Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
kahan kahan se guzar gia
#20
UPDATE .................................66
charpai ke sar ki tarf se bheeni ki tarf se 1 mard aa raha tha jo hum ko hi dekh raha tha jaisy hi meri nazar os par pari meri tou sans hi ruk gi main jildi se shehnaz ke oper se utha aur apny kapray pakar ke apny jisam ko cover karny laga meray es tarh uthnay se shehnaz ko bhi surat e hal ka andaza hoa ik bat main ne note ki keh jab meri nazar us par pari wo heriyan tou hooa hi tha lakin us ky chalny ki speed kam ho gi thi us ke pass punchny se pehlay shehnaz ne bhi apna jisam cover karny ki koshash ki
os admi ki age koi 40 saal ho gi jaisy jaisy us ky qadam humary pass aa rahy thy waisy waisy meri jan nikal rahi thi aur main kamp raha tha shehnaz ki halat bhi waisi hi ho gi lakin mujhay os ki kuch khabar na thi mera rang red se yellow ho chuka tha dil ki dharkan saaf sunai de rahi thi main ne yeh suna hoa tha keh agar koi bhi ayasy kam karty pakray jain tou un ko qatal kar dia jata hai es liye wo admi mujhy os waqat mout ka firashta lag raha tha wo pass aya aur garjdar awaz min bola kon hai yeh harami aur tum yahan yeh sab karti ho mujhay os waqat os ki gali sun ky koi gariat na aai agar aam halat min wo ayasa karta tou main os ki zuban nikal laita lakin ab halat kuch aur thy

phir wo agay bhara aur os ne mera giraban pakar lia aur mujhy 2/3 thapar bhi laga diye tab shehnaz agay bhari aur os se boli bakhshoo (os admi ka naam) yeh khan ka baita hai agar es ne khan ko bata dia tou wo tumhari jan nikal de ga (hum os waqat mali tor par itny mazboot nahi thy lakin hamara khandan larai jhaghroon min mashoor tha aur humari mali halat bhi esi liye theek na ho saki thi) shehnaz ki baat sun ke bakhshoo ne mera giraban tou choor dia lakin larkharti awaz min bola khan ka baita hai tou kia matlab hai hum ghareeboon ki izatoon se khailta rahy ga ........................ main tou ayasy gum sum khara tha jaisy mujhay sanp soongh gia ho lakin shehnaz boli konsi humari izzat aur tum kon hoty ho humary ghar ke mamlat min dakhal deny waly shehnaz ki bat sun ke bakhshoo bola aany do os begariat ko abhi os ko batata hun tumhary kartoot............... tab shehnaz ne kaha bata do jis ko marzi aur ab yahan se dafa ho jawo .............. mujhay shehnaz ki batain aur khofzada kar rahi thi main chata tha shehnaz bakhshoo se koi panga na le
lakin wo tou os se ayasy bat kar rahi thi jaisy kuch hoa hi nahi

phir shehnaz mery pass aai tou main thora peechy ho gia tab wo boli khan darny ki zaroorat nahi main ne tum se yari lagai hai tou main tumhary sath hun aur shehnaz dobara bakhshoo se boli chalo jawo yahan se mujhy es sary waqiye se hairat ho rahi thi keh shehnaz ne na tou koi minnat ki hai aur na hi os ko mana kia keh kisi ko na bataye wo tou ayasy os par gussa kar rahi thi jaisy shehnaz ne bakhshoo ko rangay hathoon pakra hai

" ULTA CHOR KOTWAL KO DANTNAY WALI MISAL YAHAN FIT HOTI HAI"

bakhshoo wahan se bhaini ki tarf chal pra tou main ne shehnaz ko kaha......... yeh tum ne kia kar dia agar ab es ne abba ji ko bata dia tou wo mujhy zinda nahi chorain gy .......................... meri bat sun ke shehnaz hasny lagi aur boli tum tou aurtoon ki tarh dar rahy ho tum ne dekha nahi jab main ne os ko gussa dekhaya tab wo agay se kuch bola............ main bhi soch min par gia keh shehnaz theek keh rahi hai keh jab shehnaz ne bakhshoo ko danta tab wo chup ho gia ............ main ne shehnaz se poocha yeh hai kon tab wo boli yeh mera dever hai aur mujhay pata hai es ko kaysay set rakhna hai ..... jab mujhay pata chala yeh os ka dever hai tou main ne shehnaz se kaha shehnaz tum kuch karo mujhy nahi lagta keh bakhshoo ab khamoosh rahy kion keh os ne hum ko dekh lia hai tab wo hansi aur boli mujh pr bharoosa rakho tum nahi janty lakin main janti hun wo kisi ko kuch nahi bataye ga main shehnaz ki batoon se muatmin tou na hoa lakin main kar bhi kuch nahi sakta tha

os ke bad wahan koi bat na hoi shehnaz ne mujhay kaha tum pershan na ho aur yahan bethoo main tumhara kam kar ke aati hun jis kaliye tum aye ho main charpai par beth gia tou shehnaz bhaini ki tarf chali gi aur thori dair bad ik bartan la ke mujhay de dia aur kaha yeh lo main ne bartan min dekha tou os min murghi ka gosht tha .............. main ne poocha murghi kis ne zabha ki tou wo boli bakhshoo ne main ne os ki tarf herani se dekha tab wo meri baat samjhty hooy boli wo humaray kamray min hi betha hai aur main ne tum se kaha tha na wo kisi ko nahi bataye ga ab tum pershan na ho aur kal dopahir ko ana main yahan tumhara intizar karoon gi main heraini aur pershani min wahan se nikal aya

