07-10-2019, 07:01 PM
(This post was last modified: 07-10-2019, 09:44 PM by Logan555. Edited 1 time in total. Edited 1 time in total.)
Surya Puja Chariot Race
Lakhan ka safed rath aur pratiyogi 1-2 ke kaale aur laal rath lagbhag neck to neck saath saath chal rahe the kabhi koi aage ho jata to kabhi koi. Aur chautha pratiyogi apna neela rath lekar bahut aage nikal gaya tha wo to door door tak kahi nazar hi nahi aa raha tha. Wo jitni aage nikal gaya tha ab use harana bahut mushkil lag raha tha. Philhaal laal rath doosre number par tha. Aise me wo kale rath wala lakhan ke rath ke ekdum kareeb akar unse baat karne laga.
Black Chariot: Kya baat hai lakhan jee manna padega is umra me bhi kya khoob maintain kara hai aapne khud ko.
Lakhan rath chalate hue: Shukriya par achha hoga ye baate hum baad me kare philhaal apne rath chalane me dhyan de.
Black: Ab dhyan dekar bhi kya fayda ho jaega lakha jee wo Neela wala to bahut aage nikal gaya hum teeno kuchh bhi kar le use nahi pakad paenge.
Lakhan: Koshish karna humara kaam hai aage parinaam jo ho.
Black: Baat to sahi keh rahe hai par agar koshish bhi is tarah ki jae taki parinaam bhi humare favour me ho to.
Lakhan: Matlab
Black: Dekhiye ab agar hum sahi tareeke se yuhi rath chalate rahe tab to jeetne se rahe par agar hum dono milkar khele to hum dono hi ye race jeet sakte hai.
Lakhan: Kya kehna chahte ho khul kar kaho.
Black: Dekhiye aap jo grah siddhi ki puja kar rahe hai uske liye ye race jeetna chahte hai aur mai un 20 lakh rupiyo ke liye ye race jeetna chahta hu. Agar mai aur aap mil jae to hum sabse pehle is laal rath wale ko gherkar race se bahar kar denge phir wo neela wala bhi to isi raste se wapas aaega raste me use bhi daboch lenge uske baad aap ye race jeet lena aur uski jo prize money hai wo mujhe de dena. Apko apki jeet mil jaegi mujhe mere paise. Kya bolte ho?
Lakhan: Tumhare sirf rath ka rang hi kala nahi hai tumhara dil bhi utna hi kala hai. Par lakhan singh zindagi aur khel kahi bhi beimaani nahi karta.
Black: Par mai to.....
Lakhan: Bus dafa ho jao yaha se mujhe tunhare saath koi saudebaazi nahi karni.
Black: Ok as u wish mai to aapke fayde ki hi baat kar raha tha.
Lakhan singh apne rath ki gati badate hue aur laal rath wale ko pachhadte hue aage nikal gae ab lakhan ka rath doosre sthan par tha aur kala aur laal rath unke peeche. Lakhan tez tez rath chalae ja rahe the aur un dono ko aage nikalne ka koi mauka nahi de rahi the. Par achanak ek mod par kale aur laal rath unke agal bagal me aa gae aur lakhan singh ka rath unke beech me dab gaya. Lakhan singh na rath ko aage le ja pa rahe the na peeche.
Black: Lakhan jee maine apko ek deal di thi par apne to inkaar kar diya par uske baad maine ek deal is laal wale ko di ki humme se koi bhi jeete jeet ki rakam aadhi aadhi bategi.
Red: Aur maze ki baat ye hai ki maine wo deal maan li. Isliye ab apko is race se bahar hona hoga.
Black: Oye lale di jaan saamne jo kachha rasta dikh raha hai waha kuchh aage ek reteela daldali zameen hai chal lakhan jee ko udhar le chalte hai.
Red: Jaisa tum kaho brother.
Wo laal aur kala rath lakhan ke rath ko dabae hue kache raste par utar gae aur lakhan jee ko unke beech daba hone ki wajah se usi taraf mudna pada. Aage kuchh door par wo daldal nazar aa raha tha uske daldal ke kareeb pahuchte hi kala aur laal rath lakhan ke rath se alag hokar daldal ke dai aur bai taraf pahuch gae par lakhan jab tak apne rath ko ghumate uske rath ka ek pahiya daldal me jakar phas gaya.
Lakhan singh to rath se koodkar rath se utar gaya par uska rath daldal me samata ja raha tha. Lakhan apne rath ko bahar kheechne ki koshish karne laga.
