Thread Rating:
  • 4 Vote(s) - 1 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH"
#8
Episode 1
"Kya Dekh rahe ho ?  Itni uchai se kuchh dikhta Bhi hai kya ?" , Rutuparn ne diwar ki prachir pe chahal kadmi karte hue kinaare ke Burj par chadhe somdutt ko dekhte hue Kaha . 

Somdutt ne koi jawab dene ki bajaay apni hatheli ko aankho ke upar Rakh Kar or adhik prayash ke sath dur dur tak dekha . Somdutt ek 6 fit lamba tagada Jawan tha jisne thand se bachne ke liye far aur chamde se bana garam coat pahen rakha tha . Kamar me ek taraf talwar bandhi thi toh dusri taraf tivra aavaz dene wala bingul taang rakha tha .

Rutuparn ki poshaak bhi usi ki Tarah thi . Talwar ke sthan par Usne ek bhala hath me le rakha tha. Us ko jab koi jawab na Mila to woh bhi thand se thithurta hua prachir ke Burj par chadh aaya aur Som ke samkaksh khade reh Kar usi disha mein  dur tak dekhne Ka prayaas Karne laga .  

"kuch bata Bhi to yar ?" , Rutuparn ne thithurte hue puchha .

"Kya batau , abhi tak kuchh saaf Nahi dikh Raha lekin…., Usne baat aadhuri chhod Di .

"Kya jindagi hai Sali , Nyunatam tapmaan me thand se sikudte hue diwar ki pehredaari Karo aur badle mei burf ki dawat udaao"! , kudhte hue rituparn ne dil ki bhadash nikaali.

"Ha ha ha , kyu jhalla rahe Ho Bhai , yahi ab hamari niyati hai !  Is se to samjhota Karna hi padega !" ,Som ne haste hue Kaha .

"bhad me Jaye aisa samjhota , jaha pal pal Jan Ka jokhim ho , jindagi Ka koi Maza Nahi aur badale me koi sarmaya Bhi nahi ! Thu ..hai Aise jivan par, Aise Jivan se to mout bhali !" Rituparn bhaale ke sahare akadu baithate hue badbadaya .

"kyu bhulte ho Bhai ye jimmedari bhi hamine khud Apne man se chuni hai ! Laakho logo ki suraksha karne Ka Jo gaurav hai uske samne sare sarmaaye baimani hai ! Bhai , mujhe to sahasikta purn ye diwar ke pehredar  Ka pad bahut Pasand hai !" , Bina uski taraf dekhe Som ne kaha .

"Kon kambakht man se aana Chahta tha yaha ? Ye to mere pas koi dusra rasta Nahi tha is liye aana pada ! yaha hai kya hamari jindagi me Charo taraf faili barf ke siva ! Sali na chahte hue Bhi isaan aadha kilo burf kha jata hai pure din mein !" Apne hatho ko ek dusre ke sath ragadte hue bure man se Rituparn bola . Som ne uski taraf dhyan hi na diyab.

"Ek to Itni tez hawa mein kuch saaf saaf dikh Nahi Raha Aur tu bhi kuch bata Nahi Raha ki kya dekha tha tune ! " , diwar se pith tikaye baithte hue rutuparn ne kaha.

"Kya batau ? , abhi tak main hi kuch thik se Dekh Nahi pa Raha hun , itni tez barfili hawa mein dekhna waakay me muskil Kam hai !" , Us ne purvat usi disha me dekhte hue Kaha .

Tabhi jaise Uske chehre ne rang badala , uski aankho me chamak aayi aur gayi . Uska hath teji se kamar se bandhe ek bade bingul ki taraf badha aur pal Bhar me Woh ek tej aawaz ke sath bingul Baja raha tha. Bingul ki aawaz Uttar ki wadiyon mein gunjane lagi .

Rutuparn vismay me tha , ek dam use kya ho Gaya . Woh turant khada hogaya aur us Disha me dekhne laga jis Disha me somdutt ko kuch dikha tha , jab ki somdutt  jhat se muda aur niche utarne ki sidiyo ki taraf lapaka . 

Ab Rutuparn ko dur se aata ek ghoda dikhayi de Raha tha , Uske pichhe …. Shayad us se bandha kihua kuchh khichta Chala aa Raha tha … Shayad koi vyakti ya koi laash ...rutuparna ke dimag ke sare darwaze Jaise khul Gaye aur Woh Bhi niche ki taraf dekhne laga . Ek baar Baja bingul Kisi Apne ke aagaman pe dwaar kholna Ka Sanket tha.

