22-07-2019, 06:28 AM
ye ek aese ladke ki kahani hai jise ek baar ek mysterious (adbhut) SIM-CARD mil gaya aur kaese uski poori ki poori zindagi badal gayi.
Fantasy MYSTERIOUS SIM CARD ( JADUI SIM-CARD)
|
22-07-2019, 06:28 AM
ye ek aese ladke ki kahani hai jise ek baar ek mysterious (adbhut) SIM-CARD mil gaya aur kaese uski poori ki poori zindagi badal gayi.
22-07-2019, 06:32 AM
Chapter-1
Accident and new beginning ( part 1) Kya khoobsurat nazarein hain ! " maine shishe se baahar dekhte hue apne man mein kaha . Mujhe natural cheeze jaese pahad , jharne , ped-paudhe , nadiyan, dariya bade acche lagtein hain. Main kanpoor ko kisi kaam se aya tha , aur ab kaam pura ho jane par dubara ghar ki taraf rawana hua tha . Shaam ka waqt tha par abhi suraj dhala naheen tha , isliye har cheeze saaf saaf nazar aa rahee theen, aur bus medium speed ke saath highway par chal rahi thi . Is highway ke ass pass koi bhi abadi nazar naheen aa rahi thi aur ass pass kewal ghane ped the , aesa lag raha tha ki mano hum jangal ke beech mein chal rahe hon . Mere side wali seat khali thi aur infact puri bus hi khali thi , kewal 10 ya 12 log rahe honge wo bhi driver aur cunductor ko leke . Isliye bus puri khamosh thi , kewal bus ke chalne ki awaaz aur bahar se aa rahi parindon ki awaaz kabhi kabhar sunayi de jaati thi . yuun kahein ki pura ka pura sama bada khoobsurat tha .
22-07-2019, 10:29 AM
Nice plot dear
Congrats for new thread
22-07-2019, 10:45 PM
22-07-2019, 10:46 PM
23-07-2019, 10:57 PM
CHAPTER 2
Mujhe is tarah ki surroundings bahut acchi lagti hai . Mera nature bhi bada khamosh sa hai . Mujhe kisi se zayda baat karna , ghulna milna bilkul pasand naheen . Aur yahee wajah hai shayad ,ki yuun to main sabse haal chaal lene tak baat karta hoon par aaj tak mera koi best friend naheen hai , aur mujhe banane ka koi shauk bhi nahee tha . Log vacations(chuttiyon) ke dauran jahan safar karna , apne rishtedaron ke yaha jana pasand karte the , main hamesha wifi recharge karake apne room mein chuttiyan guzarna zayda pasand karta tha . Safar( traveling) se mujhe sakht nafrat hai par traveling ke dauran mausam ke maze lene se ,main kabhi naheen chukta . main apne apko bahut badsurat manta hoon , shayad ye bhi ek kaaran ho sakta mere na ghulne milne ka . Aaj ke iss camera wale daur mein jahan har koi apni photo kheechta ya khichwata hai aur sociol media par fauran upload kar deta hai , maine aaj tak ek bhi apni real photo upload naheen ki hai . Mujhe photo khichwane se se sakht nafrat hai . To ajj bhi hamesha ki tarah bus mein baithe main nature ke maje le raha tha , jaesa apko maloom hai ki peeche wali seat kitna utha ke patakti hai isliye main tyre ke upar wali seat par baitha tha par bhir bhi main sabse peeche hi tha , kiyunki aur log to driver ke saath jo front wali seat hoti hai , engine ke upar wali wahan baithe the . Mera phone vibrate kar raha tha , aur thandi mein to aapko maloom hi hai ki kitne kapde pahnne padte hain , isliye phone nikalne mein thodi mehnat lag gayi . Jab maine phone ki screen par dekha to ek un-known number tha , par samjhte der naheen lagi ki kiska tha . Yes ! aur kaun ? companyy walo ka tha . ek to main inn company walo se pareshan ho chuka hoon " maine khud se ye kaha " . Par sacchayi to yeh