chacha ji ke ghar puncha tou khaloo ke alawa sab hi haal room min bethay hooy thy , main ne kiran ko goshat wagira dia ...... mona ne mujhay pani pilaya aur main bhi sofy par beth gia ,, chachi ji aur khala ik hi sofay par bethi thi jo darwazy ke pass tha main samnay waly sofy par beth gia mona aur kiran side waly sofy par thi tab kiran boli mazdoor tum ko mazdori tab milay gi agar mazdoori bhi karo gy main tou bhaini waly waqiye se bohat pershan tha agar bhaini wala waqya na hoa hota tou kiran ki yeh bat sun ke main bohat khush hota lakin main be jan sa bana wahan betha hoa tha meri khamoshi ko shahid chachi ji samjh gi thi .......... chachi ji boli nahi aj rehny do sara saman kamray min hi hai kal rakh laina aj mehman aye hooy hin aur babar itni door se paidal ja ke dhoop min goshat laya hai aur mujhay lag raha hai babar thak bhi gia hai aur garmi bhi lag gi hai es ko humari batain sun ke khaloo sahib bhi bahar aa gy aur bol hi pary kia kaam karna hai kal tab chachi ji os se boli keh babar aur kiran ne paitoon se sab saman aur bistar nikaly hooy hin un ko dhoop lagwai thi babar wo rakhwany aya tha aur main ne keh dia hai aj nahi kal rakh laina...................... chachi ji ki baat sun ke wo masoof phutt hi pary baji ap bhi bachoon jaisi hi batain karti ho jawan bachian hin ap ki aur ap jawan larky ke sath un se kam karwati ho khaloo ke munh min abhi baat thi keh chachi ji bol pari kia matlab hai tumhara kon jawan larka tum babar ki baat kar rahy ho yeh hamara bara beta hai yeh achi baat nahi hai tum es masoom ke bary min ayasi batain karo chachi ke lehjhay ko wo bhi bhanp gia aur khala bhi tab khala ne beech min par ke sari baat ko suljhaya chachi ka 2 tok lehjha dekh kar wo peshab ki jagh ki tarh beth gia aur pehlay tou main un ke samnay sofy par akila hi betha hoa tha chachi ji ne mujhay apnay pass bula lia aur thoora side par ho ke mujhy apny sath betha lia ab sofy min chachi aur khala ke beech min main betha hoa tha chachi ne mujhay apny sath laga lia aur apna ik bazu meray galy min dal ke apny sath lagaya ..................... main sari karwai main khamoosh tamashai hi bana raha keh jaisy meray bary koi bat nahi ho rahi yeh baat nahi keh main khaloo ki baat samjha nahi ya un ki baat mujhay buri nahi lagi meray bas min hota tou main wahan hi os ki gand maar deta lakin chachi ka apny liye piyar dekh ke meray dil min un kaliye bohat izzat barh gi
khaloo ne ik aur chaval mari wo yeh keh jab un ki daal na gali tab un ko aur tou kuch soojhi na wo khala se boly ........................... fozia tum idher aa jawo meray pass ........ chachi ne khaloo ki tarf dekha phir khala se boli jawo bibi nahi tou yeh pata nahi kia sochay sab hi khamoosh thy keh meri nazar kiran aur mona par pari main ne saaf un dono ki ankhoon min gussa dekha lakin wo chup hi thi

itnay min kiran wahan se uthi aur chachi ji se boli ammi ji ap aur khala ji kitchen ka kaam kar lo hum oper ja rahy hin aur sath hi mera bazoo pakar ke khanchny lagi main abhi wahan betha hi tha keh mona bhi uth khari hoi aur chachi ji se boli main bhi oper hi ja rahi hun chachi ji bhi khamoosh hi rahi es mahool min wahan se uthna aur un dono ke sath oper jana mujhay ajeeb lag raha tha kiran ne phir thora sakhat lehjhay min mujhy uthnay ka kaha aur thora bazoo bhi khancha main bhi wahan se uth gia meri nazar khalo par pari jo gussay aur ajeeb nazroon se mujhy dekh rahy thy main ne un ke dekhnay ko nazar andaz kia tab wo dono mujhay le ke oper chali gi
oper aa ke main khamoshi se saman ki tarf bharana chaha lakin kiran ne dobara mera hath pakar lia aur mujhy apni tarf khanck ke boli babar khaloo wali bat se hum ko bhi gussa aya es liye hum oper aa gy aj kam nahi karna bas sory hi bolni thi main ne kiran ki tarf dekha phir mona ki tarf wo munh se tou kuch na boli lakin os ki ankhoon min jo kuch tha wo main samjh gia tha keh os ko bhi khaloo ki batain achi nahi lagi

main ne bohat mushkal se apny chehray pr hansi lany ki koshash ki aur un se kaha koi baat nahi mujhay un se kia laina dena jab chachi ji ne wahan sab ke samnay un ki class le li hai tou in batoon ka ab kia faida waisay bhi mujhay kia laina dena khaloo se aur unhoon ne konsa yahan rehna hai wo tou mehman aye hin aur unhoon ne chaly jana hai

meri bat sun ke kiran ne mera hath chora aur kamray se charpai nakalny lagi mona mery pass hi khari thi aur ayasta se boli khaloo ki batoon ko dil pr mat lagana pata nahi wo aa kahan se gy hin jis andaz se wo boli mujhay os par bohat piyar aa raha tha dil kar raha tha agay barh ke os ko apny galy se laga loon aur tamam hadood aur qayood tor dun mujhay os waqat yeh tou pata na tha jo meray aur mona ke beech pechly dinoo se jo kuch ho raha hai es ko kia naam dun aur yeh baat bhi nahi thi keh main lafaz mohabat se aashna nahi tha mujhay pata tha piyar bhi hota hai lakin es ki nishani kia hai yeh nahi janta tha .................... mona ke jazbat sunty hi main ne apna hath agay barhana chaha osi lamhay mujhy kiran kamray se charpai nikalti nazar aa gi aur mujhay os ki mogoodgi ka ahsas hoa

kamray ki dewar ky saye min kiran ne charpai bacha di aur main os par beth gia ik side par kiran aur ik side par mona beth gi mona thora faslay par hi thi tab kiran boli ab munh kion latka ke bethay ho ab os ko kia batwoon keh meray sath khaitoon min kitna bara waqya ho chuka hai main pershan tou tha keh bakhshoo abba ji ko ya kisi aur ko bata de ga lakin kiran aur mona samjh rahi thi main khaloo ki batoon se dis heart hun

hum 3no hi bethay thy keh chatt par un ki khala bhi aa gi wo hum ko charpai par betha dekh ke halki si smile se boli oh main samjhi tum loog kam kar rahy ho tum tou yahan beth ke gappain mar rahy ho hatoo mujhy bhi bethnay do ............. mona thora aur side par ho gi aur khala bhi charpai par beth gi ab surat e hal yeh thi keh kiran aur un ki khala ki thigh meri thigh se full press thi un ki khala bethty hi boli babar apnay khaloo ki batoon ko dil par na laina un ki adat hai main chup hi tha keh mona bol pari ...................... lakin khala baat karty hooy insan ko sooch tou laina chiyye na keh wo kia baat kar raha hai aur kis ke bary kar raha hai sath hi kiran boli ....................... dekho na khala babar ko tou choro ap batwo un ki batoon ka matlab kia hai wo hum ko samjhta kia hai khaloo ko pata nahi hai humaray ghar min piranda bhi par nahi marta aur wo hum pr hi dhakay chuppy lafzoon min alzam laga raha tha agar ammi wahan na hoti tou main ne khaloo ko aj achi khasi suna deni thi ...................... kiran ko gussay min dekh ke os ki khala ne smile bhi di aur boli keh sharam karo wo tumhary khaloo hin tab kiran boli yeh bat ap un se bhi karti keh wo humaray khaloo hin baap na banain
khala meri tarf dekh ke boli babar tum hi in ko samjhawo aur khud batwo main pehlay bhi aati thi kia main ne tum min kibhi koi farq kia hai main ne kaha nahi khala ap meri bhi khala hin aur kiran ko kaha kiran ab chor do sab batain wo bary hin unhoon ne agar koi baat kar bhi di hai tou koi baat nahi jaisy hi main ne yeh baat ki kiran ne sab se nazar bacha ke mujhay meri kamar pr chutki kati aur mujh se boli zaida aba ji na bana karo har baat min tab khala boli tum log gup shup lagawo aur main neechy jati hun