…………...………………………………………………
Bingul ki aawaz ne diwar ke pragan mei Jaise halchal si macha di . Aanan faanan me diwar ka uttar ki taraf Ka praveshdwar khola Gaya . Pravesh dwaar kholna Bhi koi aasan kaam na tha . Kyu ki Woh koi aam praveshdwar na tha .

730 feet uchi diwar ka paravesh dwaar aam ho Bhi kaise Sakta hai . Diwar na sirf 730 feet unchi thi balki 450 kilometers lambi aur niche se 180 feet chaudi thi Jo uchai tak jate jate 30 feet chaudi  rehjaati thi . Diwar us yug ke silpsthapatya ka utkarsh namuna thi. Itni lambi unchi diwar kisne kaise aur kyu banai ye Apne aap me ek lambi kahani hai jiski charcha fir Kabhi .

Diwar ke bahar or upari hisse par Puri Tarah se barf Jami rehti thi. Dusre Jaise ye diwar barfili Chadar ki Tarah hi Lagti thi. 180 feet us diwar ke andaruni hisse ke aarambh pe ek bada mazboot lakadi se nirmit 20 feet chauda darwaza tha , jise ke dono palle 10 - 10 feet chauda the aur jinko apni jagah se hatane ke liye Kam se Kam 10 das aadmi ki jarurat padti thi . Aage andar Jake 90 feet ke baad ek lohe ke pipe se bana upar ki taraf sarak ne wala bhari vajani darwaza tha Jo ek prakar ke mechanism se dono taraf se  upar uthata aur niche girta tha . Niche girta hi in lohe ki salakho ki nokeeli chotiya jamin me andar tak ghas jati  thi  . Jis se dwaar aur majbooti se bandh ho jata tha .u dwaar ko upar niche karne ke liye Bhi Kam se Kam 10 se 15 aadmi darkaar the . Uske baad fir 90 feet ki duri par bhari lohe ki sapaat Chadar se nirmit upar ki taraf uthane wala darwaaza tha Jo mechanism se sirf aur sirf andar ki taraf se hi upar uthaya ya niche giraya ja Sakta tha . lohe ki Chadar bahar ki taraf se chikni sapat thi . Jis ki aakhar me dhar wala hissa niche girte hi jamin me Kam se Kam 5 se saat feet andar ghas jata tha . MATLAB bahar se use koi Bhi ..koi Bhi khol Nahi Sakta tha.

Is 450  k.m lambi Diwar pe kul Mila kar 9 choukiyan thi Jo Apne aap me ek durg kahi ja sakti thi.  Pehle Har durg ki Raksha ke liye Har durg par 500 ki Sankhya me jawaan tainaat kiye jate the Jo ab sankhya me ghat ke bahut Kam ho Gaye the. 9 durgo me Sab se bich wala paanchva  durg In sari choki yo Ka headquarters tha jo SUVARNA DURG naam se Jana jata tha jaha Ka durgpati DHANUSH KOTI naam Ka dakshin path Rajya Ka ek dravid tha .Jo sare 9 durgo ka Pradhan durgpati kehlata tha. 

Bingul bajte hi durgpati ko suchit Kiya Gaya aur aanafaanan me durg ke tino dwaar khulwaye Gaye .  10 jawano ki ek tukadi lekar durgpati dhanush koti turant durg se bahar nikala … tab tak ghoda aur karib aa Gaya tha aur ab saaf dikh Raha tha ki ghode ki Kathi ke rakab ki rassi se ek insaani jism ulajha hua tha. 
Turant ghode ki lagam ko thaama Gaya aur inssani jism ko us me se nikala Gaya .

Dhanush koti : " ye to TAARAN  hai Jo 4 aadmiyon ke sima gasti Dal ke sath gasht lagane Gaya tha ! Pata Karo jinda hai ya nahi !"

Ek jawaan ne niche jukh ke us jism ka muaayina Kiya , "saanse to chal rahi hai ! Lekin jism buri Tarah se ghayal hai !" 

" Hmm .. thik hai  ise andar le chalo , hos mein aate hi is se pata Karo kya hua , is ke sath Jo 3 jawaan aur Gaye the Woh kyu Nahi loute aur unka kya hua !" , Durgpati ne hukm dandanaaya aur mud Kar bhitar Jane laga . Tino dwaar wapas bandh Kar diye Gaye . 

