24-08-2019, 09:54 PM
mall se hotel jate waqt car me baithe-2 raja saheb ne apne mobile se fon milaya,"dr.purandare.hum yashveer singh bol rahe hain."
menaka khidki se bahar dekhne lagi,uske sasur uske pati ka haal poochh rahe the.itne dino me usne 1 baar bhi vishwa ke bare me nahi socha tha.agar man me khayal aata bhi to jaldi se apna dhyaan doosri or kar us khayal ko dimagh se nikal phenkti thi."kaisa aadmi tha uska 'so-called pati'.jab vo hospital me thi to ek baar bhi use dekhne nahi aaya....na kabhi us se maafi maangne ki koshish ki aur kyu karta vo to uske liye bas ek khilona thi....hawas mitane ki cheez,usne use kabhi patni thode hi samjha tha.",menaka soch rahi thi,"jab vo theek hokar vapas aa jayega to vo kaise karegi uska saamna...fir se us haivan ke sath rehna padega...",usne apne sar ko jhatka,"..jab aayega tab sochenge...aaj to itni khushi ka din hai.deal final ho gayi hai.aaj koi bura khayal man me nahi laoongi",apne sausr ki taraf dekha to vo mobile band karke jeb me daal rahe the.vo use kabhi bhi vishwa ke bare me nahi batate the...shayad jaante the ki uska zikr use fir se vo dard yaad dila dega.vo unki or dekh kar muskurayi & fir khidki se bahar dekhne lagi.
Aaiye ab hum bangalore chalte hain,dr.purandare ke rehab centre me,vishwa ko dekhne.....vo dekhiye baki patients ke sath baith kar kha raha hai...& dr.purandare kahan hai?....haan..wahan apne chamber me computer par kuchh dekh rahe hain...kya dekh rahen hai aakhir?....achcha!vishwa ke therapy sessions ke tape hain.dr.sahab apne sare patients se jo bhi baat karte hain use video record kar lete hain,is se unhe baad me mariz ko analye karne me aasani hoti hai.chaliye,hum bhi unke sath ye videos dekhte hain.
Patient no.45681,Vishwajeet Singh
Session 1
dr.:hello,vishwajeet.
vishwa bas sir hilata hai.
dr."dekho,vishwa-i can call you vishwa...ok.dekho,mera maanana hai ki har aadmi jo kisi buri lat ka shikar hai khud apne ko sudhar sakta hai agar vo khud ke andar jhank kar apneaap ko samajhne ki koshish kare.main chahta hu ki tum bhi yahi karo.
vishwa ek taraf sar ghuma kar deewar ki or dekh raha hai.pata nahi dr.ki baaton par dhyan de bhi raha hai ya nahi..
dr.:..insan nashe ka sahara leta hai kisi cheez se bhagne ke liye & ye nahi sochta ki kuchh samay baad vo us nashe ka ghulam ho jata hai..us ke hath ki kathputli ban kar rah jata hai bas...meri baat ke bare me sochna.you may go now.
dr.kuchh files skip kar aage badhte hain.
Session 4
dr.:hello,vishwa.
vishwa:hi.doc.
dr.:kaisa lag raha hai yaha?
vishwa:achhi jagah hai doc,par jab talab lagti hai to ye jagah jail lagne lagti hai.
dr.:tum chaho to kal hi yaha se jaa sakte ho.tumhari marzi ke khilaf ,agar tumhare parivar wale bole, to bhi main tumhe yaha nahi rokunga.
vishwa(khada hokar khidki se bahar dekhte hue):nahi doc,main thik hona chahta hu.main kisi aur cheez ko apni life control karne nahi de sakta.
dr.:that's the spirit!main samajhta hu,vishwa, jab talab lagti hai to bahut mushkil hoti hai par main jaanta hu ki tum is se zaroor ubar jaoge.
dr.aur aage badhte hain,1 video dekhna shuru karte hain & fast forward kar vaha se dekhtehain, jahan se vishwa bolta hai,
vishwa:..mere maa-pita bahut achhe hain & hum dono bhaiyon ko kanhi bhi bigadne nahi diya & na hi kabhi humari koi jaayaz maang ko thukraya ...& mera bhai to mera dost tha.doc,hum rajparivar ke ladko se kuchh khas ummeeden rakhi jati hain-hume apne parivar ki maryada ka har waqt khayal rakhna padta hai-har waqt.mujh se ye sab utna nahi hota tha,vaise bhi mera bhai bhavi raja tha...use business sambhalna tha & parivar ke maan ki rakhvali karni thi.
dr.:to tum parivar ki izzat ka khayal nahi karte?
vishwa:karta hu.par main rajpura me nahi rehna chahta tha,main to america me apne friends ke sath upper-end gadgets ka business karna chahta tha.mere bhai ko mere plans ke bare me pata tha & vo humesha kehta tha ki family business & traditions ki dekhbhal ke liye vo hai,main to bas vo karu jo main chahta hu.mera bhai mera bahut khayal rakhta tha doc...par bhagwan ne use chheen liya humse & mujhe majbooran wapas aana pada.pita ji bilkul akele the & maa bhi swarg sidhar gayi thi.
main aaya tha apna farz nibhane par idhar kuchh mahinom se ye farz mujhe bojh lagne laga tha...
dr. aur aage badhte hain....
Session 8
vishwa:mujhe apne pita se koi shikayat nahi doc par shayad hum dono ke raaste alag hain,rajpura unki zindagi hai & main ab rajpura jana nahi chahta.mera dum ghut ta hai ab wahan.