Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HAWELI By The Vampire
#63
Update 20


"Uske baad?" Rupali Inder se puchha
"Vo aakhri baar tha jab Kamini mere itne kareeb aayi thi. Uske baad agle 2 mahine tak main phone try karta raha par usse baat nahi ho paayi. Main kai baar haweli aapse milne aaya par vo mujhe dekhkar apne kamre mein chali jaati thi aur tab tak bahar nahi aati thi jab tak ke main vapis na chala jaoon" Inder bola
"Usne kuchh nahi bataya ke vo kis baat ko lekar itna pareshaan thi?" Rupali ko samajh nahi aa raha tha ke kya soche
"Is baat ka mauka hi nahi mila Didi ke main usse aaram se bethkar baat kar pata ya kuchh puchh pata. Us din jab vo mili to mujhse ladkar chali gayi thi. Pata nahi kiska gussa usne mujhpar nikala tha Aur uske baad kabhi hamen mauka hi nahi mila ke aaram se bethkar baat kar paate" Inder ne kaha
"To apni revolver kab di tumne usko?" Rupali ne puchha
"Jijaji ke khoon se 3 din pehle uska mere paas phone aaya" Inder ne aage bata shuru kiya
Inder apne kamre mein betha ek kitaab padh raha tha. Phone ki ghanti baji to usne aage badhkar phone uthaya. Phone ke doosri taraf se Kamini ke rone ki aawaz aayi.
"KAMINI" Inder jaise chilla utha "Oh thank god Kamini. Mujhe to laga tha ke tum mujhse ab kabhi baat hi nahi karogi. Meri galti ki itni badi saza de rahi thi mujhe?"
Doosri taraf se Kamini ne kuchh nahi kaha. Bas roti rahi. Uske rone ki aawaz aisi thi jaise vo bahut takleef mein ho. Inder se bardasht nahi hua. Uski apni aankho mein pani aa gaya
"Mujhe maaf kar do Kamini. Main manta hoon ke galti meri hai. Mujhe shaadi se pehle aisi harkat nahi karni chahiye thi. Par tum janti ho main tumse kitna pyaar karta hoon. Main aaj hi tumse shaadi karne ko taiyyar hoon agar tum kaho to. Ham apne ghar mein baat kar lenge. Nahi maane to court marriage kar lenge. Mera yakeen karo Kamini" Inder pagalon ki tarah kehta ja raha tha.
Kuchh der dono khamosh rahe. Thodi der baad Rupali ne rote rote kaha
"Mujhe nahi pata ke ab main kiska yakeen karun aur kiska nahi Inder. Ab to har koi ajnabi sa lagne laga hai. Har kisi ki shakal dekhkar aisa lagta hai jaise usne apni shakal par ek parda sa daal rakha ho. Andar se kuchh aur aur bahar se kuchh aur. Kismat ka khel to dekho Inder ke jo apne the vo paraye ho gaye aur jo paraya tha vo apna gaya."
"Main kabhi paraya nahi tha Kamini. Main to hamesha se tumhara apna tha. Tum aisi baaten kyun kar rahi ho?" Inder tadapkar bola
Phone par phir thodi der tak khamoshi bani rahi
"Meri jaan ko khatra hai Inder" Rupali ne rona band karte hue kaha
Inder ko aisa laga jaise usko 1000 watt ka jhatka laga ho
"Kisse?" Usne puchha
"Ye sab baaten baad mein. Main abhi zyada der baat nahi kar sakti. Tum meri baat suno. Tum mujhe koi hathyaar de sakte ho? Hifazat ke liye? Tumhari koi pistol ya revolver?" Kamini ab bahut dheere dheere bol rahi thi
"Pistol? Revolver? Tum kya keh rahi ho meri kuchh samajh nahi aa raha" Inder ke sachmuch kuchh bhi palle nahi pad raha tha
"Abhi samjhane ka waqt nahi hai. Tum ek kaam karo. Kal dopahar 2 baje usi jagah par mera intezaar karna jahan ham aakhri baar mile the. Aur apni revolver lekar aana" Kamini ne kaha
"Kamini meri baat suno" Inder bola "Kal 2 baje to main aa jaoonga par ......."
Vo abhi keh hi raha tha ke pichhe se Sarita Devi ki aawaz aayi"
"Kamini beta"
Aur Kamini ne phone kaat diya.

Agle din Inder Kamini ki batayi hui jagah par khada intezaar kar raha tha. Kamini ne 2 baje aane ko kaha tha par 3 din baj chuke the aur vo ab tak nahi aayi thi. Kal raat se Inder ka soch sochkar Dimag phata ja raha tha. Jaan ko khatra? Apne ajnabhi ho gaye? Kamini ki kahi koi baat use samajh nahi aa rahi thi.
Jab ghadi mein 3 baj gaye to vo samajh gaya ke Kamini nahi aayegi. Usne vapis jaane ka faisla kiya aur car start hi ki thi ke review car mein use Kamini ki gaadi aati hui dikhai di. Uski jaan mein jaan aayi. Kamini ne uski car ke pichhe apni car lakar roki. Inder apni gaadi se nikalne hi wala tha ke Kamini khud apni car se nikalkar jaldi jaldi Inder ki gaadi ki taraf aayi aur darwaza kholkar andar aa gayi.
"Gun laaye?" Kamini ne gaadi mein bethte hi puchha
"Haan laaya hoon par meri baat suno Kamini" Inder ne kuchh kehna chaha hi tha ke Kamini ne saamne rakhi revolver dekhi aur jaldi se utha li
"Abhi kuchh kehne ya sunne ka waqt nahi hai Inder. Main ye gun kuchh din baad tumhen lauta doongi aur tab sab kuchh samjha doongi" Kehkar Kamini ne apni taraf ka darwaza khola aur isse pehle ke Inder kuchh keh pata ya kar pata vo car se bahar nikal gayi. Inder bhi jaldi se apni taraf ka darwaza kholkar bahar nikla. Kamini tez kadmon se chalti apni car ki taraf ja rahi thi aur jab tak ke Inder us tak pahunchta, vo car start kar chuki thi.
"Ruko Kamini" Inder bhagta hua Kamini ki taraf aaya aur car ki window par haath rakhkar jhuka "Tum mere saath aisa nahi kar sakti. Tumhen batana hoga ke aakhir ho kya raha hai"
Kamini uski taraf dekhkar muskurayi aur Inder ke chehre par pyaar se haath phera.
"Inder" Usne muskurate hua kaha "Mera Inder"
"Main hamesha tumhara hoon Kamini par .... "Inder ne kuchh kehna chaha hi tha ke Kamini ne uske honth par apni anguli rakh kar use chup kara diya
"Tumhen yaad hai Inder jab ham pehli baar mile the tab maine tumhen ek sher sunaya tha aur maine kaha tha ke khuda na kare mujhe kabhi iski aakhri lines bhi tumhen kehni paden?" Kamini ne puchha to Inder ne haan mein sar hila diya
Kamini khidki ke thoda nazdeek aayi aur Inder ke gale mein haath daalkar use thoda nazdeek kiya. Agle hi pal dono ke honth mil gaye. Kamini use dheere dheere pyaar se choomne lagi aur phir apne honth Inder ke honth se hatakar uske kaan ke paas laayi. Apni usi andaaz mein phir vo aise boli jaise koi bahut bade raaz ki baat bata rahi ho.


