Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Thriller ASHARAAM
#1
  • Asharam


Rajan pur gao ma aj rahul ki shadi ka mahool tha sab ghar walay kafi khus thay or nach gana ho raha rahul kafi khush tha kyun k aj us ki shadi jo honay ja rahi thi sab jhoom rahay k itna ma rahul k aba na kaha rahul tum ghori sa uttar jao wajja rahul janta tha kyun k rahul aik neech zaat sa talluk rakhta rahul na kuch dair sab barration ki taraf dekha jo ab tamaam k tamaam khamosh ho chukay thay itna ma rahul ki cousin boli
Pami jo rahul ki cousin thi

Pami: tau yeh kiya baat hui aj rahul ki shadi hai or tum usay ghori sa uttar rahay ho

Rahul k abba : pami tou to jannay k hum aik nichi zaat k log hai or yeh barraat aik unchi zaat k ilakay sa guzarni hai

Pami : agar hum neech zaat k hua to kiya hamay khushion sa jeena ka koi hak nahi hai
Rahul k abba : aae chori tu kyun yahan per bawaal karna chah rahi
Itna ma rahul k dost na bola
Shankar : babu g pami bilkul theak keh rahi hai agar jain gay to sir utha kar in onchi zaat walo ko pata to chalay hamaray yahan khushian kaisay manai jaati hai
Rahul k abba ko haar maani perhi or baraat puri dhool damakay k sath unchi zaat walon ki basti ki taraf nikal perhi
Honi kon taaal sakta hai
Shadi k dhoom dharakay ki awaz illakay ma door sa a rahi thi
Unchi k mukhiya k ghar ki chaat per us ka baita or un k kuch dost baith kar moj masti kar rahay thay jab un k kaan ma shadi k dhool dhamakay ki awaaz perhi to saray ghussay sa agg bhagola ho gai or aik dosra sa kehna lagay
Mukhiya ka baita : in neechi zaat walon ki itni himmat k hamaray illakay ma yeh dhoom dhaam sa guzar rahain hain
Phir mukhiya ka baitay na apna dosto sa kaha ja kar in ko aukaat dekha kar ao
Sab dosto na aik shaitani muskrahat k sath kaha kyun nahi abhi jatain hain or sab k sab neechay chalay jatain hain
Onchi zaat ki basti kareeb a rahi hoti hai lekin itna ma rahul k baap rahul sa aik baar phir darkhuast karta hai
Rahul k abba : rahul aik baar phir soch lo kahin koi bawaal na ho jai abi b waqt hai neechay uttar jao kahin lainay k dainay na perh jain
Jis per pami or shankar ikhattay kehtay hain kuch nahi hota hum b insaan hai inhi logo ki terha hamara b haq hai
Pami or shankar ki baatain sun kar rahul k abba b chup ho jata hai or baraat aghay chal nikalti hai jahan mukhiya k baitay k dost isi baraat ki suhagat ka intazaar kar rahay hotain hain
Baraat basti ma dahkhil hoti hai jahan mukhiya k dost baraat ko rok laitay hain
Kuch fasla per mukhiya apna baitay k sath majood hota hai
K achanak dhool bajay band ho jatain hain or baraat wahin ruk jaati hai
Stay tune for next update
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#2
Update
Kuch hi faslay per mukhiya k dost kharay baraat k anay ka intazar kar rahay thay lekin baraat hilna ka naam nahi la rahi thi itna ma aik larkay na baraation sa kaha
Larka : bhai kyun ruk a jao aj khusi ka mouka hai
Sirf kehna tha k baraation ki jan ma jan  a gaye or phir sa baraati dhool bajay or nach ganay k sath agay berhay or jaisay jaisay mukhiya k pass a rahay thay onchi zaat k log b is khusi ma shamil ho rahay thay
Jab baration na dekha k aj to onchi zaat k log b un ki khusi ma shamil ho rahay hain to un ki khusi ka thikana nahi tha mukhiya k dost b baration k sath naach rahay thay
Jaisay hi baraat mukhiya k ghar k samnay sa guzar rahi thi itna ma mukhiya na
Mukhiya : kiya tum apni aukaat bhool gaye jo tum yahan onchi zaat k logo k samnay naach gah rahay ho
Hariya yaad dillao un ko un ki aukaat
Mukhiya ka kehna tha k tamaam onchi zaat k logo na baraation per hamla kar diya baraati jatay to kahan jatay har taraf sa mukhiya k logo na hamla kar diya
Itna ma mukhiya ka baita agay berha or ruhul ko ghori sa uttar kar marnay laga kuch dair ma us k sath or b onchi zaat k log marnay lag peray
Kuch dair pehlay jo log khusion ma shamil honay ka dawa kar rahay thay un ma sabhi log apni jaan bachana or baki jaan lanay ma masroof thay jab halaat bad sa badtaar hua to mukhiya na laraai roki or kaha
Mukhiya : ab lagta hai tum logo ko apni aukaat yaad a gaye hogi ainda is basti ma sirf sar jhuka kar or kamoshi sa guzarna agar nahi tu us ka nateeja tum daikh chukay ho
Rahul k abba na mukhiya k pair pakar liya or maafi mangi apni ghalti ki or faryaad ki k hum logo ko janay dain jab rahul na yeh manzar daikha to wo bardasht na kar saka or onchi zaat k larkay per charh baita bas phir kiya tha tamaam larko na mil kar rahul ko itna mara k rahul admara  ho gaya yeh manzar daikh kar rahul k abba mukhiya k paon pakar liya or apna baitay ko maaf karna ki bheek mangi jis per mukhiya na rahul ko chor diya
Ab rahul ki halaat yeh thi k sar sa khoon nikal raha tha or behosh tha jis per sab na rahul ko liya or hospital ka rukh kiya hospital pohunch kar rahul ki marham patti hui
Rahul k abba ko bohat ghussa pami or shankar per aya jab pami or shankar hospital pohunchay to rahul k abba na ghussay ki bohchar kar di
Rahul k abba : ab to tumhay sakoon mil gaya dekho kiya halaat ho gai rahul ki or kiya haal kiya unho na baraation ka hum na tumhara kiya bigara tha
Itna ma pami na kaha
Pami : tau ji kiya hum log insaan nahi kaisay hum logo ko keero ki terha maara
Shankar itna ma bolta hai humay in k khilaaf security officer complain likhwani chahiye
Kis per rahul ka abba : ma tum logo k agay hath jorta ho baksh do hamari jaan
Shankar agay berh kar rahul k abba k khanday per haath rakhta hai or kehta hai mera taluk media sa hai dekhain ma kaisay in ki ent sa ent bajata ho hamay abi ja kar security officer report likhwani chahiye
Jis rahul k abba kehta hai nahi ma or koi bawaal nahi khara karna chahta
Pami : bawaal kyun hoga security officer ki zimadaari hai wo hamari hifazat karay
Pami shankar ko kehti hai chalo security officer k pass chaltain hain or report darj karwatay hai
Or phir pami or shankar security officer station ki tarf nikal jatay hai
Rahul k abba na rokna ki kohsish ki lekin wo dono na rokay or security officer station chalay gai
security officer ma inspector uday or constable madhavam majood thay
Pami na inspector uday ko apni masla bayan kiya or report likhna ka kaha jis per inspector uday na report na likhna ki hadayat ki lekin pami or shankar bazid thay or un ki baat nahi man rahay thay
Jis per shankar na security officer walo per apna media honay ka raub jamanay ki kohsish ki jis per constable madhavan na shankar ko office sa nikal diya or pami ko shamjaya
Inspector uday : daikho ma tumhay kafi dair sa samjha raha ho aisa na karo tum log un sa lar nahi sako ga
Pami : agar ab security officer hamari nahi karay gi to kon karay ga
Uday : dekho yahan sab aisa hi chalta hai ma tumhay aik acha maswara da raha meri baat mano or baat ko raffa daffa karo
Jis per shankar bahir sa kehtay hai k pami report likhwao un ki baat na suno
Pami : inspector sahab ma to report likhwa k hi jao gi
Jis per constable shamjata hai maan jao bibi warna maamlaat kharab ho saktain
Lekin pami nahi maan rahi thi jis per uday, madhavan sa kehta hai bhai likh da in ki report ab jab shamjhanay ma nahi maan rahay or phir madhavan na b report likh di
Abhi pami or shankar nikalay hi thay k mukhiya ko pata chal gaya k in k khilaaf security officer ma report darj ho gai hai
Jis per mukhiya apna banday la kar hospital per dhava kar diya or tamaam doctor ko yargamaal bana liya rahul ka sar k tankay khool kar usay khoon o khoon kat diya

