Thread Rating:
  • 4 Vote(s) - 2 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HAWAS AUR BADLA
#1
Hello friends
Main ek story start karna ha raha hu.Jo kisi aur site se hai usko main yaha post kar raha hu
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#2
Doston is kahani ka Sara shrey original writer ko jata hai.writer Devil The King
Main bas kahani ko yaha post karunga.
Please read and enjoy
Give feed back
Ager kisi ko koi bhi problem ho toh abhi jata de.baad me much bhi nahi sununga.
Like Reply
#3
Sab kehte hai jiske mata pita hote hai woh sabse khushnaseeb insaan hota hai. Par kuch mata pita aise bhi hote hai jinko apne bachho se jyaada khud ki kismat jyaada pyaari hoti hai. Phir chahe bachhe jiye ya mare unko koi fark nhi padhta.​

Yeh kahani bhi bilkul aise hi ek bachhe ki hai. Jisko bachpan se hi maa baap ka pyaar nhi mila. Maa bachpan mein hi chorke chali gayi aur baap ko toh usse koi matlab hi nhi tha
Like Reply
#4
Introduction​
Sameer Sharma- Yeh kahani ka main lead hai. Isko bachpan se hi maa baap inka pyaar nhi mila. Iska dimaag baakiyon ke mukable strong tha but dikhata nhi thaa. Choti age mein hi yeh bahot mature hogya tha.​

Rajesh Sharma- Yeh Sameer ka baap hai. Ek number ka gira hua ghatiya insaan. Isko sirf paiso se matlab hai. Naa jaane kitno ke saath jabardasti karchuka hai. Isne shaadi bhi paiso ke liye hi ki thi. ​

Sangeeta Sharma- Yeh Sameer ki maa hai. Yeh achhi aurat hai. But bachpan mein yeh Sameer ko iske baap ke paas chorke chali gayi thi. Jiske liye yeh aaj bhi apne aap ko koshti hai. Kyoki iska beta isse ab koi bhi rishta nhi rakhta hai. Infact isko maa bolke maanta hi nhi hai. ​

Ranjit Sharma- Yeh Sameer ke dadaji hai. Ab duniya mein nhi rahe. Inhone hi Sameer ko pala hai aisa bol sakte hai. Kyoki maa toh chorke chali gayi. Baap ko toh koi parwah hai nhi. Inke paas bahot property hai. But thodi property secret bhi hai jiske baare mein kisi ko nhi pata sirf iske ek dost ke bete ko pata hai jisko isne apna beta maana hai

Reshma Sharma- Yeh Sameer ki sauteli maa hai. Sangeeta ke chale jaane ke baad Rajesh ne isse shaadi karli. Yeh Rajesh ki company mein hi uski secretary thi. Ek number ki characterless aurat aur paiso ki bhookhi. Isko bhi Sameer se koi matlab nhi hai. ​

Neha Sharma- Yeh Sameer ki badi behen. Rajesh aur Sangeeta ki badi beti. Yeh apne maa baap jaisi nhi hai. Isko pata hai iska ek bhai hai jo apne baap ke saath rehta hai. Sangeeta ne isko bola hai iske pita unke saath nhi rehna chahte isiliye woh alag rehte hai. Yeh apne baap se toh pyaar nhi karti infact kisi bhi tarah ka rishta nhi rakhna chahti but apne bhai se bahot pyaar karti hai. Bhale hi bachpan se alag rahe ho but kabhi bhi pyaar mein koi kami nhi aane di. Aur school mein yeh humesha milte thee. ​

Riya Sharma- Yeh Rajesh aur Reshma ki beti hai. Apne maa baap se bilkul alag. Yeh apne dadaji ke saath thi isiliye apne baap ke tarah nhi ho paayi. Yeh bhi Sameer se pyaar karti hai par dikha nhi paati apne maa baap ke darr ki wajah se.
Like Reply
#5
Introduction​
Sameer Sharma- Yeh kahani ka main lead hai. Isko bachpan se hi maa baap inka pyaar nhi mila. Iska dimaag baakiyon ke mukable strong tha but dikhata nhi thaa. Choti age mein hi yeh bahot mature hogya tha.​

Rajesh Sharma- Yeh Sameer ka baap hai. Ek number ka gira hua ghatiya insaan. Isko sirf paiso se matlab hai. Naa jaane kitno ke saath jabardasti karchuka hai. Isne shaadi bhi paiso ke liye hi ki thi. ​

Sangeeta Sharma- Yeh Sameer ki maa hai. Yeh achhi aurat hai. But bachpan mein yeh Sameer ko iske baap ke paas chorke chali gayi thi. Jiske liye yeh aaj bhi apne aap ko koshti hai. Kyoki iska beta isse ab koi bhi rishta nhi rakhta hai. Infact isko maa bolke maanta hi nhi hai. ​

Ranjit Sharma- Yeh Sameer ke dadaji hai. Ab duniya mein nhi rahe. Inhone hi Sameer ko pala hai aisa bol sakte hai. Kyoki maa toh chorke chali gayi. Baap ko toh koi parwah hai nhi. Inke paas bahot property hai. But thodi property secret bhi hai jiske baare mein kisi ko nhi pata sirf iske ek dost ke bete ko pata hai jisko isne apna beta maana hai. ​