Black: Chaliye lakhan jee aap apne rath ko bahar nikalne ki koshish karte rahiye hum tab tak race me aage badte hai. Abhi us neele wale ko bhi rokna hai beech rasaste me warna apke chakkar me kahi wo na nikal jae.
Red: Ha par rath nikalne ki koshish karte karte itna aage na chale jana ki khud bhi daldal me chale jae aur yaha koi apki cheekh sunne wala bhi na ho. Aur aapki wo sexy si dulhan waha mandap me apka intezaar hi karti reh jae.
Black: Waise inki dulhan to badi hot aur sexy hai suna hai inse umar me aadhi hai. Aap uski chinta na karo agar aapko kuchh ho bhi gaya to hum hai na hum apni apni patniyo ke saath apki patni ko bhi sambhaal lenge.
Lakhan singh gusse me unki taraf lapke par wo dono tezi se apne rath ko aage badakar waha se bhaag khade hue. Lakhan kuchh door unke peeche bhaage par unhe ghodo ke hinhinane ki awaaz sunai di jo rath ke saath saath daldal ki taraf khiche chale ja rahe the. Lakhan wapas us daldal ke paas laute aur ghodo ki madad se rath bahar kheechne ki koshish kari par unki har koshish bekar rahi aur koi rasta na dikhne par unhone ghodo ko rath se alag kar diya.
Par unke aankhe gusse se laal thi unhe kisi bhi keemat par un dono ko sabak sikhana tha. Lakhan ne rath se azaad hue un ghodo me se ek ki lagaam thami aur unke rath ke peeche daud pade.
Ghoda chalane me to waise bhi lakhan singh ka aas paas ke gai gaanvo me koi muqabla nahi tha. Lakhan singh ka ghoda tez gati se daud raha tha par achanak lakhan singh ki nazar raste me kinare khade us neele rath par padi. Rath par koi nahi tha wo pehla naujawan jo sabse aage chal raha tha wo gayab tha. Wo samajh gae ki ye bhi zaroor un kale aur laal rath walo ka kaam hai. Unhone us rath ke paas pahuch kar idhar udhar dekha to unhe thodi door jhadiyo ke paas wo yuvak zameen par gira dikh gaya. Lakhan apna ghoda lekar uske kareeb pahuche to dekha wo hosh me hai par karah raha hai yani un dono ne iske saath maarpeet ki hogi. Lakhan singh ne ghode se utarkar use sambhala usne bhi lakhan singh ko apne paas dekha to use bhi thodi himmat aai.
Lakhan: Utho tumhara ye haal un kale aur laal rath walo ne kiya hai na.
Blue: Lakhan jee aap aa gae wo dono to keh rahe the ki unhone aapko bhi race se bahar kar diya hai.
Lakhan: Koshish to ki thi par lakhan singh aise kal paida hue laundo se haar manne walo me se nahi hai.
Lakhan singh use sambhal hi rahe the ki tab tak wo kaale aur laal rath wale bhi waha pahuch gae.
Black: Oh lakhan jee aap yaha maan gaya aapko bade deeth kisam ke bande ho. Bada suna tha aapke baare me ki aap jaldi haar nahi mante aaj dekh bhi liya.
Lakhan singh ne bhi palat kar unhe dekha unke haath me apne apne jhande the.
Red: Kya bolte ho inhe bhi yahi chitt karde taki ye race puri na kar sake.
Black: Are rehne de waise bhi abhi to inhe jakar apna jhanda lana hai phir wapas aana hai tab tak to hum race jeet bhi jaenge. Aur waise bhi suna hai apne se aadhi umar ke pehelwaano ko hara dete hai agar abhi inke hatthe chad gae to masal ke rakh denge hume isliye nikal lo yaha se.
Lakhan singh ek baar phir unki taraf lapka par wo dono tezi se aage bad gae. Lakhan singh apne ghode par baithne ko hue par tabhi us ghayal rathi ke karah sunai di jo ab bhi zameen par pada tha aur use is waqt madad ki zarurat thi. Lakhan singh wapas uske paas gae wo behosh sa ho raha tha. Lakhan singh ne use khada karne ki koshish ki par wo khada bhi nahi ho pa raha tha.
Blue: Lakhan jee mere pair me saap ne kaat liya hai mera sir ghoom raha hai.
