Thread Rating:
  • 3 Vote(s) - 1.67 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy Dil ka Rishta
#1
Dil ka Rishta
जिंदगी की राहों में रंजो गम के मेले हैं.
भीड़ है क़यामत की फिर भी  हम अकेले हैं.



thanks
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
#2
Neha - didi mujhe ye karan kuch thik nahi lagta ...

Simran - ha chhoti par ye mama ji ka dost hai aur waise bhi hame uski jarurat hai par uska yu hamare washroom mein camera lagwana mujhe sahi nahi lagta ... chhoti chahe jo kuch bhi ho tum hamesa alert rahna ...

Neha - didi jyada alert rahne ki jarurat apko hai dekha nahi wo karan apke upar kaise fida hua pada tha ....

Simran - tumhe galatfahmi huyi hogi chhoti wo kaha 45 + ka aur main 27 ki .... aur waise bhi main inn sab jhamele mein nahi padna chahti jab tak ki hamara dusman mara nahi jata ....

Neha - Par didi na jane kyu wo ladka mujhe bahut masum sa laga ....

Simran - kiski baat kar rahi ho chhoti ...

Neha - wahi didi jiska hamlogo ne accident kiya tha .... kya naam tha uska ... ha .... sam kapoor ...
hamara sautela bhai ...

Simran - mera koi bhai wai nahi hai wo .... wo sirf mera dusman hai ....

Neha - didi mere kahne ka wo matlab nahi tha .... main to sirf kah rahi thi ki uski aankho se waisa nahi lagta jaisa mama ji uske bre mein batate hain ....

Simran - wah to tujhe ab mama ji par hi shak hone laga ye mat bhul mama ji ne hame bachpan se paal posh kar bada kiya hai ... sirf hamari achi parwaris ki khatir unhone aj tak shaadi tak nahi ki ....

Neha - didi main wo nahi kah rahi par ek baar meri baat maan kar hame iss case ki tehkikat karni chahiye .... please didi maan jao na ...

Simran neha se bahut pyar karti thi aur uski baat maan jati hai ....

Simran - ok baba ... kal se hamlog gupchup tarike se apni maa ki sachchayi ke bre mein tehkikat karna suru kar denge aur iski khabar mama ji ko nahi honi chahiye aur iss karan ke bachche ki bhi shikayat kal mama ji se karni hai aur apne rooms ke locks bhi change karne hain ....

Neha - didi ye to main abhi kar deti hu ....

Aur fir neha apni aur simran ke room ki lock change kar deti hai .... Aur fir dono bahne sone ko chali jati hai aur udhar karan dono ladkiyo ke rooms ke washroom ke camera ke footage dekhne ke liye apna laptop on karta hai par usme kuch aata hi nahi to wo khij uthta hai aur camera setup karne wale ko gali deta hai ki sayad unhone camera ko on hi na kiya ho ....

Idhar sam ko raat ke 12 baje ke kareeb achanak se yaad aata hai ki usko apni maa rohini ko sab kuch sach sach batana hoga .... Sam turant uth kar apni maa rohini ke room jata hai aur usko uthata hai thode der kunmunane ke baad rohini jaag jati hai aur sam usko apne papa aur rajni ki sari dastan suna deta hai ... Puri kahani sunne ke baad rohini ki aankho mein aanshoo bahne lagte hain sam ko ye samajh nahi aata ki uski maa ki aankho mein aanshoo kiski wajah se aaye isliye wo puch baithta hai ....

Sam - maa ap ro kyu rahi ho ....

Rohini - beta sahi mayne mein rajni teri sauteli maa huyi na ....

Sam - ha maa wo to main janta hu ...

Rohini - tere papa ne uss bechari ke sath sahi nahi kiya ....

Sam - maa papa ko pahle unse pyar nahi tha jab pyar hua uske baad dono ke beech aisa tufaan aaya ki sab tabah kar gaya ... isme na to papa ki galti hai na hi rajni maa ki ....

Rohini - par tadapna to usko pada hi na .... par sabse jyada to wo bechari dono bachchiya tadpi hain jinhe na to maa ka pyar mila na hi baap ka sneh ... wo to unhe dusman manti hain jinki koi galti hi nahi ... unhone tumhare upar itna bada hamla kiya bina sachchayi ko jane ....

Sam - maa isme unn bechariyo ki kya galti hai unhe to bachpan se hi yehi sikhaya aur bataya gaya hai ki papa ne unki maa ko dhokha diya hai ... agar unhe apne pariwar mein shamil karne ya unhe sachchayi se awgat karane mein meri jaan bhi chali jaye na to main ye samjhunga ki maine papa ka adhura farz pura kar diya hai aur mujhe apni maut ka ratti bhar bhi afsos na hoga ....

Rohini - beta aisa mat kaho tujhse badhkar mere aur mere pariwar ke liye kuch bhi nahi jara soch tere bina ham kaise ji payenge ....

Sam - maa duniya kisi ek ke chale jane se khatm to nahi ho jati na .... "Jindagi hamesa jine ki koi na koi wajah dhund hi leti hai" ....

Rohini - dekh beta mere samne jyada philosophy mat jhad ... mujhe tu bilkul sahi salamat chahiye warna main tujhe kahi jane wane nahi dungi ...

Sam - maa mujhe kuch ho sakta hai bhala jisko pyar karne wale itne sare log ho maut bhi uska baal banka nahi kar sakti ...

Dono maa beto mein aise hi pyar bhari nok jhonk hoti rahti hai aur fir sam apni maa ke hi room mein so jata hai aur rohini raat bhar apne bete ke sar apne jaangho par rakh kar baalo mein ungliya firati rahi ... Aj wo sirf ek maa thi jise sirf apne bete ki chinta thi aur wo sam ko sirf pyar bhari najro se dekhti ja rahi thi ...

Sam agle din se ek mission par nikal jata hai aur uske mission ka aham maksad tha rajni ki wo diary find out karna .... Sam jane se pahle sabse pyar se milta hai aur rohini se kisi aur ko ye sab na batane kahta hai .... Aur fir Sam sofiya ke bataye pate par nikal jati hai aur manju sam ki dekhbhal ka jimma uthati hai aur sofiya sam ke gharwalo ki dekh rekh ka ...
जिंदगी की राहों में रंजो गम के मेले हैं.
भीड़ है क़यामत की फिर भी  हम अकेले हैं.



thanks
Like Reply
#3
Ye kya h ji :hmm:
Like Reply
#4
[Image: 88259712_062_6b3d.jpg]
(24-10-2019, 12:12 PM)neerathemall Wrote:
Dil ka Rishta
जिंदगी की राहों में रंजो गम के मेले हैं.
भीड़ है क़यामत की फिर भी  हम अकेले हैं.



thanks
Like Reply
#5
Nice story
Like Reply
#6
Namaskar
(24-10-2019, 12:12 PM)neerathemall Wrote:
Dil ka Rishta

(28-09-2021, 08:52 AM)Eswar P Wrote: Nice story

Namaskar Namaskar Namaskar Namaskar
जिंदगी की राहों में रंजो गम के मेले हैं.
भीड़ है क़यामत की फिर भी  हम अकेले हैं.



thanks
Like Reply
#7
[Image: Untitled-HHH.jpg]
जिंदगी की राहों में रंजो गम के मेले हैं.
भीड़ है क़यामत की फिर भी  हम अकेले हैं.



thanks
Like Reply




Users browsing this thread: 1 Guest(s)