Reshma Sharma- Yeh Sameer ki sauteli maa hai. Sangeeta ke chale jaane ke baad Rajesh ne isse shaadi karli. Yeh Rajesh ki company mein hi uski secretary thi. Ek number ki characterless aurat aur paiso ki bhookhi. Isko bhi Sameer se koi matlab nhi hai. ​

Neha Sharma- Yeh Sameer ki badi behen. Rajesh aur Sangeeta ki badi beti. Yeh apne maa baap jaisi nhi hai. Isko pata hai iska ek bhai hai jo apne baap ke saath rehta hai. Sangeeta ne isko bola hai iske pita unke saath nhi rehna chahte isiliye woh alag rehte hai. Yeh apne baap se toh pyaar nhi karti infact kisi bhi tarah ka rishta nhi rakhna chahti but apne bhai se bahot pyaar karti hai. Bhale hi bachpan se alag rahe ho but kabhi bhi pyaar mein koi kami nhi aane di. Aur school mein yeh humesha milte thee. ​

Riya Sharma- Yeh Rajesh aur Reshma ki beti hai. Apne maa baap se bilkul alag. Yeh apne dadaji ke saath thi isiliye apne baap ke tarah nhi ho paayi. Yeh bhi Sameer se pyaar karti hai par dikha nhi paati apne maa baap ke darr ki wajah se.
Like Reply
#6
Update 1​
Ranjit apne time ka ek successfull businessman tha. Paiso ki kabhi koi kami nhi aayi. Ek khushmizaaz insaan the. Yeh apne bete ki buri aadato se humesha pareshan rehte. Unko laga agar zimedaari milegi toh thik hojayegaa isiliye unhone apne dost ki beti se iski shaadi karwa di.

Rajesh ek number ka aiyaas kisam ka insaan hai. Isko humesha se sirf paise aur ladkiyon ka nasha hai. Naa jaane kitni ladkiyon ki zindagi kharab kar chuka hai. Iska ek khash dost tha Abhay Singh. Dono saath mein har kaam karte. Par Rajesh ke paas Abhay se jyaada daulat thi jiske wajah se woh humesha Abhay ko nichha dikhata. Jab Abhay ki shaadi hogyi toh usne saare galat kaam band kardiye. Ab woh ek shareef insaan ban gaya hai. Isiliye Ranjit ko laga tha ke Rajesh bhi sudhar jaayega.

Sangeeta se shaadi ke baad usne pahle toh kuch naa kiya. Chup chup ke aiyaasi karta. Jiska pata Ranjit ko laga toh usne socha usne Sangeeta ki zindagi barbaad kardi.

Shaadi ke 1 saal baad Sangeeta maa ban gayi usne ek ladki ko janam diya Neha. Rajesh ko isse koi matlab naa tha.

Shaadi ke 1.5 saal baad Rajesh ne Sangeeta pe atyachaar start kardiya. Roj usko maarta,beizaat karta. Par Sangeeta ne kabhi kuch na kaha. Ek din Shraab ke nashe mein usne Sangeeta se jabardasti ki jisse uski aatma ko thes pahonch gayi. Par iske kaaran woh phir se maa ban gayi. Aur issbaar usne ek Ladke ko janam diya Sameer.

Ranjit ne jab Sameer ko dekha tab usse bahot khushi hui. Neha ko dekh kar bhi hui thi. Par Sameer ke aajane se uska vansh ab aage badhta. Idher Abhay aur uski biwi Ragini ko bhi ek beti hui Ritika.

Sangeeta jab bhi Sameer ko dekhti toh usko woh raat yaad aati jab Rajesh ne uske saath jabardasti ki thi. Isiliye woh Sameer ko uske saath hui jabardasti ki nishaani maanti thi. Sameer ke 1 saal hone ke baad Sangeeta ne Rajesh ko divorce de diya. Court ne 2 bachho ko divide kardiya. Jisse Neha Sangeeta ke paas aati aur Sameer Rajesh ke paas.

Sangeeta ko Sameer se koi matlab naa tha. Usko laga tha yeh bhi apne baap ki tarah hi hoga. Isiliye woh Neha ko leke apne ghar aagayi.

Ranjit bhi dukhi tha but ek khushi thi Sameer uske paas tha.

Rajesh ne divorce ke 2nd day hi Reshma se shaadi karli jiske saath yeh roj apni hawas mitata aur shaadi bhi hawas mitane ke liye hi ki thi. Reshma ne aate ke saath saath Sameer ko torcher karna start kardiya. Usko khaana nhi deti. Choti choti baat pe marti. Aur humesha apne kamre mein hi padi rehti.

Ranjit ne ek maid ka intezaam kiya jo Sameer ka khayal rakhti. Aur usne Abhay aur Ragini ko keh ke Ritika ko Sameer ke saath khelne ke liye bula liya. Ritika aur Sameer roj ek dusre ke ghar jaake khelte rehte.

Time aise hi nikalta gaya. Rajesh aur Reshma ki ek beti hui Riya. Rajesh bhi Sameer ko maarta rehta. Apna saara gussa bina wajah Sameer pe utarta.

Ek din Ranjit kisi kaam se bahar gaya tha jab woh wapas aaya tab dekha Sameer ke haath mein chott lagi hai aur khoon nikal raha hai aur woh ro raha hai. Ranjit ne Reshma ko bulaya jo apne kamre mein phone pe baate karrahi thi.