Lakhan: Kya
Lakhan singh ne uske pair ko dekha to ek pair me saap ke katne ka nishan bana tha. Lakhan jee kisi tarah use sahara dekar uske rath tak le aae aur use rath par lita diya.
Blue karahte hue: Aaahhhh Lakhan jee mai janta hu ye race jeetna aapki grah puja ka ek hissa hai mmmmm aahhh l aur mai apki haar ki wajah nahi banna chahta. Aap mera rath lekar race me aage badiye aur apna jhanda lekar un dono ko haraiye. Aaaa
Lakhan: Tumhe jald se jald ilaaj ki zarurat hai nahi to zeher tumhare pure shareer me fail sakta hai. Isliye race jeetne se jada zaroori is waqt tumhe ashram pahuchana hai.
Blue: Par agar aap bina apna dhwaj liye wapas gae to aap haare maane jaenge.
Lakhan: Meri jeet haar kisi insaan ki jaan se bad kar nahi. Aur agar tumhari jaan khatre me daal kar mai ye race jeet bhi gaya to wo mere liye kisi haar se kum nahi hogi.
Lakhan singh ne us neele rath ki lagaam thami aur rath wapas ashram ki taraf dauda diya. Is baar lakhan singh ka rath pehle se jada tezi se daud raha tha kyuki us baar sawal kisiki zindagi aur maut ka tha.
Lakhan singh rath daudate hue usi sthan tak pahuch gae jaha se wo dono rath sawar unka rath us kachhe raaste par le gae the. Achanak unke kaan me kisi ke cheekhne ki awaaze padi jo us kachhe raaste me daldal wali taraf se hi aa rahi thi.
Awaaz: Bachao koi to bachao.
Lakhan singh wapas rath us kachhe raaste me utar diye aur jaise hi wo us daldal ke kareeb pahuche wo shock reh gae. Kyuki wo laal rath wahi daldal ke kinare khada tha aur usko chalne wala rath sawar aadha daldal me gada hua tha aur jitna wo bahar nikalne ki koshish kar raha tha utna hi wapas gadta ja raha tha.
Lakhan singh ko dekhte hi wo ek pal ko bada lajjit hua par phir apne kie ki maafi mangte hue khud ko bacha lene ki vinti karne laga.
Red: Lakhan singh jee mujhe maaf kar dijiye mai us kale wale ki baato me aa gaya tha.
Lakhan: Tum dono to inaam ki rakam aadhi aadhi baatne wale the na to tumhara wo saathi kaha chala gaya tumhe chhod kar usne nahi bachaya tumhe.
Red: Wo sach me dil ka kala tha pehle mujhe apni baato me lekar meri madad se aapko aur us neele rath wale ko race se bahar karwaya aur phir mujhe hi dhoke se yaha daldal me phasa kar chala gaya. Ab tak wo ashram pahuch bhi gaya hoga. Mujhe bacha lijiye lakhan jee mai is daldal se nikal nahi pa raha hu.
Lakhan: Tumhare jaise dhoorta makkar insaan ke sath yahi hona chahiye. Jab mujhe isi daldal me phasa kar gae the tab ye khayal nahi aya tha ki meri bhi jaan ja sakti thi.
Red: Galti ho gai mujhse mai lalach me andha ho gaya tha mujhe maaf kar dijiye.
Lakhan: Bilkul nahi tum isi ke layak ho.
Lakhan ne rath wapas mod liya wo laal rath wala lagatar cheekh kar unse bachane ki vinti kar raha tha.
Red: Nahi lakhan jee mujhe yu yaha chhod kar mat jaiye mai mar jaunga. Please lakhan jee mai bhi apki bete ki umra ka hu aaj shaadi honi hai meri. Aap to bade ho itne kathor mat baniye saza dene se maaf karne wala jada bada hota hai mujhe yaha marne ke liye chhod kar mat jaiye.
Lakhan jee ne rath mod to liya tha par unse aage nahi bada ja raha tha. Finally apne gusse ko shant karte hue wo apne rath se utre aue paas hi lage ek bargad ke ped ke latae tod unse ek rassi banai aur use us laal rathi ki taraf uchhal diya jise usne pakad liya aur phir lakhan singh ne use daldal se bahar kheech liya. Bahar aate hi wo lakhan singh ke pairo me gir pada.
Red: Mujhe maaf kar dijiye manin apke saath itna bura kara phir bhi apne meri jaan bachai. Mai apka kaise shukriya ada karu.