"Kuchh is ada se aap yun pehlu-nashin rahe
Jab tak hamare paas rahe ham nahin rahe

Ye din bhi dekhna faz tha teri aashqi mein,
Rone ki hasrat hai magar aansoo nahin rahe,

Ja aur koi sukoon ki duniya talash kar,
Mere mehboob ham to tere qabil nahin rahe"


Aur isse pehle ke Inder kuchh samajh pata, Kamini ke car uski aankho se tezi ke saath door hoti ja rahi thi.
"Bas" Inder ne ek lambi saans li "Itni hi thi hamari kahani. Aap puchh rahi thi na ke ham kitna kareeb aaye the? Itna kareeb aaye the ham Didi"
Aur Inder apna sar apne haathon mein pakadkar rone laga
"Tumne ye baat kisi se kahi kyun nahi?" Rupali ne puchha
"Main kya kehta? Inder bola "Jijaji ka khoon hone ke baad agar main kisi se ye kehta ke maine gun Kamini ko di thi to sab log kya samajhte? Aur agar ye kehta ke mere se gum hui hai to sab mere baare mein kya sochte? Bilkul vahi sochte jo is waqt vo Inspector soch raha hai"
Rupali thodi der tak Inder ke saamne chup bethi rahi. Use samajh nahi aa raha the ke kya kahe aur Inder ko kaise sambhale. Mahaul ko halka karne ke liye usne baat badalne ki sochi
"Ek ladki ke ishq mein yun ro rahe ho aur harkaten kuchh aur kar rahe ho?" Usne Inder ke sar par halke se thappad maara
"Kya matlab" Inder ne apna sar uper uthaya
"Maine dekha tha basement mein. Tumhen aur vo kal ki chhokri Payal ko
Inder ka munh hairani se khula reh gaya. Vo Rupali ke muskurate chehre ko thodi der tak dekhta raha aur phir khud sharmata hua has pada
"Aap vahan kab aayi?"
"Jis tarah se vo Payal table par leti shor macha rahi thi usse to mujhe hairani hai ke poora gaon kyun nahi aa gaya" Rupali ne jawab diya to dono bhai behen has pade
"Main kya karta Didi" Inder ne kaha "Kamini jis tarah se gayi usse main bokhla utha tha. Socha main kyun ek ladki ke ishq mein mara ja raha hoon. Uske baad jo saamne aayi main nahi ruka. Pata nahi kya saabit karna chah raha tha ya pata nahi dil hi dil mein shayad Kamini ko dikhana chah raha tha ke main uske bina jee sakta hoon. Kami nahi hai mere paas"
Uske baad Rupali aur thodi der Inder ke kamre mein bethi rahi. Uske baad vo uthkar apne kamre mein aa gayi. Achanak use Kamini ke kamre mein mili cigerettes ki baat yaad aayi. Usne socha ke Inder se puchhe ke kya vo Kamini ko cigerettes laakar deta tha? Ye sochkar vo vapis Inder ke kamre par pahunchi to kamra ander se band tha. Rupali ne kholne ki koshish ki to kamre ko ander se lock paaya. Vo Inder ka naam pukarne hi wali thi ke andar se aati Payal ki aawaz sunkar uska haath ruk gaya. Aawaz se saaf pata chal raha tha ke andar Payal aur Inder kya kar rahe hain.
Rupali ka munh hairat se khula reh gaya. Use abhi Inder ke kamre se gaye mushkil se 15 mins hi hue the. Jo ladka abhi thodi der pehle betha Kamini ke ishq mein aansu baha raha tha vo 15 mins mein hi Payal par chadha hua tha. Vo bhi bhare din mein. Tab jabki uski apni badi behen aur Payal ki maan usi haweli mein maujood thi.
Rupali vapis apne kamre ki aur chal padi. Inder ki harkat se use shaq hone laga tha ke jo Inder ne Kamini ke aur apne baari mein kahani Rupali ko sunayi thi, kya vo sach thi. Aur agar sach thi to kitni sach thi.

Raat dhal chuki thi. Pichhli kuchh raaton ki tarah ye raat bhi alag nahi thi. Kamini apne bistar par padi thi. Poori tarah nangi. Taange pheli hui, ek haath uski chhatiyon par aur doosra taango ke beech uski choot par. Use apne uper hairat thi ke kahan kal ki ek sidhi saadi gharelu aurat aur kahan ek ye aurat jisse apne jism ki garmi ek raat bhi nahi sambhali jaati thi. Usne apni 3 anguliyan apni choot mein ghusa rakhi thi par jism tha ke khamosh hone ka naam hi nahi le raha tha. Chidhkar Rupali ne apna haath taango ke beech se hataya aur gusse mein bistar par zor se maara.
Raat ke takreeban 9 baje Tej vapis aa gaya tha. Usn Rupali ya kisi aur se koi baat nahi ki thi. Chup chap bas apne kamre mein chala gaya tha. Kaam khatam karke Bindiya ko bhi Rupali ne uske hi kamre mein jaate dekha tha. Aaj ki raat Rupali aisa bhi nahi kar sakti thi ke Payal ke saath hi apne jism ki aag bhujhane ki koshish kare kyunki Payal bhi apne kamre mein nahi thi aur Rupali achhi tarah janti thi ke is waqt vo Inder ke kamre mein chud rahi hogi.
Is khyaal se uska jism aur bhadakne laga. Pareshan hokar vo bistar se uthi aur neeche bade kamre mein jaakar TV dekhne ka faisla kiya kyunki neend aankho se bahut door thi.
Sidhiyan utarti Rupali ke kadam achanak se ruk gaye. Bade kamre mein TV on tha. Is waqt kaun dekh raha ho sakta hai? TV aakhri baar vo khud hi dekh rahi thi aur usko achhi tarah se yaad tha ke vo TV band karke gayi thi. Sochti hui vo sidhiyan utari aur jaise hi bade kamre mein aayi uski aankhen khuli reh gayi.
Kamre mein TV on tha aur uspar koi gaana chal raha tha. Saamne Chander betha hua tha. Gaane mein heroine bheegi hui saree mein hero ko rijhane ki koshish kar rahi thi jo uske kareeb nahi aa raha tha. Chander saamne zameen par taange mode betha tha. Uska pajama neeche tha aur kurta usne uper karke apne gale mein phasaya hua tha.Aankhen TV par gadi hui aur uska haath lund ko pakde uper neeche ho raha tha.
Rupali use ek pal vahin khadi dekhti rahi. Chander TV mein itna khoya hua tha ke use Rupali ke aane ka aabhas hi nahi hua. Rupali kabhi TV ki taraf dekhti to kabhi Chander ke haath jo uper neeche ho raha tha. Rupali ki aankhon ke aage phir vo nazara aa gaya jab Chander ne usko basment mein Bindiya samajhkar andhere mein chod diya tha. Rupali ki pehle se geeli choot se jaise nadi si behne lagi. Uska dil kiya ke aage badhkar Chander ka lund pakad le par phir vo khud hi ruk gayi aur uska dil khud se hi sawal jawab karne laga
Sawal : "Ek naukar ke saaath?"
Jawab : To kya hua. Bhushan bhi to naukar hi tha. Payal ke saath bhi Rupali soyi thi aur Payal bhi to naukrani thi.
Sawal : Par vo ek thakurain hai
Jawab : To kya hua. Jab uska bhai ghar ki naukrani ko chod sakta hai to vo kyun nahi. aur aaj se pehle kaun sa usne is baare mein socha tha.
Sawal : Aur thakur sahab? Unse to vo pyaar karti thi.
Jawab : To kya hua? Us raat Rupali ke kehne par jab thakur ne Payal ko choda tha tab unhone to aisa kuchh nahi socha
Sawal : Kisi ko pata laga to
Jawab : Chander usse darta hai. Uski majal nahi ke kisi se kuchh kahe. Aur phir vo to goonga hai. Chahe bhi to kuchh keh nahi sakta
Rupali apne sawal jawab mein hi uljhi hui thi ke TV par gaana khatam ho gaya. Chander ka dhyaan TV se hata to usko ehsaas ho gaya ke pichhe koi khada hai. Palta to Rupali ko dekhkar vo darr se kaanp utha. Fauran khada ho gaya. Usko itna bhi hosh nahi raha ke uska pajama neeche tha. Bas usne jaldi se apne dono haath jod diye.
Rupali ke dil ne jaise faisla kar liya. Vo aage badhi. Use kareeb aata dekh Chander aur bhi darr se kaanpne laga. Aankho se aansu tak gir pade.
Rupali chupchap uske kareeb aayi aur kuchh bhi nahi kaha. Ek pal Chande ki aankho mein dekha aur haath se uska lund pakad liya.

