Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Non-erotic Ataubaq --- pinuram
#1
Ataubaq


pinuram

“Mumin mere paisa chin liya?” Ataubaq yeh soochte huye apni jal le kar nadi ki taraf badh raha thaa.
Saber ke char baaj rahee thee. Woh mangalwar ka din tha. Usee us din agar koi bhi maachli nehin miltii to apni aammii k liye dawai nehin kahrid payega woh. Usee us maachli, paas walen gaon ke hat mein beech kaar paisa kamana tha. Ataubaq ek chaure chatii, hataa katta naujawan. Sunderban k ek chote se gaon mein rehne wala ek chowbish saal ka ladka.
Usnee nadi ke kinare aa kaar, apnee lungi ko kamar se kash liya aur puree taqat laga ke apnii jaal ko nadi mein feka.
“jhapang” ek jor se awaz ayi.. jaal pheke ne ki.
“Kuch der to baith na hi padega abhi” Yeh sooch ke Ataubaq ne ek bidi jalaya aur nadi k kinare baith gaya.
Ganga apnii dhun mein mast thii. Sunderban k iss taraf kharee pani ke liye jamin utnii upjao nehin thii. Saal mein ek hi baar fasal hoti thi. Ataubaq kabhi maachli pakadta thaa, aur din mein woh van-rickshaw mein sawari le jata tha.
Usnee bidi pitee pitee soochne laga apni zindegi ke baree mein.
“Yeh aabbu bhi na, ek doosri aurat k chakkar mein mere aammii ko chodkar paas k gaon mein chala gaya aur kabhi mud kar bhi nein dekha. Aur woh Aatirah, kya kamsin jawani hai uss ladki ki. Paar woh ek buddhe ke saath raat bitata..”
Ataubaq ke aabbu chaudah saal phele ek doosri aurat se nikah kaar ke paas wale gaon me chala gaya thaa. Us din k baad kabhi mudh kar bhi nehin dekha jo yeh ma-beta kaise apnee din guzaar rahen hai.
Karim miyan, jiska ek daru ka theka hai bazaar ke ek kone mein. Woh budhha gor mein ek kadam de ke din guzar raha hai paar uski kamsin chauthi biwi Aatirah saree bazaar mein nayan matakka kaartee rehtii haii. Karim ko yeh saree baat pata haii, aur usee yeh bhi pata haii jo uske daru ka dukan Aatirah ke liye hi chalta haii. Log Aatirah ko dekhne ate hain, uske muskan, kamsin jawani.. yehi dekh ke too saab bewre tut paartee hain karim k daru vatti mein.
Usse phele wale raat ko, Karim Miyan k dukan mein Mumin se jharap hua aur uska paise ka thaili kahin gir gaya.
Ataubaq jab bhi cholai pinee jata tha Karim ke dukan mein, woh teerchi nazar se Aatirah ko ghurtee rehta tha. Aatirah ko yeh baat malum thii aur woh bhi kabhi kabhi daru dene k bahane Ataubaq k paas atii thii. Madhbhari ek muskaan detii thi aur pith pe haath rakh kaar chali jatii thi.
Woh soochne laga “uuff woow kaatil jawani. Sari pehngii bhii to nayii ke chaar inch nichye aur ghutnee see baas thoda nichyee aa kaar sari khatam. Kya tangyee haii uss maachli ki, uss ki pet mein ek baar bhi bachaa nehin aaya.. too kitnii jawani ki aag bharii hogi uskee jaangho ke beech mein.. “
yehi saab soochte soochtee samay biitaa gaya.. aur taabhi door see fajar padh ne ka azaan sunayii diya use.
Usnee apnii bidi ko feka aur apnee van-rickshaw ke taraaf chaal pada. Van mein uska daree thii jo bichaa ke use ,,., addah karna thaa.
Nadii ke kinaree daree bicha kaar, usnee masjid ke taraf apnaa muuh kiya aur ,,., adaah kaarne baith gaya.

Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#2
Kuchii paal bitaa tha, kuch hi door see kutee bhauknee ki awaz sunayii diya.. phele ek, phir do, phir chaar…
Kya Karen, kya Karen… ,.'t,.' ko ,,., bhi adaah kaarna thaa aur udhaar kutee bhi bhauk rahee the.. usnee mudh kaar kutee ke taraf dekha… kinaree mein kuch pada hua tha aur ganga ke pani k chotii chotii leher mein uss cheez kabhi agyee kabhi pichyee ja rahii thii.
Piichle chaudah saal mein pehlii baar Ataubaq ne ,,., ko beech mein chod kaar dekhne uthaa.. kyon ki use laga ki wahan pe koi sarir pada hua thaa.
Daud ke usnee niche utraa aur nadi k kinaree ja kaar usnee jo dekha, uskee too hosh hi udh gayen.
Ek nor, jaanat ki hoor, pani see nikal k kinare mein padii huii thi. “Jinda bhi haii ya nehin” yehi sooch k woh us ladki k paas gaya aur jhuk kar samajhne ki koshish ki.
Ek sundar si gori ladki, behos padi huii thi. Aadha sarir pani k andaar aur adha bahar. Kapde se pata chalta haii ki who ladki us gaon ki kya, us sundarban ilakee ki nehin thii. “Kahan ki ho saakti haii who ladki? Jinda bhi haii ya nein.”

Uskii ghane baal, chitaar bitaar thii.. gori gori gaal mein noochne ki nishan.. bhingee kapdee uskii kamsin badan mein liptee huyee the. Ataubaq ke nazar uss behosh ladki ke sine eke taraf gaya, aur dil mein ek hulchal maach gaya.
“Paar yeh ladki ho kaun sakti haii?”
Ataubaq ne aur jookh kaar uss ladki ke paas aya aur shine mein apna kaan laga kaar dil ke dhadkan ko sunee ki koshish ki.
“aree yeh too jinda haii..”
Usnee daud ke apnaa ,,., ki daree ko le kaar aya aur us ladki ko uss daree mein lipta liya.
Unsee apnii jaal ko bhi pani see nikaal liya “kya taqdeer haii. Aaj bhi ek bhi maachli nehin mili.”
Apnee kandhyee pe laad k usnee us behosh ladki ko van mein sula kaar, apnee ghar ke taraf nikaal pada.
Van chalate chalate who sooch ne laga “kahan le kaar jaun iss ladki ko? Aammee kya kahegi? Paar yeh sundar sii ladki kaisee ayii yeh ganga kinaree…. “
Van ko apnee ghar k samne raktee huee usnee apnee Aammee jaan ko awaz diya.
“Aree Aammee, jaldii aoo.. “
Rokeya begam daud te huye ayii aur usne dekhi ki van k upaar ek behosh ladki ki sarir daree se liptii huyii thi.
“Kaun haii yeh? Kahan see uthaa ke laya isee?” rokeya begam ne ataubaq se poochii.
---“Aammii nadi ke kinare is behosh ladki mila.. jinda haii aammii.. kuch too karoo nehin too becharii maar jayegi.”
---“Ghar ke andaar le kaar aa, aur daud ke ja Anisur ke paas.. dekh koi dawai deta haii ki nehin”
Ataubaq uss ladki ko kisi tarah ghar ke andar le kaar aya aur aammii k bistaar pe leita diya.
Rokeya begum daud k eek sukha kapda le kaar ayii aur ataubaq ko ghar se nikal ne ki liye kaha.
Ataubaq bhi Hakim Anisur ke ghar k taraf chaal pada.
Anisur ko le kaar jab who ghar paucha too, who ladki ko dekha… apnee badi badi ankhoo see charoo aur dekh rahii thii.. rokeya begum uskee paas baith ke uskii ghawo mein chuna aur haldi laga rahii thii.