Ranjit- Kya tumhe sunayi nhi deta Sameer kabse ro raha hai. Aur usko chott lagi hai.

Reshma- Main apne kamre mein phone pe baate kar rahi thi shayad isiliye sunayi nhi diya. Aap tension naa lo main abhi dekhti hu.

Yeh bol Reshma Sameer ko room mein le gayi. Jaha usko dawaayi lagane ke bahane usko maarti aur uski chott pe daba deti. Jisse Sameer aur rone lagta. Yeh sab Ranjit chupke dekhta hai.

Ranjit- Mere jaane ke baad yeh haiwaan Sameer ko jaan se maar denge. Mujhe kuch karna hi hoga.

Usne apna phone nikala aur apne dost ke bete ko jisse usne apna beta maana hai usko call lagaya.

Thodi der mein woh ghar aata hai.

Ranjit- Ashok tumhe maine yaha ek jaruri kaam se bulaya hai.

Ashok- Kahiye na uncle kya kaam hai. Main woh kaam jarur pura karunga.

Ranjit- Tumhe meri jo yeh property hai usko Sameer ke naam karni hai. Aur woh secret property bhi. Kyoki ab Sameer hi mera badla le paayega. Rajesh se toh mujhe ab koi bhi umeed nhi hai. Kal agar mujhe kuch hogya toh yeh haiwaan uss bachhe ko maar denge.

Ashok- Thik hai uncle main kardunga.

Ranjit- Tum abhi uss secret property aur badle ke baare mein kisi ko kuch mat batana sahi time aane pe tum khud Sameer se milke usse sab batana aur abhi ke liye yeh property usko naam karo. Aur aisa rule banao ke agar kisi bhi tarah Sameer ko kuch hota hai toh saari property trust ke paas jayegi aur agar Sameer ne apni marzi se kisi ko diya toh alag baat hai.

Ashok: Thik hai uncle main dekh lunga.

Phir Ashok waha se chala jaata hai.
[+] 1 user Likes RAJ32's post
Like Reply
#7
Super nice bro
Like Reply
#8
(17-07-2021, 12:25 PM)Eswar P Wrote: Super nice bro

Thanks buddy
Like Reply
#9
Update 2​
Time nikalne lagta hai. Sameer aur Ritika ki dosti ekdum khash hogyi thi. Sameer Ritika se puche bina koi kaam nhi karta. Aur Ritika bhi Sameer ka pura khayal rakhti. Dono ek dusre ke bina ek pal nhi rehte. Ritika ko ek behen bhi hoti hai Ritu. ​

Ab yeh log high school mein the. Sameer aur Ritika ek hi school mein padhte jaha Sameer ka best friend bana Rishi wahi Ritika ki best friend bani Kajal. ​

Ekdin Sameer Ritika ke ghar se khel ke wapas aata hai toh dekhta hai uske dadaji ki tabiyat kharab hochuki hai. ​

Ranjit: Sameer meri ek baat manna. Maine tumhare naam yeh saari property kardi hai. Tum yeh kisi ke naam mat karna khash kar apne pita ke naam. Aur mere baad agar tumhe kahi bhi pyaar naa mile toh tum London chale jaana aur yaha kabhi bhi wapas mat aana jab tak bahot jaruri naa ho. ​

Sameer: Main aisa hi karunga dadaji.​
Rajesh yeh baat sunn leta hai ke uske baap ne saari daulat uske bete ke naam kardi hai. Toh uska gussa saatve aasman mein pahonch jaata hai. ​

Kuch din baad Ranjit ki death hojaati hai jisse Sameer puri tarah se akela hojaata hai. Ab bas Ritika aur Rishi hi the uske apne. ​

Rajesh ne Sameer ko property ke liye aur torcher karna start kardiya tha. Ab usko roj maarta. Reshma bhi yehi karti. Sameer ne sab bardaash kiya par property nhi di. ​

Ab yeh log class 9 mein the. Sameer toh ab Ritika ko pyaar karne laga tha aur yeh baat Rishi bhi jaanta isiliye usne Sameer ko propose kardene ko bola. ​

Sameer thoda nervous tha. Par usne himmat karke ekdin sabke saamne Ritika ko propose kardiya. ​

Ritika ne usse ek thappad maardiya. ​

Ritika: Tumhari himmat kaise hui mujhe propose karne ki. Tum jaise ek looser se main pyaar karungi yeh tumne socha bhi kaise. Tumhare saath thoda time spend karliya, ek dost samaj kiya toh tum iss harqat pe aagaye. ​

Ritika ki yeh saari baate Sameer ke dil mein chubb rahi thi. ​

Ritika: Aree jiski maa ne usko janam dete hi chorr diya. Jiska baao usko apna beta nhi maanta yaha tak ki jo dadaji ko pyaar karte woh bhi chale gaye aise insaan se main pyaar karu. Abhi ke abhi meri nazro se durr hojao. Isse pahle main kuch galat kardu. ​

Sameer ko uske parents aur dadaji wali baat hadd se jyaada buri lagi. Ab uska yaha pe rukhna bahot mushkil horaha tha. Isiliye woh waha se chala gaya. ​