un ke jany ke bad kiran ne dobara kaha khala bhi khaloo ke rang min rangti ja rahi hai esi tarh kuch dair batain hooi phir main ne un se ajazat li aur wahan se ghar aa gia meri pershani khatam na hoi thi aur main apny utray hooy chehray ke sath hi ghar min dakhal hoa sab apny apnay kamoon min busy thy shaam hony ka manzar tha main chatt par aa ke lait gia aur aany waly waqat kaliye khud ko tiyar karny laga lakin meray zehan min koi bhi hall nahi aa raha tha keh agar bakhshoo ne kisi ko bata dia tou kia ho ga main khailoon min hi ghum tha keh mujhay nahi pata kab sham ka andhera ho gia tab mujhay sehiroon se kisi ke oper aany ki awaz aai main ne nazar os tarf kar li tou kia dekhta hun keh uzma aur mona meri tarf aa rahi thi main laita raha uzma meray pass aa ke boli bhai yeh nawabzadi aai hai main ne mona ki tarf dekha aur ishray se hi poocha mera ishara samjhty hooy wo boli ap ko ammi ji bula rahi hai ..................... main ne kaha kion kia kaam hai tab uzma boli ap ko kaam se hi bulaya ja sakta hai kia chachi ji ne kaha hai aa ke un ke sath khana khaoo main ne kaha mujhay tou bhook nahi hai tab uzma ne mona se kaha miss meisni tum bhai ko uthawo main kapray neechy rakh awoon aur uzma taar se kapray utar ke neechy chali gi

uzma ke jany ke bad mona boli ab tak ap naraz ho main ne os ki tarf dekha aur kaha ab tak ka kia matlab hai main naraz na hoon na naraz tha .............. mona phir boli khaloo ki wajha se ap naraz ho , mona meray pass khari thi main ne himmat kar ke os ka hath pakar ke os ko charpai par betha lia aur kaha khaloo ko dafa karo os ka zikar kahan se aa gia os ki wajha se main tum se naraz kion hoon ga , mona beth chuki thi lakin main ne os ka hath nahi chora tha aur os ne bhi apna hath churany ki koi koshash na ki ................. main ne poocha andhera ho chuka hai tum akili kion ghar se nikli tab wo boli keh mujhy papa chor ke gy hin wo khud dairay se doodh lainy gy hin aur mujhy yahan chor gy hin keh ap ko sath le ke jawoon ...................... dairay ka sun ke keh chacha ji wahan gy hin meri tou hawa nikal gi keh ab wahan chacha ji ko sab khabar ho jay gi aaj waly waqye ki

mujhy khamoosh dekh ke wo dobara boli awo na chalty hin .......... main ne dobara kaha main ne kaha na mujhay bhook nahi hai tab wo boli ap se khaloo ki batoon ki mafi tou mangi thi ..............ab main os ko kaysy batata keh main kis wajha se nahi aana chata ............... mona ne apna dosra hath bhi agay bharaya aur mujhay uthany lagi aur sath boli ap awo mery sath agar ab kisi qism ki koi baat hoi tou khaloo ki khair nahi ................. mujhay mona ki har baat par pehlay se zaida piyar aa raha tha lakin main bhi kia karta mona meray itnay qareeb thi lakin main os se na os ky dil ki koi baat kar raha tha aur na apni koi bat kar pa raha tha main majboor ho chuka tha

mera haal tou es time yeh tha

" aaya doba te lun te charrya"


apni halat pe mujhay ik lateefa yaad aa raha hai


sardar ji apny totay ke sath jahaz min safar kar rahy thy keh jab qareeb se air hostes guzrnay lagti tou tota os se kehta sohaniyoo chummi te de diyoo, totay ki baat sun ky air hosts smile kar deti jis se sardar ji ne bhi try ki aur air hostes pass se guzarnay lagi tou sardar ji boly sohaniyoo chummi te de diyoo ; sardar ji ki baat sun ke air hostes ne sardar ji aur totay ki complain administrator se kar di tou faisla hoa keh totay aur sardar ji ko jahaz se neechy phaink dia jay , jab un dono ko neechy phankny lagy tab tota sardar ji se bola malko udd v laindy o jis par sardar ji ne kaha nahi ; tou tota bola te fair pain nahi yawwani c


meri halat bhi same 2 same wohi thi keh sar par hawas sawar thi tab anjam yaad nahi tha ab main pershan betha tha aur mona ko pershan kiye ja raha tha wo bechari samjh rahi thi main un ke ghar min hony wali be izati ki wajha se nahi ja raha

mona phir boli ab utho bhi aur sath hi us ne mera hath khancha main charpai se uth ke beth gia aur os se kaha qasam se main naraz nahi bas mera khany ko dil nahi kar raha tab mona boli dil kar raha hai ya nahi kar raha ap bas meray sath ja rahy ho marta kia na karta min bhi charpai se khara ho gia aur mona se bola tum bohat ziddi ho jaisy hi chalny lagy wo boli thnxx os ke thnxx bolny par main ne apna bazoo mona ke shoulder par rakh dia aur os ko side se hi apnay sath laga lia


UPDATE .................................67

mujh se aur tou koi baat na hoi aur hi soojh rahi thi jaisy hi main ne mona ko apny sath lagaya mujhay bohat hi acha feel hoa aur main ne os se kaha mona tumhary khaloo theek hi keh rahy thy keh jawan larkioon ..................abhi itni hi baat kahi thi keh mona bol pari ap khaloo ki batoon ko aur khaloo ko dafa karo mera hath shoulder se hota hoa os ke shoulder se zara neechy bazo par tha jis ko main ne apni muthi min lia aur hum esi tarh chalny lagy tab wo ayasta se boli ab ap naraz tou nahi ho na main wahan ruk gia kion keh main chaa raha tha mona meray sath hai aur waqat kisi tarh ruk jay mujhy bohat acha lag raha tha os ko apnay sath laga ke jaisy hi main ruka aur wo bhi ruk gi main ne apna bazoo os ke shoulder se hata ke ik qadam aur agay bhara aur samnay ho ke os ke dono shoulders ko side bazoo se apni muthi min ayasta se le ke kaha nahi main naraz nahi hun aur ik hath os ke shoulder se hata ke os ke sar ko apny seeny pr kia os ne bhi aram se apna sar meray seenay par tika dia

