16-01-2019, 07:35 PM
Ye sab meri hi hain – maine kaha
Lekin inme to medical law banking aur pata nahi kaun kaun si books hain – wo boli
Haan kuch meri mom ki hain aur kuch papa ki aur law ki jitni hain wo sab meri hain – main boli
Arey baap re itni sari books law ki abhi se tumhare pas hain – wo munh farkar dekhti hui boli
Haan dear – maine kaha yahan aur kis ki book hongi mere pas
But inko kaun parh sakta hai inme se zyadatar to uthengi hi nahi mujh se – wo hanste hue boli
Uth bhi jati hain aur parhi bhi jati hain yahan pe jitni books hain unme se zyadatar maine parhi hui hain – main boli
Kyaaaaaaaaaaaa – wo kursi se kood kar khari hoti hui boli
Haan dear isme itna hairan hone ki kya bat hai – main boli
Itni books parhne ke bad bhi tum zinda ho amazing yaar – wo kuch zyada hi achambhe me thi acha ye kitni ungliyan hain wo apne hath ki kuch finger ko meri ankhon ke samne lahrati hui boli
Char – main boli
Ankhen to sahi hain tumhari itni sari kitaben parhne ke bad tumko to andha ho jana chahiye tha – wo boli acha is liye tum itni zyada napi tuli hui baten karti ho aur hamesha shant rahti ho kyunki kitaben parh parh kar tumhara dimagh to sookh gaya hai bilkul
Acha ho gaya tumhara lecture ya abhi baki hai – main boli
Haan ho gaya class is over tum log apne ghar ja sakti ho – wo boli aur zor zor se hansne lagi
Aur fir hum log niche aa gaye tabhi seema aa gayi aur hum logon se baten karne lagi maine shahnaz se kaha tum seema ke sath baith kar study karo aur main chuzi ke sath apne room me aa gayi aur hum dono baten karne lage
Chuzi mujhe se meri life ke bare me puch rahi thi maine usko bataya usne meri mom dad aur shahnaz ke bare me sab kuch detail me pucha maine usko bataya
Yaar tum to bahut hi bahadur bachchi ho maan gayi tum ko lekin tum akeli nahi ho kitne logon ko apna bana rakha hai tumne – wo boli
Hmmm is mamle me tum sabse age ho tumhara jawab nahi – main ne kaha