Thread Rating:
  • 5 Vote(s) - 1.8 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Meri Bahu Aisi Nahi( completed)
#9
UPDATE-----8
======================================================
"Bhabhi hamari aur ash kare dusre lo. kabhi kisi ka suit sia ja raha hai , kabhi kadhai ho rahi hai, kabhi khane pakane sikhaya ja raha hai ." saba ek din chidh hi gai . sabke saamne to nahi kaha magar andar aakar kehna suru kar dia . seema bhi wahi maujud thi.
             " to tumhe kya taklif hai . kya saare darzi mar gaye ya kadhai wale nahi rahe paisa do , kanhi se kaam karwa lo ." lubana ne seema ki taraf tirchi nazar se dekha aur saba ko daata .
 " kyun ? baazaar se kyun karwaye ? hamari bhabhi hai, unse kyun na karwaye. saba par daant ka koi asar na hua.
   uske muh se pehli baar yun hamari bhabhi nikla tha. seema ko use par bahut pyar aaya-- " han han saba ! bilkul. tumhe jo kaam karwana hai mujhe batao . tum to meri bahan ho pyari si. tum logo ke siva kaun hai mera." na chahte huey bhi uski aankhion  mie aasun aagye.
    saba ka chehra  uske dono haation mie tha. saba use gaur se dekh rahi thi - " aur aap bhi to hamari iklauti bhabhi hai . aapse kaam nahi karwayengay to kisse karwangay . " saba seema se lipat gai thi . ise dauran chachi ko achanak naadia ki shadi ka kahayal aaya . naved to haath se nikal hi gaya tha fir kis ummid par bithayea jata usse. 
" bhai ! mie aapse ek baat karna chahta hun." sare log jama the . chacha ne biwi ki taraf dekha aur bola --- " aap hamre bade hai aur aapse maswara lena mie behtar samjhta hun " saath hi unhone tirchi nazaro se sultan ahmed ki tarf bhi dekha jaise fark jatana chate ho.
" naadia ko do teen ristey aa chuke hai  . sochta hun ise farz se  bari ho jaun. woh ristion ke barre mie batane lage.
     iqbal ahmed ne saari baat suni aur muskura dia - " bhai janha naadia ko itney ristey hai to ek rishta aur shamil karlo. mere kamran ka. naadia meri beti jaisi hai . ghar ki chize ghar mie hi rahe to accha hai. soch lena aur apni biwi se mashwara kar lena.
" are bhai ! ismie mashwara kya karna.  woh to dekha bhala. ghar ka baccha hai . humie usse accha rista kaun sa mileyga . meri taraf se aap han samjhe.
      ghar mie ek baar shaadi ke hangame jaag uthe .
                     " khus ho yaar ?" naved ne kaamran se poucha .
" thik hai yaar ! bado ke faisley hai . bas zara naadia se paresan hun . bahut khudgaraz aur kuch batmeez hai  . aur ammi ko to tumhe pata hai woh batmeezi bardasht nahi kar sakti . pehle woh ghar ki sirf beti thi magar ab bahu ban jayegi . position mie to fark padega. "
"come on yaar ! kuch nahi hota . tum parisan na ho . na tum begane ho na naadia gair . balki tum dono khushkismat ho ki dono ki khusiyion mie saare gharane ki khusiyan shamil hai . sab usse khushi se bahu taslim karangay . jabki seema bechari abhi tak apna aap manwane ki kosis mie lagi hai " naved kuch udas hua.
         " woh bahut jald apna aap manwa legi . usse logo se muhobbat wasool karna aati hai." kaamran ne usse tasali di.
   sab shaadi ke har function mie joso kharosh se sarik the. har rasm hui . aasiya begum ko majburan sabse apni bahu  seema ko milwana pad raha tha . seema saalikey se kia gaye makup aur libas mie acchi bi lag rahi thi . fir bhag bhag kar har kaam karna, har ek ki madad ke lia taiyyar rehna. kabhi chachi ke saath , to kabhi taai ke saath , woh har kaam mie pesh pesh thi .
    shaadi ka hungama thanda pada . log fir se apne apne kaamo mie mashroof hogaye . naadia aur kamraan honeymoon se wapas aagaye the . daawate hui fir zindigi routine par aagai. 
  usse din sab lawn mie jama the . naadia khoob chamkeeley kapde pehne baithi thi.
  " chalo yaar naadia ! sabko acchi si chai pilao . bahut dil chah raha hai "
kaamran ne bade pyar se farmaish ki . magar naadia ka muh ban gaya -- "chorro , itey maze ki baat chal rahi hai . fir mera mood bi nahi hai . tum kisi aur se banwa lo na. " usne saaf inkaar kar dia . kaamran usse dekhta rahe gaya .