mona sar mery seeny par tikaye hooy hi boli main tou dar gi thi keh ap naraz ho gy ......................... main ne kaha mona main tum se kibhi naraz nahi hun ga jaisy hi main ne yeh alfaz kahy mona ne apna ik bazoo meri kamar par rakh dia ...... kamar par bazoo rakhny se os ka thora sa jisam mujhy touch hoa tou mujhay andaza hoa os ka jisam kapkapa raha hai jab main ne khud par ghoor kia tou mujhy andaza hoa keh os ka jisam hi kapkapa nahi raha mera bhi waisy hi kapkapa raha hai mujh min sakat nahi thi main mona se koi baat karoon na hi meri zuban koi lafaz ada karny ke qabal thi aur os ki halat bhi mujh se mukhtalaf na thi beshak thori si hi wo mery galy lagi hoi thi lakin wo lamha meri zindgi ka qeemti tareen lamha tha main cha kar bhi os lamhay ko taveel na kar saka kion keh hum dono ko hosh tab aya jab neechy se kisi ke oper aany ki aahat hoi hum ik dosray se alag hooy aur neechy utarny lagy tab dekha sehiroon min tou andhera tha lakin awaz se pata chala keh uzma oper aaana chaa rahi thi hum ko aata dekh ke wo peechy murtay hooy boli miss meesni akhar kamyab ho gi bhai ko lany min

jaisy hi main aur mona neechy utarny lagy main ne mona ka hath pakar lia jo os ne ba khooshi meray hath min de dia aur hum neechy aa gay , ammi ji ne mujh se poocha putar kia baat hai kion meri bachi ko pershan karta rehta hai kion es se naraz hota hai main ne mona ki tarf dekha aur kaha ammi ji ap es ki batoon min na aya karo uzma theek hi kehti hai yeh miss ........abhi main ne miss hi kaha tha keh uzma bol pari miss meesni sirf main hi keh sakti hun aur koi nahi keh sakta bhai ap es ka koi aur naam rakhoo mona chup kar ke khari thi keh ammi ji ne agay bhar ke os ko galy se laga lia aur kaha khabar dar kisi ne meri beti ko tang kia ................... ammi ji ka mona se yoon piyar karna mujhay bohat acha lag raha tha ammi ji ke galy lagy hooy meri nazar jab mona par pari wo mujhy hi dekh kar smile kar rahi thi ,,ammi ji mona ko galy lagaye hooy hi boli ab agar tum ko koi tang kary tou mujhay batana main en ko seedha kar dun gi jis par uzma boli hum sab mil kar es miss meesni ko seedha na kar dain gy tou mona ne masoomiat se ammi ji se kaha bari mamma dekh lain ap appi ko ,, ammi ji ne kaha es ko tou main ne dafa hi kar daina hai tab ammi ji boli keh babar tum log jawo hum bhi thori dair tak aty hin mehmanoo ko milny tab mona boli bari mama ap bhi awo na sath tou ammi ji boli keh putar sab ko khana dena hai fargh ho ke awoon gi aur hum dono wahan se nikal pary

gate se niklty hi main ne ne kaha ammi par kia jadoo kia hai tum ne tou mona boli main ne konsa jadoo karna hai bari mama sab se zaida mujh se hi piyar karti hin .............. gali min andhera tha hum dono sath sath hi chal rahy thy main ne dobara mona ka hath pakar lia os ne bhi koi baat kiye bagir hath mujhay de dia aur hum khamooshi se un ke ghar min aa gy hum dono ab tak khul ke ik dosray se izhar e mohabat na kar saky thy

sab hi sehan min charpioon par bethy thy chachi aur un ki sister ik charpai par thy khaloo ik charpai par laity hooy thy kiran kitchen min thi main side wali charpai par beth gia mona mery samnay wali charpai par beth gi aur wo chor nazroon se mujhay dekh rahi thi ab direct light min os ko main bhi dekh raha tha jaisy hi meri nazar os par parti wo nazar neechy kar laiti itny min kitchen se kiran ne mujhay awaz di tou main os ki tarf chal para ................. kiran mujhay dekhty hi boli ab agar wo koi bat kary tou os ko khari khari suna deni hin tum ne tum ne yeh nahi sochna wo mehman hai kionkeh hum ne abbu ji ko bataya hai wo bhi ammi ji se naraz hooy.................. main ne kaha chacha ji se kis ne kaha tab wo boli un se mona ne kaha tha

main kiran se fargh ho ke dobara apni jagha par aa ke beth gia itny min chacha ji bhi aa gay un ko dekhty hin mujhy din wala waqya yad aany laga jo thori dair kaliye mona ki wajha se min bhool gia tha , chacha ji ko dekhty hin meri halat ghair hony lagi main tou es yaqeen ke sath betha tha keh wo waqya chhup nahi saky ga tab chacha ji meray pass aye main un ko dekh ke charpai se khara ho gia tou unhoon ne kaha mera shair putar aya hai aur meray sath hi charpai par beth gy main chacha ji se apni beizati ki tawaqa kar raha tha lakin un ke lehjhay se mujhy lag raha tha chacha ji ko kuch pata nahi chala phir main ne socha , nahi ayasa nahi ho sakta chacha ji mehmano ki wajha se chup hin

chacha ji mujh se boly kia baat hai shair putar chup kion betha hai main ne un ki tarf dekha aur kaha koi baat nahi hai chacha ji , chacha ji boly yar koi bat bhi hoa kary mujhay bataya karo lakin pershan na hoa karo

os ke bad khana lag gia sab ne khana khaya aur dobara apni apni jagha par aa ke beth gy itnay min ammi ji aur shazia bhi aa gy mehmano se mily ider udher ki batain hoti rahi sara time main ne ik baat note ki keh mona ammi ji ke pass hi rahi aur phir hum wahan se uthay aur apnay ghar aa gay sony se pehlay tak main dairay min hony waly waqye ke bary sochta raha keh agar wo baat ghar punchy gi tou kia karoon ga lakin mujhay koi hall nazar na aa raha tha aur mona se aj ka milna bar bar meri ankhoon ke samny aa jata yehi sab sochty sochty pata nahi kab main so gia

subah utha tou fresh ho ke nashta karny ke bad ammi ji ko saman wagira la ke dia aur ammi ji ne kaha keh ab chachi se bhi pooch awo un ko kisi cheez ki zaroorat hai tou laa do un ke mehman aye hooy hin,, main apny ghar se nikla aur chacha ji ke ghar punch gia chachi se saman ka poocha tou unhoon ne bataya keh chacha ji de gy hin saman , main bhi haal room min beth gia jahan sab hi thay mona ke khalo ab koi bat tou na kar rahy thy lakin mujhay kha jany wali nazroon se dekhty rahy

