Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - COMPLETED
UPDATE 111


Do din yunhi guzar gaye, Sunday ko ek ek family nikal gayi, farmhouse khaali ho gaya, sab apne ghar ko laut gaye. Sunday ki shaam ko mera sasural aur maayka do gaadiyon mein saath mein nikla, hum dono families apne apne ghar nau saadhe nau ke aas paas pahunchi. Khaana raaste mein hi khaa liya thha.

Prem aur Pulkit ghar pahunchke agle din ka program banaane lage, bhabhi aur maa rasoi set karne lage, papa aangan mein thodi der baitthe rahe aur phir saara ghar neend ki aaghosh mein ghir gaya.

Maasi subah mall mein apni shop pe chali gayi aur Pratima apni classes chali gayi. Lunch ka break liya maasi ne aur apni dukaan ki ek ladki ke saath dukaan mein hi khaane baitthi, ghar se dibba bana laati thhi maasi. Aadha khaana ho chuka thha jab mall ke maalik, Vikram Singh ne dukaan mein dastak di. Vikram Singh raees thhe. Yeh mall ke alaawa thekedaari ka kaam thha, suna thha ke Dhanbad ke koyle mein bhi haath thha unka. Pachaas ke thhe, ek zamaane mein aiyyaash thhe, par shaadi ke baad zimmedaariyon ne unki aiyyaashiyon pe baandh laga di. Ab sheher ke izzatdaar logon mein se ek thhe. Unki love marriage hui thhi Panchami naam ki Bengali ladki se. Kolkatta aana jaana rehta unka kaarobaar ke silsile mein. Panchami wahin mili thhi. Dono ki khushaal shaadi thhi, dono taraf ke pariwaar bhi raazi ho gaye thhe. Aaj unki shaadi ko pacchees saal ho gaye thhe aur unka ek ladka thha, Gaurav. Gaurav ne unka kaarobaar sambhaalte huey LLB bhi kiya thha, par kaarobaar sambhaalne ke chakkar mein kabhi practice kiya nahin. 

Aaj Vikram Singh ke Maasi ki dukaan mein aane ki ek khaas wajah thhi. Woh Namaste karte huey andar aaye aur maasi ko khaate dekh ruk gaye, maasi utthi aur unki taraf badhi.

Maasi: Thakur saab aaiyye naa..Please..

Vikram: Kalpana jee aap khaana khaa lijiye..Maine disturb kiya aapko..

Maasi: Ho chuka thha Thakur saab..Bas haath dhone hi waali thhi..Aaiyye naa..

Vikram Singh andar aaye, yahaan wahaan dukaan ke maal ko dekha aur andar kaam karne waali ko dekh ke hich kicha rahe thhe, maasi ne notice kiya aur use bulaaya.

Maasi: Rani..Tum thodi der ke liye neeche ho aao..Waise bhi kaam zyaada nahin hai..

Rani chali gayi aur Vikram Singh maasi ko dekh muskuraaye.

Vikram: Kalpana jee, aurat mein samajhdaari dekhke badi khushi hoti hai..

Maasi: Aap humein kum samajhtein hain Thakur saab..

Vikram: Nahi bilkul nahin..Ulta humse zyaada..

Maasi: Baitthiye Thakur saab..

Vikram Singh baitthe, ab bhi hich kicha rahe thhe, maasi ne bhaanp liya thha.

Maasi: Aap kuch baat karna chaahte thhe..Hum dukaan ka bhaada samay pe detein hain Thakur saab..

Vikram: Kalpana jee..Baat bhaade ko ya dukaan ko leke nahin thhi, vyaktigat thhi..

Maasi itna toh samajh hi gayi thhi ke baat kuch aur thhi. Vikram Singh ne unki taraf dekha.

Vikram: Baat hamaare bete ko leke thhi..Gaurav naam hai uska..

Maasi: Main mili hoon Gaurav se Thakur saab, bada acchha aur kaabil ladka hai aapka..