Rupali ka haath lund par padte hi Chander uchhal pada aur 2 kadam pichhe ko ho gaya. Rupali bhi uske saath saathi hi aage ko badhi aur phir se Chander ka lund pakad liya. Darr ke maare Chander ka lund bilkul betha hua tha. Rupali ne thodi der pajame ke uper se lund ko sehlaya aur phir dheere se haath Chander ke kurte ke andar daal kar uska lund pakad liya.
Chander ne is baar phir se pichhe hone ki koshish ki par Rupali ne uska lund apni mutthi mein pakad rakha tha isliye pichhe ho nahi paya. Vo pareshan nazar se Rupali ki taraf dekhne laga. Rupali ne ek baar uski taraf dekha aur phir apne dono taraf nazar ghumayi. Usne Chander ka lund chhoda aur use apna Pajama uper karne ko kaha. Chander ne jaldi se apna pajama uper karke bandh liya aur phir se apne haath jodkar khada ho gaya.
Rupali ne uska ek haath pakda aur use lagbhagh khinchte hue apne kamre mein laayi. Darwaza band karne ke baad Rupali Chander ki taraf badhi hi thi ke ruk kar muskurayi. Use Bindiya ke kahi vo baat yaad aa gayi jab usne ye bataya tha ke Chander keh raha tha raat basement mein maza nahi aaya. Rupali Chander ki taraf badhi aur usko dhakka dekar bistar par gira diya.
Chander bistar par girte hi dobara uthne laga par Rupali ne usko lete rehne ka ishara kiya. Chander phir bistar par let gaya.
Rupali apni almari ki taraf badhi aur usmen se apne char dupatte nikal laayi. Chander ab bhi usko hairan nazar se dekh raha tha. Rupali uske kareeb aayi aur bistar par chadhkar uska kurta utarne lagi.Chander ne mana karna chaha to usne usko ghoorke dekha aur Chander ne apne haath uper utha diya.
Kurta uter jaane ke baad Rupali ne ishare se Chander ko apne dono haath uper karne ko kaha jo usne kar diye. Rupali ne muskurate hue uska ek haath pakda aur apne dupatte se uska haat bistar ke kone par baandh diya. Yahi haal usne uske doosre haath aur phir uski taango ka bhi kiya. Ab Chander bistar par poori tarah se bandha hua pada tha.
Jab Rupali ko yakeen ho gaya ke Chander chahkar bhi nahi hil sakta to vo uthkar sidhi khadi hui. Usne mehsoos kiya ke Chander kamre mein nazar ghumakar kuchh dhoondne ki koshish kar raha hai. Jab Rupali ne uski taraf dekha to Chander ne apne honth hilaye. Aawaz to nahi aayi par honth padhkar Rupali samajh gayi ke vo puchh raha hai ke Bindiya kahan hai. Use yaad aaya ke Bindiya ne Chander ko ye keh rakha hai ke vo raat ko Rupali ke saath soti hai. Rupali ne apne kamre ke beech ke darwaze ki taraf ishara kiya aur kaha ke Bindiya us taraf doosre kamre mein hai.
Ishara karke vo uth khadi hui. Bistar par khade khade hi usne apni nighty uper khinchi aur utarkar phenk di. Chander uske nange jism ko ghoorta hi reh gaya. Badi badi chhatiyan, bhara hua jism, saaf ki hui choot, Chander ki nazar jaise Rupali ke jism ka xray kar rahi thi. Rupali ek pal ke liye yun hi bistar par khadi rahi aur Tej ko apni taraf ghoorne diya.
Thodi der baad vo jhuki aur apni dono chhatiyan laaka Chande ke munh par daba di. Chander ka poora chehra uski chhatiyon ke beech jaise kho sa gaya. Rupali ko is sab mein ek ajeeb sa maza aa raha tha. Aaj se pehle vo jitni baar bhi chudi thi, vo chud rahi hoti thi par aaj aisa laga raha tha jaise ke vo khud chudwa rahi hai. Vo control mein hai. Bistar par koi aur uske jism se nahi khel raja balki vo khud ek mardana jism se khel rahi hai.
Chhatiyon ko thodi der Chander ke chehre par ragadne ke baad vo thoda sa uper hui aur apne nipples uske honthon par lagane lagi. Chander ne nipple apne munh mein lene ke liye jaise hi munh khola Rupali ne apni chhati pichhe kar li. Phir vo baar baar aisa hi karti. Chhati Chander ke munh ke kareeb laati aur jaise hi vo nipple munh mein lene lagta vo pichhe ko ho jaati. Chander jaise bokhla sa raha tha. Vo chahkar bhi kuchh nahi kar pa raha tha. Uske dono haath mazbooti se bandhe hue the.
Rupali thoda neeche khiski aur apni chhatiyan Chander ke seene par ragadne lagi. Ek haat se usne Chander ke pajame ko kholna shuru kiya aur khinchkar neeche kar diya. Chander ka lund phir se khada ho chuka tha jise Rupali apne haath mein pakadkar uper neeche karne lagi. Rupali ke haath ke saath saath Chander ki kamar bhi uper neeche ho rahi thi. Rupali ka doosra haath khud uski choot par tha.
Jab usse aur bardasht nahi hua to vo uth khadi hui aur Chander ke uper aa gayi. Ek pal ke liye usne neeche hokar lund choot mein lene ki sochi par phir irada badalkar aage ko hui aur theek Chander ke chehre par aakar khadi ho gayi. Chander ke chehra theek uski taango ke beech tha aur nazar Rupali ki choot par. Rupali neeche hui aur apni choot lakar Chander ke hontho par rakh di.
Vo fauran pehchaan gayi ke Chander ne aajse pehle choot par munh nahi lagaya tha aur shayad usko pasand bhi nahi tha kyunki vo apna chehra idhar udhar karne ki koshish kar raha tha par Rupali ki bhari hui gaand mein jaise uska poora chehra dafan ho gaya tha. Rupali ko ismein ek alag hi maza sa aa raha tha. Use mehsoos ho raha tha ke vo aaj jo chahe kar sakti hai, jaise chahe apne jism ko thanda kar sakti hai. Usne apni gaand aage pichhe karni shuru ki aur choot Chander ke munh par ragadne lagi. Uski saans bhaari ho chali thi aur munh se aahh aahh ki aawaz aani shuru ho gayi thi.
Kuchh der yahi khel khelne ke baad vo phir se khadi hui aur pichhe hokar phir se neeche bethi par is baar uski choot Chander ke munh ke bajay uske lund par aayi jo bahut aasani ke saath andar ghusta chala gaya. Lund ke andar jaate hi Rupali ke munh se ek lambhi aah nikal gayi. Use laga jaise kisi pyaase ko paani mil gaya ho. Vo kuchh der tak yun hi bethi rahi, lund ko choot mein mehsoos karti rahi, aur phir uper neeche hilna shuru kar diya. Chander ka lund Thakur ke lund ke muqable kuchh bhi nahi tha aur Rupali ko is baat ki kami khal rahi thi par is waqt uska vo haal tha ke jo mile vo achha. Vo kisi pagal ki tarah Chander ke uper koodne lagi. Vo aage ko jhukti, apne nipples Chander ke munh par ragadti to kabhi uski chhati par. Lund ka choot mein andar bahar hona barabar jaari raha.
Thodi der baad Rupali ke dimag mein ek khyaal aaya. Uske pati aur khud thakur ne kai baar uski gaand maarne ki koshish ki thi par Rupali ne karne nahi diya tha. Chander ka lund dono ke muqable chhota tha kyunki vo khud abhi bachcha tha. Rupali ne koshish karne ki sochi. Vo thoda sa uper hui aur lund choot se nikalkar haath mein pakad liya.
Chander ne uski taraf aise dekha jaise puchh raha ho ke ho gaya kya? Rupali muskurayi, uske lund ko apni gaand par rakha aur dheere dheere neeche hone ki koshish karne lagi.
Vo neeche ko hoti aur lund jaise hi gaand mein jaata uske jism mein dard hona shuru ho jaata aur vo phir uper ho jaati. Kai Jab kai baar koshish karne par bhi vo lund le nahi saki to usne gusse mein ek lambi saans khinchi, apni aankhen band ki, lund gaand par rakha aur neeche bethti chali gayi.
Dard ki ek leher uske jism mein uper se neeche tak daud gayi par vo ruki nahi. Agle hi pal uski gaand neeche Chander ki jaangh se mil gayi aur lund poori tarah gaand mein sama gaya. Rupali se dard bardasht nahi ho raha tha aur aankho se aansu beh rahe the. Vo abhi ruk kar saans hi le rahi thi ke neeche se Chander ne neeche se kamar jhatak kar gaand par ek dhakka maara. Rupali ki cheekh nikal gayi.

