27-09-2019, 11:53 PM
SURYA PUJA STHAL
Brahm mahurat me prarambh hua surya siddhi yagya pichhle do ghanto se anwarat jaari tha aur apne ant ki or tha. Aur pradhan pujari ki aakhiri aahuti aur OM SURYAY NAMAH ke jaap ke saath wo yagya samapt hua aur isi ke saath surya puja ka doosra charan bhi pura hua. Ab baari thi agle teen charan ki jo ek pratiyogita ke roop me the. Yagya samapti ke baad Pradhan Pujari Lakhan Vineeta aur baki janmanas ko pandal se bahar le aya. Aur manch par khade hokar janmanas ko sambodhit karne laga.
Pujari: Aaj hum sab jo yaha is samuhik vivaah ke utsav me sammilit hue hai uska sara shreya lakhan jee ko jata hai inhi ke sahyog se aaj ye utsav yaha ayojit ho paya hai. Humare yaha ikattha hone ki ek wajah lakhan je pariwaar par laga grah dosh me surya dosh door karne me inka sahyog karna bhi hai. Isilliye abhi yaha ye surya siddhi yagya sampann kiya gaya. Par is yagya me jo bhi sammalit hua un sabhi ko bhagwaan surya ka aashirwaad milega. Ab yaha hum surya puja ke agle teen charan pure karenge. Par unke baare me batane se pehle hum yaha vishesh roop se konark se mangawai gai surya pratima ka anavran karenge. Jald hi yaha par lakhan jee ke sahyog se ek navgrah mandir ki sthapna ki jaegi jisme ye surya pratima sthapit ki jaegi. Isliye mai lakhan aur vineeta jee se anurodh karta hu ki we dono aage bade aur is pratima ka anavran kare aur iska pujan karke puja ke agle charano ke liye bhagwaan surya ki aashirwaad le.
Lakhan vineeta ne aage bad kar us vishal pratima ke upar pada kapda kheech kar hata diya. Wo ek behad sundar surya dev ki pratima thi jisme wo ek rath par sawaar the jise 7 ashva kheech rahe the. Ab tak tak jitne bhi graho ki puja hui un sabke manav roop ke liye unke greek samtulya ki pratima rakhi gai thi pehli baar ek ***** dev ki pratima thi jisse vineeta lakhan bhi bhali bhati parichit the. Pratima anavran ke baad waha maujood sab logo bhagwaan surya ko pranaam kara vineeta ki puja ki thal lekar surya ke saato ghodo ki pratimao ke teeka lagaya phir surya dev ki aarti karke unke bhi teeka laga kar unka aashirwaad liya.
Pujari: Dhanyawaad devi ab samay hai pratiyogita ke niyam batane ka. Bhagwaan surya ko khel pratiyogitao ka vishesh shaukeen mana jata hai. Jaisa ki aap jante hai ki surya dev jadatar apne rath par sawaar dikhae jate hai yani chariot race yani rath daud unka priya khel hai.
Surya dev ke greek samroop Appolo ke haath me hamesha ek swarna dhanush rehta yani teerandaazi bhi unka ek priya khel hai.
Inke alawa ek aur cheej hai jo surya dev ko ati priya hai surajmukhi ka pushp. Humari aaj ki pratiyogita bhi unke inhi do priya khelo aur surajmukhi ke pushp par adharit hogi. Pratiyogita me sammalit hone wale sabhi pratiyogi saamne aa jae.
Lakhan saamne aa gaya aur uske saath 6 yuvak aur bheede me se aae. Lakhan ne ratho ki taraf waha 7 rath khade the har rath ke saamne 7-7 surajmukhi ke pushp lage the aur unse kuchh doori par har rath ki seedh me 7 mej rakhi thi aur har mej par ek dhanush aur teen teer rakhe the yani ye pratiyogita hum 7 logo ke beech hogi. Lakhan kisaan aadmi tha saari jindagi usne kheto me hal chalaya aur apne paltu ghode badal ki sawari ki ti rath chalana uske liye kuchh mushkil nahi tha iske alawa nishanebaazi ka bhi wo shaukeen tha to teerandaazi bhi use aati thi.
Pujari: Lakhan jee aapke in 6 pratidwandiyo ka chunaav shaadi me aae yuvako me se unke rath kaushal aur teer chalne ki yogyata ke aadhar par pehle hi kar liya gaya hai. Aapko apne saamne teen cheeze dikh rahi hai. Sabse pehle har pratiyogi ke liye ek dhanush aur teen-teen teer rakhe gae hai. Jinse aap apna teerandaazi kaushal siddh karke unhe pratiyogita ka pratham charan pura karna hai. Har rath ke saamne 7 surajmukhi ke pushp lage hai jo sab asli prateet ho rahe hai par unme kewal 1 asli hai baaki 6 nakli hai. Inse aapke buddhi kaushal ki pariksha hogi. Aap saato ko teen avsar milenge us asli surajmukhi ke pushp par nishana lagane liye. Jo in teen avsaro me us asli surajmukhi ke pushp ko pehchaan kar use teer se bhed dega use agle charan ke liye rath haasil hoga aur jo nahi bhed paega wo pehle charan me hi bahar ho jaega. Lakhan jee surya dev ka poorna aashirwaad hasil karne ke liye aapko yeh pratiyogita jeetni hi hogi. Aur aap 6 me se yadi koi ye pratiyogita jeeta to use inaam swaroop bhagwaan surya ki ek swarna pratima milegi jiski keemat 15-20 lakh hai (Itni badi rakam ki baat sun un 6 ki aankho me chamak aa gai). Ab aap saato apne apne dhanush ko thaam le.
