02-01-2019, 07:52 PM
He – arey choriye kitni beemariyon ka ilaj kiya jaye , is par main aap se fir kabhi baat karunga abhi nahi
Me – ok
He – acha main aap se kuch puchana chahta hun agar aap bura na mane to
Me – jee puchiye
He – aise nahi pahle aap ye tai kar liye ki aapbura nahi manengi
Me – arey kaha na pucho to bura na manne ki kya bat hai ab kya likh kar dun aap ko
He – haan maine bura na man ne ki bat pahle is liye kahi kyunki main eek baat note ki hai
aap me ki aap ke andar accept karne ki power bahut kam hai aur kisi bhi bat ko bahut jaldi ignore kar deti hain
aur apni baat ko hi sahi sabit karna chahti hain agar us pe baat karo to ap bahas karti hain fir bahut jaldi naraaz bhi ho jati hain – mujhe yahi lagta hai to maine kah diya please don’t mind
Me – hmmm mind karne ki koi bat nahi hai agar aap ko aisa feel hota hai to uska jawab ye hai
ki main ignore jab hi karti hun jab koi bhi bat mujhe ghalat lagti hai sahi bat ko main kabhi ignore nahi karti aur agar kisi baat ka ilm mujhe nahi hai to main usko puch leti hun aur agar baat sahi hai
to accept to ho hi jayegi aur jab dekhti hun ki koi apni ghalat baat ko sahi thahra raha hai aur meri sahi baat ko ghalat to ignore bhi karti hun bahas bhi karti hun
iske baad bhi samne wale ko nahi samajh me aati hai meri baat to naraaz hona lazmi hai
He – aapki urdu bahut achi hai
Me – thank you
He – haan to aap ka faisla hai naraaz hongi ya nahi meri bat pe
Me – naraz karne wali baat kahenge to zarur naraz ho jaungi
He – dekhiye ab main aap k naraz nahi karna chahta lekin kuch bate aisi hoti hain jo mere liye sahi hain ab ho sakta hai
ki aap ko achi na lage is liye main ne kaha ki naraz na hon aap
Me – mai ek bat nahi samajh pa rahi hun ki maine aaj tak kisi se baat nahi ki kisi ko bardasht nahi kiya fir bhi mai kyun tum se baat kar rahi hun
aur tumhare be sar pair ke msg bhi parhti hun itni raat ko main tum se baat kyun kar rahi hun mujhe khud nahi pata
agar bura manti to main kabhi tum se bat hi nahi karti aur tumhari himmat bhi nahi hoti mujhe call karne ki
He – arey baap re , darao mat yaar itni raat me , ye sab dosti ka asar hai jis se aap shayad abhi tak anjan thin
Me – hmm ho sakta hai
He – acha ye bataiye ki aap ne mujhe apni age ghalat batayi hai na
Me – nahi aisa nahi hai ghalat kyu bataungi- (lekin uski bat sunkar main sakpaka gayi)
He – acha ye bataiye ki aap ki hobbies kya hain
Me – hmm hobbies to ab kuch nahi hain apni zimmedariiyon ke aage main sab bhool gayi , lekin kabhi thi to swimming , reading books , aur tareekhi jaghon ko dekhna
He – good , aur aapke favourate colour , dress , food
Me – royal blue – white – aur mahroon , dress salwar suit hi pahanti hun aur fod me jo mil jaye wo sahi hai sabhi pasandeeda food hain
He – ok lekin kuch to hoga na jo bahut acha lagta hoga
Me – haan panner ki sabhi dishes khas kar palak paneer matar paner aur chicken mutton
He – good , mutton chicken to mujhe bhi bahut pasand hai aur paneer bhi
Me – achi baat hai
He – acha aap ko kya pasandhai
Me – matlab – maine job hi bataya wo pasand hi hai
He – sorry mera matlab hai ki aap ko kya karna se sukun milta hai
Me – kisi ki zarurat pe kam aake mujhe bahut sukun milta hai aur agar kisi marte hue ko agar kuch sanse aur de sakun to kya kahna
He – good lekin marte hue ko sans kaise dii ja sakti hai
Me – matlab beemar ki khidmat karke bllod donate kar ke
He – blood donate kiya hai aap ne
Me – yes aur blood donate karke to mujhe bahut sukun milta hai waisa hi sukun jaisa ki prayer se uthne ke baad dil ko hota hai
He – good iska matlab aap ,,., parhti hain
Me – no main ,,., nahi parti kyunki mai '. nahi hun main parsi hun
He – kyaa ! aap parsi ho acha main to aap ko musim hi samajhta tha