Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Thriller THE TRIP
#1
Hi friends kaise ho aap log????? 

Main bahut dino se iss story par kaam kar raha tha, haan haan main janta hu ki meri ek aur story already chal rahi hai but don't worry uss story ke updates bhi aapko time to time milte rahenge. Main iss new story ka 1st update dene ja raha hu, friends agar koi mistake ho jaye to aap zarur bataiyega aur agar story mein interest nahi aaye to vo bhi bataiyega. To chaliye friends aapko zyada bore na karte hue new story ka 1st update aapke saamne pesh karta hu.

Thank You
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#2
                                                    THE TRIP

EPISODE – 1

Kisi ne sahi kaha hai “Reality is beyond imagination”(vastavikta kalpana se pare hai). Yah kahani jo main aapko batane ja raha hu vah itni ajeeb hai ki yeh aapko duvidha ke sath sath aapke raunghte khade kar degi kyoki yeh kahani bilkul bhi juthi ya kalpanik nahi hai. Yahan tak ki main ise sach kehne se bhi darta hu. Kyoki iss kahani ke characters ne jo experience kiya hai vah itna darawna hai uski aap kalpana bhi nahi kar sakte.

STORY BEGINS

Raat ka samay tha 4 dost ek room mein bethe hai. Room mein ek chhota sa bulb jal raha tha jiski halki roshni mein chaaron dost bethe baatein kar rahe the

Girl1 :- dosto, hum horror films kyo dekhte rehte hai??? Mujhe bure sapne aate hai
Boy1 :- arre Nisha !! Bhoot asli mein nahi hote hai. Tum kisi aisi chiz par bure sapne kaise dekh sakti ho jo maujud hi nahi hai ??? Alisha ko dekho badhti make-up ke price par use bure sapne aate hai
Alisha :- ohh chup raho Rohan !!! main itna bhi make-up nahi karti !!!    
Rohan :- haan haan hahahaha
Nisha :- lekin sach batao dosto, kya tum log sach bhooton se bilkul bhi nahi darte???
Boy2 :- nahi !! sach kahu to mujhe kuch samay ke liye bhootiya jagah par jaane ki ichha hai
Rohan :- yeah it’s a good idea, holidays bhi aa rahi hai. Hey kyo na hum aas-pass mein kisi “Haunted Place” par ghumne chale??? Ankit ke pass to ab car bhi hai.
Rohan ne apni baat khatm hi ki thi ki tabhi door-bell ki awaz se sabka dhyan darwaze ki taraf gaya
Rohan(khush hote hue) :- ohh lagta hai humara pizza aa gaya

Ankit darwaze ki taraf jata hai

Nisha :- hum kisi bhi “Haunted Place” par nahi ja rahe hain OK.
Rohan :- Nisha, please !!! tumko nahi lagta poore hafte office ka kaam karne ke baad 2 din kahin ghumne jana chahiye ???
Ankit pizza delivery boy se pizza leta hai
Ankit :- kitna hua ???
Pizza Delivery Boy :- Rs1200/- sir

Teeno dost apni baatein chalu hi rakhte hai

Nisha :- haan par koi “Haunted Place” par nahi
Rohan :- darpok mat bano Nisha kam se kam bahadur hone ka dikhawa to karo
Nisha :- thik hai !! yahan tak ki agar main bahadur hone ka natak bhi karti hoon, to Pune ke aas-pass ko bhi “Haunted Place” nahi hai. So, vahan jana cancel. Problem solve hahahahaha
Pizza Delivery Boy :- ma’am, kya aapne “Akkalkot” mein “Haunted Temple” ke baare mein suna hai??? 
Yahan se bas 5hours ka rasta hai

Nisha :- bhaiya !!! aap please mere friends ko faltu ki jankari mat dijiye. Ankit, please use jaldi se paise do

Ankit ne uss pizza delivery boy ko uske paise diye aur main-door band kar ke sabka pass aa gaya. Ankit ne pizza boxes ko saamne rakhe table par rakh diya aur sab pizza ko khane lage.

Fir Alisha pizza khate khate uthi aur apna laptop open kar ke uss par kuchh karne lagi aur achanak bol uthi jisse sabhi uski taraf dekhne lage

Alisha :- that guy is right. Iss mandir ko mention karte hue ek blog hai ki “yahan unn logon ko laate hain jinke sharir se bhoot bhagaane ho”. Hmmm lekin yah ek haunted place to nahi dikhti !!!
Nisha :- Alisha tum bhi inn logon mein shamil ho gayi???
Ankit :- lekin bhai, Sunday ko mera cricket match hai !!!!
Rohan :- pizza wale ne kaha na ki its only 5 hours away. Hum turant nikal sakte hai. Hum subah tak vahan pahuch jayenge, jaldi se jagah ghumenge aur kal raat tak vapas aa jayenge.
Ankit :- haan, ye sahi rahega

Sabhi doston ne Nisha ki icchha ke viruddh jaane ka faisla kiya aur sab Ankit ki car mein beth kar nikal pade

Nisha :- I sometimes wonder ki mene tum logon se dosti hi kyo ki
Alisha :- hahahaha
Ankit :- Nisha don’t worry. Bhoot jaisa kuchh nahi hota, we will come just by taking a long journey. Lekin journey start karne se pehle hume iss long drive ke liye car mein petrol bharwane ke liye pehle ek petrol-pump par rukna padega.

Sabhi Pune-Satara Highway se thik pehle ek petrol-pump par ruke aur car se bahar aa kar aapas mein baatein karne lage

Nisha :- bhale hi hum haunted part ko chhod bhi dein Rohan, to yaad rakhein ki Ankit ka Sunday ko cricket match hai. Agar hum real mein itni lambi drive par jate hain, to thak jayenge aur Ankit acchi performance nahi de payega
Alisha :- Nisha na jaane ke liye kitne pyare tarike se bahane bana rahi hai
Ankit :- hahahaha
Lekin jaise hi vo log petrol-pump se nikle unhein raste mein 2 pujari(priest) dikhe
Pujari :- lift, please !!!!
Ankit :- ohhh lagta hai ki unn pujariyo ko lift ki zarurat hai. Kya mujhe rukna chahiye???
Rohan :- haan, bahut andhera hai. Unn logon lo lambe samay tak iss andhere mein chalna padega. Chalo unhein lift de dete hai
Alisha :- thik hai
Ankit ne apni car unn dono pujariyo ke pass rok di aur unhein ander bethne ke liye kaha aur dono pujariyo ne unka dhanyawad dete hue car mein beth gaye
Pujari1 :- to aap log kahan ja rahe hain??
Nisha :- “Akkalkot”
Pujari2 :- acha hai. Fir hume ussi disha mein 1km aage chhod dijiye
Pujari1 :- kyoki aapne hume zarurat padne par lift di hai, isliye hum aapko kuch uphaar dena chahenge. Iss locket ko apne pass rakhein aur sath hi, humari taraf se ek updesh – “jivan baadhao se bhara hai, kisi ko bhi ek rasta nahi chhodna chahiye, sirf isliye ki vah baadhao se bhara hai”

Thodi der baad pujariyo ne car rokne ke liye kaha aur dono pujari car se bahar utar gaye


Pujari1 :- dhanyawad !! bhagwan aap sabki raksha kare.
Unhone dono pujariyo ko vahi chhod diya aur ve sabhi apni masti mein aage badh gaye.    
 


















To be continued……
[+] 1 user Likes Sahil Spider's post
Like Reply




Users browsing this thread: 1 Guest(s)