mona , kiran chachi ji aur un ki khala yeh sab mehsoos kar rahi thi main ne feel kia mona aur kiran ne apas min kano min kuch khusar pusar ki chachi ji ne un se poocha kia baat hai tab kiran boli koi baat nahi hai tou chachi ji ne kaha jab mehfil min betha jata hai tou kano min batain nahi ki jati tou kiran ne jal kar kaha ammi ji ap ko pata hai hum kia baat kar rahi hin agar ap zor deti ho tou main bata deti hun chachi ji ne kaha koi zaroorat nahi tum jawo saman rakh lo yeh bat sunty hin khaloo khary ho gy aur boly baji main saman rakhwa deta hun toukiran boli yeh theek hai ayasa karty hin khala ji aur khaloo ji saman rakh dety hin main khana tiyar karti hun , kiran ki bat sun ke un ki khala jildi se khari ho gi aur khaloo se boli chalo ji khaloo kibhi khala ko kibhi kiran ko kibhi mujhay aur kibhi chachi ji ko dekh raha tha tab khala ne os ka bazoo pakra aur oper le gi

un ke jany ke bad chachi smile ke sath hi boli kiran tum bohat khabees ho wo bechara seedha sada sa hai tum ne os ke sath acha nahi kia , tab kiran boli ammi agar wo seedha saada yahan thori dair aur rukta tou main ne aur mona ne programe bana lia tha os ko kaysay wapis bejhna hai ayasy hi batain chalti rahi thori dair bad chachi ji ne pehlay mona aur phir kiran se kaha jawo apny khalo aur khala ko pani tou de awo lakin un min se koi bhi oper na gi , chachi ji ne un ko bohat samjhya keh mehman hin lakin un dono par chachi ji ki bat ka koi asar na hoa main kafi dair wahan betha raha lakin ayasy hi batain chalti rahi ,, chachi ji aur kiran kitchen min chaly gy mona ko kibhi kibhi wo kisi kaam se bula laity jab mona kamray min aati tab meri os se koi khas baat na hoi kion mafia wahan thi aur main mona se itna open nahi tha keh koi bhi bat khul ke karta aur khaloo ki wajha se bhi main ne koi risk na lia abhi kal wala waqya bhi tha main koi aur risk nahi le sakta tha aur na hi kisi ki tarf bhi khud se abhi qadam barhany ki position min tha phir main chachi ji ki ajazat se apnay ghar aa gia

ghar aya tou sab hi ghar par thy uzma ki wohi nok jhok mujhay dekhty hi kehny lagi bhai agar chacha ji ke ghar ka kaam khatam ho gia hai tou apna bhi kar do gay hum ne bhi bisteroon ko dhoop lagani hai main os ki bat sun ky bola tou kuch na bas os ki tarf dekha kionkeh main kuch bolna nahi chata tha abba ji bhi bethay thy lakin wo baaz aany wali kahan thi ab wo mujh se meray sabqa gussay aur dant dabt ky es tarh badlay le rahi thi ....................... uzma phir boli bhai ap ko ab kam karny ka tajurba tou ho gia ho ga main ne phir masoomiat se osy dekha keh meray haal par reham karo lakin os par meray kisi isharay ka koi asar nahi ho raha tha.......................... uzma ne phir kaha bhai ap tou thak gy ho gy wo tou sara kam ap se karwati ho gi na ghar min tou ap kuch karty nahi ..................main ne kaha tha mujhay bhi parha dia karo lakin nahi .......................... phir ammi ji ne uzma ko danty hooy kaha kion bhai ko tang kar rahi ho tou uzma ne saaf goi se kaha meray pass ab hi tou moka aya hai ........................ phir boli bhai os meesni ko bhi le aana tha main os se ik ik badla laiti ap par zulam ka tab aba ji ne kaha betay bhai ko tang na karo tumhary chacha ka kaam kon kary agar babar bhi na kary tou tab uzma boli abba ji chacha ji ka kary bhai kaam os meesni ka tou na kary na aur bhai os ka naam aany nahi dety ap pooch lo bhai se tou bhai keh dain gy mujhay tou kiran ne bulaya tha kam karny ko .......tou abba ji ne kaha chacha kahay kam ya chachi ya koi aur es se kia farq parta hai kaam tou dono gharoon ka babar ne hi karna hai na yeh hi hai es time ghar min bara tumhary bary bhai jab yahan hoty thy tab wo karty thy ab zamedari babar ki hai tumhary chacha ka beta tou abhi chota hai (mujh se bary 2 bhai UK gy hooy thy ik study kaliye gia tha os ke bad os bhai ne dosray ko bula lia dono bhai wahan parhty bhi thy aur kam bhi karty thy ) phir ammi ji ne ayasta se abba ji ke kan min koi baat ki jo main sun na saka lakin un ke face par smile aa gi aur abba ji ki bat main ne suni unhoon ne ammi ji se kaha abhi waqat nahi hai ( mujhay andaza ho gia tha ammi ji ne un ko meri aur mona ki baat ki ho gi )jo baat main samjha tha wohi uzma bhi samjhi thi es liye uzma abba ji se kehnay lagi abba ji waqat tou hai tou abba ji ne os ke sar par hath pherty hooy kaha putar bhai ko tang na kia karo aur yeh dadi amma ban-na chor do phir theek rahy ga babar pehlay ki tarh tum se gussa kary tou uzma boli abba ji ab bhai gussa nahi kar sakta

inhi batoon ke doran main wahan se utha aur washroom min ja ke nahaya aur apny kamray min aa ke lait gia tab uzma wahan aai aur meray pass khari ho ke boli bhai ap ko meri baat par gussa aya hai tou main ne kaha nahi mujhy tou gussa nahi aya tab wo boli mujhay pata tha ap ko gussa nahi aya tou main ne kaha tou phir poocha kion hai agar tum ko pata tha tou wo boli abba ji mujhy keh rahy thy tumhary bhai ko tumhari batoon par gussa aya hai main es liyee ap se sory bolny aai hun aur os ki ankhian nam thi main charpai se utha aur os ko apny sath laga lia aur kaha mujhay tum par kibhi gussa nahi aa sakta main tou ab sochta hun main pehlay bhi tum se gussay kion hota tha

uzma meray sath lagi hoi thi meray zehan min koi bhi galat khiyal nahi tha main tou apni behan ki ankhoon ko nam dekh ke bardasht hi na kar saka tha aur yeh bhi sach tha wo bilkul masoom thi aur bhai ki mohabat min chair chaar kar rahi thi wo side pse min meray galy lagi hooi thi main os ky sar ko apny sath laga ke apny hath ko sar par phair raha tha tab wo mujh se alag hoi aur boli bhai main oil le ke aati hun ap ke sar ki malish kar dun bas es tarh uzma os din , din ko soi na aur shazia bhi meray kamray min hi aa gi uzma ki batain chalti rahi shazia ko itni samjh nahi thi wo bs har bat par hans deti

