15-10-2019, 05:37 PM
UPDATE 113
Pulkit aur Prem shaam ko hospital aaye, papa hosh mein thhe aur main bhi thhi room mein. Papa theek lag rahe thhe.
Pulkit: Papa..Insurance poora milega..Deepesh mama ne bahut madad ki hai..
Prem: Aur papa, aag short circuit se lagi thhi, chhuhon ne saari wiring kaati thhi..
Papa: Baat paison ki nahin hai, Pulkit..Anaaj supply hone waala thha, vyaapaari tootenge, ab kahin aur jaayenge..Unhein waapas laane mein samay lagega..Jama jamaaya kaarobaar thha..
Prem: Phir se jamega papa..Hum dono milke use jamaayenge..
Main: Haan papa..Aap ab koi tension lo mat..Milke sambhaal lenge..
Raunak: Bhaiyya..Vyaapaari bahut hain bazaar mein..Hamaare bhi log hain, aap fikar mat kijiye..
Papa sab ki baaton se sehmat lag rahe thhe, reports bhi acchhi aayi thhi, doctor ne kaha ke kal unhein chhutti de denge. Saare gharwaale aaye thhe, Pratima bhi thhi, par maasi nahin, maasi dukaan pe thhi, dukaan nau baje bandh karne lagi toh unke peechhe koi khada thha, maasi palti, Panchami Singh khadi thhi, Gaurav ki maa aur Vikram Singh ki patni.
Maasi: Panchami jee, aap..Yahaan..
Panchami: Kaisi ho Kalpana..
Maasi: Acchhi hoon, aur aap..
Panchami: Bas theek hi hoon..Tumhein thank you kehne aayi thhi..
Maasi: Kis baat ke liye..
Panchami: Kya hum saath khaana khaa saktein hain, kisi acchhi jagah..
Maasi: Pratima mera intezaar kar rahi hogi ghar pe, hum saath khaatein hain..
Panchami: Pratima aur Gaurav aapke jija jee se milne aspataal gayein hain..Wahaan se woh dono bhi dinner karne waale hain..
Itne mein maasi ka phone baja, Pratima thhi, maasi ne call liya aur baat ki, phir Panchami ka chehra dekhi.
Maasi: Aapne sahi kaha..Woh dono dinner karne jaa rahein hain..Chaliye..
Shekhar apna kaam khatam karke mujhse milne hospital aaya, main neeche usse reception mein mili.
Shekhar: Kaise hain papa Veena..
Main: Acchhe hain..Kal chhutti mil jaayegi..
Shekhar: Tum ruk rahi hoy a ghar chal rahi ho..
Main: Shekhar..Kya hum do minute baat kar saktein hain..Baahar..
Shekhar: Sab theek toh hai..?
Main: Haan..
Shekhar: Gaadi mein baitth ke baat karein..
Maine haan mein sar hila diya.
Maasi aur Panchami ek restaurant mein baitthe thhe, order de diya thha, dono ek dusre ko bhaanp rahe thhe.
Panchami: Kalpana..Aaj kayin saalon ke baad mujhe Gaurav khush dikha..Muskura raha thha..Apne pita se mazaak karta hua dikha..Yeh sab tumhaari beti ne kiya hai..Sab jaante huey bhi usne Gaurav aur hamaari madad karne ki koshish ki hai..
Maasi: Panchami jee..Meri beti bahut bahadur hai..Woh haar nahin maanegi..
Panchami: Aapne bhi kahaan maana thha..Ladh gayi thhi, dukaan chalaayi, ghar chalaaya..Beti bhi toh waise hi hogi..
Maasi: Panchami jee..Aap sirf mujhe thank you kehne nahin laayi hain yahaan..Koi aur baat hai naa..
Panchami ne maasi ka chehra dekha, use maasi waakeyi mein samajhdaar lagi, usne haan mein sar hilaaya.
