02-01-2019, 07:52 PM
Me – kyun samajh liya aap ne maine to bataya hi nahi
He – nahi wo aap ke naam se maine socha , chaliye koi baat nahi
Me – to aap ne mujh se '. samajh kar dosti kit hi
He – nahi agar aisa hota to main ap se puchta dosti insane ke ikhlaq aur uski quality se hoti hai mazhab se nahi
Me – jee bilkul sahi aur agar insaan apne mazhab ko sakti se follow kare to sari duniya uski dost hogi koi dushman nahi
He – hmmm bahut door ki aur bahut badi baat kah dii aap ne ye samajhne ki baat hai
Me – jee
He – acha ab ye bataiye ki aisa kya hai jo aap ko bilkul pasand nahi
Me – mujhe jhooth bilkul pasand nahi aur kisi ko pareshan karna bewajah satana kisi ko majboor jankar uska faida uthana aur dhikha karna in sab se mujhe bahut nafrat hai
He – achi baat hai aur kuch had tak mera bhi yahi khyal hai aur mai koshish karta hun ki jhooth na bola jaye lekin kisi kef aide ke liye agar jhuth bola jaye to main samajhta hun ki wo ghalat nahi hai
Me – ho sakta hai ye to waqt ki nazakat ke upar hai
He – jee jee – waise aap ke khyal bahut ache hain pata chalta hai Kisi nek ghar ki taleem aap me hai khush kismet hain wo maa baap jinko aap ke jaisi beti mili
Me – arey itna zyada mat kahiye main is kabil nahi hun ek adna si jahil gunahgar hun itna bada mat banaiye
He – mujhe jo sach laga wo maine kah diya aur mujhe baten banana aata nahi
jo munh me hai wahi dil me main khuli kitab hun jaisa upar se waisa hi andar do chehre nahi hai mere ki dikhane ka aur asli chehra aur
Me – hona bhi nahi chahiye, aur aap apne bare me to bataiye
He – dekhiye main dil se saaf aur zuban ka kharab hun mujhe job hi kahna hota hai wo chahe koi bhi ho main munh par kah deta hun
baghair ye soche ki ye kisi ko bura lagega ya iska anjam kya hoga peeth piche kisi ko bura nahi kahta agar kisi ko kuch kahna hota hai
to munh pe hi kahta hun aur esi liye main ek bura admi hun zindagi ko bas ek god gift samajh kar accept kiya hai enjoy karta hun har pal har lamhe ko injoy karne ki koshish karta hun
Me – bahut khoob kya tareef ki hai apni apne munh se
He – nahi aisa to nahi hai acha bura dono bataya na aap ko
Me - ok achi adat hai
He – acha ye bataiye ki aap ka koi boy friend hai
Me – nahi – aur ye sab kyu puch rahe hain aap
He – bas puch liya is me naraz hone ki kya baat hai aur aap ne wada kiya hua hai ki aap naraz nahi hongi
Me – wada kiya hai to aap kuch bhi ool jalool puchenge
He – aap fir naraz ho rahi hain main koi ool jalool bat nahi puch raha bas yunhi pucha dosti me itna to chalta hai
ki hum apni baten ek dusre se share Karen aur main to aap se bahut kuch sab kuch share karna chahta hun
Me – kyun
He – kyunki aap bahut achi hain aur hum dost hain mujhe yakeen hai ki aap ek bahut achi friend sabit hongi
Me – ok – lekin aap se sab kuch share kiya jaye ye zaruri to nahi
He – nahi zaruri to bilkul nahi lekin maine kaha ki main share karna chahta hun
kyunki main aap ko is qabil samajhta hun aur aap agr mujhe is qabil3nahi samajhti to kuch mat share kariye
Me – hmmmm ok
He – acha aap ki age 38 hai aur aap ne M.A. kiya hua hai itne saal college college me ghuzare ye kaise mumkin hai ki aap ka koi boy friend na ho
Me – nahi hai bas kabhi is bare m socha hi nahi ghar aur parhayi me hi time ghuzra bas
He – ok – kya aap ko kisi se payar hua
bhale hi ek tarfa hua ho kabhi kisi ko aap ne chaha ho pasad kiya ho ya kisi ne aap ko pasand kiya ho koi aap ko chahta ho aisa kuch?
Me – dekhiye maine to aaj tak kisi ko nahi chaha na hi kisi ko pasand kiya yahan tak kisi larke ke bare me socha bhi nahi
ab koi mujhe chahta hai ye mujhe nahi pata aur haan bahut saal pahle jab main graduation ke 2nd year me thi tab ek larke ne mujh se kaha tha
ki wo mujhe pasand karta hai main usko achi lagti hun aur wo mujh se milna chahta hai
He – fir aap ne kya kaha
Me – maine kaha thik hai aap mujhe pasand karte hain lekin yun raste me baat karna mujhe pasand nahi hai
aur fir kabhi aisa mat kariyega haan agar aap mujh se milna chahte hain to mere ghar aaiye aur pasand karte hain
to apne ghar walon ke sath aiye wo log mere ghar walon se milen to thik bhi hai