Thread Rating:
  • 4 Vote(s) - 1 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH"
#24
UPDATE  3

Aaj Bhi Woh vahi Kar Raha tha , mandir ke bahaari parkote ki diwar pe chadh ke kund ke Pani me patthar fenk Raha tha . Ye uska man Pasand sugal tha time pass Karne Ka  . Usne ek patthar hath me uthaya aur pani me fenk hi raha tha ki Tabhi uski drasti dur uttar ki aur se aate ghudsawar pe padi . Woh ghudsaware tivra gati se ghode ko dauda raha tha aur ghoda apni raftaar se jyada aur apni kshamata se shayad adhik dod laga chuka saaf nazar as Raha tha ...uski chaal Apne aap hi Sara kissa bayaan Kar de rahi thi . Shayad isi liye shorya ne uspar adhik dhyan kandrit kiya.  Ab wo ghudsawar itni kareeb aa chuka tha ki shakal pehachani ja Sakati thi aur shorya ne use pehchana Bhi …. Tabhi ghoda ladkadaya aur ek jor  ki aawaz ke sath Apne asawar KO sath liye Gira .. Kuch kshan chatpataya...aur dam Tod gaya . Shorya turant hi  apni jagah se niche utara aur bahar ki taraf lapaka .


Tab tak ghudsawaar uth chuka tha .. Woh ek lambe kad Ka garam far ke coat pehna hua koi sipahi yoddha dikh raha tha jis ne apni kamar par ek lambi talwaar latka rakhi thi. Woh khud kafi thaka hua dikh raha tha jaise usne ek lambi duri ki avirat yatra ghode ki pith se bina niche utare ki ho . Woh apne gire pade ghode ka nirikshan kar raha tha.

" Tumhara ghoda to ab uthane se raha Subedar ji !" , Shorya ne uske karib ja kar use Uske pad se pukara .

"Bada swami bhakt ghoda tha janab .. mazil par pohchakar hi dam liya !", Woh ghutno pe beth gaya aur ghode ke pith par pyar se hath ferne laga . " Sondurg se bina ruke daud lagayi hai usne , Apni kshamta se adhik , swami ki wafadari ke liye apne prano ki aahuti di hai is ne !" Bina shorya ki taraf dekhe hi woh bola .. uski aankhe dab daba gayi. Ghode ka balidaan uske dil ko chhu gaya shayad.

" Janwar hammesa se wafadar rahe hai insaano ke , aur shayad ye hum insaano ki khuskismati hi hai !" , Shorya ne Kaha.

" Haa , shayad tum sahi ho !" , Phir woh jhat se uth gaya …" Maharaj kaha hai ?" , Usne do tuk Prashna Kiya .

" Woh pooja kar rahe hai , aao aap bhi andar hi aajao .. senapati ji bhi wahi hai ! Waise Kya aap mujhe bata sakte hai baat kya hai ? " , Utsukta vas usne puch hi liya.lekin woh vyakti jawab dene ke bajaye andar ko lapaka . Shorya bhi uske pichhe ho liya . Dwaar par hi senapati satyajeet khade the.

" Kya baat hai Subedar Naagesh , kaise aana hua ? Sab thik to hai ?" , Satyajeet ne Nagesh ko dekhte hi puchha.

" pranam , senapati mohadday , Abhi tak to thik hai lekin aage thik hi rahe aisa hum nishchit tor pe nahi keh sakte !" Nagesh ne thoda  jhuk ke pranam kar kaha . Senapati Kuch Der tak use dekhte rahe , kuch bole Nahi kintu unki aankho me prashna jarur tha.

" Subedar nagesh 2 din se avirat yatra karte hue aaye hai , kaka ! Jarur Kuch bat to hogi !" shorya ne senapati se kaha . senapati ab Bhi nazaro se  nagesh ko tol rahe the Jaise . Phir ….

" Tum mandir ke piche wale kaksh me betho , main maharaj ko lekar aata hun !" , Aur Woh Bina Kisi uttar ki pratiksha kiye andar chale Gaye .

Nagesh shorya ko sath liye  senapati ke bataye kaksha ki taraf badha .

" Tumhe Aarti me sammelit na dekh kar mujhe aashcharya hua shorya"!, Chalte chalte nagesh ne puch hi liya.

" Mujhe in dhakosalo me jyada  yakeen Nahi !" , Shorya ne shushk lehje me kaha.

Nagesh : "Surya devta hum Sab ke devta hai, unke bare me aisa nahi kahte ! Woh hamare rakshak ..taaranhaar hai !", Vishmay se use dekhte hue..

Shorya :" mere liye mere devta meri ma hai ! Aur un ke aage hi ye mastak jhukta hai !Jisne mujhe Pala Woh meri MAA  hi meri ishwaar , Baki sare Kath ke chehre !" Shorya ke mukh se nikali vani me devtao ke prati Uski kadvahat mehsus ki Nagesh ne .. Woh Kamare me ja bethe.

Kuch hi der me yuddhajit Apne bete yudhvir aur satyajeet ke sath aa pahucha . Use aata Dekh Naagesh turant uth khada hua . Chehre par jiske surya ke tej si aabha thi Woh yuddhajit ek 6 futa hadtprust yoddha tha jis ne Kayi maharathio ko apne kadmo me jhukaya tha.