Saato pratiyogi apni apni mej ke sameep aa gae lakhan singh madhya me yani chauthe sthan par khade the teen pratiyogi unke daai taraf aur teen baai taraf. Sabne apna apna dhanush utha liya aur ek teer uski pratyancha par rakh liya.
Pujari: Ab jaise hi mai teen tak ginti ginuga aap saato ek saath apne apne 7 pusho me se ek ko nishana banaege jiska pehli baar me hi sahi nishana laga wo rath lekar aage bad jaega. Baki dubara mere kehne par nishana saadhenge jiska teer pehli baar me hi kisi pushp par bhi nahi laga wo pratiyogita se bahar ho jaega use dubara nishana lagane ka mauka bhi nahi milega. Aap saato do min vichaar kar le ki asli pushp kaun sa hai aur us par lakshya saadh le.
Saato pratiyogi apne apne 7 pusho ko dhyan se dekhne lage sare pushp alag dishao me ghoome hue the uttar, utttar poorva, poorva, poorva dakshin, dakshin aur do pushp daai aur baai taraf do alag dishao me thoda upar ki taraf uthe hue the. Saato ne apne apne chune hue pushp ki taraf lakshaya saadh liya.
Pujari: Aap saato tayaar hai.
Pratiyogi: Jee
Pujari: To mai ginti ginu.
Pratiyogi: Jee
Pujari: Ek do teen...
Isi ke saath saato ne apne teer chhod diye ek pratiyogi ka teer pushpo ke upar se nikal gaya jabki baaki 6 ke teer purva disha ki taraf muh kare surajmukhi ke pushp me ja dhase jinme lakhan singh ka teer bhi shaamil tha.
Pujari:Kya baat hai sabhi ne purva disha ke surajmukhi ke asli hone ka anumaan lagaya. Shayad isliye kyuki surya purva se ugta hai par afoss aap sabka anumaan galat hai ye nakli pushp hai. Pratiyogi number 3 ka teer kisi pushp ko na bhed saka isliye wo pratiyogita se bahar hota hai. Baki bache 6 pratiyogi dubara apne teer dhanysh par chada kar lakshya saadh le.
Baki bache 6 logo ne dubara apna apna pushp chun kar us par nishana saadh liya. Aur teen ki ginti ke saath unhone teer chala diya. Do prtiyogiyo ke uttar paschim ke pushp par lage aur lakhan aur ek pratiyogi ne uttar purva me pushp ko nishana banaya pratiyogi number 7 ka teer khali chala gaya aur wo race se bahar ho gaya par pratiyogi number 5 surya ki disha dekhte hue upar surya ki taraf muh kare daai taraf ke pushp ko bheda aur pujari ne uske pushp ko sahi ghoshit kar diya.
Pujari: Shabash yuvak tumhara anumaan aur lakshya ekdum sahi lage ye hi asli pushp tha ab tum apne rath ki taraf bad sakte ho yaha se ab tumhe purva disha me rath lekar jana hai jab tak tumhe ek Taad ka ped na dikhe uske paas 7 rango ke jhande lage hai waha se tumhe apne rath ke rang ka jhanda lekar wapas yahi ana hai. Baki bache 4 pratiyogiyo ke paas ab ye antim avsar hai. Jo apna jhanda lekar yaha sabse pehle aaega wo vijai hoga.
Lakshya bhedne wala pratiyogi apna neela rath lekar purva disha ki taraf chala gaya. Baki 4 pratiyogiyo ne teesri baar apna lakshya saadh liya.
Ab sahi pushp to unhe pata tha bus nishana sahi lagana tha. Pujari ke teen ginne par unhone phir teer chhode. Lakhan aur do pratiygi hi sahi pushp ko nishana bana pae pratiyogi number 6 ka teer laga to par galat pushp se jis wahah se wo bhi race se bahar ho gaya.
Purjari: Aap teeno ne bhi sahi pushp par lakshya saadh pratiyogita ka pratham charan pura kara ab sheeghra prasthan ek pratiyogi kaafi aage nikal gaya hoga. Lakhan apna safed aur pratiyogi 1 aur 2 apne kaale aur laal rath lekar aage bad chale. Teeno rath sath sath chal rahe the aur chautha pratiyogi to kaafi aage nikal chuka tha. Ab dekhna tha is pratiyogita ka kya parinaam nikalta hai.