30-09-2019, 10:08 PM
UPDATE - 2
UTTARPATH …
Uttarpath barfili wadiyon se ghira MAHADWEEP Ka Sab se Sundar aur manmohak Rajya hai . Uttarpath Ka jikra aate hi dimag me uche uche barfile pahad , devdar ke vruksh , hasin harit wadiya aur man ko chhu Lene wali khubsurat jhilo Ka aksh ubhar aata hai .
Uspar uttarpath ki rajdhani AARYAVRAT ko to dekhte man Nahi thakata . AARYAVRAT AARYO ki rajdhani hai . Aur aaryo ko mahadweep me bahut khas sthan prapt tha . AARYAVRAT Ka durg abhed mana jata tha . Jo aaj tak aparajit tha . Uska silp-sthapatya bejod tha. Aaryavrat ka durg Sardi o me barf me ram jata tha jise dekhna Apne aap me ek behad manoramya drashya tha.
Garmi Ka mousam aate hi barf pighalti thi aur Puri ghati hare liwaas me pehne koi alhad lalana si dikhne lagti thi. Uchi uchi chotiyo se girte jharne aur Tarah Tarah ke full se ladi kyaariya , falo ke baagan aur mevo ki khetiyan , Jharne me atkheliya karti nariyan aur lata o ka jhula bana kar us pe jhulti jawaaniyan , baagano me fal aur meve ki fasal lete purush aur medano mei khelte bachche , kul Mila Kar ghati ka sondarya dekhte nahi banta tha.
Aisi manoram wadiyon ke RAJA the SHRADH DEV jinho ne Apne kaal me pure MAHADWEEP pe apna parchham leharaya tha . unke samay MAHADWEEP ki satta hastaran ke liye Kisi ne prayash Nahi Kiya . Sare rajya unke aadhin sukhi aur samrudh hue . Unke baad unke hi vansh ke raja dweep pe raj karte rahe lekin phir kuchh aisi aandhi chali ki Woh sirf uttar tak simat ke reh Gaye . Kuntala dweep ke shaktisali raja ne kuchh aisa kehar barpaaya ki pure dweep me Mano pralay aa Gayi .Sare rajya tahesh-nahesh ho Gaye . Kuntalo kevShakti pradarshan ke aage sab ne ghutne take diye sivaay uttar ke . Uttar ke aaryo ne jam ke apna loha manvaya lekin kuntal ki Sena me kuchh shaktishali jeev the jinke aage insaani shaktiya aparyapt thi.