Thread Rating:
  • 3 Vote(s) - 1.33 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Ishqiya.
#1
Yeh ek fictional story hai jiska vastavikta se koi lena dena nahi. All the characters are fictional. Yeh kahani sirf hawas ki nahi hai. Kuch alag banane ki koshish ki hai maine.

Abhi tak ke main character.

(1) Nagma Qureshi. Age 27 years. Apni maa ke saath Fazi gaon mein rehti hai aur peshe se ek mutinational company mein kaam karti thi. Mumbai mein pehle rehti thi lekin 6 saal naukri karne ke baad majbooran resignation dena pada. Annual package thi 18 lakh rupees aur rehne ki jagah company ki taraf se. Nagma ka kaam tha talent hunt karna. Kisi bhi field mein mile hue talent ko dhoondhana aur alag alag reality show tak pahunchana. Lost talent naam ki company mein bade post pe kaam kartithi. 

     Maa ki tabeeyat kharab hone ki wajah se wapis West Bengal aana pada aur achi khasi naukri chodna pada. Nagma ne apne ache khase paise aur baap ke bachaye hue ache khase 40 lakh rupees ko bank mein rakh diya. Apne paiso se ghar bhi acha bana liya aur aanewale waqt ke liye bachaye rakha. Modern life jeene wali Nagma ab wapis poorane aur lhandar gaon mein aa gayi. Nagma bahut hi khubsoorat lagti hai. 


(2) Raza Aslam. 65 saal ka buddha aadmi. Fazi gaon ke sarkari school ka peon aur Nagma ke ghar ke peeche rehta hai. Waise gaon ke Masjid ki saaf safai bhi wohi kata hai. Waise jyada logo se baat chit nahi karta lekin insaan acha hai.

(3) Gulam Abdul. Age 62 years. Gaon ke paaswali hotel mein bathroom ki saaf safai karta hai. Waise kitab likhane ka shaukh hai lekin garibi aur kam paise ki wajah se shaukh poora nahi ho paata. 


       Nagma Qureshi ne ab tak nikah nahi kiya. Nagma ko in saab chizo mein koi interest nahi. Woh humesha se kuch alag karna chahati hai. Apni ammi ke saath 5 bedroom wale ghar mein rehti hai. Waise Nagma Mumbai jaise ache khase lifestyle ki aadat ko peeche chod ek low class aur less developed village mein rehne laagi. Paise hone ki wajah se electricity aur baki ki facility ache se enjoy karti hai lekin gaon mein baaki ke paarivar Nagma jitne paisewale nahi. Nagma ne job to chod diya lekin company ke kehne par aaj bhi online kaam karti aur mahine ke 40,000 kamati. Half job hai to salary bhi to kam hi hogi lekin agar Nagma na bhi paise kamaye to bhi Bank ke interest se ghar ka kharcha bahut asani se nikal jaata hai. 

     Nagma ka ghar waise hariyali jaroor tha lekin gaon ki halat bilkul achi nahi. Jyada se jyada jawan log city mein majdoori karne bahar chale gaye. Nagma ko gaon ki halat achi nahi lagi. Nagma ko gaon mein aaye abhi 1 mahina hi hua hai.

Roz ki taraf subah subah Nagma apne laptop mein kaam kar rahi thi. Nagma ki ammi Armina Qureshi ,,., ada karke room mein aayi.

"Arey o meri Nagma kuch khaya ya nahi. Bas poore deen kaam aur meri seva. Kabhi to fursat se beith jaaya kar."

Nagma apni maa ko chumte hue kaha "Ammi aap meri fikar maat karo. Main waise bhi jab kaam karti hoon to mujhe acha lagta hai."

"Itne paise hai humare paas ab nikah ke baare mein soch."

"Aapko chodkar kahi nahi jaana mujhe."

"Beti kab tak yeh meri seva karegi. Meri khwashish hai ki tera nikah ho. Taki ,.' ke paas jaane mein mujhe koi dukh na ho. Kya tu  chahati hai ki teri ammi tere nikah na hone par dukhi rahe ?"

Nagma apni maa ko gale lagate hue "Jab mujhe lagega ki mere pasand ka koi insaan hai to pakka nikah kar loongi."

"Kha meri qasam."

"Teri qasam ammi. Ab chal yeh rona band kar aur bata mere liye kya bana rahi hai khane mein ?"

"Tera man pasand chicken curry bana rahi hoon."

    To doosri taraf Raza Aslam tobacco chabate hue school ka kaam kar raha tha. Haath mein file liye teacher ke paas gaya. Teacher apne staff room mein tha.

"Sahab apka file."

"Arey thank you Raza kaka."

"Arey sahab thank  you na kaho."

"Raza ek baat batao. Tum itne buddhe ho gaye ho aur rtire bhi ho gaye phir bhi pension hote hue bhi free mein kaam karte ho yaha pe kyon ?"

"Aab sahab mera is duniya mein koi nahi aur akele rehkar ub jaata hoon isiliye yaha kaam karke khud ka time paas kar leta hoon."

"Kya baat hai khub khub bhalo."

"Aab sahab main chalta hoon wapis apne gaon Masjid ki saaf safai ka waqt ho gaya." 

