se mille hote tumhari ego aur attitude dono tumhare hath me de deti... Aur hasne lagi. Dekho 1st year ke ho isse liye kuch nhi bol rahi hu aaj pehla din h tumhra enjoy karo college life.
Rudra- tumahre jaisi dost mill jayege to enjoy hi enjoy hoga college me
Yashmin- whatt???
Aakash- abe wo saane tu jata h ki nhi yaha se apne senior se baat karne ki tamiz nhi h kya tujhe..
Rudra- soona h tumhra koi chomu sa bf h, wo mere aage kya hoga, MLA ka beta hu paisa paani ki tarah bahata hu meri dost ban jawo..
Rudra ne itna bola hi tha ki yashmin se usko Thapar laga diya.
Yashmin- don't cross your limt mr itni der se yahi soch kr chor rahi thi ki 1st year ke ho,
Rudra uski taraf badh raha tha to Aakash usko dhaka diya 
Aakash- abe bhosri ke samjh me nhi aata tere dimag me baat..

Behes behas me Aakash aur Rudra me ladayi hone lagi, jahir si baat h College ke bache lag bhag jaa chuke the aur rudra thera mla ka beta do teen chamche uske support me aa gaye the, aur sab mill kar Aakash pe bhari padne lage the

Yashmin ladayi chudwane ke liye bich me gayi, wo kosis kr rahi thi Shreya aur riya bhi aa gaye, tabhi yashmin ki najar gaadi se utarte hath me phoolo ka guljasta liye yash pe padi, tab tak rudra ka hath yashmin pe laga wo ladkhara kar ek lamp poll se tarkra gayi, yash ke hath se phool gir gaye aur bhagta huwa yashmin ke pass pahucha, yashmin ke sir se halka sa khoon nikalne laga tha, yash wahi baith kar yashmin ko uthaya uske sir se khoon ko hath se saaf kr raha tha, yashmin jab yash ko dekhi to uske aakho se aashu nikal rahe the, Hoga bhi kyu nhi jis angle ko aach tak nhi lagne de sakta tha yash aaj uske sir se khoon nikla tha, tab tak shreya aur riya bhi aa gaye the, Yash kuch bola nhi par yashmin ne uski aakho me dekh liya
Shreya to riya- ye gaya ab,
 wo utha aur rudra ko maarne laga uske chamche to ek do hath lagne se hi side ho gaye the, yash rudra ko maare jaa raha tha usse mouka hi nhi milla ki wo yash pe hath utha sake, yash ki aakho se aashu nikal rahe the, aur uske hath rudra pe pad rahe the, 
Yash- tu janta h tune kiski chuwa hai, meri angle ko, aaj tu nhi bachega..
Yash ne itna maara tha usse ki wo ab uthe ke layak nhi tha, Aakash yash ko rok raha tha par usse dhaka de deta aur phir rudra ko maarne lagta, 
Yash pass se ek rod utha ta hai aur uske hath pe maar deta hai jiski umeed kisi ko nhi thi, yash uske sir pe maarne hi wala tha ki yashmin aa kar uske gaale lag jaati h aur bolti hai..
Yashmin- please betu chor do iss mar jayega ye..
Yash gusse me tha wo yashmin ko hatata hai aur bola- mar jayega to mar jaane do isse angle isski itni himat tumpe hath uthayega.. aur wo phir maarne ko huwa..
Yashmin- meri kasam yash please chor do usse..
Yash ko aur gussa aa gaya par wo rod chor diya yashmin phir se gale laga kar rone lagi, yash bhi ro raha tha.. 
Dono ka pyar dekh kar rudra soch me pad gaya kya aisa bhi pyar hota hai?
Rudra ke chamche aaye aur rudra ko uthaya
Rudra- tune bahot badi galti kr di h mujh pe hath utha kar. Tu janta h mera baab kon hai
Yash ne uska collar pakda aur bola
Yash-  tere baab ko to main nhi jaanta par tu ja apne baab se mere baab ke baare me poochna wo tujhe batayenge ki mera baab kon h naam hai unka Vikram Singh.
[+] 2 users Like rrdon's post
Like Reply
#15

Hello friends update post kar diya hu aap log pado aur please aap log batawo ki story kaisi lagi aap logo ko, ye story xossip pe incomplete thi to is story ko yaha complete karunga, please reply kiya karo dosto acha lagta hai.
[+] 1 user Likes rrdon's post
Like Reply




Users browsing this thread: 1 Guest(s)