Panchami: Kalpana, Gaurav bachpan mein apne mama ke ghar kaafi rehta thha..Par achanak ek din usne wahaan jaana chhod diya..Mere laakh poochne pe bhi woh nahin bataata thha ke woh wahaan jaane se darrta kyun thha..Mere pati ko nahin pata hai iss baat ka..Par main jaanti hoon mere bhai ne hi Gaurav ke saath kuch kiya hoga..Kuch dino baad mere bhai ne apni jaan le li..Main yeh sab isiliye bata rahi hoon, kyunki tum yeh Pratima ko bataao..Shaayad yeh baat jaan ke uski koi madad ho..Gaurav theek hai, bas bachpan ki uss baat se uske dimaag pe gehra asar pada hai..Par shaayad Pratima ke pyaar aur saath se, woh uss baat ko bhula paaye, aur poori tarah normal ho jaaye..
Maasi: Panchami jee..
Panchami: Panchami kaho..Sirf Panchami..Samdhan jee..
Maasi muskura di.
Maasi: Panchami..Pratima use theek karke rahegi, aur agar yeh rishta aage badha, toh meri beti ka khayaal rakhna, humein aapke paise se koi matlab nahin hai, pyaar se hai..Ho sake toh use maa ka pyaar dena..
Panchami: Kalpana..Ek maa ka vaada samjh lo..Yeh maa tumhaare jitna, ya shaayad tumse zyaada pyaar degi..Aur agar tumhe meri madad kisi bhi kaam ke liye lagi, toh apna samajh ke keh dena..Kanpur mein aisa koi kaam nahin hai, joh mere pati nahin kar sakte..
Maasi ne Panchami ke hatheli pe apna haath rakh diya, khaana aa gaya.
Main aur Shekhar car park mein gaadi mein baitthe thhe, Shekhar meri taraf dekha.
Shekhar: Kya baat hai Veena..Tension hai koi..
Main: Shekhar, main jaanti hoon tum Prem ki madad kar rahe ho uske business mein, par kya kuch samay tum papa ke business ko sambhaal sakte ho..
Shekhar: Arre baba, sab milke sambhaalenge, tum kyun itna fikar kar rahi ho..
Main: Nahi Shekhar, sirf tum..Pulkit bhaiyya aur Prem ke paas time nahin rahega, aur papa kuch dino tak kuch kar nahin paayenge, main chaahti hoon tum unke business ko poori tarah sambhaalo, unka business waapas khada karo..
Shekhar mujhe dekhke muskuraaya.
Shekhar: Ek engineer se kheti waadi karaaogi..Hal chalaaogi..
Main: Chalaoge, mere liye..
Shekhar: Chala lenge..Subah se kuch khaaya tumne..
Main: Hospital ka khaana..Aur tumne..
Shekhar: Khaa loonga ghar jaake..Tum ruk rahi ho..
Main: Thodi der aur bas, aaj Seema ruk rahi hai..
Shekhar: Theek hai..Chalo papa se milke chaltein hain..
Shekhar aur main papa se milne chale gaye.
Raat ko khaane ke baad Babuji, Shekhar, meri saas aur main aangan mein baitthe thhe.
Sasur: Shekhar, Deepak ka business sambhaalne ka idea mera thha..Main chaahta hoon kuch din Deepak poora aaraam kare, koi tension na le, ek baar woh acchhi tarah se theek ho jaaye, tum Prem ya phir hamaara business sambhaal sakte ho..
Shekhar: No problem papa..Aapka idea ho ya Veena ka..Baat ek hi hai ke babuji theek ho jaayein..Prem aur Pulkit se baat ki Veena..
Main: Woh bhi khush thhe iss baat ko leke Shekhar..
Saas: Kal se iska dibba pack kar dena Bahu, yeh kheton mein hi khaayega..
Hum sab hans pade, Shekhar bhi muskuraake sar hila diya.
Shekhar: Kahaan kismat ne America bheja, aur ab seedha kheton mein..Plane se gira toh hal pe atka..
Main: Maa dhoop mein kaam karke mera pati kaala na ho jaaye..
Saas: Tere liye gora chittha dhoondh lenge bahu..Tu tension mat le..
Chalo, kum se kum mera sasural mere ghar jaisa hi thha, thanda thanda cool cool.
Raat ko maasi ne bhi Pratima ko Panchami ke saath ki gayi saari baatein bata di, Pratima sunn ke khush thhi ke use asli baat maaloom padh gayi, agle din classes se Gaurav ne use pick kiya, dono coffee peene chale gaye.
Gaurav: Mausa jee kaise hain..
Pratima: Sorry kal tumhein neeche chhodke unse milne gayi..Acchhe hain woh..Aaj discharge ho jaayenge..
