16-01-2019, 06:48 PM
update
Kitaab ko side table par rakh kar maine mobile me time dekha to 12:50 hua tha
mobile rakh kar maine maine light off kar dii aur ankhen band kar lii din bhar ki thakan ki wajah se soch rahi thi ki jaldi so jaun lekin nind nahi aa rahi thi aur ye waqt ho gya tha
Aankhe band kiye main sochne lagi
ghar aakar hum log diner kar chuke the jo seema aur uski mom ne taiyar kiya tha aur shahnaz so chuki thi aur dinner ke bad ek bar fir meri chuzi se baat hui thi
fir main room me aakar book lekar bed pe aa gayi thi lekin nind abhi tak nadarad thi
Baar baar mera zahan usi taraf ja raha tha jo nayi baaten mere sath us shahar me pesh aayi thi
wo juloos wo seenazani karte hue log aur unki pur dard sadayen jo us waqt ke tazaq me tawazun paida kar rahi thi aur wo siyaah pardon par likhi hui tahreeren
Wo imarat aur us par likhi hui wo line yahi sab baten abhi bhi mere zahan me parwaaz kar rahi thi
aur unki wajah se uth te hue anginat sawal mere zahan ko jhinjhor rahe the
ki akhir in sab ke piche wajah kya hai aur baar bar mere dil me ek hi khyal aa raha tha
In sab ke jawab talash karo
kaun de sakta hai jawab aur jawab milenge to kahan milenge main apne zahan se wo sab nikal dene ki koshish bahut hi zyada kar rahi thi
lekin koi posheeda si maqnateesi quwvat mujhe us taraf baar baar khinch rahi thi
Nind to aa nahi rahi thi is liye main uth gayi aur apni diary lekar apne zahan me uth rahe sare sawal aur us se juri ek ek baat ko apne zahan ki diary se utar kar kaghaz ke panno ki diary pe likhne lagi
kyunki bahut kuch jo ham kisi se kah nahi sakte to apna dil halka karne ke liye usko likh hi lete hain
aur fir main sab kuch likhne ke baad diary ko rakh kar fir let gayi aur ghanto khyalon ke khoyi rahi
pata nahi kab nind mujh par meharbaan hui aur apne khubsoorat paron pe bitha ke mujhe swapan lok me ura le gayi