bas ayasy hi batoon batoon min time ka andaza na hoa tou uzma ne poocha bhai chachi ji ka ke ghar ka sab kaam ho gia tou main ne kaha nahi dobara jana hai aur jaisy hi bat khatam kar ke main ne os ki tarf dekha wo smile kar rahi thi os ki smile dekh ke main ne bhi smile ki lakin bola kuch na wo phir boli bhai ap ne jana hai tou naha lo nahi tou os meesni ne dobara mafia ko bejh dena hai tou main ne kaha yar mujhay kiran ne kaam ka kaha hai os ne nahi tou wo boli kiran ka tou bahana hai aur hans ke bahar jany lagi tab main ne kaha wo log apna kaam apni khala aur khaloo se karwa rahy hin meri baat sun ke uzma ruk gi aur herangi se meri tarf dekhty hooy boli kiaaaaaaaaaaa tou main ne keh dia keh kiran ne kaha tha wo khana tiyar karti hai aur khala aur khaloo saman rakhny ka kaam karain .................. phir uzma ne mujhay kapray diye aur main naha ke tiyar ho ke chacha ji ke ghar kaliye niklny laga tab tak sab ghar waly jag chuky thy mujhay yad aya keh mujhay shehnaz ne bulaya tha lakin meri himmat nahi ho rahi thi os tarf dekhny ki bhi wahan jana tou door ki bat thi ab main ne shehnaz waly waqiye ko halat par chorny ka socha tha lakin phir bhi wo waqya mery demagh se nikal nahi raha tha

main chacha ji ky ghar gia tou darwaza chachi ji ne khola jo chaye banany kitchen min ja rahi thi main un ko chor ke haal room min aa gia samnay sofy par mona bethi thi mujhay dekhty hi ik masoom se smile ki aur sar ko thora neechy jhuka ke mujh se kehnay lagi main tou soch rahi thi ap nahi awo gy............ tou main ne kaha aj tou kam bhi nahi kia aur mujhay ammi ji ne bejha hai ja ke dekh awo koi kam tou nahi tab mona boli agar bari mama na bejhti tou ap na aty tou main ne apnaiyat se kaha nahi main phir bhi aata
mona meri tarf dekh nahi rahi thi os ne apni nazrian farsh par jama ke rakhi thi aur khilly ghulab ki tarh bilkul fresh bethi thi main os ke samny sofy par beth gia aur main ne os se kiran ka poocha tou wo boli wo so rahi hai,,,,,,,,, main abhi os ko uthany gi thi keh chaye banwo lakin wo nahi uthi ,, main ne khala khaloo aur mafia ka poocha tou mona boli mafia bhi so rahi hai aur khala khaloo jab neechy utray kam kar ke un ki halat dekhny wali thi lakin kam bhi adhoora hi chor aye thy khala aur khaloo ki bat karty hooy wo hasnay lagi

main darwazy ke samny waly sofy par hi betha tha bahar se sab mujhay nazar aa raha tha tab main ne mona se poocha tum ne sooi tou wo boli mujhay neend nahi aa rahi thi ............................ main mona se apny aur os ky bary batain karna chaa raha tha lakin mujhay kuch samjh nahi aa rahi thi kahan se sharoo karoon aur kia baat karoon phir main ne poocha tumhara home work ho gia tou wo boli nahi abhi tou sharoo hi nahi kia......................... main ne chonk ke os ki tarf dekha aur kaha kia matlab hai abhi sharoo nahi kia tou sara sara din books min gussi rehti ho mona ko bhi apni galti ka ahsas ho gia tha lakin ab os se koi bat nahi ban rahi thi main ne kaha ayasy tou fail ho jawo gi os ki nazrian neechy thi wo koi bhi jawab nahi de rahi thi hum dono akily thy mera dil kar raha tha kisi tarh main topic par baat ho lakin masla yeh tha keh kaysy ho phir meray zehan min idea aa gia main ne mona se kaha ik glass pani tou dena ...................shehnaz waly waqye ka ab pehlay ki tarh mujhay dar nahi lag raha tha kion keh kafi time ho gia tha aur abhi tak koi bat nahi hoi thi


UPDATE .................................68

mona wahan se uthi aur pani ka glass la ke meray samny khari ho gi main ne ik nazar bahar dali aur pani ka glass os ke hath se le kar sath hi himmat kar ke os ka hath bhi pakar lia kionkeh mujhay yaqeen ho gia tha yeh ab es se agay khud qadam nahi uthaye gi mujhay hi khud min himmat paida karni ho gi jaisy hi main ne mona ka hath pakra tou wo kamp gi aur mujh se hath churany kaliye peechy ko sirki aur zor lagaya lakin main ne hath mazbooti se pakra tha wo ander kamroon ki tarf aur bahar ki tarf dekh rahi thi aur kampy ja rahi thi main ne pani ka glass side par rakha aur os ko apny sath sofy par bethany laga lakin wo beth nahi rahi thi bas apny sar ko kibhi kamroon ki tarf karti kibhi bahar ki tarf karti main ne kaha pershan na ho meri nazar chachi ji ki tarf hai aur tum pershan kion ho rahi ho mona ne kampti awaz min itna hi kaha mera hath choroo na ............... main ne bhi himmat akathi kar ke kaha chor dun ga tum betho tou sahi main ne os ke chehray ki tarf dekha jo sharam se red ho chuka tha main ne ik jhatka dia aur os ko apnay sath sofay par betha lia wo nazar neechy kar ke bethi thi lakin be chain thi dar tou main bhi raha tha keh haal kamray min ayasy mona ka hath pakar ke apny sath bethana kisi bhi khatray se kam na tha agar mona aur main samjhdari ka saboot dety tou wo aram se wahan beth jati ya apni book le ati lakin os waqat na tou hum ko itni lambi plaining aati thi aur na hi kuch sochnay ka time tha

mona ne khamoshi tori aur boli ap bolo kia baat hai .................... main ne kaha main tum se tumhary home work ka pooch raha hun tou wo boli kar loon gi............. main ne kaha main college wala homework nhi tumhari copy wala pooch raha hun tab os ne aur nazar neechy kar li main ne dobara poocha tou wo jildi se sofay se khari ho gi aur main bhi be dheyani min betha tha os ka hath meray hath se chhot gia tou main os ko pakrny kaliye abhi uthnay hi wala tha keh mujhay bahar se qadmoon ki awaz sunai di main ne uthnay ka irada khatam kar dia aur qadmoon ki awaz mona ne bhi sun li ho gi es liye wo mujhay dekhy aur kuch boly begair kamray min chali gi
chachi ji ne aty hi mona ko awaz di tou mona bahar aai wo abhi bhi ghabrai hooi thi hawa tou meri bhi nikli hoi thi khair chachi ji ne os ka koi notice na lia bas be dheiyani se kiran aur mafia ka poocha keh un ko jagaya tou mona ne jhoot bolty hooy kaha keh ammi wo dono hi nahi uth rahi ab bhi un ko hi jagany gi thi mona ki bat sun ke meri jan min jan aai aur chachi ji awazian lagati hoi kiran ke kamray min ja ke os ko utha ke le aai khala khaloo ko unhoo ne nahi jagaya tab mona ne kaha mama ap ne khala khaloo ko nahi jagaya tou chachi ne hansty hooy kaha behtar hai jitni dair so lain wo ,,,,,,,,,,,,