Like Reply
#3
Hakim Anisur ne ladki ko dekha aur poocha---“Kahan see ayii ho? Kya hua thaa tumharee saath?”
Ladki ne kuch bhi awaz nehin ki, who ladki ek baar Ataubaq ke taraf aur ek baar Rokeya begum ke taraf dekh rahi thii.
Rokeya begum ne boli---“Iss bachii ko jyada kuch nehin huaa, sahi salamat haii bachii. Mein ne dekhii haii. jo mujhyee daar thaa waisaa kuch bhi nehin huaa iskee saath. ,.'t,.' ki sukaar haii ki ladki jinda haii. Tu abhi kuch dawai too de kaar ja is ke ghaoo bhar ne k liye. Dhire dhiree saab kuch bolegii ..”
Anisur ne kuch dawai di ya aur chala gaya.
Ataubaq uss ladki ko dekhne laga, who ladki uskii aammii jaan ki ek sari pehnii huii thii.. kaamez nehin thii uskee sinee mein.. kisi tarah who ladki apnii jawani ko sari se dakh kaar baithi huyii thi. shine ke taraf nazar gaya too Aataubaq ne apna saar doosii taraf kaar liya.
Rokeya ne Ataubaq ko boli---“Aaj bhi maachli nehin mila? Aaj ka haat mein kya bechega tu? Ja van chala aur kuch too paisa le kaar aa.”
Usnee apna ganjee pehna aur van le kaar nikal pada.
Sara din van chala kar kuch paisee mile. Uss din woh karim miyan ki dukan paar nehin gaya aur sham hotee hi seedha ghar ke taraf chaal pada… rastee mein usee Aatirah mili.
---“Kya ree aaj dukan pe nehin ayega?”
Ataubaq ne van ko roka nehin.. paar Aatirah ne van k saamne kadhi ho gayi aur van ka handle pakad liya.
---“Sunee mein aya ki tere ghar pe ek ladki ayii huii hai? Kyon haii sali?”
“Mera raasta chod” Ataubaq ne apnee gusee wale awaz mein bola.
“Kyon? Rooj rooj too ghurte rehta haii.. aaj akele mein mila too do chaar baten bhi neihin karega?” Aatirah aapni teerchii nazar aur appni hooth ko dantoo tale masaltii huii Ataubaq ko boli.
---“Dekh mera saar dard kaar raha hai, mujhyee jane de.”
Aatirah apnee bahon ko Ataubaq ke gale mein daal dii aur boli---“Saar mein ya dil mein?”
Kisi tarah Ataubaq uss chinal ki pichaa chura kaar aapne ghar ke taraf nikal pada.
Uskee ghar mein bijli nehin thii, ghar ke roshan daan jaal rahee thyee. Uss dhimi roshandan ke ujalee mein use ghar mein na apna aammii ko dekha na uss lakdi ko.