Taran ko chikitsalay le Jaya Gaya Jo durg me Bani lakadi ki imaarat me 3 kamaro Ka Bana ek kaksh tha . Jaha use prathamik chikitsa Di Jane lagi . 
Use jald hi hose aa Gaya . Usne Apne Charo taraf dekha … phir pata Nahi kyu uska jism patte ki tarah kampkapane laga . 

"Kya baat hai Taran , tum kaamp rahe ho ?",  Kamare me alaav jal Raha tha bavjud use kampta Dekh somdutt ne puchha. " Tumhari tabiyat kaisi hai ab aur tumhare sath Gaye 3 sadashya ab Kaha hai ?" , Jawab me Taran ne Chou taraf aakhe ghumai phir wapsa bandh Kar di. "Tumhari ye dasa kaise hui ? Kya ANAARYO ne phir se hamla Kiya tum logo par ? Bhai tum kuch to batao !" 

Taran ne phir se aankhe kholi , kuch kehne ke liye muh khola lekin bol na paya. Shayad gala sukh Gaya tha , " ise jal pillao !" Som ke kehne par TAARAN ko jal pilaya Gaya . Kuch waqt yun hi khamoshi chhayi rahi . Phir Uske muh se bol fute……jis NE Kamare Ka vatavaran hi badal Diya..

" W..w..Woh..a.a.a.rahe..hai.. a.a.a.ra.h.e he ..dekha, Maine..unko …dekha"...Taran fusfusaaya

Woh phir khamosh ho Gaya .. Som uska bhaygrast chehra dekhta Raha ..TARAN Ki aankhe dur ksheetij ki taraf patharai si Dekh rahi thi ….

Dusri taraf … 
wahi imaarat ke durgpati ke Kamare me …. 
Durgpati :" hame jald se jald ek talashdal bhejna hoga un 3 jawaano ki khoj me !"

Pradhan : " Abhi thoda intazaar Karna uchit rahega ! Ho Sakta hai Taran Ka ghoda bidak Gaya ho aur Woh Kathi me ulzaa hua khincha Chala aaya ! Ho Sakta hai Baki Sab surakshit hi ho aur kal tak lout Aaye !" 

Pradhan durg Ka mukhya salahkar - aur durgpati ke bad Ka mukhya vyakti tha . Har durg aur Rajya me Aise Pradhan niyukt kiye jate the Jo raja , SAMANT aur durg patio ko Salah mashohara de sake .

Durgpati:" hmm .. ye bhi thik  hai lekin sawal ye hai ki ghoda bidaka q ? Hamare ashvo ko khas Tarah ki talim se sajj Kiya jata hai ! Mamuli Karan se wo bidak ne se Raha ! Dusra agar kaaran bada hai to Woh to chinta Ka vishay Bhi ho Sakta hai ! Jald pata lagana sahi rahega !" 

Pradhan :" ye bhi sahi hai , magar wo to TAARAN ke hos me aate hi pata chal hi Jayega ! Woh itna jyada Bhi ghayal Nahi hai ki jald hose me na Aaye !" 

Tabhi ek jawaan daudta hua kamare me dakhil hua " …  JANAAB …. WOH AA RAHE HAI.. US NE UN KO..DEKHA…." , chillatehue Woh bola

Dono Chonk ke khade ho Gaye … aur ek dusre Ka muh dekhne lage …

DURGPATI : " kisne .. kisne kis ko dekha… kya dekha..!" Woh chikhte hue Bola.

" Ji..w.o.h.. WOH… SWET MAANAV … US NE SWET MAANAV KO DEKHA…"

Sunte hi dono hadbadaye ..ek dusre ka chehre dekhne lage....phir.. dono chikitsalay ki taraf bhage ...Aise Jaise koi bhut Dekh liya ho .
………….……………………………………………….

Badi burf ki diwwaar -
[Image: IMG-20190929-175159.jpg]
Like Reply


Messages In This Thread
RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by Rajveer119 - 28-09-2019, 09:19 PM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by Ella - 28-09-2019, 09:48 PM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by The blu - 28-09-2019, 10:55 PM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by raj500265 - 29-09-2019, 03:24 PM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by Rajveer119 - 29-09-2019, 05:53 PM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by Gumnam - 29-09-2019, 07:11 PM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by Gumnam - 30-09-2019, 05:55 AM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by amita - 29-09-2019, 07:57 PM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by raj500265 - 24-01-2021, 01:43 AM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by doctor101 - 26-11-2021, 01:24 AM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by doctor101 - 06-01-2022, 01:41 AM
RE: RAJ - RAMAT : PART 1 "AARAMBH" - by doctor101 - 20-01-2022, 01:48 AM



Users browsing this thread: 3 Guest(s)