mona darwazy ke sath waly sofay par bethi thi main os se samnay waly sofy par jo darwazy ke bhi samnay tha chachi ji side par ik tapai pari thi os par bethi thi hum chaye pi rahy thy bahar ..............sehan min mujhay kiran nazar aai jo munh dhoo ke tawal se khushak kar ke kamray min aa rahi thi os ke face par smile thi os ki smile dekh ke meray face par khud hi smile aa gi aur ander mona yehi samjh rahi ho gi keh yeh wali smile bhi os kaliye hai khair kiran aa ke bhi mona ke sath hi beth ke chaye peeny lag pari main nazar bacha ke dono ko hi dekh raha tha aur wo dono bhi kuch ayasa hi kar rahi thi

chaye peeny ke bad kiran boli chal meray mazdoor tum ko chaye bhi pela di ab kuch kam bhi kar le tum kia samjhay thy tumhari jan chhooot gi hai kiran ki bat sun ke chachi ji foran boli mera dil tou kr raha hai tum ko akili ko hi sara kam karny kaliye bejh dun main ne mona ki tarf dekha tou os ke face ka rang bhi kiran ki bat sun ke badala hoa tha wo boli tou kuch na lakin os par bhi kiran ki baat nagawar guzari tab kiran boli ammi ji yeh mera aur babar ka masla hai humara mazaq hai apas min ................ chachi ji se pehlay hi mona bol pari api main ne tou ayasa mazaq kibhi nahi dekha ap hi galat batain kar rahi ho mona ki bat sun ke kiran ko gussa aa gia aur wo boli zaida meri maa na bana kar aur apny kam se kaam rakha kar aur kehnay lagi kisi ko koi zaroorat nahi oper aany ki main khud kar loon gi sab kaam ........

kiran ke jany ke bad main ne chachi ji se kaha .............. chachi ji main ne ap ko mana bhi kia tha ap na bola karo................... chachi ji boli babar tum ko nahi samjh yeh kitni badtameez hoti ja rahi hai ghar ka thora kam kar laiti hai tou kia matlab jis ko jo dil kary wohi kehti rahy gi main es ki hadiyan tor dun gi tum ne dekha nahi kitni badtameezi kar ke gi hai os ko andaza hi nahi apni maa se bat kar rahi hai tum ne kibhi mona ke munh se aysi batain suni.................... mona apni tareef sun ke khush ho gi ................ main ne bhi chachi ji ki bat ko agay bharaya aur kaha chachi ji mona aur kiran min bohat farq hai mona bohat samjhdar hai .............. meray munh se apni tareef sun ke mona tou khud min sama hi nahi rahi thi meray bas min nahi tha main tab mona ki tareef min zameen aasman ik kr deta ......................... phir main ne chachi ji se kaha main kiran ko samjha doon ga aur ap ko humary muamlat min nahi aana chiyye ...chachi meri baat par kuch na boli aur sirf itna hi kaha aj khud kary gi sab kam tou aqal thakany aa jay gi ....... main ne kaha ayasy aqal thakany nahi aati

main wahan se utha aur oper chala gia .......kiran ko dekha jo dosri paiti khud hi set kar rahi thi aur ro bhi rahi thi khala khaloo ne waqye hi kaam sahi tarh nahi kia tha paiti bhi sahi jagha par nahi thi aur saman bhi bohat sara bahar hi para tha kisi tarteeb se nahi rakha tha main agay bhara aur os se kaha yeh tum akili se nahi ho gi tab wo gussay se boli chaly jawo yahan se mujhay kisi ki zaroorat nahi hai main agay bhara aur os ka bazoo pakr ke bola

""digi khoty ton ain te gussa kumhar te""

(giri gadhay (donkey) se ho aur gussa kumhar par nikal rahi ho ) keh tum ko danta tou chachi ji ne hai aur naraz mujh par ho rahi ho ................ jaisy hi main ne yeh fiqra punjabi min kaha tou wo khilkhala ke hans pari apna sab rona dhoona bhool ke aur mujh se boli ab tum batwoo tum kumhar ho ya khoty ho ....... main ne kaha main en min se kuch bhi nahi hun main ne tou tum ko misal di hai ... wo phir boli misal min hi bata do tum kon ho tou main ne kaha tum khud hi samjh lo en min se ik main hun aur ik chachi ji hin meri yeh bat sun ke ik lamhay ko os ne kuch socha phir boli bary besharam ho tum khud ho gy khoty ammi ji kumhar hi theek hin ...................... main ne kaha main ja ke batata hun chachi ji ko keh tum un ko kumhar keh rahi ho ...........................tab kiran boli un ko tou mujh par gussa aj hona hi hai kionkeh main ne un ke behnoi ki jo izat afzai ki hoi hai ........... main kiran ka mode theek karny kaliye hansi mazaq hi kar raha tha meri ayasi batoon se kiran ka gussa tou utar chuka tha kam az kam mujh se lakin wo mujhay kam nahi karny de rahi thi keh rahi thi main ne un dono ko aj akily min kam kar ke dekha dena hai aur paiti ke dono kunday pakar ke os ko side par karny ko zor lagany lagi tab main ne kaha tum se nahi ho ga lakin wo akily hi karny ko ba zid thi aur os se ho bhi nahi raha tha kionkeh ab paiti main saman bhi tha main peechay khara sab dekh raha tha

phir main agay bhara aur peechy se apnay hath dono kundoon ke neechy wali side par rakh diye kiran ky hath oper thy halankeh ayasy bhi paiti ne hilna nahi tha lakin main peechy khara kiran ko dekh raha tha jab wo zor lagati os ki bund peechy se bara dilkash manzar paish karti es liye main agay bhara keh thora bohat es tarh kiran se touch ho jawoon ga aur chachi ji par os ko gussa hai es liye un ki dhamki bhi nahi de gi main kiran ke sath laga zahiri tor par paiti ko gaseetny ki koshash kar raha tha lakin asal min os ke sath ghassy mar raha tha jab se kiran ke sath touching aur chair chaar sharoo hoi main ne os ke sath lun tou touch kia lakin gassay nahi mary ab position yeh thi kiran meray agay thi main os ke peechy sath lag ke zor laga raha tha mera lun jo keh ab khara tha kiran ki bund par ragar kha raha tha