Ritika ki aankhe bhi nam the. Par woh sab se chupa ke waha se chali jaati hai. ​
Rishi bhi wahi khada yeh sab dekh raha tha uski aankho mein bhi aansu the. ​

Sameer waha se sidha ghar aaya. Jaha uske saath ekbaar phir property ko leke torcher hua. Par issbaar usko yeh torcher ka aihsaas nhi horaha tha. Usko Ritika ki saari baate yaad aarahi thi. Phir usko apne dadaji ki baate yaad aati hai. Usne property ke papers liye aur sign kardiya aur bola mujhe yaha nhi rehna mujhe London bhej de. ​

Rajesh bhi sochta hai agar yaha raha toh kal ko phir se property pe haq jamane ki soch sakta hai. Isse achha hai yeh yaha se kahi durr chala jaaye. ​

Rajesh ne turant Sameer ke london jaane ki taiyaari kardi. Raat ko Rishi ne Sameer ko call kiya. ​

Rishi: Sorry bhai meri wajah se yeh sab hogya. ​

Sameer: Nhi Rishi tune infact thik hi kiya. Aakhir mujhe yeh toh pata chala kaun mera apna hai aur kaun paraya. Maa baap toh hai hi nhi ek Ritika thi aur aaj uska asli roop bhi saamne aagaya. ​

Rishi: Ab tu school mein usse kaise face karega. ​

Sameer: Ab main school nhi aane wala. Main kal london jaa raha hu humesha ke liye. Aur ab wahi rahunga. ​

Rishi: Yaar aisa mat bol. Sab thik hojayega. ​

Sameer: Mujhe nhi lagta. Aur waise bhi yeh mere dadaji ki aakhri ichha thi. Yeh toh puri karni hi hai. ​

Rishi aage kuch nhi bolta phir yeh log call end kardete hai. ​

Sameer subah uth ke London ke liye nikal padhta hai.​

Yaha subah school mein. ​

Kajal: Riti tune kal thik nhi kiya. ​

Ritika: Kajal usse aisa nhi karna chahiye tha. Woh sirf mera dost tha aur mujhe mere gusse pe control nhi raha.​

Kajal: Tere uss behaviour ke baad usko bahot taqleef hui aur isiliye woh aaj school nhi aaya. ​

Rishi: Aur ab kabhi aayega bhi nhi. ​

Ritika: Kya matlab kabhi nhi aayega. Sameer mera bestest friend hai main usko samjhaungi. ​

Rishi: Jab woh yaha hoga tab na tum usse milogi. Woh aaj subah humesha ke liye london chala gaya hai aur ab wahi pe rahega. ​

Ritika ke aankh mein aansu aajate hai par woh chupa leti hai. ​

Ritika: Aise kaise chala gaya. Aur woh bhi mujhse bina mile. ​

Rishi: Tum hoti kaun ho. Jo woh tumhe batayega. ​

Ritika: Main uski bestest friend hu. ​

Rishi: Kaun ho jara phir se bolna but uske pahle kal jo bola tha woh yaad karlena. ​

Ritika ke aankho mein issbaar aansu sab dekh lete hai. ​

Rishi: Apne yeh jhoothe aansu dikhana band karo. Tumne jo kiya hai woh koi dushman bhi nhi karta. ​

Yeh bol Rishi waha se chala jaata hai. Ritika bhi waha se apne ghar aajati hai. ​
Idher london mein Sameer apne dadaji ke ek flat mein shift hota hai. Uska yaha pe ek school mein bhi addmission hochuka tha. Aur uske paas paise bhi de diye the. ​
Raat ko Sameer ke paas Rishi ka msg aata hai. ​

Rishi: Pahonch gaya. ​

Sameer: Haa. Bas saara samaan thik karke sone aaya hu. ​

Rishi: Maine school mein tere baare mein sabko bata diya hai. ​

Sameer puchna toh nhi chahta tha but phir puch leta hai. ​

Sameer: Ritika ne kuch kaha. ​

Rishi: Keh rahi thi tu usse bina mile chala gaya. ​

Sameer ki aankho mein thode aansu aajate hai. ​

Sameer: Chorr jaane de. Ab mujhe kisi se koi matlab nhi. ​

Phir chat end karke woh sone chala jaata hai. Raat ko baar baar usko Ritika ki yaad sata rahi thi. Par woh apne aap ko control karta hai. Aur India se apne saare rishte khatam karne ka sochta hai. Isiliye usne social media se sabko hataya aur apna social media account delete kardiya. Aur apna sim card bhi todd ke phek diyaa​

Sameer: Abse sirf apne liye jiunga. Kisi se koi matlab nhi. ​

Idher India mein Sangeeta ek party mein jaati hai. Jaha kuch ladies baate kar rahi hoti hai. ​

L1: Aree aajkal ki maaye toh bachhe ko janam deke hi chorr deti hai. ​

L2: Haa jab sambhalna hi nhi aata toh janam kyo dete hai. Galti kare khud aur saza mile bachhe ko. ​

L3: Aur kuch kuch toh divorce leke bachhe ko pita ke paas chorr dete hai phir pita dusri shaadi karta hai aur uss bachhe ka jeena haram kardeta hai. Aisi maa se toh pura jivan baanjh rehna manjur ho. ​