hai , ki ghar walo ke alawa agar koi aur phone karta hai to wo hain compony wale , wajah main apko pahle bata hi chuka hoon ki mere koi dost naheen hain . Main bore waese hi ho raha tha , safar abhi lamba tha , to ye jante hue bhi ki company wale kya kahege , maine socha lao utha hi lein . Lekin iss baar jo company walo ne kaha wo bilkul hi maine naheen socha tha .... " Bhartiyan sarkar ke niyam anusaar , apke sim-card ke adhar-card se link na hone ki wajah se apki sewayein radd ki jateen hain . adhik jankari ke liye .... " Maine kaha oh shit ! , mujhe laga ki ye bas aese hi baatein chal raheen thi . phir maine ghar call karne ki koshish ki , aur har baar yahee awaaz sunne ko milti , ki " apki service band kar di gayi hai ". Ghar wale pareshan ho rahe honge kiyunki abhi maine ghar ek baar bhi call naheen kiya tha . Ab papa bahut danteinge , unhone mujhse kaha tha ki jake kara lo . " maine tension mein ye sab khud se kaha " . Ab mujhe kuch bhi accha naheen lag raha tha kiyunki ab ghar pe daant padegi . Main abhi soch hi raha tha ki , ghar par kya bahane maroonga , ki achanak se hi ek bahut tez awaaz ke karan mera mobile gir gaya . ye awaaz horn ki thi . Maine dekha to naheen kis gadi ki awaaz thi, par andaza lag gaya tha ki , ye kisi truk ki awaz hai . Main apna mobile uthane ke liye zameen par zhuka , aurr jaese hi mobile ko hath mein pakda , tabhi ek aur awaaz , wo bhi bahut tez awaz sunai di . Ye dekhne ke liye ki ye awaaz kahan se ayi , maine apne sir ko thoda upar kiya , kiyunki jab main jhuka tha to aage wali seat ne mujhe chupa rakha tha . Aur jo maine dekha , mujhe samjhte der na lagi ki ......
25-07-2019, 02:04 PM
.
khannni achi hai. Update pl . .
25-07-2019, 05:40 PM
Waiting dear
31-07-2019, 07:11 PM
ji haan mujhe samjhte der na lagi ki ab main gaya , truck ne already bus ke agle hisse pe thokar maar di thi
Agle hi pal kya hua ?! , i don't have any idea (mujhe kuch naheen malooom ) , bus itna yaad hai ki ass pass ki har cheez black ho gayi aur ek lagataar awaaz mujhe sunai de rahi thi . Us awaaz ke baare mein main bata naheen sakta ki wo kaesi awaaz thi , lekin agar aapne kabhi heart machine dekhi ho , to mareez ke marne ke baad jaesi machine awaaz karti hai jaese ki teeeeeeeeeeeeeeeeeeennnnnnnnnnnnnnnn ---------------- , to shayad aap andaza laga saktein hain. Tabhi meri aankh khul jati hai ! . Waqt beech raat ka , charo taraf mere qamre mein andhera.Main paseene se lath path aur saanse tez .Maine socha yaar ye kaesa khwaab tha ! jaan hi le li . Khair kisi tarah se maine wo raat kati . Agli subah kisi anjaan awaaz ki wajah se meri neend khuli . Awaaz ghar walon se bilkul alag thi , normally mom aati thin mujhko jagane kabhi bhi agar main late tak sota rah jaaon to . Par aaj ek alag hi awaaz ? akhir kiski hai ? par ek baat thi ki , ye ek ladki ki awaaz thi . To zayada dimaag pe zor na dalte hue maine socha ki shayad koi mehmaan aye honge . Maine apko pahle hi bataya tha ki mujhe logo se mulakaat mein bilkul dilchaspi naheen thee . Isliye main sota hi raha infact yuun kahein ki nataq karta raha . Lekin uske baad jo baat-chit maine suni ,usne mujhe pura andar taq hila ke rakh diya . Ek awaaz to mom ki thi , aur ek kisi anjaan shaqs ki . Aur baat cheet kuch iss tarah thi ....