Agle din Rupali ki aankh jaldi khul gayi. Vo ab bhi bistar par nangi padi thi aur gaand mein ab tak dard ho raha tha. Kal raat usne us waqt to gaand mara li thi kyunki thodi der baad maza aane laga tha par Chander ke jaane ke baad uska sona mushkil ho gaya tha. Itna dard to use tab bhi nahi hua tha jab vo shaadi ke baad pehli baar chudi thi.
Vo bistar se uthke neeche aayi aur sabse pehle Devdhar ko phone karne ki sochi jise usne aaj ghar aane ko kaha.
"Main bas abhi nikal hi raha tha" Devdhar ne kaha
"Aap haweli na aayen" Rupali ne kaha
"Ji?" Devdhar ki samajh na aaya
"Aap sidhe Jai ke ghar pahunche. Main dopahar 12 baje aapse vahin milungi" Rupali ne kaha aur phone rakh diya
Tej subah subah hi kahin gayab ho gaya tha aur Inder ab tak so raha tha. Payal aur Bindiya Rupali ko kitchen mein mile.
Bindya ab bhi apne purane kapde mein hi khadi thi jabki Payal ne Rupali ki diye hue kapde pehen rakhe the.
Bindiya ko dekhkar Rupali ke dil mein khyaal aaya ke use bhi kuchh kapde de de par sawal tha ke kiske. Socha to uske dimag mein apni saas ka naam aaya. Sarita Devi ke marne ke baad se unke kapde sab yun hi rakhe the.
Rupali us kamre mein pahunchi jis mein Sarita Devi ne apne aakhri kuchh din guzare the. Bimar hone ke baad unhen is kamre mein shift kar diya gaya tha aur unka saara saman bhi yahin tha. Rupali kamre mein aayi aur kapde utha uthakar dekhne lagi
Kuchh kapde pasand karne ke baad vo kamre se nikal hi rahi thi ke use vo dibba nazar aaya jismein Sarita Devi apni dawai rakha karti thi. Kuchh goliyan dibbe mein ab bhi thi. Ab unka kuchh kaam nahi tha ye sochkar Rupali ne dibbar uthaya aur khola.
Usmen neeche ek paper modkar rakha hua tha aur uspar kuchh goliyaan rakhi hui thi. Rupali ne dibba ulatkar dawaiyan bistar par girayi. Goliyon ke saath hi andar rakha vo kagaz bhi nikalkar bistar par gir pada aur tab Rupali ka dhyaan pada ke vo asal mein ek kagaz nahi balki ek tasveer thi.
Tasveer black and white thi. Usmen Kamini ek ladke ke saath khadi hui thi. Ladka kaun tha ye Rupali pehchaan nahi saki par sabse zyada hairat use Kamini ke kapdo par hui. Kamini kabhi is tarah ke kapde nahi pehenti thi aur tab Rupali ne dhyaan se dekha to usko ehsaas hua ko vo ladki Kamini nahi balki khud Sarita Devi thi. Ye unki jawani ke dino ki tasveer thi. Kamini shakal soorat se bilkul apni maan par gayi thi isliye koi bhi is tasveer ko dekhkar ye dhokha kha sakta tha ke tasveer mein Kamini khadi hai.
Rupali ka dhyaan Sarita Devi ke saath khade ladke par gaya. Jahan tak usko pata tha Sarita Devi ka koi bhai nahi tha aur photo mein khada ladka Thakur Sahab to bilkul nahi the. Ladka shakal soorat se khoobsurat tha par Sarita Devi se height mein chhota tha. Rupali ne tasveer uthakar apne paas rakh li aur kamre se bahar nikal aayi.
Bahar aakar usne Inspector Khan ko phone kiya aur usko bhi Haweli aane ke bajay Jai ke ghar par milne ki hidayat di.
Inder ab tak so raha tha. Rupali ne use jagana chaha par phir apni soch badalkar taiyyar hui aur khud hi akeli car lekar nikal padi.
Thodi der baad vo hospital pahunchi.
Thakur ab bhi behosh the. Bhushan vahin bed ke paas betha hua tha. Rupali ko dekhkar vo khada hua.
Rupali vo tasveer apne saath laayi thi jo use Sarita Devi ke kamre mein mili thi. Vo janti thi ke agar koi usko tasveer mein khade ladke ke baare mein bata sakta tha to vo ek Bhushan hi tha.
Rupali ne tasveer nikalkar Bhushan ko dikhayi.
"Kaun hai ye aadmi Kaka?" Usne Bhushan se puchha
Tasveer dekhte hi Bhushan ki aankhen phel gayi.
"Aapko ye kahan mili?" Bhushan ne puchha
"Maan ke kamre se" Rupali apni saas ko maan kehkar hi bulati thi "Kaun hai ye?"
"Tha ek badnaseeb" Bhushan ne kaha "Jiski maut is haweli mein likhi thi aur usko yahan khinch laayi thi"
"Matlab?" Rupali ne puchha
"Ye thakurain ke bachpan ka dost tha. Ye log saath mein pale badhe the. Sarita Devi isko apne bhai ki tarah manti thi par iske dil mein shayad kuchh aur hi tha. Jab unki shaadi Thakur Sahab ke saath hui to isne bada bawal kiya tha suna hai par shaadi rok nahi paya kyunki Sarita Devi khud aisa nahi chahti thi."
"Phir?" Rupali ne puchha
"Phir shaadi ho gayi aur sab is baat ko bhool gaye. Thakur sahab ko to is baat ki khabar bhi us din lagi jab ye haweli mein aa pahuncha"
"Haweli?"Rupali boli
"Haan" Bhushan ne kaha "Shaadi ke koi 1 mahine baad ki baat hai. Ek din ye haweli ke darwaze par aa khada hua aur iski badkismati ke sabse pehle thakur sahab se hi takra gaya. Unse guhaar karne laga ke vo thakurain se pyaar karta hai aur unke bina jee nahi sakta. Aur jaise iske dil ki muraad poori ho gayi"
Rupali khamosh khadi sun rahi thi
"Thakur sahab ne ise itna mara ke isne vahin dam tod diya. Log pyaar mein jaan dete hain maine suna tha par us din dekha pehli baar tha" Bhushan ne kaha
Rupali ko apne kaano par yakeen nahi ho raha tha. Use samajh nahi aa raha tha ke kya kahe aur kya soche. Usne apni ghadi par nazar daali. Dopahar hone ko thi. Usne faisla kiya ke tasveer ke baare mein baad mein sochegi aur vahan se nikalkar Jai ke ghar ki taraf badhi.
12 bajne mein thodi hi der thi jab Rupali ne Jai ke ghar ke bahar car roki. Devdhar aur Inspector Khan bahar hi khade uska intezaar kar rahe the.
"Yahan kyun bulaya?" Khan ne Rupali ko dekhte hue puchha
"Socha ke jo mera hai vo vapis le liya jaaye" Rupali ne kaha to Devdhar aur Khan dono uski taraf hairani se dekhne lage
"Aap hi ne kaha tha na ke mere pati ki maut hote hi sab mere naam ho gaya tha.Power of Attorney bekaar thi to matlab ke Jai ne jis hak se ye ghar kharida vo bhi khatam tha. To matlab ke ye ghar mera hua?" Rupali ne kaha to Khan aur Devdhar dono muskura diye aur uske saath Jai ke ghar ke gate ki taraf badhe.
Watchman ne bataya ke Jai ghar par hi tha aur andar jakar Jai ko unke aane ki khabar karke aaya. Kuchh der baad vo teeno Jai ke saamne bethe the.
Jai takreeban Purushottam ki hi umar ka tha. Shakal par vahi thakuron wali akad. Betha bhi aise jaise koi raja apne mehel mein betha ho.
Rupali ko hairat thi ke vo kabhi Jai se mili nahi thi. Vo uski shaadi se pehle hi alag ghar banakar rehne laga tha par kabhi kisi ne uska zikr Rupali ke saamne nahi kiya tha aur na hi Rupali ne usko apni shaadi mein dekha tha jabki vo uske pati ka sabse kareebi tha. Par iska dosh usne khud ko hi diya. Un dino to use apni pati tak ki khabar nai hoti thi, Jai ki kya hoti.
"Kahiye" Usne Rupali ko dekhte hue puchha
"Get Out" Rupali ne use dekhte hue kaha
"Kya?" Jai ne aise puchha jaise angrezi samajh hi na aati ho
"Mere ghar se abhi isi waqt bahar nikal jao" Rupali ne kaha
"Aapke ghar se?" Jai ne haste hue puchha
Rupali ne Devdhar ki taraf dekha. Devdhar aage badha aur vo saari baaten Jai ko batane laga jo usne pehle Rupali ko bataya tha. Dheere dheere Jai ki samajh aaya ke Rupali kis hak se uske ghar ko apna keh rahi thi aur vo pareshan apne saamne rakhe papers ko dekhne laga.
"Aur agar main jaane se inkaar kar doon to?" Jai ne papers ek taraf karte hue puchha
Rupali ne khamoshi se Inspector Khan ki taraf dekha. Vo janti thi ke Jai aisa bol sakta hai isliye Khan ko saath laayi thi
"Main ye mamla adalat mein le jaoonga. Aise kaise ghar aapka ho gaya? Main apne vakeel ko bulata hoon" Jai ne phone ki taraf haath badhaya
"Bahar ek STD booth hai. Vahan se karna. Filhal ghar se bahar nikal" Khan beeche mein bol pada
"Tameez se baat karo" Jai khan par chillate hue bola
"Ye dekha hai?" Khan ne apna haath aage kiye "Ek kaan ke niche pada na to tameez aur kameez mein farak samajh nahi aayega tujhe. Chal nikal"
Jai chup ho gaya. Vo uthkar ghar ke andar ki taraf jaane laga.
"Vahan kahan ja raha hai?" Khan phir bola "Darwaza us taraf hai"
"Apna kuchh samaan lene ja raha hoon" Jai rukte hue bola
"Vo samaan bhi mere paiso se aaya tha to vo bhi mera hua. Ab isse pehle ke main ye kapde jo tumne pehen rakhe hain ye bhi utarva loon, nikal jao" Rupali khadi hote hue boli