Vikram: Asal mein Kalpana jee, Panchami..Meri patni aur main dono aapse baat karna chaahte thhe, par maine socha, main pehle aapse baat kar loon..Woh maa hai, aur maa ka dil toh maa hi jaane..Aap bhi maa hain..

Maasi: Thakur saab khul ke kahiye naa..Main samajh nahin rahi hoon..

Vikram: Baatein do hain Kalpana jee..Ek seedhi aur dusri kuch ajeeb si..Main aapki madad lene aaya hoon Kalpana jee..

Maasi ne unki aankhon ko numm hote dekha, ek baap toot raha thha kisi paraaye ke saamne.

Maasi: Jaisi bhi baat ho Thakur saab, keh dijiye, dil halka ho jaayega..

Vikram: Kalpana jee, mera beta normal nahin hai..

Maasi: Par..Main toh mili hoon usse..Aisa kuch..

Vikram: Waise toh har baat mein normal hai, par asal baat mein nahin..Shaadi ke laayak nahin hai woh..

Maasi ka moonh khula reh gaya, yeh baat Vikram Singh unhein kyun keh rahe thhe. Woh chup chaap unki baat sunti rahi.

Shaam ko khaane ke mez pe maasi soch mein thhi, bhari hui plate ke saamne chup chaap baitthi thhi, Pratima ne notice kiya.

Pratima: Maa..Kya hua..Kyun chup hai..Dukaan ko leke tension hai kya..

Maasi ne Pratima ka chehra dekha, aur naa mein sar hila diya, Pratima utthke unki bagal waali kursi pe chali gayi aur maasi ke kandhe pe haath rakh diya.

Pratima: Hum ek dusre se kuch nahin chhupaate hain maa, toh aaj kyun tu chhupa rahi hai..Keh de, kya baat hai..

Maasi: Main aisa hone nahin dungi Pratima, chaahe kuch bhi ho jaaye..

Pratima: Kya nahin hone degi maa..Bataana..

Maasi: Aaj mall ke maalik Thakur Vikram Singh dukaan mein aaye thhe mujhse baat karne..

Pratima: Hum toh bhaada..

Maasi: Bhaade ki baat nahin thhi..Jaane de..Main ne mana kar diya naa..Rehne de..

Pratima: Maa..Bata..Please..

Maasi: Woh apne bete Gaurav ka rishta laaye thhe tere liye..

Pratima: Acchha..Aur tu ne mujhse poocchhe bagair mana kar diya..Tu hi meri shaadi karaane ke chakkar mein thhi..Aur itna bada rishta thukra diya..Not bad, main toh khush hoon..Teen chaar saal tak sochna bhi mat..

Maasi ne haan mein sar hila diya.

Pratima: Par tu ne mana kyun kiya..

Maasi: Woh shaadi ke laayak nahin hai..

Pratima: Kya..Baap re..Itna paisa, itna naam, aur neeche se thhuss…

Maasi muskuraayi.

Pratima: Teri naa mein hamaari dukaan toh..

Maasi: Nahi..Woh chup chaap chale gaye..Acchhe log hain..

Pratima: Chal acchha hua..Par tu kyun itna tension le rahi thhi..

Maasi: Darr laga rehta hai, hamaara sab kuch woh dukaan hai Pratima..Phir se kahin aur dhanda jamaana mushkil hota hai..

Pratima: Pata hai maa..Tu ne bahut mehnat ki hai..Ab khaana khaa le..Mere liye..

Maasi aur Pratima khaana khaane lage, maasi Pratima ka chehra dekh rahe thhi.

Pratima: Ab kya baat hai maa..

Maasi: Unhone offer diya..

Pratima: Kaisa offer maa..

Maasi: Agar Gaurav ke liye tu haan kehti toh, woh dukaan hamaare naam kar dete, do karod humein dete..Tu unki family ko bacchha deti..Waaris deti..Aur duniya se Gaurav ka jhooth chhupaati toh..

Pratima maasi ko gaur se dekh rahi thhi.

Pratima: Maa..Tu kya chaahti hai..