Hospital k bahir aik asharaam ka aik sewak yeh sara maamla apni ankho sa daikh raha tha us na dair na kartay huay phone asharaam k mukhiya k khas admi bhupa ko kiya or sara wakiya bayan kiya
Ab security officer b hospital pohunch gai lekin security officer koi karwai nahi kar rahi thi balkay tamashbeen ki terha zulm hotay daikh raha thi
Itna ma bahir kahi logo ki awaaz anay lagi jab bahir ka manzar dekho to asharaam k sawami raju khud apna sewa kartaon k sath hospital pohunchay or tamaam hospital ko muhiya k zulm azaad kawaya
Mukhiya k logo na rakawat bannay ki kohsish ki lekin sewami na or un karay karta na un ko rok kar rahul ka ilaaj karwaya mukhiya na phir sa gohaar lagaye lekin sawami na mukhiya k tattay pakar liya jo mukhiya k liya na kabil bardasht dard ka sabaab banay lekin jab mukhiya na daikha k sewami ki taqat un sa ziada hai to us na apni khair isi ma jani k yahan sa nikal jana chahiye mukhiya k jatay hi wahan sab logo na sewami  k charno ma jhuk kar un ka shukarya ada kiya jis per sewami na kaha ap na security officer complain nahi likwahi
Jis per pami kehti hai
Sewami mana likhwai thi lekin mukhiya ko kaisa pata chala yeh pata nahi
Jis per sewami na kaha ab hum a gaye hain pareshan hona ki koi zarorat nahi
Or sab logo sa agaya li or asharam ki taraf nikal gaye
Like Reply




Users browsing this thread: 1 Guest(s)