20-08-2019, 06:04 PM
sham ke 7 baje the,andher gehra raha tha jab rajpura se nikal kar vo grey colour ki Landcruiser ne 5 min ke bad highway chhod diya or 1 patli sadak pe chalne lagi & 15 min bad kuchh jhopdiyon ke paas pahuch kar ruk gayi.driver side ka sheesha 4 inch neeche hua & 1 50 ka note bahar nikla jise us adivasi ne lapak ke pakad liya jo gaadi dekh kar bhagta hua aya tha.badle me usne 1 chhoti bottle gaadi ke andar d di.
uske baad vo grey color ki, gehre kale sheeshon wali landcruiser vapas lautne lagi.highway se thoda pehle car ruk gayi.andar baithe vishwajeet ne bottle khol le apne munh se laga li.sasti sharab jab halak se neeche utari to use jalan mehsus hui par isi jalan me use sukun milta tha.
raja yashveer ka beta,bhavi raja,akoot daulat ka malik jo chahe the duniya ki mehangi se mehangi sharab pee sakta tha aadivasiyon dwara ghar me banayi hui Rs 50 ki sharab me chain pata tha.vakayi insan bhagwan ki sabse ajeebo-gareeb ijaad hai.
vishwa ko vo din yaad aya jab vo apne bade bhai ke saath ghumte hue yaha aya tha & unhone in aadivasiyon se jungli khargosh pakadna seekha tha.apne guzre hue bhai ki yaad aate hi uski aankon me pani aa gaya.
"kyu chale gaye tum bhai?kyu.tum gaye aur main yaha akela reh gaya in jhanjhaton ke beech me.tum jaante the mujhe ye business & rajaon ki tarah rehna kitna napasand tha.phir bhi mujhe chhod kar chale gaye.",vishwa budbudaya & 1 ghunt aur bhari.
"maryada,shaan....dignity!bas yehi reh gaya hai meri life me.chalo to khyal rahe ki hum kis khandan ke hain,baat karo to dhyan rahe ki humari maryada kya hai...yaha tak ki shadi bhi karo to ....hunh."
vishwa humesha sochta tha ki yudhvir raja banega & vo aaram se jaise marzi videsh me reh sakta tha.shadi me to use vishwas hi nahi tha.uska maanana tha ki jab tak jee kare saath raho & jis din differences ho alag ho jao.shadi to bas mard-aurat ke aise simple rishte ko complicate karti thi.
usne bottle khatam karke bahar fenk i ki tabhi 1 lamba,gora chhote-2 balon wala clean shaven insan uske paas pahucha,"salam,saab."