" are chai seema bana layegi . jao seema! chai banakr lao".
  naaved ne kaha to seema foran uth gai ." dekho ye hoti hai farmabardari" zeeshan ne dad di .
  bas ye baat naadia ko lag gai-- " woh farmabardari na dikhaye to aur kya kare, aur kya hai uske pass dikhane ko . bhag bhag kar dusro ka kaam karegi tab hi usse thodi bahut izzat milegi.  warna to............"
     " please naadia appi "  saba ne usse rokna chahe --  " apne sohar ka kehna mannna koi buri baat to nahi hai. aur yanha sab log uski izzat islia nahi kartey ki woh sabke kam karti hai  balki islia kartey hai k woh hai hi izzat ke kabil. aur izzat shakal surat dekh kar   nahi ki jaati. insan ki izzat uske rowaiye se hoti hai. meri nazar mie woh ladki katai khoobsurat nahi hai jiski sirat acchi nahi hai ." saba ne puri takrir kar daali .
" oh ho  bada bhabhi ka  laad aa raha hai ." naadia ne sharminda honey ke bajaye mazak udaya . 
" aana hi chaiye . woh ise ghar ki badi bahu hai aur hamari pyari bhabhi ." usne atraf kia .
  naadia ki apni nanado se nahi banti thi . maa apni betion ki  hi himmayat leti thi. kaamran ise  chaq chaq se parisan hogaya--" yaar !  mie kya karu , kanha jaun ?
ammi ki sunu to bahu mie hazaro kidey . naadia ki suno to maa aur behno ki sikyate.. mie to ulaj gaya hun . dono ko kaise khush rakhun.
     " mie tumhe kya maswara dun mera to abhi tak ise taerah ki baation se  wasta hi nahi pada ."
  " kya ? kaise ho sakta hai ? tumhari shaadi to mujhse pehle hui hai fir aunty apni bahu se khush bhi nahi hai . mind nahi karna , woh to bhabhi ko bahu bhi taslim nahi karti.
" han , ammi  ko seema pasand nahi hai  magar ammi ko kabhi mujhse uski koi sikayat nahi ki . seema to kahir kuch kehti hi nahi  hai . mine ek dafa seema se poucha bhi tha. woh to kuch nahi boli . lubana ne bataya ki agar seema bhabhi se koi galti hoti hai to woh foran maan jatti hai aur muaffi mang leti hai . waise ek baat bataun , woh mujhese jaida ammi kehne mie chalti hai. unka mood dekhti hai , unka mizaz waisa hi karti hai " naved usse hairan kar raha tha.
  ghar mie roz jhagda honey laga . gahr alag alag the magar beech mie koi deewar na thi. naadia ka apni saas nanado se jhagada hota to woh apni maa ko batati aur maa asiya begum ko . kabhi kabhi yeh kaam taai khud anjam deti aur devrani ke pass jaakar ansoo bahati . aasiya begum unhe tassali deti . seema bhi diljoi karti .
           navjawan party  lawn mie ikatha hoti to kabhi naadia kaamran ulajh padtey kabhi nanado ki baat naadia ko buri lagti accha khasa mahol kharab ho jata . fir naadia ne alag ghar ki baat suru kar di . jine suna hairan rah gaya.
" shukra hai hamne apni iklautey bhai ki shaadi se nahi ki warna hum to apne bhai ko bhi kho dete." saba ne kaha-- " hamari bhi to seema bahbhi hai. woh to humse kabhi nahi ladti . hamari kisi baat ka bura nahi manti . hum suru mie jaidati bi kar jate the magar unhone kabi kuch nahi kaha."
seema usse waqt kitchen mie kaam kar rahi thi. ammi ne ghoor kar usse dekha aur khamosh rehne ka isara kia.
" kuch bhi ho ammi ! waise mine mehsus ki hai  ki jaidati aksar naadia ki hoti hai . naadia to taai ka lihaj nahi karti . foran jawad deti hai . usse din mere saamne  ki baat hai , naadia apni kisi saheli ke gahr se aai thi . taai ne sarsari taur par kah dia, badi dair kar di . bas naadia ne jo bolna suru kia to kisi ka lihaj na kia. accha hi hua woh hamari bahbhi nahi bani . shakal surat ka kya karna hai, asal chiz sirat hi hoti hai." asiya begaum chup rahi .
