UPDATE=======7
==============================================
"Mie maa thi tumhari . tumhe paal posh kar itna bada kia aur tumne mujhe itna bi na samjha ki mujhese pooch lete ya bata dete. SHAADI racha li . fufo ki chahte the. Tum hi rahe gaye the kurbani ka bakra bannane ke lia" woh ro ro kar kahe rahi thi .
naved maa ko manane ki puri kosis kar raha tha.
"dekho aashiya ! ab rone dhone se koi faida nahi hai . mine sahi ladki se bete ki shaadi ki hai . raha sawal khusiyan manne ka to hum rukhsat aur walima badi dhumdham se karangay ." sultan ahmed ne bhi begum ko thanda karne ki kosis ki.
sultan ahmed ne rukhsati aur walimey ka ealan kia to kisi ko ise baat ki khushi na hui. ladko ko kuch khushi jarur thi.
" mujhe koi dus barah shaadiyan nahi karni hai na kar chuka hun ki tum log khusiyan manatey manatey hi thak gaye ho . kamal hai, kya tum log meri khushi mie shamil nahi hongay?" naved sab se kaha tha.
" yaar ! woh to thik hai lekin kya tumhe ise shadika koi afsos nahi?" Imran ne use kureda .
"Kis baat ka afsos ?"
" ise baat ka ki tum jaisa khoobsurat ladke ki biwi itni aam . mamuli shakal surat ki."
Naved has dia-- " kuch saal baad saari khoobsurati khatm ho jati hai. baaki zindigi mie biwi ki sirat kaam aati hai . aur mere khayal mie seema ki sirat bahut khoobsurat hai".
" kya tumhe usse ishq hogaya tha?" zeeshan bola.
"ise zamane mie ishq wishk nahi hota . woh meri sagi fufo ki beti hai . mujhe usse se mohobbat to thi hi . bas aur kuch nahi. magar log yanha trah tarah ki baatien bana rahe hai. kya mine seema se shadi kar ke koi gunah kar dala hai?"naved ne unhe khoob sarminda kia . tab ladko ne apni riwayati khushi ka izhar bhi kar dia.
sultan ahmed ne kaha tha ki seema ke lia walimey ka joda aur javarat uske nahi, hamari hasiyat ke mutabik haoney chaiye. aasiya begum jo jali bhuni baithi thi, unhe dekh kar hi rahe gai.
Aakhir wo din bhi aagaya jab chehere par khushi ke bajaye udasi thi aur honto pe deikhane ko muskurahat . seema ko seher ke sabse mashoor parlour mie taiyar karaya gaya . woh khoob saj rahi thi .aam dino se bilkul hat kar . ek baar to saare ghar wale dekh kar dang rahe gaye. magar wo jante the ye sub makeup ka kamal hai.
Naadia aur reshma baazi harne ke baad bhi khoob mehnet se taiyyar hui thi aur hans hans kar apne haar par parda dal rahi thi. seema ke saath jude jude kar baith rahi thi jaise naved ko dikhana tha.
*******************************************************************
" seema ! jab tum ise ghar mie aai thi to tumne kuch dino mie sab logo ka apna bana lia tha. sab tumhari tarrif kartey the magar tab mie aur ab mie bahut fark hai. pehle tum ise gahr ki beti thi magar ab bahu ho . sabko sadma hua hai hairani hui , gussa bi aaya. kusurwar hum mie se koi bhi nahi . haalat hi ise tarh ke hogaye the .
seema ! ammi dil ki buri nahi hai sab tumhe chahte hai. tumse mohabbat kartey hai .tumhe ek baar fir jitna hai . ise baar beti bankar nahi . bahu bankar . mie ummid karta hun tum mera saath dogi aur ise immthan mie kyam bhi rahogi." naved seema ko samjha raha tha.
*******************************************************************
Ab seema ne fir se ghar sambhal lia tha magar ab unke lia sab ajnabi aur beganey the . kisi ko kisiki parwah na thi na maujudagi ka ehsas . aur apni maujudgi ka ehsas dilana .apne aap ko manwana bahut muskil kam haota hai. kabhi kabhi sadia beet jaati hai . aur dusro ko mujudgi ka ehsas tak nahi hota.
naved kadam kadam par uske saath tha. uski khoobiyan ka ehsas naved ko ab hua tha. usne ghar ko jannat bana dia tha. fir uska rowaya . woh kisi ki baat ka bura nahi manti thi. na ammi na lubana, na saba ke lahje ka sikwa karti sabki khidmat ke lia taiyar rehti.
*******************************************************************