Lakhan: Koi baat nahi galtiya insaan se hoti hai par koshish karna ki zindagi me dubara kabhi beimaani ke raaste par na chalo kyuki beimaani ke raaste par chalne ka anjaam isi tarah bura hi hota hai.
Red: Jee mai apki ye seekh hamesha yaad rakhunga.
Tabhi lakhan jee ko rath me behosh pade us neele rath wale ka khayal aya.
Lakhan: Chalo is rath par baith jao hume jald se jald ashram pahuchna hoga ise jald se jald ilaaj ki zarurat hai. Ise saap ne kaat liya hai
Red: Saap ne kaat liya par jab humne ise waha chhoda tha tab to ye theek tha shayad humare aage jane ke baad ise saap ne kata hoga.
Lakhan: Tum ise hosh me rakho mai rath ko tezi se ashram tak pahucha dunga.
Red: Jee
Lakhan singh aur wo laal rath wala bhi us rath par sawar ho gae. Laal rath wala us neele wale ko hosh me rakhne ki koshish kar raha tha aur lakhan singh tezi se rath ko ashram ki taraf liye ja rahe the. Lakhan singh ka rath tezi se ashram me dakhil hua saamne pratham dvitiya aur tritiya sthan ka podium bana tha jisme wo kale rath wala pratham sthan par khada tha wahi bagal me vineeta aur pradhan pujari bhi khade the. Lakhan singh ne apna rath seedha pradhan pujari ke saamne roka aur unhe neele rath wale ki halat se awgat karaya.
Lakhan: Pujari jee ise saap ne kaat liya ise upchar ki zarurat hai isko bacha lijiye.
Pujari: Theek hai hum dekh lenge.
Itna keh kar lakhan gusse me pehle sthan par khade us kale rath wale ki taraf use maarne ko bade par pradhan pujari ne unka hath pakad kar unhe rok liya.
Lakhan gusse me aag babula the.
Pujari: Race harne par itna gussa.
Lakhan: Mujhe gussa race harne ka nahi iski ghatiya harkato ka hai aur mai ise sabak sikha kar rakhunga. Pujari jee mera hath chhod de aap jante nahi isne ye race kaise jeeti hai.
Pujari: Kya kara isne us laal rath wale ke sath milkar apke rath ko daldal me giraya us neele rath wale ko ghayal kara aur phir apne hi sathi ko daldal me gira kar yaha aa gaya yahi na.
Lakhan: Aap sab jante hai aur phir bhi apne ise yaha khada kar rakha hai. Kyu
Pujari: Abhi batata hu.
Pujari ne ek baar zor se taali bajai aur rath par behosh pada wo neele rath wala ekdum bhala changa unke saamne akar khada ho gaya aur uske wo laal rath wala bhi tha.
Lakhan: Tum theek ho tumhe to saap ne kaat liya tha.
Achanak wo kaale rath wala bhi unke saath akra khada ho gaya aur wo teeno ek doosre ko dekhkar muskurane lage.
Lakhan: Tum dono is par gussa hone ki bajae ek doosre ko dekhkar muskura rahe ho aakhir ye ho kya raha hai.
Pujari: Iska uttar apko mai deta hu. Jaisa ki apko bataya gaya tha ki is pratiyogita ke teen charan honge par wo teen charan teer chalana rath chalana aur jhanda lana nahi the. Ye sach hai ki bhagwaan surya ko teerandaazi aur chariot race ati priya hai par bhagwaan surya sirf teer ya rath ke devta nahi hai. Wo Nyay ke devta hai Gyan aur sachhai ka prateek hai. Aur te partiyogita bhi apke antarik guddo ki pariksha thi.
Lakhan: Mujhe kuchh samajh nahi aa raha aap kya keh rahe hai.
Pujari: Ye sach hai ki is pratiyogita ke teen charan the par ye wo charan nahi the jo aap samajh rahe the. Aur na hi is pratiyogita me apke alawa aur koi pratiyogi tha isme aap aur sirf aap hi ekmatra pratiyogi the. Is pratiyogita ke teen charan wo teen pratiyogi the jo is pratiyogita me aapke sath rath chala rahe the.
Lakhan: Kya ye teeno mai ab bhi kuchh nahi samjha.
