Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - COMPLETED
#78
UPDATE 33


Agli subah sab apni apni taiyyaari karne lage farmhouse jaane ke liye, koi saloon chala gaya toh koi ghar mein hi saaf safaai kar raha thha, koi gaadi dho raha thha toh koi garam kapde pack kar raha thha. Sab ko jaana thha. Khaana khaa liye dopahar ka toh ghar ki bell baji, Prem ne darwaaza khola, saamne Seema, meri nanad khadi thhi, aansuoon mein, main aangan mein hi thhi, main bhaagi aur use andar laayi.

Seema: Babuji ko subah se chest pain ho raha thha, unhein admit kiya hai bhabhi..Shaayad heart attack ho..Mujhe maa ne phone kiya aur kaha college se aate samay aapko lete aaye..

Main hil gayi, babuji aur heart attack, maine bhaag ke Seema ke liye paani laayi aur ghar mein sab ko bata diya, Prem ne Seema ko bitthaaya, woh ikkees ki thhi. Sab aangan mein aa gaye, Prem Seema ke haath pe apna haath rakh diya.

Prem: Fikar mat karo Seema, hum sab hain naa..

Seema ne apna haath Prem ke haath pe rakh diya, Maa, papa, bhabhi aur Pulkit sab yeh dekh rahe thhe. Maine meri saas ko phone lagaaya.

Main: Maa..Babuji ki tabiyat..(Sunti rahi)..Maa Seema aayi hai, main usi ke saath aa rahi hoon..

Papa ne mere haath se phone le liya.

Papa: Samdhan ji aap fikar mat kijiye, hum sab aa rahein hain..Aap kisi baat ki fikar na karein, ab kaisi hai samdhi ji ki tabiyat..(Sunte rahe)..

Papa ne phone kaata.

Papa: Ab ICU mein hain, par respond kar rahein hain..Veena, tu taiyyaari kar..

Main: Papa main baad mein aake bhi mera saamaan le sakti hoon, main Seema ke saath jaa rahi hoon..

Prem: Didi main aap dono ko le chalta hoon, Papa aap log baad mein aaiyye..Agar babuji ICU mein hain, toh abhi jaake faayda bhi nahin hoga..Aur itne log dekhke maa bhi pareshaan ho jaayegi..Main wahaan pahunchke aapko phone kar ke bataaunga, aap unse mil saktein hai ya nahin..

Papa: Theek..Tum gaadi nikaalo..

Prem ki baatein samajhdaari waali thhi. Hum teeno nikal gaye aur seedha hospital gaye, babuji ab bhi ICU mein hi thhe, par hosh mein, doctoron ne kaha ke woh khatre ke baahar hain. Main aur maa yeh sunke khush ho gaye, Shekhar ka bhi phone aaya, woh bhi nikalne ki taiyyaari karne laga. Maine maa ko himmat dilaayi.

Main: Maa..Aap ghar jaake aaraam kijiye, Prem aapko aur Seema ko chhodke ghar chala jaayega..

Saas: Beta, main ruk jaati yahaan..

Main: Maa main aa gayi hoon naa..Aap ghar jaake please aaraam kijiye..

Saas: Prem ko apne ghar hi ruka loon..Koi aadmi hai nahin ghar mein agar koi zaroorat padi toh..

Main: Main usse kehti hoon maa..Woh apne yahaan hi ruk jaayega..Hai na Prem..

Prem: Haan didi..Raat ko bhi aane jaane ki zaroorat padh sakti hai..

Prem meri saas aur Seema ko leke unke ghar nikal gaya, main hospital mein ruk gayi. Prem ne raat ka khaana khaaya aur Seema ne use mere aur Shekhar ke kamre mein hi thhehraaya, raat ko Seema uske liye doodh leke gayi aur uske paas baitth gayi.

Seema: Thank you Prem, hamaare saath yahaan aane ke liye..