Maasi: Maine toh mana kiya..Pratima..Teri zindagi kharaab ho jaati..Main aisa kaise hone deti..

Pratima aur maasi chup rahe, khaane pe zyaada dhyaan nahin thha, chup chaap dono so gaye, zyaada baat nahin hui. 

Agle din maasi dukaan pe chali gayi, Pratima ki classes late thhi, woh late utthi, dus baje uske darwaaze pe dastak hui, Pratima ne darwaaza khola, saamne, gora, chittha Gaurav khada thha.

Pratima: Gaurav..Tum..Aap..

Gaurav: Tum theek hai, Pratima..Main andar aa sakta hoon..Kuch baat karni thhi..Pratima ne use andar aane diya, khud uske saamne baitthi.

Gaurav: Main maafi maangne aaya hoon Pratima..Tumse aur Kalpana aunty se..Unse mall mein maang loonga..Par tumse maangna zaroori thha, isiliye ghar aa gaya..

Pratima: Gaurav its okay..Maafi maangne ki zaroorat nahin hai..

Gaurav: Hai Pratima..Mere papa aur maa iss baat ko samajh nahi paa rahein hain..Woh chaahtein hain ke kisi ki ladki ki zindagi kharaab karke woh samaaj mein apni izzat banaaye rakkhein..Aisa nahin hota hai Pratima..Meri galti nahin hai ke main aisa hoon..Naa hi unki hai..Maine yeh baat accept kar li hai..Bas woh dono iss baat ko accept nahi kar paa rahein hain..

Pratima: Gaurav..Tum bahut acchhe ho..Tumhaari soch bahut acchhi hai..Kya treatment se..

Gaurav: Pratima..Sab try kiya..Dua aur dawa bhi..Par its not happening..Mujhe yeh kehne mein koi sharam nahin hai..Hai toh hai..

Pratima: Kya tum ladkiyon se attract nahin hote Gaurav..

Gaurav: Pratima..Main normal hoon..Doctors bhi aaj tak samajh nahin paayein hain ke problem kya hai..They say everything is normal..Shaayad dimaagi issue hoga..Maa papa samajhtein hain main ladkon ko pasand karta hoon..Main kaise samjhaaun un sab ko..

Pratima: Gaurav..Agar tum theek hote, toh kya tumhaare papa tumhaara rishta laate hamaare ghar..Hum toh..

Gaurav: Tum galat ho Pratima..Mere papa sirf tumhaari maa ki taareef kartein hain..Unke struggle ko dekha hai unhonein..Izzat kartein hain unki..Aur tum kisi se kum nahin ho Pratima..Agar main theek hota, toh pehle tumhaare liye hi try karta..

Pratima: Main kya kahoon Gaurav..

Gaurav: Kuch nahin Pratima..Bas bura nahin maan na mere papa ki baat ka..Main bhi sorry hoon..

Pratima: Its okay Gaurav..

Gaurav uttha, Pratima bhi khadi ho gayi.

Gaurav: Thanks..Chalta hoon..

Gaurav palta jaane ke liye, Pratima bhi aage badhi.

Pratima: Gaurav..

Gaurav: Haan..

Pratima: Gaurav..Aaj classes jaane ka mood nahin hai..Nayi film bhi lagi hai..Agar tum busy nahin ho toh..

Gaurav Pratima ke bilkul kareeb aaya.

Gaurav: Tumhein yeh karne ki zaroorat nahin hai..Daya mat karo mujhpe..Sab kartein hain, phir peetth peechhe mera mazaak udaatein hain..

Pratima: Main sach mein jaana chaahti hoon tumhaare saath…

Gaurav: Kaunsi film hai..

Pratima muskuraayi.

Film dekhke Gaurav aur Pratima coffee shop mein baitthe, coffee aur kuch biscuits order kiye, dono chup se thhe.

Pratima: Kya soch rahe ho..