   Doosri taraf Gulam Abdul bathroom saaf karke apne roz ka 400 rupees dihadi lekar cycle se ghar jaane ki aur chal pada. Gulam Abdul waise kisi bhi pasand aaui chiz ko dekhkar kahani ya phir uskebaare mein kuch shabd likh leta. Garibi mein kaha yeh sab shaukh poore hote hai. Maan kiya to kuch achi baate gaon ke black board mein likh deta. ., ko dilo jaan se maanta hai Gulam Abdul aur deen mein 2 baar ,,., ada karta hai.

    Zindagi yoon hi chal rahi thi. Ek deen Nagma Qureshi gaon ke bazaar mein saman lekar ghar jaa rahi thi. Ghar ke paas kapde ki dukaan thi. Nagma ne socha ki kyon na kuch kapde kharid le apni ammi ke liye. Nagma Qureshi Khubsoorat E Numaish naam ke dukkan mein pahunchi. Us dukaan ko chalane wala ek 80 saal ka bujurg tha. Us buddhe aadmi ka naam Hasrat Gul tha. Dikhane mein bahut patla aur kaala. Orange beard aur aahe ke teen teeth toote hue the. 

"Salam Alaikum Nagma kaise yaha aana hua ?"

"Kuch nahi chacha bus kuch kapde lene the ammi ke liye."

"Le jao. Tumhara hi sab kuch hai jo pasand aaye le jao."

Nagma ki nazar ek gulaabi rang ke kapde pe padi jo bahut khubsoorat tha. Itna khubsoorat ki isse pehle kabhi usne dekha nahi tha. Design bahut acha aur kadai bhi khubsoorat. Nagma ki aankho mein to jaise yeh kapda bas gaya tha.

"Chacha yeh gulaabi rang ka kapda bahut khubsoorat hai kaha se lekar aaye hai aap ?"

"Are yeh ? Yeh to humare gaon ke ek aadmi ne banaya hai. Uska naam Raza Aslam hai. Bahut ache kapde silta hai lekin bahut moodi aadmi hai. Jab maan kiya tabhi silega aur jyada paise bhi nahi leta mujhse iske liye."

'Chacha mujhe yeh kapda kharidna hai."

"Le jao Nagma tumhare liye har chiz hazir."

"Kya mujhe Raza Aslam ke ghar ka pata milega ?"

"Ji bilkul."

    Hasrat Gul ne kapde aur Aslam ke ghar ka pata Nagma ko de diya. Nagma ne socha ki kyon na Raza Aslam se mila jaaye. Nagma abhi jaane hi wali thi ki Hasrat ne rokte hue poocha "Waise Nagma mera ek kaam karogi ?"

"Boliye chacha."

"Mere dukaan ka hisaab kitaab karna tha kya tum kar dogi. Ab dekho ne 80 saal ke umar mein dimaag kaam nahi karta."

"Kab karna hai chacha ?"

"Abhi ho sakta hai ?"

"Abhi ? Raat honewali hai chacha."

"Dekho kar do waise bhi ghar kaha door hai ? Main chod doonga."

"Thik hai chaliye."

    Hasrat ne dukan ka shatar band kar diya aur Nagma ko peche ke raaste se andar aane ko kaha. Hasrat ka ghat peeche hi hai. Nagma ne waise hi kiya. Hisaab kitaab karne laagi. Hasrat ka kuch der hisaab karne ke baad Nagma ka kaam khatam ho gaya.

"Chaliye chacha main chalt hoon."

"Arey ruko pehle paani pee lo."

Nagma ne haath aage hi badhaya ki nazar diwar pe likhi kuch kavita pe ataki jo bahut acha tha. Nagma ne poocha to jawab mein yeh kavita Gulaam Abdul ka naam aaya. Nagma ko lagne laaga ki is gaon mein bhi agar dhyan se dekhe to talent idhar bhi mil sakta hai. 

"Chaliye chacha ab main chalti hoon. Phir miloongi."

"Yeh chacha maat bulao. Mujhe sirf Hasrathj bulao."

"Kya ? Aap bhi na." Nagma jor se hasne laagi aur boli "thik hai aaj se aapko sirf Hasrat hi bulaongi."

Nagma waha se aage badhi. Nagma darwaje ke babar pahunchi hi thi ki Raza Aslam waha aaya. 

"Aao miya aao. Tumhe hi yaad kar raha tha.'. Hasrat paan khate hue bola.

"Mujhe kyon yaad kar rahe the ?

"Arey tumko yaad hai Nagma Qureshi ?"

"Kaun woh Mumbai wali ?"

"Haan Miya. Use tumhare haath ka banaya hua kapda bahut pasand aaya. Woh tumse milna chahati hai."

Raza Aslam paan chabate hue "haan to bolo aa jaaye. Lekin mere banaye hue kapde uske jaise Shehri wali ko pasand aaya. Aacha hai "

"Haan miyan bas tumhara pata use bata diya. Chalo mujhe bhi nikalna hoga. Waqt ho gaya hai ghar jaane ka "

      Raza Aslam roj ki tarah apne ghar aaya aur khana khakar so gaya. Doosri taraf Gulam Abdul bhi hotel se kaam poora karke wapis aa gaya. 

      Is samanya se gaon mein aage kya honewala hai yeh aapko aanewale update mein pata chalega
[+] 1 user Likes Basic's post
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#2
Waiting
Like Reply




Users browsing this thread: 1 Guest(s)