Prem: Mere liye tumhaare maa babuji mere maa papa jaise hi hain..Aur Jijaji bhi toh nahin hain..Aise mein humein ek dusre ka saath dena hi hai..

Seema: Tumhaari did tumhaari kaafi taareef karti hai..Tum ho bhi waise..

Prem: Didi toh tumhaari bhi taareef karti hai..

Seema: Acchha..Kya kehti hai..

Prem: yehi ke tum samajhdaar ho, Padhaai mein mujhse acchhi ho, doctor banna hai tumhein, khaana bhi bana leti ho aur khoobsoorat ho..

Seema: Bhabhi ne kaha main khoobsoorat hoon..

Prem: Nahin..Woh toh main apni taraf se..

Seema hansi aur apna haath prem ke haath pe rakh diya, Prem ka badan iss baar kaanp gaya, Prem uske T-shirt mein uski badi chuchiyon ka aakaar saaf dekh paa raha thha, usne raat hone ke wajah se bra nahin pehna thha. Seema sarak ke uske paas aa gayi.

Seema: Prem..Agar main iss kamre mein ruk jaaun toh..

Prem muskuraaya aur uske gaal pe haath rakh diya.

Prem: Agar tum iss kamre mein ruk jaaogi toh main apna moonh jijaji, maa, babuji aur didi ko nahin dikha paaunga..Aur agar tumhein phir bhi iss kamre mein rukna hai toh main haal mein so jaaunga..

Seema Prem ka chehra dekhte rahi, Prem ne apna haath hata diya.

Prem: Please, ab tum apne kamre mein so jaao..

Seema ne ab Prem ke gaal pe apni hatheli rakh di.

Seema: Main dekhna chaahti thhi ke joh taareef tumhaari didi tumhaare baare mein karti thhi, woh sahi hai ya nahin..Woh sahi hi thhi..Tum sahi mein acchhe ho..

Seema bistar se utth khadi hui.

Seema: Thank you Prem, mera bharosa rakhne ke liye..

Prem bhi bistar se utth khada hua.

Prem: Seema, agar main didi se kehke tumhaare ghar waalon se tumhaara haath maang loon toh, tum..

Seema: Aur unhonein mana kiya, toh bhaag jaaungi tumhaare saath..

Seema muskuraayi, Prem bhi, Seema palti jaane ke liye, aur ek aakhri baar muddke darwaaze se Prem ko dekha, aur chali gayi, Prem ne darwaaza lock kar diya. Mera bhai acchha hi thha, mujhe poora bharosa thha uspe.

Hamaare yahaan bhi udaasi chhaayi thhi. Farmhouse nahin jaa paaye thhe, isiliye nahin, bas iss baat ki thhi ke babuji hospital mein thhe. Maa papa jaldi so gaye mujhe phone karne ke baad, Pulkit aur bhabhi ne bhi baat ki mujhse, aur woh bhi khaana khaake so gaye. Zindagi mein utaar chadhaav aatein hain, family saath deti hai, har tareeke se. Kuch bicchhadd jaatein hain aur kuch naye rishte bhi ban jaate hain. Zindagi rukti hai, par zindagi rukti bhi nahin. Shaayad isi ka naam zindagi hai.
नशीली आँखें
वो प्यार क्या जो लफ्ज़ो में बयाँ हो 
प्यार वो है जो आँखों में नज़र आए!!
Like Reply


Messages In This Thread
RE: AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - by simba6o9 - 06-09-2019, 08:43 PM
RE: AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - by Rajaalfa - 06-09-2019, 08:47 PM
RE: AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - by kick789 - 06-09-2019, 10:33 PM
RE: AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - by kick789 - 07-09-2019, 11:41 PM
RE: AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - by Eswar P - 10-09-2019, 06:49 AM
RE: AB HUM BACCHE BHI TOH NAHI RAHE - RUNNING - by Nasheeliaankhein - 18-09-2019, 11:51 AM



Users browsing this thread: 5 Guest(s)