Sangeeta jab yeh sab sunti hai toh aihsaas hota hai. Usne bhi toh aisa hi kiya hai apne bete ke saath. Bhale hi woh Sameer se durr thi. Par uski khabar milti rehti thi ke kaise Rajesh aur Reshma Sameer ko torcher karte usko maarte. Yeh sab sochte hi uske aankho mein aansu aajate hai aur usko apni galti ka aihsaas hota hai aur samaj aata hai uske saath jo hua usme Sameer ki kya galti jo usne usko aise chorr diya.​

Woh fauran Rajesh ko call karke Sameer ka puchti hai toh usko London ka pata chalta hai. Jisse usko rahat milti hai ke woh filhal inn haiwaano se durr hai
Like Reply
#10
Sooper next update please
Like Reply
#11
Awesome story
Like Reply
#12
Super
Like Reply
#13
Thanks doston
Like Reply
#14
Update hair hai
Like Reply
#15
Update 3​
Idher london mein Sameer subah apne naye school jaata hai. Toh waha ek ladki aati hai. ​

Ladki: Has Has ke. Abee bhadwe,kutte kamine, behenchod yaha kya karne aaya hai. Chal nikal yaha se warna abhi tujhe nanga karke teri gaand mein danda dalwa dungi​

Sameer samaj jaata hai usko foreigner samaj ke yeh aisa bol rahi hai. ​

Sameer: Muskurata hua. Kya main aapko jaanta hu. Aur jo aapne abhi abhi kaha uska mujhe bura nhi laga. ​

Woh ladki shock mein thi. Aur uska sir sharm se nichhe jhuk gaya. ​

Ladki: Tum Indian ho. Aur abhi maine jo jo bola woh sab tumhe samaj aagaya. ​

Sameer: Ji haa. ​

Ladki: I am sorry. Mujhe laga tum yehi ke ho aur yaha school mein pahli baar dekha isiliye thodi masti karne ke liye woh sab...... I am sorry. ​

Sameer: Mujhe pata hai isiliye maine aapse kuch nhi kaha. By the I am Sameer. ​

Ladki: I am Mahi. Waise yaha Sameer naam nhi chalega. Thoda alag naam rakho. ​

Sameer: Alag naam. Toh tum hi rakh do. ​

Mahi: Okk. Toh Sameer ka alag naam aaj se hai Sam. ​

Sameer: Achha hai. Waise tum bhi meri class mein hai. ​

Mahi: Matlab. Tumhe kaise pata mera class. ​

Sameer: Tumhare I-Card se. ​

Mahi: Smart. ​

Tabhi Pichhe se ek ladka aata hai. ​

Ladka: Aree Mahi kya hua itna time kaha laga rahi hai chal class ka time horaha hai. ​

Mahi: Bas apne naye dost se baate kar rahi thi. Isse milo yeh hai mera best friend Deepak. ​

Sameer: Hii! I am Sam. Waise yeh naam abhi rakha hai. ​

Deepak: Abhi rakha hai matlab. ​

Sameer: Yeh Mahi ne kaha yaha Sameer naam nhi chalega isiliye isne Sam rakh diya. ​

Deepak: Ooo. Waise yeh mazaak kar rahi hai. Sameer naam yaha chalega. ​

Mahi: Sorry but main just mazaak kar rahi thi. ​

Sameer: Nhi koi baat nhi. Waise Sam naam itna bhi bura nhi. Abse mujhe yehi naam pasand hai Sam. ​

Deepak: Okk then aajse hum tumhe Sam keh kar hi bulayenge. ​

Mahi: Chalo class mein chalte hai. ​

Phir yeh log class karte hai recess tak. ​
Recess mein yeh log canteen aate hai. ​

Deepak: Waise Sam tum yaha kaha rehte ho. ​

Sam: Main yaha ek flat mein rehta hu. ​
Mahi: Aur tumhari family. ​

Sam: Mera unse koi lena dena nhi hai. Main yaha akela rehta hu ​

Deepak: Koi nhi. Abse hum dost hai so humari family tumhari. ​

Mahi: Of course. ​

Sam: Waise tumhari family mein kaun kaun hai. ​

Deepak: Mere ghar mein mom dad aur mera pyaara pet RON. ​

Mahi: Mera bhi same but no pet. Deepak ke kandhe mein haath rakh. Yeh hai naa mera pyaara sa pet. Aur jorr jorr se hasne lagti hai. ​

Sam bhi hasne lagta hai. ​

Sam: Waise tumhare parents kya karte hai. ​

Deepak: Mere aur iske papa scientists hai. Aur saath mein kaam karte hai. ​

Sam: Great. ​

Phir recess khatam hota hai. Woh log class karne chale jaate hai. Phir apne apne ghar. ​

Ghar aakar Sam ko ab khana banana padha. Phir khaake woh rest karne lagta hai. ​

Ab roj Sam ka yahi routine bangaya subah school waha Deepak aur Mahi se masti phir ghar aakar khaana banake khaana. ​

Aise hi yeh log aise hi apna school aur friendship enjoy karne lagte hai. Mahi aur Deepak se Sam ki dosti bahot gehri hogyi shayad london mein Indian milne ki wajah se. Ab Sam inke saath hi apna time spend karta. Roj ghumne jaana. Late night parties karna sab karta hai. Ab London hai isiliye inpe koi roktok nhi. ​