Pujari: Is pratiyogita ka pratham charan tha wo Kala rathi jab usne apko offer kara tha ki aap aur wo mil kar beimaani aur anaetikta se ye race jeet le. Wo apki naetikta ki pariksha thi. Agar us waqt aap uska offer maan lete to aap pehle charan me hi haar jate par use mana karke aap naetikta ki pariksha me safal rahe. Aur apka rath bhi daldal me isliye fasaya gaya tha kyuki ye ghatna bhi surya se judi hai surya putra Karna ka rath bhi isi tarah daldali zameen me phas gaya tha usi ghatna jeevant karne ke liye apko bhi usi paristhiti me dala gaya.
Lakhan ka muh khula ka khula reh gaya aur usne us kale rathi ko dekha jise wo ab tak galat samajh rahe the.
Pujari: Pratiyogita ka doosra charan tha wo Neela rathi jab wo apko ghayal awastha me mila aur usne apko bataya ki use saap ne kaat liya hai aur zeher uske shareer me fail raha hai. Usne bhi apko vikalp diya ki aap uska rath lekar race me aage bad sakte hai ya aap wapas laut kar uske pran bacha sakte the. Ye aapke Swartha aur Dayaluta ki pariksha thi. Aur race jeetna apke liye zaruri hone ke bawjood apne niji swartha ko darkinaar kar kisi ke pran bachane ke liye khud ko race se bahar karke is dayaluta ki pariksha me bhi aap safal rahe. Aur aapki jankari ke liye bata du isne khud apne aapko saap se katwaya tha wo bhi bina zeher ke aur jo kuchh usne aapse kaha wo sab jhoot tha.
Lakhan ne us neele rathi ko ghoor kar dekha aur muskura diye.
Pujari: Pratiyogita ka teesra aur aakhiri charan tha wo Laal rathi jisne apko us daldal me giraya tha apki patni ke bare me anuchit baate kahi thi aur aapke man me apne liye krodh paida kara tha. Aur phir khud daldal me phasne par aapse khud ko bachane ki vinti kari thi. Wo aapke Krodh aur Sayam ki pariksha thi. Wo apki pariksha lene ke liye khud daldal me phasa tha, ek baar jab aap use chhod kar palat gae to laga ki aap is charan me fail ho jaenge par apne krodh ko kabu kabu karte hue sayam se kaam lete hue aapne apne dushman ke bhi prano ki raksha karke is teesre charan ko bhi paar kar liya. Aur apko bata du ye teeno is vivaah me sammilit hone aae dulhe nahi balki mere hi shishya hai jo alag alag charan par alag alag tarah se aapki pariksha le rahe the. Aur in teeno hi charano me aap puri tarah safal rahe.
Lakhan un teeno rathiyo ke paas gaya aur unhe haath jod kar pranam kara.
Lakhan to Blue: Manna padega marne ki acting to aap shahrukh khan se bhi achhi karte hai.
Blue: Maaf kariye lakhan jee ki maine aapse jhoot bola.
Lakhan: Koi baat nahi.
Lakhan to Black and Red: Mujhe maaf kar dijiye maine aap dono ke bare me bahut galat socha.
Black: Maafi to hume aapse mangni chahiye ki humne apki patni ke bare me anuchit baate boli par yakeen maniye humara udeshya sirf apka krodh bhadkana tha aur kuchh nahi.
Lakhan: Mai samajh sakta hu ki aap dono sirf apne hisse ka kaam kar rahe the.
Pujari: Surya dev ki puja me ayojit ki gai ye nyay pratiyogita ab samapt hui sabhi dulha dulhan ke jodo se anuradh hai ki wo ashram me jakar vivaah ke liye tayaar ho jae. Kuchh samay baad arya reeti se 101 jodo ka vivaah hoga aur uske baad wo sabhi jode naach gaa kar surya dev ki puja aur apne vivaah ka utsav manaenge. Lakhhan jee aur vineeta jee aap dono bhi vichaar kar le ki kya aap dono sachhe man se ek doosre ko pati patni maante hue ye vivaah karne ko tayaar hai. Agar ha tabhi is vivaah me sammilit ho kyuki surya dev ke saamne jhoot ka koi sthan nahi.
Surya dev ki puja ke paach charan to unhone pure kar liye par asli chunauti to ab thi ki kya wo sachhe man se ek doosre ko pati patni maan sakte hai. Dono ke man me el doosre ke liye feelings to thi par wo feelings kya is level ki thi ki wo ek doosre ko pati patni ke roop me swikaar kar sake. Ye to puja ke agle charan me hi pata chalega.