16-01-2019, 06:35 PM
UPDATE AAYA
Kya hua puttar itni raat me tu bahar kyu hai – mujhe dekh kar aunty ghbrakar boli
Maine aunty ko puri bat bata dii
Koi baat nahi tu fakar mat kar main chalta hun – uncle ne kaha aur wo niche aa gaye
Auncle ne apni car nikal lii maine ghar ko lock kar diya aur shahnaz ke sath sah seema bhi mere sath chal dii
Kuch hi der me hum log hospital pahunch gaye chuzi ka bhai harsh bahar ki khara tha
mujhe dekh kar wo bhagta hua mere paas aaya aur hum logon ko andar le gaya chUzi emergency ward me thi main uske pas gayi
lekin uski ankhen band thi uske drip lahi hui thi aur oxygen bhi laga hua tha
Uske papa ne kaha ki docter ne yahan se dusre city ke hospital le jane ko bola hai aur abhi fauran hi hum log nikal rahe hain
Lekin uncle isko hua kya achanak din me to bilkul thik thi mere sath hi college se wapas aayi thi – main hairaani se boli
kyunki ye baat mere gale hi nahi utar rahi thi samajh me hi nahi aa raha tha ki achanak isko kya ho gaya
Beta bukhar aa gaya achanak – wo itna hi bol paye the ki tabhi harsh akar bola ambulance aa gayi hai
Fir mere samne se hi usko strechr pe le jaya gaya apni shararaton se sabko hila dene wali larki ko aaj kuch log dhakelte hue le ja rahe the
main uske piche bhagti hui gadi tak aayi aur usko ambulance me lita diya gaya
aur oxygen cylinder ke sath drip ko bhi wahin set kar diya gaya
ek bar maine uska hath pakra hamesha jhinjhor kar rakh dene wale hath bilkul bejaan the uske papa aur bhai bhi usi ambulance me baith gaye aur mere samne hi gadi siren bajati hui raat ke sannate ko chirti hui aage barh gayi
Usi ke piche meri car bhi chal dii kyunki dusre city ka rasta mere ghar ke aage se hi nikalta tha aur mere ghar tak uski gadi mere aage hi chalti rahi
ghar ke pas pahunch kar mai road pe hi utar gayi aur apni ankhon se door hoti ja rahi uski gadi ko dekhti rahi
Ambulance kab ki nazron se ojhal ho chuki thi lekin main fir bhi wahin khari hui thi
Chalo beta ghar chalo ye awaz sunkar jaise main apne hosh me aayi dekha to uncle surjeet aunty ke sath seema aur shahnaz dono khari thi
Mujhe nahi pata kab uncke ghar pe car khari kar aaye aur fir aunty ke sath wapas aakar mujhe awaz dii main thake hue qadmo se sab ke sath apne ghar chali aayi
Ghar aakar main ne shahnaz se kaha tum so jaao wo chup chap apne room me chali gayi wo bahut hi zyada sahmi hui thi abhi tak wo kuch bhi nahi boli thi isi liye main ne usko mana kiya tha lekin wo nahi mani aur sath chali gayi
_