"Filhal to ja raha hoon par itna aasan nahi hoga aapke liye mujhe harana" Jai ne kaha to Rupali muskurane lagi
"Apko kya lagta hai ke ye sab us neech thakur ka hai jo apne hi bhai ko daulat ke liye maar daale? Jo saale apne ghar ki naukrani ko bhi nahi chhodte?" Jai ne Rupali ke kareeb aate hue kaha.
Uski is harkat par Khan uski taraf badha par Rupali ne usko haath ke ishare se rok diya
"Kya matlab?" Usne Jai se puchha "Kya bakwaas kar rahe ho?"
"Sach keh raha hoon" Jai ne kaha "Aapko shayad nahi pata par maine dekha hai. Vo Bhushan ki biwi, use thakur ke khandaan ne apni rakhail bana rakha tha. Zabardasti subah shaam ragadte the use. Thakur, Tej, Kuldeep aur khud aapke pati Purushottam Singh ji"
"Bhushan ki biwi?" Rupali hairan hui
"Ji haan" Tej bola "Jab us bechari ne jaakar sab kuchh Bhushan ya aapki saas ko bata dene ki dhamki di to gayab ho gayi aur baat ye phela di gayi ke apne kisi aashiq ke saath bhaag gayi"
Rupali ke dimag ki battiyan jaise ek ek karke jalne lagi. Haweli mein mili laash jo Kamini ki nahi thi, Kuldeep ke kamre mein mila vo bra. Khud Khan bhi chup khada sun raha tha.
"Tumhein ye kaise pata?" Rupali ne puchha
"Haweli mein bachpan guzara hai maine. Dekha hai sab apni aankho se. Jaise hi vo haweli mein kaam karne aayi to sabse pehle thakur ki nazar us par padi to pehle unhone kaam kiya. Phir unki dekha dekhi unke sabse bade bete Purushottam Singh jinhen duniya bhagwan Ram ka avtaar samajhti thi unhone apna sikka chala diya bechari par. Jab bade bhai ne munh maar liya to baaki ke dono kahan pichhe rehne wale the. Mauka milte hi Tej aur Kuldeep ne fayda utha liya"
Rupali ki aankhon ke aage andhera sa chhane laga.
"Bakwaas kar rahe ho tum" Usne Jai se kaha
"Sach bol raha hoon main. Apni hawas sambhali nahi jaati in logon se, phir chahe vo aurat ki ho ya daulat ki aur isi ke chalte Purushottam bhi mara. Aapsi ladayi thi vo in logon ki daulat ke pichhe. Ek bhai ne doosre ko maara hai" Jai ne kaha
Par Rupali ka dimag us waqt doosri hi taraf chal raha tha. Use Inder ki kahi baaten yaad aa rahi thi jo Kamini ne usko kahi thi.
"Bas jism ki aag bujhni chahiye. Phir nazar nahi aata ke kaun apne ghar ka hai aur kaun ........."
Use apne pati ka vo roop yaad aaya jo vo roz raat ko bistar par dekha karti thi. Kis tarah se vo usko nangi karte hi insaan se kuchh aur hi ban jata tha. Use yaad aaya ke kis aasani se Bindiya Tej ke bistar par pahunch gayi thi aur Tej ne mauka milte hi usko chod liya tha. Usko yaad aaya ke kis aasani se us raat Thakur ne uske saamne hi Payal ko chod liya tha. Zara bhi nahi socha tha dono ne ke vo ek mamuli naukrani hai aur vo vahan ke thakur. Par kya koi itna gir sakta tha ke apni hi behen ke saath? Sochkar Rupali ka dimag phatne laga. To ye vajah thi Payal ke gayab hone ki. Apne bhai ko goli maarkar chhupti phir rahi thi.