Ekdin Deepak Sam aur Mahi ko uske ghar lunch pe invite karta hai. ​

Deepak ke Dad Mr. Harish Kumar bhi ghar pe hi the. ​

Harish Uncle: Deepak bahot baate karta hai tumhare baare mein. ​

Sam: Aaplog kaise hai. ​

Harish Uncle And Sanjana Aunty: Humlog achhe hai. Tum kaise ho. ​

Sam: Ekdum mast. ​

Mahi: Uncle aunty main bhi aayi hu. ​

Sanjana Aunty: Tumara toh roj ka aana jaana hai. Yeh first time aaya hai isse toh mile. ​

Mahi: Ha ha mil lijiye. Mujhe kya. Yeh bol woh sofa pe baith jaati hai. ​

Sanjana Aunty: Aree yeh toh naraz hogyi. Thik hai iske pasand ki pudding main RON ko de dungi. ​

Mahi: Koi jarurat nhi hai meri pudding kisi ko dene ki. Aur main koi naraz nhi hu. ​
Sab hasne lagte hai. ​

Sam: Waise Uncle Deepak ne bataya aap scientist hai. Toh abhi aap kaunsa research kar rahe hai. ​

Harish Uncle: Beta filhal toh main ek aise formula pe research kar raha hu jo human body aur brain and senses ko ek alag taqat dega. Aur yeh chiz mein army ke liye bana raha hu. Aur iska naam hai HDX. ​

( Sam jab yeh naam sunta hai toh usko kuch waqat pahle ki baat yaad aajati hai. ​

Jab Rajesh ne usko maara tha property ke liye aur woh sofe pe baitha tha. Tab Rajesh call pe baat kar raha tha. ​

Rajesh: Kya baat kar rahe ho. Aise bhi kahi hota hai kya. ​

Saamne: Haa hota hai. Tabhi toh Malhotra aur Singhaniya iske pichhe padhe hai. ​

Rajesh: Kya Malhotra aur Singhaniya. ​

Saamne: Haa. Aur ab woh log wapas India aarahe hai. ​

Rajesh: Yaani ab phir se India mein inka raaj chalna hai. Waise iss chiz ka naam kya hai. ​

Saamne: Kuch HDX karke hai. ​

Rajesh: HDX. Toh iske pichhe woh dono padhe hai. ​

Saamne: Malhotra nhi khash kar ke Singhaniya. )​

Sam: Uncle issi chiz ke pichhe toh koi Singhaniya aur Malhotra padhe hai. ​

Harish Uncle: Thoda tension mein. Tumhe kaise pata. ​

Sam: Kuch waqat pahle maine sunna tha ke woh iske pichhe padhe hai. ​

Harish Uncle: Dekho beta maine tumhe Deepak aur Mahi ka khash dost samaj ke yeh bataya. Tum yeh kisi ko naa batana. Warna bahot bada khatra aajayega sabke upar. Woh log iss chiz ko leke terrorist ko bechne ka soch rahe hai jiske badle unhe besumar daulat milegi. ​

Sam: Aap chinta naa kare uncle main yeh kisi ko nhi bataunga. ​

Tabhi waha Ron aata hai. Ron bahot hi alag kisam ka kutta hai. Uski aankhe neeli hai aur woh bahot hi jyaada active hai woh baakiyon se bilkul alag hai. ​

Phir yeh log aise hi thodi der baate karke waha se chale jaate hai.
Like Reply
#16
Wonderful sir please continue
Like Reply
#17
Awesome story
Like Reply
#18
Please update sir
Like Reply
#19
THANKS DOSTON
Like Reply
#20
Update 4​
Aise hi Sam ka time nikalne laga. Woh ab puri tarah se India ko bhul gaya tha aur london ke rang mein rang chuka thaa. Usne pub mein part time job bhi khoj li thi. ​

Aise hi Sam ko london mein 2 saal ho jaate hai. Aur ab woh puri tarah se badal chuka tha. Pahle jo Sameer tha woh bhola bhala tha. Par ab jo Sam hai woh uska bilkul ulat hai. Pahle Sameer thoda kamzor tha. Par sam bilkul alag. ​

Sam Deepak aur Mahi ki dosti bhi bahot achhi jaa rahi thi. ​

Ek raat yeh log pub mein enjoy kar rahe the. Ab Sam drink bhi karta tha. ​

Mahi: Full Nashe mein. Ayee Deepak tu mere Sam ko kya bola tha bewakoof ha. Woh bewakoof nhi hai. Woh hoshiyaar hai. Jisko Mahi pasand kare woh hosiyaar hi hoga samjha. ​

Deepak: Chup kar meri maa tujhe chadd gayi hai. Chup kar warna woh sunn lega. ​

Mahi: Areee kaun sunn lega. Saala jisko sunna chahiye woh toh sunta nhi. Pure 1 saal se sunane ki koshish kar rahi hu. Par saale ko sunayi hi nhi deta. ​

Deepak: Main wohi bol raha hu. Woh sunn lega. ​

Mahi: Achhaa mera baby sunlega. Toh sunne de naa. Hosh mein toh usse kuch keh nhi paati. Nashe mein hi kehne de. Kaha hai mera baby aaj usse sab bolungi. Baby baby kaha hai tu. ​

