08-09-2019, 09:47 AM
UPDATE 72
Next day se guru ki training suru ho chuki thi. To pari ne bhi sabko fit karne ke liye yoga suru karwa diya tha. Ye sab karke sab log sadhi or party ki tayariya karte rahe. Or sadhi ke ek din pehle haweli me to ronak ka mahol tha. Gaon me bhi puri ronak thi. Per Ratan ke ghar per lata or ratan me bahas ho rahi thi ----
Ratan – lata akhir tum kyu milne gai thi ankita se. jab usne hostal se bhag kar humko paraya kar diya to tum fir usse milne kyu gai.
Ratan ko pata chal chukka tha ki lata apni beti se mil kar aayi hai or uski beti ki sadhi bhi ho chuki hai.
Lata – usne humko paraya kiya ratan ya humne apni beti ko anath banaya ??
Ratan – humne to bus usko is ghar se dur rakha tha. Or humne usko kisi chij ki kami nahi hone di.
Lata – kya kabhi use maa baap ka pyar mila. Kya mila usko ratan?? Ek anath ki jindgi jee hai usne.. wo bhi maa baap ke jeenda hote huye. Tumko kya ho gaya hai ratan tum kab se resto ki jagha peso ko dene lag gaye.
Ratan – to main kya karta usko is ghar me rakh kar khud barbad hota rahata. Main bhi apni beti ko pyar karta tha. Per ek beti ke liye sab barbad to nahi kar sakta tha na.
Lata – un purani baato ko chodo. Un per bahas karne se kuch hasil nahi hoga. Per ek baat batao ab kyu dur bhag rahe ho apni beti se. tumhare guru ke hisab se usko is ghar me rakhne se hi problem honi thi na. to ab to uski sadhi ho chuki hai or wo hamesha ke liye dusre ki ho chuki hai. ab wo kabhi is ghar me nahi aayegi. Per tum to pehle bhi usse milne jate the na. to ab main mil aayi to kya ho gaya.
Ratan lata ki baat ka koi jabab na de saka. Deta bhi kese lata ne sach kaha tha. Ratan ankita se hamesha milne jata tha. Or lata ko isliye nahi le jata tha ki kahi lata ko fir se attack na padne lage. Kiyoki pehle to sonal or alpna ne usko bacha liya tha. Per abhi wo bhi nahi thi. Or ab jab lata ankita se mil aayi thi or wo thik bhi thi to fir ratan ka ye gussa bhi bematlab tha. Ankita ke yese bhag jane se ratan ke man me ankita ke liye ek gussa tha. Jo lata pe nikal raha tha. Or lata ki bato se kam bhi ho raha tha. Ratan ko bhi lagne laga ki lata apni jagha thik hai. ek maa jo apni beti ko dekhne ke liye bhi tarsi ho usko apni beti se milne jana sabhabik hai.
Lata – ratan ap bhi to ankita se bahut pyar karte hai. or mujse bhi karte hai. to ap hum dono ko khus dekh kar gussa kyu ho rahe hai. apko keval apni beti ko khud se dur rakhna tha. To dekho wo sadhi karke hamesha ke liye hamse dur chali gai. Or main abhagi maa itna kuch hote huye bhi apni beti ko vida tak na kar saki. Ek garib bhi apni beti ka kanya daan leta hai to sochta hai ki uska kamana safal ho gaya. Or humare pass itna sab hote huye bhi kanyadan tak na kar sake. Kitne garib hai hum. Tum har saal kitni garib ladkiyo ki sadhi karwate ho. Per apni khud ki beti ki sadhi na karwa sake to kya fayeda is sab ka.
Ratan – bus karo lata bus karo… main bhi apni beti ko chahata hu. Wo hi mere dil ka tukda hai. per main kya karta jab wo khud hi bhag gayi. Mene bhi uski sadhi ke sapne sajaye the. Pata nahi kya -2 socha tha. Per wo khud hi mere sapno ko tod kar bhag gai. Or aj jab mili hai to uski sadhi ho chuki hai. tum batao isme main kya kar sakta hu. Uske bhagne se hi mere dil me uske liye gussa tha. Mere sapne jo tod diye the. Per sayad ye mere un papo ki saza hai jo mene ankita ko is ghar se dur karke kiye hai..
