16-01-2019, 06:43 PM
Hotel se bahar aane par ek raste left ko tha ek right ko hum log right side me chal diye
kuch door yunhi chalne par ek rasta fir right me tha aur samne do raste the hum log right me mur gaye is waqt kohra tha aur kohre me ghumna mujhe bahut acha lagta hai
Pata nahi aap logon ne kabhi mahsoos kiya ya nahi lekin maine bahut baar kiya hai
aur mujhe acha lagta hai jab bahut hi ghane kohre me kafi der tak tahala hota tha to sir ke balon me aur palkon pe kohra jama ho jata hai aur balon aur palkon pe safed safed dikhta hai bilkul waise hi jaise ki balon par baraf jam gayi ho
Aur thora aage jane par wo rasta kuch unchayi par ja raha tha hum log tahalte hue chale gaye upar jake wo fir right me mur gaya tha
maine fir right me dekha to hotel ka back side tha jis me hum log thahre the aur left side me ek bahut hi bada dariya bah raha tha
aur dariya ki taraf kuch zyada hi kohra tha hum dono thora aage jakar left me ek niche utar rahe raste pe chale gaye jo dariya ke kinare le jata tha
Wahan ghane kohre me dariya ke kinare hari ghas pe tahalna bahut acha lag raha tha jisko shayad main lafzon me bayan nahi kar sakti
Yunhi tahalte tahalte hum log aage barhe to dekha wahan ek bahut khoobsurat garden sa bana hua tha
aur bahut hi ache ped lage hue the aur un pedon ke niche table pari thi jis ke around chairs lagi hui thi aur wahan ek fard safayi kar raha tha
Maine us se pucha ki yahan kya hai us ne bataya ki ye ek restaura hai aur sham ko yahan bahut rush hota hai
Ghane kohre ki wajah se kuch zyada dikhayi nahi de raha tha lekin kuch door pe bahut sii stylish boat khari hui thi
wahan se fir hum log wapas usi taraf chal diye jidhar se aaye the maine fir us admi se boats ke bare me pucha to us ne bataya ki bahut se log yahan pe boating karte hain
Kuch der aise hi sahil e dariya pe rahne ke baad hum log wapas chal diye aur jis raste se aaye the us taraf hi wapas ho gaye
us se aage nahi gaye hotel ke pas aakar main hotel ke andar ki taraf jane lagi to shahnaz hath pakar kar khinchti hui boli nahi bibbi ab idhar chalo wo dusri taraf chalne ka ishara kar rahi thi
Hotel se nikal kar pahle hum log right me gaye the is baar left side ki taraf chal diye aur kafi door tak tahalte rahe
aage jane par fir ek rasta right me ja raha tha aur samne hi ek bahut bada sa shoping mall tha
hum log sidhe hi chal diye aur kuch door pe ek bade se gate ke andar ek bahut hi acha sa baghicha tha hum dono andar chale gaye
Andar jane pe humne dekha wahan kafi log the wahan par maine dekha bahut sare plants the jo maine pahle kabhi nahi dekhe the
lekin shahnaz un ko dekh kar ruk gayi aur ek ke baad ek ko dekhi rahi aur mujhe bata rahi thi ki ye falan tree hai aur ye wo plant hai iska botanical name ye hain iska classification exam me aaya tha ye aisa hai ye waisa hai
Main bahut der tak uske sath rahi aur wo wahin ghumti rahi wo bahut hi zyada khush thi fir boli main camera kyun nahi le ke aayi