16-01-2019, 06:42 PM
Nahi beta hum log ghumne nahi aaye hain
sirf chuzi ki wajah se yahan aaye hain aur tum apne camera bhi nahi layi ho baghair camera ke tumhara ghumna bekaar hai – main boli
Camera ki koi baat nahi wo
Mujhe pata hai aap kya kahne wali hain – main uski baat ko katte hue boli
Kya kahne wali thi main – wo mere seene pe charh kar boli
Aap kahne wali thi ki camera ki koi baat nahi bibi wo aap mujhe dusra le do – main boli
Haan haan main yahi bolne wali thi – wo boli
Mujhe pata hai lekin dear hum log yahan ghumne ke irade se nahi aaye hain
aur itne paise lekar bhi nahi aaye hain ki main tumko ek camera khareed kar dun – main boli
Ok – bibbi – wo mayoos hote hue boli
Tum udas mat ho dear main tumko yahan fir kabhi leke aaungi aur tum khoob ghoom lena
pura shahar aur tum apna BSC final kar lo to jo camera tum kahogi wo main tumko le ke dungi wo chahe jitney ka ho – main boli
Promise – wo boli
Ye its my promise – maine kaha aur wo mere gale se lipat gayi
aur yunhi mere seene pe sar rakhe hue wo so gayi aur main aaj ke din ke bare me sochne lagi is shaher me ana aur chuzi ke sath hospital me rahna
uske bhai aur papa ke udas chehre aur fir wo juloos yahi sab sochte sochte pata nahi kab main bhi so gayi
Subah main jaldi hi uth gayi ab main apne ghar me to thi nahi is liye chai bhi nahi bana sakti thi
main room ki balcony me aa gayi aur bahar dekhne lagi hotel ke samne hi ek road thi jis par log is waqt morning walk ke liye nikle hue the aur samne hi ek bahut bada sa college tha
kuch der yunhi balcony me kahri sadak ko niharti rahi subah ka mausam bahut suhana tha aur kohre ki chadar is subah ko apni aghosh me liye hue thi aur fir main wapas room me a gayi
Maine hospital phone kiya to uncle ne uthaya maine un se pucha wo bole ki chuzi to abhi so rahi hai aur ab kafi thik hai
Meri awaz sunkar shahnaz bhi jag gayi thi
Kya hua bibbi sab thik to hai – wo bed se uthte hue boli
Haan beta sab thik hai maine phone kiya tha to chuzi ke papa ne bataya ki sab thik hai aur wo so rahi hai – maine us ko bataya
Chalo zara bahar tahal kar aate hain aas pas to ghoom lo tum yahan – main us se boli
Shahnaz fauran hi taiyar ho gayi aur hum dono hotel me niche a gaye dining hall me hum ne sirf chai pii aur bahar aa gaye