" Subedaar nagesh , Kaho Kya sabdesh laye ho !" 39 Saal ke yuddhajeet ki bhari awaz Kamare me gunji . 

" Maharaj , ek bahut hi buri khabar hai !"  Raja ko pranam karte hue Nagesh Bola " ek saptah pehale hamari sima gasti Dal ki ek tukadi diwar ke uspar Gayi thi . Jin me char jawaan the  ! Unka kaam tha diwaar ke us par faile ANAARYO Ka hamare viruddh koi prayash ho to unki jankaari nikaal na tha. Kintu 3 din pehle in me se sirf ek hi wapas aa paaya ! Woh Bhi ghayal avastha me tha !  Ghode ki rakab me pair uljha na hota uska aur ghoda use khinch kar wapas na lata to hum unke anjaam ke bare me jan nahi pate !" , Woh ek kshan ruka phir… " hos aane ke bad Jo usne kaha us se hum Sab ke hos uda gaye ! Durgpati ne mujhe turant aap ko sandesh dene ke liye bheja! Me 2 din se bina ruke yaha tak pahucha hun !" Woh ek pal ke liye saans lene ke liyee ruka ..Phir  purvat " Maharaj , us jawaan ne bataya ki unhone shwetmanavo ko dekha hai ! hamare tin jawwan unlogo ne hi mar diye the aur Woh shankhya new 100 se jyada the Maharaj !" 

" Nahi ho sakta !" Yuddhajeet ne majbuti se inkaar me gardan hilayi " ikka dukka him manav dikhane ka to praman hai lekin jhund me Woh Bhi 100 se adhik Woh Kabhi Nahi dikhe ! Lagta hai Jawan adhik dar Gaya hai aur Woh aap logo ko Bhi Dara Raha hai jis se ki uski saza khatm ho Jaye aur use Ghar wapas jaane diya jaay!" .

" Maharaj , Woh saja paya hua gunahgaar nahi hai , apitu Apni marzi se juda ek sipahi hai ! Aur Jo Bhi ho maharaj , hum ise nazarandaz kadapi nahi kar sakte !" , Nagesh ne dekha uski is baat ko yuddhajit ne HAA me sar hila ke sweekar kiya to ," Maharaj , laakho logo ki suraksha ki jimmedari hum par hai ! Aur hum Sankhya me kafi Kam ! ek shwetmaanav Bhi 50 pe bhari padta hai jabki agar hamalavar sou se jyada shwetmaanav ho to aap andaza laga sakte hai ki Kya gat ban sakti hai hamari ! Aur bat yahi tak Nahi hai , hamari chinta Ka vishay kuchh aur hi hai !"

Nagesh : "taaran ne bataya ki shwetmanavo ke sath badi sankhyame anaarya Bhi the …!"

Yuddhajit :" ye kaise ho sakta hai baagh aur hathi me Mitrata sambhavta ho Jaye kintu manav aur swetmanavo me Mitrata kaise ho Sakti hai ?"

Nagesh : " Taran aur Uske sathio ne apni nazaro se dekha hai ye , aur agar ye Sahi hai Maharaj to....

" To samjho is dweep pe kaaldut vicharenge … ek Bhi insaan jinda Nahi bachega" ! , Yuddhajeet ke mathe par chinta ki lakire ab saaf  dikhi . " Chahe phir woh aarya ho ya dravid , RASHTRAKUT ho ya asmak .. anaarya Kisi me bhed Nahi karenge ! Sara dweep lasho se paat denge !" 

Nagesh :" Sahi Kaha Maharaj ! 

Yuddhjeet : " hmm , ye toh waakay chinta ka vishay hai !  Is waqt sari chaukiyon pe hamari sannkhya Kya hai ?"

Nagesh : " Sab se jyada hum sondurg par hai Maharaj , hamari sannkhya 287 hai , Baki sari chauki o par naam Matra ke Praheri hai ! Hum Sab muskil se sab milaakar  500 Nahi honge Maharaj !"

Yuddhveer : Hame Apni Sena bhejni Chahiye pita Shree , kyu na me Chala jau ?" , Pehli baar yudhvir ne charcha me bhag liya.

Yuddhajit :"Nahi tum Nahi , satyajeet tum Nagesh ko atithi kash me le jao !  Hum sochenge is baare me !hame maharaj veerbhadra ko bhi suchit karna padega !" Aur Phir Sabha barkhast hui. 
[+] 1 user Likes Rajveer119's post
Like Reply


Messages In This Thread
RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by Rajveer119 - 28-09-2019, 09:19 PM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by Ella - 28-09-2019, 09:48 PM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by The blu - 28-09-2019, 10:55 PM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by raj500265 - 29-09-2019, 03:24 PM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by Gumnam - 29-09-2019, 07:11 PM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by Gumnam - 30-09-2019, 05:55 AM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by amita - 29-09-2019, 07:57 PM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by Rajveer119 - 01-10-2019, 12:15 AM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by raj500265 - 24-01-2021, 01:43 AM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by doctor101 - 26-11-2021, 01:24 AM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by doctor101 - 06-01-2022, 01:41 AM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by doctor101 - 20-01-2022, 01:48 AM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)