Gaurav: Yahi ke mere saath kyun..Phir sochta hoon ke kyun nahin..Kyun kisi dusre ko..Sab toh hai mere paas, bas yehi nahin, chala loonga..

Pratima ne uski hatheli pe apna haath rakha.

Pratima: Mat socho itna..Hum milke tumhein theek karenge..Aur phir shaadi..

Gaurav: Are you mad Pratima..Yeh theek nahin hoga..Please..

Pratima: Gaurav, pyaar sab kuch kar sakta hai, yakeen karo..Agar karna chaaho toh..

Gaurav uske chehre aur baat ki gehraayi ko bhaanp raha thha.

Pratima: Aaj tak tum yeh soch rahe thhe ke tum theek nahin ho, aaj se socho ke tumhein ek ladki pyaar karti hai..Tumhein uske liye theek hona hai..Aisa sochoge..

Gaurav bas use dekhta reh gaya.

Gaurav: Hum kal hi mile, tum mujhse pyaar kaise kar sakti ho..

Pratima: Tumhaari soch se pyaar hai, ek acchhe insaan se pyaar hone mein samay nahin lagta Gaurav..Aur jab doctors ko koi problem nahin dikha, toh problem hoga bhi nahin..Sab theek hoga, tumhaari family ko main uska waaris dungi..Tumhaara beta..Your son Gaurav..Hamaara beta..

Gaurav ab bhi bas ghoore jaa raha thha.

Pratima: Kya ghoor rahe ho..

Gaurav: I want to kiss you..Kya main..

Pratima: Gaadi mein..Yahaan khaa ma khaa log video bana lenge..

Dono hans diye, coffee khatam ki, aur car parking mein chale gaye.

Raat ko maasi ne khaane ke table pe Pratima ko gungunaate suna aur dekha.

Maasi: Kya baat hai..

Pratima: Acchha gaana hai maa..Nayi film ka hai..

Maasi: Toh tu ne class bunk ki naa..

Pratima: Haan maa..Aaj mood nahin thha..

Maasi: Kaun kaun gaya thha..Class ke dost..

Pratima: Gaurav aur main..

Maasi: Kya..Tu..

Pratima: Aaj woh ghar aaya thha maa..Maafi maangne..Apne papa ke liye..

Maasi: Toh film kahaan se aayi beech mein..

Pratima: Maa..Acchha ladka hai woh..Agar main shaadi chaar saal ke baad karne waali hoon, toh kyun na main uske liye hi ruk jaaun..

Maasi: Aur agar woh theek nahin hua toh..

Pratima: Maa..Zindagi ne humein kaafi dhakke diye hain..Kaafi aazmaaya hai humein..Kyun na hum use aazmaayein..Dekhein woh hamaara acchha chaahti bhi hai ya nahin..

Maasi utthke uske paas aayi.

Maasi: Tu jaanti hai na yeh ek risk hai..

Pratima: Maa..Risk kya hota hai woh humse zyaada kaun jaanta hai..Joh hoga dekha jaayega maa..Kehtein hain na ke acchhe ke saath acchha hi hota hai..Gaurav acchha hai maa..Uske saath bhi acchha hi hoga..Tu dekhna, yeh kahaawat sach hogi..

Maasi Pratima ka chehra dekhte rahi.

Maasi: Tu kab badi hui, samajh hi nahin aaya..Uparwaala tera saath de..
नशीली आँखें
वो प्यार क्या जो लफ्ज़ो में बयाँ हो 
प्यार वो है जो आँखों में नज़र आए!!
Like Reply


Messages In This Thread
RE: AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - by simba6o9 - 06-09-2019, 08:43 PM
RE: AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - by Rajaalfa - 06-09-2019, 08:47 PM
RE: AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - by kick789 - 06-09-2019, 10:33 PM
RE: AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - by kick789 - 07-09-2019, 11:41 PM
RE: AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - by Eswar P - 10-09-2019, 06:49 AM
RE: AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - RUNNING - by Nasheeliaankhein - 15-10-2019, 05:33 PM



Users browsing this thread: 10 Guest(s)