Gaurav: Aur maa..
Pratima: Maa bhi theek hai..Gaurav, ek baat sach sach bataaoge..
Gaurav: Poochho toh..
Pratima: Uss din jab tumne car mein mujhe kiss kiya, toh kaisa laga tumhein..Tum ruk kyun gaye thhe, kuch aur kyun nahin kiya..
Gaurav uske chehre ko dekhne laga.
Pratima: Bolo Gaurav..Please..
Gaurav: Bahut acchha laga thha Pratima..Pehli baar acchha laga thha..Bas, kuch yaad aa gaya..
Pratima: Kya…
Gaurav: Main nahin bata sakta..
Pratima: Gaurav, tumhe bharosa karna hoga mujhpe, main apni zindagi tumhaare saath bitaana chaahti hoon, hum ek dusre se kuch bhi chhupaa nahin sakte..Koshish karo baatne ki..
Gaurav: Pratima, mujhe samay do, main sab baantunga tumse..Bas thoda samay do..
Pratima: Gaurav, kya hum kal saara din ek saath reh saktein hain..
Gaurav: Kahaan..
Pratima: Mere ghar..
Gaurav: Kyun..
Pratima: Kyunki main tumhein bina kapdon ke dekhna chaahti hoon..Apne pati ko nanga dekhna chaahti hoon..
Gaurav dang reh gaya, Pratima ka chehra ghoorta raha, Na haan na naa keh saka, uski baat se hairaan reh gaya.
Raunak aur Rohit gaon laut gaye, Papa ka discharge hua, chacha hamaare saath hi thhe, hum sab papa ko leke ghar aaye. Papa kaafi theek lag rahe thhe. Unhe unke kamre mein litaaya aur sab unke paas hi thhe.
Papa: Arre yaar main theek hoon..Sab aisa khade hain jaise main abhi bhi hospital mein hoon, jaao apne apne kaam karo..
Sasur: Deepak tu kuch din farmhouse jaake aaraam kar le, wahaan ki taazi hawa faayda degi..
Maa: Haan, yeh theek rahega, samdhan jee ko saath bhej denge toh jaldi theek ho jaayenge yeh..
Sab ki hansi chhoot padi.
Papa: Mere chakkar mein tum sab ne bhi kuch kiya nahin hoga na teen chaar din..
Sasur: Arre farmhouse pe rehke toh aaye thhe sab, sabka pet bhara hua thha..
Maa: Aap toh abhi sochiyega bhi nahin..Aaraam kijiye kuch din..
Chacha: Bhabhi, usi mein aaraam hai..Kuch rokiyega nahin..Agar dil hai toh bhaiyya ko sab karne dijiye..
Shekhar: Papa, aap chachaji ke saath gaon ho aaiyye kuch din..Kyun Veena..
Main: Not a bad idea..Waise bhi Mayuri aur Beena bhabhi acchha khayaal rakhenge papa ka..
Chacha: Raunak aur Rohit ne toh kaha bhi thha, khushi khushi lene aa jaayenge bhaiyya ko..Kuch din mere saath bhi reh lenge..
Maa: Arjun theek keh raha hai, aap ho aaiyye na gaon, wahaan acchha lagega aapko..
Sasur: Ho aa bhai, jab sab keh rahein hain toh kar de..Tu theek toh hum sab theek..Tere mein sabki jaan atki hai..
Papa: Theek hai, jab sab bhagaane ka faisla kar hi chuke hain toh chala jaata hoon..
Pulkit: Chacha, main aapko aur papa ko kal chhod aaunga gaon..Theek hai naa..
Chacha: Chalo, iss bahaane bhaiyya mere ghar toh aayenge..
Papa: Devika, hum dono chalenge..Tu taiyyaari kar le..
Maa: Aapko laga thha main aapko akele jaane deti, mere se chhutkaara iss janam mein toh nahin milega..Samjhe aap..
Sab hans pade, shukar hai papa maan gaye thhe, unke liye acchha thha.
नशीली आँखें
वो प्यार क्या जो लफ्ज़ो में बयाँ हो
प्यार वो है जो आँखों में नज़र आए!!
वो प्यार क्या जो लफ्ज़ो में बयाँ हो
प्यार वो है जो आँखों में नज़र आए!!