Tabhi sam bill pay karke aata hai. ​

Sam: Kya hua. Lagta hai aaj phir se jyaada hogyi. ​

Mahi: Ayee tu chup kar aur meri baat sunn. Tujhe mere dil ki baat sunayi nhi deti kya. Yaa tujhe dikhayi nhi deta main tujhse kitna pyaar karti hu. Mere mom dad ko bhi tere baare mein pata hai bas ek tujhe hi nhi pata. Pata nhi kab tujhe pata chalega. Yeh bolte bolte woh uske baahon mein behosh hojaati hai. ​

Sam Deepak ko dekhta hai toh woh apna sir pitt leta hai. ​

Sam: Deepak yeh sab kya hai. ​

Deepak: Kuch nhi bhai yeh nashe mein hai naa isiliye yeh sab bol gayi. ​

Sam: Insaan nashe mein hi sach bolta hai. Aur ab tu aadhe nashe mein pura sach bol. ​

Deepak: Pura sach toh isne hi pure nashe mein bol diya. Yeh tujhse pichle 1 saal se pyaar karti hai. Par kabhi bol naa saki. ​

Sam: Chal ghar chal. Iske Mom ko bolde aaj yeh mere ghar rukh rahi hai tension na le. ​

Deepak: Bhai naraz mat ho. ​

Sam: Main sabki tarah nahi jo naraz hojaaye. Tujhe jitna bola utna kar. Isse toh kal baat karunga jab yeh hosh mein aayegi. ​

Phir Sam Mahi ko apne god mein utha ke apne ghar le jaata hai. Deepak bhi wahi rukh gaya tha. ​

Subah jab Mahi ki aankh khuli toh uska sir bhaari tha. Usko raat ka kuch bhi yaad nhi tha. ​

Woh apne aap ko Sam ke flat mein dekhti hai. Aur bagal mein Sam ko soya hua paati hai. ​

Mahi: Waah shaadi se pahle hi Sasural mein raat guzar gayi aur bagal mein apne hone wale pati ke saath. Dekho toh kitna masoom lag raha hai sote hai. Abhi toh mere muh se sab nikal raha hai. Par jab nikalne ka sahi time hota hai tab kuch bol hi nhi paati. ​

Tabhi woh dekhti hai Sam ki neend toot rahi hai. ​

Mahi: Good Morning. ​

Sam usko dekhta hai par kuch bolta nhi aur waha se chala jata hai fresh hone. ​

Mahi: Aree isko kya hua. Mere wish ka reply nhi diya. ​

Thodi der baad jab yeh log fresh hoke nichhe breakfast karne lagte hai tab. ​

Mahi: Ayee Deepak isko kya hua. Aisa muh banake kyo baitha hua hai. ​

Deepak: Tujhe kal raat ka kuch yaad nhi. Ke tune kya kiya tha. ​

Mahi: Nhi. Kya kiya tha maine. ​

Sam: Main batata hu. Kal tumne nashe mein bahot saari baate ki thi. ​

Mahi: Ki hongi toh kya. ​

Deepak: Tune kal woh sab bhi bata diya tha nashe mein. ​

Mahi: Kyaaaaaa. Maine woh sab bhi ugal diya. ​

Sam: Ji haaa. Woh sab bhi ugal diya. Aur ab kya maine jaan sakta hu. Woh sab kya tha. ​

Mahi: Ab jab tumhe pata chal hi gaya hai toh achha hi hua. Haa main tumhe pichle 1 saal se pyaar karti hu. Kaise hua kyo hua kab hua pata nhi. Bas tumse pyaar hogya aur maine apne mom dad ko bhi bata diya hai aur woh bhi khush hai. ​

Sam: Kya tum pagal ho. Tum mere baare mein kuch bhi nhi jaanti ho. Main kaun hu. Mera past kya hai. Kuch bhi nhi. ​

Mahi: Mujhe kuch nhi janna. Mujhe tumhare past se matlab nhi. Mujhe toh humare future se matlab hai. Tum kaun ho yeh mujhe nhi janna. Tum jo ho mujhe usse matlab hai. Aur inn 2 saal mein mujhe itna toh pata hai tum kabhi mujhe dhokha nhi doge aur naahi kabhi chorke jaoge. ​

Sam: Tumhe pahle mere baare mein sab jaan lena chahiye. Mujhe bhi tum achhi lagi tumhare andar mujhe Ritika ki ek jhalak nazar aayi isiliye main bhi tumhari taraf attract hua. ​

Mahi: Sab baad mein pahle batao yeh Ritika kaun hai. Humari nazar mein toh aisa koi nhi. Ayee Deepak tu jaanta hai kyaa kisi Ritika ko. ​

Deepak: Nhii. ​

Sam: Isiliye bola tha pahle mere baare mein sab jaan lo. ​

Phir Sam apne baare mein sab unhe batata hai. Ritika ke apne maa baap dadaji sabke baare mein. ​

Sam: Ab bolo kya tum ab bhi ek aise insaan ke saath aage badhna chahti ho. Jisse uske pyaar ne thukra ke beizaat kiya. Maa baap ne kabhi pyaar nhi diya. ​