Lata – jab ap bhi usko chhate hai to mil kyu nahi aate apni beti or damad se. wo dono apko dekh kar bahut khus hoge.
Ratan – haan tum thik kahati ho. Hum dono ko chalna chahiye. Main akele nahi ja pauga tum mere sath hogi to thik rahega… per apna damad kon hai?? kya karta hai??
Lata – ap bhi na.. itna bada empire chala rahe hai or beti se milne me dar rahe hai. main bhi chalugi apke sath. Parso (14 ko) unhone apne usi hotal me sadhi ki party rakhi hai. jo hotal apne ankita ke liye banbaya hai. main wo hotal usi ko de aayi hu. Ap parso hi chaliye party me to wo bahut khus hogi apko dekh kar…
Ratan – hmm thik kahati ho hum log parso hi chalege. Per tumne bataya nahi ki damad kon hai, uske maa baap kon hai..
Lata – ap uske maa baap ko jante hai.
Ratan – kan hai wo??
Lata – Alpna or Pratik..
Ratan – kya kaha………….. tum un dono ki baat kar rahi ho???? Kya jo main soch raha hu ye sach hai.
Lata – haan ape k dum sahi soch rahe hai. ye apke dost Pratik ka beta hai. per ek dukh ki baat bhi hai ki wo dono ab duniya me nahi rahe…
Ratan – oooohhhhhh mere bhai Pratik.. (or rone laga ) tumhari aj khabar mili bhi to ye ki tum ab nahi rahe… kyu chale gaye mujko chod ke…..
Lata – ratan sambhaliye apne apko, jo hona tha w oho chukka hai. unki akhri nishani ne humko fir se unke najdik kar diya hai…
Ratan – akhri nishani matlab ????? meri beti guddiya kaha hai. or unke beta kab hua? Kahi ye koi bherupiya to nahi hai na???
Lata (aakhon se aashu bahate huye) – meri sonal bhi nahi rahi is duniya me… mujse bina mile hi duniya chod gai wo… (lata rone lagi thi)
Ratan – nahi ye nahi ho sakta meri wo beti bhi mujko chod kar chali gai… (uska dil tadaf raha tha. Use bahut dukh tha. Aakhon se aashu baha rahe the.)
Lata – sambaliye apne ap ko jo chale gaye unko vapis nahi laya ja sakta per jo hai unko to apnaya ja sakta hai na..
Ratan – kahi yesa to nahi ki ye ladka jhut bol raha ho..
Lata – nahi yesa nahi hai wo to janta bhi nahi hai ki uske maa baap hamare liye kya the. Pankaj bhi apni ***** company me kaam kar chukka hai. mene waha se sari details chk karwai hai. (ye sach hai ki lata ne usi raat PB ke hotal se jane ke baad apni company se uska sara data niklwa kar chk kiya tha. Ankita ko bhi is bare me pata nahi chala usko laga uski maa koi office ka kaam kar rahi hai.)
Ratan – per Pratik, alpna or guddiya ko kya hua ??? kese hui unki moot??
Lata – Pratik to 15saal pehle road accident me mar gaya tha. Or alpna or guddiya ne 6-7 month pehle atamhatya kar li thi.
Ratan – kya per kyu???
Lata – pata nahi ye to kisi ko nahi pata (na jane kyu lata ne ye sach ratan ko nahi bataya)
Ratan – hmm per ab me apne bhai Pratik ke bête ko kahi nahi jane duga. Usko apne sath rakhuga.
Lata – ap bhul rahe hai ab wo hamara damad hai. or ap apni beti ko kabhi is ghar me nahi aane dege.. isliye humko parso apni beti or damad se milne jana chahiye. Main chahati hu ki ap bhi pankaj ko na bataye ki ap uske maa baap ko jante hai. or wo apke liye kya the..
Ratan – hmm thik hai….. (ratan ki aakhon me uski bebasi ke aashu the. Wo tab bhi kuch nahi kar paya jab Pratik usko chod kar gaya tha or aj bhi wo bebas tha)
Fir dono ke bich ek khamoshi chha jati hai. ye khamoshi bahut kuch kaha rahi thi. Dono ke man me bahut sawal the per jawab keval mani ji ke pass hi the