Thodi der baad Khan aur Rupali vapis haweli mein daakhil hue. Tej ke jaane ke baad Rupali ne ghar par taala laga diya tha. Devdhar vapis sheher chala gaya tha aur Khan uske saath vapis haweli tak aaya tha.
Rupali ke dimag mein laakhon baaten ek saath chal rahi thi. Vo samajh nahi paayi ke kaise usko ye sab baaten pehle samajh nahi aayi. Payal ka yun apne hi ghar mein chup chup rehna. Agar uske apne bhai hi uska fayda uthayen bechari apne hi ghar mein bheegi billi ki tarah to rahegi hi. Vo haweli mein mili laash. Rupali ko usi waqt samajh jana chahiye tha ke ye laash kiski hai jab Bindiya ne usko Bhushan ki biwi ke baare mein bataya tha. Kuldeep ke kamre mein mili bra, basement mein rakhe box mein vo kapde, sab us bechari ke hi thi jisko markar yahan dafna gaya tha. Usko hairani thi ke usko tabhi shak kyun nahi hua jab thakur ne ye kaha ke unhen nahi pata ke vo laash kiski thi. Aisa kaise ho sakta hai ke ghar ke malik ko hi na pata ho ke laash kahan se aayi. Us waqt haweli ke bahar guards hote the, haweli ke compound mein raat ko kutte chhod diye jaate the to ye na mumkin tha ke koi bahar ka aakar ye kaam kar jata. Vo khud apni vasna mein itni khoyi hui thi ke usko ehsaas hi nahi hua ke kitni aasani se usne Payal aur Bindiya ko thakur aur Tej ke bistar par pahuncha diya tha.
Haweli ke andar pahunch kar usne Bindiya aur Payal ko aawaz lagayi par dono kahin dikhayi nahi de rahi thi.
"Ye dono kahan gayi" Bethte hue Rupali ne kaha. Khan uske saamne rakhi ek kursi par beth gaya
"Kya lagta hai kaun hai aapke pati ke khoon ke pichhe ? Tej?" Khan ne kaha to Rupali ne inkaar mein sar hilaya
"Kamini." Rupali ne kaha to Khan ne hairani se usko taraf dekha
"Kal aapke jaane ke baad Inder se baat hui thi meri. Kaafi pareshan thi vo mere pati ke marne se pehle aur Gun usne Inder se li thi" Rupali ne kaha
"Par mujhe to kaha gaya tha ke ....." Khan ne kal ki Inder ki batayi baat ko yaad karte hue kaha
"Jhooth bol raha tha. Gun usne Kamini ko di thi. Baad mein bataya mujhe" Rupali ne aankhen band karte hue kaha
"Socha nahi tha ke ye sab aise khatam hoga. Main to Tej par shak kar raha tha aur ek waqt par to mujhe aap par bhi shak hua tha. Par Kamini par kabhi nahi" Khan ne kaha
"Ek baat samajh nahi aayi" Rupali ne aankhen kholte hue kaha "Aapka mere pati se kya rishta tha? Kis ehsaan ki baat kar rahe the?"
"Bachpan mein isi gaon mein raha karta tha main. Mere abbu yahin ke the" Khan muskurate hue bola "Thakur sahab ke kheton mein kaam karte the. Ek baar thakur sahab kheton mein shikaar kar rahe the. Vo jis parinde par nishana laga rahe the mujhe uspar taras aa gaya aur maine shor machakar usko uda diya. Bas phir kya tha. Thakur ko gussa aaya aur unhone bandook meri taraf ghuma di. Us waqt aapke pati vahan the. Unhone bacha liya varna us din ho gaya tha mera kaam"
Rupali bhi jawab mein muskurayi
"Uske baad ham logon ne gaon chhod diya. Main sheher mein pala badha, security officer join ki aur us baat ko bhool gaya. Jab mera yahan transfer hua to maine socha ke aapke pati se miluga par yahan aake pata chala ke unhen mare to 10 saal ho chuke hain" Khan ne kaha
"Nahi shayad unhen mare ek arsa ho gaya tha. Aaj ek naya hi roop dekha main Thakur Purushottam Singh ka jo mere pati ka to bilkul nahi tha. Jo aadmi is hadh tak gir jaaye usko apna pati to nahi keh sakti main" Rupali ne kaha "Sach kahun to aaj is haweli ke har aadmi ka ek naya chehra dekha. Meri saas ka bhi"
"Aapki saas ka? Vo to mar chuki hain na?" Khan ne puchha
Rupali ne apne purse se vo tasveer nikali aur Khan ko thama di
"Suna hai unka bhi koi chahne wala tha. Yahi jo is tasveer mein hai. Ye bhi thakur sahab ke gusse ki bali chadh gaya tha." Rupali ne phir aankhen band kar li
"Par chaliye aapko aapke sawalon ke jawab to mile" Khan ab bhi tasveer ko dekh raha tha
"Jawab to mil gaye par ab samajh ye nahi aa raha ke in jawabon ke saath aage ki zindagi kaise guzregi" Rupali ne phir aankhen kholkar Khan ki taraf dekha. Vo ab bhi tasveer ko ghoor raha tha.
"Aise kya dekh rahe hain?" Rupali ne puchha
"Ye Kamini nahi hai?" Khan ne kaha to Rupali hasne lagi
"Maine bhi yahi socha tha par ye meri saas ki jawani ki tasveer hai. Kamini bilkul unhi par gayi thi" Rupali boli
"Pata nahi kyun aisa lag raha hai ke maine is aadmi koi bhi kahin dekha hai" Khan tasveer mein khade aadmi ki taraf ishara karta hua bola
"Isko mare to ek arsa ho chuka hai" Rupali boli " Aur sach kahun to kuchh sawal ab bhi aise hain jinka jawab mujhe samajh nahi aa raha"
"Jaise ke?" Khan ne puchha
"Jaise ke raat ko haweli mein aane wala aadmi kaun tha, jaise ki Kamini ke saath tubewell par us din doosra aadmi kaun tha, jaise ki jo chaabiyan mujhe haweli mein mili unki asli kiske paas hai aur ek chaabhi Sarita Devi ke paas kyun thi jabki vo kabhi kheton ki taraf jaati hi nahi thi" Rupali ne kaha
Khan ne hairat se uski taraf dekha to Rupali ko yaad aaya ke vo is baare mein kuchh nahi janta tha.
"Batati hoon" Usne kehna shuru kiya hi tha ke Khan ne usko haath ke ishare se rok diya. Usne tasveer saamne table par rakhi, jeb se pen nika, tasveer mein khade aadmi ke chehre par thodi si daadhi banayi, halke se naak ne neeche baal banaye, sar ke baal thode lambe kiye aur chehre par jhurriyan daali aur tasveer Rupapli ki taraf ghumayi.
"Pehchanti hain ise?" Khan ne puchha
Rupali ne tasveer ki taraf dekha to uske pairon tale zameen jaise hilne lagi. Tasveer mein Sarita Devi ke saath Bhushan khada tha.