Mahi: Kya tum ab bhi usse pyaar karte ho. Jabki usne tumhe beizaat kiya. ​

Sam: Haaaa. Kyoki main usse bachpan se jaanta hu. Hum eksaath bade hue. Eksaath khelte thee. Uski saari achhi aur buri aadat ke baare mein jaanta hu. Woh kya kar sakti hai kya nhi kar sakti yeh mujhse achha koi nhi jaanta. Usne jab mujhe woh sab bola toh main sehan nhi kar paaya aur yaha aagaya. Par jab mera gussa shant hua tab mujhe aihsaas hua usne yeh jaanmuzz ke nhi kiya. Uski koi toh majburi thi. ​

Mahi: Kya mujhe mera pyaar kabhi nhi milegaa. Yeh bolte hue uske aankho mein aansu aajate hai. ​

Sam: Uske aansu pochte hue. Mahi tum mujhe achhi lagi par main Ritika ko dhokha nhi de sakta. Aur tumhare saath bhi toh yeh ek tarah se dhokha hi hogaa. ​

Mahi: Agar main kahu mujhe Ritika se koi problem nhi. Aur rahi tumhare maa baap ki baat toh mujhe tumhare saath rehna hai unke saath nhi. Bas mujhe mere hisse ka pyaar chahiye. Agar woh milgaya toh mujhe aur kuch nhi chahiye. ​

Sam: Tum pagal ho Mahi. Haa yeh sach hai main ab bhi Ritika ko bhula nhi paya hu. Aur shayad kabhi bhula bhi naa pau. ​

Mahi: Maine bola naa mujhe usse koi problem nhi. Agar future mein woh tumhara pyaar samaj ke wapas aati hai toh mujhe uske saath rehne mein koi problem nhi bas mujhe mere hisse ka pyaar chahiye. Aur agar mujhe tumne naa bola toh tum jaante ho mujhe tumhe khatam karne mein thoda bhi time nhi lagega. Kyoki main apni jaan toh dungi hi par pahle tumhari jaan lungi. Yeh bol woh hasnee lagti hai. ​

Sam aur Deepak bhi hasne lagte hai. ​

Mahi: Chalo aaj finally mujhe mera pyaar mil gaya hai toh hum ghumne chalte hai. ​

Sam: Par maine haa kaha bola hai. ​

Mahi: Achha tumne haa nhi bola naa abhi bulwati hu. ​

Yeh bol Mahi apne seat se uth ke Sam ke paas jaati hai. ​

Mahi: Toh tum haa nhi bologe rightt. ​

Sam: Koi shakk. ​

Mahi: Deepak jara bahar ka chakar laga kar aa tab tak tere jija ko ready karti hu. ​

Deepak bas muskura kar waha se chala jaata hai. ​

Mahi: Toh ab bhi haa nhi bologe. ​

Sam: Tum karna kya chahti ho. ​
Mahi uske aur kareeb jaake ab bhi haa nhi bologe. ​

Sam bas uski aankho mein dekh raha tha jisme bas pyaar hi pyaar tha aur abhi ke liye shararat bhari hui thi. ​

Sam: Mahi control karo. Mujhe sochne ka mauka toh do. ​

Mahi: Pichle 1 saal se control kar rahi hu aur ab tumko sochne ka mauka chahiye. ​

Teri toh yeh bol usne apne honth Sam ke hontho se chipka diye. Dono ekdum passionately liplock mein the. Sam pahle toh shock hua par jaldi hi khud ko sambhal ke uske saath dene lagta hai. 5 mins baad jab dono ki saanse ukhadne lagti hai tab jaake woh kiss todte hai. Par isbaar Sam ne usko jhakad liya aur phir se kiss start hogya. Yeh kiss thoda wild hogya thaa dono ek dusre ko aise kiss kar rahe the jaise ekdusre ko khaa jayenge. Thodi der baad kiss thodte hai. ​

Sam: I Love You Mahi. Par main akela shayad tumhara naa ho saku. ​

Mahi: I Love You Too Sam. Aur mujhe Ritika ko accept karne mein koi problem nhi hai. Bas Ritika aur koi nhi. ​

Sam: Aur kabhi koi nhi. I promise. ​
Phir dono ekdusre ke gale lag jaate hai. Aur aise hi lage rehte hai. ​

Deepak: Ab agar tumlogo ka hogya ho toh ghar chale. ​

Mahi: Tu jaa main apne ghar mein hu. Ab yehi mera ghar hai. Main apne baby ko chorke kahi nahi jaa rahi. Mere mom dad ko bhi koi aitraaz nhi hoga agar main iske saath rahu toh. ​

Sam: Par mujhe hoga. Jab tak woh mere saamne apni puri marzi se permission naa de hum eksaath nhi rahenge. Bhale hi hum London mein hai yaha live-in koi badi baat nhi. Par phir bhi. ​

Mahi: Maine tumhe apna life partner choose karke koi galti nhi ki. Yaha ladki ko ladka ya ladke ko ladki pasand aata hai aur agle hi pal usko bed pe lejaata hai. Agar tum chahte toh aisa kar sakte aur shayad main mana bhi nhi karti. Par pahle tumne mere mom dad ki permission ki baat ki .Ab jab tak mom dad apni puri marzi se nhi kehenge tab tak main tumhare saath nhi rahungi. I promise. ​

Phir woh log apna breakfast complete karke Mahi ke ghar jaate hai.
Like Reply




Users browsing this thread: 1 Guest(s)