****************************************************************
Last part
*******************************************************************
kaamaran  alag gahr lene ko taiyar na tha . taiyaar uski maa behne bhi na thi  magar naadia aade gai thi. woh apni maa ke pass chali gai thi . zaahir hai maa ki sah par bol rahi thi . taai saara din devrani ke pass ansoo bahati .
 seema ke purane mohalle mie kisi ki shaadi thi . naaved usse chorre aaya tha wapas usse khud aana tha . jab taai amma naadia ki baatien aasiya begum ko bata rahi thi ussi waqt seema aagai . khush khush muskuratey chehre ke saath .
   " itney dair laga di . pata nahi tumhe ghar bi aana hai. yeh kya tarika hai". aasiya begum baras padi.
   " sorry ammi ! mie to rukhsati hotey hi chal di thi . halanki sab rok rahe the " wakai aisi koi dair nahi hui thi . sham ke 5 baje the .
  " to ruk jaati . jaldi kya thi aane ki ". aasiya begum tanj se boli." sorry ammi ! ab aisa na hoga . seema ki ankhion mie nami utar aai . taai amma ka jaise muh khula tha khula rahe gaya tha.
****************************************************************
" haye haye ! woh kaisi ghadi thi jab mine uski mulakhafat ki thi . woh ladki nahi hira hai hira."
" kaun ammi ?"  lubana ne poucha 
"seema . apni seema aur kaun." unhone abhi kuch dair pehle honey wala wakya beti ko bataya .
" ammi ! aapko ab pata chala . mie to suru se kehti thi . kasam se itni mohabbat aur pyar se pesh aati hai ki apne aap rask aane lagta hai. . kash naved bhai ki jagah unki shaadi kaamraan bhai se ho jaati . woh meri bhabhi ban jaati saba khul kar tarrif kar rahi thi .
jabse naadia ne apne rang dikhaye the  aasiaya begum ka rowaiyya sema se behtar honey laga tha . woh naved ki shaadi naadia se karana chahti thi. woh khoobsuart thi padhi likhi bi jaida thi , amir baap ki beti thi , seema to uske muqable mie kuch nahi. lekin ye pehle ki baat thi . ab unke khayalaat badal chuke the . kya karna aisi khoobsurati mie jo bete ko maa se juda karwa de . seedhe muh baat na kare . ssa nanado ko bardasht na kar paaye . woh seema ke akahalaq ki kayal ho gai thi  magar etaraf na kar saki . kisi ki ki khoobiyion ka etraf  karna muskil kam hota hai.
******************************************************************
haalat se tang aakar kaamraan ko alag hona hi pada . taaya jaan ne bhi izzazat de di . woh ghar ke haalat sudharna chahatey the . naadia khus thi . uski zid poori ho chuki thi jabki kaamaran ki maa bahno ka bura haal tha.
       naadia ka saaman janer laga tha sab afsos se dekh rahe the . aasiaya begum bhi udas thi . abhi to shaadi ko ek saal bhi nahi hua tha . maaye beto ki shaadiyan islia nahi karti ki wo  alag ho jaaye.
" ammi! aap kyun udas hai ? aapka beta to nahi jaa raha " naved ne apni maa se kaha to aasiya begum ne usse gale laga lia--" na beta ! aisa na kah . khuda wo din na laaye . mie to tere baigair rah hi nahi sakti .MERI BAHU MERI SEEMA ASI NAHI HO SAKTI.

naved ne hairani se maa ko dekha . meri seema meri bahu . aaj aakhir  maa ne seema ko apni bahu taslim kar hi lia tha.
" beta ! mie seema ko pasand na karti thi . tumne bina marzi ke usse shaadi kar li . na khoobsurat thi , na ammir. magar aaj mujhe pata chala khali khoobsurti kuch nahi hoti. ladkiyion ki sirat hi sabse badi khoobsurati hoti hai . khuda ka sukra hai meri bahu naadia jaisi nahi hai.
naved khush tha . seema ne aakhir khud ko manwa lia tha. aur seema ko bhi laga tha ki use uski manzil mil gai hai . zindigi mie chro taraf khoobsurat rang bikhar gaye hai.
*******************************************************************COMPLETED
********************************************************************
Like Reply


Messages In This Thread
Meri Bahu Aisi Nahi( completed) - by viking - 10-12-2018, 01:59 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 10-12-2018, 04:48 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 11-12-2018, 03:49 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 12-12-2018, 03:56 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 18-12-2018, 04:14 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 22-12-2018, 04:33 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 01-01-2019, 12:13 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi(COMPLETED) - by viking - 05-01-2019, 07:10 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 06-01-2019, 09:50 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 09-01-2019, 07:55 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi( completed) - by viking - 20-02-2019, 09:26 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi( completed) - by viking - 14-11-2019, 08:34 PM



Users browsing this thread: 2 Guest(s)