03-08-2019, 08:25 PM
NEXT CHAPTER
Lekin uske baad jo baat-chit maine suni ,usne mujhe pura andar taq hila ke rakh diya . Ek awaaz to mom ki thi , aur ek kisi anjaan shaqs ki . Aur baat cheet kuch iss tarah thi .... ANJAAN ADMI -- Mam ab apke pass koi alternative (vikalp) naheen bacha hai , you have to make decission (apko faesla karna hi hoga !). MOM -- but sir aese kaese koi faesla kar sakta hai , aap hamri jagah hote to kya aesa hi karte . ANJAAN ADMI--par mam humne already 2 saal tak wait kar liya hai , ab buss aap matter ko aur bigaad raheen hain , apko apni family aur bacchi ke bare ein sochna chahiye aap kab tak yaheen rahengi , app ko pane future ki koi chinta naheen hai kya . you should look forword to your future . "mom ne jawaab dene ki koshish ki , par shayad wo itna ro chuki theen ki unse kuch na bola gaya ". Tabhi Dad ki awaaz sunayi di . DAD -- Darling i think we should think about this idea ( hume ispe soch vichaar karna chahiye) . akhir ek choti bacchi hai hamre ghar pe , uska bhi to future dekhna hi padega . Maine uske baad thodi der tak koi awaaz naheen suni , kewal kuch awazon ke , jisme se ek awaaz aesi lag rahi thi ki mano koi machine se aa rahee ho aur dusri awaaz thi mom ke sisakne ki . Par beshaq mom ki sisakne ki awaaz in sab awazon se saaf thi . Maine socha ab mujhse bardaasht naheen hoga , isliye ankhe khol ke , sone ka natak khatm karoon , akhir pata to lage ki masla kya hai !. Par na jane kya soch ke main natak karta hi raha . Shayad isliye ki mujhe aese rone dhone wali situations mein padna accha naheen lagta. ............................
05-08-2019, 08:47 AM
(This post was last modified: 05-08-2019, 08:50 AM by justnovicewritter. Edited 2 times in total. Edited 2 times in total.)
Jaesa ki maine apse bataya main sone ka natak karta hi raha , maine socha ki yahee sahee rahega .
Lekin maine jab aage ki baat-cheet suni to main zayada der tak natak naheen kar saka . Aap conversatioon sune aur khud hi decide kar lein ki kya iss situation mein koi acting kar sakta hai . Conversation (baat-cheet) kuch iss tarah thi …. DAD—sir ab kya yahee final choice hai hamare pass . Kya ab koi ummeed naheen hai ? ANJAN ADMI – Yes sir , apke pass koi alternative naheen hai . " kuch der ke liye , mujhe koi awaaz sunai naheen di , siwaye mom ke rone ki " phir …. ANJAN ADMI –apka baccha 2 saal se COMA mein hai , aur kisi bhi tarah ka koi progress naheen dikh raha. DAD - lekkin sir !! aap doctor hain kuch to alternative hoga ? kuch to kiya ja sakta hai ? ANJAN ADMI (doctor) – sir there is a limit of what doctor can do . ( matlab doctor ki bhi ek limit hoti hai) " tab mujhe ahsas hua ki ye anjaan shaks doctor hai , aur main coma mein tha . Lekin ye sunke mujhe itna shoock laga ki maine aankhein khol di aur sone ka natak khatm kar diya . Maine jab ankhein kholi to maine dekha dad doctor (anjaan admi) se baaat kar rahe the , mom sir neeche kar ke roo rahee thin , aur mere side pe nurse khadi thi jo ki dad aur doctor ki taraf dekh rahee thi. Isliye meri taraf kisi ka dhayan naheen tha iss waqt . Halakii main kuch bolna chata tha , lekin main itne shock mein aa gaya tha ki mujhe kuch samjh hi naheen aya ki kya bolein . Main bus ankhein khole kuch sochne laga , in tamam baton mein matlab dhoondhne laga . ............. to be cont.
30-09-2019, 05:57 PM
Redirect link to other sites is not allowed here.
Don't do this again. |
« Next Oldest | Next Newest »
|