"Ab jahan tak mera khyaal hai sirf ek sawal baaki reh gaya hai. Kamini kahan hai?" Khan ne kaha
"Mar chuki hai. Haweli ke pichhe jahan meri biwi ki laash mili thi vahin paas hi uski bhi laash dafan hai" Pichhe se aawaz aayi to Khan aur Rupali dono palte. Saamne Bhushan khada tha.
Par ye Bhushan vo nahi tha jise Rupali ne hamesha dekha tha. Saamne ek buddha aadmi to khada tha par ab uski kamar jhuki hui nahi thi, ab vo shakal se bimaar nahi lag raha tha aur na hi kamzor. Saamne jo Bhushan khada tha vo sidha khada tha aur uske haath mein ek gun thi.
"Aap yahan? Thakur sahab ke saath kaun hai?" Rupali ne puchha
"Koi nahi kyunki ab uski zaroorat nahi. Thakur Sahab nahi rahe. Guzar gaye" Bhushan ne kaha
Uske ye kehte hi Khan fauran harkat mein aaya. Uska haath uski gun ki taraf gaya hi tha ke Bhushan ke haath mein thami gun ke munh Khan ki taraf muda, ek goli chali aur agle pal Rupali ke kadmon ke paas Khan ki laash padi thi.
Rupali cheekhne lagi aur Bhushan khada hua usko dekhne laga. Rupali ko us waqt jo bhi naam yaad aaya usne chilla diya. Bindiya, Payal, Chander, Tej, Inder par koi nahi aaya.
Usne ghabrakar charon taraf dekha aur jab koi nahi dikha to usne phir Bhushan par nazar daali.
"Bindiya aur Payal" Bhushan ne bola "Vahan kitchen mein padi hain. Tej ki laash bahar compound mein padi hai, mere kamre ke paas. Inder khoon se saney apne bistar par pada hai. Vo to bechara sota hi reh gaya. Sote sote dimag mein ek goli ghusi aur neend hamesha ki neend mein badal gayi"
Bhushan Rupali ki taraf badha to Rupali pichhe hokar phir chilllane lagi.
"Chillao" Bhushan ne aaram se kaha "Ye haweli itni manhoos hai ke kisi ne sun bhi liya to is taraf aayega nahi"
Thodi der chillane ke baad Rupali chup ho gayi
"Kyun?" Usne Bhushan se puchha
"Kyun?" Bhushan bola "Kyunki tum apne aapko Jhansi ki rani samajhne lag gayi thi achanak. Main ye sab aise nahi chahta tha. Main to thakur ke khandaan ko ek ek karke, sad sadke, ris riske marte hue dekhna chahta tha. Bachi hui izzat ko khatam hone ke baad marna chahta tha. Par tumne saara khel bigad diya. Kya zaroorat thi vo tasveer duniya ko dikhate hue phirne ki?"
"Par kyun?" Rupali ne sawal phir dohraya
"Kyunki barbad kiya tha mujhe thakur ne. Saari zindagi maine ek naukar banke guzaar di. Pyaar karta tha main Sarita se aur vo mujhse par kyunki main gareeb unke ghar ke naukar ka beta tha isliye uski shaadi mujhse ho nahi sakti thi. Ham dono bhaag jaane ke chakkar mein the ke jaane kahan se ye Shaurya Singh beech mein aa gaya. Na Sarita kuchh kar saki aur na main" Bhushan gusse se chillate hue bola
"To vo kahani jo hosiptal mein sunayi thi?" Rupali ne kaha
"Jhooth thi. Shaadi ke baad maine haar nahi maani. Main Sarita ke bina zinda nahi reh sakta tha isliye yahan chala aaya. Pada raha ek naukar banke kyunki yahan mujhe vo roz nazar aa jati thi" Bhushan ne kaha
"To phir ye sab kyun?" Rupali boli
"2 vajah thi. Pehli to ye ke inhone meri biwi ko maar diya. Sarita ke kehne par maine us bechari se shaadi ki thi taaki kisi ko shak na ho par yahan lakar to maine jaise use maut ke munh mein dhakel diya. In sabne use apni hawas ka shikaar banaya aur phir maarke pichhe hi dafna diya. Janti ho uski gardan par talwar se vaar kisne kiya tha? Tumhare sabse chhote dewar Kuldeep ne jo us waqt mushkil se 18-19 saal ka tha. Aur doosri vajah thi Kamini. Use pata chal gaya tha ke vo meri beti hai aur sabko bata dena chahti thi"
"Aapki beti?" Rupali ne kaha
"Haan meri beti thi vo. Par ek din usne mujhe aur Sarita ko kheton mein nangi halat mein dekh liya tha aur Sarita ko usko majboor hote hue sab batana pada." Bhushan ki ye baat sunte hi Rupali ko jaise apne baaki sawalon ke jawab bhi mil gaye.
Tubewell par Bindiya ke pati ne Kamini aur kisi aadmi ko nahi balki Sarita Devi aur Bhushan ko dekha tha. Kyunki Kamini ki shakal Sarita Devi se milti thi isliye door se usko laga ke Kamini hai kyunki is halat mein hone ki ummeed ek jawan aurat se hi ki ja sakti hai, na ke ek jawan beti ki maan se. Aur isliye tubewell ke kamre ki chaabhi usko Sarita Devi ke paas se mili thi. Aur yahi vajah thi ke Kamini ki shakal usko bhaiyon se nahi milti thi. Kyunki vo thakur ki aulad thi hi nahi. Jahan uske charon bhai behad khoobsurat the vahin vo ek mamuli si soorat wali thi kyunki vo thakur par nahi balki apni maan aur ghar ke naukar par gayi thi.
"Vo jo aadmi haweli mein raat ko aata tha" Rupali ne puchha
"Jhooth tha. Maine to tumhein pehle din hi kaha tha ke tumhare pati ki maut ka raaz isi haweli mein hai. Main tha is haweli mein par tum dekh nahi saki. Shuru se main tumhein vo dikhata raha jo tum dekhna chahti thi."
Bhushan bola
"Aur Kuldeep?" Rupali boli
"Us saale ko to maine Kamini se pehle hi maar diya tha. Uski laash bhi vahin aas paas hai jahan meri biwi ki laash mili thi." Bhushan bola
"Kamini ko aapne maara tha?" Rupali ko yakeen nahi hua "Apni beti ko"
"To kya karta. Vo khud apni maan ko marna chahti thi jiske liye vo gun tumhare bhai se laayi thi. Ye gun" Bhushan gun Rupali ko dikhata hua bola
Rupali ko dheere dheere baaki baat bhi samajh aane lagi. Rupali apni maan ke baare mein baat kar rahi thi na ki apne baare mein jab usne Inder ko ye kaha tha ke sabko bas jism ki bhookh mitani hai kyunki usne apni maan ko ghar ke naukar ke saath nangi halat mein dekha tha. Tab uski maan ye bhool gayi thi ke kaun apne ghar ka uska apna pati hai aur kaun ek mamuli naukar. Isliye usne Inder ko kaha tha ke vo uske kaabil nahi kyunki Inder ek thakur tha aur vo ek naukar ki beti.
"Thakur Sahab?" Rupali ne puchha
"Abhi apne haathon se gala dabake maarkar aaya hoon. Yahan irada to Tej ko khatam karne ka tha par pehle kamre mein Inder mil gaya. To usi ko nipta diya. Goli ki aawaz se Bindiya aur Payal aayi to un dono ko bhi maarna pada. Abhi main Tej ko dhoondh hi raha tha ke bahar se uski car aati hui dikhai di. Saale ki maut sahi waqt par le aayi thi usko yahan. Main vahi ghar ka buddha naukar banke uske paas gaya, kamar jhukaye hue aur jaise hi vo kareeb aaya, ek goli uske jism mein. Khel khatam"
"Kuldeep aur Kamini ke baare mein kisi ko pata kaise nahi tha?" Rupali jaise aakhri kuchh sawal puchh rahi thi
"Kyunki unko maine raaste mein maara. Kya hai ke un dono ke saath main unhen airport tak chhodne gaya tha. Gaadi ka driver banke. Mera kaam tha unko chhodna aur gaadi vaapis lana. Dono ko raaste mein khatam kiya aur dicky mein laash daalkar vapis haweli le aaya. Raat ko dafna diya" Bhushan ne jawab diya. Vo bhi jaise chahta tha ke maarne se pehle Rupali ko sab bata de.
"Par ek sawal rehta hai jisne ye saara bakheda shuru kiya. Mere pati ko kyun maara?" Rupali ne kaha
"Us din Kamini Sarita ko marne ke iraade se nikli thi. Vo soch rahi thi ke jaakar Sarita ko mandir mein hi maarkar aa jayegi tab jabki Purushottam usko chhodke chala jayega. Mujhe uske iraade nek nahi lag rahe the isliye uspar nazar rakha hua tha. Vo haweli se kuchh door hi gayi thi ke maine uska pichha karke usko raaste mein rok liya. Usse baat karte hue maine ye gun uske haath se chhin li aur abhi ham baat kar hi rahe the ke Purushottam jaane kyun haweli vapis aa gaya. Kamini mujhpar chilla rahi thi aur mere haath mein revolver thi. Jaane usne kya socha par vo chillata hua meri taraf badha. Main goli maar di. Ye meri kismat hi thi ke us waqt koi bhi naukar vahan se nahi guzra varna ghar ke saare naukar usi raaste se usi waqt ghar vapis jaate the. Purushottam ko maarne ke baad maine Kamini ko darakar chup to kar diya par mujhe pata tha ke vo munh khol degi isliye usko bhi maarna pada."
"Apni hi beti ko?" Rupali ne kaha "Pyaar nahi tha usse?"
"Mujhe sirf Sarita se pyaar tha" Bhushan bola
"Kya ho raha hai yahan?" Darwaze ki taraf se aawaz aayi to Bhushan aur Rupali dono palte. Darwaze par Jai khada tha. Isse pehle ke vo kuchh samajh pata Bhushan ka haath phir sidha hua aur Revolver se goli chali aur Jai ke seene par lagi.
Jai ladkhadaya aur agle hi pal Bhushan ki taraf badha. Bhushan ne phir fire karne ki koshish ki par vo poori 6 goliyan chala chuka tha. Gun se fire nahi hua aur Jai us tak pahunch gaya. Usne Bhushan ko gale se pakda aur pichhe ki taraf dhakelna shuru kar diya. Pichhe rakhe sofe par Bhushan ka per phansa aur dono neeche table par gire aur phir zameen par.
Rupali khadi dono ki taraf dekh rahi thi. Bhushan neeche gira hua tha aur Jai uske uper pada tha. Bhushan ne sar se khoon nadi ki tarah beh raha tha jo table par girne ki vajah se lagi chot se tha. Iske baad na Bhushan hila aur na Jai. Rupali ne jhuk kar Jai ko hilane ki koshish ki par Bhushan ki chalayi goli ne der se sahi magar apna asar zaroor dikhaya tha. Vo mar chuka tha.
Rupali uthkar khadi ho gayi. Use aas paas 7 laashen padi thi aur inmen se ek laash uski aadmi ki bhi thi jisne uske pati ko maara tha. Vo vahin neeche zameen par beth gayi. Samajh nahi aa raha tha ke kya kare. Raat ka andhera dheere dheere phelne laga tha.