Dil ke andar ek anzan sa khali paan mehsus hua “kya yeh ladki chalii gayi?”
Usnee apnee aammii jaan ko awaz lagaya---“Kahan maar gaye saab…”
Rokeya ghar ke pichee thii… Ataubaq ke awaz sun kaar chilaa uthii---“Kya hua? Tu aa gaya? Baith bahar.. bachii ghar ke pichyee gayii haii… idhaar ana maat…”
Uskee ghar mein gosal khana nehin thaa, hoga bhi kaisee.. gaon mein saab, nadi mein hi nahate hain aur ghar ke pichyee wale jangal mein apna sauch kaartee hain.
Ataubaq ghar ke bahar baith kaar ek bidi aur jala liya.
Kuch der baad Rokeya begum pani aur bhuna hua chawal le kaar ke thali mein Ataubaq ke paas ayii aur uskee samnee rakh kar boli
---“Yeh nadan si lakdi kuch bol nehin patii, bejuban haii becharii. bahut darii huyii sehmi huii haii. Saar mein choot hain. ankhyee kuch bolne ki koshish kartii haii paar juban se becharii ki kuch awaz nehin nikal pa rahi hai..”
Ataubaq ne asman mein us chaand ko dekha aur kuch bhi nehin bola. Chup chap woh bhuna hua chawal khane laga.
Soochne laga---“yeh nor, kahan see ayii? Kya hua hoga iskee saath?”
Rokeya begum ne use boli ki---“Tujhyee aaj see bahar sona padega.”
Usnee apna khatiya verandah mein bicha liya aur baith kaar ghar ke adnaar jhaank kaar dekha.
Woh ladki Rokeya begum ki ek sari pehni huii thii. Phenne ke dhang se pata chala ki who phele kabhi sari nehin pehni thii. Kiti umaar hogi uss ladki ki? Yeh koi unees ya bees.
Who ladki Rokeya begum ke paas chup chap baith kaar, chuleh ke aag ke taraf dekh rahii thi. Gunguna aag mein uss sundar sii ladki ki chere ek dard bhari jal-pari ki tarah lag raha tha.
Raat ko jab Rokeya , Ataubaq ko chawal khane ke liye diya too woh dekha uss ladki ke taraf. Woh ladki Ataubaq ko dekh kaar peheli baar muskuraii.
Ataubaq apna haath mooh taak lana bhul gaya, aur muskan mein kho gaya.
Like Reply
#4
Kisi tarah usnee chawal khatam kiya aur bahar chala gaya.
Dhire dhire, charoo aur andhre chanee lagye.. eke k kaar ke charo aur roshandan bujhne lagyee.
Ataubaq bahut der taak so nehin paya, uskee ankhon ke samne uss darii huii ladki ki dard bhari mithi muskan bahut kuch bayan kar rahii thi.
Raat gehra hota chala gaya, Ataubaq ne apna hansiya uthaya aur jangal ke taraf chaal pada.
Ek lamba sa nariyel ke pedh par chada aur kuch sakha kaat liya. Usnee jangal see aur bhi kuch patiiyan laya aur ghar ke pichyee usnee raat bhaar mein ek gosal khana taiyaar kiya.
Sawera hone wala tha.. Rokeya begum ki neend kuch awaz see tuti aur woh ghar ke pichee aa kaar dekhi jo Ataubaq ek gosalkhana taiyar kaar raha tha.
Rokeya begum kuch nehin boli.. balti mein pani rakha hua tha, usmein aapne haath mooh dhoo kaar usne ghar ke andar chali gayi aur fajar aada kaarne baith gayi.
Gosal khana khatam kaar ke Ataubaq soocha---“aaj too samay chala gaya. Kaal see jaal le kaar nadi jana padega.”
Dhire dhire din bitee gayen.
Ataubaq ke haar sawera machlii bharii jaal uthanee mein beet jata. Uss diin ke baad see mano ganaga Ataubaq ke upar aapni jholii faila dii thi.
Woh bejuban ladki chal phir ne lagi. Jab bhi Aataubaq ghar lautha tha too who ladki verandah mein kadhi rehtii thi..
Ataubaq kuch nehin poochta thaa.. chup chap ek halki muskan de kaar ghar ke andar chala jata apnee kapde badal ne.
Kabhi kabar who sham ko karim miyan ke daru ke dukan mein chala jata aur deer raat ghar laut tha thaa.
Aatirah ko yeh baat chubh ne lagi, Ataubaq uss mangalwar ke baad use aur nehin dekhta thaa..
Phele too kaam se kaam paanch chyee gilas daru gale mein daal deta thaa paar us diin k baad Ataubaq ek gilas pine mein hi poraa sham gujar deta tha.
Ataubaq ek din uss bejuban ladki ke liye ek kameez laya, kyon ki uskee aammii ke jyada taar kameez fate huee thye.
Ataubaq ko kameez lata hua dekh kaar woh ladki khud ek din sham ko use pani dene chalii ayii.
Panii ke gilas lete wakt, Ataubaq ke unglii uss sundar ladki ke komal haath ko chuaa. Ataubaq ke chere ko laal hote dekh kaar woh ladki khil khil kaar haans padi.
Aur ladki daud ke ghar ke andar chalii gayii. Ataubaq kuch der taak wahin bahar khada raha aur pani ke gilas ko hoonth taak lana bhul gaya.

Rokeya aur woh ladki, aur nadi mein nehin jatii thii, woh too ghar k peechye walee gosal khanee mein hi apna gosal kartii thi.
Ek haftee beet gayen.. uss din bhi Ataubaq ke jaal mein bahut saree machli ayii. Ataubaq bahut khush tha ki uss diin use achaa paisa milega.
Ek safed kurta aur ek neela lungi pehen kaar kandhyee mein keffiyah baandha woh. Saree maachli le kaar tookri ko van mein rakh kaar woh paas wale gaon ke haat mein beechen chala gaya.
Ramadan ka mahina aane wala tha aur uss baar who aammii ke liye kuch kharid na bhi chahta thaa..
Kafi kush tha who, uss din. use bahut saree paisee mile. Usnee soocha ki uss ladki ke liye bhi kuch kharid liya jaye.

