07-01-2019, 07:12 AM
UPDATE-39
"Morgan,tum mere sath aasman par sair ke liye chalna pasand karoge,ya phhir Ron ke sath un beswad dragon ka mans khana pasand karoge..."
"Ron ki shakal dekhte hee mera dil karta hain ki main uska sar fodkar uska bheja in dragons ke samane phenk doon,aur wo use noch noch kar khaye..."
"par afsoos Morgan ki tum aisa nahi kar sakte ,phhir chalo sair karne chalte hain,raat ko khule samundar me sair karna sehat ke liye labhdayak hota hain...jaha pura samundar humare pairotale rahta hain..."
Morgan aur Gabriel apne apne dragon par baithe hue aasmano ki uchayi ko chhu rahe the...
"Malik ,yadi aapne Ron ka khoon pee liya to aapki shaktiya ,jo ki khatam hone wali hain ,wo phhir se wapas aa jayengi is baat ka aapko kaise pata chala..."
"Ron bhi ek dragon holder hain Morgan,lekin usne bahut kam samay hee dragon holder ke roop me bitaya hain...jisse uske khoon me wo nayi urja maujood hain,jo mujhe meri shaktiya mujhe wapas de de..."
"lekin malik aapne kaha tha ki pichhali baar death iceland me samundar ke pani ko peechhe dhakelne ke karan Ron ki shaktiya khatam ho chuki hain"
"mujhe yaad hain Morgan ,lekinmujhe uske khoon se matlab hain uski shaktiya uske pass rahe ya khatam ho jaye iska koyi prabhav nahi padta..."
"kahi Ron ko shaq na ho gaya hum logo par..."
"ek baar wo lisa ke changul me fans jaye...phhir Samundar ka shikari mahan Martin humare mutthi me hoga..."
*************************************************************
lisa akele me talwar chalana seekh rahi thi,jab jab use khayal aata ki wo Ron ke sath do din us bejan se tapu par gujaregi uska khoon khaul uthta aue wo aur teji se talwar chalane lagti...
"talwar baji kisse seekhi tumne..."
lisa ne aawaj ki taraf dekha ,samane Ron apne ek hath me mashal aur dusare hath me dragon ke mans ka tukda liye muskura raha tha...
"Martin,apne chehare par muskurahat ka achchha naqab dal kar rakha hain tumne..."
"Ron nam se chidh hain ki tum sabko..."
lisa ne apni talwar ko neeche phenk diya,uska pura sharir paseene me doob chuka tha,aur wo apne jism ko thandak dene ke liye pass me hee chattano ke beech jama samundar ke pani me apne kapde utarkar kood gayi...
"mujhe nayi chizo se nafrat hain..."
lisa ko yun bina kapde ke dekhkar Ron ka mu khula ka khula rah gaya..Ron ne ek lambi saans li aur mans ka ek tukda apne mu dalte hue bola...
"samundar ke pani ko kyun ganda kar rahi ho..."
"pahale apna khula hua mu band kar..."
lisa bahut der tak apne jism ko thandak deti rahi aur pure samay Ron ,lisa ko ghoorta raha...lisa bahar aayi aur usne apne kapde pahan liye,phhir bhi Ron lisa ko ektak dekhe ja raha thatabhi waha Morgan aa dhamka,aur seedhe Ron ke pass jakar uske kaan me dheere se bola...
"Ron ,malik ne tujhe aur lisa ko samundar ke beech bane us tapu par jane ke liye kaha hain...kya tum taiyar ho.."
Ron ab tak to samajh chuka tha ki ye log uske khilaf koyi sazish gadh rahe hain..lekin Ron is sazish ke teh tak jana chahta tha..wo janna chahta tha ki aakhir ye log usse chahte kya hain...
"main to taiyar hoon Morgan,par kya lisa itni aasani se mere sath jane ke liye raji hogi..."
"malik ke aadesh ko lisa thukra de abhi itni himmat lisa me nahi hain..."
"lekin hum dono jayenge kaise ,tum logo ke pass to koyi jahaj bhi nahi hain..."
uski chinta tum mat karo..main tum dono ko us tapu par chhod dunga..."
Ron ka shaq gahrata ja raha tha ,lekin use samajh nahi aa raha tha ki ye log us par achanak se itne meharbaan kaise ho gaye,kyunki yadi inlogo ko mujhe marna hota to wo mujhe yaha bhi maar sakte the...
"Ron hum dragon par jayenge..main tum dono ko waha tak chhod dunga..."
"ye to kamal hain lekin yadi dragon ko main sambhalu to tumhe koyi aitraaj to nahi..."
"Ron dragon ke liye tum ajnabi ho wo tum par hamla bhi kar sakte hain..."
"yadi tere dragon ne aisa kiya to main usi vaqt uska sar ukhad kar phenk dunga...."
Morgan..lisa aur Ron ko tapu par chhodkar waha se chala gaya ....Ron aur lisa ne apne apne hath me mashal le rakhi thi..Ron ke pass samay hee samay tha lisa se baat karne ke liye,Ron kuch der chalne ke baad rook gaya...
"tu rook kyun gaya..."
"kuch baate hain jo tumhe samjhani hain..."
Ron ne lisa ke kando par hath rakha aur uske ankho me dekhte hue bola.....
"lisa ,tumhare bhai ko maine jaanbuchkar nahi mara tha...wo jung me Gabriel se mil gaya tha aur tumhare bhai ko humare khilaf bhadkane wala aur koyi nahi dewan tha,..mujhe ab bhi achchhe se yaad hain jab main Morgan ke sath jung ke maidan me khooni ladayi lad raha tha ,to maine tumhare bhai ko jung ke kshetra se wapas bhej diya tha taki samay aane par wo saltanat ke logo ki raksha ke liye maujood rahe...yuddh hum bas jeetane wale the ki kisi ne mujhe khabar di ki tumhara bhai ne humse bagawat kar di hain,aur wo dewan ke sath milkar saltanat ke logo ko berahami se katal kar raha hain...mujhe pahle is baat par yaki nahi hua..maine ye socha ki jung ke maida\n se mujhe hatane ke liye Gabriel aur Morgan ke dwara mere khilaf sazish ki gayi hain,kyunki us din maine Gabriel ko buri tarah hara diya tha aur wo ladayi chhodkar bhag chuka tha...maine ek bahadur sipahi ko ko apne kapde ,talwar aur kavach di aur bhesh badal kar waha se bhag gaya...jab main saltanat me pahuncha to waha sabhi bhag daud kar rahe the...main unki ankho me maut ka khauf saaf dekh sakta tha...pure saltanat me lasho ko dher laga hua tha...us pal maine ye socha ki shayad Gabriel jung ke maidan se bhagkar yaha aa gaya ho...lekin main us samay galat sabit ho gaya jab maine tumhare bhai ke hatho me khoon se sani talwar dekhi ,usne mere samane hee kayi logo ko katl kar diya ,main bebas hokar keval tamasha dekh raha tha...us samay meri samajh me kuch nahi aa raha tha ki main kya karu...usi samay tumhara bhai meri taraf badha...wo mujhe pahchan nahi paya tha...ab mere pass uska mukabla karne ke siwa aur koyi rasta nahi tha....."