16-01-2019, 06:41 PM
Naye shahar me waise hi thora dar lagta hai sab anjaan log us par ye itne bada juloos main aage chalti ja rahi thi
tabhi dekha ki road ki side me ek line se bahut se stall lage hue the jo ki siyaah tent me the aur wahan sab log kuch pee rahe the
main aage barh gayi to ek aur stall pe dekha kuch etfaal apne hathon me disposal cup liye sabko pani pila rahe the ,aur kuch doodh takseem kar rahe the aur kuch chai coffee bhi de rahe the
tabhi main ek stall ke samne se ghuzri to ek tifl ne mujhe roka main aur shahnaz wahin ruk gaye us ne hum dono ko coffee ka ek ek cup diya hum dono ne shukriye ke sath le liya aur peene lage
thandhak ki is raat me coffee akseer se kam nahi thi hum dono wahin khare hokar coffee pine lage
hum logon ne coffee khatam ki to kuch tifel aake mujhe dudh ke cup de gaye
main mana nahi kar payi kyunki wo bahut masoom the un ki masoomiyat par meri taraf se ye jahan qurbaan main kaise mana karti
shukriye ke sath hum dono ne cup le liye aur peene lagi tabhi meri nazar us stall ke upar lage banner pe gayi jispe urdu me likha tha SABEEL
Oooh to ye sabeel hai – main apne aap se boli
Bahut acha laga mujhe ye -is tarah Pani Dudh sharbat sab ko pilana mujhe bahut pasand aaya wo bhi baghair ye puche ki tum kaun ho kahan se aayi ho
kya mazhab hai tumhara kuch bhi nahi sab ko ek hi tarah se serve kar rahe the un etfaal ki nazar me sab barabar the
dudh ka cup khatam karke main us ke samne baith gayi aur shafqat se us ke sar pe hath fera aur khari ho gayi
kuch samajh me to nahi aa raha tha lekin is mahaul ki har ek baat ab mere dil ko chu rahi thi aur ab aage barhne ka dil nahi kar raha tha
Tabhi maine ek stall ke andar ek parde pe likha hua dekha wo ibarat Arabic me likhi hui thi
jisko main aasani se parh sakti thi kyunki jisko urdu aati hai usko Arabic parhne me koi pareshani nahi hoti lekin Arabic meaning samajhna zara mushkil hota hai
wahan likha hua tha -- ...........
maine is ibarat ko parha ye parhne me bahut chota sa sentence hai lekin meri nazar is se nahi hat rahi thi aur main isi barat KO baar bar parh rahi hi
Yunhi kuch der tak parhne ke baad main wahan se hat gayi aur sochne ko majboor thi
aakhir kaun the wo log jinko pyasa qatal kiya gaya qatal kiya gaya to kyun kiya gaya
aur agar unko qatal hi kiya jana tha to pyasa kyun kiya gaya lekin in sab ka jawab mere pas nahi tha
aur apne thamte hue kadmo ko aage barhati hui main chal di
Shahnaz boli bibbi ye kitna acha hai lekin main apna camera nahi laayi mujhe afsos ho raha hai –wo boli
Koi baat nehi beta hum log kisi programme se to aaye nahi the – main boli
Main soch rahi thi ki ho na ho ye itna bara juloos aur ye seena zani karte aur haye haye bolte hue logon ka in pyase logon se hi koi talluq hai