kiran bhi koi bachi na thi sab samjhti ho gi lakin wo chup thi halankeh jaisy main ne kunday min hath daly thy es tarh os ki pakar bhi wahan se khatam ho gi thi lakin hum show tou kr rahy thy jaisy zor laga rahy hin tab be dehiyani min mera ik hath jo kunday par tha os ka thora dabawo zaida ho gia mujhy nahi pata tha mery hth ke neechy kirn ki finger bhi dab gi jis ka mujhay ahsas tab hoa jab kiran chillai keh meri fingersssssssssss..... main ne jildi se apna hath hata lia aur kiran bhi seedhi ho gi main os ki fingers ko dekhnay laga wahan kunday aur meray hath ki wajha se acha khasa nishan chapp chuka tha main ne os ki fingers ko apny munh ke qareeb kia aur phoonkian marny laga aur kiran ko le kr charpai par beth gia os ka hath meray hathoon min hi tha aur main phoonkian mar raha tha
hum dono charpai par sath jur ke hi bethay thy os ki legs meri legs ke sath full juri hoi thi main ne poocha ab kaysa hai tab wo boli ab behtar hai main ne kaha tum mujhay bata deti tumhari finger neechy hai tou wo boli tum meri sun hi kahan rahy thy main ne tou kaha tha main akili hi karoon gi main ne kaha agar khud hi sab kar sakti thi tou yeh mazdoor kion bulaya hai aur main ne kaha es mazdoor ki mazdoori abhi baqi hai tab wo boli tum mazdoor thory hi ho main ne kaha ab mazdoori denay ki bat hooi tou apni bat se badlo na tum ne hi mazdoor kaha tha na tou main mazdoor hi hun aur mazdoori bhi loon ga muft min kam nahi karny aya

main ne phir poocha mujh se kion naraz ho main ne koi bat ki hai tou wo boli main tum se naraz nahi hun ab khud dekh lo ammi mona ka kitna khiyal rakhti hin aur mujhy kaha main akili hi kam karoon kiran bolty bolty phir rony lag pari main ne apna bazo os ke shoulder se guzar ke os ke galy ke gird hasar sa bana ke os ko apny sath laga lia os ne bhi apna sar meray sath laga lia lakin os ki hichkiyan barhti hi ja rahi thi main ne os ko chup karany ki bari koshash ki lakin wo bas boly ja rahi thi mujhy tou ghar ki nokarni samjh rakha hai tou main ne mazaq karty hooy kaha tum ko nokrani samjha hai aur tum ne mujhay mazdoor ab tum khud batwoo main ne tumhari baat mind ki hai ............... tab kiran boli main tou tum se mazaq min kehti hun ................. main ne kaha lakin tum ko tou koi mazaq min bhi nokrani nahi kehta aur ayasy hi har bat dil par na le lia karo mery samjhany se os ko kuch tasali hoi aur os ka rona band hoa

phir main ne os ko hathoon se pakar ke utha lia aur kaha keh ab utho jildi se kam kar lain aj tou sirf batain hi ho rahi hin jab wo uth gi tou main ne os ki ankhian dekhi jo rony se red ho chuki thi aur abhi tak beeghi hoi bhi thi main os ke smnay khara tha main thora agay ko khiska aur main ne apni fingers se os ki ankhian saaf ki wo chup kar ke khari rahi main ne phir poocha ab agar tum roi na tou main ne kibhi tumhary ghar nahi ana mujhay lag raha hai sab meri wajha se hoa hai hum aamny samny hi khary thy tab os ne meri tarf dekha aur boli nahi babar tumhari wajha se nahi aur na hi main yeh samjh rahi hun keh tumhara koi qasoor hai main ne kaha phir itna sakhat gussa kion aur main ne hi apny dono hath os ke shoulders par rakh diye os ne meray hath wahan se hataye nahi aur boli bhi kuch nahi .....................main ne mehsoos kia wo kisi gehri soch min doobi hoi hai


main ne dobara poocha tou wo boli babar iam sory agar meri wajha se tum hurt hooy aur dobara os ki ankhian nam hony lagi mujhy os par tars bhi aa raha tha aur main apny lun ke hathoon majboor bhi tha jo kiran ke itna qareeb hony se lun sar utha raha tha ...........main hawas aur hamdardi ki mili juli kaffiyat min tha aur main ne apny hath os ke shoulder se agay ko push kiye aur khud bhi agay ko khisk gia aur kiran ko bhi apnay sath laga lia kiran ne bhi apni bahaian meri kamar ke gird kar li mery hath bhi os ki kamar ke gird thy hum dono ik dosray se galy lagy hooy thy aur yeh pehli bar tha jab main aur kiran galy lagy hooy thy na hi os ne koi nakhra kia aur na mujhay mana kia kiran os waqat apni ammi ke rawaiyya se pershan thi aur os ko hamdardi wala koi chiyye tha aur os ka sara faida mujhay ho raha tha

kiran chup chaap koi bat kiye bagair meray sath lagi hoi thi aur main os se idher udher ki batain kar raha tha jaisy main os ko samjha raha tha keh ayasy hi choti choti batoon par pershan na hoa karo main zaida os ka qasoor nahi nikal raha tha kionkeh main chata tha wo mujhay apna hamdard samjhay aur mera kam bana rahy os se apnaiyat kar raha tha takeh os ko shak bhi na ho kiran ka sara jisam meray sath touch ho raha tha agar yeh kaha jay keh press ho raha tha tou galat na ho ga main ne ayasta ayasta kar ke os ko tight pakrna sharoo kar dia lakin os ne mujhay tight nahi pkra hoa tha kiran ke seeny ky ubhar mujhay apny seeny par feel ho rahy thy os ki thigh ke sath meri thigh touch thi main os ka pora jisam feel kar raha tha main tou phir bhi idher udher ki batain kar raha tha lakin kiran bilkul khamosh thi mera lun bhi machal raha tha zahar c bat hai kiran ne feel tou kia ho ga lakin wo kuch boli nahi phir ayasta se boli babar kaam kar lain aur apny hath meri kamar se hata liye main ne bhi os ko chor dia tab main bola ab batwo tum akili karo gi kam ya main bhi sath karoon
Like Reply


Messages In This Thread
kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 09:40 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 09:41 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 09:43 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 09:46 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 09:49 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 09:56 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 09:58 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 09:58 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 09:59 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:01 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:02 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:04 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:05 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:07 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:09 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:12 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:15 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:17 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:20 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:21 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:23 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:25 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:26 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 03-10-2019, 10:28 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 10-10-2019, 06:54 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 10-10-2019, 06:56 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 10-10-2019, 06:58 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 10-10-2019, 07:02 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by flash speed 321 - 10-10-2019, 07:03 AM
RE: kahan kahan se guzar gia - by shaukeenboy69 - 27-10-2021, 09:04 AM



Users browsing this thread: 2 Guest(s)