Vo haweli aaj bhi vaise hi sunsaan thi jaise ki vo pichhle 10 saal se thi.



END
Like Reply


Messages In This Thread
HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 12:15 PM
HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 12:16 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 01:08 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 01:10 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 01:12 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 01:14 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 01:17 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 01:40 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 01:47 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 01:48 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 01:50 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 01:57 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 01:58 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 02:22 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 02:26 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 02:27 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 02:27 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 07:45 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 07:46 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 07:48 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 07:51 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 07:52 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 07:53 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 07:55 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 07:58 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 07:59 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 08:01 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by Calypso25 - 05-09-2019, 08:57 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 05-09-2019, 10:34 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 06-09-2019, 08:47 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 06-09-2019, 02:02 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 06-09-2019, 02:03 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 06-09-2019, 02:04 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 06-09-2019, 02:05 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 06-09-2019, 02:05 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 06-09-2019, 02:07 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 06-09-2019, 02:09 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 06-09-2019, 02:10 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 06-09-2019, 02:10 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 06-09-2019, 02:11 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 06-09-2019, 02:12 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 07-09-2019, 10:35 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 07-09-2019, 10:44 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 07-09-2019, 10:45 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 07-09-2019, 10:46 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 07-09-2019, 10:47 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 07-09-2019, 10:47 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 07-09-2019, 10:50 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 07-09-2019, 10:51 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 07-09-2019, 10:52 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 07-09-2019, 10:55 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 08-09-2019, 11:24 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by Rumana - 19-09-2019, 07:01 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 20-09-2019, 09:23 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 20-09-2019, 07:49 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 24-09-2019, 01:52 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 19-10-2019, 01:29 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 06-11-2019, 08:27 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by Mafiadon - 07-11-2019, 10:01 AM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 07-11-2019, 11:56 PM
RE: HAWELI By The Vampire - by thepirate18 - 17-02-2020, 09:45 AM



Users browsing this thread: 5 Guest(s)