Like Reply
#5
Ataubaq ne ek harii rang ki saree kharida aapne aammii jaan ke liye aur ek sundar pili aur laal saree kharida uss ladki ke liye. Usnee uss ladki ke liye kuch kaanch ke churiyan bhi kharida. Haree rang aur gulabi raang ke. Do patee bindi bhi kharida woh.
Uskee dil mein hulchal maach raha tha. Kaisee dega woh yeh sare saman us ladki ko? Kya bateen karega usee?
Woh soochne laga ki jaab woh ladki use pani dene ayegi too woh sari uskee haath mein dega. Saree pehen ke jaab woh ladki bahar ayegii tooh woh aapne haathon see uske gori gori kalayion mein kaanch ke churiyan pehna dega aur kali bhow ke beech mein woh aapne haatho see bindi chipka dega.. woh uss gori kalayion ko nehin chodna chahta tha..
Yeh saree sooch hue jab ghar ke samnee pahuncha too dekha ki ghar ke saamne kafii sare loog jame huye thee.. ek safed badi gaddi bhi kahdi thii.
Jaisa taisa kaar ke Ataubaq, van se uutra aur ghar ke aangan mein ghusa.
Rokeya begum verandah mein khadi uss ladki ko aansu bharee aankoh see dekh rahii thi.
Ek ladka uss ladki ko lene aya tha. Uss ladke ko dekh kaar Ataubaq aangan mein pathaar ki murtii ki tarah Khada reh gaya.
Uss ladkee ne uss bejuban ladki ki kalayii pakad kaar gadi ke taraf le kaar ja raha tha.
Uss ladki ke aankon mein anssoo ke boond thee.. jo tapak tapak kaar uskee angan ke mitii ko bhingo rahii thii.
Ataubaq ke haath ka potli haath mein hi rehe gaya.. woh hiil bhi nehin paya.
Gadi mein chad ne see phele uss ladki ne ek baar Ataubaq ke taraaf mudi aur Ataubaq ke haath see who potli gir gaya.
Hari aur gulabi kaanch ki churiyan bikhar gaya mitii ke aangan mein. Kuch tuut gayen aur kuch ludak kaar uss ladki ke kadmo tale chala gaye.
Woh ladki kaanch ki churiyan dekh kaar Ataubaq ke taraaf dekhi aur uskii gori gori gaal gulabi ho gayi.. uskee laal laal hoonth kaanp ne lagee.. dono badi badi aankhe aansoo see bhar uthyee..
Who ladki ne jhuki aur ek gulabi churi uthaa li aur Ataubaq ki taraf dekh kaar kuch bolnee ki koshish ki…
Hoonth too hilee paar awaz nehin ayii… dard see bharii ankhoo bahut kuch kehna chaah rahii thii..
Charoo aur logon ke batoon ke awaz aa rahee thyee paar ek bhi awaz Ataubaq ke kaan taak nehin pahunch raha thaa…
Woh ladki ke taraf aapne haath bada ne koshish kiya…
“Aaaa…. “ kuch awaz nikla uss bejuban ladki ke hoontoo see “AAA TTTTTAAAAA…..”
Ataubaq ne apnee keffiyah ko aapne kandho mein bandha aur sundervan ka sher dahar uthaa
---“Yeh Shaab uss ladki ke haath chod do.”
Charoo aur jo, logon ki gunjan aa raha thaa.. ek hi awaz mein shant ho gaya.
Phir see dahar ayii---“Choor uskee haath ko. Nehin too tera saar kalam kaar doonga. woh mera biwi Aaeedah haii.”
Saab see phele uss vhir see Karim miyan agyee aya aur gadi k samne khada ho gaya.
Ek ek kaar k Hakim Anisur, Altaaf, Hamid … Ataubaq ke pichee kadhe ho gayen..
Bhir ke andar, kahin see Aatirah agee ayii aur boli---“Yeh ladke, Aaeedah ki haath chod nehin too hensuye see ….”
Woh ladka charoo aur dekha aur uss bejuban ladki kii kalayi chod diya.
Woh ladki daud ke Ataubaq ke sine see lipat gayii…

Aur uss din see who bejuban, pani se nikla hua noor, Ataubaq ki Aaeedah baan gayii.
Like Reply




Users browsing this thread: 2 Guest(s)