25-08-2019, 05:45 AM
Doctors se Raja Sahab ko kuchh khas baat nahi pata chali.is waqt vo centre ke lawn me 1 chair pe baithe the & unke samne us raat ki duty wala guard khada tha,"huzur,humne sachmuch vishwajeet sahab ko bahar jate hue nahi dekha tha & na hi hum gate se hile the ya soye the."
"dekho,hum tum pe koi ilzam lagane nahi aaye hain,hum to bas ye jaanana chahte hain ki us raat kya hua tha."
guard ne unhe vahi sab baaten batayi jo dr.purandare,unka staff & security officerwale kah rahe the.
"..to us raat kuchh bhi aisa nahi ghata tha jis se ki kisi anhoni ki aashanka hoti."
"ji nahi,sahab.bas thodi der ke liye bijli gayi thi jise BESCOM wale thik kar gaye the."
"kya?bijli gayi thi!puri baat batao."
guard ne unhe pura kissa suna diya.
"tumne ye baat security officer ko batai thi.?"
"ji,sahab."
"hmm.achha,generator thik karne jo aadmi basement me gaya tha,kya tum bhi us ke sath gaye the?"
"nahi,sahab.usne hume mana kar diya.kehne laga ki hum pareshan na ho,vo kaam kar dega bas chhoti si gadbad hai.sahab,humne us waqt bhi gate nahi chhoda tha.aur bijli thik karne bhi van ke sath bas 1 aadmi aaya tha & 10 minute me chala bhi gaya tha..aur jate waqt vo akela hi tha."
"tumne uski shakl dekhi thi?"
"kuchh thik se yaad nahi sahab.bahut andhera tha....nata,kala sa aadmi tha."
raja sahab puri taiyyari ke sath aaye the,"kya ye tha?",apna briefcase khol jabbar ki tasveer nikal guard ke samne kar unhone poochha.
"pakka nahi keh sakte,sahab...par haan isi tarah ka tha."
raja sahab ke liye itna kafi tha.thodi der baad vo security officer station me vishwa ke case ke investigation officer ke samne baithe the,"...us raat shayad bijli bhi gayi thi us ilake ki?"
"ji.aisa bahut common hai us area me.naya basa hai na.hote rehte hain power cuts & vaise bhi us raat bijli thik karne vala aadmi BESCOM ki uniform & van ke sath tha.maine sare records check kiye the BESCOM ki koi bhi van gayab ya chori ki report nahi thi.so,mujhe lagta hai ki vo angle nahi hai.mujhe pakka yakeen hai guard so raha tha & aapka beta nikal gaya & uski badkismati ki galat logo ke hatthe chadh gaya."
"hmm.anyway,thank you officer.aapne jo bhi kiya hai uske liye main zindagi bhar aapka aabhari rahunga.",raja sahab ne apna hath officer ki or badhaya.
"just doing my job,raja sahab.mera bharosa kariye,mujrim ko to main pakad kar rahunga.",usne raja sahab se hath milaya.
raja sahab us se vida le airport chal pade,unka kaam ho gaya tha.guard se baat karke unhe yakeen ho gaya tha ki jabbar hi unke bete ka kaatil hai.unhone janbujh kar officer ko jabbar ka photo ya us pe shaq hone ki baat nahi batayi thi.ab vo jabbar ko apne hatho se saza dene ki thaan chuke the.airport pahunch kar unhone Menaka ko phone milaya,"humara kaam ho gaya hai.hum agli flight se aa rahe hain."
"seedha hume lene aana."
"theek hai,meri jaan."
menaka ke mata-pita chahte to nahi the ki unki beti itni jaldi vapas jaye par menaka ne office me zaruri kaam ka bahan bana diya tha.uske mata-pita ko bhi laga ki unki vidhva beti ka man kaam ke bahane hi sahi bahal to raha hai,so unhone ne bhi use rokne ke liye zyada zid nahi ki.ab menaka apne maayke me besabri se raja sahab ka intezar kar rahi thi.